Pages

Saturday, 27 October 2018

✦...♥ Mujh Se Mukammal Yaqeen Ke Sath Mang Kar To Dekho ♥...✦

●◗► Hote Ho Kya Meri Qudrat Par Yaqeen Nahin Hai Tum Ko ? Main To Tumhari Shah Rag se bhi Zyadah Qareeb Hun Jab Tum Apni Maa ki Niyyat Par Shak Nahin Kar Sakte to Us Par Kaisi Be Yaqeeni Jo Tum Se 70 Maaon Se Badh Kar Mohabbat Karta hai... ♥ “Mujh Se Mukammal Yaqeen Ke Saath Mang Kar To Dekho Arsh Par “Kun” Keh Kar Puri Dunya Ko Tumhara Waseela Bana Kar Tumhen Na Nawaza To Kehna..!!

🌸 Fikr Na Karen Log Bhool Jayenge Allah Nahin Bhoolta Aap Ki Neki Na Logon Ki Zyadati!! 🌸

✦..:: Jum'ah ki Azan Sunte hi Dunyawi Masrufiyaat Tark Karden ::..✦

⇨ "O you who have believed, when [the adhan] is called for the prayer on the day of Jumu'ah [Friday], then proceed to the remembrance of Allah and leave trade. That is better for you, if you only knew." (Surah Al-Jumu'ah:9)

⇨ "Urdu Translation: "Aye Imaan Walo! Jab Jumah ke Din Namaz Ke Liye Pukara Jaye to Allah Ke Zikr ki Taraf Lapko Aur Khareed o Farokht Chhod Do ye Tumhare Haq mein Behtar Hai Agar Tum Samjho.” (Surah Al-Jumu'ah:9)



✦.....♥ Dunya Ki Sab Se Badi Daulat ♥ Naik Biwi ♥.....✦

Allah's Messenger (ﷺ) as saying: “The whole world is a provision, and the best object of benefit of the world is the pious woman.”

[Sahih Muslim ::  Book 8 :: Hadith 3465]

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Dunya Faidah Uthane Ki Cheez Hai Aur Dunya Mein Sab Se Zyadah Faidah Dene Wali Cheez Naik Biwi Hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 4 :: Hadith 3649, 3716]
✦..........► Maut Ke Baad 9 Aarzuyen ◄..........✦

❶ Aye Kash! Main Mitti Hota. (Surah An-Naba:40)
❷ Aye Kash! Main ne Apni (Aakhri) Zindagi ke liye Kuch kiya Hota. (Surah Al-Fajr:24)
❸ Aye Kash! Mujhe Mera Nama Aa’mal na Diya jata. (Surah Al-Haqqah:25)
❹ Aye Kash! Main Fulan ko Dost na Banata. (Surah Al-Furqan:28)
❺ Aye Kash! Ham ne Allah aur us ke Rasool ki Farman Bardari ki Hoti. (Surah Al-Ahzab:66)
❻ Aye Kash! Main Rasool ka Rasta Apna leta. (Surah Al-Furqan: 27)
❼ Aye Kash! Main bhi un ke sath Hota to Bahot badi Kamyabi hasil Kar leta. (Surah An-Nisa: 73)
❽ Aye Kash! Main ne Apne Rab ke sath kisi ko Shareek na Tahraya hota. (Surah Al-Kahf:42)
❾ Aye Kash! Koi Surat Aisi ho ke Ham Dunya mein Phir bheje Jayen aur Apne Rab ke Nishaniyon ko na Jhutlayen aur Iman lane Walon mein Shamil hon. (Surah Al-An’am:27)

●◗► Kahin Aap Ki Bhi Koi Aarzu Adhuri To Nahin Reh Gayi???

✦..........► Aundhe Muh Sona Mana Hai! ◄..........✦

It was narrated from Qais bin Tihfah Al-Ghifari RadiyAllahu Anhu that his father said: "The Messenger of Allah (ﷺ) found me sleeping in the masjid on my stomach. He (ﷺ) nudged me with his foot and said: 'Why are you sleeping like this? This is a kind of sleep that Allah dislikes,' or 'that Allah hates.'"

[Sunan Ibn Majah ::  Vol. 5 :: Book 33 :: Hadith 3723]

Urdu Translation: Hazrat Tikhfah Ghifari RadiyAllahu Anhu Farmate Hain ke RasoolAllah ﷺ ne Mujhe Masjid Mein Pait ke bal (Aundhe Muh) Soya hua Paya, Aap ﷺ ne Apne Pair Mubarak se Mujhe hila Kar Farmaya: "Tum is Tarah Kyun So Rahe Ho? Is Tarah Sona Allah Subhanahu Wa Ta'ala ko Sakht Na’pasand hai."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 604, 3723]

●◗► RasoolAllah ﷺ ne Aundhe muh Sone se Mana Farmaya hai Aur Aaj ki Medical Science bhi ise Aaza o Jawareh Bilkhusus dil o Dimagh aur Insani Nafsiyat ke liye Sakht Nuqsan deh Qarar de Rahi hai, Lehaza Ladakpan se hi Aundhe Muh na Sone ke Hawale se Bacchon ki Tarbiyat karen.

♥︎ Rishte To Sabhi Anmol Hote Hain Par Use Ahmiyat Kuch Acche Aur Khaas Log Hi Dete Hain, Dil To Sabhi Ko Deta Hai Khuda Par Us Mein Jaga Kuch Khaas Log Hi Lete Hain ♥︎

💐 Zaroori Ye Nahin Beton Se Naam Roshan Ho, Mere Nabi Ka Chala Khandan Beti Se..!! 💐 ‎ﷺ


✦..........♥ “Bhai” Jaisa Koi Nahin! ♥..........✦

(Allah Allah Subhanahu Wa Ta’ala ne Hazrat Musa Alaihis Salam Se Farmaya): “Ham Tumhare Bhai Ke Zariye Tumhare Hath Mazboot Kiye Dete Hain.” (Surah Al-Qasas: 35)

 ●◗► Lehaza Har Us Shaks Se Door Rahen Jo Aap Aur Aap Ke Bhai Ke Darmiyan Ghalat Fahmiyan Paida Kar Ke Talluqat Ko Theis Pohnchaye.

✦......► Deene Islam Mein Jismani Safayi ◄......✦

Anas RadiyAllahu Anhu reported: "A time limit has been prescribed for us for clipping the moustache, cutting the nails, plucking hair under the armpits, shaving the pubes, that it should not be neglected far more than forty nights."

[Sahih Muslim :: Book 2 :: Hadith 497, 258]

Urdu Translation: Sayyidna Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate Hain: "Rasool Akram (ﷺ) ne Hamare Liye Munchen Katne, Nakhun Tarashne, Baglon ke Baal Ukhadne Aur Zere Naaf Balon ki Safayi ka (Zyadah Se Zyadah) Waqt ye Mutaiyyan Farmaya ke Ham Inhen 40 din se Zyadah na Chhoden."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 1 :: Hadith 599, 622]

●◗► Har hafte Nakhun Tarashna aur Jismani Safayi hasil karna Masnoon hai, Albatta Agar kisi Majburi se koi Shaks har Hafte Nakhun na Tarash Sake ya Jismani Safayi Hasil na kar Sake to Aakhri Muddat 40 din hai, 40 din ke baad bhi Nakhun na Tarashna aur Jism ke Ghair Zaroori Baal Saaf na Karna Sakht Gunah aur Na Jayez Aml hone ke Sath Sath Bahot se Muhlak Amraz aur Bimariyon ka Sabab bhi Hai.

✦...........► 2 Jahannami ka Giroh ◄............✦

Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jahannam Mein Jane Wale 2 Giroh Aise Hain jo Main ne Abhi tak Nahin Dekhe (Aur wo mere Baad dunya Mein Paida Honge),

❶ Aise Log Aayenge Jin ke Paas Bail ki Dumon ki Tarah Sakht Kode Honge Jin se wo Logon ko (Zulman) Mara Karenge.

❷ Aisi Aurten Paida Hongi jo Kapde Pehenne ke Bawajood Nangi hongi (Yani bareek aur Tang kapde un ke Jism par Honge), Mardon ko (Adaye dikha kar) Apni Janib Mayel Karne Wali aur khud Mardon ki Janib Mayel hone Wali hongi, Un ke sir Bukhti Oonton ke Kohaan ki Tarah (Balon mein Unche jode Lagane ki Wajah se) Aik taraf Jhuke honge, Aisi Aurten na Jannat mein Jayengi aur na Jannat ki Khushbon Soongh Sakengi, Halan ke Jannat ki Khushbon Door door tak Sunghi jati hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.6 :: Hadith 7194, 5704]

► Bukhti oont – Aik qism ka bada oont
► Kohaan - Oont ki peet ki bulandi, Saand ya Bail ka Uncha kandha.

●═══════════════◄►═══════════════●

Abu Huraira RadiyAllau Anhu reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: Two are the types amongst the denizens of Hell,

❶ The one possessing whips like the tail of an ox and they flog people with their help.

❷ (The second one) the women who would be naked in spite of their being dressed, who are seduced (to wrong paths) and seduce others with their hair high like humps. These women would not get into Paradise and they would not perceive the odour of Paradise, although its frag- rance can be perceived from such and such distance (from great distance).

[Sahih Muslim :: Book 40 :: Hadith 6840]

✦........► Allama Iqbal, Aik Waqia, Aik Sabaq! ◄........✦

Allama Iqbal Europe ke Daure Par the, Aik Roz Sham ke Waqt Aik Park mein Bacchon ko khelte dekh kar Lutf Andoz ho Rahe the, Achanak un ki Nigah Park ke Kone mein Baithe aik Aise Bacche Par Padi jo Padhayi kar Raha tha, Allama Iqbal ko Hairat hui, Kyun ke wo Bacchon ki Fitrat (Child Psychology) se Bakhubi Waqif the, is liye Bacche ko Padhta dekh Unhen zara Tajjub hua, Unhen Ajeeb laga ke aik Baccha is Mahol mein Padh bhi Sakta hai, Unhen ye Baccha kuch Extra Ordinary laga, Wo uth kar us Bacche ke Paas Gaye Aur us se Bole “Kya Aap ko khelna Pasand Nahin?” Bacche ke Jawab ne Unhen Hairan kar diya “Ham dunya Mein Mutthi Bhar hain, Agar main Khelne Mein Waqt Zaye Karunga to Meri Qaum mit Jayegi, Mujhe Apni Qaum ko Bachana hai.” 

Allama Iqbal: “Aap Kis Qaum Se Ho? Baccha: “Main Yahudi Hun.” 

“Main Yahudi Hun” Ye Alfaz Aur ye Azm, Allama Iqbal ke Hosh Fakhta Ho Gaye, Un ke Zahen kisi aur hi Dunya mein Chala gaya Aur Aankhon se be Sakhta Aansu Bahne lage, Wo Yunnan, Spain, Misar, Iran ki Fateh ki Kahaniyon se Lekar un Ko Ganwa dene Tak ki Wujuhat ka Safar karne Lage, ► “Shayad Dil Cheekh Raha Hoga ke Haai Meri Qaum, Haai Hamare Bacche, Main Tum Mein Shaheen Dhoond Raha Hun Lekin Uqaab to Yahudi Gharon Mein Pal Rahe Hain, Haqiqat Khurafat Mein Kho Gayi, Ye Ummat Riwayat Mein Kho Gayi.”

♥︎ Acche Logon Ke Sath Un Ki Ghaltiyon Ki Waja Se Talluqat Khatam Na Ki Jiye Kyun Ke Un Ki Ghaltiyan Hi Ghalti Se Hua Karti Hain ♥︎

✦...........►Surah Al-Kahf Ke Fazayel ◄...........✦

❶ Baitullah Shareef Tak Noor hi Noor:  RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Jumah ke Din Surah Al-Kahf ki Tilawat Kare to Jis Jaga Wo Tilawat karta hai Wahan se Lekar Makkah Mukarramah tak ka Tamam Fasla Noor se Munawwar ho jata hai. (Sunan an-Nasa’i:  10788)

❷ Aik Jumah Se Dusre Jumah Tak Noor:  Nabi Akram (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Jumah ke Din Surah Kahf Padhta Hai to us ke Liye Doosre Jumah tak Noor Jagmagata Rehta Hai.” (Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim: 3392)

❸ Dajjal Se Hifazat Ka Zariya:  RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Surah Al-Khaf ko Aise hi Padhe Jaise ke Wo Utari Gayi hai (Yani Tajweed ke Sath Acche Andaz Se) Aur Phir Wo Dajjal Ko Paale To Dajjal us Par Musallat Nahin Ho Sakega.” (Sunan an-Nasa’i:  10790)

❹ Ibtedayi 10 Aayat Yaad karne ki Fazilat:  Nabi Akram (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Surah Kahf ki Ibtidayi (Starting) 10 Aayat Yaad kare Ga Wo Dajjal ke Fitne Se Bacha liya Jayega.” (Sunan an-Nasa’i: 10790)

❺ Aakhri 10 Aayat ki Fazilat:  Nabi Akram (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jis Shaks Ne Surah Kahf Ki Aakhri (Ending) 10 Aayat Yaad kiyen Aur Phir Dajjal Nikal Aaya To Dajjal us Par Ghalba Nahin Pasake ga.” (Sunan an-Nasa’i: 10790)

👉🏻 Tik Tok Ki Jis Rangeen Dunya Mein Aap 24 Ghante Madhosh Hai Janab, Zara Khayal Rakhna Us Madhoshi Ki Shikaar Aap Ki Bahen To Nahin 👈🏻

✦......♥ Bhale Naraz Ho Jaye Lekin Badguman Nahin ♥......✦

●◗► Badgumani Us Taiz Aandhi ki Tarah Hoti hai Jo Sab Kuch Apni Lipait Mein Le Leti hai, Dekhne Wali Sab Aankhon Mein Mitti Daal deti Hai to Phir Ham Kuch dekhne ke Qabil Nahin Rahte, Bura Gumaan to kisi Ghair Ke Liye Bhi Nahin Rakhna Chahiye Aur Jahan Baat Kisi Bahot Apne Pyare Ki Aajaye to Bhale Us Se Kuch Waqt Ke Liye Naraz Ho Jayen Magar Badguman Nahin.

💖 Hukumat To Wo Hai Jo Dilon Par Ki Jaye Aur Dilon Par Hukumat Acche Akhlaq Wale Hi Kar Sakte Hain 💖

✦..........♥ Har Shar Se Hifazat Ka Dum! ♥..........✦

Narrated AbuSalih Zakwan as-Samman: A man from Aslam tribe said: I was sitting with the Messenger of Allah (ﷺ). A man from among his Companions came and said: Messenger of Allah (ﷺ)! I have been stung last night, and I could not sleep till morning. He (ﷺ) asked: What was that? He replied: A scorpion. He (ﷺ) said: Oh, had you said in the evening:

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ

"I take refuge in the perfect words of Allah from the evil of what He created," nothing would have harmed you, Allah willing.

[Sunan Abi Dawud :: Book 28 :: Hadith 3889, 3898]

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Nabi Akram  ﷺ ki Khidmat Mein Aik Martaba Aap ke Sahaba Mein se Aik Shaks Tashreef laye aur Arz kiya ke Ya RasoolAllah ﷺ! Aaj Raat Mujhe Dus liya Gaya Jis ki Waja se Main Subah Tak so Nahin saka, Huzoor ﷺ ne Pucha ke kis Cheez ne Dasa? Wo Sahabi Farmane Lage ke Bicchu ne Dasa, Huzoor ﷺ ne Farmaya ke Agar Tum Sham ke Waqt ye Kalimat:

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ

Tarjuma: “Main Allah ke Tamam Kailmat ki Panah Mangta hun Us Cheez ke Shar se Jo Us Ne Paida ki.” Padh Lete to Allah ke Hukum se Tumhen kuch Nuqsan na Pahochta.”

[Urdu Ref :: Sunan Abi Dawood :: Vol. 3 :: Hadtih 500, 3898]

💐 Allah Har Ladki Ko Izzat Wala Sasural Aur Mohabbat Karne Wala Khawind Ata Kare. آمین 💐

✦..........► Dosti Aur Itemad Ke Qabil! ◄..........✦

Allah's Messenger (ﷺ) saying: "People are just like camels, out of one hundred, one can hardly find a single camel suitable to ride."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 8 :: Book 76 :: Hadith 505, 6498]

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Logon ki Misaal Un 100 Oonton ki si Hai Jin Mein se Aik Oont bhi Tum Sawari ke Qabil Na Pao.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 6498]

●◗► Sawari ke Qabil Wahi Oont hota hai Jis mein Narm Mizaji ho, Jo Aasani se Sir Jhuka leta ho, Jahan bithao Baith jaye Aur Jab uthao Uth jaye, Lekin 100 Oonton mein se Aik Oont bhi Bamushkil in Sifaat se Aarasta aur Sawari ke Qabil hota hai, isi Tarah Log bhi Shakal o Surat aur Guftagu mein Bazahir Acche Maloom Hote Hain, Magar in mein Ita’at Guzar, Narm khu, Dosti ke Qabil aur Qabil Bharosa Aik Bhi Nahin hota… Lehaza Ba Kamaal Aur Qabile Bharosa Logon ki Qadar Karen!

☘ Aahista Aahista Insan Dusron Ko Qayel Karna Chhod Deta Hai Use Samajh Aajati Hai Ke Kis Ki Kitni Parwaah Karni Hai, Aur Kis Se Kitni Ummid Rakhni Hai, Aur Kis Se Kitna Fasla Rakhna Hai, Zindagi Sab Sikha Deti Hai ☘

✦........► Maahe SAFAR Hargiz Manhoos Nahin! ◄........✦

Maahe Safar Islami Qamri Calendar ka dusra mahina hai, is Mahine mein shari’at Mutahhara ne na to koi khaas Ibadat Muqarrar ki hai aur na hi is Mahine ke bare mein koi khaas toham Parasti ki taleem di hai, Magar Bad’qismati se kuch Logon ka khayal hai ke (Na’uzubillah) ye Mahina badbakht aur Manhoos hai, isi wajah se is Mahine mein Shadi Biyah o digar khushi ki Taqribaat ke In’eqad se ijtenab kiya jata hai.

Ye khayal Bilkul be Bunyad hai aur ye Darasal usi Toham Parasti ka Tasalsul hai jo Islam se Qabl Arab mein aam thi, RasoolAllah (ﷺ)  ne Toham parasti par mabni aise Tamam Aqayed ko yaksar khatam farma diya, Bilkhusus Maahe safar ke bare mein to Allah ke Rasool (ﷺ)  ne wazeh tor par Irshad Farma diya: La Safar yani "Safar ke Mahine ko Manhoos Samajhne ki koi Haqiqat Nahin." (Sahih Bukhari: 5757)

 Is wazeh Irshade Nabwi ke bawajood bhi Aaj kal logon ki aik badi Ta’dad is mahine ko Manhoos samajhti hai Balke is mahine ke hawale se Ajeeb o Gareeb chizen hamare Mua’shre mein Mashhoor hain. Maslan:

❶ Is ke ibtedayi 13 din Manhoos aur "Tera Tezi" kehlate hain.
❷ Is Mahine ki Nahusat se bachne ke liye zyadah se zyadah Murawwaja Quran khuani ka Ehtemam kiya jata hai.
❸ Sirf isi Mahine mein Jinnat se hifazat ke Aamal kiye jate hain.
❹ Is Mahine ki Nahusat se bachne ke liye Ghar se door daraz nikalne aur safar karne se ijtenab barta jata hai.
❺ Is Mahine ko Aurton ke bajaye Mardon par zyada bhari Tasawwur kiya jata hai.
❻ Is mahine ki Aakhri budh ko khushi Manayi jati hai aur Mithayi taqseem ki jati hai. Wagerah.

●◗► Islam mein bad’shuguni aur Nahusat ka koi Tasawwur nahin, Islam Mein agar koi Nahusat o Bad’shuguni ki cheez hai to wo insan ki apni Bad’Aamaliyan, Fusq o Fujoor, Naach gana, Fahashi o Uryani aur Allah ki khullam khulla Nafarmaniyan hain jo ghar ghar mein ho rahi hain, Agar ham waqeyi Nahusat se bachna Chahte hain to Lanat o phatkar aur Qaher khudawandi ko Dawat dene wale kamo se bachen.

✦.....►Zindagi Khatam Ho Jayegi Zimmedariyan Nahin ◄.....✦

●◗► Aik Faqeer Darya ke Kinare baitha Tha, Kisi ne Pucha Baba kya kar Rahe ho? Faqeer Ne kaha Intezar kar Raha hun ki Mukammal Darya Beh jaye Phir Paar karun, Us Aadmi ne Kaha kaisi Baat karte ho Baba, Mukammal Pani Behne ke Intezar Mein to Tum Kabhi Darya Paar Nahi kar Paoge, Faqeer ne Kaha Yahi to Main Tum Logon ko Samjhana Chahta hun ki Tum Log jo Hamesha ye Kehte Rahte ho ki Aik baar Ghar ki Zimmedariyan Puri ho Jaye to Phir Namaz Padhunga, Dadhi Rakhunga, Hajj karunga, Khidmat Karunga…Jaise Darya ka Pani Khatam Nahin hoga Hamen is Paani se hi Paar Jane ka Raasta Banana hai Isi Tarah ◈➲ Zindagi Khatam Ho Jayegi Par Zindagi ke Kaam Aur Zimmedari Kabhi Khatam Nahin Hon Ge.

♥︎ Pareshan Mat Hua Karo, Jab Dil Ghabraye Kisi Baat Se To Quran Padh Liya Karo ♥︎

✦......► Qarz Aur Dushmanon Se Hifazat Ki Dua! ◄......✦

It was Narrated from 'Abdullah bin 'Amr bin Al-'As that: The Messenger of Allah (ﷺ)  used to say these words in his supplication:

‏ "‏ اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ غَلَبَةِ الدَّيْنِ وَغَلَبَةِ الْعَدُوِّ وَشَمَاتَةِ الأَعْدَاءِ ‏"
"Allahumma inni a'udhu bika min ghalabatid-dain, wa ghalabatil-'aduwwi, wa shamatatil-a'da'.

(O Allah, I seek refuge with You from being overwhelmed with debt, from being overpowered by the enemy and from the enemy rejoicing over my misfortunes.)'"

[Sunan an-Nasa'i ::  Vol. 6 :: Book 50 :: Hadith 5477, 5475]

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Amr RadiyAllahu Anhuma Farmate Hain ke RasoolAllah (ﷺ) in Kalimat ke Sath Dua Manga karte the:

‏ "‏ اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ غَلَبَةِ الدَّيْنِ وَغَلَبَةِ الْعَدُوِّ وَشَمَاتَةِ الأَعْدَاءِ ‏"
"Allahumma inni a'udhu bika min ghalabatid-dain, wa ghalabatil-'aduwwi, wa shamatatil-a'da'. 

“Aye Allah! Main Aap ki Panah Chahta hun Qarz ke Bojh Se, Dushman ke Ghalbe Se Aur Dushmanon Ke (Mujh Par) Hansne se.”

[Urdu Ref :: Sunan an-Nasa'i ::  Vol. 3 :: Hadith 1776, 5475]

❤️ Mohabbat Ke Teen Anasir Bahot Ahmiyat Rakhte Hain...►Ruthna, Manana, Aur Maan Jana Aur Ye Teesra Sab Se Ahem Hai ❤️

✦...♥10 Minute Mein Jism Ke 360 Jodon Ka Sadaqah! ♥...✦

Abu Dharr reported Allah's Apostle (ﷺ) as saying: In the morning charity is due from every bone in the body of every one of you. Every utterance of Allah's glorification is an act of charity. Every utterance of praise of Him is an act of charity, every utterance of profession of His Oneness is an act of charity, every utterance of profession of His Greatness is an act of charity, enjoining good is an act of charity, forbidding what is distreputable is an act of charity, and two rak'ahs which one prays in the forenoon will suffice.

[Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 1557, 720]

Urdu Translation: Nabi Akram (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Tum mein se har Aik ke har Azu Par Subah ke Waqt Sadaqah Lazim hota hai, Aur har Tasbeeh (SubhanAllah) Sadaqah hai, Tahleel (La ilaha illAllah) bhi Sadaqah hai, Takbeer (Allahu Akbar) bhi Sadaqah hai, Tahmeed (Alhamdulillah) bhi Sadaqah hai, Acchi Baat ka Hukum Karna Sadaqah hai Aur Buri Baat se Rokna bhi Sadaqah hai Aur in Sab ki Kifayat Wo 2 Rakaten kar Deti hain jo Tum mein se koi Shaks Chasht ke Waqt Padhta hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 2 :: Hadith 1671, 1704]

●◗► Chasht ka Waqt Tulue Aftab ke Baad Suraj ke Khoob Acchi Tarah Roshan Aur Dhoop Ke Tez ho Jane se Shuru ho Kar Zawal se Pehle tak Rehta hai, Kitna Aasan Nuskha hai ke sirf 10 Minute mein Chahst ki 2 Rakaten Padh Kar Insan Apne Jism ke 360 Jodon ka Sadaqah aur Shukrana Ada kar Sakta hai.

No comments:

Post a Comment