Pages

Friday, 4 January 2019


 .........♥ Naik Aamal Ke 5 Asraat! ♥.........

Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu Farmate Hain:

Naik Aml Ki Wajah Se:

♥ Chehrah Par Raunaq Aati Hai
♥ Dil Mein Noor Paida Hota Hai
♥ Badan Mein Taqat o Quwwat Aati Hai
♥ Rizq Mein Kushadgi Hoti Hai
♥ Makhlooq Ke Dilon Mein Mohabbat Paida Ho Jati Hai. (Jawab al kafi lil ibn Qayyim)

.......♥ Bacchon Par Nazre Bad Se Hifazat Ka Dum Karen! ♥.......

Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati hain ke (Aik Martaba) RasoolAllah () Tashreef laye aur Aik Bacche ke Rone ki Aawaz suni to Irshad Farmaya:
“Tumhare is Bacche ko Kya hua Ke Ye Ro Raha hai? Tum logon Ne is Bacche Par Nazre Bad Se Hifazat Ka Dum Kyun Nahin Kiya?.” (Musnad Ahmad: 24486)

●═══════════════◄►══════════════●

Nazre Bad se Hifazat ke liye Bacchon Par Subah o Sham Ye Masnoon Kalimat Padh kar Dum Karen:

اُعِيذُكَ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ، مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ، وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لَامَّةٍ
U'idhuka bikalimatillahi-Tammati,min kulli shaitanin wa hammatin, Wa minkulli'ainin lammah

Tarjuma: Main Tumhen Allah Ta’ala ke Kalimat Tama ki Panah mein Deta hun, Har Shaitan aur Zahrili bala ke Dar se Aur Nazre bad ke Shar se. (Sahih Bukhari: 3371)


عن عائشة قالت دخل النبي صلى الله عليه و سلم فسمع صوت صبي يبكي فقال ما لصبيكم هذا يبكي فهلا استرقيتم له من العين (مسند أحمد :24486 حديث حسن)



.......♥ Tarbiyate Aulad Ka Bunyadi Usool ♥.......

Tum Apne Bacchon Ko Allah Ta’ala Ke Huqooq Ada Karna Sikhao Allah Ta'ala Khud Hi Tumhare Bacchon Ko Waldain Ke Huquq Ada Karna Sikhaden Ge.


(Latayefe Quraniya, Surah Luqman, Aayat:14)


............► Kis Baat Ki Khushi ◄............

● Hamari Zindagi ka Aik Saal Kum Ho Gaya.
● Ham Apni Maut Aur Aakhirat ke Mazeed Qareeb Ho Gaye.
● 2018 Mein Ham Allah Ta’ala ki Nafarmani aur Gunahon Mein Lage Rahe.
● 2018 Mein Sham, Burma, Philistine Aur Kashmir Mein Hazaaron Mard, Aurten, Aur Bacche Shaheed Aur Be Ghar Kar Diye Gaye.  Phir Khushi Kis Baat Ki?


► Hamen To Allah Ta’ala Ke Samne Gidgida Kar Tauba o Astaghfar Karna Chahiye.

Allah's Messenger (ﷺ) said: "The hour shall not be established until time is constricted, and the year is like a month, a month is like the week, and the week is like the day, and the day is like the hour, and the hour is like the flare of the fire."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2332]

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: "Qayamat us Waqt tak Qayem Nahin Hogi Jab tak Zamana Aapas Mein Bahot Qareeb na Ho Jaye (Yani Shab o Roz ki Gardish Bahot Taiz Na Ho Jaye), Chunanche Saal Mahine ke Barabar, Mahina Hafte ke Barabar, Hafta Dinon ke Barabar Aur Din Ghante ke Barabar Ho Jayega, Aur Ghante ka Dauraniya Itna hi Reh Jayega ke Jitni dair Mein Aag ka Sho’al Aikdum Bhadak kar Bujh jata Hai."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 213]


⇨ "And those who do not witness falsehood, and if they pass by some evil play or evil talk, they pass by it with dignity." (Qur’an 25:72)

.......♥ Maal Mein Izafa Aur Barkat Ke Asbab ♥.......

Zakat Ki Adayegi
Sadqa Ka Mamool
Astaghfar Ki Kasrat
Waldain Se Husn Sulook
Rishtedaron Se Accha Sulook
Allah Par Etemad

Halal Tariqe Se Kamana.

..........♥ Jumah Ka Mubarak Din Masnun Aamal ♥..........

Miswak Karna
Ghusul Karna
Umdah Kapde Zeb Tan Karna
Tail Aur Khushbu Waghera Lagana
Namaze Juma Ke Liye Paidal Jana
Masjid Jaldi Pahochna
Imam Ke Qareeb Baithna Aur Khutba Ghor Se Sunna
Surah Kahf Ki Tilawat Karna
Kasrat Se Durood Shareef Padhna

Duao Ka Ehtemam Karna (Bilkhusoos Ghuroob Se Kuch Dair Qabl, Qubuliyate Dua Dua Ki Ghadi Hai).


✦.......► Sone Se Qabl Aag Zaroor Bujhaden! ◄.......✦

Narrated Abu Musa RadiyAllahu Anhu: One night a house in Medina was burnt with its occupants. The Prophet (ﷺ) spoke about them, saying, "This fire is indeed your enemy, so whenever you go to bed, put it out to protect yourselves." (Sahih al-Bukhari: 6294)

Urdu Translation: Hazrat Abu Musa RadiyAllahu Anhu Se Riwayat hai Ke Madinah Munawwarah Mein Aik Ghar Raat ke Waqt Jal Gaya, RasoolAllah      Ko is Ke Mutalliq Bataya Gaya to Aap  (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Aag Tumhari Dushman Hai, Is Liye Jab Sone Lago To Use Bujha Diya Karo.” (Sahih Bukhari: 6294)


.......► Tilawate Quran Ke Mawaqe Ko Ghaneemat Janen! ◄.......

►Jail aur Qaid Khane Mein Maujood Qaidi Chahta Hai Ke Use Quran Majeed ka Nuskha Mil Jaye Ta ke Wo Tilawat Kar ke Apni Tanhayi aur Wahshat Door kar Sake.

►Hospital Mein Pada Mareez khuahesh Karta hai ke Use Quran Majeed Padhne ki Taqat Mil Jaye Ta ke Wo Tilawat Kar ke Apne Marz ki Takleef Mein Kami Aur Tashaffi Mahoos Kar Sake.

►Faut Shudah Shaks Ye Khuahesh karta Hai ke Use Tilawat Karne ka Dubarah Moqa Mile Ta Ke Wo Tilawat kar Ke Apne Darjat Buland Karwa Sake.

Aur Ham Tandurust o Tawana Aur  Zindah Logon Ka Haal Kya Hai?



Aaj Quran Majeed ki Tilawat Hamari Dastaras (Qudrat) Aur Isteta’at Mein hai, Lekin Tilawat Kiye Baghair Hafte Aur Mahine Guzar Jate Hain, Kya Ham is Baat ke Muntazir Hain ke Quran Majeed ko Padhne Ki Khuahesh Us Waqt Karen Jab Wo Hamari Dastaras Mein hi Na ho?


💖 Miyan Biwi Har Dukh Dard Mein Aik Dusre Ke Sathi Hote Hain Allah Paak Har Miyan Biwi Ke Pyar Ko Hamesha Salamat Rakhe..!! آمین یا رب العالمین 💖

💐 Khuloos Aur Acchayi Sirf Alfaz Mein Nahin Apni Niyyat Aur Fitrat Mein Bhi Paida Karen Ta Ke Aap Logon Ke Aaib Nahin Un Ki Khubiyan Dekh Payen 💐

.........► Logon Mein Mahboob Shaks ◄.........

Tawaze Se Rehne Wala
Acche Kamo ko Pasand Karne Wala
Har Baat Mein Sach Kehne Wala
Har Aik Se Khush Rehne Wala
Hamdardi Karne Wala
Madad Mein Jaldi Karne Wala
Narm Guftagu Karne Wala
Muskurakar Milne Wala
Baat Tawajje Se Sunne Wala
Behad Mohabbat Karne Wala
Tana Zani Se Bachne Wala
Badon Ka Adab Karne Wala
Choton Par Shafqat Karne Wala
Majlis Mein Badayi Jatane Se Parhez Karne Wala

Apne Dili Ehsasat Ka Izhaar Karne Wala.


✦..........♥ Allah Ta’ala Ke 4 Wade ♥..........✦

❶ Wo Iman Jis Mein Lazzat Ho
❷ Wo Aankh Jis Mein Haya Ho
❸ Wo Sina Jis Mein Quran Ho
❹ Wo Dil Jis Mein Allah Ka Dar Ho
❺ Jannat Mein Wo Makan
❻ Jo Aap ﷺ Ke Pados Mein Ho
❼ Wo Zindagi Jis Mein Islam Ho
❽ Wo Qabr Jis Mein Sukoon Ho.


.......► Ibadat Mein Lazzat Kyun Nahin ◄.......

► Jis Tarah Bimar Hone Ki Surat Mein
► Khane Ki Lazzat Mahsus Nahin Hoti
► Is Tarah Gunahon Ki Maujudgi Mein

► Ibadat Ki Lazzat Mahsus Nahin Hoti.


.......♥ Allah Ta’ala Ke 4 Wade ♥.......

❶ Shukr : “Agar Tum Shukr Karoge To Main Zyadah Ata Karunga.”
❷ Zikr : Mera Zikr Karo, Main Tumhen Yaad Karunga.”
❸ Dua : Mujh Se Dua Mango, Main Qubool Karunga.”

❹ Astaghfar : Agar Wo Astaghfar Karte Rehte To Allah Ta’ala Un Ko Azab Na Deta.”


💐 Acche To Sabhi Hote Hain Bus Pehchan Bure Waqt Mein Hoti Hai 💐

.........► Sharmindagi Se Bachne Ki Mohlat ◄.........

Imam Ahmad Bin Hanbal Rahimahullah Ka Qeemti Farman:

Dunya Aml Ka Ghar Hai
Aur Aakhirat Badle Ka Ghar
Jo Yahan Aml Nahin Karega

Wo Wahan Nadamat Uthayega. (Az-Zohd Al-Imam Baihiqi:282)

No comments:

Post a Comment