Pages

Monday, 9 September 2019

✦.....✿.....♥ Ashurah 10 Muharram ka Rozah ♥.....✿.....✦

The Prophet (ﷺ) said: "Fast the Day of Ashura, for indeed I anticipate that Allah will forgive (the sins of) the year before it."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 3 :: Hadith 752]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Mujhe Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ki Zaat Par Yaqeen Hai Ke Wo Ashura (10 Muharram ul-Haram) Ke Roze Ke Badle Guzishta Aik Saal Ke Gunah Muaaf Farmaden Ge."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 730]


✦......♥ Ashura Ke Roze Ka Ehtemam! ♥......✦

Narrated Ibn `Abbas RadiyAllahu Anhu: I never saw the Prophet (ﷺ) seeking to fast on a day more (preferable to him) than this day, the day of 'Ashura', or this month, i.e. the month of Ramadan.

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 224, 2006]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Anhuma Farmate Hain Ke Main Ne Nahin Dekha Ke RasoolAllah ﷺ Dinon Mein Se Daswen Muharram (Yaume Ashura) Aur Mahinon Mein Se Maahe Ramadan Ke Rozon Ke Siwa Kisi Aur Din Ke Roze Ka Khaas Tor Par Ehtemam Farmate Hon.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 2006]


✦...♥ Jahannam Par Haram Aur Jahannam Us Par Haram ♥...✦

'Abdullah bin Mas'ud RadiyAllahu Anhu narrated that the Messenger of Allah (ﷺ) said: "Shall I not inform you of whom the Fire is unlawful and he is unlawful for the Fire? Every person who is near (to people), amicable, and easy (to deal with).'"

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 11 :: Hadith 2488]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah Bin Mas’ud RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Kya Main Tumhen Wo Shaks Na Batau Jo Jahannam Ki Aag Par Haram Hai Aur Jahannam Ki Aag Us Par Haram Hai? (Phir Khud Irshad Farmaya): Ye Wo Aadmi Hai Jo Narm Mizaaj, Narm Tabi’at Aur Khush Akhlaq Ho."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 377]



✦....✔ Muharram ul Haram Aur Ashurah Ke Hawale Se ✔....✦
✦...✿.....✔ Sangeen Ghalat Fehmi Ka Izalah ✔.....✿…✦

●◗► Waqiah KARBALA Islami Tareekh Ka Ahem Tareen Saneha Hai Jis Mein Nawasay Rasool, Jigar Goshay Butool, Naujawanane Jannat Ke Sardar Sayyidna Hazrat Husain RadiyAllahu Anhu Ki Mazlumana Shahadat Hui, Chunke Ye Waqia 10 Muharram ul-Haram Yaume Ashura Ke Din Wuqu Pazeer Hua Tha Is Liye Log Is Ghalat Fehmi Mein Mubtela Ho Gaye Ke Maahe Muharram ul-Haram Yaume Ashura Sirf Isi Liye Muqaddas o Ba Barkat Hai Ke Is Mein Waqia KARBALA Pesh Aaya. Haqiqat Ye Hai Ke KARBALA Ka Dil Kharash Saneha To San 61/Hijri Mein Pesh Aaya Jab Ke…!! 

✔ Maahe Muharram ul-Haram Kainaat Ki Takhleeq Ke Din Se Sabeqa Shari’aton Mein Muqaddas o Ba Barkat Chala Aaraha Hai. (Al-Quran, Surah At-Tawbah:36)
 
✔ Ashura (10 Muharram) Ke Din Hi Hazrat Musa Alaihis Salam Aur Bani’Israel Ka Firaun Aur Us Ke Lashkar Se Muqabla Hua Tha Aur Allah Ne Firaun Ko Gharq Aur Bani Israel Ko Najat Ata Farmayi, Jis Ki Wajah Se Yaume Ashura Musa Alaihis Salam Ki Shari’at Mein Aur Yahudiyon Ke Nazdeek Bhi Muqaddas o Ba’barkat Tahra. (Sahih Bukhari:2004)

✔ Ibteda Islam Mein Jab Tak Ramadan Ke Roze Farz Nahin Hue The, Ashura Ka Rozah Rakhna Musalmanon Par Farz Qarar Diya Gaya Tha. (Sahih Bukhari, Muslim)

✔ Huzoor ﷺ Ke Ahde Mubarak Mein Bhi Ashura Muqaddas Samjha Jata Tha. (Ahadeese Sahiha)

✔ Huzoore Aqdas  ﷺNe Yaume Ashura Ke Roze Ko Sunnat Aur Guzishta Saal Ke Gunahon Ki Maghfirat Ka Zariya Qarar Diya. (Sahih Muslim) 

•••••► Lehaza! Muharram ul-Haram Aur Ashura Ki Fazeelat Ko Sirf Waqia KARBALA Se Jodna, Ise Sog Ka Mahina Samajhna, Is Mein Siyah (Black) Libas Pahenna Aur Shadi Biyah o Digar Khushi Ki Taqribat Se Bachna Durust Nahin, Ashura Ka Din Waqia Karbala Ki Wajah Se Muqaddas Nahin Balke Ye Syyidna Hazrat Husain (RadiyAllahu Anhu) Aur Un Ke Sathiyon Ke Liye Sharf o Fazilat Ka Moqam Hai Ke Allah Ne Un Pakizah Nufoos Ko Aise Din Shahadat Ka Martaba Ata Farmaya Jo Roze Awwal Se Muqaddas o Mohtaram Chala Aaraha Hai.



✦......► Yaume Ashura Firaun Se Najat Ka Din ◄......✦

The Prophet (ﷺ) came to Medina and saw the Jews fasting on the day of Ashura. He asked them about that. They replied, "This is a good day, the day on which Allah rescued Bani Israel from their enemy. So, Moses fasted this day." The Prophet (ﷺ) said, "We have more claim over Moses than you." So, the Prophet fasted on that day and ordered (the Muslims) to fast (on that day).

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Jab Madinah Munawwarah Tashreef  Laye To Aap  ﷺNe Yahudiyon Ko Dekha Ke Wo Ashura (10 Muharram) Ka Rozah Rakhte Hain, Aap ﷺ  Ne Un se Is Ka Sabab Daryaft Farmaya To Unhon Ne Bataya: “Ye Aik Ba Barkat Din Hai, Is Din Allah Ta’ala Ne Bani Israel Ko Un Ke Dushman (Firaun) Se Najat Dilayi Thi, Is Liye Musa Alaihis Salam Ne Is Din Rozah Rakha Tha.” Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Ham Musa Alaihis Salam Ke (Is Aml Ko Ekhtiyar Karne Mein) Tum Se Zyadah Haqdar Hain, Chunanche Aap ﷺ Ne Is Din Rozah Rakha Aur Sahaba RadiyAllahu Anhum Ko Bhi Is Ka Hukum Diya.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 222, 2004]



✦.....♥ 9 aur 10 Muharramul Haram Ka Rozah ♥.....✦

Jab RasoolAllah ﷺ ne Yaume Ashura ka Rozah Rakha aur Musalmanon ko bhi is ka Hukum diya to Sahaba ne Arz kiya ke Ya RasoolAllah! Yahood o Nasara bhi is Din ki Bahot Tazeem karte Hain, Aap ﷺ ne Irshad Farmaya: Jab Agla saal Aayega to ham (Yahood o Nasara ki Mushabihat se Bachne ke Liye) In'sha'Allah Nawe (9) Tareekh ka Rozah bhi Rakhenge, Hazrat Ibn Abbas Farmate Hain ke Agla saal Aane se Pehle hi RasoolAllah ﷺ Dunya se Tashreef le Gaye. [Sahih Muslim: 2722, 2666]

●◗► Note: Yaume Ashura ke Roze ke sath 9 ya 11 Tareekh ka Rozah Rakhna Afzal aur Behtar hai, Lekin Agr kisi ne Sirf Ashura ka Rozah Rakha to bhi Harj Ki Baat Nahin, Neez Hadise Baala se ye bhi Pata Chala ke Musalmano ko Har Moqe par Yahood o Nasara ki Mushabihat se Bachna Chahiye.

●════════════════◄►═══════════════●

Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu reported that when the Messenger of Allah (ﷺ) fasted on the day of 'Ashura and commanded that it should he observed as a fast, they (his Companions) said to him: Messenger of Allah, it is a day which the Jews and Christians hold in high esteem. Thereupon the Messenger of Allah (ﷺ) said: When the next year comes, God willing, we would observe fast on the 9th But the Messenger of Allah (ﷺ) died before the advent of the next year."

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2528, 1134]



✦......► Ashura Ke Roze Ka Tarikhi Pase Manzar! ◄......✦

Abdullah b. 'Umar (Allah be pleased with them) reported that (the Arabs of) pre-Islamic days used to observe fast on the day of Ashura and the Messenger of Allah (ﷺ) observed it and the Muslims too (observed it) before fasting in Ramadan became obligatory. But when it became obligatory, the Messenger of Allah (ﷺ) said: 'Ashura is one of the days of Allah, so he who wished should observe fast and he who wished otherwise should abandon it.

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2504, 1126]

Urdu Translation: Sayyidna Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Anhuma Ne Farmaya Ke Zamana Jahiliyat Mein Log Ashura (10 Muharram) Ko Rozah Rakhte The Aur RasoolAllah ﷺ Ne Bhi Is Din Rozah Rakha Aur Musalman Bhi Ramadan Ke Roze Farz Hone Se Pehle Ashura Ka Rozah Rakhte The Phir Jab Ramadan Ke Roze Farz Hue To Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Ashura, Allah Ta’ala Ke Dinon Mein Se Aik Din Hai Jo Chahe Is Mein Rozah Rakhe Aur Jo Chahe Chhod De.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 2642, 2698]


✦......♥ Hasan o Husain Ke Chahne Wale ♥......✦
✦......✿.....♥ ALLAH KE MAHBOOB ♥…..✿......✦

Allah's Messenger (ﷺ) said: "These are my two sons (Hasan and Husain [peace be upon them]), and the sons of my daughter. O Allah! Indeed, I love them, so love them, and love those who love them."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 46 :: Hadith 3769]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Hasan Aur Husain (RadiyAllahu Anhuma) Mere Bete Aur Meri Beti (Fatimah RadiyAllahu Anha) Ke Bete Hain, Aye Allah! Main In Donon Se Mohabbat Karta Hun Tu Bhi In Donon Se Mohabbat Farma Aur In Donon Se Mohabbat Karne Walon Se Bhi Mohabbat Farma."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1702]


✦.......... ♥ Naye Islami Saal ki Dua ♥..........✦

Abdullah bin Hisham RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Sahaba Karam RadiyAllahu Anhum Ajmayeen Naye Saal ya Maheene ki Aamad Pe Ye Dua Sikhate the:

اللَّهُمَّ أَدْخِلْهُ عَلَيْنَا بِالأَمْنِ ، وَالإِيمَانِ ، وَالسَّلامَةِ ، وَالإِسْلامِ ، وَرِضْوَانٍ مِنَ الرَّحْمَنِ ، وَجَوَازٍ مِنَ الشَّيْطَانِ

“Aye Allah! Amn, Iman, Salamati, Islam, Rahman ki Raza Mandi Aur Shaitan se Bachao ke Sath is Saal / Maheena ko Ham Pe Dakhil Farma.” (Aameen)

[Al-Mu’jamul Awsat Al-Tabarani :: 6241]

●═══════════════◄►═══════════════●

Narrated by Abdullah ibn Hisham RadiyAllahu Anhu, when there is new year or new month would begin , the Sahaba (companion) of the RasoolAllah ﷺ would learn the following dua:

اللَّهُمَّ أَدْخِلْهُ عَلَيْنَا بِالأَمْنِ ، وَالإِيمَانِ ، وَالسَّلامَةِ ، وَالإِسْلامِ ، وَرِضْوَانٍ مِنَ الرَّحْمَنِ ، وَجَوَازٍ مِنَ الشَّيْطَانِ

Allahumma Adkhilhu Alaina bil Amni wal iman, Was salamati wal islam, Wa ridwanim minar Rahman, wa Jawazim minash shaitan

O Allah, bring this (month or year) upon us with security and iman, and with safety and Islam, and with the pleasure of Rahman and Protection from shaitan.

[Al Muajam Al Awsat At-Tabrani :: 6410]


💞 Shohar Ki Taraf Se Tawajje Aur Mohabbat Ka Milna Har Biwi Ke Chehre Ki Ronaq Ka Password Hota Hai 💞


Ameeri Dil Ki Ho To Log Cycle Par Bhi Khushi Manate Hain, Nahin To Ham Ne Car Mein Bhi Logon Ko Rote Dekha Hai.


●◗► Khoobsurat Muqamat Dekhne Ka Shoq Hai To Kasrat Se Naik Aa’mal Ki Jiye Kyun Ke Jannat Hamari Soch Se Bhi Badh Kar Khoobsurat Hai.



✦......♥ Haji: Nomolood Ki Tarah Paak Saaf ♥......✦

The Prophet (ﷺ) said, "Whoever performs Hajj for Allah's pleasure and does not have sexual relations with his wife, and does not do evil or sins then he will return (after Hajj free from
all sins) as if he were born anew."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 26 :: Hadith 596, 1521]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Shaks Ne Mahez Allah Ki Khushnudi Ke Liye Hajj Kiya Aur is Dauran Koi Behudah Baat Ya Gunah Ka Kaam Nahin Kiya To Wo (Gunahon Se Paak Ho Kar) Aise Laot Ta Hai Jaise Apni Paidayesh Ke Din Gunahon Se Paak Saaf Tha.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 1521]



✦.........► Ghaflat Ki Halat Mein Sona! ◄.........✦

The Prophet (ﷺ) said: If anyone lies on his side where he does not remember Allah, deprivation will descend on him on the Day of Resurrection;

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks (Sone Ke Liye) Bistar Par Lete Aur Allah Ta’ala Ka Zikr Na Kare To Ye Us Ke Liye Qayamat Ke Din Hasrat o Nadamat Ka Ba’is Hoga.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 5041, 5059]


●◗► Kuch Log Aap Ke Wafadaar Nahin Hote, Balke Aap Se Wabasta Apni Zarurat Ke Wafadar Hote Hain, Jaise Hi Un Ki Zarurat Puri Hoti Hai Wafadari Bhi Khatam Ho Jati Hai.


✦...........♥ Sir Mundhwa kar Bakhshe Bakhshaye ♥...........✦
✦...✿...♥ Wapas Aane Wale HUJJAJ- E-KARAM ♥...✿...✦

Allah's Messenger (ﷺ) said, "O Allah! Forgive those who get their heads shaved."

The people asked. "Also those who get their hair cut short?" The Prophet (ﷺ) said, "O Allah! Forgive those who have their heads shaved."

The people said, "Also those who get their hair cut short?" The Prophet (invoke Allah for those who have their heads shaved and) at the third time said, "also (forgive) those who get their hair cut short."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 26 :: Hadith 786, 1728]

●══════════════════◄►═════════════════●

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ Ne (Manasike Hajj Ada Karne Walon Ke Liye) Dua Farmayi: "Aye Allah! Sir Mundhwane (Halq Karwane) Walon Ki Maghfirat Farmade."

Sahaba Karam RadiyAllahu Anhum Ne Arz Kiya: Aur Baal Katarwane Walon Ki? Aan Hazrat ﷺ (Dobarah Wahi) Dua Farmayi: "Aye Allah! Sir Mundhwane Walon Ki Maghfirat Farmade."

Sahaba Karam Ne Phir Arz Kiya: Aur Baal Katarwane Walon Ki? Aap ﷺ Ne 3 Martaba Pehli Wali Dua Hi Irshad Farmayi, Phir (Aakhir Mein) Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Aur Baal Katarwane Walon Ki Bhi Maghfirat Farmade."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 1728]


💓 Kitaben Padh Kar Malumat Milti Hai Aur Waldain Ki Sunkar Tarbiyat Hoti Hai 💓


✦...........♥ Watne Azeez INDIA se Mohabbat! ♥...........✦

●◗► Insan Jis khitte, Mulk, Shaher ya ilaqe mein Rehta hai us Jage se Unsiyat, Qalbi lagao aur Mohabbat o Ulfat ka Paida ho jana Aik Fitri Cheez hai, Diyanat aur Amanat ka Taqaza bhi yahi hai ke Insan Jahan rahe Wahan ki khair khuahi, Taraqqi aur Falah o Bahbood ki koshishon mein laga rahe.

✿ RasoolAllah (ﷺ) Jab Makkah Mukarramah se Hijrat Farma kar Nikle to sawari Par Sawar ho Kar Baar baar Piche mud kar dekhte aur Farmate: "(Aye Makkah!) Allah ki Qasam tu Allah Ta’ala ki behtareen aur Mahboob tareen Zameen hai, Agar mujhe Yaha se na Nikala jata to main Tujhe Chhor kar Na jata." [Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 2 :: Hadith 1265, 3108]

✿ Baad Aza Jab RasoolAllah (ﷺ) Hijrat Farma kar Madinah Tayyabah Pohnche aur Madinah Munawwarah ko Apna Mustaqil Watan bana liya to ye dua Mangi: "Aye Allah! Jis Tarah Makkah Mukarramah ki Mohabbat tu ne hamen ata ki thi isi Tarah Madinah Munawwarah ki Mohabbat bhi hamen ata Farma, Ya us se bhi Zyadah hamen Madinah ki Mohabbat Ata Farma, aur Yahan ki Aab o hawa sahet Baksh banade aur Hamare Sa’a aur Mud (Ghalla Naapne ke 2 Paimane) mein Barkat ata Farma aur Madinah ke Wabayi Bukhar ko Juhfa (Naami Muqam) mein Muntaqil karde." [Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 3342, 3480]

♥ Apne Mulk aur Watan se Mohabbat karen aur Apni Zaat se Mulk o Watan ko Faidah pohchane ki Koshish karen ♥

●══════════════════◄►═════════════════●

Abu Salamah bin ‘Abdur-Rahman bin ‘Awf narrated that ‘Abdullah bin ‘Adiy bin Hamra’ said to him: “I saw the Messenger of Allah (ﷺ) , when he was on his she-camel, standing in Al-Hazwarah* saying: ‘By Allah, you are the best land of Allah, and the dearest of the land of Allah to me. By Allah, had I not been expelled from you I would never have left.’” *A place in Makkah."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 4 :: Book 25 :: Hadith 3108]

'A'isha (Allah be pleased with her) reported: When we came to Medina, and it was an unhealthy, uncogenial place, Abu Bakr fell sick and Bilal also fell sick; and when Allah's Messenger (ﷺ)  saw the illness of his Companions he said: O Allah, make Medina as congenial to us as you made Mecca congenial or more than that; make it conducive to health, and bleesus in its sa' and in its mudd, and transfer its fever to al-juhfa."

[Sahih Muslim :: Book 7 :: Hadith 3178]


✦......♥ RasoolAllah ﷺ Ki Pasandidah Sabzi! ♥.......✦

Narrated Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu: A tailor invited Allah's Messenger (ﷺ) to a meal which he had prepared. I went along with Allah's Messenger (ﷺ) and saw him seeking to eat the pieces of gourd from the various sides of the dish. Since that day I have liked to eat gourd.

Urdu Translation: Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Anhu Riwayat Karte Hain Ke Aik Darzi Ne RasoolAllah ﷺ Ke Liye Khana Bana Kar Aap ﷺ Ki Dawat Ki, (Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate Hain) Main Bhi RasoolAllah ﷺ Ke Sath Chala Gaya Aur (Khane Ke Dauran) Main Ne Dekha Ke RasoolAllah ﷺ Bartan Mein Charon Taraf Kaddu Talash Farma Rahe The, Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Kehte Hain Ke Main Bhi Usi Din Se “Kaddu” Bahot Pasand Karne Laga.

[Sahih Bukhari  :: Vol. 7 :: Book 65 :: Hadith 291, 5379]



✦....♥ Qurbani Ka Gosht Istemal Karne Ki Muddat! ♥.....✦

Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati hain ke Aik Martaba Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu Hamare Yahan (taweel) Safar se Wapas Aaye, Ham ne Unhen Qurbani ka Gosht Pesh kiya to Unhon ne Farmaya ke Main Jab tak Nabi Akram se is ke Mutalliq khud na Puch lun, Ise Nahin Khaunga, Chunanche Unhon ne Aap se is ke Mutalliq pucha to Aap ne Irshad Farmaya: “Aik Dhul Hijjah se Dusre Dhul Hijjah tak Qurbani ka Gosht Kha Sakte ho. (Yani Pura Saal ise Istemal Mein Laya Ja Sakta hai).

[Musnad Ahmad bin Hanbal: 25259]

عن عائشة قدم علينا على من سفر فقدمنا إليه منه فقال لا آكله حتى أسأل عنه رسول الله صلى الله عليه و سلم قالت فسأله علي فقال رسول الله صلى الله عليه و سلم كلوه من ذي الحجة إلى ذي الحجة (مسند امام احمد بن حنبل : 25259 ،حدیث حسن)


💓 Subah Ka Salam Sirf Rasam Nahin Balke Ye Ehsaas Fikr Bhi Hai Taa Ke Rishte Salamat Rahen Aur Yaden Baqi Rahen السلام علیکم Allah Aap Ko Hamesha Khush Rakhe. Aameen 💓


✦.........► Mosam Barsat Ki Duayen ◄.........✦

❶ Barish Ke Aasaar Dekh Kar Ye Dua Padhen:

‏ "‏ اللَّهُمَّ صَيِّبًا نَافِعًا ‏"‏

Aye Allah! Is Barish Ko Faidah Mand Bana. (Sahih Bukhari:1032)

❷ Jab Zarurat Se Zyadah Barish Ho Jaye To Ye Dua Padhen:

"‏ اللَّهُمَّ حَوَالَيْنَا وَلاَ عَلَيْنَا، اللَّهُمَّ عَلَى الآكَامِ وَالْجِبَالِ وَالآجَامِ وَالظِّرَابِ وَالأَوْدِيَةِ وَمَنَابِتِ الشَّجَرِ ‏"‏‏.‏
Aye Allah! Hamare Ird Gird Barish Barsa Aur Ham Par Na Barsa, Aye Allah! Telon, Pahadon, Jangalaat, Unche Maidanon, Wadiyon Aur Darakhton Ki Jadon Mein Barish Barsa. (Sahih Bukhari:1013)



✦........✿ ......♥ Hajj Ke 5 Ayyam ♥......✿ ........✦
4 Aur 5 Din (11,12 Dhul Hijjah): (India Mein 10,11 Dhul Hijjah)

Hujjaj Karam Hajj Ke Chaothe Aur Panchwen Din Mina Mein Qiyam Kar Ke Tarteeb Waar Teenon Jamrat Ki Rami Karenge, Pehle Jamrah Ula (Chote Alamati Shaitan) Par Kankariyan Marenge, Phir Jamrah Wusta Par Aur Phir Jamrah Aqabah (Bade Alamati Shaitan) Par Kankariyan Marenge, Aur Agar Koi Haji 10 Dhul Hijjah (Hajj Ke Teesre Din) Qurbani, Halaq, Tawaf Ziyarat Aur Hajj Ki Sayi Na Kar Saka To Wo Hajj Ke Panchwen Din (12 Dhul Hijjah) Ke Ghuroob Aaftab Tak Kar Sakta Hai, Agar Haji 12 Dhul Hijjah Ko Ghuroob Aftab Ke Baad Mina Mein Taher Gaye Aur Subah Sadiq Wahin Ho Gayi To Agle Din 13 Dhul Hijjah Ki Rami Jamrat Bhi Wajib Ho Jayegi Aur Is Ke Sath Hi Hajj Ke Afaal o Manasik Mukammal Ho Jayenge Sirf Tawafe Wida Reh Jayega Jise Wapsi Se Qabl Kisi Bhi Waqt Karna Lazim Hoga. 

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Safar Hajj Ke Shuruaat Qubool Farmaye Aur Tamam Aazmeene  Hajj Ko Apne Hifz o Aman Mein Rakhe. (Aameen)



•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*
Abuzar Ki Janib Se Tamam Musalmanon Ko Eid Al-Adha Mubarak Ho
•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*

●◗► Aye Allah! Hamari Qurbani aur Hajje Baitullah Samait Tamam Ibadaat ko Apni Bargaah Mein Qubool Farma kar Hamen Deene Mateen Par Qurban Ho Jane ka "Jazba Ibrahimi" Ata Farmade. (Aameen)

تَقَبَّلَ اللّهُ مِنَّا وَ مِنْكُمْ

'Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' Allah paak Hamare aur Aap ke Naik Aa’maal Qubool Farmaye."

★•.•´¯`•.•★ ♥ A A M E E N ♥ ★•.•´¯`•.•★

اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد

●◗► "Allahu Akbar Allahu Akbar La ilaaha illallahu Wallahu Akbar, Allahu Akbar Walillahil Hamd!"


✦......♥ Eid ki Mubarak Baad Dene ka Tariqa ♥......✦

Hazrat Wathla RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main ne Eid ke din Nabi Kareem ﷺ se Mulaqat ki aur Main ne kaha: "Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' "Allah Ta’ala hamare aur aap ke Naik Aa’maal Qubool Farmaye."

Nabi Kareem ﷺ ne Irshad Farmaya: "Han Han zaroor! 'Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' Allah paak Hamare aur Aap ke Naik Aa’maal Qubool Farmaye."

[Sunan Al-Kubra Al-Bahaqi :: Hadith 6088]





✦.....► Qasayi Ko Khaal Ya Gosht Ujrat Mein Na Den ◄.....✦

'All (Allah be pleased with him) reperted: Allah's Messenger (ﷺ) put me in charge of his sacrificial animals, that I should give their flesh. skins and saddle cloths as sadaqa, but not to give anything to the butcher, saying: We would pay him ourselves.

[ Sahih Muslim :: Book 7 :: Hadith 3019, 1317]

Urdu Translation: Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke RasoolAllah ﷺ ne Mujhe Hukum diya ke Main Aap ﷺ ke Qurbani ke Oonton ki Nigrani karun aur (Qurbani ke Baad) un ke Gosht, Khaal aur Jhol (Kajawah, Janwar ka Kapda Wagherah sab) Sadaqah kardun aur in Cheezon mein se koi Cheez bhi Qasayi ko Ujrat mein Na dun, aur Phir Aap ﷺ ne Irshad Farmaya: “Ham Qasayi ko Apne Paas se Koi aur Cheez (Bator Ujrat) Dedenge.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 3180, 3241]


✦........✿ ......♥ Hajj Ke 5 Ayyam ♥......✿ ........✦
Teesra Din (10 Dhul Hijjah): (India Mein 9 Dhul Hijjah)

Aaj Manasik Hajj Ki Adayegi Ka Teesra Ahem Tareen Din Hai, Hujjaj Karam Muzdalifah Mein Namaz Fajr Awwal Waqt Mein Padhne Ke Baad Tulu Aftab Tak Wuqufe Muzdalifah Karenge Aur Zikr o Dua Aur Tasbihat Mein Mashghool Rahenge, Tulu Aaftab Ke Waqt Mina Ki Taraf Rawana Ho Jayenge Aur Muzdalifah Se Hi Apne Sath Taqriban 70 Kankariyan Bhi Le Lenge, Mina Pahonch Kar Jamrah Aqabah (Bade Alamati Shaitan) Par Kankariyan Marenge, Pehli Kankari Marte Hi Talbiya Padhna Band Kar Denge, Is Ke Baad Hajj Ki Qurbani Karenge Aur Phir Sir Mundhwa Kar Ya Baal Chote Karwa Kar Ehram Ki Beshtar Pabandiyon Se Aazad Ho Jayenge, Is Din Agar Moqa Muyyasar Aasaka To Hujjaj Karam Makkah Mukarramah Pahoch Kar Tawaf Ziyarat Aur Sayi Bhi Kar Lenge. 

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Safar Hajj Ke Shuruaat Qubool Farmaye Aur Tamam Aazmeene  Hajj Ko Apne Hifz o Aman Mein Rakhe. (Aameen)


✦..♥ Arafah Rehmat o Maghfirat ka Thathen Marta Samandar ♥..✦

'A'isha (Allah be pleased with her) reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: “There is no day when God sets free more servants from Hell than the Day of 'Arafah. He draws near, then praises them to the angels, saying: What do these want?.”

[Sahih Muslim :: Book 7 :: Hadith 3126, 1348]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Allah Subhanahu Wa Ta'ala Arafah Ke Din Jis Qadar Logon Ko Jahannam Se Aazad Farmate Hain itne Kisi Aur Din Aazad NahiN Farmate, Bila Shuba Allah Subhanahu Wa Ta'ala Is Din Apni Rehmat o Maghfirat Ke Sath Bandon Ke Intehayi Qareeb Ho Jate Hain Aur Phir Farishton Ke Samne (Hujjaj ikram) Par Fakhr Karte Hue Farmate Hain: "Mere Ye Bande Kya Chahte Hain?".

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 3288, 3354]


✦...♥ Baroz ITWAR 11-08-2019, Arafah Ka Rozah ♥...✦

The Prophet ﷺ said: "Fast the Day of Arafah, for indeed I anticipate that Allah will forgive (the sins) of the year after it, and the year before it."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2, Book 3 :: Hadith 749, 749]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Mujhe Allah Ta’ala Ki Zaat Par Pokhta Yaqeen Hai Ke Yaum Arafah (9 Dhul Hijjah) Ke Roze Ke Badle Guzishta Saal Aur Aayindah Saal Ke Gunah Muaaf Farma Dega.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol.1 :: Hadith 727, 749]

●◗► Tamaam Musalman Rozah Rakh kar Ummat Muslimah ke liye Khususi Duaon ka Ehtemaam Karen.


✦.........✔ TAKBEERATE TASHREEQ ✔.........✦

اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد

"Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu Arafah (9 Dhul Hijjah) Ke Din Namaz Fajr Se Ayyam Tashreeq Ke Aakhri Din (13 Dhul Hijjah) ki Namaz Asr Tak Takbeere Tashreeq Padhte The."

[Musannaf Ibn Abi Shaybah :: Hadith 5631]

●◗► 9 Dhul Hijjah Ki Fajr Se 13 Dhul Hijjah Ki Asr Tak Har Farz Namaz Ke Baad Ba Jama’at Ya Tanha Namaz Padhne Wale Mard Par Aik Martaba Buland Aawaz Se Aur Aurat Par Aik Martaba Aahista Aawaz Se Ye Takbeer Padhna Wajib Hai.


✦........✿ ......♥ Hajj Ke 5 Ayyam ♥......✿ ........✦
Dusra Din (9 Dhul Hijjah): (India Mein 8 Dhul Hijjah)

Aaj ka Din Ayyam Hajj Ka Sab Se Ahem Aur Masroof Tareen Din hai, Aaj Subah Talbiya Padhte Hue Hujjaj Karam Mina Se Arafat Ke Liye Rawana Ho Jayenge, Maidane Arafat Mein Zawal Ke Baad Hajj Ka Rukn Aazam “Wuqufe Arafah” Ada Karenge, is Dauran Zohar Aur Asr Ki Namazen ikatthi Ada Ki Jayengi, Namazon Ke Alawah Ghuroob Aaftab Tak Jitna Waqt Bachega, Hujjaj Karam Qibla Rukh Ho Kar Khoob Aahwazari Aur Duayen Mangenge Aur Ghuroob Aftab Ke Baad Talbiya Padhte Hue “Muzdalifah”  Ki Janib Rawana Ho Jayen, Muzdalifah Pahoch Kar Maghrib Aur Isha Ki Namazen Isha Ke Waqt Mein Ikatthi Ada Karenge Aur Aaj ki Raat Muzdalifah Mein Guzarenge, Muzdalifah Mein Namaze Fajr Awwal Waqt Mein Ada Kar Ke Qibla Rukh Ho Kar Duaon Aur Zikr o Azkar Mein Mashghool Ho Jayenge, is Aml Ko “Wuqoofe Muzdalifah” Kaha Jata Hai.

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Apni Mansha Ke Mutabiq Hujjaj Karam Ko Manasike Hajj  Ada Karne Ki Toufeeq Marhamat Farmaye. (Aameen)


✦........✿ ......♥ Hajj Ke 5 Ayyam ♥......✿ ........✦
Pehla Din (8 Dhul Hijjah): (India Mein 7 Dhul Hijjah)

Aaj Lakhon Aazmeene Hajj Makkah Mukarramah Se Mina Pahonch Rahe Hain Jahan Wo Panch Namazen: Zohar, Asr, Maghrib, Isha Aur 9 Dhul Hijjah ki Fajr Ada Karenge, Mina Mein Ye Panchon Namazen Ada Karna Aur Aaj Ki Raat Mina Mein Guzarna Hajj Ki Sunnat Hai, Lehaza Agar Kisi Wajah Se Mina Pahochne Mein Kuch Takheer Ho Jaye Ya Mina Na Pahoch Saken To Hujjaje Karam Par Koi Dum Wagerah Lazim Nahin, Lekin Qasdan Aisa Karna Munasib Nahin, Kyun Ke Sunnat Chhodne Se Hajj Ka Sawab Kam Ho Jata Hai.

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Safar Hajj ke Shuruaat Qubool Farmaye Aur Tamam Aazmeene Hajj Ko Apne Hifz o Aman Mein Rakhe. (Aameen)


🌺 Ghamand Na Karna Zindagi Mein Taqdeer Badalti Rehti Hai, Shisha Wahi Rehta Hai Bus Tasweer Badalti Rehti Hai 🌺


●◗► Jab Parde Ka Hukum Aaya To Kainat Ki Sab Se Paak Aurton Ne Kainat Ke Sab Se Zyadah Paak Mardon Se Pardah Kiya Aur Chehron Ko Chupa Liya… 

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Sab Maon Behnon Aur Betiyon Ko Sir Ke Balon Se Lekar Paon Ke Nakhunon Tak Pardah Karne Ki Toufeeq Ata Farmaye! (Aameen)


✦.........♥ Ashrah Dhul-Hijjah ♥.........✦

❶ Takbeer o Tahleel - اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ
❷ Taubah o Astaghfar
❸ Tahajjud aur Duayen
❹ Rozah - (Pehle Ashre ke 9 din, Bilkhusu 9 Dhul Hijjah Yaum Arafah ka Rozah)
❺ Takbirate Tashreeq - (9 ki Fajr ta 13 ki Asr Tak)
اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد
❻ Qurbani - (10 Ta 12 Dhul Hijjah)


❤️ Dil Se Utre Hue Log Agar Samne Bhi Aajaye To Nazar Nahin Aate ❤️


❤️ Khuloos Aur Izzat Bahot Mahenge Tohfe Hain Is Liye Har Kisi Se In Ki Ummid Na Rakho Kyun Ke Bahot Kam Log Dil Ke Ameer Hote Hain ❤️

No comments:

Post a Comment