Pages

Friday, 29 May 2020



✦............► Tiddiyon Ka Hamlah Azab Ki Aik Shakal! ◄............✦

⇨ "Irshade Khudwandi Hai: "Chunanche Ham Ne Un (Firauniyon) Par Tufan, Tiddiyon, Ghan Ke Kidon, Mendakon Aur Khoon Ki Balayen Chhodin, Jo Sab Alahedah Alahedah Nishaniyan Thin, Phir Bhi Unhon Ne Takabbur Ka Muzaherah Kiya, Aur Wo Bade Mujrim Log The." (Quran 7:133)

⇨ "So We sent on them: the flood, the locusts, the lice, the frogs, and the blood: (as a succession of) manifest signs, yet they remained arrogant, and they were of those people who were Mujrimun (criminals, polytheists, sinners, etc.)."

●◗► Ya Arhamar Rahimeen! Zamini Aur Aasmani Aafat Se Hamari Hifazat Farma. Aameen




✦............ Mahe Shawwal Ki Barkat! ............✦

'A'isha (Allah be pleased with her) reported: Allah's Messenger (ﷺ) contracted marriage with me in Shawwal and took me to his house as a bride during Shawwal. And who among the wives of Allah's Messenger (ﷺ) was dearer to him than I, and' A'isha liked that the women (of her family) should enter the houses as brides during the month of Shawwal.

[Sahih Muslim :: Book 8 :: Hadith 3312, 1423]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke RasoolAllah ﷺ Ne Mujh Se Mahe Shawwal Mein Nikah Farmaya Aur Aap ﷺ Ke Sath Meri Rukhsati Bhi Mahe Shawwal Mein Hui, RasoolAllah ﷺ Ki Azwaje Mutahrat Mein Se Wo Konsi Zojah Hai Jo Rasool ﷺ Ko Mujh Se Zyadah Azeez Tar Ho? Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Is Baat Ko Mustahab Samajhti Thin Ke Un Ke Khandan Ki Aurton Ki Mahe Shawwal Mein Rukhsati Ho.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 4 :: Hadith 3483]

●◗► Amman Aisha RadiyAllahu Anha Ne Musalmanon Ko Ye Paigham Diya Ke Koi Mahina Ya Din Manhoos Nahin, Tamam Mahine Aur Ayyam Ba Barkat Hain, Agar Mahe Shawwal Manhoos Hota (Jaisa Ke Baaz Logon Ka Eteqad Hai) To Is Maah Mein Shadi o Rukhsati Ke Baad Main Nabi ﷺ Ki Azwaj Mein Mahboob Tar Zojah Na Banti Aur Na Hi Mujhe Ye Fazl o Kamal Milta, Ye Mahina Badi Fazeelat o Ba Barkat Wala Hai Aur Main Ye Pasand Karti Hun Ke Mere Khandan Ki Aurton Ki Rukhsati Bhi Isi Maah Mein Ho.



●◗► Neki Karne Ke Liye Aap Ka crorepati Hona Zaroori Nahin, Bus Dil Mein Neki Karne Ki Chah Honi Chahiye, Rahen Khud Ba Khud Nikal Aayengi.


✦......... Maahe Shawwal Ke 6 Roze .........✦

Abu Ayyub al-Ansari (Allah be pleased with him) reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: “He who observed the fast of Ramadan and then followed it with six (fasts) of Shawwal. it would be as if he fasted perpetually.”

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2614, 1164]

Urdu Translation: Hazrat Abu Ayyub Ansari RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Jis Ne Ramadan Al-Mubarak Ke Roze Rakhe Aur Is Ke Baad Maahe Shawwal Mein Che (6) Nafli Roze Rakhe To Use Saal Bhar Ke Rozon Ka Sawab Milega.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 2758, 2815]




✦....... Nazre Bad Ke Bajaye Nazre Khair! .......✦

Kitni Ba Barkat Hai Wo Aankh Jo Kisi Ki Umdah Cheez Ya Khubi Dekh Kar Hasad Karne Aur Nazar Lagane Ke Bajaye Ye Kahe:

'MashaAllah La Quwwata illa Billah', 'MashaAllah TabarakAllah'

Aur Phir Dil Ki Gahrayyon Se Ye Dua Bhi De: Allah Ta’ala Is Nemat Mein Barkat Ata Farmayen Aur Mazeed Nematon Se Nawazen. (Aameen)






✦............ Musibaton Par Allah Ka Inaam ............✦

The Prophet (ﷺ) said, "No fatigue, nor disease, nor sorrow, nor sadness, nor hurt, nor distress befalls a Muslim, even if it were the prick he receives from a thorn, but that Allah expiates some of his sins for that."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Momin Ko Koi Thakan, Koi Takleef, Koi Fikr, Koi Gham, Koi Pareshani, Koi Ghutan Lahaq Nahin Hoti Yahan Tak Ke Use Koi Kanta Bhi Nahin Chubhta, Magar Ye Ke Allah Us Ki Wajah Se Us Ke Gunahon Ko Mita Deta Hai.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 70 :: Hadith 545 , 5641]




✦..............► Haqiqi Eid ◄..............✦

Eid Un Ki Nahin Jinhon Ne Umdah Libas Zaib Tan Kar Liya Balke Eid To Un Ki Hai Jo Allah Ki Wayeed Aur Pakad Se Dar Gaye.

Eid Un Ki Nahin Jinhon Ne Umdah Khushbuon Ka Istemal Kiya Balke Eid To Un Ki Hai Jinhon Ne Apne Gunahon Se Tuaba Ki Aur Phir Tauba Par Qayem Rahe.

Eid Un Ki Nahin Jinhon Ne Umdah Khanon Ki Dishes Pakayin Balke Eid To Un Ki Hai Jinhon Ne Hattal Imkan Naik Banne Ki Koshish Ki.

Eid Un Ki Nahin Jinhon Ne Dunyawi Zaib o Zinat Ekhtiyar Ki Balke Eid To Un Ki Hai Jinhon Ne Taqwa Aur Parhezgari Ko Ekhtiyar Kiya Aur Use Apna Tosha Banaya.





✦...........► Ulfat o Mohabbat Aam Karen ◄...........✦

Abu Huraira RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: Verily. Allah would say on the Day of Resurrection: Where are those who have mutual love for My Glory's sake? Today I shall shelter them in My shadow when there is no other shadow but the shadow of Mine."

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Beshak Roze Qayamat Allah Subhanahu Wa Ta'ala Irshad Farmayenge: Aik Dusre Se Mohabbat Karne Wale Kahan Hain? Mere Jalal Ki Qasam! Aaj Ke Din Jabke Mere (Arsh Ke) Saye Ke Alawah Koi Aur Saya Nahin, Main Unhen Apne (Arsh Ke) Saye Mein Jage Dunga.”

[Sahih Muslim :: Book 32 :: Hadith 6225, 2566]





•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•
Abuzar Ki Janib Se Tamam Chahne Walon ko Eid Mubarak
•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala ham Sab ke Rozon, Taraweeh, Zikr o Tilawat aur Tamam Ibadaat ko Apni Bargaah Mein Qubool Farma kar Hamen Baar Baar Ramadan Al-Mubarak ki Bahaaren aur Eid ki Sacchi Khushiyan Naseeb Farmaye. (Aameen).





✦...... Eid ki Mubarak Baad Dene ka Tariqa ......✦

Hazrat Wathla RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main ne Eid ke din Nabi Kareem ﷺ se Mulaqat ki aur Main ne kaha: "Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' "Allah Ta’ala hamare aur aap ke Naik Aa’maal Qubool Farmaye."

Nabi Kareem ﷺ ne Irshad Farmaya: "Han Han zaroor! 'Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' Allah paak Hamare aur Aap ke Naik Aa’maal Qubool Farmaye."

[Sunan Al-Kubra Al-Bahaqi :: Hadith 6088]





✦......✿..... Eid Ul-Fitr ki Sunnaten .....✿......✦

❶ Subah Sawere (Namaze Fajr Se Qabl) Bedar Hona.
❷ Miswak Karna.
❸ Gusul Karna.
❹ Shariat Ke Hudud Mein Rehte Hue Zaib o Zeenat Ekhtiyar Karna.
❺ Khushbo Lagana.
❻ Eid Gaah Jane Se Pehle Koi Meethi Cheez Maslan Khajur Wagherah Khana.
❼ Jald az Jald Eid Gaah Pahonchna, Paidal Jana Aur Wapsi Par Dusra Rasta Ekhtiyar Karna.
❽ Agar Sadaqah Fitr Ada Na kiya Ho To Eid Gaah Jane Se Pehle Ada Karna.
❾ Eid Ki Namaz, Eid Gaah Mein Padhna.
➓ Raste Mein

اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد

"Allahu Akbar Allahu Akbar La ilaaha illallahu Wallahu Akbar, Allahu Akbar Walillahil Hamd!" Aahista Aawaz Mein Padhna.





✦.......... Shabe Qadr Ki Khusoosi Dua ..........✦

Narrated Aishah RadiyAllahu Anha: "I said: ‘O Messenger of Allah ﷺ what is your view if I know when the Night of Al-Qadr is, then what should I say in it?" He ﷺ said: ‘Say:

اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
'Allahumma Innaka Afuwwun Tuhibbul-Afwa Fa’fu Anni'

"O Allah, indeed You are Pardoning, You love pardon, so pardon me"

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3513]

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Aishah RadyAllahu Anha Farmati hain ke Main ne Aap ﷺ se Arz kiya: “Ya RasoolAllah! Agar mujhe Shabe Qadr ka Pata Chal Jaye to Main kya Dua Mangun? Huzoor ﷺ ne Irshad Farmaya ke ye Dua Padho:

اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
'Allahumma Innaka Afuwwun Tuhibbul-Afwa Fa’fu Anni'

''Aye Allah! Beshak Aap Muaaf karne Wale hain aur Muaaf karne ko Pasand Karte hain, Pus Mujhe bhi Muaaf Farmaden.''

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1438, 3513]





✦.....► Shabe Qadr Ki Barkaat Se Mahroom Na Rahen! ◄.....✦

It was narrated that Anas bin Malik said: “Ramadan began, and the Messenger of Allah (ﷺ) said: ‘This month has come to you, and in it there is a night that is better than a thousand months. Whoever is deprived of it is deprived of all goodness, and no one is deprived of its goodness except one who is truly deprived.’”

Urdu Translation: Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Jab Ramadan Ka Mahina Aaya To RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Tum Par Ye Mahina Aachuka Hai, Is Mein Aik Raat Hai Jo Hazar Mahinon Se Behtar Hai, Jo Shaks Is Raat Se Mahrum Raha Wo Sari Hi Bhalayyon Se Mahroom Raha Aur Is Raat Ki Bhalayi Se Wahi Shaks Mahroom Rah Sakta Hai Jo Waqeyi Bada Mahroom Ho.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 7 :: Hadith 1644 1644]





✦..... I’tikaf Sabeqa Ummaton Mein Bhi Rayej Tha .......✦

⇨ "Aur Ham Ne Ibrahim Aur Ismail (Alahis Salam) Ko Ye Takeed Ki Ke: “Tum Donon Mere Ghar Ko Un Logon Ke Liye Paak Karo Jo (Yahan) Tawaf Karen Aur I’tikaf Mein Baithen Aur Ruku Aur Sajdah Baja Layen.” (Al-Quran, Surah Al-Baqarah: 125)

⇨ “And We commanded Ibrahim (Abraham) and Isma'il (Ishmael) that they should purify My House (the Ka'bah at Makkah) for those who are circumambulating it, or staying (I'tikaf), or bowing or prostrating themselves (there, in prayer).” (Al-Quran, Surah Al-Baqarah: 125)





✦.....► Ramadan Guzar Gaya Aur Maghfirat Na Ho Saki! ◄.....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “May a man upon whom Ramadan enters and then passes, before he is forgiven, be humiliated.

Urdu Translation: RasoolAllah Ne Irshad Farmaya: “Khak Alood Ho Us Shaks Ki Naak (Yani Barbadi Ho Us Ke Liye) Jis Par Ramadan Ka Mahina Aaye Aur Us Ki Maghfirat Hone Se Pehle Hi Khatam Jaye.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3545, 3545]





✦.......► Hazrat Jibreel Ki Baddua Par RasoolAllah ﷺ Ki Aameen ◄.......✦

Hazrat Kab bin Ajrah RadiyAllahu Anhu se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: Membar Ke Paas Jama Ho Jao Ham Sab Jama Hogaye, Aap ﷺ Ne Jab Membar ki Pehli Sidhi Par Qadam Rakha To Farmaya: "Aameen", Dusri Sidhi Par Qadam Rakha To Phir Farmaya: "Aameen", Jab Teesri Sidhi Par Qadam Rakha To Phir Farmaya: "Aameen".

Sahaba Ne Arz Kiya Ya RasoolAllah! Aaj Ham Ne Aap Se Aisi Baat Suni Hai Jo Pehle Kabhi Nahin Suni, RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Mere Paas Jibreel Aaye The

► Jab Main Ne Pehli Sidhi Par Qadam Rakha To Unhon Ne Kaha Halak o Barbad Hojaye Wo Shaks Jo Ramadhan Al-Mubarak Ka Mahina Paye Phir Bhi Us Ki Bakhshish Na Ho, Main Ne Kaha: "Aameen".

► Jab Main Ne Dusri Sidhi Par Qadam Rakha To Unhon Ne Kaha Halak o Barbad Ho Jaye Wo Shaks Jis Ke Samne Aap Ka Naame Mubarak Liya Jaye Aur Wo Aap Ki Khidmat Aqdas Mein Darood Shareef Na Bheije, Main Ne Kaha: "Aameen".

► Jab Main Ne Teesri Sidhi Par Qadam Rakha To Unhon Ne Kaha Halak o Barbad Ho Jaye Wo Shaks Jo Apne Waldain Ko Budhape Ki Halat Mein Paye Lekin Wo (Un Ki Khidmat Kar Ke) Jannat Mein Dakhil Na Ho, Main Ne Kaha: "Aameen".

[Mustadrak Al Hakim :: Hadith 7256]

●═══════════════════◄►══════════════════●

Once the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) was ascending the pulpit. When he climbed the one step, he said 'Aameen'. He repeated, "Aameen" when he climbed the second step. He uttered 'Aameen' when he climbed the third step. When the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) descended the pulpit, the companions told him that they happened to hear something new. He (Sallallahu Alaihi Wasallam) asked them what they meant. The companions said that he uttered Ameen while ascending every step of the pulpit. The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam told them. Hadrat Jibreel was before me,

► When I ascended the first step he cursed, "Woe to him who in spite of having been provided with he month of Ramdhan fails to obtain Allah's forgiveness. I said, "Aameen".

► When I climbed the second step the angel cursed him who fails to send blessing on the Prophet after listening to his name. I said "Aameen".

► When I climbed the third step the angel cursed "Woe to him who finds either one and both of his parents in old age, and yet is not able to enter Heaven". I said "Aameen".

[Mustadrak Al Hakim :: Hadith 7256, Narrated by Ibn Hibbaan, 3/188; classed as saheeh by al-Shaykh al-Albaani in Saheeh al-Targheeb, 1679]





✦............ Rozah Ki Halat Mein Maut ............✦

The Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) said: “Whoever says Laa ilaaha ill-Allaah (there is no god but Allaah), seeking the Face of Allaah and that was his final action, will enter Paradise. Whoever fasts one day seeking the Face of Allaah and that was his final action, will enter Paradise. Whoever gives charity seeking the Face of Allaah and that was his final action will enter Paradise.” (Narrated by Imam Ahmad, 22813)

RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Allah ki Khushnudi ke liye Aik din ka Rozah Rakhe Aur usi Halat Mein Mar Jaye to Wo Jannat mein Zaroor Dakhil Hoga.” (Musnad Ahmad: 23324)

Ya Arhamar Rahimeen! Ham Sab ke Sath Aafiyat ka Muamla Farma aur Hamen Rozon aur Taraweeh Pe Isteqamat Ata Farma. (Aameen)





✦…..► Ghazwa e Badr (17 Ramadan Sun 2 Hijri) ◄…..✦
✦ RasoolAllah ﷺ Ummat Ke Liye Aansu Bahate Rahe! ✦

“Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu Irshad Farmate Hain Ke Ghazwa e Badr Ke Moqe Par Hazrat Miqdad RadiyAllahu Anhu Ke Alawah Ham Mein Se Koi Ghode Par Sawar Na Tha Aur Ham Sab Log (Raat Padao Ke Dauran) So Gaye Siwaye RasoolAllah ﷺ Ke, Jo Aik Darakht Ke Niche Namaz Padhte Rahe Aur Rote Rahe Yahan Tak Ke Subah Hogayi.” (Musnad Ahmad: 1023)

No comments:

Post a Comment