Pages

Monday, 24 August 2020

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “The best Mosques for women are the most secluded parts of their houses.” (Al-Mu'jam Al-Kabeer Al-Tabarani: 709, Sunan Abi Dawud: 570)

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Aurton Ki Sab Se Afzal Namaz Un Gharon Ke Anduruni Kamron Mein (Padhi Jane Wali Namaz) Hai.” (Al-Mu'jam Al-Kabeer Al-Tabarani: 709, Sunan Abi Dawud: 570)

✦......♥ Umdah Andaz Mein Qarza Wapas Karen! ♥......✦

The Prophet (ﷺ) said: "The best amongst you is the one who pays the rights of others generously."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Tum Mein Behtareen Log Wo Hain Jo Qarze Ko Acche Andaz Mein Ada Kar Dete Hain.”

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 38 :: Hadith 501, 2305]

 ✦.....✔ Haq o Sadaqat Ka Alambardar ✔.....✦

Narrated AbuDharr RadiyAllahu Anhu: I heard the Messenger of Allah (ﷺ) say: Allah, the Exalted, has placed truth on Umar's tongue and he speaks it.

Urdu Translation: Hazrat AbuDharr RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Main Ne RasoolAllah ﷺ Ko Ye Farmate Hue Suna: “Allah Ne Umar Ki Zuban Par Haq Rakh Diya Hai Wo (Jab Bolte Hain) Haq Hi Bolte Hain.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 19 :: Hadith 2956, 2962]

 ●◗► Zindagi Bahot Mukhtasar Si Hai Ham Kisi Se Nafrat Kar Ke Ya Kisi Ka Bura Soch Ke Shayad Apni Jhuti Ana Ki Taskeen To Karlen Magar Yaqeen Janiye Hamare Andar Ka Insan Kabhi Bhi Khush Nahin Reh Payega Is Liye Apne Ird Gird Sirf Aur Sirf Mohabbaten Baten Hamesha Pur Sukoon Rahenge.

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “The deeds which Allaah loves most are those done regularly, even if they are small.”

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Allah Ki Baargah Mein Sab Se Zyadah Pasand Wo Aml Hai Jise Pabandi Se Hamesha Kiya Jaye, Khuah Wo Kam Hi Ho.” (Sunan Abi Dawud:1363, Sahih al-Bukhari:5861)

 ✦..........♥ Naye Islami Saal Ki Dua! ♥..........✦

Abdullah Bin Hisham RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Sahaba Karam RadiyAllahu Anhum Ajmayeen Naye Saal Ya Maheene Ki Aamad Pe Ye Dua Sikhate The:

اللَّهُمَّ أَدْخِلْهُ عَلَيْنَا بِالأَمْنِ ، وَالإِيمَانِ ، وَالسَّلامَةِ ، وَالإِسْلامِ ، وَرِضْوَانٍ مِنَ الرَّحْمَنِ ، وَجَوَازٍ مِنَ الشَّيْطَانِ

“Aye Allah! Amn, Iman, Salamati, Islam, Rahman Ki Raza Mandi Aur Shaitan Se Bachao Ke Sath Is Saal / Maheena Ko Ham Pe Dakhil Farma.” (Aameen)

[Al-Mu’jamul Awsat Al-Tabarani :: 6241]

●═══════════════◄►═══════════════●

Narrated by Abdullah ibn Hisham RadiyAllahu Anhu, when there is new year or new month would begin , the Sahaba (companion) of the RasoolAllah ﷺ would learn the following dua:

اللَّهُمَّ أَدْخِلْهُ عَلَيْنَا بِالأَمْنِ ، وَالإِيمَانِ ، وَالسَّلامَةِ ، وَالإِسْلامِ ، وَرِضْوَانٍ مِنَ الرَّحْمَنِ ، وَجَوَازٍ مِنَ الشَّيْطَانِ

Allahumma Adkhilhu Alaina bil Amni wal iman, Was salamati wal islam, Wa ridwanim minar Rahman, wa Jawazim minash shaitan

O Allah, bring this (month or year) upon us with security and iman, and with safety and Islam, and with the pleasure of Rahman and Protection from shaitan.

[Al Muajam Al Awsat At-Tabrani :: 6410]

 ●◗► Fateh Baitul Muqaddas! Hazrat Umar RadiyAllahu Anhu Ne 22 Lakh Murabba Meel Ke Raqbay Par Islam Ka Jhanda Lehraya Aur Qibla Awwal Baitul Muqaddas Ki Shaandar Fateh Ka Sahra Bhi Aap Ke Sir Hai, Aap RadiyAllahu Anhu Ka Daur Khilafat Adl o Insaf Ka Derkhshandah Baab (Chamakdar) Aur Misali Daur Hai.

✦.....✔ Gunahon Se Door Rehne Ki Dua! ✔.....✦

اللَّهُمَّ بَاعِدْ بَيْنِي وَبَيْنَ خَطَايَاىَ كَمَا بَاعَدْتَ بَيْنَ الْمَشْرِقِ وَالْمَغْرِبِ، اللَّهُمَّ نَقِّنِي مِنَ الْخَطَايَا كَمَا يُنَقَّى الثَّوْبُ الأَبْيَضُ مِنَ الدَّنَسِ، اللَّهُمَّ اغْسِلْ خَطَايَاىَ بِالْمَاءِ وَالثَّلْجِ وَالْبَرَدِ

'Allahumma, baa`id baini wa baina khatayaya kama baa`adta baina l-mashriqi wa l-maghrib. Allahumma, naqqini min khatayaya kama yunaqqa th-thawbu l-abyadu mina d-danas. Allahumma, ighsil khatayaya bi l-maa'i wa th-thalji wal barad.

“Aye Allah! Mere Aur Mere Gunahon Ke Darmiyan Itni Doori Karde Jitni Mashriq Aur Maghrib Mein Hai, Aye Allah! Mujhe Gunahon Se Is Tarah Paak Farma Jaise Sufaid Kapda Mail Se Paak Hota Hai. Aye Allah! Mere Gunahon Ko Pani, Barf Aur Aole Se Dho Daliye.” (Sahih Bukhari: 744)
 

 

 ●◗► Dunya Mein Kamyab Hone Ki Khatir Log Apni Neend Qurban Kar Dete Hain Lekin Aakhirat Mein Kamyab Hone Ke Liye Apni Neend Qurban Karne Se Gurez Karte Hain.

 

 The Messenger of Allah (ﷺ) said: “Do not pray for yourself anything but good, for the angels utter Amin to what you say.” (Sunan Abi Dawud: 3118)

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Tum Log Apne Bare Mein Siwaye Khair Aur Behtar Baat Ke Kuch Na Kaho, (Yani Apne Aap Ko Na Bad’dua Do Aur Na Hi Apni Qismat Ko Koso) Is Liye Ke Farishte Is Baat Par Aameen Kehte Hain Jo Tum Kehte Ho.” (Sunan Abi Dawud: 3118)

 

 ⇨ "Our Lord, grant us from among our wives and offspring comfort to our eyes and make us an example for the righteous." (Quran, Surah Al-Furqan: 74)

⇨ "Hamare Parwardigar! Hamen Apni Biwi Bacchon Se Aankhon Ki Thandak Ata Farma, Aur Hamen Parhezgaron Ka Sarbarah Banade." (Quran, Surah Al-Furqan: 74) Aameen

✦.....► Gadi Chalate Waqt Rahgiron Ka Khayal Rakhen! ◄.....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "The Muslim is the one from whose tongue and hand the people are safe, and the believer is the one from whom the people's lives and wealth are safe." (Sunan an-Nasa’i: 4995)

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: "Musalman Wo Hai Jis Ki Zuban Aur Hath Se Dusre Musalman Mahfooz hon Aur Momin Wo Hai Jis Se Insaniyat Ka Jaan o Maal Amn Mein Ho (Yani Logon Ke Jaan o Maal Ko Us Se Koi Khatrah Lahaq Na Ho)." (Sunan an-Nasa’i: 4995)

●◗► Aap Ki Zarasi Be Ehtiyati Kisi Ko Sakht Azyat Naak Suratehaal Se Do Chaar Kar Sakti Hai.. Gadi Chalate Hue Paidal Chalne Walon Aur Motorcycle Sawaron Ka Khayal Rakhen!

 ✦.....► Jange Aazadi Mein Ulama Karam Ki Qurbaniyan ◄.....✦

1857 Delhi Ke Chandni Chowk Se Peshawar Tak Darakhton Par Ulama Ki Gardane Aur Jism Latke Hue Milte The, Rozana 80 Ulama Phansi Par Latkaye Jate The, Main Delhi Ke Aik Khaime Mein Baitha Tha, Mujhe Gosht Ke Jalne Ki Bu Aayi, Main Ne Khaime Ke Piche Jakar Dekha To Kya Dekhta Hun Ke Aag Ke Angaron Par Tees Chalees Ulama Ko Nanga Kar Ke Dala Ja Raha Hai, Phir Dusre 40 Isi Tarah Laye Gaye Unhen Nanga Kiya Gaya, Aik Angrez Ne Un Se Kaha Agar Tum Inquilab 1857 Mein Shirkat Se Inkar Kardo To Tumhen Chhod Diya Jayega, Tamson Kehta Hai “Khuda Ki Qasam Sare Ulama Jal Kar Mar Gaye Magar Kisi Aik Ne Bhi Angrez Ke Samne Gardan Nahin Jhukayi.”

(1857 Ki Kahani Angrez Tamson Ki Zubani: Makhuz Mahnama Darul Uloom Deoband Shumarah 1 Jild 97)

●◗► Ye Jo Barre Saghir Ki Angrez Se Aazadi Hai Is Ke Piche Ulama Ke Khoon Ki Waadi Hai.

 ✦...........♥ Watne Azeez INDIA se Mohabbat! ♥...........✦

●◗► Insan Jis Khitte, Mulk, Shaher Ya Ilaqe Mein Rehta Hai Us Jage Se Unsiyat, Qalbi Lagao Aur Mohabbat o Ulfat Ka Paida Ho Jana Aik Fitri Cheez Hai, Diyanat Aur Amanat Ka Taqaza Bhi Yahi Hai Ke Insan Jahan Rahe Wahan Ki Khair Khuahi, Taraqqi Aur Falah o Bahbood Ki Koshishon Mein Laga Rahe.

✿ RasoolAllah (ﷺ) Jab Makkah Mukarramah Se Hijrat Farma Kar Nikle To Sawari Par Sawar Ho Kar Baar Baar Piche Mud Kar Dekhte Aur Farmate: "(Aye Makkah!) Allah Ki Qasam Tu Allah Ta’ala Ki Behtareen Aur Mahboob Tareen Zameen Hai, Agar Mujhe Yaha Se Na Nikala Jata To Main Tujhe Chhor Kar Na Jata." (Sunan Ibn Majah: 3108)

✿ Baad Aza Jab RasoolAllah (ﷺ) Hijrat Farma Kar Madinah Tayyabah Pohnche Aur Madinah Munawwarah Ko Apna Mustaqil Watan Bana Liya To Ye Dua Mangi: "Aye Allah! Jis Tarah Makkah Mukarramah Ki Mohabbat Tu Ne Hamen Ata Ki Thi Isi Tarah Madinah Munawwarah Ki Mohabbat Bhi Hamen Ata Farma, Ya Us Se Bhi Zyadah Hamen Madinah Ki Mohabbat Ata Farma, Aur Yahan Ki Aab o Hawa Sahet Baksh Banade Aur Hamare Sa’a Aur Mud (Ghalla Naapne Ke 2 Paimane) Mein Barkat Ata Farma Aur Madinah Ke Wabayi Bukhar Ko Juhfa (Naami Muqam) Mein Muntaqil Karde." (Sahih Muslim: 1376)

♥ Apne Mulk Aur Watan Se Mohabbat Karen Aur Apni Zaat Se Mulk o Watan ko Faidah Pohnchane Ki Koshish Karen ♥

●══════════════════◄►═════════════════●

Abu Salamah bin ‘Abdur-Rahman bin ‘Awf narrated that ‘Abdullah bin ‘Adiy bin Hamra’ said to him: “I saw the Messenger of Allah (ﷺ) , when he was on his she-camel, standing in Al-Hazwarah* saying: ‘By Allah, you are the best land of Allah, and the dearest of the land of Allah to me. By Allah, had I not been expelled from you I would never have left.’” *A place in Makkah."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 4 :: Book 25 :: Hadith 3108]

'A'isha (Allah be pleased with her) reported: When we came to Medina, and it was an unhealthy, uncogenial place, Abu Bakr fell sick and Bilal also fell sick; and when Allah's Messenger (ﷺ) saw the illness of his Companions he said: O Allah, make Medina as congenial to us as you made Mecca congenial or more than that; make it conducive to health, and bleesus in its sa' and in its mudd, and transfer its fever to al-juhfa."

[Sahih Muslim :: Book 7 :: Hadith 3178, 1376]

"Ghar Mein Chahe Dus Kamre Hon Lekin Sab Se Zyadah Rash Us Kamre Mein Hota Hai Jis Kamre Mein Maa Hoti Hai."

 

 "Jo Aap Se Tang Ho Use Chhod Diya Karen Use Khud Ko Chhod Jane Ki Zehmat Bhi Na Den Bojh Banne Se Yaad Ban Jana Behtar Hai."

 

 ●◗► Ham Kyun Nabi ﷺ Ki Shan Mein Gustakhi Bardasht Nahin Karte??? Aik Martaba Aik Isayi Kisi Musalman Aalim Ke Paas Gaya Aur Un Se Aik Sawal Kiya Ke Aap Logon Ke Mazhab Mein Shiddat Pasand Kyun Hai? Matlab Aap Log Apne Nabi Akram (ﷺ) Ki Shan Mein Gustakhi Par Bhadak Jate Ho Ke Qatl o Gharat Giri Par Utar Aate Ho, Jab Ke Ham Isayyon Mein Aisa Kuch Nahin Hai, Yani Agar Tum Hazrat Isa (Alaihis Salam) Ka Khaka Banao, Film Banao Ya Chahe Kuch Bhi Karo, Tum Tawraat Ki Touheen Karlo Tumhen Koi Kuch Nahin Kahega, Kyun Ke Ham "Aman Pasand" Log Hai. Musalman Aalim Ne Pucha Agar Main Aap Ki Izzat Par Hath Dalun Ya Aap Ke Ghar Jaidad Par Qabza Karun Tab Bhi Kya Aap "Aman Pasand" Rahoge? Us Isayi Ne Jawab Diya "Hargiz Nahi."

✿► Musalman Aalim Ne Kaha Bus Yahi Farq Hai Ham Mein Aur Tum Mein, Hamen Hamara Deen, Rasool Akram (ﷺ) Apne Ghar Baar, Maal o Daulat Aur Azeez o Aqarib Se Badh Kar Pyare Hain Isi Liye Ham Un Par Koi Tanqeed Bardasht Nahin Karte.

 

 ✦........► Beton Ko Betiyon Par Tarjih Na Den ◄........✦

Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma Se Riwayat Hai Ke Nabi Akram (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Jis Shaks Ke Han Beti Paida Ho, Phir Na To Wo Us Ko Aeza Pohnchaye Aur Na Us Ki Touheen o Naqadri Kare Aur Na Mohabbat Aur Bartao Mein Beton Ko Us Par Tarjeeh De To Allah Subhanahu Wa Ta'ala Beti Ke Sath Husn Sulook Ki Waja Se Us Ko Jannat Mein Dakhil Farmayega.” (Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim: 7348)

7348 - حدثنا الحسن بن يعقوب بن يوسف العدل ثنا محمد بن عبد الوهاب أنبأ جعفر بن عون أنبأ أبو مالك الأشجعي عن زياد بن حدير عن ابن عباس رضي الله عنهما قال : قال رسول الله صلى الله عليه و سلم : من ولدت له أنثى فلم يئدها و لم ينهها و لم يؤثر ولده ـ يعني الذكر ـ عليها أدخله الله بها الجنة (المستدرك علي الصحيحين للحاكم: 7348 وصححه الذهبي)

 

 ✦.....✔ Shadi Se Mutaliq Duayen ✔.....✦

Dulha, Dulhan Ko Mubarak Baad Dene Ki Dua

"‏ بَارَكَ اللَّهُ لَكَ وَبَارَكَ عَلَيْكَ وَجَمَعَ بَيْنَكُمَا فِي خَيْرٍ ‏"‏ ‏.
Baarakallaahu laka, wa baaraka 'alayka, wa jama'a baynakumaa fee khayrin.

Allah Ta’ala Tujhe Barkat De Aur Tujh Par Barkat Nazil Kare Aur Tum Donon Ke Darmiyan Bhalayi Par Ittifaq Paida Farmaye. (Sunan Abi Dawud: 2130)

●═══════════◄►═══════════●

Shadi Karne Wale Ki Apni Biwi Ko Dua

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ خَيْرَهَا وَخَيْرَ مَا جَبَلْتَهَا عَلَيْهِ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّهَا وَمِنْ شَرِّ مَا جَبَلْتَهَا عَلَيْهِ
Allaahumma 'innee 'as'aluka khayrahaa wa khayra majabaltahaa 'alayhi wa'a'oothu bika min sharrihaa wa sharri maajabaltahaa 'alayhi.

Aye Allah! Main Tujh Se Is Ki Bhalayi Aur Jis Par Ise Paida Kiya Gaya Us Ki Bhalayi Ka Sawal Karta Hun, Aur Main Is Ke Shar Aur Jis Par Ise Paida Kiya Gaya Hai Us Ke Shar Se Teri Panah Mein Aata Hun. (Sunan Abi Dawud: 2160)

●═══════════◄►═══════════●

Biwi Se Hambistari Se Qabl Dua

اللَّهُمَّ جَنِّبْنَا الشَّيْطَانَ، وَجَنِّبِ الشَّيْطَانَ مَا رَزَقْتَنَا
Bismillaah. Allaahumma jannibnash-l Shaytaana, wa jannibish-Shaytaana maarazaqtanaa.

Allah Ke Naam Ke Sath, Aye Allah! Hamen Shaitan Se Bacha Aur Jo Tu Hamen Ata Kare Use Bhi Shaitan Se Bacha. (Sahih Bukhari: 6388)

 

 ✦.......♥ Apni Tehzeeb Par Fakhr Kijiye! ♥........✦

●◗► Hamari Riwayat Aur Hamara Deen Hamen Aurat Ka Ehteram Karna Sikhata Hai, Aurten Bhi Gharon Mein Apne Mardon Ka Aisa Hi Khayal Rakhti Hai Dunya Jitni Marzi Khud Ko Advance Kahe, Aurat Ke Huqooq Ke Liye Naam Nihad Tanzimen Banaye, Muashre Mein Mard Ko Zalim Tasawwur Karwaye, Lekin Asal Haqiqat Is Tasweer Mein Ayan Hai.... Is Khoobsurti Ko Wohi Samajh Sakta Hai Jo Ye Sab Karna Apne Liye Sa’adat Aur Apni Sharyi o Akhlaqi Zimmedari Samajhta Ho.

 

 ✦.....✔ Bimar Pursi Ke Waqt Mariz Ke Liye Dua ✔.....✦

لاَ بَأْسَ طَهُورٌ إِنْ شَاءَ اللَّهُ‏.‏
Laa ba'sa tahoorun 'inshaa'Allaah.

“Koi Harj Nahin Agar Allah Ne Chaha To Ye Bimari (Gunahon Se) Paak Karne Wali Hai.” (Sahih Bukhari: 5656)

●═══════════◄►═══════════●

“Wo Mareez Jis Ki Maut Ka Waqt Abhi Qareeb Na Aaya Ho Aur Us Ke Paas Jakar 7 Martaba Ye Dua Padhe To Allah Ta’ala Use Shifa Ata Farma Deta Hai:

أَسْأَلُ اللَّهَ الْعَظِيمَ رَبَّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ أَنْ يَشْفِيَكَ
As'alullahal-'Azima Rabbal-'Arshil-'Azimi, an yashfiyaka

“Main Azmat Wale Allah Se Jo Arsh Azeem Ka Malik Hai, Sawal Karta Hun Ke Wo Tumhen Shifa De.” (Sunan Abi Dawood: 3106)

 ●◗► 18 Dhul Hijjah San 35 Hijri Yaume Shahadat Khalifah 3 Hazrat Uthman RadiyAllahu Anhu

Narrated Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) once climbed the mountain of Uhud with Abu Bakr, `Umar and `Uthman. The mountain shook with them. The Prophet (ﷺ) said (to the mountain), "Be firm, O Uhud! For on you there are no more than a Prophet, a Siddiq and two martyrs.

Urdu Translation: Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke RasoolAllah ﷺ, Hazrat Abu Bakr Siddique, Hazrat Umar Aur Hazrat Uthman RadiyAllahu Anhum Jable Uhud Par Chadhe To Jable Uhud Kaanp Utha, Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jable Uhud! Taherja, Tujh Par Aik Nabi, Aik Siddique Aur Do Shaheed Hain.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 5 :: Book 57 :: Hadith 24, 3675]

 The Prophet (ﷺ) said: "Between my house and my pulpit there is a garden of the gardens of Paradise." (Sahih Bukhari: 1196)

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Mere Ghar Aur Mere Member Ke Darmiyan Ki Zameen Jannat Ke Baghon Mein Se Aik Baagh Hai.” (Sahih Bukhari: 1196)

‘Allah Ta’ala Hamen Riyadh ul Jannah Mein Ibadat Karne Ki Toufeeq Ata Farmaye.’ Aameen

“Tum Un Masjidon Ko Aabad Karo Jo Allah Ne Tumhen Qabze Mein Di Hain, Phir Allah Wo Masjide Tumhen De Dega Jo Ghairon Ke Qabze Mein Hai.”

The Messsenger of Allah (ﷺ) said: “The best water on the face of the earth is Zamzam water. In it is food for nourishment and healing for illness.”

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Ruye Zameen Par Sab Se Behtar Paani Zamzam Hai Jo Bhooke Ke Liye Ghiza Aur Bimaar Ke Liye Shifa Hai.”

(Al-Mu'jam Al Kabeer Al-Tabarani: 11011, 1167)

Wednesday, 5 August 2020

✦............► Paye Khane Ka Zikr! ◄............✦

It was narrated that ‘Aishah RadiyAllahu Anha said: “We used to store trotters and the Messenger of Allah (ﷺ) would eat them fifteen days after the sacrifice.”

Urdu Translation: Hazrat Aishah RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke Ham Paye Utha Kar Rakh Leti Thin, RasoolAllah ﷺ Qurbani Ke Pandhra Din Baad Inhen Tanawul Farmate The.”

●◗► Is Hadees Se Paye Khane Ka Saboot Milta Hai, Baaz Riwayat Mein Pandhra Aur Baaz Mein Aik Maah Baad Khane Ka Zikr Milta Hai, Sahulat Ke Madde Nazar Kisi Waqt Bhi Khaye Ja Sakte Hain.

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 4 :: Book 29 :: Hadith 3313, 3313]


Allah's Messenger (ﷺ) commanded the licking of fingers and the dish, saying: “You do not know in what portion the blessing lies.” (Sahih Muslim: 5043)

RasoolAllah (ﷺ) Ne (Khane Ke Aakhir Mein) Ungliyan Chatne Aur Bartan Saaf Karne Ka Hukum Diya Aur Irshad Farmaya: “Tumhen Maloom Nahin Ke Khane Ke Kis Hisse Mein Barkat Hai.” (Sahih Muslim: 5043)


✦.....✔ Qarz Aur Dushmanon Se Hifazat Ki Dua! ✔.....✦

‏ "‏ اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ غَلَبَةِ الدَّيْنِ وَغَلَبَةِ الْعَدُوِّ وَشَمَاتَةِ الأَعْدَاءِ ‏"
"Allahumma inni a'udhu bika min ghalabatid-dain, wa ghalabatil-'aduwwi, wa shamatatil-a'da'.

“Aye Allah! Main Aap Ki Panah Chahta Hun Qarz Ke Bojh Se, Dushman Ke Ghalbe Se Aur Dushmanon Ke (Mujh Par) Hansne Se.” (Sunan an-Nasa'i: 5475)


✦.............♥ Hajj Ke 5 Ayyam 4 Aur 5 Din ♥.............✦
(11,12 Dhul Hijjah): (India Mein 10,11 Dhul Hijjah)

Hujjaj Karam Hajj Ke Chaothe Aur Panchwen Din Mina Mein Qiyam Kar Ke Tarteeb Waar Teenon Jamrat Ki Rami Karenge, Pehle Jamrah Ula (Chote Alamati Shaitan) Par Kankariyan Marenge, Phir Jamrah Wusta Par Aur Phir Jamrah Aqabah (Bade Alamati Shaitan) Par Kankariyan Marenge, Aur Agar Koi Haji 10 Dhul Hijjah (Hajj Ke Teesre Din) Qurbani, Halaq, Tawaf Ziyarat Aur Hajj Ki Sayi Na Kar Saka To Wo Hajj Ke Panchwen Din (12 Dhul Hijjah) Ke Ghuroob Aaftab Tak Kar Sakta Hai, Agar Haji 12 Dhul Hijjah Ko Ghuroob Aftab Ke Baad Mina Mein Taher Gaye Aur Subah Sadiq Wahin Ho Gayi To Agle Din 13 Dhul Hijjah Ki Rami Jamrat Bhi Wajib Ho Jayegi Aur Is Ke Sath Hi Hajj Ke Afaal o Manasik Mukammal Ho Jayenge Sirf Tawafe Wida Reh Jayega Jise Wapsi Se Qabl Kisi Bhi Waqt Karna Lazim Hoga.

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Safar Hajj Ke Shuruaat Qubool Farmaye Aur Tamam Aazmeene Hajj Ko Apne Hifz o Aman Mein Rakhe. (Aameen)


✦....►Ghair Muslimon Ko Qurbani Ka Gosht Diya Ja Sakta Hai? ◄....✦

⇨ "Allah does not forbid you from those who do not fight you because of religion and do not expel you from your homes - from being righteous toward them and acting justly toward them. Indeed, Allah loves those who act justly." (Surah Al-Mumtahanah:8)

⇨ "Jin Logon Ne Tum Se Deen Ke Muamle Mein Jung Nahin Ki Aur Na Tum Ko Tumhare Gharon Se Nikala, Un Ke Sath Bhalayi Aur Insaf Ka Sulook Karne Se Allah Tumhen Mana Nahin Karta, Allah Subhanahu Wa Ta'ala To Insaf Karne Walon Ko Pasand Karta Hai." (Surah Al-Mumtahanah:8)

●◗► Qurbani Ka Gosht Sulah Jo Aur Pur Aman Ghair Muslimon Ko Dena Jayez Hai, Albatta Fitna Baaz Aur Nuqsan Pohnchane Wale Ghair Muslimon Ko Qurbani Ka Gosht Dena Jayez Nahin.


✦.......♥ Qurbani Ka Gosht Istemal Karne Ki Muddat! ♥........✦

Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati hain ke Aik Martaba Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu Hamare Yahan (Taweel) Safar Se Wapas Aaye, Ham Ne Unhen Qurbani Ka Gosht Pesh Kiya To Unhon Ne Farmaya Ke Main Jab Tak Nabi Akram ﷺ Se Is Ke Mutalliq Khud Na Puch Lun, Ise Nahin Khaunga, Chunanche Unhon Ne Aap ﷺ Se Is Ke Mutalliq Pucha To Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya:

“Aik Dhul Hijjah Se Dusre Dhul Hijjah Tak Qurbani Ka Gosht Kha Sakte Ho. (Yani Pura Saal Ise Istemal Mein Laya Ja Sakta Hai).

[Musnad Ahmad bin Hanbal: 25259]

عن عائشة قدم علينا على من سفر فقدمنا إليه منه فقال لا آكله حتى أسأل عنه رسول الله صلى الله عليه و سلم قالت فسأله علي فقال رسول الله صلى الله عليه و سلم كلوه من ذي الحجة إلى ذي الحجة (مسند امام احمد بن حنبل : 25259 ،حدیث حسن) See less


•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*
Abuzar Ki Janib Se Tamam Musalmanon Ko Eid Al-Adha Mubarak
•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*

●◗► Aye Allah! Hamari Qurbani aur Hajje Baitullah Samait Tamam Ibadaat ko Apni Bargaah Mein Qubool Farma kar Hamen Deene Mateen Par Qurban Ho Jane ka "Jazba Ibrahimi" Ata Farmade. (Aameen)

تَقَبَّلَ اللّهُ مِنَّا وَ مِنْكُمْ

'Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' Allah Paak Hamare Aur Aap Ke Naik Aa’maal Qubool Farmaye."

★•.•´¯`•.•★ ♥ A A M E E N ♥ ★•.•´¯`•.•★

اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد


When the Messenger of Allah (ﷺ) came to Medina, the people had two days on which they engaged in games. He asked: What are these two days (what is the significance)? They said: We used to engage ourselves on them in the pre-Islamic period. The Messenger of Allah (ﷺ) said: Allah has substituted for them something better than them, the day of sacrifice and the day of the breaking of the fast.

RasoolAllah ﷺ (Makkah Mukarramah Se) Madinah Munawwarah Tashreef Laye To Ahle Madinah Ke Liye Zamane Jahiliyat Ke 2 Din (Neroz Aur Maherjan) Muqarrar The Jin Mein Wo Log Khel Kood Kiya Karte The. Nabi Akram ﷺ Ne Un Se Pucha Ke Ye Kon Se 2 Din Hain? Unhon Ne Kaha Ke Ham Zamana Jahiliyat Mein In Dinon Mein Khel Kood o Tafreeh Kiya Karte The,

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ne In 2 Dinon Ke Badle In Se Bahot Behtar 2 Din Tumhen Inayat Farmaye Hain: “Aik Eid Ul-Adha Ka Din Aur Dusra Eid Ul-Fitr Ka Din.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 3 :: Hadith 1130, 1134]


✦........✿ ......♥ Hajj Ke 5 Ayyam ♥......✿ ........✦
Teesra Din (10 Dhul Hijjah): (India Mein 9 Dhul Hijjah)

Aaj Manasik Hajj Ki Adayegi Ka Teesra Ahem Tareen Din Hai, Hujjaj Karam Muzdalifah Mein Namaz Fajr Awwal Waqt Mein Padhne Ke Baad Tulu Aftab Tak Wuqufe Muzdalifah Karenge Aur Zikr o Dua Aur Tasbihat Mein Mashghool Rahenge, Tulu Aaftab Ke Waqt Mina Ki Taraf Rawana Ho Jayenge Aur Muzdalifah Se Hi Apne Sath Taqriban 70 Kankariyan Bhi Le Lenge, Mina Pahonch Kar Jamrah Aqabah (Bade Alamati Shaitan) Par Kankariyan Marenge, Pehli Kankari Marte Hi Talbiya Padhna Band Kar Denge, Is Ke Baad Hajj Ki Qurbani Karenge Aur Phir Sir Mundhwa Kar Ya Baal Chote Karwa Kar Ehram Ki Beshtar Pabandiyon Se Aazad Ho Jayenge, Is Din Agar Moqa Muyyasar Aasaka To Hujjaj Karam Makkah Mukarramah Pahoch Kar Tawaf Ziyarat Aur Sayi Bhi Kar Lenge.

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Safar Hajj Ke Shuruaat Qubool Farmaye Aur Tamam Aazmeene Hajj Ko Apne Hifz o Aman Mein Rakhe. (Aameen)


Takbeerate Tashreeq!


✦.........✔ TAKBEERATE TASHREEQ ✔.........✦

اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد

"Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu Arafah (9 Dhul Hijjah) Ke Din Namaz Fajr Se Ayyam Tashreeq Ke Aakhri Din (13 Dhul Hijjah) ki Namaz Asr Tak Takbeere Tashreeq Padhte The."

[Musannaf Ibn Abi Shaybah :: Hadith 5631]

●◗► 9 Dhul Hijjah Ki Fajr Se 13 Dhul Hijjah Ki Asr Tak Har Farz Namaz Ke Baad Ba Jama’at Ya Tanha Namaz Padhne Wale Mard Par Aik Martaba Buland Aawaz Se Aur Aurat Par Aik Martaba Aahista Aawaz Se Ye Takbeer Padhna Wajib Hai.


✦.........♥ Hajj Ke 5 Ayyam Dusra Din ♥.........✦
(9 Dhul Hijjah): (India Mein 8 Dhul Hijjah)

Aaj Ka Din Ayyam Hajj Ka Sab Se Ahem Aur Masroof Tareen Din Hai, Aaj Subah Talbiya Padhte Hue Hujjaj Karam Mina Se Arafat Ke Liye Rawana Ho Jayenge, Maidane Arafat Mein Zawal Ke Baad Hajj Ka Rukn Aazam “Wuqufe Arafah” Ada Karenge, Is Dauran Zohar Aur Asr Ki Namazen Ikatthi Ada Ki Jayengi, Namazon Ke Alawah Ghuroob Aaftab Tak Jitna Waqt Bachega, Hujjaj Karam Qibla Rukh Ho Kar Khoob Aahwazari Aur Duayen Mangenge Aur Ghuroob Aftab Ke Baad Talbiya Padhte Hue “Muzdalifah” Ki Janib Rawana Ho Jayen, Muzdalifah Pahonch Kar Maghrib Aur Isha Ki Namazen Isha Ke Waqt Mein Ikatthi Ada Karenge Aur Aaj Ki Raat Muzdalifah Mein Guzarenge, Muzdalifah Mein Namaze Fajr Awwal Waqt Mein Ada Kar Ke Qibla Rukh Ho Kar Duaon Aur Zikr o Azkar Mein Mashghool Ho Jayenge, Is Aml Ko “Wuqoofe Muzdalifah” Kaha Jata Hai.

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Apni Mansha Ke Mutabiq Hujjaj Karam Ko Manasike Hajj Ada Karne Ki Toufeeq Marhamat Farmaye. (Aameen)


✦..♥ Arafah Rehmat o Maghfirat Ka Thathen Marta Samandar ♥..✦

'A'isha (Allah be pleased with her) reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: “There is no day when God sets free more servants from Hell than the Day of 'Arafah. He draws near, then praises them to the angels, saying: What do these want?.”

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Allah Subhanahu Wa Ta'ala Arafah Ke Din Jis Qadar Logon Ko Jahannam Se Aazad Farmate Hain Itne Kisi Aur Din Aazad Nahin Farmate, Bila Shuba Allah Subhanahu Wa Ta'ala Is Din Apni Rehmat o Maghfirat Ke Sath Bandon Ke Intehayi Qareeb Ho Jate Hain Aur Phir Farishton Ke Samne (Hujjaj Karam) Par Fakhr Karte Hue Farmate Hain: "Mere Ye Bande Kya Chahte Hain?".

[Sahih Muslim :: Book 7 :: Hadith 3126, 1348]


✦........►Aazimeene Hajj! Haram Se Bachen! ◄........✦

….He (ﷺ) then made a mention of a person who travels widely, his hair disheveled and covered with dust. He lifts his hand towards the sky (and thus makes the supplication): "O Lord, O Lord," whereas his diet is unlawful, his drink is unlawful, and his clothes are unlawful and his nourishment is unlawful. How can then his supplication be accepted?

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Aik Shaks Ka Tazkerah Farmaya Jo Ke Lamba Safar Kar Ke Aaya, Us Ke Sir Ke Baal Gard o Ghubar Se Ate Hue The Aur Wo Aasman Ki Taraf Hath Utha Utha Kar Duayen Kar Raha Tha Aur Keh Raha Tha: “Aye Mere Rabb! Aye Mere Rabb! Halan Ke Us Ka Khana Haram, Us Ka Pina Haram, Us Ka Libas Haram Aur Us Ki Ghiza Haram! To Us Ki Dua Kahan Se Qubool Ki Jaye?”

[Sahih Muslim :: Book 5 :: Hadith 2214,1015]


✦...♥ Baroz Jumah 31-07-2020, Arafah Ka Rozah ♥...✦

The Prophet ﷺ said: "Fast the Day of Arafah, for indeed I anticipate that Allah will forgive (the sins) of the year after it, and the year before it."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Mujhe Allah Ta’ala Ki Zaat Par Pokhta Yaqeen Hai Ke Yaum Arafah (9 Dhul Hijjah) Ke Roze Ke Badle Guzishta Saal Aur Aayindah Saal Ke Gunah Muaaf Farma Dega.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 3 :: Hadith 749, 749]

●◗► Tamaam Musalman Rozah Rakh Kar Ummat Muslimah Ke Liye Khususi Duaon ka Ehtemaam Karen.


✦.........♥ Hajj Ke 5 Ayyam Pehla Din ♥.........✦
(8 Dhul Hijjah): (India Mein 7 Dhul Hijjah)

Aaj Lakhon Aazmeene Hajj Makkah Mukarramah Se Mina Pahonch Rahe Hain Jahan Wo Panch Namazen: Zohar, Asr, Maghrib, Isha Aur 9 Dhul Hijjah Ki Fajr Ada Karenge, Mina Mein Ye Panchon Namazen Ada Karna Aur Aaj Ki Raat Mina Mein Guzarna Hajj Ki Sunnat Hai, Lehaza Agar Kisi Wajah Se Mina Pahochne Mein Kuch Takheer Ho Jaye Ya Mina Na Pahonch Saken To Hujjaje Karam Par Koi Dum Wagherah Lazim Nahin, Lekin Qasdan Aisa Karna Munasib Nahin, Kyun Ke Sunnat Chhodne Se Hajj Ka Sawab Kam Ho Jata Hai.

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Safar Hajj ki Shuruaat Qubool Farmaye Aur Tamam Aazmeene Hajj Ko Apne Hifz o Aman Mein Rakhe. (Aameen)


The Prophet (ﷺ) said: “Wear your white garments, for they are
among your best garments, and shroud your dead in them." (Sunan Abi Dawud: 4061)

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Sufaid Libas Pehna Karo Is Liye Ke Wo Tumhare Behtar Kapde Hain Aur Usi Mein Apne Murdon Ko Kafan Diya Karo.” (Sunan Abi Dawud: 4061)


✦...► Isha Se Qabl Sona Aur Isha Ke Baad Gup Shap Karna! ◄...✦

Narrated Abu Barza RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (ﷺ) disliked to sleep before the `Isha' prayer and to talk after it.

Urdu Translation: Hazrat Abu Barza RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke: “RasoolAllah ﷺ Isha Se Pehle Sone Aur Isha Ke Baad Baat Cheet Karne Ko Na Pasand Farmate The.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 1 :: Book 10 :: Hadith 543, 568]


Allah's Messenger (ﷺ) said: "There is no gift that a father gives his son more virtuous than good manners." (Jami` at-Tirmidhi: 1952)

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Kisi Walid Ne Apni Aulad Ko Acche Adab Se Zyadah Umdah Koi Tohfa Nahin Diya.” (Jami` at-Tirmidhi: 1952)


✦........♥ Allah Ki Kibriyai Bayan Karne Ka Mosam! ♥........✦

Hazrat Ibn Umar Aur Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhuma "Dhul Hijjah Ke Pehle Ashrah Mein Bazar Ki Taraf Nikal Jate Aur (Logon Ko Takbiraat Ki Taraf Mutawajje Karne Ke Liye) Takbiraat Padhte Aur Log Bhi Un Ke Sath Takbiraat Padhte." (Sahih Bukhari: 968)

وَقَالَ ابْنُ عَبَّاسٍ وَاذْكُرُوا اللَّهَ فِي أَيَّامٍ مَعْلُومَاتٍ أَيَّامُ الْعَشْرِ، وَالأَيَّامُ الْمَعْدُودَاتُ أَيَّامُ التَّشْرِيقِ.
وَكَانَ ابْنُ عُمَرَ وَأَبُو هُرَيْرَةَ يَخْرُجَانِ إِلَى السُّوقِ فِي أَيَّامِ الْعَشْرِ يُكَبِّرَانِ، وَيُكَبِّرُ النَّاسُ بِتَكْبِيرِهِمَا.


The Prophet (ﷺ) said: "The best of you are those who live the longest, and are the best in deeds."

RasoolAllah (ﷺ) Ne Farmaya: “Tum Mein Sab Se Behtar Wo Hai Jis Ki Umr Lambi Ho Aur Us Ke Aamal Acche Hon.” (Jami` at-Tirmidhi: 2330)