Pages

Wednesday, 5 August 2020

✦............► Paye Khane Ka Zikr! ◄............✦

It was narrated that ‘Aishah RadiyAllahu Anha said: “We used to store trotters and the Messenger of Allah (ﷺ) would eat them fifteen days after the sacrifice.”

Urdu Translation: Hazrat Aishah RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke Ham Paye Utha Kar Rakh Leti Thin, RasoolAllah ﷺ Qurbani Ke Pandhra Din Baad Inhen Tanawul Farmate The.”

●◗► Is Hadees Se Paye Khane Ka Saboot Milta Hai, Baaz Riwayat Mein Pandhra Aur Baaz Mein Aik Maah Baad Khane Ka Zikr Milta Hai, Sahulat Ke Madde Nazar Kisi Waqt Bhi Khaye Ja Sakte Hain.

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 4 :: Book 29 :: Hadith 3313, 3313]


Allah's Messenger (ﷺ) commanded the licking of fingers and the dish, saying: “You do not know in what portion the blessing lies.” (Sahih Muslim: 5043)

RasoolAllah (ﷺ) Ne (Khane Ke Aakhir Mein) Ungliyan Chatne Aur Bartan Saaf Karne Ka Hukum Diya Aur Irshad Farmaya: “Tumhen Maloom Nahin Ke Khane Ke Kis Hisse Mein Barkat Hai.” (Sahih Muslim: 5043)


✦.....✔ Qarz Aur Dushmanon Se Hifazat Ki Dua! ✔.....✦

‏ "‏ اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ غَلَبَةِ الدَّيْنِ وَغَلَبَةِ الْعَدُوِّ وَشَمَاتَةِ الأَعْدَاءِ ‏"
"Allahumma inni a'udhu bika min ghalabatid-dain, wa ghalabatil-'aduwwi, wa shamatatil-a'da'.

“Aye Allah! Main Aap Ki Panah Chahta Hun Qarz Ke Bojh Se, Dushman Ke Ghalbe Se Aur Dushmanon Ke (Mujh Par) Hansne Se.” (Sunan an-Nasa'i: 5475)


✦.............♥ Hajj Ke 5 Ayyam 4 Aur 5 Din ♥.............✦
(11,12 Dhul Hijjah): (India Mein 10,11 Dhul Hijjah)

Hujjaj Karam Hajj Ke Chaothe Aur Panchwen Din Mina Mein Qiyam Kar Ke Tarteeb Waar Teenon Jamrat Ki Rami Karenge, Pehle Jamrah Ula (Chote Alamati Shaitan) Par Kankariyan Marenge, Phir Jamrah Wusta Par Aur Phir Jamrah Aqabah (Bade Alamati Shaitan) Par Kankariyan Marenge, Aur Agar Koi Haji 10 Dhul Hijjah (Hajj Ke Teesre Din) Qurbani, Halaq, Tawaf Ziyarat Aur Hajj Ki Sayi Na Kar Saka To Wo Hajj Ke Panchwen Din (12 Dhul Hijjah) Ke Ghuroob Aaftab Tak Kar Sakta Hai, Agar Haji 12 Dhul Hijjah Ko Ghuroob Aftab Ke Baad Mina Mein Taher Gaye Aur Subah Sadiq Wahin Ho Gayi To Agle Din 13 Dhul Hijjah Ki Rami Jamrat Bhi Wajib Ho Jayegi Aur Is Ke Sath Hi Hajj Ke Afaal o Manasik Mukammal Ho Jayenge Sirf Tawafe Wida Reh Jayega Jise Wapsi Se Qabl Kisi Bhi Waqt Karna Lazim Hoga.

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Safar Hajj Ke Shuruaat Qubool Farmaye Aur Tamam Aazmeene Hajj Ko Apne Hifz o Aman Mein Rakhe. (Aameen)


✦....►Ghair Muslimon Ko Qurbani Ka Gosht Diya Ja Sakta Hai? ◄....✦

⇨ "Allah does not forbid you from those who do not fight you because of religion and do not expel you from your homes - from being righteous toward them and acting justly toward them. Indeed, Allah loves those who act justly." (Surah Al-Mumtahanah:8)

⇨ "Jin Logon Ne Tum Se Deen Ke Muamle Mein Jung Nahin Ki Aur Na Tum Ko Tumhare Gharon Se Nikala, Un Ke Sath Bhalayi Aur Insaf Ka Sulook Karne Se Allah Tumhen Mana Nahin Karta, Allah Subhanahu Wa Ta'ala To Insaf Karne Walon Ko Pasand Karta Hai." (Surah Al-Mumtahanah:8)

●◗► Qurbani Ka Gosht Sulah Jo Aur Pur Aman Ghair Muslimon Ko Dena Jayez Hai, Albatta Fitna Baaz Aur Nuqsan Pohnchane Wale Ghair Muslimon Ko Qurbani Ka Gosht Dena Jayez Nahin.


✦.......♥ Qurbani Ka Gosht Istemal Karne Ki Muddat! ♥........✦

Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati hain ke Aik Martaba Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu Hamare Yahan (Taweel) Safar Se Wapas Aaye, Ham Ne Unhen Qurbani Ka Gosht Pesh Kiya To Unhon Ne Farmaya Ke Main Jab Tak Nabi Akram ﷺ Se Is Ke Mutalliq Khud Na Puch Lun, Ise Nahin Khaunga, Chunanche Unhon Ne Aap ﷺ Se Is Ke Mutalliq Pucha To Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya:

“Aik Dhul Hijjah Se Dusre Dhul Hijjah Tak Qurbani Ka Gosht Kha Sakte Ho. (Yani Pura Saal Ise Istemal Mein Laya Ja Sakta Hai).

[Musnad Ahmad bin Hanbal: 25259]

عن عائشة قدم علينا على من سفر فقدمنا إليه منه فقال لا آكله حتى أسأل عنه رسول الله صلى الله عليه و سلم قالت فسأله علي فقال رسول الله صلى الله عليه و سلم كلوه من ذي الحجة إلى ذي الحجة (مسند امام احمد بن حنبل : 25259 ،حدیث حسن) See less


•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*
Abuzar Ki Janib Se Tamam Musalmanon Ko Eid Al-Adha Mubarak
•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*

●◗► Aye Allah! Hamari Qurbani aur Hajje Baitullah Samait Tamam Ibadaat ko Apni Bargaah Mein Qubool Farma kar Hamen Deene Mateen Par Qurban Ho Jane ka "Jazba Ibrahimi" Ata Farmade. (Aameen)

تَقَبَّلَ اللّهُ مِنَّا وَ مِنْكُمْ

'Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' Allah Paak Hamare Aur Aap Ke Naik Aa’maal Qubool Farmaye."

★•.•´¯`•.•★ ♥ A A M E E N ♥ ★•.•´¯`•.•★

اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد


When the Messenger of Allah (ﷺ) came to Medina, the people had two days on which they engaged in games. He asked: What are these two days (what is the significance)? They said: We used to engage ourselves on them in the pre-Islamic period. The Messenger of Allah (ﷺ) said: Allah has substituted for them something better than them, the day of sacrifice and the day of the breaking of the fast.

RasoolAllah ﷺ (Makkah Mukarramah Se) Madinah Munawwarah Tashreef Laye To Ahle Madinah Ke Liye Zamane Jahiliyat Ke 2 Din (Neroz Aur Maherjan) Muqarrar The Jin Mein Wo Log Khel Kood Kiya Karte The. Nabi Akram ﷺ Ne Un Se Pucha Ke Ye Kon Se 2 Din Hain? Unhon Ne Kaha Ke Ham Zamana Jahiliyat Mein In Dinon Mein Khel Kood o Tafreeh Kiya Karte The,

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ne In 2 Dinon Ke Badle In Se Bahot Behtar 2 Din Tumhen Inayat Farmaye Hain: “Aik Eid Ul-Adha Ka Din Aur Dusra Eid Ul-Fitr Ka Din.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 3 :: Hadith 1130, 1134]


✦........✿ ......♥ Hajj Ke 5 Ayyam ♥......✿ ........✦
Teesra Din (10 Dhul Hijjah): (India Mein 9 Dhul Hijjah)

Aaj Manasik Hajj Ki Adayegi Ka Teesra Ahem Tareen Din Hai, Hujjaj Karam Muzdalifah Mein Namaz Fajr Awwal Waqt Mein Padhne Ke Baad Tulu Aftab Tak Wuqufe Muzdalifah Karenge Aur Zikr o Dua Aur Tasbihat Mein Mashghool Rahenge, Tulu Aaftab Ke Waqt Mina Ki Taraf Rawana Ho Jayenge Aur Muzdalifah Se Hi Apne Sath Taqriban 70 Kankariyan Bhi Le Lenge, Mina Pahonch Kar Jamrah Aqabah (Bade Alamati Shaitan) Par Kankariyan Marenge, Pehli Kankari Marte Hi Talbiya Padhna Band Kar Denge, Is Ke Baad Hajj Ki Qurbani Karenge Aur Phir Sir Mundhwa Kar Ya Baal Chote Karwa Kar Ehram Ki Beshtar Pabandiyon Se Aazad Ho Jayenge, Is Din Agar Moqa Muyyasar Aasaka To Hujjaj Karam Makkah Mukarramah Pahoch Kar Tawaf Ziyarat Aur Sayi Bhi Kar Lenge.

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Safar Hajj Ke Shuruaat Qubool Farmaye Aur Tamam Aazmeene Hajj Ko Apne Hifz o Aman Mein Rakhe. (Aameen)


Takbeerate Tashreeq!


✦.........✔ TAKBEERATE TASHREEQ ✔.........✦

اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد

"Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu Arafah (9 Dhul Hijjah) Ke Din Namaz Fajr Se Ayyam Tashreeq Ke Aakhri Din (13 Dhul Hijjah) ki Namaz Asr Tak Takbeere Tashreeq Padhte The."

[Musannaf Ibn Abi Shaybah :: Hadith 5631]

●◗► 9 Dhul Hijjah Ki Fajr Se 13 Dhul Hijjah Ki Asr Tak Har Farz Namaz Ke Baad Ba Jama’at Ya Tanha Namaz Padhne Wale Mard Par Aik Martaba Buland Aawaz Se Aur Aurat Par Aik Martaba Aahista Aawaz Se Ye Takbeer Padhna Wajib Hai.


✦.........♥ Hajj Ke 5 Ayyam Dusra Din ♥.........✦
(9 Dhul Hijjah): (India Mein 8 Dhul Hijjah)

Aaj Ka Din Ayyam Hajj Ka Sab Se Ahem Aur Masroof Tareen Din Hai, Aaj Subah Talbiya Padhte Hue Hujjaj Karam Mina Se Arafat Ke Liye Rawana Ho Jayenge, Maidane Arafat Mein Zawal Ke Baad Hajj Ka Rukn Aazam “Wuqufe Arafah” Ada Karenge, Is Dauran Zohar Aur Asr Ki Namazen Ikatthi Ada Ki Jayengi, Namazon Ke Alawah Ghuroob Aaftab Tak Jitna Waqt Bachega, Hujjaj Karam Qibla Rukh Ho Kar Khoob Aahwazari Aur Duayen Mangenge Aur Ghuroob Aftab Ke Baad Talbiya Padhte Hue “Muzdalifah” Ki Janib Rawana Ho Jayen, Muzdalifah Pahonch Kar Maghrib Aur Isha Ki Namazen Isha Ke Waqt Mein Ikatthi Ada Karenge Aur Aaj Ki Raat Muzdalifah Mein Guzarenge, Muzdalifah Mein Namaze Fajr Awwal Waqt Mein Ada Kar Ke Qibla Rukh Ho Kar Duaon Aur Zikr o Azkar Mein Mashghool Ho Jayenge, Is Aml Ko “Wuqoofe Muzdalifah” Kaha Jata Hai.

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Apni Mansha Ke Mutabiq Hujjaj Karam Ko Manasike Hajj Ada Karne Ki Toufeeq Marhamat Farmaye. (Aameen)


✦..♥ Arafah Rehmat o Maghfirat Ka Thathen Marta Samandar ♥..✦

'A'isha (Allah be pleased with her) reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: “There is no day when God sets free more servants from Hell than the Day of 'Arafah. He draws near, then praises them to the angels, saying: What do these want?.”

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Allah Subhanahu Wa Ta'ala Arafah Ke Din Jis Qadar Logon Ko Jahannam Se Aazad Farmate Hain Itne Kisi Aur Din Aazad Nahin Farmate, Bila Shuba Allah Subhanahu Wa Ta'ala Is Din Apni Rehmat o Maghfirat Ke Sath Bandon Ke Intehayi Qareeb Ho Jate Hain Aur Phir Farishton Ke Samne (Hujjaj Karam) Par Fakhr Karte Hue Farmate Hain: "Mere Ye Bande Kya Chahte Hain?".

[Sahih Muslim :: Book 7 :: Hadith 3126, 1348]


✦........►Aazimeene Hajj! Haram Se Bachen! ◄........✦

….He (ﷺ) then made a mention of a person who travels widely, his hair disheveled and covered with dust. He lifts his hand towards the sky (and thus makes the supplication): "O Lord, O Lord," whereas his diet is unlawful, his drink is unlawful, and his clothes are unlawful and his nourishment is unlawful. How can then his supplication be accepted?

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Aik Shaks Ka Tazkerah Farmaya Jo Ke Lamba Safar Kar Ke Aaya, Us Ke Sir Ke Baal Gard o Ghubar Se Ate Hue The Aur Wo Aasman Ki Taraf Hath Utha Utha Kar Duayen Kar Raha Tha Aur Keh Raha Tha: “Aye Mere Rabb! Aye Mere Rabb! Halan Ke Us Ka Khana Haram, Us Ka Pina Haram, Us Ka Libas Haram Aur Us Ki Ghiza Haram! To Us Ki Dua Kahan Se Qubool Ki Jaye?”

[Sahih Muslim :: Book 5 :: Hadith 2214,1015]


✦...♥ Baroz Jumah 31-07-2020, Arafah Ka Rozah ♥...✦

The Prophet ﷺ said: "Fast the Day of Arafah, for indeed I anticipate that Allah will forgive (the sins) of the year after it, and the year before it."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Mujhe Allah Ta’ala Ki Zaat Par Pokhta Yaqeen Hai Ke Yaum Arafah (9 Dhul Hijjah) Ke Roze Ke Badle Guzishta Saal Aur Aayindah Saal Ke Gunah Muaaf Farma Dega.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 3 :: Hadith 749, 749]

●◗► Tamaam Musalman Rozah Rakh Kar Ummat Muslimah Ke Liye Khususi Duaon ka Ehtemaam Karen.


✦.........♥ Hajj Ke 5 Ayyam Pehla Din ♥.........✦
(8 Dhul Hijjah): (India Mein 7 Dhul Hijjah)

Aaj Lakhon Aazmeene Hajj Makkah Mukarramah Se Mina Pahonch Rahe Hain Jahan Wo Panch Namazen: Zohar, Asr, Maghrib, Isha Aur 9 Dhul Hijjah Ki Fajr Ada Karenge, Mina Mein Ye Panchon Namazen Ada Karna Aur Aaj Ki Raat Mina Mein Guzarna Hajj Ki Sunnat Hai, Lehaza Agar Kisi Wajah Se Mina Pahochne Mein Kuch Takheer Ho Jaye Ya Mina Na Pahonch Saken To Hujjaje Karam Par Koi Dum Wagherah Lazim Nahin, Lekin Qasdan Aisa Karna Munasib Nahin, Kyun Ke Sunnat Chhodne Se Hajj Ka Sawab Kam Ho Jata Hai.

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Safar Hajj ki Shuruaat Qubool Farmaye Aur Tamam Aazmeene Hajj Ko Apne Hifz o Aman Mein Rakhe. (Aameen)


The Prophet (ﷺ) said: “Wear your white garments, for they are
among your best garments, and shroud your dead in them." (Sunan Abi Dawud: 4061)

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Sufaid Libas Pehna Karo Is Liye Ke Wo Tumhare Behtar Kapde Hain Aur Usi Mein Apne Murdon Ko Kafan Diya Karo.” (Sunan Abi Dawud: 4061)


✦...► Isha Se Qabl Sona Aur Isha Ke Baad Gup Shap Karna! ◄...✦

Narrated Abu Barza RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (ﷺ) disliked to sleep before the `Isha' prayer and to talk after it.

Urdu Translation: Hazrat Abu Barza RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke: “RasoolAllah ﷺ Isha Se Pehle Sone Aur Isha Ke Baad Baat Cheet Karne Ko Na Pasand Farmate The.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 1 :: Book 10 :: Hadith 543, 568]


Allah's Messenger (ﷺ) said: "There is no gift that a father gives his son more virtuous than good manners." (Jami` at-Tirmidhi: 1952)

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Kisi Walid Ne Apni Aulad Ko Acche Adab Se Zyadah Umdah Koi Tohfa Nahin Diya.” (Jami` at-Tirmidhi: 1952)


✦........♥ Allah Ki Kibriyai Bayan Karne Ka Mosam! ♥........✦

Hazrat Ibn Umar Aur Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhuma "Dhul Hijjah Ke Pehle Ashrah Mein Bazar Ki Taraf Nikal Jate Aur (Logon Ko Takbiraat Ki Taraf Mutawajje Karne Ke Liye) Takbiraat Padhte Aur Log Bhi Un Ke Sath Takbiraat Padhte." (Sahih Bukhari: 968)

وَقَالَ ابْنُ عَبَّاسٍ وَاذْكُرُوا اللَّهَ فِي أَيَّامٍ مَعْلُومَاتٍ أَيَّامُ الْعَشْرِ، وَالأَيَّامُ الْمَعْدُودَاتُ أَيَّامُ التَّشْرِيقِ.
وَكَانَ ابْنُ عُمَرَ وَأَبُو هُرَيْرَةَ يَخْرُجَانِ إِلَى السُّوقِ فِي أَيَّامِ الْعَشْرِ يُكَبِّرَانِ، وَيُكَبِّرُ النَّاسُ بِتَكْبِيرِهِمَا.


The Prophet (ﷺ) said: "The best of you are those who live the longest, and are the best in deeds."

RasoolAllah (ﷺ) Ne Farmaya: “Tum Mein Sab Se Behtar Wo Hai Jis Ki Umr Lambi Ho Aur Us Ke Aamal Acche Hon.” (Jami` at-Tirmidhi: 2330)

No comments:

Post a Comment