Pages

Tuesday, 13 December 2022

“Insan Mature Tab Nahin Hota, Jab WohSahih Aur Ghalat Ka Faisla Khud Karne Lagta Hai, Insan Mature Tab Hota Hai, Jab Woh Apni Aziz Tareen Cheez Ya Shaks Se Door Ho Jaye, Use Dekhna Band Karde, Milna Tark Karde, Aur Samajh Le Ke In Sab Ke Baghair Bhi Jiya Ja Sakta Hai Zindagi Yun Hi Chalegi Jaise Chal Rahi Thi, Agar Koi Kami Hai Bhi To Waqt Jald Us Ka Izala Kar Dega, Kyun Ke Waqt Se Bada Marham Koi Nahin Hota, Hamen Apne Dil Se Mazirat Kar Leni Chahiye Isi Liye Ye Samajhna Chhod Den Ke “Hamen Kuch Na Mila To Ham Mar Jayen Ge” Ham Oxygen Aur Pani Ke Siwa Har Cheez Ke Baghair Ji Sakte Hain, Woh Aik Alag Baat Hai Ke Jine Ke Andaz Badal Jate Hain.”


✦.......► Aik Joota Pahen Kar Chalne Ki Mumaniat ◄.......✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu Allah's Messenger (ﷺ) said: "None of you should walk, wearing one shoe only; he should either put on both shoes or put on no shoes whatsoever."

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Tum Mein Koi Shaks Sirf Aik Paon Mein Joota Pahen Kar Na Chale, Ya Donon Paon Nanga Rakhe Ya Donon Mein Joota Pahne.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 72 :: Hadith 746, 5856]


"‏ اللَّهُمَّ حَوَالَيْنَا وَلاَ عَلَيْنَا، اللَّهُمَّ عَلَى الآكَامِ وَالْجِبَالِ وَالآجَامِ وَالظِّرَابِ وَالأَوْدِيَةِ وَمَنَابِتِ الشَّجَرِ ‏"‏‏.‏
Aye Allah! Hamare Ird Gird Barish Barsa Aur Ham Par Na Barsa, Aye Allah! Telon, Pahadon, Jangalaat, Unche Maidanon, Wadiyon Aur Darakhton Ki Jadon Mein Barish Barsa. (Sahih Bukhari:1013)


✦.......► Khawateen Ke Libas Ke Sharyi Usool ◄.......✦

• Tamaam Badan Ko Dhakne Wala Ho.
• Itna Bareek Na Ho Ke Badan Nazar Aaye.
• Itna Chust Aur Tang Na Ho Ke Badan Ke Nasheyb o Faraaz Zahir Ho Jayen.
• Mardon Ke Libaas Ke Mushaba Na Ho.
• Naam o Namood Aur Shohrat Ke Liye Na Ho.
• Libas Mein Aisi Zaib o Zeenat Na Ho Ke Na Mahram Us Ki Taraf Mutawajje Ho Jayen.


“Apne Jazbat Ko Apne Andar Rakhna Sikhen, Koi Tawajjo Na De To Tawajjo Ki Bheek Na Mangen, Koi Baat Na Kare To Dus Qadam Piche Hat Jayen, Koi Aap Ki Taraf Na Dekhe To Use Majboor Na Karen, Ye Dunya Aap Ke Mukhlis Jazbaat Aap Ke Muh Par Marne Mein Mahir Hai Is Liye Apne Aap Ke Sath Khush Rehna Sikhen.”


•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*¸.•*´¨`*•.¸
Ilmi Majlis Ki Janib Se Tamam Chahne Walon Ko Eid Mubarak
•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*¸.•*´¨`*•.¸

●◗► Allah Ta’ala Ham Sab Ki Qurbani Aur Hajje Baitullah Samait Digar Tamam Ibadaat Apni Bargaah Rehmat Mein Qubool Farma Kar Hamen Deene Mateen Ke Liye Har Tarah Ki Qurbani Dene Ka Jazba Ibrahimi Ata Farmaye. (Aameen)

تَقَبَّلَ اللّهُ مِنَّا وَ مِنْكُمْ
'Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' Allah paak Hamare aur Aap ke Naik Aa’maal Qubool Farmaye."

★•.•´¯`•.•★ ♥ A A M E E N ♥ ★•.•´¯`•.•★

اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد
●◗► "Allahu Akbar Allahu Akbar La ilaaha illallahu Wallahu Akbar, Allahu Akbar Walillahil Hamd!"


✦.............♥ Hajj Ke 5 Ayyam 4 Aur 5 Din ♥.............✦
(11,12 Dhul Hijjah): (India Mein 10,11 Dhul Hijjah)

Hujjaj Karam Hajj Ke Chaothe Aur Panchwen Din Mina Mein Qiyam Kar Ke Tarteeb Waar Teenon Jamrat Ki Rami Karenge, Pehle Jamrah Ula (Chote Alamati Shaitan) Par Kankariyan Marenge, Phir Jamrah Wusta Par Aur Phir Jamrah Aqabah (Bade Alamati Shaitan) Par Kankariyan Marenge, Aur Agar Koi Haji 10 Dhul Hijjah (Hajj Ke Teesre Din) Qurbani, Halaq, Tawaf Ziyarat Aur Hajj Ki Sayi Na Kar Saka To Wo Hajj Ke Panchwen Din (12 Dhul Hijjah) Ke Ghuroob Aaftab Tak Kar Sakta Hai, Agar Haji 12 Dhul Hijjah Ko Ghuroob Aftab Ke Baad Mina Mein Taher Gaye Aur Subah Sadiq Wahin Ho Gayi To Agle Din 13 Dhul Hijjah Ki Rami Jamrat Bhi Wajib Ho Jayegi Aur Is Ke Sath Hi Hajj Ke Afaal o Manasik Mukammal Ho Jayenge Sirf Tawafe Wida Reh Jayega Jise Wapsi Se Qabl Kisi Bhi Waqt Karna Lazim Hoga.

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Safar Hajj Ke Shuruaat Qubool Farmaye Aur Tamam Aazmeene Hajj Ko Apne Hifz o Aman Mein Rakhe. (Aameen)


✦.......♥ Eid Al-Adha Ke Aadaab ♥.......✦

❶ Subah Sawere(Namaze Fajr Se Qabl) Bedar Hona.
❷ Miswak Karna.
❸ Ghusul Karna.
❹ Shari’at Ki Hudood Mein Rahte Hue Zaib o Zeenat Ekhtiyar Karna
❺ Khushbo Lagana.
❻ Eid Ki Namaz, Eidgah Mein Padhna.
❼ Jald Az Jald Eidgah Pahonchna, Paidal Jana Aur Wapsi Par Dusra Rasta EkhtiyarKarna
❽ Raaste Mein
اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد
"Allahu Akbar Allahu Akbar La ilaaha illallahu Wallahu Akbar, Allahu Akbar Walillahil Hamd!" Ba’aawaze Buland Padhna.
❾ Eid Ki Namaz Se Pehle Kuch Na Khana.
➓ Qurbani Ke Mubarak Gosht Se Khane Ki Ibteda Karna.


✦.........♥ TAKBEERATE TASHREEQ ♥.........✦

اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد

"Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu Arafah (9 Dhul Hijjah) Ke Din Namaz Fajr Se Ayyam Tashreeq Ke Aakhri Din (13 Dhul Hijjah) ki Namaz Asr Tak Takbeere Tashreeq Padhte The."

[Musannaf Ibn Abi Shaybah :: Hadith 5631]

●◗► 9 Dhul Hijjah Ki Fajr Se 13 Dhul Hijjah Ki Asr Tak Har Farz Namaz Ke Baad Ba Jama’at Ya Tanha Namaz Padhne Wale Mard Par Aik Martaba Buland Aawaz Se Aur Aurat Par Aik Martaba Aahista Aawaz Se Ye Takbeer Padhna Wajib Hai.


✦..........♥ Hajj Ke 5 Ayyam Dusra Din ♥..........✦
(9 Dhul Hijjah): (India Mein 8 Dhul Hijjah)

Aaj Ka Din Ayyam Hajj Ka Sab Se Ahem Aur Masroof Tareen Din Hai, Aaj Subah Talbiya Padhte Hue Hujjaj Karam Mina Se Arafat Ke Liye Rawana Ho Jayenge, Maidane Arafat Mein Zawal Ke Baad Hajj Ka Rukn Aazam “Wuqufe Arafah” Ada Karenge, Is Dauran Zohar Aur Asr Ki Namazen Ikatthi Ada Ki Jayengi, Namazon Ke Alawah Ghuroob Aaftab Tak Jitna Waqt Bachega, Hujjaj Karam Qibla Rukh Ho Kar Khoob Aahwazari Aur Duayen Mangenge Aur Ghuroob Aftab Ke Baad Talbiya Padhte Hue “Muzdalifah” Ki Janib Rawana Ho Jayen, Muzdalifah Pahonch Kar Maghrib Aur Isha Ki Namazen Isha Ke Waqt Mein Ikatthi Ada Karenge Aur Aaj Ki Raat Muzdalifah Mein Guzarenge, Muzdalifah Mein Namaze Fajr Awwal Waqt Mein Ada Kar Ke Qibla Rukh Ho Kar Duaon Aur Zikr o Azkar Mein Mashghool Ho Jayenge, Is Aml Ko “Wuqoofe Muzdalifah” Kaha Jata Hai.

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Apni Mansha Ke Mutabiq Hujjaj Karam Ko Manasike Hajj Ada Karne Ki Toufeeq Marhamat Farmaye. (Aameen)


✦..♥ Arafah Rehmat o Maghfirat Ka Thathen Marta Samandar ♥..✦

'A'isha (Allah be pleased with her) reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: “There is no day when God sets free more servants from Hell than the Day of 'Arafah. He draws near, then praises them to the angels, saying: What do these want?.”

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Allah Subhanahu Wa Ta'ala Arafah Ke Din Jis Qadar Logon Ko Jahannam Se Aazad Farmate Hain Itne Kisi Aur Din Aazad Nahin Farmate, Bila Shuba Allah Subhanahu Wa Ta'ala Is Din Apni Rehmat o Maghfirat Ke Sath Bandon Ke Intehayi Qareeb Ho Jate Hain Aur Phir Farishton Ke Samne (Hujjaj Karam) Par Fakhr Karte Hue Farmate Hain: "Mere Ye Bande Kya Chahte Hain?".

[Sahih Muslim :: Book 7 :: Hadith 3126, 1348]


✦..........♥ Hajj Ke 5 Ayyam Dusra Din ♥..........✦
(9 Dhul Hijjah): (India Mein 8 Dhul Hijjah)

Aaj Ka Din Ayyam Hajj Ka Sab Se Ahem Aur Masroof Tareen Din Hai, Aaj Subah Talbiya Padhte Hue Hujjaj Karam Mina Se Arafat Ke Liye Rawana Ho Jayenge, Maidane Arafat Mein Zawal Ke Baad Hajj Ka Rukn Aazam “Wuqufe Arafah” Ada Karenge, Is Dauran Zohar Aur Asr Ki Namazen Ikatthi Ada Ki Jayengi, Namazon Ke Alawah Ghuroob Aaftab Tak Jitna Waqt Bachega, Hujjaj Karam Qibla Rukh Ho Kar Khoob Aahwazari Aur Duayen Mangenge Aur Ghuroob Aftab Ke Baad Talbiya Padhte Hue “Muzdalifah” Ki Janib Rawana Ho Jayen, Muzdalifah Pahonch Kar Maghrib Aur Isha Ki Namazen Isha Ke Waqt Mein Ikatthi Ada Karenge Aur Aaj Ki Raat Muzdalifah Mein Guzarenge, Muzdalifah Mein Namaze Fajr Awwal Waqt Mein Ada Kar Ke Qibla Rukh Ho Kar Duaon Aur Zikr o Azkar Mein Mashghool Ho Jayenge, Is Aml Ko “Wuqoofe Muzdalifah” Kaha Jata Hai.

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Apni Mansha Ke Mutabiq Hujjaj Karam Ko Manasike Hajj Ada Karne Ki Toufeeq Marhamat Farmaye. (Aameen)


Khawateen Ke Liye Takbeerat Yaad Rakhne Ka Aasan Tariqah: Apne Ghar Ke Jaye Namaz Par Is Tarah Likh Kar Lagaden Is Tarah Karne Se Aurten Takbeerat Padhna Nahin Bhoolengi InshaAllah.

Khawateen, 9 Dhul Hijjah Ki Fajr Se 13 Dhul Hijjah Ki Asr Tak Har Farz Namaz Ke Baad Aahista Aawaz Se Aik Martaba Takbeerat Tashreeq Padhen Gi.


✦......♥ Baroz Hafta 9 July 2022, Arafah Ka Rozah ♥......✦

The Prophet ﷺ said: "Fast the Day of Arafah, for indeed I anticipate that Allah will forgive (the sins) of the year after it, and the year before it."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Mujhe Allah Ta’ala Ki Zaat Par Pokhta Yaqeen Hai Ke Yaum Arafah (9 Dhul Hijjah) Ke Roze Ke Badle Guzishta Saal Aur Aayindah Saal Ke Gunah Muaaf Farma Dega.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2, Book 3 :: Hadith 749, 749]


✦..........♥ Hajj Ke 5 Ayyam Pehla Din ♥..........✦
(8 Dhul Hijjah): (India Mein 7 Dhul Hijjah)

Aaj Hazaron Aazmeene Hajj Makkah Mukarramah Se Mina Pahonch Rahe Hain Jahan Wo Panch Namazen: Zohar, Asr, Maghrib, Isha Aur 9 Dhul Hijjah Ki Fajr Ada Karenge, Mina Mein Ye Panchon Namazen Ada Karna Aur Aaj Ki Raat Mina Mein Guzarna Hajj Ki Sunnat Hai, Lehaza Agar Kisi Wajah Se Mina Pahochne Mein Kuch Takheer Ho Jaye Ya Mina Na Pahonch Saken To Hujjaje Karam Par Koi Dum Wagherah Lazim Nahin, Lekin Qasdan Aisa Karna Munasib Nahin, Kyun Ke Sunnat Chhodne Se Hajj Ka Sawab Kam Ho Jata Hai.

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Safar Hajj ki Shuruaat Qubool Farmaye Aur Tamam Aazmeene Hajj Ko Apne Hifz o Aman Mein Rakhe. (Aameen)



✦ Qurbani Ke Janwar Ka Khoon, Gobar Aur Oon ✦
✦...► Nekiyon Ka Palda Bhari Karne Ka Sabab! ◄...✦

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Qurbani Kiya Karo Aur Khush Dili Se Kiya Karo! Kyun Ke Jab Musalman Apni Qurbani Ka Rukh Qible Ki Taraf (Kar Ke Zabah) Karta Hai To Us Janwar Ka Khoon, Gobar Aur Oon Qayamat Ke Din Us Ke Aamal Ke Tarazu Mein Nekiyon Ki Surat Mein Rakhe Jayen Ge.” (Musannaf Abdul Razzaq:8167)

عَنْ عَائِشَةَ، أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: «ضَحُّوا، وَطَيِّبُوا بِهَا أَنْفُسَكُمْ؛ فَإِنَّهُ لَيْسَ مِنْ مُسْلِمٍ يُوَجِّهُ ضَحِيَّتَهُ إِلَى الْقِبْلَةِ إِلَّا كَانَ دَمُهَا، وَفَرَثُهَا، وَصَوْفُهَا حَسَنَاتٍ مُحْضَرَاتٍ فِي مِيزَانِهِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ» (مصنف عبدالرزاق:8167،بَابُ فَضْلِ الضَّحَايَا وَالْهَدْيِ، وَهَلْ يَذْبَحُ الْمُحْرِمُ)


✦...♥ Talbiya Aur Takbir Padhne Par Jannat Ki Basharat! ♥...✦

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Talbiya Padhne Wala Jab Talbiya Padhta Hai To Use Khushkhabri Sunayi Jati Hai, Isi Tarah Takbeer Kehne Wala Jab Takbeer Kehta Hai To Use Bhi Khushkhabri Sunayi Jati Hai, Pucha Gaya: Ya RasoolAllah! Kya Jannat Ki Khushkhabri Sunayi Jati Hai? Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: Han.” (Al-Mu’jamul Awsat Al-Tabarani:7779)

عن أبي هريرة عن النبي صلى الله عليه و سلم قال ما أهل مهل قط إلا بشر ولا كبر مكبر قط إلا بشر قيل يا رسول الله بالجنة قال نعم (المعجم الاوسط للطبرانی:7779،حدیث صحیح)


✦............♥ Ashrah Dhul-Hijjah Mein ♥............✦
✦ Ramadan Al-Mubarak Ke Rozon Ki Qaza ✦

Hazrat Umar RadiyAllahu Anhu Irshad Farmate Hain: “Ramadan Al-Mubarak Ke Rozon Ki Qaza Ke Liye Mujhe Dhul Hijjah Ke 10 Dinon Se Zyadah Koi Din Mahboob Nahin.” (Sunan Al-Kubra Al-Bahaqi:8655)

عَنِ الأَسْوَدِ بْنِ قَيْسٍ عَنْ أَبِيهِ أَنَّ عُمَرَ رَضِىَ اللَّهُ عَنْهُ قَالَ : مَا مِنْ أَيَّامٍ أَحَبَّ إِلَىَّ أَنْ أَقْضِىَ فِيهَا شَهْرَ رَمَضَانَ مِنْ أَيَّامِ الْعَشْرِ.

(السنن الکبری للبیھقی:8655، باب جَوَازِ قَضَاءِ رَمَضَانَ فِى تِسْعَةِ أَيَّامٍ مِنْ ذِى الْحِجَّةِ )


✦.........♥ Ashrah Dhul Hijjah Ke Aamal ♥..........✦

● Hajj
● Qurbani
● Yaume Arfah Ka Rozah
● Takbeer o Tasbeeh o Tahmeed
● Allah Se Manajaat
● Tilawate Quran Majid
● Allah Ke Raste Mein Kharch Karna
● Amr Bil Maroof Wa Nahi Anil Munkar
● Din Mein Roze Raton Mein Ibadat

The Messenger of Allah ﷺ said: "There are no days in which righteous deeds are more beloved to Allah than those ten days ( Dhul-Hijjah)." They said: "O Messenger of Allah! Not even Jihad in Allah Cause?" The Messenger of Allah ﷺ said: "Not even Jihad in Allah's Cause, unless a man were to out with his self and his wealth and not return from that with anything."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Dhul Hijjah Ke Dus Dinon Ke Muqable Mein Dusre Koi Din Aise Nahin Jin Mein Naik Aml Allah Ta’ala Ko In Dinon Se Zyadah Mahboob Ho.” Sahaba Ne Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Kya Jihad Fi Sabilillah Bhi Nahin?
Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jihad Fi Sabilillah Bhi Nahin, Han Magar Wo Shaks Jo Apni Jaan o Maal Ke Sath Rahe Jihad Mein Nikle Aur Kuch Wapas Lekar Na Aaye (Wahin Shahid Ho Jaye).”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 3 :: Hadith 757, 757]


✦.........► Qurbani Zaye Hone Se Bachayyen! ◄.........✦

“Allah Ta'ala Tak Na Un Ka Gosht Pahonchta Hai Aur Na Khoon Balke Us Tak Tumhari Parhezgari Pahonchti Hai.”(Surah Al-Hajj:37)

●◗► Qurbani Aik Aisi Ibadat Hai Jis Mein Qadam Qadam Par Riyakari, Dikhlawa, Badayi Aur Takabbur Ke Imkanat Maujood Hain Lehaza Niyyaton Ko Durust Kijiye Ta Ke Aap Ki Qeemti Qurbani Zaye Hone Se Bach Jaye.


✦.......... ✔ Qurbani ke Janwaron Ki Tafseel ✔..........✦

✿ Chote Janwar: Bhaid, Dunbah, Bakra, Bakri ✿

• In Ki Umr Km Az Km Aik (1) Saal Honi Chahiye.
• Albatta Agar 6 Maah Ka Dumbah Jasamat Mein Aik Saal Ka Lage To Us Ki Qurbani Bhi Jayez Hai.
• In Ki Qurbani Sirf Aik Aadmi Ki Taraf Se Ho Sakti Hai.

●══════════════◄►═════════════●

✿ Bade Janwar: Bail, Bhains, ETC.. ✿

• In Ki Umr Km Az Km Do (2) Saal Honi Chahiye.
• In Ki Qurbani Mein Zyadah Se Zyadah Sath (7) Afrad Shareek Ho Sakte Hain.

●══════════════◄►═════════════●

✿ Oont ✿

• Is Ki Umr Km Az Km Panch (5) Saal Honi Chahiye.
• Is Ki Qurbani Mein Bhi Sath (7) Afrad Shareek Ho Sakte Hain.

●◗► Darje Bala Janwaron Ke Alawah Digar Halal Janwaron (Masalan: Nail Gaye Aur Hiran Wagherah) Ki Qurbani Durust Nahin, (Shurka Mein Se Kisi Aik Ki Aamdani Bhi Haram Ho Ya Mahez Gosht Khane Ki Niyyat Ho To Deegar Shurka Ki Qurbani Bhi Durust Na Hogi).


✦.........♥ Ashrah Dhul-Hijjah ♥.........✦

❶ Takbeer o Tahleel - اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ
❷ Taubah o Astaghfar
❸ Tahajjud Aur Duayen
❹ Rozah - (Pehle Ashre ke 9 din, Bilkhusu 9 Dhul Hijjah Yaum Arafah ka Rozah)
❺ Takbirate Tashreeq - (9 ki Fajr ta 13 ki Asr Tak)
اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد
❻ Qurbani - (10 Ta 12 Dhul Hijjah)


✦.........► QURBANI! ◄.........✦

Hukum: Aaqil, Baligh, Muqeem Aur Maal Daar Shaks Par Qurbani Karna Wajib Hai.

Fazeelat: “Allah Ta’ala Ke Nazdik Qurbani Ke Din Bandon Ke Tamam Aa’mal Mein Pasndidah Tareen Aml Janwar Ka Khoon Bahana Hai.” (Tirmidhi:1493)

Waqt: 10 Dhul Hijjah Ke Din Namaze Eid Ke Baad Se 12 Dhul Hijjah Ke Ghurube Shams Tak.

Sharayet: Janwar Ki Umr Shari’at Ki Tai Shudah Had Ke Barabar ho Aur Woh Janwar Aaib Daar Na Ho.

Aadab: Janwar Ka Gosht Khud Bhi Khaye Rishtedaron Ko Bhi Hadya Kare Aur Ghurba Mein Bhi Taqseem Kare.

Fawayed: Allah Ta’ala Ka Qurb Hasil Hota Hai, Makhlooq Par Rizq Ke Darwaze Khulte Hain.


✦.....♥ Mahe Dhul Hijjah Chand Dekhne Ki Dua! ♥.....✦

Bilal bin Yahya bin Talhah bin `Ubaidullah RadiyAllahu Anhu narrated: from his father, from his grandfather Talhah bin `Ubaidullah that when the Prophet (ﷺ) would see a crescent moon, he would say:

"‏ اللَّهُمَّ أَهْلِلْهُ عَلَيْنَا بِالْيُمْنِ وَالإِيمَانِ وَالسَّلاَمَةِ وَالإِسْلاَمِ رَبِّي وَرَبُّكَ اللَّهُ ‏"‏

“O Allah, bring it over us with blessing and faith, and security and Islam. My Lord and your Lord is Allah (Allāhumma ahlilhu `alainā bil-yumni wal-Īmān, was-salāmati wal-Islām, rabbī wa rabbuk Allāh).”

●═══════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Talhah bin Ubaidullah RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Rasool Akram ﷺ Jab Naya Chand Dekhte To Ye Dua Padhte:

"‏ اللَّهُمَّ أَهْلِلْهُ عَلَيْنَا بِالْيُمْنِ وَالإِيمَانِ وَالسَّلاَمَةِ وَالإِسْلاَمِ رَبِّي وَرَبُّكَ اللَّهُ ‏"‏

“Aye Allah! Is Chand Ko Ham Par Barkat, Iman, Salamati Aur Islam Ke Sath Tuloo Farma, (Aye Chand!) Mera Aur Tera Parwardigar Allah Hai.” (Allāhumma ahlilhu `alainā bil-yumni wal-Īmān, was-salāmati wal-Islām, rabbī wa rabbuk Allāh).”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3451, 3451]

●◗► Mahe Dhul Hijjah Ka Babarkat Chand Dekh Kar Mazkurah Baala Dua Padhna Na Bhulen!


“Jo Shaks Aap Ki Har Baat Ko Manfi (Negative) Andaz Mein Bayan Kare, Ya Hamesha Aap Ki Baton Se Manfi Pahlu Nikale To Woh Aap Se Mohabbat Nahin Boghz Rakhta Hai.”


✦.....► Qurbani Karne Wale Baal o Nakhun Na Tarashen ◄.....✦

Umm Salama RadiyAllahu Anha reported (these words) directly from Allah's Messenger (ﷺ): "If anyone has in his possession a sacrificial animal to offer as a sacrifice (on 'Id al-Adha), he should not get his hair cut and nails trimmed after he has entered the first days of Dhu'l Hijja."

Urdu Translation: Hazrat Umm Salamah RadiyAllahu Anha Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Jab Tum Maah Dhul Hijjah Ka Chand Dekh Lo Aur Tum Mein Se Kisi Ka Qurbani Karne Ka Iradah Ho To Use Chahiye Ke Woh (Janwar Zabah Karne Tak) Na Apne Jism Ke Baal Kate Aur Na Hi Nakhun Tarashe."

[Sahih Muslim :: Book 22 :: Hadith 4871, 1977]

●◗► 29-June-2022 Baroze Budh Ko 29 Dhul Qa’dah Hai Lehaza Qurbani Ka Iradah Rakhne Wale Tamam Hazraat 29 Dhul Qa’dah Budh Ke Din Maghrib Se Pehle Pehle Jism Ke Ghair Zaroori Baal Aur Nakhun Wagherah Tarash Len!


“Na Hi Har Baat Ki Safayyan Do, Aur Na Hi Har Baat Ki Wazahat Lo, Na Hi Har Kisi Ko Aazmao Aur Na Hi Har Baat Pe Zarurat Se Zyadah Ghaur o Fikr Karo, Zyadah Soch Bhi Insani Sukoon Khatam Kar Deti Hai, Dusron Ki Talkhi Ko Aik Kaan Se Suno, To Dusre Se Nikal Bahar Karo Aur Muskurakar Bhool Jao, Kyun Ke Zindagi Mein Bahot Se Muamlat Aise Hote Hain, Jo Itne Ahem Nahin Hote, Jitna Unhen Ham Bana Lete Hain.”


✦.....♥ Sunnate Ibrahimi Ka Tasalsul RasoolAllah ﷺ Ke Zamane Se Aaj Tak ♥.....✦

Hazrat Ibn Umar RadiyAllahu Anhu Farmate Hain RasoolAllah ﷺ Ne Madinah Munawwarah Ke 10 Saala Qiyam Mein Har Saal Qurbani Farmayi.

Hazrat Jabalah bin Suhaim RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Aik Aadmi Ne Hazrat Ibn Umar RadiyAllahu Anhu Se Sawal Kiya Ke Qurbani Wajib Hai ? Unhon Ne Irshad Farmaya: "Nabi Kareem ﷺ Ne Bhi Qurbani Ki Aur Aap Ke Baad Musalman Bhi Qurbani Karte Chale Aarahe Hain." (Jami` at-Tirmidhi: 1506,1507)

●═══════════════◄►══════════════●

Ibn ‘Umar RadiyAllahu Anhu said that the Messenger of Allah ﷺ stayed ten years in Medina, and that he used to observe the sacrifice.

Narrated Jabalah bin Suhaim RadiyAllahu Anhu: "That a man asked Ibn 'Umar about the Udhiyah, "Is it obligatory?" So he said: "The Messenger of Allah (ﷺ) performed the Udhiyah as did the Muslims." (Jami` at-Tirmidhi: 1506,1507)


“Agar Hamare Akhlaq Sirf Man Chahe, Chand Logon Ke Liye Acche Hai To Ham Sirf Moqa Parast Hain, Khush Akhlaq Nahin.”


✦..........► Mohtajgi Door Karne Ka Nuskha! ◄..........✦

Abu Hurairah RadiAllahu Anhu narrated that the Messenger of Allah (ﷺ) said: "Indeed Allah, Most High said: 'O son of Adam! Devote yourself to My worship, I will fill your chest with riches and alleviate your poverty. And if you do not do so, then I will fill your hands with problems and not alleviate your poverty.'"

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke Allah Azzawajal Irshad Farmate Hain: “Aye Ibn Aadam Tu Khud Ko Meri Ibadat Ke Liye Farigh Karde, Main Tere Sine Ko Ghina (Be Niyazi) Se Bhar Dunga Aur Teri Mohtajgi Ko Khatam Kar Dunga, Aur Agar Tu Ne Aisa Na Kiya To Main Tere Hath Ko Masrufiyat Se Bhar Dunga Aur Teri Mohtajgi Ko Khatam Nahin Karunga.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 11 :: Hadith 2466, 2466]


“Mujhe Apne Walid Ke Liye Status Lagane Ki Zarurat Nahin Kyun Ke Aaj Mera Jo Status Hai Mere Walid Ki Hi Badolat Hai.”


“Kisi Ko Zabardasti Apni Zaat Tak Mahdood Nahin Kiya Ja Sakta Ye To Dilon Ke Muamle Hote Hain Behtar Hai Jo Jahan Khush Hai Us Ko Wahan Rahne Diya Jaye, Koi Aap Ki Mohabbat Ko Nahin Samajh Raha To Kam Az Kam Apni Zaat Ko Dusron Pe Thopne Ki Bajaye Khamoshi Se Hat Jayen, Bikharne Se Pehle Hi Khud Ko Samet Len, Shayad Nazar Andaz Hone Ki Azyat Se Bach Jayen!

✦.......► Waqti Dheel Ke Baad Zalim Ki Sakht Pakad! ◄.......✦

Allah's Messenger (ﷺ) said, "Allah gives respite to the oppressor, but when He takes him over, He never releases him."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Beshak Allah Ta'ala Zalim Ko Mohlat Dete Hain Yahan Tak Ke Jab Us Ko Apni Pakad Mein Lete Hain To Phir Us Ko Nahin Chhodte."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 6 :: Book 60 :: Hadith 208, 4686]


No comments:

Post a Comment