Pages

Wednesday, 6 November 2024

✦.......► Bimar Par Kya Dum Karen? ◄........✦

'A'isha RadiyAllahu Anha reported that when any of the members of the household fell ill Allah's Messenger (ﷺ) used to blow over him by reciting Mu'awwidhatan (Surah Al-Falaq and Surah An-Nas),…

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke Jab Ghar Mein Koi Bimar Hota To RasoolAllah ﷺ Us Par Mu'awwidhat (Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas) Padh Kar Phoonkte...

[Sahih Muslim :: Book 26 :: Hadith 5439, 2192]


✦.......♥ 9 aur 10 Muharramul Haram Ka Rozah ♥.......✦

Jab RasoolAllah ﷺ ne Yaume Ashura ka Rozah Rakha Aur Musalmanon Ko Bhi Is Ka Hukum Diya To Sahaba Ne Arz Kiya Ke Ya RasoolAllah! Yahood o Nasara Bhi Is Din Ki Bahot Tazeem Karte Hain, Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: Jab Agla Saal Aayega To Ham (Yahood o Nasara Ki Mushabihat Se Bachne Ke Liye) In'sha'Allah Nawe (9) Tareekh Ka Rozah Bhi Rakhenge, Hazrat Ibn Abbas Farmate Hain Ke Agla Saal Aane Se Pehle Hi RasoolAllah ﷺ Dunya Se Tashreef Le Gaye. [Sahih Muslim: 1134]

●◗► Note: Yaume Ashura Ke Roze Ke Sath 9 Ya 11 Tareekh Ka Rozah Rakhna Afzal Aur Behtar Hai, Lekin Agr Kisi Ne Sirf Ashura Ka Rozah Rakha To Bhi Harj Ki Baat Nahin, Neez Hadise Baala Se Ye Bhi Pata Chala Ke Musalmano Ko Har Moqe Par Yahood o Nasara Ki Mushabihat Se Bachna Chahiye.

●════════════════◄►═══════════════●

Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu reported that when the Messenger of Allah (ﷺ) fasted on the day of 'Ashura and commanded that it should he observed as a fast, they (his Companions) said to him: Messenger of Allah, it is a day which the Jews and Christians hold in high esteem. Thereupon the Messenger of Allah (ﷺ) said: When the next year comes, God willing, we would observe fast on the 9th But the Messenger of Allah (ﷺ) died before the advent of the next year."

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2528, 1134]


YAUME ASHURA: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Main Allah Subhanahu Wa Ta'ala Se Ummid Rakhta Hun Ke Woh Yaume Ashura (10 Muharram Al-Haram) Ke Roze Ko Guzishta Saal Ke Gunahon Ka Kaffarah Bana Dega.” (Sahih Muslim: 1162)


✦....✔ Muharram ul Haram Aur Ashurah Ke Hawale Se ✔....✦
✦...✿.....✔ Sangeen Ghalat Fehmi Ka Izalah ✔.....✿…✦

●◗► Waqiah KARBALA Islami Tareekh Ka Ahem Tareen Saneha Hai Jis Mein Nawasay Rasool, Jigar Goshay Butool, Naujawanane Jannat Ke Sardar Sayyidna Hazrat Husain RadiyAllahu Anhu Ki Mazlumana Shahadat Hui, Chunke Ye Waqia 10 Muharram ul-Haram Yaume Ashura Ke Din Wuqu Pazeer Hua Tha Is Liye Log Is Ghalat Fehmi Mein Mubtela Ho Gaye Ke Maahe Muharram ul-Haram Yaume Ashura Sirf Isi Liye Muqaddas o Ba Barkat Hai Ke Is Mein Waqia KARBALA Pesh Aaya. Haqiqat Ye Hai Ke KARBALA Ka Dil Kharash Saneha To San 61/Hijri Mein Pesh Aaya Jab Ke…!!

✔ Maahe Muharram ul-Haram Kainaat Ki Takhleeq Ke Din Se Sabeqa Shari’aton Mein Muqaddas o Ba Barkat Chala Aaraha Hai. (Al-Quran, Surah At-Tawbah:36)

✔ Ashura (10 Muharram) Ke Din Hi Hazrat Musa Alaihis Salam Aur Bani’Israel Ka Firaun Aur Us Ke Lashkar Se Muqabla Hua Tha Aur Allah Ne Firaun Ko Gharq Aur Bani Israel Ko Najat Ata Farmayi, Jis Ki Wajah Se Yaume Ashura Musa Alaihis Salam Ki Shari’at Mein Aur Yahudiyon Ke Nazdeek Bhi Muqaddas o Ba’barkat Tahra. (Sahih Bukhari:2004)

✔ Ibteda Islam Mein Jab Tak Ramadan Ke Roze Farz Nahin Hue The, Ashura Ka Rozah Rakhna Musalmanon Par Farz Qarar Diya Gaya Tha. (Sahih Bukhari, Muslim)

✔ Huzoor ﷺ Ke Ahde Mubarak Mein Bhi Ashura Muqaddas Samjha Jata Tha. (Ahadeese Sahiha)

✔ Huzoore Aqdas ﷺNe Yaume Ashura Ke Roze Ko Sunnat Aur Guzishta Saal Ke Gunahon Ki Maghfirat Ka Zariya Qarar Diya. (Sahih Muslim)

•••••► Lehaza! Muharram ul-Haram Aur Ashura Ki Fazeelat Ko Sirf Waqia KARBALA Se Jodna, Ise Sog Ka Mahina Samajhna, Is Mein Siyah (Black) Libas Pahenna Aur Shadi Biyah o Digar Khushi Ki Taqribat Se Bachna Durust Nahin, Ashura Ka Din Waqia Karbala Ki Wajah Se Muqaddas Nahin Balke Ye Syyidna Hazrat Husain (RadiyAllahu Anhu) Aur Un Ke Sathiyon Ke Liye Sharf o Fazilat Ka Moqam Hai Ke Allah Ne Un Pakizah Nufoos Ko Aise Din Shahadat Ka Martaba Ata Farmaya Jo Roze Awwal Se Muqaddas o Mohtaram Chala Aaraha Hai.


✦......♥ Muharramul Haram Wajibul Ehteram ♥......✦

⇨ “Haqiqat Ye Hai Ke Allah Ke Nazdeek Maheenon Ki Ta’dad 12 Mahine Hai Jo Allah Ki Kitab (Lohe Mahfooz) Ke Mutabiq Us Din Se Nafiz Chali Aarahi Hai Jis Din Allah Ne Aasman Aur Zameen Ko Paida Kiya Tha, In (12 Mahinon) Mein 4 Mahine (Dhul Qa’dah, Dhul Hijjah, Muharram Aur Rajab) Wajib ul Ehteram Hain, Yahi Deen (Ka) Seedha Sadah (Taqaza) Hai, Lehaza In Mahinon Ke Muamle Mein (Baham Jang Kar Ke) Apni Janon Par Zulm Na Karo.” (Quran, Surah At-Tawbah: 36)

⇨ "Verily, the number of months with Allah is twelve months (in a year), so was it ordained by Allah on the Day when He created the heavens and the earth; of them four are Sacred, (i.e. the 1st, the 7th, the 11th and the 12th months of the Islamic calendar). That is the right religion, so wrong not yourselves therein, and fight against the Mushrikun (polytheists, pagans, idolaters, disbelievers in the Oneness of Allah) collectively, as they fight against you collectively. But know that Allah is with those who are Al-Muttaqun (the pious - see V. 2:2). (Quran Surah At-Tawbah: 36)


Ho Sakta Hai Ki Waldain Aap Ke Liye Woh Sab Kuch Pesh Nahin Kar Sake Jo Aap Chahte Hain, Magar Yaad Rakhiye Woh Aap Ke Liye Woh Sab Pesh Karte Hain Jo Unke Bus Mein Hota Hai.

Aye Parwardigaar! Mujhe Mere Waldain Ko Baksh De Aur Un Par Rahem Farma Jaise Unhon Ne Bachpan Mein Mujhe Pala. Aameen


✦........✿ ......♥ Hajj Ke 5 Ayyam ♥......✿ ........✦
Teesra Din (10 Dhul Hijjah): (India Mein 9 Dhul Hijjah)

Aaj Manasik Hajj Ki Adayegi Ka Teesra Ahem Tareen Din Hai, Hujjaj Karam Muzdalifah Mein Namaz Fajr Awwal Waqt Mein Padhne Ke Baad Tulu Aftab Tak Wuqufe Muzdalifah Karenge Aur Zikr o Dua Aur Tasbihat Mein Mashghool Rahenge, Tulu Aaftab Ke Waqt Mina Ki Taraf Rawana Ho Jayenge Aur Muzdalifah Se Hi Apne Sath Taqriban 70 Kankariyan Bhi Le Lenge, Mina Pahonch Kar Jamrah Aqabah (Bade Alamati Shaitan) Par Kankariyan Marenge, Pehli Kankari Marte Hi Talbiya Padhna Band Kar Denge, Is Ke Baad Hajj Ki Qurbani Karenge Aur Phir Sir Mundhwa Kar Ya Baal Chote Karwa Kar Ehram Ki Beshtar Pabandiyon Se Aazad Ho Jayenge, Is Din Agar Moqa Muyyasar Aasaka To Hujjaj Karam Makkah Mukarramah Pahoch Kar Tawaf Ziyarat Aur Sayi Bhi Kar Lenge.

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Safar Hajj Ke Shuruaat Qubool Farmaye Aur Tamam Aazmeene Hajj Ko Apne Hifz o Aman Mein Rakhe. (Aameen)


✦.....♥ Deene Islam Aur Nematon Ki Takmeel Ka Din! ♥.....✦

Narrated 'Umar bin Al-Khattab RadiyAllahu Anhu: Once a Jew said to me, "O the chief of believers! There is a verse in your Holy Book Which is read by all of you (Muslims), and had it been revealed to us, we would have taken that day (on which it was revealed as a day of celebration." 'Umar bin Al-Khattab asked, "Which is that verse?" The Jew replied, "This day I have perfected your religion For you, completed My favor upon you, And have chosen for you Islam as your religion." (5:3) 'Umar replied,"No doubt, we know when and where this verse was revealed to the Prophet. It was Friday and the Prophet (ﷺ) was standing at 'Arafat (i.e. the Day of Hajj)"

Urdu Translation: Hazrat Umar Bin Khattab RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Aik Yahudi Ne Un Se Kaha Ke Aye Ameer ul Mu'mineen! Aap Ki Kitab (Quran) Mein Aik Aayat Hai Jise Aap Log Padhte Hain, Agar Woh Aayat Ham Yahudiyon Par Nazil Hoti To Ham Us (Ke Nuzool Ke) Din Ko Eid Ka Din Bana Lete, Aap Ne Pucha Woh Konsi Aayat Hai? Us Ne Jawab Diya (Surah Al-Ma’idah Ki Aayat) Tarjuma: “Aaj Main Ne Tumhare Deen Ko Mukammal Kar Diya Aur Apni Nemat Tum Par Tamam Kardi Aur Tumhare Liye Deen Islam Pasand Kiya.” Hazrat Umar RadiyAllahu Anhu Ne Farmaya Ke Ham Us Din Aur Us Muqam Ko (Khoob) Jante Hain Jab Ye Aayat RasoolAllah ﷺ Par Nazil Hui, Woh Jumah Ka Din Tha Aur Aap ﷺ Maidane Arafat Mein Khade Hue The.

[Sahih Al-Bukhari :: Vol. 1 :: Book 2 :: Hadith 44, 45]


✦.........♥ TAKBEERATE TASHREEQ ♥.........✦

اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد

"Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu Arafah (9 Dhul Hijjah) Ke Din Namaz Fajr Se Ayyam Tashreeq Ke Aakhri Din (13 Dhul Hijjah) ki Namaz Asr Tak Takbeere Tashreeq Padhte The."

[Musannaf Ibn Abi Shaybah :: Hadith 5631]

●◗► 9 Dhul Hijjah Ki Fajr Se 13 Dhul Hijjah Ki Asr Tak Har Farz Namaz Ke Baad Ba Jama’at Ya Tanha Namaz Padhne Wale Mard Par Aik Martaba Buland Aawaz Se Aur Aurat Par Aik Martaba Aahista Aawaz Se Ye Takbeer Padhna Wajib Hai.


Khawateen Ke Liye Takbeerat Yaad Rakhne Ka Aasan Tariqah: Apne Ghar Ke Jaye Namaz Par Is Tarah Likh Kar Lagaden Is Tarah Karne Se Aurten Takbeerat Padhna Nahin Bhoolengi InshaAllah.

Khawateen, 9 Dhul Hijjah Ki Fajr Se 13 Dhul Hijjah Ki Asr Tak Har Farz Namaz Ke Baad Aahista Aawaz Se Aik Martaba Takbeerat Tashreeq Padhen Gi.


✦..........♥ Hajj Ke 5 Ayyam Dusra Din ♥..........✦
(9 Dhul Hijjah): (India Mein 8 Dhul Hijjah)

Aaj Ka Din Ayyam Hajj Ka Sab Se Ahem Aur Masroof Tareen Din Hai, Aaj Subah Talbiya Padhte Hue Hujjaj Karam Mina Se Arafat Ke Liye Rawana Ho Jayenge, Maidane Arafat Mein Zawal Ke Baad Hajj Ka Rukn Aazam “Wuqufe Arafah” Ada Karenge, Is Dauran Zohar Aur Asr Ki Namazen Ikatthi Ada Ki Jayengi, Namazon Ke Alawah Ghuroob Aaftab Tak Jitna Waqt Bachega, Hujjaj Karam Qibla Rukh Ho Kar Khoob Aahwazari Aur Duayen Mangenge Aur Ghuroob Aftab Ke Baad Talbiya Padhte Hue “Muzdalifah” Ki Janib Rawana Ho Jayen, Muzdalifah Pahonch Kar Maghrib Aur Isha Ki Namazen Isha Ke Waqt Mein Ikatthi Ada Karenge Aur Aaj Ki Raat Muzdalifah Mein Guzarenge, Muzdalifah Mein Namaze Fajr Awwal Waqt Mein Ada Kar Ke Qibla Rukh Ho Kar Duaon Aur Zikr o Azkar Mein Mashghool Ho Jayenge, Is Aml Ko “Wuqoofe Muzdalifah” Kaha Jata Hai.

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Apni Mansha Ke Mutabiq Hujjaj Karam Ko Manasike Hajj Ada Karne Ki Toufeeq Marhamat Farmaye. (Aameen)


✦......♥ 16 June 2024 Baroz Itwar, Arafah Ka Rozah ♥......✦

The Prophet ﷺ said: "Fast the Day of Arafah, for indeed I anticipate that Allah will forgive (the sins) of the year after it, and the year before it."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Mujhe Allah Ta’ala Ki Zaat Par Pokhta Yaqeen Hai Ke Yaum Arafah (9 Dhul Hijjah) Ke Roze Ke Badle Guzishta Saal Aur Aayindah Saal Ke Gunah Muaaf Farma Dega.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2, Book 3 :: Hadith 749, 749]


✦..........♥ Hajj Ke 5 Ayyam Pehla Din ♥..........✦
(8 Dhul Hijjah): (India Mein 7 Dhul Hijjah)

Aaj Hazaron Aazmeene Hajj Makkah Mukarramah Se Mina Pahonch Rahe Hain Jahan Wo Panch Namazen: Zohar, Asr, Maghrib, Isha Aur 9 Dhul Hijjah Ki Fajr Ada Karenge, Mina Mein Ye Panchon Namazen Ada Karna Aur Aaj Ki Raat Mina Mein Guzarna Hajj Ki Sunnat Hai, Lehaza Agar Kisi Wajah Se Mina Pahochne Mein Kuch Takheer Ho Jaye Ya Mina Na Pahonch Saken To Hujjaje Karam Par Koi Dum Wagherah Lazim Nahin, Lekin Qasdan Aisa Karna Munasib Nahin, Kyun Ke Sunnat Chhodne Se Hajj Ka Sawab Kam Ho Jata Hai.

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Safar Hajj ki Shuruaat Qubool Farmaye Aur Tamam Aazmeene Hajj Ko Apne Hifz o Aman Mein Rakhe. (Aameen)


“Africa Ka Ye Naujawan Is Baar Hajj Par Aaya Aur Rauzah Shareef Ke Samne Khada Hokar Rauzah Ko Aankhon Mein Aansu Liye Dekha, Haramain Ki Apni Facebook Page Ne Ye Tasweer Post Ki.

Kya Nazarah Hai! Kya Jazba Hai! Aik Taweel Arse Ke Baad Habeeb Ka Rauzah Dekhna Naseeb Hua! Naujawan Ke Dil Ke Sare Jazbat Aansuon Mein Gir Rahe Hain!

Ya Allah! Hamen Is Tarah Apne Habeeb Ke Rauzah Ke Samne Khade Ho Kar Rone Ka Moqa Ata Farmaye.” Aameen


The Messenger of Allah (ﷺ) said: “There are no days greater and more beloved to Allah than these ten days of Dhul Hijjah, so increase in them your declaration of the oneness of Allah, your exaltation of Him, and your praise of Him.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Allah Ta'ala Ke Nazdeek Dhul Hijjah Ke Dus Dinon Se Afzal Koi Din Nahin Aur Na Hi Allah Ke Han Kisi Din Ka Aml In Dus Dinon Ke Aml Se Zyadah Mahboob Hai.”

(Musnad Ahmad: 5446)

عَنِ ابْنِ عُمَرَ عَنْ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ مَا مِنْ أَيَّامٍ أَعْظَمُ عِنْدَ اللَّهِ وَلَا أَحَبُّ إِلَيْهِ مِنْ الْعَمَلِ فِيهِنَّ مِنْ هَذِهِ الْأَيَّامِ الْعَشْرِ فَأَكْثِرُوا فِيهِنَّ مِنْ التَّهْلِيلِ وَالتَّكْبِيرِ وَالتَّحْمِيدِ

5446 مسند أحمد
5/68 المحدث أحمد شاكر خلاصة حكم المحدث إسناده صحيح في مسند أحمد


✦.......... ✔ Qurbani ke Janwaron Ki Tafseel ✔..........✦

✿ Chote Janwar: Bhaid, Dunbah, Bakra, Bakri ✿

• In Ki Umr Km Az Km Aik (1) Saal Honi Chahiye.
• Albatta Agar 6 Maah Ka Dumbah Jasamat Mein Aik Saal Ka Lage To Us Ki Qurbani Bhi Jayez Hai.
• In Ki Qurbani Sirf Aik Aadmi Ki Taraf Se Ho Sakti Hai.

●══════════════◄►═════════════●

✿ Bade Janwar: Bail, Bhains, ETC.. ✿

• In Ki Umr Km Az Km Do (2) Saal Honi Chahiye.
• In Ki Qurbani Mein Zyadah Se Zyadah Sath (7) Afrad Shareek Ho Sakte Hain.

●══════════════◄►═════════════●

✿ Oont ✿

• Is Ki Umr Km Az Km Panch (5) Saal Honi Chahiye.
• Is Ki Qurbani Mein Bhi Sath (7) Afrad Shareek Ho Sakte Hain.

●◗► Darje Bala Janwaron Ke Alawah Digar Halal Janwaron (Masalan: Nail Gaye Aur Hiran Wagherah) Ki Qurbani Durust Nahin, (Shurka Mein Se Kisi Aik Ki Aamdani Bhi Haram Ho Ya Mahez Gosht Khane Ki Niyyat Ho To Deegar Shurka Ki Qurbani Bhi Durust Na Hogi).


✦.........♥ Ashrah Dhul-Hijjah ♥.........✦

❶ Takbeer o Tahleel - اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ
❷ Taubah o Astaghfar
❸ Tahajjud Aur Duayen
❹ Rozah - (Pehle Ashre ke 9 din, Bilkhusu 9 Dhul Hijjah Yaum Arafah ka Rozah)
❺ Takbirate Tashreeq - (9 ki Fajr ta 13 ki Asr Tak)
اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد
❻ Qurbani - (10 Ta 12 Dhul Hijjah)


✦.........► QURBANI! ◄.........✦

Hukum: Aaqil, Baligh, Muqeem Aur Maal Daar Shaks Par Qurbani Karna Wajib Hai.

Fazeelat: “Allah Ta’ala Ke Nazdik Qurbani Ke Din Bandon Ke Tamam Aa’mal Mein Pasndidah Tareen Aml Janwar Ka Khoon Bahana Hai.” (Tirmidhi:1493)

Waqt: 10 Dhul Hijjah Ke Din Namaze Eid Ke Baad Se 12 Dhul Hijjah Ke Ghurube Shams Tak.

Sharayet: Janwar Ki Umr Shari’at Ki Tai Shudah Had Ke Barabar ho Aur Woh Janwar Aaib Daar Na Ho.

Aadab: Janwar Ka Gosht Khud Bhi Khaye Rishtedaron Ko Bhi Hadya Kare Aur Ghurba Mein Bhi Taqseem Kare.

Fawayed: Allah Ta’ala Ka Qurb Hasil Hota Hai, Makhlooq Par Rizq Ke Darwaze Khulte Hain.


Abu Huraira RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: "Of the dinar you spend as a contribution in Allah's path, or to set free a slave, or as a sadaqa given to a needy, or to support your family, the one yielding the greatest reward is that which you spent on your family."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Aik Dinar Tum Allah Ki Raah Mein Kharch Karte Ho Aur Aik Dinar Tum Ghulam Aazad Karne Ke Liye Kharch Karte Ho, Aik Dinar Tum Kisi Miskeen Ko De Dete Ho Aur Aik Dinar Tum Apne Ahl o Ayal Par Kharch Karte Ho To In Mein Sab Se Zyadah Ajr o Sawab Ahl o Ayal Par Kharch Kiye Gaye Dinar Ka Hai.”

[Sahih Muslim :: Book 5 :: Hadith 2181, 995]


Miyan Biwi Jawani Mein Aik Dusre Se Lad Lad Kar Budhe Ho Jate Hain Phir Budhape Mein Aik Dusre Ki Qadar Ka Ehsas Hota Hai Jab Aik Dusre Ka Dukh Samajhne Wala Koi Na Ho Phir Ye Pachtawa Hota Hai Ke Kitne Haseen Pal Ham Ne Nafraton Ki Bheent Chadha Diye.


The Messenger of Allah (ﷺ) said: ‘The Ajwah are from Paradise, and they are a healing from poison.’”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Ajwah Khajoor Jannat Ka Phal Hai, Aur Is Mein Zaher Se Shifa Hai.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 4 :: Book 31 :: Hadith 3455, 3455]


It was narrated that Jabir bin ‘Abdullah RadiyAllahu Anhu said: “I heard the Messenger of Allah (ﷺ) say: ‘The water of Zamzam is for whatever it is drunk for.’”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Zamzam Ka Pani Jis Niyyat Se Piya Jaye Us Se Wahi Faidah Hasil Hota Hai.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 4 :: Book 25 :: Hadith 3062, 3062]


The Prophet (ﷺ) said, "A woman is married for four things, i.e., her wealth, her family status, her beauty and her religion. So you should marry the religious woman (otherwise) you will be a losers. (Sahih Bukhari:5090)


●◗► Numberat, Grade, Position Ke Chakkar Mein Bacchon Ko Pareshan Mat Kijiye! ► Aulad Qeemti Sarmaya Hai, Numberat, Grade Aur Position Ke Chakkar Mein Unhen Pareshan Aur Zehni Dabao Ka Shikar Mat Kijiye!!! Apne Bacchon Ko Hausla Dijiye!!! Dusre Bacchon Ke Sath Apne Bacchon Ka Mawazna (Compare Mat) Kijiye!!! Kyun Ke Har Bacche Ki Salahiyaten, Zehni Rujhanaat Aur Mehnat Ke Maidan Mukhtalif Hote Hain.


The Messenger of Allah (ﷺ) said: ’...Do not harm the Muslims, nor revile them, nor spy on them to expose their secrets. For indeed whoever tries to expose his Muslims brother’s secrets, Allah exposes his secrets wide open, even if he were in the depth of his house.’”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: "...Kisi Ke Aib Talash Na Karo, Is Liye Ke Jo Shaks Apne Musalman Bhai Ke Aib Dhundta Hai Allah Ta'ala Us Ka Aib Dhundta Hai, Aur Allah Ta'ala Jis Ke Aib Dhundta Hai Use Ruswa o Zaleel Kar Deta Hai, Agarche Woh Apne Ghar Ke Andar Ho."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 2032, 2032]


✦......♥ Hajj o Umrah Par Jane Wale Allah Ke Mehman! ♥......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "The pilgrims performing Hajj and ‘Umrah are a delegation to Allah. If they call upon Him, He will answer them; and if they ask for His forgiveness, He will forgive them."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Hajj Aur Umrah Par Jane Wale Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ke Mehman Hain, Agar Ye Dua Mangen To Allah Ta’ala Un Ki Dua Qubool Farmate Hain Aur Agar Ye Log Maghfirat Ke Talabgaar Hon To Allah Ta’ala Un Ki Maghfirat Farmadete Hain.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 25 :: Hadith 2892]


✦.........♥ Maahe Shawwal Ke 6 Roze ♥.........✦

Allah's Messenger (ﷺ) as saying: “He who observed the fast of Ramadan and then followed it with six (fasts) of Shawwal. it would be as if he fasted perpetually.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Ne Ramadan Al-Mubarak Ke Roze Rakhe Aur Is Ke Baad Mahe Shawwal Mein Che (6) Roze Rakhe To Use Saal Bhar Ke Rozon Ka Sawab Mile Ga.”

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2614, 1164]


•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•
Abuzar Ki Janib Se Tamam Chahne Walon ko Eid Mubarak
•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ham Sab Ke Rozon, Taraweeh, Zikr o Tilawat Aur Tamam Ibadaat Ko Apni Bargaah Mein Qubool Farma Kar Hamen Baar Baar Ramadan Al-Mubarak Ki Bahaaren Aur Eid Ki Sacchi Khushiyan Naseeb Farmaye. (Aameen).


✦......✿.....♥ Eid Ul-Fitr ki Sunnaten ♥.....✿......✦

❶ Subah Sawere (Namaze Fajr Se Qabl) Bedar Hona.
❷ Miswak Karna.
❸ Gusul Karna.
❹ Shariat Ke Hudud Mein Rehte Hue Zaib o Zeenat Ekhtiyar Karna.
❺ Khushbo Lagana.
❻ Eid Gaah Jane Se Pehle Koi Meethi Cheez Maslan Khajur Wagherah Khana.
❼ Jald az Jald Eid Gaah Pahonchna, Paidal Jana Aur Wapsi Par Dusra Rasta Ekhtiyar Karna.
❽ Agar Sadaqah Fitr Ada Na kiya Ho To Eid Gaah Jane Se Pehle Ada Karna.
❾ Eid Ki Namaz, Eid Gaah Mein Padhna.
➓ Raste Mein
اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد
"Allahu Akbar Allahu Akbar La ilaaha illallahu Wallahu Akbar, Allahu Akbar Walillahil Hamd!" Aahista Aawaz Mein Padhna.


✦.......♥ Ghar Ke Afrad Ki Taraf Se Sadaqa e Fitr ♥.......✦

Narrated Nafi` Rahimahullah said: Ibn `Umar RadiyAllahu Anhu used to give dates (as Sadaqat-ul-Fitr). Once there was scarcity of dates in Medina and Ibn `Umar gave barley. 'And Ibn `Umar RadiyAllahu Anhu used to give Sadaqat-ul- Fitr for every young and old person. He even used to give on behalf of my children. Ibn `Umar RadiyAllahu Anhu used to give Sadaqat-ul-Fitr to those who had been officially appointed for its collection. People used to give Sadaqat-ul-Fitr (even) a day or two before the `Id.

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Nafi Rahimahullah Jo Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Anhuma Ke Aazad Kardah Ghulam Hain Farmate Hain Ke

Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhuma Sadaqa Fitr Mein Khajoor Diya Karte The, Aik Martaba Ahle Madinah Par Khajoor Ka Qahet Hua To Aap Ne Jao Ki Surat Mein Sadaqa Fitr Ada Kiya, Hazrat ibn Umar RadiyAllahu Anhuma Chote, Bade (Ghar Ke Tamam Afraad) Ki Taraf Se Sadaqa Fitr Diya Karte The, Yahan Tak Ke Mere Beton Ki Taraf Se Bhi Sadaqa Fitr De Dete The, Neez Ibn Umar RadiyAllahu Anhuma Sadaqa Fitr, Un Ko Dete Jo Qubool Karte Aur Eid Ul-Fitr Se 1 Ya 2 Din Pehle Dete.

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 25 :: Hadith 587, 1511]

●◗► Har Sahibe Nisaab Shaks Par Apni Taraf Se Aur Apni Na Baligh Aulad Ki Taraf Se Sadaqa e Fitr Ada Karna Wajib Hai.


✦.....► Shabe Qadr Ki Barkaat Se Mahroom Na Rahen! ◄.....✦

It was narrated that Anas bin Malik said: “Ramadan began, and the Messenger of Allah (ﷺ) said: ‘This month has come to you, and in it there is a night that is better than a thousand months. Whoever is deprived of it is deprived of all goodness, and no one is deprived of its goodness except one who is truly deprived.’”

Urdu Translation: Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Jab Ramadan Ka Mahina Aaya To RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Tum Par Ye Mahina Aachuka Hai, Is Mein Aik Raat Hai Jo Hazar Mahinon Se Behtar Hai, Jo Shaks Is Raat Se Mahrum Raha Wo Sari Hi Bhalayyon Se Mahroom Raha Aur Is Raat Ki Bhalayi Se Wahi Shaks Mahroom Rah Sakta Hai Jo Waqeyi Bada Mahroom Ho.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 7 :: Hadith 1644 1644]


●◗► Aye Mere Parwardigar! Jitni Bhi Khawateen Sehri Aur Iftari Ki Mushaqaten Bardasht Kar Ke Aap Ke Bandon Ko Rozah Rakhwa Rahi Hain, Sab Ko Dunya o Aakhirat Mein Is Ka Behtareen Badla Ata Farma. Aameen


✦► Khawateen Apne Zewarat Ki Mukammal Zakat Ada Karen! ◄✦

Amr bin Al-Harith bin Al-Mustaliq narrated from the nephew of Zainab, the wife of Abdullah (Ibn Mas'ud) who said: "The Messenger of Allah (ﷺ) delivered a sermon to us, and said: 'O you women! Give charity, even if it is from your jewelry, for indeed you will make up most of the people of Hell on the Day of Judgment.'"

Urdu Translation: Hazrat Zainab RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke RasoolAllah ﷺ Ne Hamen Khutba Dete Hue Irshad Farmaya: "Aye Aurton Ki Jamat! Tum Zakat Ada Kiya Karo Agarche Woh Zewar Hi Kyun Na Ho Is Liye Ke (Zewraat Aur Maal Ki Mohabbat Mein Giraftar Hokar Zakat Ki Adayegi Mein Kotahi Ki Waja Se) Qayamat Ke Din Tum Mein Aksariyat Jahannam Mein Hogi."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 2 :: Hadith 635, 635]


✦……..► Sehri Zaroor Karen! ◄……..✦

Abdullah ibn ‘Amr (RadiyAllahu Anhu) said that the Messenger of Allah ﷺ said: “Make Suhoor even if it just with a sip/gulp of water”. [Sahih Ibn Hibbaan: 3476]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Amr RadiyAllahu Anhuma Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Sehri Zaroor Karo! Agarche Aik Ghoont Pani Hi Se Kyun Na Ho.” [Sahih Ibn Hibbaan: 3476]


✦......♥ Shabe Qadr Saal Ki Qeemti Tareen Raat! ♥......✦

❶ Raat: 83 Saal Ki Ibadat Se Afzal
❶ Ghanta: 9 Saal Ki Ibadat Se Afzal
❶ Minute: 55 Din Ki Ibadat Se Afzal
❶ Second: 22 Ghanton Ki Ibadat Se Afzal

●◗► Lehaza Har Har Second Se Faidah Uthayyen! Aur Aakhri Ashre Ki Har Taaq Raat Mein Allah Ka Zikr, Quran Ki Tilawat, Astaghfar Ki Kasrat, Tahajjud, Allah Ka Zikr, Sadaqa Khairat Aur Khoob Duaon Ka Ehtemam Karen!


✦........♥ Shabe Qadr Palene Ka Aasan Nuskha ♥........✦

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Shabe Qadr Ko Ramadan Al-Mubarak Ke Aakhir Ashre Ki Taaq Raaton Mein Talash Karo."

► Allah's Messenger (ﷺ) said: "Search for the Night of Qadr in the odd nights of the last ten days of Ramadan." (Sahih Bukhari: 2017)

Shabe Qadr Ka Ramadan Ke Aakhir Ashre Ki Taaq Raton Mein Hona Muta’yyan Hai Lehaza Agar Aakhir Ashre Ki Taaq Raton (21, 23, 25, 27, 29) Mein Se Har Har Raat Ko Darj Zail Aa’mal Kar Liye Jayen To Allah Ki zaat Se Bhar Pur Ummid Hai Ke Ham Shabe Qadr Ki Barkaat Aur Hazaar Mahinon Ki Ibadat ka Sawab Pa Sakenge.

❶ Isha Aur Fajr Ki Namaz Ba’Jamat Ada Kare, (Jis Ne Isha o Fajr Ba Jama’at Ada Ki To Use Puri Raat Ibadat Ka Sawab Milta Hai).
❷ Teesra Kalimah Aur Durood Shareef Ka Ehtemam Karen.
❸ Kam Az Kam Aik Parah Qur’an Majeed Ki Tilawat Karen.
❹ Kam Se Kam 2 Rakat Salaat at-Taubah Padhen.
❺ Apne Gunahon Par Roro Kar Allah Se Muafi Mangen.


✦…..► “Mahwari” Mein Mahe Ramadan Se Istifadah! ◄…..✦

Bahot si Khawateen Ramadan Mein Aur Bilkhusoos Aakhir Ashre Mien “Mahwari” Shuru Ho Jane Se Sakht Zahni Koft Ka Shikar Ho Jati Hain Aur Ye Soch Soch Kar Pareshan Hoti Hain Ke Ab Aakhir Ashre Ki Ibadaat, Taaq Raaton Aur Laylatul Qadr Ka Kya Bane Ga?

Aisi Tamam Khawateen Darj Zail ❸ Nukati Agende Pe Aml Paira Ho Kar Laylatul Qadr Samait Aakhri Ashre Ki Barkaat Se Istifadah Kar Sakti Hain:

❶ Niyyat Ki Durustgi: Khuloos Niyyat Ke Sath Ye Soche Ke Ye Sharyi Uzr Allah Ki Taraf Se Hai Aur Agar Ye Uzr Na Hota To Main Behtareen Andaz Mein Ibadat Mein Mashghool Ho Kar Apne Rab Ko Razi Karti, Is Acchi Niyyat Aur Irade Par Maqbool ibadaat Ka InshaAllah Ajr o Sawab Milega, Nabi Akram g Ne Ghazwah Tabuk Ke Moqe Par Irshad Farmaya Ke Kuch Log Madinah Mein Hamare Piche Rehgaye Hain Lekin Ham Kisi Bhi Ghati Ya Wadi Mein (Jihad Ke Liye) Chalen To Woh Sawab Mein Hamare Sath Hote Hain, Phir Aap g Ne Irshad Farmaya Ye Woh Log Hain Jo Uzr Ki Waja Se Hamare Sath Shareek Nahin Ho Sake. (Sahih Bukhari: 2839)

❷ Ibadaat Karne Waliyon Ke Sath Ta’awun: Aisi Khawateen Ibadaat, Taraweeh Aur Tahajjud Mein Masroof Ghar Ki Digar Khawateen Ke Sath Ta’awun Kar Ke Un Ki Ibadaat Ke Barabar Ajr o Sawab Hasil Kar Sakti Hain, Ye Ta’awun Un Ke Kaam Nimta Kar, Un Ke Liye Sahri o Iftari Tayyar Kar Ke, Un Ke Bacche Sambhal Kar Aur Digar Tariqon Se Kiya Ja Sakta Hai.

❸ Zikr Azkar Aur Duaon Mein Mashghuliyat: Napaki Ki Halat Mein Har Ibadat Mamnoo Nahin Hoti Balke Zikr Azkar Aur Duayen Mangi Ja Sakti Hain, Lehaza Aisi Tamam Khawateen Ibadaat Se Bilkul Kinarah Kashi Ekhtiyar Na Kare Balke Zikr Azkar, Durood Shareef, Shabe Qadr Ki Masnoon Dua Aur Digar Duaon Mein Mashghool Rehkar Aakhir Ashre, Taaq Raton Aur Shabe Qadr Ki Barkaat Hasil Karne Ki Koshish Karen.


✦.........► Nisabe Zakat: Zakat Kis Par Farz Hai? ◄.........✦

Jo Aaqil o Baligh Musalman (Mard Ho Ya Aurat) Malik Ban Jaye:

❶ Sadhe Sath Tola (87.480 Gram) Sone (Gold) Ka…Ya

❷ Sadhe Bawan Tola (612.360 Gram) Chandi (Silver) Ka…Ya

❸ Sadhe Bawan Tola Chandi Ki Qeemat Ke Barabar Raqam (Currency) Ka (March 2024 Ke Rate Ke Mutabiq Taqriban 46,300/- Rupe Ka)…Ya

❹ Sadhe Bawan Tola Chandi Ki Qeemat Ke Barabar Maale Tijarat Ka (Maal Tijarat Se Muraad Woh Cheez Jise Aage Farokht Ki Niyyat Se Khareeda Ho Aur Ye Niyyat Abhi Tak Baqi Ho)…Ya

❺ Darje Bala Charon Amwale Zakat (Sona, Chandi, Currency, Maal Tijarat) Mein Se Kisi Do Ya Teen Ya Chaar Ke Majmuye Ka….Aur Woh Majmuah Sadhe Bawan Tola (612.360 Gram) Chandi Ki Qeemat Ke Barabar Pahonch Jaye…

To Aisa Shaks Sahibe Nisab Kehlaye ga Aur Jis Qamri Tareekh Ko Woh Sahibe Nisab Bana, Woh Tareekh Us Shaks Ke Zakat Ke Hisab Ki Tareekh Ke Taur Par Tai Ho Jaye gi Aur Agle Qamri Saal Ki Usi Tareekh Par Agar Ye Sahibe Nisab Raha To Is Par Amwale Zakat 2.5% Feesad Nikalna Farz Hoga, Neez Agar Sahibe Nisab Par Qarz Wagherah Ho To Amwale Zakat Ko Jama Kar Ke Qarz Ko Is Minha (Minus) Kiya Jaye, Is Ke Baad Bhi Agar Nisab Ke Baqadar Maal Baqi Bache To Zakat Farz Hogi Warna Nahin, Aur Agar Sahibe Nisab Ka Kisi Par Qarz Wagherah Ho Aur Qarz Ki Wusuli Ki Ummid Bhi Ho To Use Amwal Zakat Mein Shamil Karne Ke Baad Kul Maal Ki Zakat Nikali Jaye Aur Agar Qarz Ki Wusuli Ki Ummid Na Ho To Use Shamil Karne Ki Zarurat Nahin.


✦.........► Rishtedaron Ko Zakat Di Ja Sakti Hai? ◄.........✦

Hajat Mand Aur Sharyi Taur Par Mustahiqe Zakat Rishtedaron Ko Zakat Dena Na Sirf Ye Ke Jayez Hai Balke Is Mein Dohra Sawab Hai, Aik Sawab Zakat Ka Aur Dusra Sila Rehmi Ka, Bhai, Bahen, Bhatija, Bhatiji, Bhanja, Bhanji, Chacha, Phupi, Khala, Mamu, Saas, Sasur, Damad Wagherah Mein Se Jo Zarurat Mand Aur Mustahiq Zakat Hon, Unhen Zakat Di Ja Sakti Hai Aur Zakat Dete Waqt Ye Batana Bhi Zaroori Nahin Ke Ye Raqam Zakat Ki Hai.

Albatta Darj Zail Rishtedaron Ko Zakat Dena Jayez Nahin:

❶ Usool: Yani Jin Se Paida Hua Hai, Maa, Baap, Dada, Dadi, Nana, Nani Wagherah (Sauteli Maa Usool Mein Dakhil Nahin, Lehaza Use Zakat Dena Jayez Hai).
❷ Furoo: Yani Aulad, Beta, Beti, Pota, Poti, Nawasa, Nawasi Wagherah.
❸ Miya Biwi Aik Dusre Ko Zakat Nahin De Sakte, Talaq Ke Baad Bhi Jab Tak Iddat Nahin Guzar Jati Zakat Dena Jayez Nahin.


✦.............♥ Rozah Ki Farziyat Aur Rukhsat ♥.............✦

“Rozah Har Us Baligh Musalman Par Farz HaiJo Rozah Rakhne Ki Qudrat Rakhta Ho.” (Surah Al-Baqarah:183)

“Roze Mein Musafir, Mareez, Haiz o Nifas Mein Mubtela, Hamela Aur Doodh Pilane Wali Khawateen Ko Rukhsat Hai Ke Baad Mein Rozon Ki Ginti Puri Karlen.”(Surah Al-Baqarah:184)

Note: Bacchon Par Rozah Farz Nahin Lekin Sahaba Karam Aadat Dalne Ke Liye Bacchon Ko Rozah Rakhwaya Karte The. (Sahih Bukhari:1960)

Wazeh Rahe: “Roze Ki Halat Mein Wuzu Karte Hue Naak Mein Zyadah Zor Se Pani Nahin Chadhana Chahiye.” (Jami at-Tirmidhi:788)


RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Rozah Rakhne Wale Ka Sawab Siwaye Allah Ta’ala Ke Koi Nahin Janta.” (Tabarani Al-Awsat: 865)


✦.............♥ Khidmat Kitni Badi Ibadat! ♥.............✦

The Prophet (ﷺ) said, "The one who looks after a widow or a poor person is like a Mujahid (warrior) who fights for Allah's Cause, or like him who performs prayers all the night and fasts all the day."

Urdu Translation: Nabi Kareem ﷺ Ne Farmaya: "Bewaon Aur Miskeenon Ke Kaam Aane Wala Allah Ke Raste Mein Jihad Karne Wale Ke Barabar Hai, Ya Raat Bhar Ibadat Aur Din Ko Roze Rakhne Wale Ke Barabar Hai."

[Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Book 64 :: Hadith 265, 5353]


✦......♥ Rozah Daron Ke Liye Jannat Ka Khaas Darwazah ♥......✦

The Prophet (ﷺ) said, "There is a gate in Paradise called Ar-Raiyan, and those who observe fasts will enter through it on the Day of Resurrection and none except them will enter through it.

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Jannat Mein Aik Darwazah Hai Jise Rayyan Kaha Jata Hai, Roze Qayamat Us Mein Rozah Daar Dakhil Honge Un Ke Siwa Us Darwaze Se Koi Aur Dakhil Nahin Hoga."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 120, 1896]


✦.........♥ Rozon Ka Maqsad ♥.........✦

Qur’an Paak Mein Allah Ta'ala Ka Irshad Hai: “Aye Iman Walo! Tum Par Roze Farz Kar Diye Gaye Hain Jis Tarah Tum Se Pehle Logon Par Farz Kiye Gaye The, Taa Ke Tumhare Andar Taqwa Paida Ho.” (Quran, Surah-Al Baqarah:183)

●◗► Roze Ka Maqsad Taqwa o Parhezgari Ka Husool Hai, Roze Mein Chunke Nafs Par Sakhti Ki Jati Hai Aur Khane Pine Ki Halal Chizon Se Bhi Rok Diya Jata Hai To Is Se Apni Khuahishat Par Qaboo Pane Ki Mashq Hoti Hai, Jis Se Zabte Nafs (Nafs Par Qabu) Aur Haram Se Bachne Par Quwwat Hasil Hoti Hai Aur Yahi Zabte Nafs Aur Khuahishat Par Qabu Woh Bunyadi Cheez Hai, Jis Ke Zariye Aadmi Gunahon Se Rukta Hai.


Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: I heard the Prophet (ﷺ) saying. "Five practices are characteristics of the Fitra: circumcision, shaving the pubic hair, cutting the moustaches short, clipping the nails, and depilating the hair of the armpits."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Panch Chizen: Khatna Karana, Zair Naaf Mondna, Moonch Katrana, Nakhun Tarashwana Aur Baghal Ke Baal Nochna, Paidaishi Sunnaten Hain.”

[Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Book 72 :: Hadith 779, 5891]


“Aurat Ko Sirf Sahna Aur Sabr Karna Na Sikhayyen Woh Bhi Ashraful Makhluqat Hai Use Sabr Aur Jabr Mein Farq Samjhayyen Ta Ke Aane Wali Naslen Zehni Aziyaton Ko Jhelte Hue Badi Na Hon!!


A man came to the Prophet (ﷺ) demanding his debts and behaved rudely. The companions of the Prophet (ﷺ) intended to harm him, but Allah's Messenger (ﷺ) said (to them), "Leave him, for the creditor (i.e. owner of a right) has the right to speak."

Urdu Translation: “Aik Shaks Nabi Kareem ﷺ Se (Apne Qarz Ka) Taqaza Karne Aaya, Aur Sakht Guftagu Karne Laga, Sahaba Karam RadiyAllahu Anhum Ghussa Ho Kar Us Ki Taraf Badhe Lekin Aap ﷺ Ne Farmaya Ke Use Chhod Do, Kyun Ke Jis Ka Kisi Par Haq Ho To Woh (Baat) Kehne Ka Bhi Haq Rakhta Hai.”

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 38 :: Hadith 502, 2306]


Allah's Messenger (ﷺ) as saying: "He who loves that Allah saves him from the torments of the Day of Resurrection should give respite to the insolvent or remit (his debt)."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Jis Shaks Ko Ye Pasand Ho Ke Allah Use Roze Qayamat Ki Takleefon Se Nijat De De, To Woh Tangdast Ko Mohlat De Ya Use (Qarz) Muaaf Karde.”

[Sahih Muslim :: Book 10 :: Hadith 3795, 1563]


The Messenger of Allah (ﷺ) say: “Whoever is focused only on this world, Allah will confound his affairs and make him fear poverty constantly, and he will not get anything of this world except that which has been decreed for him. Whoever is focused on the Hereafter, Allah will settle his affairs for him and make him feel content with his lot, and his provision and worldly gains will undoubtedly come to him.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Jis Ka Maqsad Dunya Hasil Karna Ho Allah Ta'ala Us Ke Kaam Bikher Deta Hai Aur Mohtaji Ko Us Ki Aankhon Ke Samne Kar Deta Hai Aur Use Dunya Se Sirf Utna Hi Milta Hai Jitna Us Ke Muqaddar Mein Likha Ja Chuka Hai Aur Jis Ka Maqsood Aakhirat Ho To Allah Ta'ala Us Ke Muamlaat Ko Theek Kardega Us Ke Dil Ko Be Niyazi Ata Karega, Aur Dunya Us Ke Paas Zaleel Ho Kar Aati Hai.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 37 :: Hadith 4105, 4105]


No comments:

Post a Comment