Pages

Monday, 3 September 2012


✿ The best among the names is Allah,
✿ The best among Ilm is that of Quran,
✿ The best among the humanity is Muhammad s.a.w,
✿ The best among words are La Illaha Illallah Muhammadur Rasulullah s.a.w,
✿ The best among months is Ramadan,
✿ The Best among deeds is Prayer,
✿ The best among actions is Sajda,
✿ The best among Behavior is treating mother kindly,
✿ The best among all nights is Laylatul Qadr,
✿ The best among all Languages is Arabic.


Shuru Allah k Naam se: Musa (a.s) ne kaha aye mere Parwardigar! Mera sina mere liye khol de, Aur mere kaam ko Mujh per Aasan karde, Aur meri Zaban ki Girah bhi khol de, Ta k log meri Baat acchi tarah samajh saken.(Surah:Taha, Surah No:20, Aayat No:25 to 28)

(Moses) said: O my Lord! Expand me my breast, Ease my task for me; And remove the impediment from my speech, So they may understand what I say: (The Holly Quran – Chapter 20, Taha - Verse 25 to 28)

......................✿....... H A D E E S .......✿......................

عبدللہ (رضی اللہ تعالٰی عنہ) سے روایت ہے کے جب ہم جوان تھے اور نبی (صلی اللہ علیہ واله وسلم) کے ساتھ تھے اور کوئی مال و دولت نہیں تھی تو آپ (صلی اللہ علیہ واله وسلم) نے فرمایا.. اے جوان لوگو، تم میں سے جو کوئی شادی کر سکتا ہو کر لے کیوں کہ یہ نظر اور شرم کو پاکیزہ رکھنے میں مدد کرتی ہے(زنا سے بچاتی ہے) اور جو نہ کرنے کی طاقت نہ رکھتا ہو اسے چاہیے کے روزہ رکھے کیوں کے روزہ نفسانی خواہشات کو کم کرتا ہے.

[ بخاری، کتاب:7 ، جلد:62 ، حدیث: 4 ]

Narrated 'Abdullah (Razi Allah Ta'ala Anha) We were with the Prophet (Sallallahu Alaihi Wa'alehi Wasallam) while we were young and had no wealth whatever. So Allah's Apostle (Sallallahu Alaihi Wa'alehi Wasallam) said, "O young people! Whoever among you can marry, should marry, because it helps him lower his gaze and guard his modesty (i.e. his private parts from committing illegal sexual intercourse etc.), and whoever is not able to marry, should fast, as fasting diminishes his sexual power."

[ Bukhari: Book 7: Volume 62: Hadith 4 ]

Abdullah (Razi Allah Ta'ala Anhu) se Riwayat hai k Jab Ham Jawan the Aur Nabi (Sallallahu 'Alaihi Wa Sallam) k sath the Aur koi Maal o Doulat Nahi thi to Aap (Sallallahu 'Alaihi Wa Sallam) ne Farmaya. Aye Jawan logon, Tum me se jo koi Shadi kar sakhta ho Karle kyu k ye Nazar aur Sharam ko Pakiza rakhne me Madat Karti hai (Zina se Bachati hai) Aur Jo Na karne ki Taqat Na Rakhta ho use Chahiye k Roza rakhe kyun k Roza Nafsani khuaheshat ko kum karta hai.

---------{ Lo Ho Gaye Numaya Aasar Qayamat k }---------

✿ Be'Pardagi ka Aalam, Main kis tarah batao'n,
✿ Zehreela saanp hai yeh, Ummat ko dhass naa jaye,
✿ Har simt dekh lo ab, Tufaan-e-Behayae,
✿ Batil se hai muhabbat aur, Haq se bewafayi,
✿ Behno'n k Mashghalo'n se, Bhai bhi be'khabar hain,
✿ Poochain to kis tarah who, Jab khud edhar udhar hain,
✿ Baiti bhi ladli hai, Parda karay to kaisay,
✿ Angan may Apnay ghar k, Jee ko bharay to kaisay,
✿ Yeh Aag hai magrib ki, Aur kaam himaqat k,
✿ Lo ho gaye Numaya, Aasar qayamat k..!

Every day, I wake up and realize that nothing is certain in this world, except Allah.
I am blessed to have Allah in my life... ALHAMDULILLAH... :)

✿ Subhan Allah ( سبحان الله ) "Glory be to Allah"
✿ Alhamdulillah ( الحمدللہ ) "All Praise to Allah"
✿ Allahu Akbar ( الله اكبر ) "Allah is the Greatest"

Five Reasons why Allah uses problems
The problems you face will either defeat you or develop you –
depending on how you respond to them.

✿ Allah uses problems to DIRECT you.
✿ Allah uses problems to INSPECT you.
✿ Allah uses problems to CORRECT you.
✿ Allah uses problems to PROTECT you.
✿ Allah uses problems to PERFECT you.

God is at work in your life – even when you do not recognize it or understand it.But it’s much easier and profitable when you cooperate with Him.

“Success can be measured not only in achievements, but in lessons learned, lives touched and moments shared along the way”, Allah Knows Best.

Share this as sadqa-e-jariya (everlasting charity). if someone acts on any of this information, you will be benefited too INSHALLAH.. Jazakallahu Khair.

......................✿....... H A D E E S .......✿......................

عبدللہ (رضی اللہ عنہ) سے روایت ہے کے نبی (صلی اللہ علیہ وسلم) نے فرمایا،، کبھی بھی کسی شخص کی طرح ہونے کی خواہش مت کرنا سواے دو صورتوں کے. ایک وہ شخص جسے الله نے غنی کیا اور اسنے اس کو صحیح طریقے سے خرچ کیا (صدقہ، خیرات، میاناروی) اور دوسرا وہ جسے الله نے (قرآن و حدیث کا) علم دیا اور اسنے اس پر عمل کیا اور اسے دوسروں تک پہنچایا.

[ بخاری، کتاب:9 ، جلد:89 ، حدیث: 255 ]

Narrated 'Abdullah (Razi Allah Ta'ala Anhu) Allah's Apostle ﷺ said, "Do not wish to be like anyone, except in two cases: (1) A man whom ALLAH has given wealth and he spends it righteously. (2) A man whom ALLAH has given wisdom (knowledge of the Quran and the Hadith) and he acts according to it and teaches it to others."

[ Bukhari: Book 9: Volume 89: Hadith 255 ]

Abdullah (Razi Allah Ta'ala Anhu) se Riwayat hai k Nabi (Sallallahu 'Alaihi Wa Sallam) ne Farmaya: Kabhi bhi kisi Shaksh ki tarah hone ki Khuahesh math Karna siwaye do Soorton k. Aik wo Shaksh jise Allah ne Gani kiya aur us ne us ko Sahi tariqe se Kharch kiya (sadqah, khairat, miyanarwi) Aur Doosra wo Jise Allah ne (Quran o Hadees ka) Ilm diya aur us ne us par Amal kiya aur usain Doosron tak Pohchaya.


"Dont look at Muslims, look at Islam. Muslims are Humans and make mistakes. Islam is from ALLAH and is perfect."♥

------------{ Assalamualaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuh }------------

✿ Sab Dino Se Behtar Juma Ka Din Hai..
REF: Sahi Muslim Hadees No 854..

✿ Susti Ki Waja Se 3 Jumay Chorne Wale k Dil Per ALLAH Mohar Laga Deta Hai..
REF: Abo Daood Hades No. 1067 AND Ibne Habban Hadees no. 553

✿ Juma K Din Gusul Karne Ka Hukum Hai.
RE: Bukhari Hadees no. 894 AND Sahi Muslim Hadees no. 844

✿ Juma K Din Tail (Oil), Khusbu Aur Miswaak Karay..
REF: Sahi Bukhari Hadees No 880 And 883.

----{ ALLAH Aap K Saath Hai Bas Kabhi Himmat Na Haaro }----

✿ Ho k sharminda gunahon se kabhi sir jhuka to sahi,
✿ Wo zaat karegi maaf tujhe,,, do ashk baha to sahi,
✿ Rahegi chandni qabar main bhi sath tere,
✿ Tu uski yaad ko dil se zara laga to sahi,
✿ Na rahega tu muhtaaj kabhi kisi ka,
✿ Kia hai jo khuda se ehad wo nibha to sahi,
✿ Wo hai GHAFOOR-O-RAHEEM sunta hai dua sabki,
✿ Aray nadaan apne hath utha k daaman phela to sahi.


★ Yaad-e-KHUDA Se Apna Muqaddar Sawaaro,
★ Mushkil Koi Pare Tou ALLAH Ko Pukaro,
★ Daman-e-Sabar Tham K Zindagi Guzaro,
★ ALLAH Aap K Saath Hai Bas Kabhi Himmat Na Haaro..!!

......................✿....... H A D E E S .......✿......................

ابو ہریرہ سے روایت ہے کہ نبی- صلى الله عليه واله وسلم نے فرمایا: " قیامت کے دن الله کی نظر میں بدترین لوگ وہ ہوں گے جو منافقین(دو چہرے رکھنے والے ) ہیں.جو بعض لوگوں کے سامنے خود کو کچھ ظاہر کرتے ہیں اور دوسرے لوگوں کے سامنے کچھ
.
بخاری: جلد: 8 ، کتاب: 73 ، نمبر: 84

Narrated By Hazrat Abu Huraira(R.A):

The Prophet Mohammad ( صلى الله عليه واله وسلم ) said, The worst people in the Sight of Allah on the Day of Resurrection will be the double faced people who appear to some people with one face and to other people with another face."

[Bukhari: Volume:8, book:73, number:84]

Hazrat Abu Huraira (Razi Allah Ta'ala Anhu) se Riwayat hai k Nabi (Sallallahu 'Alaihi Wa Sallam) ne Farmaya: "Qayamat k Din Allah ki Nazar me Badtareen log wo honge Jo Munafiqeen (do Chahre rakhne wale) hai. Jo Baaz logon k Samne khud ko kuch zaher Karte hai aur Doosre logon k samne kuch.


----------------{ Jise Koi Nahi Janta Use RAB Janta Hai }----------------
-------------{ Raaz ko Raaz na Samjho wo Sab Janta Hai }-------------

★ Suna tha hum ney logon sey Mohabbat cheez aisi hai,
★ Chhupaey chhup nahin paati,
★ Ye ankhon mein chamakti hai,
★ Ye chehron per damakti hai,
★ Ye lehjon mein jhalakti hai,
★ Dilon ko rula jati hai,
★ Diwana bana jati hai..!!

------ MAGAR...!!? :-( ------ Ye Sub Agar Such Hai......

TU PHIR BHALA HAMEIN APNEY RAB SEY YE KAISI MOHABBAT HAI..!! ??

Na ankhon sey jhalakti hai..!! na chehron per damakti hai..!! na lehjon mein sulagti hai..!!..!! dilon ko azmati hai na raton ko rulati hai.. ye kaisi mohabbat hai .. bhala ye kasi Mohabbat hai..!!??

✿ Jise Koi Nahi Janta Use RAB Janta Hai,
✿ Raaz ko Raaz na Samjho wo Sab Janta Hai,
✿ Agar Mangna Ho to us Khuda se Mango,
✿ Jo Zuban pe Aane Se Pehle Dil ki Dua Janta Hai.

------ "OFFER PRAYER BEFORE THAT YOUR PRAYER BE OFFERED" ------

Brothers n sisters khud bhi Namaz ki pabandi karian aur apne Walidain, Dosto, Brothers, Sisters aur doosre logo ko is Naik kam ki dawat dain, kyun k
QURAN PAK mein ALLAHعزوجل ka Farman hai,

Shuru Allah k Naam se: Aye Iman Walon! Tum apne aap ko Aur apne Ghar walon ko us Aag se Bachao jis ka Indhan Insan hai Aur Patther jis per Saqt dil Mazboot Farishte Muqarrar Hai Jinhen jo Hukm Allah Tala daita hai us ki Nafarmani nahi Karte Balke jo Hukm diya jaye baja Late Hai.(Surah:Al-Tahrim, Surah No:66, Aayat No:6)

The success which you search for your whole life calls you everyday 5 times!

♥ حي على الصلاة ♥ Come towards Prayer ♥
♥ حي على الفلاح ♥ Come towards Success ♥

♥ Never Miss Your Prayer Because Prayer is a Only Way To Contact With ALLAH.

✿ ✿ ✿ Forward This Message: JAZAKALLAHU KHAIR ✿ ✿ ✿


★ The blind wishes: to see the world..
★ The deaf wishes: to hear sounds..
★ The mute wishes: to talk a few words..
★ The handicapped wishes: to walk few a steps..

And U
√ see
√ hear
√ talk
√ walk

So, (O mankind and Jinn,) which of the Favours of your Lord will you deny ? [55:13]

✿ ✿ ✿ ✿ ✿ ✿ Please say "AlhamduLILLAH" ✿ ✿ ✿ ✿ ✿ ✿


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

حضرت انس بن مالک(رضی اللہ تعالی عنہ) سے روایت ہے کہ:
رسول الله(صلى الله عليه واله وسلم) نے فرمایا: "اپنے (مسلمان)بھائی کی مدد کرو، چاہے وہ ظالم ہو یا مظلوم.لوگوں نے عرض کیا: یا رسول الله (صلى الله عليه واله وسلم)ایک مظلوم کی مدد کرنا تو برحق(ٹھیک) ہے، لیکن ایک ظالم کی کس طرح مدد کر سکتے ہیں. آپ (صلى الله عليه واله وسلم)نے فرمایا: اسے دوسروں پر ظلم کرنے سے روک کر. "

بخاری: کتاب: 3 :جلد:43 :حدیث:624

Narrated Anas (Razi Allah Ta'ala Anhu)
Allah's Apostle (Sallallahu 'Alaihi Wa Sallam) said, "Help your brother, whether he is an oppressor or he is an oppressed one. People asked, "O Allah's Apostle (Sallallahu 'Alaihi Wa Sallam)! It is all right to help him if he is oppressed, but how should we help him if he is an oppressor?" The Prophet (Sallallahu 'Alaihi Wa Sallam) said, "By preventing him from oppressing others."

[Bukhari :: Book 3 :: Volume 43 :: Hadith 624]

Hazrat Anas Bin Malik (Razi Allah Ta'ala Anhu) se Riwayat hai k Rasulullah (Sallallahu 'Alaihi Wa Sallam) ne Farmaya: "Apne (Musalman) bhai ki madad karo, Chahe wo Zalim ho ya Mazloom. Logon ne Arz kiya: Ya Rasulullah (Sallallahu 'Alaihi Wa Sallam) Aik Mazloom ki Madad karna to Barhaq (theek) hai, Lekin aik Zalim ki kis tarah Madad kar sakte hai, Aap (Sallallahu 'Alaihi Wa Sallam) ne Farmaya: usai Doosron par Zulm karne se rokh kar.

<•> Oh our Lord give health those who are sick :'(
<•> Oh our Lord give the good jobs those ; who have no job :'(
<•> Oh our Lord give Houses to those who Have no house :'(
<•> Oh our Lord Forgive the all Muslim UMMAH : )
<•> Oh our Lord increase in our law full food & wealth : ) ✿ Aameen ✿

★THE BEST EXAM★

When we are in Examination Rooms; We are not allowed to Copy or Cheat from others, We are not allowed to open a book when we Forget, ... We are not allowed to Help anyone else to pass the Exam!

★How Easy is the Exam from ALLAH★ We are totally Allowed to Copy the Righteous and the Pious, We always have the Book :(Quran) to open when we Forget. We are even Encouraged to Help others in this Exam...and by doing so we get bonus points too [reward similar to theirs].


------------{ Assalamualaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuh }------------

Dear Brothers: Where is your Hijab?
This is a great reminder to brothers!

✿ Why your eyes are always roaming here and there?
✿ Why your clothing are always dragging on the floor?
✿ Have you forgot that, Hijab was at first made Farz for you before Muslim women?

"Say to the believing men that they should lower their gaze and guard their modesty: that will make for greater purity for them: And ALLAH is well acquainted with all that they do."[Al- Quran :24:30]

May ALLAH (SWT) make life easy for Muslim brothers all around the world (Ameen)

Share this as sadqa-e-jariya (everlasting charity). if someone acts on any of this information, you will be benefited too INSHALLAH.. Jazakallahu Khair.



......................✿....... H A D E E S .......✿......................

الزبیر (رضی اللہ تعالٰی عنہ) سے روایت ہے کے نبی (صلی اللہ علیہ وسلم) نے فرمایا،، کوئی شک نہیں کے یہ تمھارے حق میں بہتر ہے کے تم رسی لو اور لکڑیاں کاٹ کر باندھو اور اسے بیچو(رزق حلال) جس کی وجہ سے الله تمہیں دوزخ سے محفوظ رکھے گا، بجے اسکے کہ تم کسی کے آگے ہاتھ پھیلاؤ اور وہ انکار کر دے.

[ بخاری ، کتاب:40 ، جلد:3 ، حدیث:561 ]

Narrated Az-Zubair (Razi Allah Ta'ala Anhu) that Prophet ﷺ said, "No doubt, one had better take a rope (and cut) and tie a bundle of wood and sell it whereby Allah will keep his face away (from Hell-fire) rather than ask others who may give him or not.

[Bukhari Volume 3, Book 40, Number 561]

Az-Zubair (Razi Allah Ta'ala Anhu) se Riwayat hai k Nabi (Sallallahu 'Alaihi Wa Sallam) ne Farmaya, koi shak nahi k ye Tumhare haq me Bethar hai k tum Rassi lo aur lakdiya kaat kar Bandho aur use Baicho (Rizq Halal) jis ki wajeh se Allah tumhen Dozakh se Mahfooz rakhe ga, Bajaye is k k tum kisi k Aage hath pehlao aur wo Inkar karden.

----------------{ Baat Alfaaz ki Nahi Kehne k Andaaz ki Hoti Hai }----------------

✿ Kitna bad naseeb hai wo insan jo apne waldain ki khidmat kar k dua nahi leta aur logon se kehta rahta hai k mere liye dua karna.
✿ Agar tum pani me doob rahe ho aur tumhen yaad aajaye k waqte Namaz hai to namaz ki niyyat karlo.
✿ Allah k nazdeek khush qismat wo hai jo burai ka jawab acchai se den.
✿ Jab gunah k kamon me dil lagna shuru ho jaye to ye is baat ki daleel hai k tumhara rab tum se naraz hai.
✿ Koi aayena insan ki utni sacchi tasweer paish nahi kar sakta, jitni k us ki guftagu.
✿ Ye baat hamesha yaad rakho k duniya ki mohabbat se rab nahi milta lekin rab ki mohabbat se duniya aur aakhirat dono mil jati hai.
✿ Agr aap ki aankh khoobsurat hai to aap ko duniya acchi lage gi lekin agr aap ki zaban khoobsurat hai to aap duniya ko acche lago ge.
✿ Momin wo nahi jis ki mahfil paak ho bal k Momin wo hai jis ki tanhai paak ho.
✿ Mayoos wo hota hai jo Allah par yaqeen nahi rakhta aur Mahroom wo hota hai jo Allah ki naimaton ka shukr ada nahi karta.
✿ Burai ko khud me aur acchai ko doosron me talash karo yahi Aap ki sab se badi acchai hai.
✿ Jab tumhen apne acche kaam se masarrat aur bure kaam se ranj hone lage to samjho k tum momin hogaye.

Shuru Allah k Naam se: Ye ba barkat kitab hai jise hum ne aap ki taraf is liye Nazil farmaya hai k log is ki Aayaton per gour o fikr karen aur aqalmand is se Nasihat hasil karen.(Surah:Sad, Surah No:38, Aayat No:29)

(Here is) a Book which We have sent down unto thee, full of blessings, that they may meditate on its Signs, and that men of understanding may receive admonition.(The Holly Quran - Chapter 38, Sad - Verse 29)

------------{ Assalamualaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuh }------------

Aaj kal hamare muashre mein yeh bhi daikhne ko milraha hai.

✿ Hamare ku nahi bulai koun hai HUM nahi maloom.
✿ Bahot bade hogaye inlogaan jo hamaku nahi bulai.
✿ Bahot motabari aagayi jo hamaku nahi bulai.
✿ Bahot paise kamaliye shayad isliye hamaku nahi bulai.
✿ Are itne kam logon ko dawat diye gareeb log dikhre meku.
✿ Are kiya pakwaan rakhe kuch bhi nahi hai gareebo ki shaadi mein aaye jaisa dikhra.

Aksar hamare mahol mein yeh aam baat hogaee hai kuch bhi ho kiya bhi ho dawaat zaroor dena pakwaan accha karna paise nahi bhi rahe to kahi se bhi qarz lena ya loan lena lekin aise log ko zaroor bulana dawat mein.

Aayee Aap k Samne ek Hadees paish karta hun:

Anas Bin Malik (RadhiAllahu 'Anhu) se Riwayat hai: Abdul Rahman Bin Auf (RadhiAllahu 'Anhu) Hijrat kar k Madina Aaye to Nabi Kareem (Sallallahu 'Alaihi Wa Sallam) ne in k aur Sad bin Ar-rabi' Al-Ansari. (RadhiAllahu 'Anhu) k Darmiyaan bhai Chara karaya. Sad bin Ar-rabi' Al -Ansari. (RadhiAllahu 'Anhu) k Nikah Main do Biwiyan thi. Inho ne Abdul Rahman bin Auf (RadhiAllahu 'Anhu) se kaha k wo in k Aahel biwi aur Maal main se aada lele is par Abdul Rahman Bin Auf (RadhiAllahu 'Anhu) ne kaha ALLAH (Subhanahu Wa Taala) Aap k Ahel Aur Maal Mein Barkat de Mujhe tu Bazaar ka rasta batado Chunache aap bazaar aaye aur yahan aap ne kuch Paneer aur Ghee ki Tijarat ki aur Nafa Kamaya. Chand dino ke Baad in par zafraan ki zardi laagi hue thi. Aap (Sallallahu 'Alaihi Wa Sallam) ne daryaaft Farmaya ke Abdul Rahman yeh kiya hai ? inhone Aarz kiya k maine ek Ansari khatoon se shadi karli hai. Aap (Sallallahu 'Alaihi Wa Sallam) ne Farmaya k inhe Maher kya diya Aarz kiya ke ek Gotli baraber SONA diya hai. Aap (Sallallahu 'Alaihi Wa Sallam) ne Farmaya phir Valima kar Agarche ek Bakri hi ka ho.

(Urdu Version Reference: Sahi Bukhari,Volume:6, Hadees No:5072)
(English Version Reference: Sahi Bukhari, Book:7,Volume :62 Hadees No:10)

Tu dekhiye yahan pe jab Abdul Rahman(RadhiAllahu 'Anhu) ne kaha ke maine nikah karliya hai tu Nabi(Sallallahu 'Alaihi Wa Sallam) ko tak maloom nahi hua aap ke upar zafraan ki zardi ka rang dekh ke Nabi(Sallallahu 'Alaihi Wa Sallam) ne kaha ke tum ne nikha karliya. Bhaiyao Jab Nabi(Sallallahu 'Alaihi Wa Sallam) ne khud yeh batein nahi kahi ke tum ne mujhe nahi bulaya main koun ho tumko nahi maloom kiya tu aaj hum kyoun bolrahe hai. Abdul Rahman (RadhiAllahu 'Anhu) ko pata nahi tha ke Nabi (Sallallahu 'Alaihi Wa Sallam) ko bulana, kya sonchenge jab maloom hoga, aisa kuch nahi suncha.

Moral: Nikhaan ko Asaan karo Sunnat ko aam karo yeh mat soncho inho kya bolinge unho kiya bolinge jitni Haisiyat utna hi karna chahiye dikhawa karna nahi Chahiye.


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

ابو عبس (رضی اللہ عنہ) سے روایت ہے کے میں نے نبی (صلی اللہ علیہ وسلم) کو کہتے ہوے سنا، جس کسی کے بھی پیر الله کی راہ میں خاک آلود ہوے، الله نے اس پر دوزخ کی آگ حرام کر دی.

[ بخاری، کتاب:2 ، جلد:13 ، حدیث:30 ]

Narrated Abu 'Abs (Razi Allah Ta'ala Anhu), I heard the Prophet ﷺ saying, "Anyone whose feet are covered with dust in Allah's cause, shall be saved by Allah from the Hell-Fire."

[Bukhari: Book 2: Volume 13: Hadith 30]

Gunah ko pehlane ka zariya bhi mat bano….kyun k ho sakta hai k Aap to toba karlo….Par jis ko aap ne Gunah par lagaya hai wo aap ki Aakhirat ki tabahi ka zariya ban jaye.

Are you a Part of GUNAH-E-JARIA?

Song Shared !!!

1Guhan= 1 song Share

Referal/Friends Continued Song= Countless Sharing Gunah !!
(You are not sharing it continuously but your friends are sharing that song to thousands of others)

Think , Why are you starting the Chain??? (Stop- Don’t Share)

PLZ SHARE !!!

-----------{ Assalamualaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuh }-----------

ladki tu ek lottri ka ticket hogai hai Nauzbillah kiya hame deen yehi sikhata hai kya hamare pyare Nabi (Sallallahu 'Alaihi Wa Sallam) ne hamko yehi sikhaya hai?
ke ladki ke gharwalon se itna sab dahej le phir hum kis ki sunnat ki pairvi karrahe hai?

Jaago mere bhaiyyo jago ::::::::: hum hi aage bad ke yeh rasam o riwaj ku ruksakte hai jitna ho sake apne rishtedaro aur doston aur milne jhulne walon ku yeh dahej jode ki raqam jaisi la'nat ko rokne ke liye baat karte rahiye, Insha Allah ek din yeh lanat hamare mahool se door hogi Insha Allah.


"Once A Woman once asked her mother, "Mother, how will I ever find the right Man? " Her mother replied, "Forget finding the 'right' Man,focus on being the right Woman." And we read in the Qur'an: "Good women are for good men and good men are for good women.SO TRY TO BE A GOOD MUSLIMS (Man&Women).(Qur'an 24:26).


-------{ Mere Hansne se Hansti Hai Mere Rone se Roti Hai }-------
-------{ Jo Mere Dard ko Samjhey Bas Ek "Maa" hi Hoti Hai }-------

Mujhe raat gaye tak baher rahnay per rokti rahti thi,
Main us ki baatain sun kar hansi say uoo chal data tha,
Kal se jaldi aaon ga kah ker taal data tha,
Woh mujhe daikh kar muskura deti thi,
Aur pyar se chapat laga dati thi,
Main usay bahot satata tha bahot nakhray dikhata tha,
Woh har baar meray naaz uthati thi,
Woh mere sadqe wari jati thi,
Raat k kisi pahar bhi ghar jo aata us ko apna muntizar pata,
Din raat us k pyaar ki barsat hoti,
Us ki duayen hamesha mere sath hoti.
-----------------{ PER AB }-----------------
Zindagi main woh baat nahi hai,
Kyu k woh mere sath nahi hai,
Us k pyar bina dil ki zameen sookhi hai,
Ek wohi mukhlis thi sari duniya rukhi hai,
Ghar jab loton woh nigahain dhoondta hun,
Sama jaon jin main woh bahain dhoondta hun,
Un jaghon ko daikhta rahta hun jahan beth k woh mera intzar karti thi,
Main ghanton apna chahra daikhta hun jahan woh mujhe pyar karti thi,
Teri dua k bagair sadkon per nikal jata hun,
Her qadam har raste per thokar khata hun,
Tu lout aa kah mujhay abhi teri zaroorat hai.

✿ Chirage fikr yaqinan bujha k sote hain,
✿ Magar naseeb ki shama jala k sote hain,
✿ Wo roz khuwab me jannat ko daikhte honge,
✿ Jo apni “Maa” k pair daba k sote hain.


------------{ Assalamualaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuh }------------

Let's be thankful to ALLAH for a new beautiful morning. May we all have a blessed day ahead... Aameen !


Use only your LEFT EAR when using Mobile Phones, and avoid using the RIGHT EAR , as that makes our brain more prone to mobile radiation. This was found out by a latest research from Apollo Medical Team . Please share this info with your loved ones Use only your LEFT EAR when using Mobile Phones, and avoid using the RIGHT EAR , as that makes our brain more prone to mobile radiation. This was found out by a latest research from Apollo Medical Team !!!!!!!

--------------------{ Chaar Chizon ki Bunyaad Par }--------------------

Narrated Abu Huraira(RadhiAllahu 'Anhu): The Prophet(Sallallahu 'Alaihi Wa Sallam) said, "A woman is married for four things, i.e., her wealth, her family status, her beauty and her religion. So you should marry the religious woman (otherwise) you will be a losers.

Abu Huraira (RadhiAllahu 'Anhu) se Riwayat hai k Nabi kareem (Sallallahu 'Alaihi Wa Sallam) ne Farmaya, Aourat se Nikah chaar Chizon ki bunyaad par kiya jata hai, Us k maal ki wajeh se, aur us k khaandani sharf ki wajeh se, aur us ki Khoobsurti ki waje se aur us k Deen ki waje se aur tu DEENDAR aourat se Nikah kar k kamiyabi hasil kar, Agar aisa na kare to Tere haton ko mitthi lage gi.(yani aakhir me tujh ko nadamat hogi).

Sahi Bukhari :: Book 7 :: Volume 62 :: Hadith 27 (English Version)
Sahi Bukhari ::Volume 6 :: Hadith 5090 (urdu Version).


Shuru Allah k Naam se: Beshak Musalman mard aur Musalman aourten, momin mard aur momin aourten farma bardari karne wale mard aur farma bardar aourten, raast baz mard aur raast baz aourten, sabr karne wale mard aur sabr karne wali aourten, aajizi karne wale mard aur aajizi karne wali aourten, khairat karne wale mard aur khairat karne wali aourten, roze rakhne wale mard aur roze rakhne wali aourten, apni sharamgah ki hifazat karne wale mard hifazat karne waliyan, ba kasrat Allah ka zikr karne wale aur zikr karne waliya in (sub k) liye Allah Tala ne (wasee) Magfirat aur bada sawab tayyar kar rakha hai.(Surah:Al-Ahzab, Surah No:33, Aayat No:35)

For Muslim men and women, for believing men and women, for devout men and women, for true men and women, for men and women who are patient and constant, for men and women who humble themselves, for men and women Who give in Charity, for men and women who fast (and deny themselves), for men and women who guard their chastity, and for men and women who engage much in Allah’s praise, for them has Allah prepared forgiveness and great reward.(The Holly Quran - Chapter 33, Al-Ahzab - Verse 35)



......................✿....... H A D E E S .......✿......................

جریر بن عبدللہ (رضی اللہ عنہ) سے روایت ہے کے ہم ایک مکمل چاند رات کو رسول الله (صلی اللہ علیہ وسلم) کے ساتھ تھے. انہوں نے چاند کو دیکھا اور کہا.." تم ضرور اپنے رب کو ایسے دیکھو گے جیسے اس چاند کو دیکھ رہے ہو، اور تمہیں اسے دیکھنے میں کوئی مشکل نہ ہو گی". لہٰذا اگر تم سورج نکلنے سے پہلے کی نماز(فجر) اور ڈھلنے سے پہلے کی نماز(عصر) کو چھوڑنے سے اجتناب کر سکو تو ضرور کرو. پھر انہوں نے قرآن کی یہ آیت پڑھی..

{ وَسَبِّحۡ بِحَمۡدِ رَبِّكَ قَبۡلَ طُلُوعِ ٱلشَّمۡسِ وَقَبۡلَ ٱلۡغُرُوبِ.....
اور اپنے رب کی پاکیزگی بیان کر تعریف کے ساتھ دن نکلنے سے پہلے اور دن چھپنے سے پہلے } [ 50:39

[ بخاری، کتاب:1 ،جلد:10 ، حدیث:547 ]

Narrated Jarir bin 'Abdullah (Razi Allah Ta'ala Anhu) that We were with the Prophet ﷺ on a full moon night. He looked at the moon and said, "You will certainly see your Lord as you see this moon, and there will be no trouble in seeing Him. So if you can avoid missing a prayer before the rising of the sun (Fajr) and before its setting ('Asr) you must do so. He (the Prophet ) then recited the following verse.
And celebrate the praises Of Your Lord before The rising of the sun And before (its) setting." (50.39)

[Bukhari :: Book 1 :: Volume 10 :: Hadith 547]


-------------------{ Hamari Choice Aisi hi Rehni Chahiye }-------------------

✿ Ek Muslim ladki ke ghar walon ki sonch Aisi rehni chahiye.
✿ Ladka deen daar hona aur chere pe dadi (beard) kaisa bhi rehna ek mutti kam se kam.
✿ Halaal income hona chahe kuch bhi karo bus Allah swt ka khaof rehna.
✿ Deen ko samajhne wala hona quran aur hadees pe chalne wala hona.
✿ kahi bhi raho bus islamic shariyat follow kare.
✿ Pura ghar deeni mahol rehna roaz quran aur hadees ki tilawat hona.
✿ Paisa aur jaidad kuch nahi chahiye bus har cheez halaal hona.
✿ Family members mein muhabbat rehna ek dusre ke liye.
✿ Shaadi ke baad zindagi puri islamic shariyat pe guzarna waise shaadi se pehle bhi.
✿ Ladka khuddar rehna aur puri zimmedari se dusroun ke bhi kaam aana sirf Allah swt ki razake liye.
✿ Har ladka ho ya ladki k ghar wale aisi hi sonch rakhe to kitna accha rehta.


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

ابو بردہ (رضی اللہ عنہ) کے والد سے روایت ہے کے نبی (صلی اللہ علیہ وسلم) نے فرمایا.. تین لوگ دوگنا انعام پائیں گے
١: اہل کتاب میں سے ایک شخص جو کے اپنے نبی (عیسیٰ علیہ السلام یا موسیٰ علیہ السلام) کو مانتا تھا اور پھر محمّد پر ایمان لایا(اسلام قبول کیا)
٢: ایک غلام جس نے اپنے مالک اور الله کے فرائض اچھے سے انجام دیے
٣: ایک مالک جس نے اپنی غلام کو اچھے آداب سکھاے اور اسے اچھے طریقے سے تعلیم دی اور اسے آزاد کرے پھر اس سے شادی کر لے.

[ بخاری، کتاب:1 ، جلد:3 ، حدیث:97 ]

Narrated Abu Burda's (RA) father that Allah's Apostle ﷺ said "Three persons will have a double reward
1. A Person from the people of the scriptures who believed in his prophet (Jesus or Moses) and then believed in the Prophet Muhammadﷺ (i .e. has embraced Islam).
2. A slave who discharges his duties to Allah and his master.
3. A master of a woman-slave who teaches her good manners and educates her in the best possible way (the religion) and manumits her and then marries her."

[Bukhari, Vol:1, Book:3, Hadees:97]


Handsome Is the BROTHER who Lowers his Gaze .. Most Beautiful is the SISTER who keeps her Modesty. . The real Figure of a Man is within his character and his Love for Deen. . . ! !The beauty of a Woman is within her piety and devotion to ALLAH

Narrated ‘Aisha(ra): "Prophet Muhammad (sallahu alayhi wa salam) used to love sweet edible things and honey."

[Bukhari: Volume 7: Book 65: Hadith 342]


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

ابو ہریرہ (رضی اللہ عنہ) سے روایت ہے کے میں نے نبی (صلی اللہ علیہ وسلم) سے کہا، میں آپ کی بہت سی روایات سنتا ہوں مگر انکو بھول جاتا ہوں، آپ (صلی اللہ علیہ وسلم) نے فرمایا کے اپنی جھولی پھیلاؤ. میں نے ایسے ہی کیا، تب آپ (صلی اللہ علیہ وسلم) نے اپنے ہاتھ ایسے ہلاے جیسے میری جھولی میں کچھ خالی کیا ہو اور کہا " اسکو آپکے جسم کے گرد سمیت لو. میں نے ایسا کیا اور تب کے بعد میں کوئی چیز نہیں بھولا.

[ بخاری، کتاب:1 ، جلد 3 ، حدیث:119 ]

Narrated Abu Huraira (RA) I said to Allah's Apostle ﷺ "I hear many narrations (Hadiths) from you but I forget them." Allah's Apostle ﷺ said, "Spread your Rida' (garment)." I did accordingly and then he ﷺ moved his hands as if filling them with something (and emptied them in my Rida') and then said, "Take and wrap this sheet over your body." I did it and after that I never forgot any thing.

[Bukhari: Book 1: Volume 3: Hadith 119]


------------------{ Dua ki Qubuliyat ke Liye Jaldi Na Karo }------------------

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

وَقَالَ رَبُّكُمُ ادْعُونِي أَسْتَجِبْ لَكُمْ
And your Lord said: “Invoke Me, will respond to your (invocation)…………..”
Aur tumharey Rab ne farmaya Mujhse Dua karo mein Qubul karunga...

[AL Quran: Surah:Al-Ghafir 40 verse 60]

Hadith : Dua ki Qubuliyat ke liye jaldi na karo

Abu Hurairah Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Bandey ki Dua Qubul hoti hai jab tak ki wo jaldi na karey ki kahney lagey mainey dua ki thi aur Qubul nahi huyee (yani aisa nahi kahna chahiye)
Sahih Bukhari, 6340

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "The invocation of anyone of you is granted (by Allah) if he does not show impatience by saying, "I invoked Allah but my request has not been granted."( so we should not say this)
[Sahih Bukhari, Volume 8, Book 75, Number 352]

----{ D U A }----

Mere Allah ! Meri Izzat k Liye Yahi Kafi Hai k Main Tera Banda ... Hon ... Aur Meray Fakhar k Liye Yahi Kafi Ha k Tu Mera Parwardigar Hai ... Tu Waisay hi Hai Jaise Main Chahta Hun, Bus Tu Muj Ko Waisa Bana Day Jaisa Tu Chahta Hai...Aameen


Shuru Allah K Naam Se: Aye Iman Walo! Allah Tala se itna daro jitna us se darna chahiye aur daikho marte dum tak Musalman hi rahna.(Surah:Al-Imran, Surah No:3, Aayat No:102)

O ye who believe! Fear Allah as He should be feared, and die not except in a state of Islam. (The Holly Quran - Chapter 3 , Al-Imran - Verse 102)



......................✿....... H A D E E S .......✿......................

ابو ہریرہ (رضی اللہ تعالٰی عنہ) سے روایت ہے کے نبی (صلی اللہ علیہ وسلم) نے فرمایا.. ایک شخص لوگوں کو قرض دیا کرتا تھا اور اپنے غلام سے کہتا تھا کے اگر مقروض غریب ہے تو (اسکا قرض) معاف کر دو، تا کے الله ہمیں بھی معاف کر دے. اور جب وہ(شخص) الله سے ملے(مرنے کے بعد) تو الله اسے بھی معاف کر دے.

[ بخاری، کتاب:4 ، جلد:56 ، حدیث:687 ]

Narrated Abu Huraira (RA) Allah's Apostle ﷺ said, "A man used to give loans to the people and used to say to his servant, 'If the debtor is poor, forgive him, so that Allah may forgive us.' So when he met Allah (after his death), Allah forgave him."

[Bukhari : Book 4 : Volume 56 : Hadith 687]


-----------{ Maa: Mat Bhula Dena Sahab Kisi Dulhan k Liye }-----------
---------{ Na ujaad Dena Mera Chaman Apne Chaman k Liye }---------

• Maa Teri Azmath ko Salam,
• Fikr me ek meri hi be khwab thi raten teri,
• Teri hi aagosh me rahat meri rakhi gayi,
• Teri hi khidmat me har azmath rakhi gai,
• Mai sha’oor o Aagahi se tha na har giz Aashna,
• Yaad me gar tu nahi tariqi hi tariqi,
• Tarbiyat me teri ye naimat meri rakhi gai,
• Ishq me tujh se ye shiddat meri rakhi gai,
• Teri hasti tera hi paikar meri pehchan hai,
• Maa teri shafaqqat Mohabbat teri Azmath ko Salam.

-------{ Maa ka Dil }-------

✿ Hota hai aankh se aoujhal to qarar kho jata hai,
✿ Teri gair maoujoodgi me dil be qarar ho jata hai,
✿ Teri Judai ka sonchun bhi to aankh bhar aati hai,
✿ Dil rota hai aur aansuon ki ladi ban jati hai,
✿ Mat bhula dena sahab kisi dulhan k liye,
✿ Na ujaad dena mera chaman apne chaman k liye.


Shuru Allah k Naam se: Kya wo jis ne Zameen ko qarar gaah banaya aur us k darmiyan nahrain Jari kardi aur us k Liye pahad banaye aur do samandaron k darmiyan rok banadi, kya Allah k sath aur koi Mabood bhi hai? bal k in me se aksar kuch Jante hi nahi.(Surah:An-Naml, Surah No:27, Aayat No:61)

Or, who has made the earth firm to live in; made rivers in its midst; set thereon mountains immovable; and made a separating bar between the two bodies of flowing water? (Can there be another) god besides Allah? Nay, most of them know not. (The Holly Quran - Chapter 27 , An-Naml - Verse 61).



......................✿....... H A D E E S .......✿......................

سفیان بن عبدللہ (رضی اللہ تعالٰی عنہ) سے روایت ہے کے میں نے نبی (صلی اللہ علیہ وسلم) سے پوچھا مجھے کچھ ایسا بتائیں جس سے میں ثابت قدم رہوں. آپ(صلی اللہ علیہ وسلم) نے فرمایا" کہو میرا رب الله ہے اور ثابت قدم رہو" پھر میں نے کہا آپ(صلی اللہ علیہ وسلم) میرے بارے میں سب سے زیادہ کیا ڈر کرتے ہیں؟ آپ(صلی اللہ علیہ وسلم) نے اپنی زبان کو پکڑا اور کہا " یہ

[جامع ترمزی] [حوالہ: رياض الصالحين، نمبر:1517]

Sufyan Bin Abdullah (RA) reported, I asked "O Messenger of ALLAHﷺ Tell me, of something to which I may remain steadfast.'' He ﷺ said, "Say: My Rubb is ALLAH and then remain steadfast.'' Then I said: "O Messenger of ALLAHﷺ What do you fear most about me?'' He ﷺ took hold of his own tongue and said: "This.''

[Tirmidhi] {Ref: Ryaz-us-Saliheen, Number:1517]


---{ Jis pe Nasihat Asar na Kare wo Jaan Len k us ka Dil Iman se Khali Hai }--

✿ Jo aadmi zyada hansta hai, us ka r’ab kam hojata hai.
✿ Jo mazakh zyada karta hai, log use kam rutba aur be haisiyat samajhte hai.
✿ Jo baten zyada karta hai, us ki lagzishe zyada hojati hai.
✿ Jis ki lagzishen zyada hojati hai, us ki haya kam hojati hai.
✿ Jis ki haya kam hojati hai, us ki parhaizgari kam hojati hai.
✿ Aur jis ki parhaizgari kam hojati hai, us ka dil murda hojata hai.
✿ Waqt se pehle aur qismat se zyada kisi ko kuch nahi milta.
✿ Jahan apni baat ki qadar na ho waha chup rehna behtar hai.
✿ Gunah par nadamat gunah ko mitadeti hai, Naiki par garoor naiki ko tabah kardeta hai.
✿ Choti se choti naiki ko bhi haqeer na samjho, Mumkin hai wahi Allah Tala ki raza ka sabab ban jaye.
✿ Pasnd us ko nahi karo jo duniya me sab se zyada khoobsurat ho bal k pasnd us ko karo jo tumhari duniya ko khoobsurat banaden.


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

ابو معاذ ابن جبل (رضی اللہ تعالٰی عنہ) سے روایت ہے کے نبی (صلی اللہ علیہ واله وسلم) نے فرمایا.. اگر کوئی غصّے کو دبا لے جب کہ وہ اسکو نکالنے کی استطاعت رکھتا ہو، تو قیامت کے دن الله عزوجل اسکو تمام مخلوق سے بالا تر بلاے گا اور (اسکی) اپنی پسند کی کسی بھی خوبصورت اور بڑی آنکھ والی حوروں میں سے کوئی بھی چننے کا حق دے گا.

[ ابو داؤد، جلد:41 ، حدیث:4759 ]

Narrated Mu'adh ibn Jabal (Razi Allah Ta'ala Anha) that Prophet (Sallallahu Alaihi Wa'alehi Wasallam) said: if anyone suppresses anger when he is in a position to give vent to it, Allah, the Exalted, will call him on the Day of Resurrection over the heads of all creatures, and ask him to choose any of the bright and large eyed maidens he wishes.

[Abu'Daod, Vol:41, Hadees:4759]


---------{ Tu Jaise Chahe Mujhe Waisa Banade Ya Rab }---------

Teri Ibadat me Saare Jahaan ko Paaya Ya Rab,
Tere Zikr me Yeh Jahaan Bhulaya Ya Rab,
Is Rooh ko bas Teri hi Chaah hai Ya Rab,
Tu Jaise Chahe Mujhe Waisa Banade Ya Rab,
Teri Rahmat ka Nazara Tere Qudrat me Paaya,
Isiliye Mohabbat apne Sar ko Tere Sajde me Jhukaya Ya Rab,
Ay insaan agar tujhe ye maloom ho jaye Ke sajde ke Doraan,
kitni Rehmate Nazil hoti hai To kabhi sajde se sar na uthaye.

• MUSALMAN ka ghar – JANNAT,
• MUSALMAN ka Kaam – SUNNAT,
• MUSALMAN ka Taj – TOPI,
• MUSALMAN ka Identity Card – NAMAZ,
• MUSALMAN ka Zimmedari – DAWATH,
• MUSALMAN ka Dushman - NAFS, SHAITAAN,
• MUSALMAN ka Hatiyar - WAZU, NAMAZ, DUA,
• MUSALMAN ka Dawa - SUREH FATEHA,
• MUSALMAN ka Sans - ALLAH Ki NAIMAT,
• MUSALMAN ka Thofa – MAUT.


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

انس بن مالک (رضي اللہ تعالی عنہ) بیان کرتے ہیں کے نبی (صلی اللہ علیہ واله وسلم) نے فرمایا... تم میں سے کوئی بھی کسی مصیبت کی وجہ سے موت کے لئے خواہش نہ کرے، لیکن اگر اسے موت کی خواہش کرنی ہے تو اسے کہنا چاہیے" اے الله! مجھے زندہ رکھ جب تک کے یہ زندگی میرے لئے بہتر ہے اور مجھے موت عطا فرما اگر موت میرے لئے بہتر ہے.

[ بخاری، کتاب:7 ، جلد:70 ، حدیث:575 ]

Narrated Anas bin Malik (Razi Allah Ta'ala Anhu) The Prophet (Sallallahu Alaihi Wa'alehi Wasallam) said, "None of you should wish for death because of a calamity befalling him; but if he has to wish for death, he should say: "O Allah! Keep me alive as long as life is better for me, and let me die if death is better for me."

[Bukhari :: Book 7 :: Volume 70 :: Hadith 575]


--------------{ Tu padh Namaz Qabl k Teri ada Namaz ho }-----------------
------------{ Guzar na jaye yeh Zindagi, Namaz to Namaz hai }------------

Ho gayi aasan har mushkil DUA ke samne,
Hath jab pehla diya maine KHUDA ke samne,
Chaand sa Mukhra tera, Aur NOORANI Chehra tera,
Chaandni bhi sharma gayi Teri ziyaan (Khubsoorti) ke samne,
Cheen gaya sukun dunia ka ataankwaad (Terrorist) se,
Lekin koi nahi tik payega sache Musalman ke samne,
Roshan karta chala jaa Is duniya ko Imaan ke Noor se,
Hal tera na-mumkin nahi us Rehnuma ke samne,
Lakh acchi lagti ho tujhe is dunia ki ye masarratein,
Jaanle ye sare dowlat kuch bhi nhi 2 Rakaat Namaz ke samne.

✿ Fajar: ki namaz ko apna naseeb bana lo,
✿ Zohar:ki namaz ko apna muqaddar bana lo,
✿ Asar: ki namaz ko apni taqdeer bana lo,
✿ Magrib:ki namaz ko apni umeed bana lo,
✿ Esha: ki namaz ko apna mustaqbil bana lo.


Shuru Allah k Naam se: Bhala batao to? k Aasmano ko aur Zameen ko kis ne paida kia? kis ne Aasman se barish brsaiy? phir usse hare bhare barounaq bagaat ugadiye? Un bagon k darakhto ko tum hargiz na uga sakte, kya Allah k sath aur koi mabood bhi hai? balke ye log hut jate hai (sidhi rah se). (Surah:An-Naml, Surah No:27, Aayat No:60)

Or, who has created the heavens and the earth, and who sends you down rain from the sky? Yea, with it we cause to grow well planted orchards full of beauty and delight: it is not in your power to cause the growth of the tress in them. (Can there be another) god besides Allah? Nay, they are a people who swerve from justice. (The Holly Quran - Chapter 27, An-Naml - Verse 60)


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

ابو ہریرہ (رضي اللہ تعالی عنہ) سے روایت ہے کے نبی(صلی اللہ علیہ واله وسلم) نے فرمایا.. دو اظہار ایسے ہیں جو زبان کے لیئے کہنا بہت آسان ہیں لیکن اللہ کے حضور انکا اجر بہت زیادہ ہے اور الله کو وہ بہت عزیز ہیں. اور وہ ہیں " سبحان الله العظیم " اور " سبحان الله وبحمدهِ "

[ بخاری، کتاب:8 ، جلد:75 ، حدیث:415 ]

Narrated Abu Huraira (Razi Allah Ta'ala Anhu) that Prophet (Sallallahu Alaihi Wa'alehi Wasallam) said, "There are two expressions which are very easy for the tongue to say, but they are very heavy in the balance and are very dear to The Beneficent (ALLAH), and they are, 'Subhan Allah Al-'Azim and 'Subhan Allah wa bihamdihi.'

[Bukhari :: Book 8 :: Volume 75 :: Hadith 415]



---------------------------{ Faisla Aap k Hath Main }---------------------------

Facebook par Gana bajana, Songs, Na mahramo ki Tasaweer, Fahashi aur be Hayai ki baten share karne walo k Naam.

Shuru Allah k Naam se: Jo log Musalmano me be hayai pehlane k Aarzu mand Rahte hai un k liye Duniya Aur Aakhiart me Dard naak Azab hai, Allah sab kuch Janta hai aur tum kuch bhi nahi Jante.(Surah:Nur, Surah No:24, Aayat No:19)

Daikh us ka kehna na Manna jis k dil ko ham ne Apne zikr se Gafil kardiya hai aur jo apni khuwahishon k piche pada huwa hai aur jis ka kaam had se guzar chuka hai.(Surah:Al-Kahf, Surah No:18, Aayat No:28)

Mere pyare bhai aur bahno se meri Guzarish hai k wo koi bhi wa yaha pic upload na Karen aur na hi koi song wo khud jante hai k Gunah hai phir bhi kar rahe hai, Jaan booj kar gunah karna Allah aur us k Rasool s.a.w ko Naraz karne ka sabab ban rahe hai, Please mere pyare bhai aur bahne man jao Na karo Gunah mai janta hun Mere list me kai aise bahne aur bhai hai wo log is gunah me mubtela hai mai naam lekar Ruswai nahi karna chahta na hi mere waise akhlaq hai Please na karo aap log aisa, Dard hota hai Abuzar ko k koi Momin gunah karen.

✿ Jis Qadar ho Saka Jis Qadar kar Saka,
✿ Qoum ko Raah Haq ki Bata ta Raha,
✿ Hukme ya Rab Sunana Mera Kaam Tha,
✿ Dil ki Duniya Badalna Tera kaam Hai. "Aye Allah".


Shuru Allah k Naam se: Aur Rishtedaron ka aur Miskeeno aur Musafiron ka haq ada karte raho, aur Israf aur beja kharch se bacho, beja kharch karne wale shaitano k bhai hai, aur shaitan apne parwardigar ka bada hi nashukra hai.(Surah: Bani Isra’il, Surah No:17, Aayat No:26-27)

And render to the kindred their due rights, as (also) to those in want, and to the wayfarer: but squander not (your wealth) in the manner of a spendthrift. Verily spendthrifts are brothers of the evil ones; and the evil one is to his Lord (himself) ungrateful.(The Holly Quran - Chapter 17, Bani Isra’il - Verse 26-27)


Are you feeling unsecure or uneasy? Do you 've stress? Are you tired of the drama's in life? Want the solution? It's easy: "Verily, in the remembrance of Allah do hearts find rest" (13:28)

✿ Subhan Allah ( سبحان الله ) "Glory be to Allah"

✿ Alhamdulillah ( الحمدللہ ) "All Praise to Allah"

✿ Allahu Akbar ( الله اكبر ) "Allah is the Greatest"


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

ابو ہریرہ (رضی اللہ تعالٰی عنہ) سے روایت ہے کے حضرت محمد (صلی اللہ علیہ واله وسلم) نے فرمایا، "اگر لوگ نماز_ عشاء اور فجر باجماعت ادا کرنے کے اجر کو جانتے تو انکو اگر ان کی ادائیگی کے لیئے رینگ کر بھی آنا پڑتا تو وہ آتے "

[ بخاری، کتاب:1 ، جلد:11، حدیث:589 ]

Narrated Abu Hurera (Razi Allah Ta'ala Anha) that Prophet Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa'alehi Wasallam) said "If people knew the reward of 'Isha' and Fajr prayers in congregation, they would come to offer them even if they had to crawl."

[Bukhari, Book1, Volume:11, Hadith #589]


Shuru Allah k Naam se: wo Allah aisa hai k tum ko khuski aur darya me chalata hai, yahan tak k jub tum kashti me hote ho aur wo kashtiya Logon ko Mua’fiq hawa k zariye se lekar chalti hai aur wo log un se khush hote hai un per aik jhonka sakht hawa ka aata hai aur har taraf se un per mouje uthti chali aati hai aur wo samjh lete hai k wo ghair liye gaye, (usi waqt) sab khalis aateqaad kar k Allah hi ko pukaarte hai k agr tu hum ko is se bachale to ham zaroor shukr guzar ban jayenge. phir jub Allah Tala un ko bacha leta hai to fauorn hi wo zameen me nahaq sarkashi karne lagte hai, Aye Logon! Ye tumhari sarkashi tumhare liye wabaal hone wali hai, dunyavi zindagi k (chnd) faide hai, phir hamare paas tum ko aana hai phir hum sab tumhara kiya huwa tum ko batladainge.(Surah:Yunus, Surah No:10, Aayat No:22-23)

He is Who enableth you to traverse through land and sea; so that ye even board ships, they sail with them with a favourable wind, and they rejoice thereat; then comes a stormy wind and the waves come to them from all sides, and they think they are being overwhelmed: they cry unto Allah, sincerely offering (their) duty unto him saying, if thou dost deliver us from this, we shall truly show our gratitude But when he delivereth them, behold they transgress insolently through the earth in defiance of right O mankind your insolence is against your own souls, an enjoyment of the life of the present: in the end, to us is your return, and we shall show you the truth of all that ye did. (The Holly Quran - Chapter 10, Yunus - Verse 22 - 23)



“The Qur’an is meant for the Self, not for the Shelf.”

......................✿....... H A D E E S .......✿......................

رسول اللہ (صلی اللہ علیہ وسلم) سے پوچھا گیا کے آپ اپنی امت کو (میدان حشر میں) دوسری امتوں کے (بےشمار لوگوں کے) درمیان کس طرح پہچانیں گے ؟آپ (ص) نے فرمایا : میرے امتی وضو کے اثر سے سفید (نورانی) چہرے اور سفید (نورانی) ہاتھ پاؤں والے ہوں گے۔ اس طرح ان کے سوا اور کوئی نہیں ہوگا ۔

[صحیح مسلم ، کتاب الطہارۃ ، حدیث : 247 ]

Rasool'ALLAH ﷺ was asked how will your recognize your ummah one the day of resurrection? Prophet ﷺ said, My ummah will have glowing face and hands and feet due to the effect of ablation. No one will look like them on that day.

[Saheh Muslim, Book Of Taharah, Hadees#247/8]


------------{ Kuchh Badi Baat Thi Hote Jo Musalman Bhi Ek }------------

••►We are from Asia
••►We are from Africa
••►We are from Australia
••►We are from Europe
••►We are from Antarctica
••►We are from North America
••►We are from South America

Yes, We are from different continents of the world but....

••►Our ALLAH [God] is one,
••►Our Quran is one,
••►Our Prophet [Peace Be Upon Him] is one,
••►Our Ka'aba is one

WE ARE ONE NATION OF BELOVED PROPHET MUHAMMAD [Peace Be Upon Him] (ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭ ﺳﻠﻢ)

Let us have our Creed one, Methodology One and Objective One.

Pure intent to seek good pleasure of ALLAH alone - Loving what HE Loves, Hating what HE Hates - actions according to the sunnah of our Prophet (sallallaahu'alaihi wasallam) "ISLAM Is My Life" and "ALHAMDULILLAH WE ARE MUSLIM".

--------- Manfa'at Ek Hai Is Qaum Ki Nuqsaan Bhi Ek,
--------- Ek Hi Sab Ka Nabi Deen Bhi Iman Bhi Ek,
--------- Haram-E-Paak Bhi Allah Bhi Quran Bhi Ek,
--------- Kuchh Badi Baat Thi Hote Jo Musalman Bhi Ek.


Shuru Allah k Naam se: Badi kharabi hai Naap Tol me kami karne Walon ki. K Jub Logon se Naap kar lete hai to Pura Pura lete Hai. Aur jub unhen Naap kar ya Tol kar dete Hai to kum dete Hai. Kya inhen Apne Marne k Baad ji uthne ka Khayal Nahi?(Surah:Al-Mutaffifin, Surah No:83, Aayat No: 1-4)

Woe to those that deal in fraud, Those who, when they have to receive by measure from men, exact full measure, But when they have to give by measure or weight to men, give less than due. Do they not think that they will be called to account?(The Holly Quran - Chapter 83 , Al-Mutaffifin - Verse 1-4)



......................✿....... H A D E E S .......✿......................

ابو ہریرہ (رضی اللہ تعالٰی عنہ) سے روایت ہے کے رسول الله (صلی اللہ علیہ وسلم) نے فرمایا اگر تم میں سے کسی کے گھر کے سامنے سے ایک نہر گزرتی ہو جس میں وہ پانچ وقت نہاتا ہو تو کیا اسکے جسم پر کوئی میل باقی رہ جاۓ گی؟ صحابہ نے کہا کے میل کا کوئی بھی نشان نہیں رہے گا.، رسول نے فرمایا یہی مثال نماز کی ہے جس سے الله تمھارے گناہ مٹاتا ہے.

[ بخاری، جلد:1، کتاب:10، حدیث:506 ]

Narrated Abu Huraira(RA) I heard Allah's Apostle ﷺ saying, "If there was a river at the door of anyone of you and he took a bath in it five times a day would you notice any dirt on him?" They said, "Not a trace of dirt would be left." The Prophet ﷺ added, "That is the example of the five prayers with which Allah blots out (annuls) evil deeds.

[ Bukhari Volume 1, Book 10, Hadees 506 ]


Shuru Allah k Naam se: Jis din Hum Dozakh se Poochen ge kya tu Bhar chuki? Wo Jawab degi kya kuch aur zyada bhi Hai.(Surah:Qaf, Surah No:50, Aayat No:30)

One Day We will ask Hell, Art thou filled to the full? It will say, Are there any more (to come)?.(The Holly Quran - Chapter 50, Qaf - Verse 30)

* "Allahumma ajirni minan nar" ('O Allah, save me from the Fire!') ,Aye Allah Mujhe Jahannam ki Aag se Bachalijiye, Aameen

1 comment:

  1. As'salaam alaikum wa Rahmatullahi wa barakatahu, knowledgeable blog, Jazak'a Allahu khair

    ReplyDelete