Pages

Wednesday, 12 November 2014

✦........♥ Fikre Dunya ▶ Ba’muqabla ◀ Fikre Aakhirat ♥........✦

Narrated Zaid bin Thabit RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whoever is focused only on this world, Allah will confound his affairs and make him fear poverty constantly, and he will not get anything of this world except that which has been decreed for him.

Whoever is focused on the Hereafter, Allah will settle his affairs for him and make him feel content with his lost, and his provision and worldly gains will undoubtedly come to him."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 37 :: Hadith 4105]

Urdu Translation: Hazrat Zaid bin Sabit RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jo Shaks Dunya hi ko Apna Maqsad banale Allah Subhanahu Wa Ta'ala us ke kamon ko bikheir dete hain (yani har kaam mein us ko pareshan kar dete hain), Faqr o Faqe (ka khof) us ki Aankhon ke samne kar dete hain aur Dunya use itni hi Milti hai Jitni us ke liye pehle se Muqaddar thi.

Aur jo Shaks Aakhirat ko Apna Maqsad banale to Allah Subhanahu Wa Ta'ala us ke kamon ko Aasan farmadete hain, us ke dil ko Ghani farmadete hain aur dunya Zaleel hokar us ke paas Aati hai."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 986]

✦....♥ Mizaane Aa’mal Mein Na Sama Sakne Wale 3 Aa’mal ♥….✦

❶ Sabr Karna: "Jo log Sabr se kaam lete hain, Unhen un ka Sawab be Hisab diya jayega." (Qur’an 39:10)

❷ Muaaf karna: "Jo koi Muaaf kare aur Islaah se kaam le to us ka Sawab Allah ne Zimme liya hai." (Qur’an 42:40)

❸ Roza Rakhna: Allah Subhanahu Wa Ta'ala ka Irshad hai: "Rozah mere liye hai aur main hi Roze ka Badla dunga." (Sahih Bukhari :: Hadith 1904)

●════════════════════◄►═══════════════════●

❶ "Only those who are patient shall receive their rewards in full, without reckoning." (Qur’an 39:10)

❷ "But whoever forgives and makes reconciliation, his reward is due from Allah. (Qur’an 42:30)

❸ "Allah Subhanahu Wa Ta'ala said, 'Fasting which is for Me, and I will give the reward for it.' (Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 128)

✦...........♥ 5 Ahem Tareen Nabwi Nasihaten ♥...........✦

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Kon hai jo Mujh se ye khaas Baten seekh le? Phir wo khud Aml kare ya Dusre ba’Aml logon ko bataye, Main ne Arz kiya: Ya RasoolAllah! Main hazir hun, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne (Azrahe Shafqat) Mera hath apne Daste Mubarak mein liya aur Gin kar ye Panch (5) chizen batlayen:

❶ Jo chizen Allah ne Haram qarar di hain un se Bacho, Tum sab se bade Ibadat Guzar banjaoge.
❷ Allah Tala ki Taqseem par razi raho, Tum sab se bade Doulat mand banjaoge.
❸ Apne padosi ke sath Accha sulook karo, Tum kamil Momin banjaoge.
❹ Jo Apne liye pasand karo wo dusron ke liye bhi pasand karo, Tum sacche Musalman banjaoge.
❺ Zyadah hansi se bacho, Kyun ke zyada Hansna Dil ko Murdah kardeta hai."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 186]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Narrated from Abu Hurairah that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Who will take these statements from me, so that he may act upon them, or teach one who will act upon them?" So Abu Hurairah said: "I said: 'I shall O Messenger of Allah!' So he (Sallallahu Alaihi Wasallam) took my hand and enumerated five (things), he said:

❶ "Be on guard against the unlawful and you shall be the most worshiping among the people,
❷ Be satisfied with what Allah has alloted for you and you shall be the richest of the people,
❸ Be kind to your neighbor and you shall be a believer,
❹ Love for the people what you love for yourself and you shall be a Muslim.
❺ And do not laugh too much, for indeed increased laughter kills the heart."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2305]

✦............♥ Musalman Doctor ki Sifaat ♥............✦

❶ Acche Akhlaq ka Malik aur khush Mizaaj ho.
❷ Rahem dil, Ba Haya, Paak daman aur Diyanatdar ho.
❸ Umdah Libas, Umdah khushbo wala aur paak saaf ho.
❹ Khidmat ka jazba ho, Mareez ko Gaahak na samajhta ho.
❺ Apne shobe mein Maher ho, Mazeed saikhne sikhane ki lagan bhi ho.
❻ Aqalmand aur Hoshiyar ho.
❼ Marizon ke Raaz aur Makhfi Masayel chupane wala ho.
❽ Zaati Mafadat ke liye Gair Meyari dawaon ka Intekhab na karta ho
❾ Nazm o Zabt ki pabandi khud bhi karta ho, Staff se bhi karwata ho.
➓ Allah ki Ita’at o Bandagi ki Dawat deta ho.

✦.......♥ Jahannam par Haram aur Jahannam us par Haram ♥.......✦

'Abdullah bin Mas'ud RadiyAllahu Anhu narrated that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Shall I not inform you of whom the Fire is unlawful and he is unlawful for the Fire? Every person who is near (to people), amicable, and easy (to deal with).'"

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 11 :: Hadith 2488]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Mas’ud RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Kya main Tumhen wo shaks na Batau jo Jahannam ki Aag par Haram hai aur Jahannam ki Aag us par Haram hai? (Phir khud Irshad Farmaya): Ye wo Aadmi hai jo Aqraba (Rishtedar) ke liye sahulat aur Aasani paida karta ho Narm Mizaaj, Narm Tabi’at aur khush Akhlaq ho."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 377]

✦....................♥ Shaahkaar SIM Offer ♥....................✦
…✿ Agar Aap Pareshani se Bachna Chahte hain to: ✿…

▶  Apni zindagi mein Lagalen Namaz ki SIM bilkul muft – Free SIM.

▶  Namaz deti hai aap ko Allah se Muft baat karne ke 5 Moqe aur wo bhi Rozana – Daily Package.

▶  Us ke sath la Mahdood Rahmaten, Barkaten, Sukoon Qalb aur Dheron In’aamat – Unlimited Gifts.

▶  Tahajjud Package ke zariye Raat 12 se Subah 5 tak sab kuch Hasil karne ka Nayaab Moqa – Tahajjud Package.

▶  Dair mat Karen, ye Offer Mahdood Muddat yani Saans baqi rehne tak hai – Limited Offer.

●◗► Mazeed Malumat ke liye Visit kare: Quran kareem, Ahadees Mubaraka aur Mustannad Deeni kutub ka.

✦......✿.........✔ Chaar Gawah ✔.........✿......✦

Beshak Aap Tanhayi mein Gunah karlen Magar phir bhi Km Az Km 4 Gawah gawahi dene ke liye Bilkul Tayyar hain.

❶ Aakhen
❷ Dil
❸ Hath
❹ Kaan

⇨ "Allah Subhanahu Wa Ta'ala ka Irshad hai: "Aaj ke din ham un ke Muh par Mohar lagadenge Aur un ke Hath ham se baat karenge aur un ke Paon gawahi denge, un kamon ki jo wo Dunya mein kiya karte the." (Qur’an 35:65)

⇨ "This Day, We shall seal up their mouths, and their hands will speak to Us, and their legs will bear witness to what they used to earn. (It is said that one's left thigh will be the first to bear the witness)." (Qur’an 36:65)

✦.......♥ Subah Sawere Barkaton ke Khushgawar Jhonke ♥.......✦

Narrated Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu: That the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The early morning has been blessed for my ummah."

Urdu Translation: Hazrt Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Meri Ummat ke liye Subah Sawere ke Aouqat mein Barkat rakhdi gayi."

[Sahih al-Jami :: Hadith 2841, Al-Mu'jam Al-Awsat Al-Tabarani :: Hadith 758, Kanzul Ummal :: Hadith 35205]

Abu Barzah RadiyAllahu Anhu narrated: "The Prophet would dislike to sleep before Isha and to talk after it."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 2 :: Hadith 168]

Urdu Translation: Hazrat Abu Barzah RadiyAllahu Anhu Farmate hain: "Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne Isha se pehle Sone ko aur Isha ke Baad Dunyawi Guftagu ko Na’pasnd farmate the."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 157]

●════════════════════◄►═══════════════════●

●◗► Ham log Raat dair tak Dunyawi Gap shap, Sair o Tafreeh aur Taqribaat mein shareek rehte hain Jis ke Natije mein Fajr ki Namaz bhi reh jati hai aur Subah sawere jo Rehmaten aur Barkaten barasti hain un se bhi Mahroom hojate hain. "Subah ki Barkaten Hasil karne ke liye Zaroori hai ke Raat Jaldi Sojayyen."

✦.......✔ Muharram ul Haram aur Ashurah ke Hawale se ✔.......✦
✦.......✿…….✔ Sangeen Galat Fehmi ka Izalah ✔.......✿…....✦

●◗► Bahot se log ye Samajhte hain ke Maah Muharram aur Youm Ashurah sirf isliye Muqaddas o Ba’barkat hai ke is mein Waqeaa KARBALA paish Aaya. Haqiqat ye hai ke KARBALA ka Dil kharash saneha Youm Ashurah (10/Muharram) San 61/Hijri mein paish Aaya Jab ke…!!

✔ Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne Jis din Kainaat ko Takhleeq farmaya usi din se Muharram ka Mahina Muqaddas o Ba’barkat chala Aaraha hai.

✔ Ashurah ke din hi Bani’Israil aur Hazrat Musa Alaihs Salam ka Firaon se Muqabla hua, Allah ne Firaon ko Garq aur Bani Israil ko Najat ata farmayi, Jis ki wajah se Youm Ashurah Musa Alaihis Salam ki Shari’at mein bhi Muqaddas o Ba’barkat tahra.

✔ Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ke Ahd Mubarak mein bhi Muharram ka Mahina aur Ashurah ka din Muqaddas samjha jata tha.

✔ Ibteda Islam mein jab tak Ramadhan ke Roze Farz nahi hue the, Ashurah ka roza Rakhna Musalmano par Farz qarar diya gaya tha.

✔ Baaz Aza Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne Youm Ashurah ke Roze ko Sunnat aur Guzishta saal ke Gunahon ki Maghfirat ka zariya qarar diya.

•••••► Lehaza! Muharram aur Ashurah ke din ko Waqeaa KARBALA ki wajah se Muqaddas aur sog ka zamana samajhna, is mein Siyah (Black) libas pahenna aur shadi Biyah o khushi ki Taqribat se bachna durust nahi, Haqiqat to yahi hai ke Maah Muharram aur Youm Ashurah ki Fazilat sirf Waqeaa karbala ki wajah se nahi Balke ye to Syyidna Husain (RadiyAllahu Anhu) o Digar Shohdaye KARBALA ke liye Sharf o Fazilat ka moqam hai ke Allah ne in Pakizah nufoos ko aise Din Shahadat ka Martaba Ata Farmaya jo Azl  se Muqaddas o Mohtaram chala Aaraha hai.

✦ "Husain (RadiyAllahu Anhu) Mahbube Khuda o Mahbube Mustafa (Sallallahu Alaihi Wasallam) Hussain RadiyAllahu Anhu Shaheed Karbala, Tareeq Shahadat 10/Muharram 61/Hijri" ✦

✿ Hazrat Husain RadiyAllahu Anhu ke Mubarak Wujood se Ummate Muslimah 57 baras tak Mustafeed hoti rahi, 10 Muharram 61 Hijri Ba’mutabiq 10-Oct-680 Eesvi ko Hazrat Husain RadiyAllahu Anhu Muqame "KARBALA" mein Haq ka Alam Sar’buland karte hue Shahadat ke Aa’la Tareen Rutbe par Fayez hogaye ✿

Narrated by Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu "The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: 'Whoever loves Hasan and Husain (Radi Allahu Anhuma) loves me; and whoever hates them, hates me.'"

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 1 :: Hadith 143]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jis ne Hasan aur Husain se (RadiAllahu Anhuma) se Muhabbat ki us ne Mujh se Muhabbat ki aur Jis ne in dono se Bogz rakha us ne Mujh se Bogz rakha."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 143]

●════════════════════◄►═══════════════════●

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "May Allah love those who love Husain."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 1 :: Hadith 144]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Allah us se Muhabbat rakhte hain Jo Husain se Muhabbat rakhte hain."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 144]

●════════════════════◄►═══════════════════●

It was narrated from Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu that: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said to Hasan: "O Allah, I love him, so love him and love those who love him." He said: "And he hugged him to his chest."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 1 :: Hadith 142]

Urdu Translaiton: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se rivayat hai ke RasoolAllah Sallallhu Alaihi Wasallam ne Hazrat Hasan RadiyAllahu Anhu se Farmaya: "Aye Allah! mein Inse Muhabbat karta hu Aap bhi inse Muhabbat kijiye aur jo unse Muhabbbat kare use bhi Mehboob Rakhiye phir Aap Salllallahu Alaihi Wasallam ne Hasan RadiyAllahu Anhu ko seeney se lagaya."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 142]

No comments:

Post a Comment