Pages

Monday, 24 November 2014

✦........♥ Aankhon se Aansu Bahne ke 10 Wujuhaat ♥........✦

❶ Allah ke Khof se.
❷ Dil ki Narmi se.
❸ Farte Mohabbat se.
❹ Shadeed Dard se.
❺ Bahot zyadah khushi se.
❻ Ranj o Gham se.
❼ Kamzori ya Ghabrahat se.
❽ Munafiqat aur Dikhlawe se.
❾ Ujrat le kar Noha (matam) karne se.
➓ Dusron ko rota daikhne se.

●◗► In Sab mein se Allah ke Khof se Rona Aisa hai Jis ke Bare mein RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Allah ke Khof se Rone wali Aankh par Jahannam ki Aag Haram hojati hai."

Narrated Abu Rayhana RadiyAllahu Anhu says: The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: "The Hell fire is prohibited (Haraam) upon those eyes which (cry) shed tears of the fear of Allah."

[Al-Mustadrak Al-Hakim :: Hadith 2432]

Urdu Translation: Hazrat Abu Rayhana RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Allah ke Khof se Rone wali Aankh par Jahannam ki Aag Haram hojati hai."

[Al-Mustadrak Al-Hakim :: Hadith 2432]

✦..........:( Deendar Logon ka Mua’shre se Shikwah :(..........✦

●◗► Ham Musalman hain, Islam Aik jame Mazhab aur Mukammal Zabta Hayaat hai, Ham Islam par chalne ki Apni si Koshish karte hain lekin Insan hone ke Nate ham Galti bhi kar sakte hain, kisi ki Dil Aazari aur Haq Talfi ka Gunah ham se sarzad ho sakta hai.

●◗► Please! Agar ham koi Galti karen to Islam aur Islami Sha’ayer (Dadhi, Pagdi, aur Topi wagera) ko bura bhala na kahen balke hamen Bura bhala kahen.

✦.............♥ Nasihat Karen ' Ruswaa Nahi ♥.............✦

●◗► Aik Aadmi Khalifah Mamun Al-Rasheed ke paas Aaya taa ke use Wa’z o Nasihat kare, us Aadmi ne sakht Guftagu ki aur Mamun ko "Aye Zalim!" aur "Aye Fajir!" ke Alfaz se Mukhatab kiya,

"Mamun Al-Rasheed ne kaha: Narmi se kaam lo, kyun ke Allah Tala ne Tum se behtar shaks (yani Hazrat Musa o Haroon Alaihis Salam) ko Nabi bana kar Mujh se Bad’tar shaks (yani Firaon) ki taraf bheja aur Hukum diya:

⇨ "Tum donon us se Narmi se Baat karna, Shayad wo Nasihat Qubool kare, ya (Allah) se dar jaye." (Qur’an 20:44)

⇨ "And speak to him mildly, perhaps he may accept admonition or fear Allah." (Qur’an 20:44)

✦..▶ Safar Al-Muzaffar Maah Safar Kamyabi ka Mahina hai na ke Manhoos ◀..✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "There is no 'Adha, (no contagious disease is conveyed without Allah's permission) nor Tiyara, (is there any bad omen (from birds), nor Hama, nor Safar (is there any bad omen in the month of Safar)."

[Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Book 71 :: Hadith 608, 653]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Marz ka aik se Dusre ko lag jana, Bad shuguni ya Ullu ya Safar ki Nahusat ye koi Cheez nahi hai."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.7 :: Hadith 5707, 5757]

●════════════════════◄►═══════════════════●

●◗► Safar Al Muzaffar qamri saal ka Dusra mahina hai Jo Moharram ke baad Aata hai baaz na’waqif log Maah safar ke bare mein yun zuban darazi karte hain ke Maah safar Manhoos hai isi liye Baaz log Km ilmi mein Maah safar mein Shadi biyah, pur Masarrat Taqareeb, Dukan ya Makan ki Iftetah wagerah karne se Gurez (parhaiz) karte hain aur yun kaha karte hain ke Safar ki Shadi safar hoti hai.

Halan ke Islam mein koi Mahina aisa nahi hai Jo Apne andar is Qism ke Aaib o Burayyan rakhe, Saal ka Har Mahina Allah hi ka Paida kiya hua hai, Aur Allah ki paida ki hui Chizon ko Manhoos samajhna Aur manhoos kehna Yaqinan bura Aqidah aur Zuban darazi hai.

✦...............▶▶▶ x Tera Tezi x◀◀◀……….......✦

●◗► Mahe Safar ki 13 Tareeq baaz ilaqon mein Jahilon ke nazdeek bahot ahmiyat dete hain, Umuman Aourten Maah safar ki 12 tareeq ki raat ko apne sarhane Ande (Egg) Tail, Maash ki daal, Wagerah rahte hain, aur 13 tareeq ki Subah Faqiron mein sadqa karte hain, Hyderbaad ke Mukhtalif Muslim Mohallo mein 13 ko Fajar se Qabl hi faqeeron ki zubanon se ye jumla sunne ko milta hai "Aaj tera tezi ka Roz" Jahilon ka ye Aqidah hai ki 13 tareeq ko kasrat se balayen utarti hain in balao ko taalne ki khatir Mokhtalif chizen sadqah ki jati hain, Islam mein is qism ke wahem ki koi Gunjayesh nahi hai, ye kisi dusre Mazhab ki Cheez hai Jis ko jihalat se Daakhile Islam kiya gaya.

✦...........:o Sacchayi Tumhen Hairan Kardegi..!!! :o...........✦

●◗► Aik 25 sala Ladka Rail gadi ki khidki se bahar daikh raha tha ke Achank wo bola "Abbu daikho darakht ham se piche ki taraf bhaag rahe hain" Us ka Walid Muskuraya aur un ke sath baithe hue Jode (Couple) ne us 25 sala ladke ki bachkana harkat ko rahem Dili ki Nigah se daikha.

Thodi dair baad wo ladka phir Achank bola "Abbu in badalon ko to dekho, Ye hamare sath sath chal rahe Hain "Sath baithe hue Jode (Couple) se ye bardasht nahi hua aur wo us ke Baap se bole ke Aap is ko kisi Acche Doctor ke paas kyu nahi lejate?

✿ Us ladke ka Budha baap Muskuraya aur Bola ➲"Ham gaye the Doctor ke paas aur ab ham Hospital se hi Aarahe hain, Mere Beta paidayeshi tor par Andha tha, use Aaj hi Aakhen mili hain" ➲

♥ Matlab ye ke Har Insan ke Paas us ki koi na koi kahani hai, To phir Tum Insano ko bina Haqiqat Jaane mat Parkho....!!! Kyun ke Sacchayi Tumhen Hairan Kardegi!! ♥

✦.........♥ Allah ke Diye hue Rizq par Qina’at Kijiye ♥.........✦

'Abdullah bin 'Amr RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: "He Is successful who has accepted Islam, who has been provided with sufficient for his want and been made contented by Allah with what He has given him."

[Sahih Muslim :: Book 5 :: Hadith 2293]

Urdu Translation: Hazrat 'Abdullah bin 'Amr RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad farmaya: "Wo Shaks kamyab hogaya jo Islam laya aur use Baqadre kifayat Rizq diya gaya aur phir diye hue Rizq par Qina’at karne ki Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne use Toufeeq di."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 2426]

●◗► Qina’at – Thodi cheez par khush rehna, Jo mil jaye us par Razi rehna.
●◗► Baqadre Kifayat- Zarurat bhar Rozi Milgayi.

●◗► Aik dafa do Bahot Gehre dost Sehra mein Safar kar rahe the Raste mein bate karte karte dono mein bahez hogayi aur Baat itni badhi ke aik Dost ne dusre dost ko Muh pe Thappad de mara, Thapad khane wala dost Bahot dukhi hua Lekin kuch bole bagair us ne Rait par likha "Aaj mere sab se Acche aur Gehre dost ne mere Muh pe Thappad mara."

◈ Chalte chalte un ko aik Jheel nazar Aaayi, dono ne Nahane ka iradah kiya, Achanak Jis dost ko Thappad pada tha wo Jheel ke beech Daldali hisse mein Phans gaya magar Jis dost ne Thappad mara tha us ne use bacha liya, Tab bachne wale dost ne Patthar par likha "Aaj mere sab se Acche aur Gehre dost ne meri zindagi bachali."

◈ Ye daikh kar jis dost ne Thappad mara tha aur baad mein jaan bachayi us ne pucha "Jab main ne tum ko dukh diya to tum ne Rait par likha tha aur Jab jaan bachayi to tum ne Patthar pe likha kyun?

●◗► Pehle dost ne Jawab diya: "Jab koi Aap ko dukhi kare ya Takleef de to hamesha us ki wo baat Rait par likhlo ta ke "Darguzar ki hawa" use Mitade lekin jab bhi koi Aap ke sath Bhalayi kare to hamesha us ki Acchayi Patthar pe Naqsh karo ta ke koi bhi use Mita na sake."

✦......:( Qayamat Mein Sab se Muflis (Gareeb) Tareen Shaks :(......✦

Abu Huraira. RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: Do you know who is poor? They (the Companions of the Holy Prophet) said: A poor man amongst us is one who has neither dirham with him nor wealth.

He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: The poor of my Umma would be he who would come on the Day of Resurrecton with prayers and fasts and Zakat but (he would find himself bankrupt on that day as he would have exhausted his funds of virtues)

▶  since he hurled abuses upon others,
▶  brought calumny against others and
▶  unlawfully consumed the wealth of others and
▶  shed the blood of others and
▶  beat others,

and his virtues would be credited to the account of one (who suffered at his hand). And if his good deeds fall short to clear the account, then his sins would be entered in (his account) and he would be thrown in the Hell-Fire.

[Sahih Muslim :: Book 32 :: Hadith 6251]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Kya tum Jante ho ke Muflis kon hai?" Logon ne kaha: "Hamare Khayal mein Muflis wo shaks kehlata hai Jis ke paas na Darham ho aur na Dunya ka koi Samaan.

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Meri Ummat ka Muflis wo shaks hai jo Qayamat ke din Apni Namaz, Roza, Zakat (aur digar Ibadaat) ke sath Allah ke darbar mein Hazir hoga lekin us ke sath sath us ne

▶  Dunya mein kisi ko Gali di hogi,
▶  Kisi par Tohmat lagayi hogi,
▶  Kisi ka Maal khaya hoga,
▶  Kisi ko Qatal kiya hoga,
▶  Kisi ko Na’haq mara hoga,

To un tamam Mazalumon mein us ki Nekiyan Baant di jayengi, phir Agar us ki Nekiyan khatam hogayin aur Mazlumon ke Huqooq baqi rahe to un ke Gunah us ke khate mein dal diye jayengi aur phir use Jahannam mein Ghaseet kar phaink diya jayega."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6579]

✦.............♥ Aazmayesh Naik Logon Par Aati hai ♥.............✦

Mus'ab bin Sa'd RadiyAllahu Anhu narrated from his father that a man said: "O Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)! Which of the people is tried most severely?"

► He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The Prophets, then those nearest to them, then those nearest to them.

► A man is tried according to his religion; if he is firm in his religion, then his trials are more severe, and if he is frail in his religion, then he is tried according to the strength of his religion. The servant shall continue to be tried until he is left walking upon the earth without any sins."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2398]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Mus'ab bin Sa'd RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main ne RasoolAllah Sallallahu Aliahi Wasallam se Daryaft kiya: Ya RasoolAllah! Sab se zyadah Aazmayesh mein kin logon ko dala jata hai?

► Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Ambiya Alaihis Salam ko, Phir use jo Ambiya se Qareeb tar ho, Phir use jo Ambiya se Qareeb ho (Yani jo Ambiya se Jitna zyadah Qurb o Talluq rakhega use Utna hi zyadah Aazmaya jayega).

► Aadmi ko us ke Deen ke mutabiq Aazmaya jata hai, Ps Agar wo apne Deen mein pokhta ho to us ki Aazmayesh bhi kadi hoti hai aur Agar us ke Deen mein kamzori ho to use us ke Deen ke Baqadar hi Aazmayesh mein dala jata hai, Aazmayesh bande ke sath hamesha rahti hai Yahan tak ke use (Gunahon se Aisa saaf) kar ke Chhorti hai ke wo Zameen par Aisi Halat mein chalta phirta hai ke us par koi Gunah baqi nahi rehta."

[Urdu Ref :: Jami at-Timidhi :: Vol. 2 :: Hadith 284]

✦.............♥ Mera Sab Kuch Qurban Hojaye!! ♥.............✦

(Pyare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam! Musalmanon se) keh Dijiye:

► Tumare Walid,
► Tumare Bete,
► Tumare Bhai,
► Tumhari Biwiyan,
► Tumhari baradri o Qabilah,
► Wo Maal o Doulat jo Tumne kamaya hai,
► Wo karobar jis ke Thap hone ka tumhen Andesha rehta hai,
► Aur wo Rihayashi Makanat jo tumhein Pasand hain,

Ye sab chizen Agar Tumhein Allah us ke Rasool aur us ke Raste mein Jihad karne se Zyadah Mahboob hain to tum Intezar karo, Yahan tak ke Allah Apna (Azab ka) Faisla saadir farmade aur Allah Nafarman logon ko Manzil tak Nahi pohchata. (Qur’an 9:24)

●════════════════════◄►═══════════════════●

Say, [O Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam)],

► "If your fathers,
► Your sons,
► Your brothers,
► Your wives,
► Your relatives,
► Wealth which you have obtained,
► Commerce wherein you fear decline,
► And dwellings with which you are pleased

are more beloved to you than Allah and His Messenger and jihad in His cause, then wait until Allah executes His command. And Allah does not guide the defiantly disobedient people." (Qur’an 9:24)

✦...✔ Acche Akhlaq Dushman ko bhi Dosti mein Badal dete Hain ✔...✦

► Danayi ki Aik satah wo hai Jahan Insan Bad’kalami ka jawab Bad’kalami se deta hai, Eint ka jawab mein Patthar de marta hai.

► Danayi ki Dusri satah wo hai Jahan Insan Bad’kalami ke jawab mein Khamoshi Ekthiyar karta hai aur Bad’kalami karne wale ko Apne Haal par chhor deta hai.

► Danayi ki Aik Teesri Satah bhi hai is mein Insan na sirf ye ke Apne Jazbat par Qabo pata hai Balke bure Akhlaq ka Jawab Behtareen Akhlaq se Deta hai aur Danayi ki yahi Teesri satah hai jo Bad’tareen Dushman ko behtareen Dost mein tabdeel kardeti hai.

●════════════════════◄►═══════════════════●

Narrated `Abdullah bin `Amr RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) never used bad language neither a "Fahish nor a Mutafahish. He used to say "The best amongst you are those who have the best manners and character."

[Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 56 :: Hadith 759]

Urdu Translaiton: Hazrat Abdullah bin Amr RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam "Bad’zuban aur Ladne Jhagadne wale nahi the, Aap Farmaya karte the ke Tum mein sab se Behtar wo Shaks hai Jis ke Akhlaq sab se Acche ho. (Jo logon se khandah paishani se Paish Aaye)."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 3559]

●◗► Fahish means Evil, Mutafahish is one who conveys evils.
●◗► Khanda Paishani – Hanste Muskurate, Khush Mizaaj.

No comments:

Post a Comment