Pages

Friday, 5 December 2014

✦........♥ Taleem, Mulazimat ya Shopping ke liye ♥........✦
✦...........▶▶▶ Aourat ka Ghar se Nikalna ◀◀◀...........✦

⇨ "Aourton ko RabbulAlameen ki Taraf se Hukum diya gaya ke wo Apne Gharo mein hi Rahen aur (Khangi umoor ke sath) Namaz, Roza aur Zakat wagerah ki Baja Aawri Karen." (Mafhoom Surah Al-Ahzab:33)

Albatta Shadeed zarurat aur Majburi ki surat mein Shari’ate Mutahrah ne Aourat ko Ghar se bahar nikalne ki Darj zail Sharayet ke sath Ijazat di hai:

❶ Nigahen nichi rakhen. (Surah An-Noor :: 32)

❷ Khushbon laga kar na Niklen. (Sunan An-Nasa’i :: 5126)

❸ Be pardah na niklen ke log un ke Husn aur libas par Nazar dalen Neez Aisa Muzayyan burqa ya Hijab bhi na pahnen jo Ajnabi nigahon ko Mutawajje kare. (Mafhoom Surah An-Noor :: 32, Surah Al-Ahzab :: 59)

❹ Paon mein aisa Zewar ya Pazaib wagerah na pahne jis se Aawaz ya Jhankar sunayi de. (Mafhoom Surah Al-Noor :: 32)

❺ Raaste ke darmiyan mein na Chalen balke Mardon se Alag kinare par chalen. (Sunan Abu Dawood :: 5272)

❻ Mardon se baat karne ki Nobat Aaye to Zanana Nazakat o Narmi ke bajaye Nape tule Alfaz mein Sakhti se baat kare. (Mafhoom Surah Al-Ahzab :: 32)

❼ Rash aur Bheed bhaad ki aisi jaga mein dakhil na ho jahan Zanana Jism ke kisi Mard se Mas hone ka Andesha ho. (Mafhoom Sunan Abu Dawood :: 5272)

❽ Tanhayi aur khuloot ki Aisi jage na jaye jahan koi Na’Mahram mard ho, chahe wo Mard lakh paarsa (parhaizgar) hi kyun na ho. (Sahih Bukhari :: 3006)

✦.........♥ Musalman ke Musalman par 6 Huqooq ♥.........✦

Abu Huraira RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: Six are the rights of a Muslim over another Muslim. It was said to him: Allah's Messenger, what are these? Thereupon he said:

❶ When you meet him, offer him greetings;
❷ When he invites you to a feast accept it.
❸ When he seeks your council give him, and
❹ When he sneezes and says:" All praise is due to Allah," you say Yarhamuk Allah (may Allah show mercy to you) ; and
❺ When he fails ill visit him; and
❻ When he dies follow his bier.

[Sahih Muslim :: Book 26 :: Hadith 5379,2162]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Aik Musalman ke Dusre Musalman par Che (6) Huqooq hain, un Huqooq ki Tafseel Maloom karne par Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya:

❶ Tum Jab bhi Milo use Salam karo.
❷ Jab wo Tumhen dawat de to us ki dawat qubool karo.
❸ Jab wo koi Nasihat aur Mashwarah talab kare to Mukhlisana Nasihat aur Diyanatdarana Mashwarah do.
❹ Jab use Cheenk Aaye aur wo Alhamdulillah kahe to us ke Jawab mein Yarhamuk Allah kaho.
❺ Jab wo Bimaar ho to us ki Timardari karo.
❻ Jab wo Fout hojaye to us ke Janaze mein shirkat karo.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5651]

✦.........♥ Nikah - Zindagi ka Yaad Gaar Lamha ♥.........✦

❶ Kya Aap: Shari’at ka Lihaaz karte hue saadgi ke sath is Mubarak Sunnat ki Adayegi ka Iradah rakhte hain?

▶▶▶ Ya ◀◀◀

❷ Mu’ashre mein Raayej Gair Shar’yi Fuzool Rasm o Riwaj ko Nibhana Zaroori samajhte hain?

●◗► Marriage "A Lifetime Contract": ▶ You want to Follow Sunnah and Marriage with ease ? OR ▶ You wanna do Relatives more happy than Allah and His Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) by doing Non-Islamic things like Functions in which neither Allah or his Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) will be happy ?.

✦.......✿...........♥ Khoob Seerat ♥...........✿.......✦

●◗► Sultan Mahmood Ghaznawi ki Rangat thodi Siyah (kala) thi, Dunya ke is Azeem Faateh ne Aik din Aaine mein Apni surat ghor se dekhi to use Ranj hua, Dusre roz us ne apne wazeer se kaha.

► "Suna hai Badshahon ka chehra daikhe se Aankhen khair hoti hain Magar hamen daikh kar to logon ko Koft hoti hogi."

► Wazeer ne kaha: "Badshah Salamat! Aap ki Surat daikhne wale Chnd Jabke Seerat daikhne wale Be shumar hain."

♥ Insan ki Seerat Acchi ho to us ki Surat par kisi ki Nazar nahi Jati ♥

✦.........✔ Agar na Magar! Allah ke Faisle Par Sabar ✔.........✦

Abu Huraira RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: A strong believer is better and is more lovable to Allah than a weak believer, and there is good in everyone, (but) cherish that which gives you benefit (in the Hereafter) and seek help from Allah and do not lose heart, and if anything (in the form of trouble) comes to you, don't say: If I had not done that, it would not have happened so and so, but say: Allah did that what He had ordained to do and your" if" opens the (gate) for the Satan.

[Sahih Muslim :: Book 33 :: Hadith 6441]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Allah ke han Taqatwar Momin Kamzor Momin se bahot behtar aur pasandidah hai Albatta dono mein Acchayi Moujood hai. Jo cheez tumhen Faidah pohcha sakti hai use Hasil karne ki Koshish karo aur Allah Tala se Madad Talab karo aur be Bus ho kar na baitho.

Aur Agar tumhen koi Nuqsan pahoch jaye to ye mat kaho: "Agar main is tarah karleta to Aisa ho jata, waisa hojata" Balke yun kaho: "Allah Tala ki Taqdeer yunhi thi aur us ne jo chaha wo kardiya", Yaad Rakho! "Agar" ka Lafz Shaitan ki Dukhl Andazi ka darwazah khol deta hai."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6774,6945]

●◗► Aksar hamare beech ye Baat bahot aam hai, Agar kisi ka kuch Nuqsan hojaye ya kisi ka Inteqal hojaye to zuban par kai bate Aajati hai ke Agar aisa karlete to Aisa hojata aur ye na hota etc.. Is tarah ki bate karni nai chahiye Aisa kehna Shaitan ka Darwaza khol deta hai, Allah ki Taqdeer par Razi rahe jo Chaha Allah ne wo kardiya.

✦.............♥ Wafadari ke Paimane ♥.............✦

◗► Aoulad ki wafa ka: Budhape mein pata chalta hai.
◗► Shohar ki wafa ka: Biwi ki bimari mein pata chalta hai.
◗► Biwi ki wafa ka: Shohar ki gurbat mein pata chalta hai.
◗► Bhai ki wafa ka: Shadi ke baad pata chalta hai.
◗► Bahen ki wafa ka: Jawani mein pata chalta hai.
◗► Dost ki wafa ka: Musibat mein pata chalta hai.




⇨ "So whosoever does good equal to the weight of an atom (or a small ant), shall see it. And whosoever does evil equal to the weight of an atom (or a small ant), shall see it." (Qur’an 99:7-8)

⇨ Urdu Translation: "Jis ne zarah Barabar Neki ki hogi wo use (Roze Mahshar) daikh lega. Aur jis ne zarah Barabar Burayi ki hogi wo bhi use daikh lega." (Qur’an 99:7-8)

●◗► "Kisi Gunah ko Halka aur kisi Neki ko Haqeer na samjhen, Na Maloom konsa Gunah Aap ko Jahannam ke gadhe mein aur Konsi Neki Aap ko Jannat mein le jane ka sabab ban jaye."

✦........♥ Jannat ke Libaas Hasil karne ka Sunehra Moqa ♥........✦

Narrated from Abu Sa'eed Al-Khudri RadiyAllahu Anhu that The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whichever believer feeds a hungry believer , Allah feeds him from the fruits of Paradise on the Day of Resurrection. Whichever believer gives drink to a thirsty believer, Allah gives him to drink from the 'sealed nectar' on the Day of Resurrection. Whichever believer clothes a naked believer, Allah clothes him from the green garments of Paradise."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 11 :: Hadith 2449]

Urdu Translation: Hazrat Abu Sa’eed Al-Khudri RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jis Momin ne Apne Bhuke Momin Bhai ko khana khilaya Allah Ta'ala use Roz Qayamat Jannat ke phal khilayega aur Jis Momin ne Apne pyase Momin bhai ko Pani pilaya Allah Ta'ala use Qayamat ke din Muhar lagi hui Khalis Sharab pilayega aur Jis Momin ne kisi be Libas Momin ko kapda pehnaya Allah Ta'ala use Jannat ke Sabz Jode pahnayega."

[Urdu Ref :: Jami at-Timridhi :: Vol. 2 :: Hadith 339]

●◗► Apne Ird Gird nazar daliye! Bahot se Fuqra o Masakeen Aise milenge jin ke paas sardi se Bachao ka saman nahi, Aise logon ke liye Garam kapdon ka fori bandobast kijiye aur Paayye Jannat ke Aala o Qeemti Libaas.

✦..........-_- Nazron ki Hifazat ke Dunyawi Fafayed -_- ..........✦

❶ Nazren Jhukane se Dili khushi aur Rahat milti hai aur ye us Lazzat se kahin zyadah hai jo Na’jayez cheez ko daikh kar hasil hoti hai.

❷ Nazren Jhukana Dil ko us Hasrat se bachata hai jo Na’jayez cheez daikhne ke baad dair tak Dil mein rehti hai.

❸ Nazren Jhukana Dil mein Noor paida karta hai Jis se Insani Aankh aur Chehra Pur’Ronaq Nazar Aata hai jab ke Bad’nazri Dil mein Zulmat paida karti hai.

❹ Jis ke Wazeh Asraat Aankh aur Chehre par Mahsoos kiye ja sakte hain.

❺ Nazren Jhukane se Ilm o Ma’rifat ke darwaze khulte hain.

❻ Nazren Jhukane se Insan Shahwat ki Gulami se bach jata hai aur Insan ki Mohabbat aur Tawajje apni Ghar wali ki taraf rahti hai.

❼ Nazren Jhukane se Ibadat mein Lazzat Naseeb hoti hai.

❽ Nazren Jhukane se Dil ko Quwwat milti hai Jis se Jur’at o Isteqamat Paida hoti hai.

✦......✿......♥ Allah Tala ke Khaas Log ♥......✿......✦

It was narrated that Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu said : "The Messenger of Allah (Sallallahu Aliahi Wasallam) said: 'Allah has His own people among mankind.' They said: 'O Messenger of Allah, who are they?' He (Sallallahu Aliahi Wasallam) said: 'The people of the Qur'an, the people of Allah and those who are closest to Him.'"

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 1 :: Hadith 215]

Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Logon mein Allah Subhanahu Wa Ta'ala ke kuch khaas Qaribi log hain, 'Sahaba ne pucha: Ya RasoolAllah! Wo kon log Hain?' Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Wo Qur’an wale hain jo Allah ke Khaas aur Qareebi log Hain."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 215]

✦....:( Aap ke Khayal Mein ye ILM ki Talab hai ya Be Adabi ? :(....✦

●◗► Talba Sathiyon ke Naam: "ILM us waqt tak Nafa Bakhsh nahi ho sakta Jab tak ke Husool ILM ke Asbab (Asatezah, Qalam aur Kitabon Wagerah) ka Adab o Ehteram na kiya jaye."

●◗► This is for those who are willing to seek knowledge: "Education Is Not beneficial at all until and unless it make you to respect it's source i.e. Teachers, Pens, & Books."

●════════════════════◄►═══════════════════●

⇨ "Padh Apne Rab ke Naam se Jis ne paida kiya, Jis ne Insan ko Khoon ke Lothde se paida kiya, Tu padhta reh Tera Rab bade karam wala hai, Jis ne Qalam ke zariye (ilm) sikhaya, Jis ne Insan ko wo sikhaya Jise wo nahi janta tha." (Qur’an 96:1-5)

 ⇨ "Read! In the Name of your Lord, Who has created (all that exists), Has created man from a clot (a piece of thick coagulated blood). Read! And your Lord is the Most Generous, Who has taught (the writing) by the pen [the first person to write was Prophet Idrees (Enoch)]. Has taught man that which he knew not." (Qur'an 96:1-5)

1 comment:

  1. neki ki dawat book allows you to download.
    http://www.dislamicbooks.com/2015/11/download-neki-ki-dawat-tark-krny-k.html

    ReplyDelete