Pages

Monday, 5 December 2016

✦........► Apne Aap ko Bura Na Kahen ◄........✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: Do not pray for yourself anything but good, for the angels utter Amin to what you say.

[Sunan Abi Dawud :: Book 20 :: Hadith 3112, 3118]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Tum log Apne bare mein siwaye Khair aur Behtar baat ke kuch na kaho, (Yani apne aap ko na Bad’dua do aur na hi apni Qismat ko koso) is liye ke Farishte is baat par Aameen kehte hain jo Tum kehte ho.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 1341, 3120]

●◗► Kisi se Pucha gaya: Tum itne Masroof hote hue bhi Sab ke liye itna Waqt kaise Nikal lete ho? Jawab Aaya: “Rishton ko Ahmiyat dena Seekho Waqt apne Aap mil Jaye ga.” ♥

●◗► Betiyon ko Bojh Samajhne Walon: ♥ Tumhare Ghar ki Raunaq bhi kisi ki Beti ke Dum se hai ♥ Kal tum apne Bete ke liye bhi kisi ki Beti lekar Aaoge.

✦.........✔ Jamayi aur Cheenk ✔..........✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) said, "Allah likes sneezing and dislikes yawning, so if someone sneezes and then praises Allah, then it is obligatory on every Muslim who heard him, to say: May Allah be merciful to you (Yar-hamuka-l-lah). But as regards yawning, it is from Satan, so one must try one's best to stop it, if one says 'Ha' when yawning, Satan will laugh at him."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 242, 6223]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah (صلى الله عليه و سلم) ne Irshad Farmaya: “Allah Ta’ala Cheenk ko pasand Farmata hai aur Jamayi ko Na pasand, Jab tum mein se kisi ko Cheenk aaye aur wo “Alhamdulillah” kahe to Jo musalman bhi use sune Jawab mein “Yarhamuk Allah” zaroor kahe, Aur jamayi Shaitan ki taraf se hai, Lehaza Jab tum mein kisi ko Jamayi aaye to Jitna ho sake use Roke rakhe kyun ke Jab wo (jamayi ke waqt) “Haa” kehta hai to Shaitan us par Hansta hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 6223]

♥ Aye Mere Rab! Mere Dil se har us Cheez ki Mohabbat ko Mitade Jise tu Pasand nahi Farmata ♥ Aameen Ya Allah ♥

♥ My Lord! Remove from my Heart the Love of everything that You do not Love ♥

✦.......♥ Aabe Zar se Likhne ke Qabil Naseehaten! ♥.......✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Be on guard against the unlawful and you shall be the most worshiping among the people, be satisfied with what Allah has alloted for you and you shall be the richest of the people, be kind to your neighbor and you shall be a believer, love for the people what you love for yourself and you shall be a Muslim. And do not laugh too much, for indeed increased laughter kills the heart."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2305]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:

● “Allah ki Haram kardah Cheezon se Bachon, Tum sab se Bade “Aabid” ban jaoge.
● Allah ne jo Tumhari Qismat mein kar diya us par Razi raho, Tum sab se bade Ghani Ban jaoge.
● Apne pados se Accha sulook karo, Tum Kamil Iman wale Ban jaoge.
● Aur logon ke liye Wahi chaho jo Apne liye chahte ho, Tum pakke Musalman Ban jaoge.
● Aur zyada Hansi se bacho, Kyun ke Zyadah hansna Dil ko Murdah kar deta hai.

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 186, 2305]

✦.........► Aulad ko Bad'Dua na Den ◄.........✦

Jabir b. 'Abd Allah RadiyAllahu Anhu reported the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: “Do not invoke curse on yourselves, and do not invoke curse on your children, and do not invoke curse on your servants, and do not invoke curse on your property, lest you happen to do it at a time when Allah is asked for something and grants your request.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 8, Hadith 1527, 1532]

Urdu Translation: Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Apne aap ko, Apni Aulad ko, Apne khadimon ko aur Apne Maal ko Bad’Dua na do (aisa na ho) ke Wo ghadi Dua ki Qubuliyat ki ho aur Tumhari Dua Qubool ho jaye.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 1519, 1534]

●◗► Ekhtelafi Raye ka Saliqa: "Dusron se Ekhtelaf karte waqt Agar aap ki Naak phul rahi ho, Aawaz unchi ho rahi ho aur Jazbat Be qabo ho Rahe hon to Aap ko Ekhtelaf chhor kar Apni ISLAAH aur apne NAFS ka tazkiya (Nafs ko Paak) karna Chahiye."

✦...:o Tanhayi Mein Internet ka Galat Istemal :o ...✦
✦.......:o Nekiyan Barbad Karne ka Sabab :o .......✦

It was narrated from Thawban RadiyAllahu Anhu that the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "I certainly know people of my nation who will come on the Day of Resurrection with good deeds like the mountains of Tihamah, but Allah will make them like scattered dust."

Thawban RadiyAllahu Anhu said: "O Messenger of Allah, describe them to us and tell us more, so that we will not become of them unknowingly."

He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "They are your brothers and from your race, worshipping at night as you do, but they will be people who, when they are alone, transgress the sacred limits of Allah."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 37 :: Hadith 4245]

●══════════════════◄►═════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Thawban RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Main Apni Ummat ke kuch aise Afrad ko janta hun jo Qayamat ke din Tihamah pahad Jaisi Nekiyan lekar hazir honge Magar Allah Ta’ala un ki Tamam Nekiyon ko (Haba’an Mansooro) bikhra hua Gird o gubar bana denge."

Hazart Thawban RadiyAllahu Anhu ne arz kiya: Ya RasoolAllah! Un logon ka haal ham se bayan Farmayye aur khol kar bayan Farmayye taa ke La’ilmi aur Jihalat ki wajah se ham un mein se na hojayen.

Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Wo tumhare Bhaiyyon mein se hi honge aur Tumhari qaum mein se hi honge, Wo bhi Raton ko isi tarah Ibadat karenge jaise tum Ibadat karte ho, lekin jab wo Tanhayyon mein jayenge to Allah ki Haram kardah chizon ka Moqa payenge to un Cheezon bebaki se irtekab karenge, (Yani tanhayyon mein Gunahon se nahi bachenge)."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 1126]

✦.......♥ Mohabbat Se Kahin Zyadah hai Izzat ♥.......✦

●◗► Aurat ko Mohabbat se Zyadah izzat ki zaroorat hoti hai kyun ke Mohabbat ka izhar to khass Mauqon par hi kiya Jata hai jab ke izzat to har waqt Malhooz-e-Khatir Rakhi jati hai, Mohabbat ke baghair Aurat adhoori hoti hai jab ke izzat ke baghair Aurat 'Aurat' nahin rehti.

✦.......:'( Qurbaniyon ki Lazawaal Dastan! :'(.......✦

Khalid b. Umair reported: I heard Utba b. Ghazwan as saving: I found myself as the seventh amongst the seven who had been along with Allah's Messenger (ﷺ). We had nothing to eat but the leaves of hubla (a wild tree) until the corners of our mouths were injured.

[Sahih Muslim :: Book 42 :: Hadith 7077]

Urdu Translation: Hazrat Utba bin Ghazwan RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main ne wo Waqt bhi dekha hai Jab Main RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke hath pe Islam Qubool karne wale sath Afrad ke Wafad ka Satwan aadmi tha, Hamare paas (Babool) Darakht ke patton ke siwa khane ko kuch na tha Jis (ke khane) ki waja se Hamare Jabde chil gaye the.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 7437, 7627]

1 comment: