Pages

Thursday, 15 December 2016

✦…......♥ Saas ka Apni Bahu ke Liye Pyaar ♥…......✦

●◗► Aik ghar mein Saas-Bahu bahot pyaar se rehte the Aik dafa ghar mein Mehman Aaye, Bahu ne saas ko un Mehmano se baat karte suna Saas ye keh rahi thi "Beti Shakkar (chini) ki tarah hoti hai aur Bahu Namak (salt) ki tarah.

► Ye sun kar Bahu ko bahot Bura laga wo Udaas rahne lagi, Jab Saas ko is Baat ka pata chala to Apni bahu se Wajah puchi to Bahu ne Wajah batayi, Tab Saas ne hans kar kaha us Baat ka Matlab ye hai ke.

✿► “Beti Shakkar ki Tarah hoti hai jo har Haal mein Meethi lagti hai Jab ke "Bahu Namak ki tarah hoti hai Jis ka Qarz nahi chukaya ja sakta Jis ke bina Har cheez ka Swaad be-Swaad ho jata hai." ♥

✦......♥ Apne Mahboob ﷺ ko Pehchaniye ♥......✦
✦ Silsila Waar Paighamat: Paigham Number 4 ✦

✦....♥ Shafi’e Mehshar ﷺ  Ki Shifa’at Zaroor Qubool Hogi! ♥....✦

Abu Huraira RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: I shall be pre-eminent amongst the descendants of Adam on the Day of Resurrection and I will be the first intercessor and the first whose intercession will be accepted (by Allah).

[Sahih Muslim :: Book 30 :: Hadith 5655, 2278]

Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:“Qayamat ke din Main Aulade Adam ka Sardar honga aur Sab se Pehle meri Qabr Shaq hogi (Phategi) aur Sab se Pehle main hi Sifarish karunga aur Sab se Pehle meri hi Sifarish Qubool hogi.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 5940, 2278]

●◗► "Khoobsurat Mard wahi hota hai Jo Aurat ki Izzat karna janta hai, Us se Mohabbat karna janta hai, Us ki Ahmiyat se Waqif hota hai, Har Rishte ka Taqaddus bahal Rakhta hai, Chehron se aur Qad kath se Mard Khoobsurat Nahin ban jate."

✦......♥ Apne Mahboob ﷺ ko Pehchaniye ♥......✦
✦ Silsila Waar Paighamat: Paigham Number 3 ✦

✦...♥ Jannat ke Darwaze Pe Sab se Pehle Dastak Dene Wale! ♥...✦

Anas b. Malik RadiyAllahu Anhu reported: The Messenger of Allah (ﷺ) said: Amongst the apostles I would have the largest following on the Day of Resurrection, and I would be the first to knock at the door of Paradise.

[Sahih Muslim ::  Book 1 :: Hadith 382]

Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Qayamat ke din Meri Ummat ki Ta’dad tamam Ambiya ke Muttabayeen se Zyadah hogi aur Main hi sab se Pehle Jannat ke darwaze pe Dastak dunga.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 1 :: Hadith 484, 505]

⇨ “Beshak Allah aur us ke Farishte Nabi par Durood Bhejte hain, Aye Iman Walo! Tum bhi un par Durood bhejo, aur Khoob Salam bheja karo.” (Surah Al-Ahzab: 56)

⇨ "Indeed, Allah confers blessing upon the Prophet, and His angels [ask Him to do so]. O you who have believed, ask [ Allah to confer] blessing upon him and ask [ Allah to grant him] peace." (Surah Al-Ahzab: 56)

► Durood Shareef Padh kar Aage Share Karen ◄

✦......♥ Apne Mahboob ﷺ ko Pehchaniye ♥......✦
✦ Silsila Waar Paighamat: Paigham Number 2 ✦

✦......♥ RasoolAllah ﷺ ki Ibadat ka Manzar! ♥......✦

Narrated Al-Mughira RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) used to stand (in the prayer) or pray till both his feet or legs swelled. He was asked why (he offered such an unbearable prayer) and he said, "should I not be a thankful slave."

[Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Book 21 :: Hadith 230, 1130]

Urdu Translation: Hazrat Mughirah bin Shu’ba RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Itni der tak Khade ho kar Namaz padhte Rahte ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke Qadam Mubarak ya Pindliyon par Waram Aajata, Jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se is ke Mutalliq kuch Arz kiya jata to Farmate: “Kya Main Allah ka Shukr Guzar Bandah Na Banun.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 1130]

Ya Allah! Jab main Mayoos ho jaun ke Meri Duayen Qubool Nahi hoten to ye Yaad karne mein meri Madad Farma ke..

♥  “Tera Pyaar aur Rahmat meri Mayusiyon se kahin Zyadah hai aur Meri Zindagi ke bare mein Tere Faisle meri Khuahishon se kahin behtar hain.” Aameen Ya Allah ♥

✦......♥ Apne Mahboob ﷺ  ko Pehchaniye ♥......✦
✦ Silsila Waar Paighamat: Paigham Number 1 ✦

Aan Hazrat ﷺ ke Sahibzade aur Sahibzadiyon ki Ta’dad Kitni Thi?

Aap (صلى الله عليه و سلم) ke 3 Sahibzade the:

❶ Hazrat Qasim RadiyAllahu Anhu
❷ Hazrat Abdullah (in ka Laqab Tayyib aur Tahir tha.)
❸ Hazrat Ibraheem RadiyAllahu Anhu
In mein Hazrat Qasim ki kunyat se Aap ﷺ ko Abul Qasim bhi kaha jata tha.

Aap (صلى الله عليه و سلم) ki 4 Sahibzadiyan thin:

❶ Hazrat Zainab RadiyAllahu Anha
❷ Hazrat Ruqayya RadiyAllahu Anha
❸ Hazrat Umme Kulthum RadiyAllahu Anha
❹ Hazrat Fatimah RadiyAllahu Anha

Mazkurah Bala Tamam Aulad Hazrat Khadijah RadiyAllahu Anha ke Batan Mubarak se thi, Siwaye Hazrat Ibraheem RadiyAllahu Anhu ke wo Hazrat Maria Qibtiyya RadiyAllahu Anha ke Batan se the.

✦................♥ Sajdon ki Kasrat ♥................✦
♥ Jahannam Ki Aag se Bachao ka Zariya! ♥

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The Fire will eat up all the human body except the mark caused by prostration as Allah has forbidden the Fire to eat the mark of prostration."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 9 :: Book 93 :: Hadith 532, 7437]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Dozakh, Ibn Adam ka Har Azu jala kar Bhusam karde gi siwaye Sajdah ke Nishan ke, Kyun ke Allah Ta’ala ne Dozakh par Haram kar diya hai ke wo Sajdon ke Nishan ko jalaye.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Hadith 7437]

●◗► Miya Biwi ke Talluqat kamzor hote hain to Ird gird ke logon ko Moqa milta hai ke wo is Talluq ko bilkul khatam karwane mein apna kirdaar ada karen, Miya Biwi mein duri Shaitan ki wo chaal hai jise wo sab se zyadah Ahmiyat deta hai aur us ki kamyabi se sab Zyadah khushi hasil karta hai, Shaitan ko ye Pakizah Rishta sab se zyadah na pasand hai kyun ke Ye...Insan ka ♥ Nisf Imaan ♥ mukammal kar deta hai.

 ●◗► Wo Lafz Dhoond Raha tha Larazte Honton se, Zayeef Baap ne Bete se Baat karni Thi. :'(

⇨ “Aur Tumhare Parwardigar ne Hukum diya ke us ke Siwa kisi ki Ibadat na karo aur Waldain ke sath Husn Sulook karo, Agar Waldain mein se koi Aik ya Donon tumhare samne Budhape ko Pahoch jayen to Unhen Uff tak na kaho aur na Unhen Jhid ko balke un se Izzat ke Sath baat kiya karo.” (Surah Al-Isra: 23)

⇨ “And your Lord has decreed that you not worship except Him, and to parents, good treatment. Whether one or both of them reach old age [while] with you, say not to them [so much as], "uff," and do not repel them but speak to them a noble word.” (Surah Al-Isra: 23)

No comments:

Post a Comment