Pages

Saturday, 15 July 2017

✦......► Musalman Ki Be Izzati Karne Ka Wabaal! ◄.......✦

The Prophet (ﷺ) said: No (Muslim) man will desert a man who is a Muslim in a place where his respect may be violated and his honour aspersed without Allah deserting him in a place here he wishes his help; and no (Muslim) man who will help a Muslim in a place where his honour may be aspersed and his respect violated without Allah helping him in a place where he wishes his help.

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 4866, 4884]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks kisi Musalman ko Aisi Jage Zaleel karega Jahan us ki izzat Mein kami Aajaye to Allah Ta’ala bhi us ko Aise Moqe Par Zaleel Farmayenge Jahan wo Allah ki Madad ka Talab gaar Hoga, Aur jo Shaks kisi Musalman ki Aise jage Madad karega Jahan us ki Be izzati aur Ruswayi ki ja Rahi ho to Allah Ta’ala bhi us Shaks ki Aise Moqam par Madad Farmayenge Jahan Use Allah Ta’ala ki Madad darkaar Hogi.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1454, 4884]

❤️ Waldain Kabhi Ghalat Nahin Hote Agar un se Ghalat Faisle bhi Ho Jayen to Un ki Niyyat Saaf Hoti Hai, Aur Unhin ki Duaon Se Taqdeeren Badal Jati Hain..!! ❤️

●◗► Ulama E Karam, Deen ke Thekedaar Nahin Balke Deen ke Chawkidaar Hain, Aur Chawkidaar Se Nafrat Sirf Daaku karte Hain!!!

❤ Hamare Gharon ki Raunaq ❤ Betiyan ❤

✦......► Marhoom Waldain Ki Nafarmani Ka Izalah! ◄......✦

Agar koi Waldain ki Zindagi Mein Un ki Nafarmani karta Raha, Ab un ke Marne ke Baad use Hissas hua to wo Tauba Kaise kare?

Darje Zail Hidayaat Pe Aml Paira ho kar Waldain ki Nafrmani ke Gunah ki Kisi Had tak Talaafi ho Sakti hai:

❶ Nadamat ke Sath aur Sadq dil se Allah Ta’ala se Muafi Mange aur Tauba o Astaghfar kare.

❷ Marhoom Waldain ke liye Jitna ho sake Duaye Maghfirat aur Isale Sawab  ka Ehtemam kare.

❸ Marhoom Waldain ki Taraf se Hasbe Taufeeq  Sadqah Khairat kar ke un ko Sawab Pohchaye.

❹ Agar Maali Isteta’at ho to un ki Taraf se Hajj o Umrah bhi Ada kare.

❺ Un ke Dost, Azeez o Aqarib Bil khusoos Khala, Mamu aur Chacha, Phupi  Wagerah ke Sath Husne Sulook kare.

Namak ki Tarah Ho Gaye Hai Ham, Apne hi Log Hasb E Zaiqa Istemal Karte Hain..!!

✦......♥ Ahliya Ka Dukh Mahsoos Karne Wale! ♥......✦

Hazrat Musa (Alaihis Salam) aur un ki Ahliya Safar Par the, Ahliya Hamal se Thin aur Unhen Sardi Mahsoos  ho rahi thin, Hazrat Musa (Alaihis Salam) ne ye Dekh kar un se Irshad Farmaya:

“Tum Yahin Tehro! Main ne Aik Aag dekhi hai, Shayad main us Mein Koi Shola Tumhare Paas Le Aaun.”  (Al-Quran, Surah Taha: 10)

 ●◗► Is se Maloom hua ke Behtareen Khawind apni Biwi ki Takleef ko Apni Takleef Samajhta hai aur use Kam karne ki har Mumkin koshish Karta hai aur Aisa karna Anbiya (Alaihis Salaam) ki Mubarak Sunnat hai.

💖 Milega Kya Dilon Mein Nafraten Rakh kar, Bahot Mukhtasar Hai Zindagi Muskurake Mila Karo 💖

► Takabbur, Corruption Aur Qarz Se Paak Musalman ◄
✦.............♥ Marte Hi Jannat Mein ♥.............✦

Narrated Thawban RadiyAllahu Anhu: That the Messenger of Allah (ﷺ) said: "Whoever dies and he is free of three: Kibr (Pride), Ghulul, and debt, he will enter paradise."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 3 :: Book 19 :: Hadith 1572 , 1572]

Urdu Translation: Hazrat Thawban RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke  RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jis Shaks ko is Halat mein Maut Aaye ke wo Takabbur, Khayanat aur Qarz se Paak ho to Wo Jannat mein Dakhil Hogaya.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 1622, 1572]

✦.....► Pani Pite Hue Bartan Mein Sans Lena! ◄......✦

Allah's Messenger (ﷺ) said, "When you drink (water), do not breath in the vessel;.

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 69 :: Hadith 534,  5630]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jab Tum Mein se koi Pani Piye to Bartan Mein Sans Na le.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 5630]

Rishte Sacche hon to Zyadah Sambhalne Nahin Padte aur Jin Rishton ko Zyadah Sambhalna Pade wo Sacche Nahin Hote..!!

✦.....► Kabhi Dusron Ko Qusoorwaar Na Samjhen! ◄......✦

●◗► Aik dafa ka Zikr hai ke 24 Aadmi aik Moqam par Jangal mein Darakht kaat Rahe the ke Mosla Dhar Barish shuru Hogayi wo Nazdkeek hi aik Bade kamre mein Barish ke Rukne ka intezar karne lage, Itne mein Bijli chamakne Lagi aur Ghan Garj se kamre ki chat par se Ho kar Wapas chali jati, Is tarah Aasmani Bijli ka silsila Taiz ho gaya, Sab ne Mashwarah kiya ke ho sakta hai ham Mein se kisi aik Aadmi par Bijli padni ho, Aisa karte hain ke har Aadmi aik Aik kar ke kamre se Bahar jaye Jis Aadmi par Bijli Girni hogi gir jayegi aur Baqi bach Jayenge.

Mashwarah ke tahet Tamam Aadmi bari bari kar ke Bahar gaye aur bach kar wapas Aagaye Aakhir mein 24 wan Aadmi rehgaya, Baqi sab ko yahi laga ke bus yahi wo Aadmi hai jis par Bijli girni hai Lekin wo bahar jane ko tayyar na tha, Sab ne milkar us ko Uthaya aur bahar Phenk diya aur Kehne lage ke is ki Wajah se ham sab Pareshan the, Itne mein Aasmani Bijli zor se kamre par padi aur sab ke sab Jal kar raakh ho gaye, Sirf us “24 wen Aadmi ki Wajah se 23 Aadmi bach Rahe the aur Ab wo Tamam to khatam ho Gaye Magar wo Bach gaya.”

●◗► Aksar aisa hi Hota hai Ham Dusron ko Qusoorwaar samajh Rahe hote hain Magar Qusoor hamara Apna hi hota hai aur Ham kisi aur ke Sabab se Pareshani aur Museebat se Bach Rahe hote hain Lekin hamen is ka Ehsas tak Nahin hota.

💖 Acchi Chai Aur Mazboot Rishte Banane Mein Waqt Lagta Hai 💖

✦.....♥  Zauq-o-Shauq Se Quran Kareem ki Tilawat ♥.....✦

The Prophet ﷺ said, "Recite (and study) the Qur'an as long as you agree about its interpretation, but if you have any difference of opinion (as regards to its interpretation and meaning) then you should stop reciting it (for the time being)."

[Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Book 61 :: Hadith 580, 5060]

Urdu Translation: Nabi Kareem ﷺ ne Irshad Farmaya: "Quran Majeed ki Tilawat us Waqt tak karo Jab tak (Tilawat mein) Dil lage, Jab jee Uchat hone Lage to Tilawat karna Band Kardo."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Hadith 5060]

●◗► Quran Kareem ki Tilawat pure Aadab, Itminan, Saliqe, Dhiyan aur Zauq Shauq se Karni Chahiye, Aaj kal Murawwajah Quran khuani o Digar Mawaqe mein log bus Jaldi Jaldi Quran Khatam Karna Chahte hain, Zauq Shauq Dhiyan aur Itminan ki Taraf koi Tawajjeh hi Nahin.

Aaj kal Log is Liye Sote Hain ke Un ka Phone Charge Ho Jaye..!!

✦..........♥ Waldain Ko Waqt Den! ♥..........✦

Waldain ko Waqt dene, un se Mashware karne aur un ke Sath Uthne Baithne ke 2 Azeem Ush Shaan Faide hain:

❶ Aap kabhi Bade Nahin Hote: (Yani Aap apne Aap ko Chota Samajhte hain Jis ki Waja se Fakhr o Badayi aur Takabbur se khali Rehte hain.)

 ❷ Waldain kabhi Budhe Nahin Hote: (Yani Waldain apne Aap ko Mufeed o Kaar Amad Samajhte hain Jis ki Waja se Mayusi aur Bimariyon se Mahfooz Rehte hain.)

No comments:

Post a Comment