Pages

Saturday, 29 July 2017

✦........♥ Naseehat Karen ' Ruswaa Nahin ♥........✦

●◗► Aik Aadmi Khalifah Mamun Al-Rasheed ke Paas Aaya taa ke use Wa’z o Naseehat kare, us Aadmi ne Sakht Guftagu ki aur Mamun ko "Aye Zalim!" aur "Aye Fajir!" ke Alfaz se Mukhatab kiya, "Mamun Al-Rasheed ne kaha: Narmi se kaam lo, Kyun ke Allah Ta’ala ne Tum se Behtar Shaks (Yani Hazrat Musa o Haroon Alaihis Salaam) ko Nabi Bana kar Mujh se Bad’tar Shaks (Yani Firaon) ki Taraf  Bheja aur Hukum diya:

⇨ "Tum Donon Us se Narmi se Baat karna, Shayad Wo Nasihat Qubool kare, Ya (Allah) se Dar Jaye." (Qur’an 20:44) (Ihya ul Uloom ud Deen Al-Imam Al-Ghazali)

⇨ "And speak to him mildly, perhaps he may accept admonition or fear Allah." (Qur’an 20:44)

✦......► Talaq Ya Nachaqi ki Nobat hi Na Aane Den! ◄.......✦

Talaq Mard deta hai aur Daagh Aurat ke Mathe par Lag jata hai, Chahe is mein Aurat ka Qusoor ho ya na ho, Isi Tarah Khula Aurat leti hai, Lekin tarah Tarah ke ilzamaat Mard pe Dhar deti hai, Chahe Mard Qusoor Waar ho ya Na ho, Gharz ye ke Talaq ya Khula ki Surat mein Fariqeen ko Nuqsan Pahochta hai, Pura khandan Barbaad ho jata hai, Dushmaniyan Parwan Chadhti hain, Naslen Bigad jati hain aur Masoom bacche Dar dar Thokren khate hain.

●◗► Is liye Miyan Biwi ko Chahiye ke Wo Aik dusre ke Mizaj ki Riayat Rakhen, Ekhtelaf ya Jhagde ki Surat mein Aajizi aur Jhuk jane ki Rawish Ekhtiyar karen, Koi bada Ekhtelaf ya Jhagda ho to Fauran hal ki Tadabeer Ekhtiyar karen aur Shari'at Mutahrah mein Jo Huqooq o Farayez Mutayeen hain un ki Roshni mein Masla hal Karen ta ke Nachaqi ki Nobat hi na Aaye.

❤️ Logon ki Madad karo, Acche Akhlaq Apnao, is Jahan Se Aise Guzro Ke Tumhari Mahekti Hui Yaden Baqi Reh Jayen ❤️

✦.....♥  Bandagi ka Tariqa Parindon Se Sikhen! ♥.....✦

●◗► Jin ke Ghoonsle Tufani Raton Mein Tabah ho Jate Hain... Magar Subah hote hi Wo Shikayaton ke Bajaye Allah Ta’ala ki Hamd o Sana Mein Masroof ho Jate Hain.

✦..........► Hajj Kab Farz Hota Hai? ◄...........✦

●◗► Hajj Zindagi mein Aik Martaba har Aise Musalman Par Farz hai Jo Aazad, Aaqil, Baligh aur Tandrust ho aur Us ke Paas Zaruriyate Asliya (Ghar, Libas, Sawari, Gharelu Saman aur Qarz Wagerah) se Zayed aur Apni Ghair Maujoodgi Mein Ahl o Ayaal ke Akhrajaat ke Alawah itna Maal ho ke Aadat aur Haisiyat ke Mutabiq Baitullah Aane Jane ke Safri Akhrajaat aur Zaderah ke Liye Kafi ho.

💖 Apnon ki Ghaltiyan bhi Apni Hoti Hain Mil Jul kar Ghaltiyan Sudhar Leni Chahiye Ana ki Dastaar Bandh Kar Dusron ke Jhukne ka Intezar Nahin Karna Chahiye..!! 💖

✦....► Khawateen Baghair Mahram ke Safar Na Karen ◄....✦

Narrated Ibn `Abbas RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) said: "A woman should not travel except with a Dhu-Mahram (her husband or a man with whom that woman cannot marry at all according to the Islamic Jurisprudence), and no man may visit her except in the presence of a Dhu-Mahram."

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 29 :: Hadith 85, 1862]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma Se Riwayat hai ke Nabi Akram ﷺne Irshad Farmaya: “Koi Aurat Apne Mahram Rishtedaar ke Baghair Safar na kare aur koi Shaks kisi Aurat ke Paas us Waqt tak Na jaye Jab Tak Wahan Us ka Mahram Rishtedaar Maojood na ho.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 1862]

●◗► Aurat ke Liye 48 Mile ya 78 (kilometer) ka Safar Baghair Mahram ke Karna Sakht Gunah ki Baat aur Na Jayez Aml hai, Agar 48 Mile se kam Safar Karna ho Tab bhi Mahram ke Baghair Jana Behtar Nahin.

✦...► Betiyon Aur Bahnon Ko Wirasat Mein Hissa Dijiye ◄...✦

●◗► Walid, Bhai ya Deegar Rishtedaar, Aurton ko Miraas ke Haq se ye Keh kar Mahroom Nahin kar Sakte ke “Ham ne in ki Shadi Karwayi aur Bhari bhar Kam Jahez diya”.

Yaad Rakhen!

● Bacchiyon ki Shadiyan Karwana Jis Tarah Mustaqil Sharyi Zimmedari hai isi Tarah Wirasat mein Hissa dena bhi Mustaqil Sharyi Zimmedari hai, Aik Sharyi Zimmedari ki Baja Aawri se Dusri Sharyi Zimmedari se Bari uz Zima Nahin ho Sakte.

● Rahi Baat Jahez ki to Murawwaj Jahez, Hinduon ki Rasam hai Jab ke Wirasat mein Haq dena Allah aur us ke Rasool  ﷺ ka Takeedi Hukum aur Musalmano ka Tareeqa hai.

✦........► Bacchon se bhi Jhoot na Bolen! ◄.........✦

Narrated Abdullah ibn Amir RadiyAllahu Anhu: "My mother called me one day when the Messenger of Allah (ﷺ) was sitting in our house. She said: Come here and I shall give you something.

The Messenger of Allah (ﷺ) asked her: What did you intend to give him? She replied: I intended to give him some dates.

The Messenger of Allah (ﷺ) said: If you were not to give him anything, a lie would be recorded against you."

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 4973, 4991]

●══════════════════◄►═════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Amir RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Jab main Chota sa tha to meri Waldah ne aik din Mujhe bulaya aur Kaha: Idhar Aa, Main Tujhe kuch Deti hun.

Us waqt Nabi Akram ﷺ hamare Ghar mein Tashreef Farma the, Aap ﷺ ne meri Waldah se Pucha: "Tum ne use kya Cheez dene ka iradah kiya hai? "Waldah ne Arz kiya ke Main ne use Khajoor dene ki Niyyat ki hai.

 Aap ﷺ ne Irshad Farmaya: "Khabardar! Agar tum us Bacche ko kuch bhi na Deti to Tumhare uphar Aik Jhoot (ka Gunah) likh diya Jata."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1553]

●◗► Shaher Bhar ki 'Zulekhaon’ Ko Parde Ki Naseehat Karne Wale Bahot Hain, Koi Mere Shaher Ke ‘Yusufon’ Se Bhi Kahe ke Nigahen Nichi Rakhen!!!

●◗► Quran Kareem Mein Ghor Tadabbur Karte Hue Aisa Lagta hai Jaise Allah Subhanahu Wa Ta'ala Hamen Tasalli aur Dilasa Dete Chale Ja Rahe hon ke Aye Mere Bando! Gham na karo, Pareshan na ho, Main Tumhare Sath hun.

✦.....► Hisab ka Waqt Qareeb Hai!!! ◄......✦

⇨ "[The time of] their account has approached for the people, while they are in heedlessness turning away." (Al-Quran, Surah Al-Anbya: 1)

⇨ "Logon ke Liye Un ke Hisab ka Waqt Qareeb Aa Pohncha hai, Aur Wo hain ke Ghaflat ki Halat mein Muh Phere hue Hain." (Al-Quran, Surah Al-Anbya:1)

💞 Khush Qismat hai wo Ladki Jis Ka Shohar Bahot Khayal Rakhne Wala Ho aur Naseeb Wala hai Wo Mard Jis ki Biwi Farmanbardaar ho 💞

✦......♥ Thode Par Qina’at Ki Amli Misal! ♥......✦

Narrated `Aisha RadiyAllahu Anhu: The family of Muhammad ﷺ did not eat two meals on one day, but one of the two was of dates.

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 8 :: Book 76 :: Hadith 462, 6455]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati Hain ke RasoolAllah ﷺ Ke Ahle Khana ne Agar kabhi Aik din Mein Do Martaba Khana khaya to Zaroor us Mein Aik Waqt sirf Khajooren hoti Thin.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 6455]

●◗► Qina’at - Jo Mil Jaye Us Par Razi Rehna

💞 Betiyon Ke Liye Baap Kya Hota Hai Ye Sirf Betiyan Hi Samajh Sakti Hain 💞

💖 Bus Aik Lamha hi Kafi Hota Hai Dil Mein Utar Jane Aur Dil Se Utar Jane Ke Liye 💖

✦....► 4 Chizen Kabhi Wapas Nahin Aasaktin! ◄....✦

❶ Waqt: Jo Guzar Gaya.

❷ Moqa: Jo Hath Se Chala Gaya.

❸ Lafz: Jo Muh Se Nikal Gaya.

❹ Bharosa: Jo Aik Dafa Toot Gaya.

No comments:

Post a Comment