Pages

Saturday, 18 May 2019


✦....♥ Baitullah Ke Darwaze Ke Parde Par Tehrir Shudah Chand Aayat! ♥....✦

(Aye Paighambar!) Ham Tumhare Chehre Ko Baar Baar Aasman Ki Taraf Uthte Hue Dekh Rahe Hain, Chunanche Ham Tumhara Rukh Zaroor Is Qible Ki Taraf Pherden Ge Jo Tumhen Pasand Hai. (Surah Al-Baqarah:144) 

Aur Apne Rab Ki Taraf Se Maghfirat Aur Wo Jannat Hasil Karne Ke Liye Aik Dusre Se Badh Kar Tezi Dikhao Jis Ki Chaodayi itni Hai Ke Is Mein Tamaam Aasman Aur Zameen Sama Jayen, Wo Parhezgaron Ke Liye Tayyar Ki Gayi Hai. (Surah Al-Imran:133)

Allah Tamam Aasmanon Aur Zaminon Ka Noor Hai. (Surah An-Noor:35)

Haqiqat Ye Hai Ke Allah Ne Apne Rasool Ko Saccha Khuab Dikhaya Hai Jo Waqiye Ke Bilkul Mutabiq Hai, Tum Log InshaAllah Zaroor Masjid Haram Mein Amn o Aman Ke Sath Dakhil Hoge. (Surah Al-Fath:27)


✦..........♥ Iftar Mein Takheer Na Karen ♥..........✦

The Messenger of Allah ﷺ said: "Allah, Mighty and Sublime is He, said: 'Those of My worshippers who are most beloved to me are the quickest to break their fast.'"

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 3 :: Hadith 700]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Allah Ta’ala ka Irshad hai: “Mere Han Mere Bandon mein Mahboob Tareen wo (Rozah Daar) Hai Jo (Waqt ho Jane ke Baad) Iftari karne Mein Jaldi Kare.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. :: Hadith 677, 700]


😔  Kuch Log Kehte Hain Tilawat Quran Ke Liye Moqa Nahin Milta, Aisa Nahin Balke Afsos Karen Apne Gunah Par Aur Tauba Karen Ke Hamen Toufeeq Nahin Mil Rahi 😔   وما توفیق اِلا باللہ


✦............♥ Rozah Ki Halat Mein Maut ♥............✦

The Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) said: “Whoever says Laa ilaaha ill-Allaah (there is no god but Allaah), seeking the Face of Allaah and that was his final action, will enter Paradise. Whoever fasts one day seeking the Face of Allaah and that was his final action, will enter Paradise. Whoever gives charity seeking the Face of Allaah and that was his final action will enter Paradise.”  (Narrated by Imam Ahmad, 22813)

RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Allah ki Khushnudi ke liye Aik din ka Rozah Rakhe Aur usi Halat Mein Mar Jaye to Wo Jannat mein Zaroor Dakhil Hoga.” (Musnad Ahmad: 23324)

Ya Arhamar Rahimeen! Ham Sab ke Sath Aafiyat ka Muamla Farma aur Hamen Rozon aur Taraweeh Pe Isteqamat Ata Farma. (Aameen)


✦............♥ Zakat Ke 8 Mustahqeen ♥............✦

Quran Kareem Ki Surah At-Tawbah Aayat Number 60 Mein Darje Zail 8 Masarife Zakat ka Zikr Maujood Hai:

❶ Fuqra
❷ Masakeen
❸ Aamileene Zakaat (Zakaat ikhatti Karne Par Ma’moor Amle Ke Wazayef Aur Tankhuahon ki Mad Mein)
❹ (Wo Nao Muslim Jo Zarurat Mand Ho Aur Islam Par Unhen Sabit Qadam Rakhne Ke liye Un Ki Dildari Maqsood Ho)
❺ Ghulam Ki Aazadi
❻ Maqrooz
❼ Allah Ke Raste Ka Mujahid
❽ Musafir

Note: Zakat Dete Waqt Dene Wale Ke Dil Mein Zakat Ki Niyyat Hona Kafi Hai, Zakat Wusool Karne Wale Ko Ye Batana Zaroori Nahin Ke Ye Zakaat Hai, Balke Hadya, Eidi Ya kisi Aur Naam Se Bhi Zakat Di Ja Sakti Hai.


✦........♥ Namaze Witr Mein Masnoon Qirat! ♥........✦

It was narrated from Ubayy bin Ka'b RadiyAllahu Anhu that: The Messenger of Allah (ﷺ) used to pray witr with three rak'ahs. In the first he would recite: "Glorify the Name of Your Lord, the Most High" in the second: "Say: O you disbelievers!", and in the third: "Say: He is Allah, (the) One". And he would say the Qunut before bowing, and when he finished he would say: Subhanal-Malikil-Quddus (Glory be to the Sovereign, the Most Holy) three times, elongating the words the last time.

Urdu Translation: Hazrat Ubayy Bin Ka'b RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Nabi Kareem ﷺ Witr Ki Namaz Mein Surah Al-A’la, Surah Al-Kafirun Aur Surah Al-Ikhlas Ki Tilawat Farmaya Karte The, Aur Jab Aap ﷺ Salam Pher Liya Karte To 3 Baar ‘Subhanal-Malikil-Quddus’ Padha Karte The.”

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 2 :: Book 20 :: Hadith 1700, 1699]


✦......► Roze Mein Bhool kar Khana Peena ◄.......✦

The Prophet (ﷺ) said: "If somebody eats something forgetfully while he is fasting, then he should complete his fast, for Allah has made him eat and drink."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 78 :: Hadith 662, 6669]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: "Jo Shaks Rozah ki Halat mein Bhool kar khaye (piye) use Apna Rozah Mukammal Karna Chahiye, Kyun Ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne hi use Khilaya aur Pilaya."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Hadith 6669]


✦....♥ Bacchon Ko Rozah Rakhne Ki Mashq Karwayyen! ♥....✦

Narrated Ar-Rubi' bint Mu'awadh RadiyAllahu Anha: "The Prophet (ﷺ) sent a messenger to the village of the Ansar in the morning of the day of 'Ashura' (10th of Muharram) to announce: 'Whoever has eaten something should not eat but complete the fast, and whoever is observing the fast should complete it.' "She further said, "Since then we used to fast on that day regularly and also make our boys fast. We used to make toys of wool for the boys and if anyone of them cried for, he was given those toys till it was the time of the breaking of the fast."

Urdu Translation: Rubi’ Bint Mu’awadh RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke Ashura Ki Subah Aan Hazrat        Ne Ansar Ke Muhallon Mein Kehla Bheja Ke “Jis Ne Subah Ko Kha Pi Liya Ho Wo Din Ka Baqi Hissa (Rozah Daar Ki Tarah) Pura Kare Aur Jis Ne Kuch Khaya Piya Na Ho To Wo Roze Se Rahe.”  Rubi’ RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke Phir Baad Mein Bhi Ham Us Din Rozah Rakhte Aur Apne Bacchon Se Bhi Rakhwate, Bacchon Ko Ham Oon Ka Khilona Dekar Behlaye Rakhte, Jab Koi Khane Ke Liye Rota To Wahi Khilona De Dete, Yahan Tak Ke Iftar Ka Waqt Ho Jata.

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 181, 1960]

 ●◗► Bukhari Shareef Ke Sharah Hafiz Ibn Hajar Rahimahullah Farmate Hain: “Ye Hadees Bacchon Ko Roze Ki Mashq Karwane Ke Mashroo’ Hone Ki Wazeh Daleel Hai.” (Fath al Bari: Safah: 201:Juz. 4)


💞  Bade Wafadaar hai Aaj Kal Ke Rishte, Yaad Ham Na Kare To Koshish Wo Bhi Nahin Karte  💞


✦ Mahe Ramadan Mein Be Loos Khidmat Karne Par ✦
✦........♥ Ghar Ki Khawateen Ka Shukriya! ♥........✦

✿ Har Us Waldah Ka, Har Us Biwi Ka, Har Us Bahen Ka Aur Har Us Beti Ka Dil Ki Gehraiyyon Se Shukriya, Jo Sehri o Iftari Ke Auqat Mein Pure Gharane Ki Khidmat Kar Rahi Hain. 

●◗► Yaqinan in Sab Khawateen Ko Sehri o Iftari Ke Auqat Mein Khasi Mushkilat Ka Samna Karna Pad Raha Hai, Lekin Ye Isteqamat Ke Sath Apni Khidmaat Sar Anjam Dene Mein Masroof Reh Kar Allah Ke Khazanon Se Azeem ul-Shan Ajr o Sawab Hasil Kar Rahi Hain, Allah Rabbul izzat in Tamam Khawateen Ko Barkaton Aur Khushiyon Se Nawaze Aur in Ki Kamil Maghfirat Farmade. (Aameen)


✦........♥ Roze Ke Ruhani Fawayed ♥........✦

✔ Roze Ki Halat Mein Halal o Pakizah Cheezon Se Bachne Ki Wajah Se Sara Saal Haram Cheezon Se Bachne Ki Salahiyat Insan Mein Paida Hoti Hai Aur Isi Ka Naam Taqwa Hai.

✔ Aam Dinon Mein Allah Ki Nematon Ka Ehsas Nahin Hota Lekin Jab Insan Rozah Rakh Kar Sara Din Bhook Aur Pyaas Bardasht Karta Hai Aur Phir Iftar Ke Waqt Allah Ki Nematon Se Mustafeed Hota Hai To Rooh Aur Badan Ka Ruwan Ruwan Allah Ki Nematon Ke Ehsas Aur Shukr Guzari Mein Doob Jata Hai.

✔ Rozah Rakhne Se Haram Lazzaton Ki Talab Aur Un Ki Taraf Dhyan Khud Ba Khud Kam Ho Jata Hai Jis Ki Wajah Se Saal Bhar Nafs Ki Shahwat Aur Haram Lazzaton Par Qabon Pana Insan Ke Liye Aasan Ho Jata Hai.

✔ Rozah Rakhne Aur Bhook o Pyaas Bardasht Karne Se Allah Ke Hukum Par Apna Sab Kuch Qurban Karne Ka Jazba Paida Hota Hai.

✔ Roze Mein Bhook Bardasht Karne Se Insan Ko Bhook Ki Takleef Ka Ehsas Hota Hai, Jis Ki Wajah Se Us Ke Dil Mein Ghurba Aur Masakeen Se Hamdardi Paida Hoti Hai Aur Wo Allah Ki Raah Mein Dil Khol Kar Apna Maal Kharch Karne Par Aamadah Ho Jata Hai.


✦.......► Iftari Ke Waqt Sadah Mashrubaat! ◄.......✦

Doctor’s ka Kehna hai ke Iftar ke Waqt Gas wale Mashrubaat Jaise: Pepsi, Coke, 7up Wagerah Pine se Ehtiyat barten, Medical Tehqeeq ke Mutabiq Gas Wale Mashrubaat ke Istemal se Gurde ko Nuqsan Pahochne ka Sakht Andesha hai, Lehaza Iftari ke Waqt Sadah Pani ya Sadah Mashrubaat Istemal Karen, Cold drink hargiz Istemal na Karen.


●◗► Jo Nazm o Zabt Ham Namaz Mein Safon Ki Durustugi Ke Zariye Seekhte Hain, Us Nazm o Zabt Ko Masjid Se Bahar Ki Zindagi Mein Lane Ki Bhi Koshish Karen!


✦........♥ Khajoor Ya Pani Se Iftari ♥........✦

The Prophet ﷺ said: "When one of you breaks his fast, then let him do so with dried dates. And whoever does not find dates, then water, for it is purifying."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2, Book 3, Hadith 695 , 695]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jab Tum Mein se koi Shaks Rozah Iftar kare to Use Chahiye ke Wo Khajoor se Iftar kare Kyun ke Khajoor Ba’ise Barkat hai, Aur Agar koi Shaks khajoor Na Paye to Pani se Iftar kare Kyun ke Pani Paak karne Wala hai.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 672, 695]


✦.........♥ Roze Ki Halat Mein Miswak ♥.........✦

Narrated 'Amir bin Rabi`a RadiyAllahu Anhu: "I saw the Prophet (ﷺ) cleaning his teeth with Siwak while he was fasting so many times as I can't count."

(Sahih Bukhari, Chapter: Siwak for the person observing Saum (fast))

Urdu Translation: Hazrat Amir Bin Rabi’a RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke: “Main ne RasoolAllah ﷺ Ko Roze ki Halat Mein (itni Martaba) Miswak Karte Dekha ke Main na Gin Sakta hun Aur Na Shumar kar Sakta hun.”

(صحيح البخاري باب سِوَاكِ الرَّطْبِ وَالْيَابِسِ لِلصَّائِمِ)


✦.......► Hazrat Jibreel Ki Baddua Par RasoolAllah ﷺ Ki Aameen ◄.......✦

Hazrat Kab bin Ajrah RadiyAllahu Anhu se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: Membar Ke Paas Jama Ho Jao Ham Sab Jama Hogaye, Aap ﷺ Ne Jab Membar ki Pehli Sidhi Par Qadam Rakha To Farmaya: "Aameen", Dusri Sidhi Par Qadam Rakha To Phir Farmaya: "Aameen", Jab Teesri Sidhi Par Qadam Rakha To Phir Farmaya: "Aameen".

Sahaba Ne Arz Kiya Ya RasoolAllah! Aaj Ham Ne Aap Se Aisi Baat Suni Hai Jo Pehle Kabhi Nahin Suni, RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Mere Paas Jibreel Aaye The

► Jab Main Ne Pehli Sidhi Par Qadam Rakha To Unhon Ne Kaha Halak o Barbad Hojaye Wo Shaks Jo Ramadhan Al-Mubarak Ka Mahina Paye Phir Bhi Us Ki Bakhshish Na Ho, Main Ne Kaha: "Aameen".

► Jab Main Ne Dusri Sidhi Par Qadam Rakha To Unhon Ne Kaha Halak o Barbad Ho Jaye Wo Shaks Jis Ke Samne Aap Ka Naame Mubarak Liya Jaye Aur Wo Aap Ki Khidmat Aqdas Mein Darood Shareef Na Bheije, Main Ne Kaha: "Aameen".

► Jab Main Ne Teesri Sidhi Par Qadam Rakha To Unhon Ne Kaha Halak o Barbad Ho Jaye Wo Shaks Jo Apne Waldain Ko Budhape Ki Halat Mein Paye Lekin Wo (Un Ki Khidmat Kar Ke) Jannat Mein Dakhil Na Ho, Main Ne Kaha: "Aameen".

[Mustadrak Al Hakim :: Hadith 7256]

●═══════════════════◄►══════════════════●

Once the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) was ascending the pulpit. When he climbed the one step, he said 'Aameen'. He repeated, "Aameen" when he climbed the second step. He uttered 'Aameen' when he climbed the third step. When the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) descended the pulpit, the companions told him that they happened to hear something new. He (Sallallahu Alaihi Wasallam) asked them what they meant. The companions said that he uttered Ameen while ascending every step of the pulpit. The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam told them. Hadrat Jibreel was before me,

► When I ascended the first step he cursed, "Woe to him who in spite of having been provided with he month of Ramdhan fails to obtain Allah's forgiveness. I said, "Aameen".

► When I climbed the second step the angel cursed him who fails to send blessing on the Prophet after listening to his name. I said "Aameen".

► When I climbed the third step the angel cursed "Woe to him who finds either one and both of his parents in old age, and yet is not able to enter Heaven". I said "Aameen".

[Mustadrak Al Hakim :: Hadith 7256, Narrated by Ibn Hibbaan, 3/188; classed as saheeh by al-Shaykh al-Albaani in Saheeh al-Targheeb, 1679]


✦.....♥ Ramadan Aasmani kitabon ke Nuzool ka Mahina ♥.....✦

Waathilah ibn al-Asqa RadiyAllahu Anhu 'said: The Messenger of Allah (ﷺ) said: "The Scriptures of Ibraaheem (Abraham) were sent down on the first of the month of Ramadan, The Tawraat (Torah) was sent down on the sixth of Ramadan, The Injeel (Gospel) was sent down on the thirteenth of Ramadan, The Zaboor (Pslams) was sent down on the eighteenth of Ramadaan, and the Qur'an was sent down on the twenty-fourth of Ramadan. "

[Hadith - Ahmad and al-Tabaraani] [Classed as hasan by al-Albaani in al-Silsilah al-Saheehah, 1575]

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Waathilah ibn al-Asqa RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Hazrat Ibrahim Alaihis Salam ke "Sahife" Ramadan ki pehli Raat mein Nazil hue, "Tawraat" 6 Ramadan ko Nazil hui, "Injeel" 13 Ramdan Al-Mubarak ko Nazil hui, "Zaboor" 18 Ramadan ko Nazil hui aur "Quran Majeed" 24 Ramadan Al-Mubarak ko Nazil hua.”

[Al-Mu’jamul Awsat Al-Tabarani :: Hadith 3740] [Musnad Ahmad bin Hambal :: Hadith 16984]


✦......♥ Ramadan Al-Mubarak Ki Baharen! ♥......✦

❶  Ramadan Al-Mubarak Mein Jahannam ke Darwaze band Kar diye Jate hain.
❷ Jannat ke Darwaze khol diye Jate hain.
❸ Sarkash Shayateen Qaid kar diye Jate hain.
❹ Ramadan Al-Mubarak Nuzoole Quran ka Mahina hai.
❺ Ramadan Al-Mubarak ke Roze Farz Qarar diye gaye.
❻ Ramadan Al-Mubarak mein ibadaat ka Ajr kayi Guna badha diya jata hai.
❼ Ramadan Al-Mubarak mein Umrah ka Sawab Hajj ke Barabar hai.
❽ Ramadan Al-Mubarak mein iftari ke Waqt aur har Raat ko Allah Ta’ala apne Bandon ko Jahannam se Aazad farmate hain.
❾ Ramadan Al-Mubarak mein Lailatul Qadr ki Aik Raat hai jo Hazaar Mahinon se Afzal hai.
❿ Ramadan Al-Mubarak, Muafi, Rehmat, Maghfirat aur Jahannam se Aazadi ka Mahina hai.


✦.........♥ Sehri Ka Babarkat Khana ♥.........✦

Narrated Al-Irbad ibn Sariyyah RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (ﷺ) invited me to a meal shortly before dawn in Ramadan saying: Come to the blessed morning meal.

Urdu Translation: Hazrat Irbad Bin Sariyah RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke RasoolAllah ﷺ Ne Mujhe Ramadan Mein Sehri Khane Ke Liye Bulaya Aur Farmaya: “(Sehri Ke) Babarkat Khane Ke Liye Aao.” 

[Sunan Abi Dawud :: Book 13 :: Hadith 2337, 2344]


✦.....♥ Sehri Mein Khajoor Ka Istemal Sunnat Bhi Ghizaiyat Bhi ♥....✦

The Prophet (ﷺ) as saying: How good is the believers meal of dates shortly before dawn.

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Momin ki Behtareen Sehri Khajoor hai.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 13 :: Hadith 2338, 2345]


✦.........♥ Iftari Ke Baad Masnoon Dua ♥.........✦

Narrated Ibn Umar RadiyAllahu Anhu: That the Prophet (ﷺ) said when he broke his fast:

" ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ وَثَبَتَ الأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ "
Dhahab-aẓ-ẓama’u, Wabtallat-il-‛urooqu, Wa thabat-al-Ajru In shaa’ Allaah

Thirst has gone, the arteries are moist, and the reward is sure, if Allah wills.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 13 :: Hadith 2350, 2357]

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Ibn Umar RadiyAllahu Anhuma Farmate hain ke Nabi Kareem ﷺ Jab Iftari Tanawul Farmalete to ye Dua Padhte:

" ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ وَثَبَتَ الأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ "
Dhahab-aẓ-ẓama’u, Wabtallat-il-‛urooqu, Wa thabat-al-Ajru In shaa’ Allaah

“Pyaas bujh Gayi aur Ragen tar Hogayin aur Allah ke Hukum se Ajr Sabit ho Gaya.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 585]


✦……..► Sehri Zaroor Karen! ◄……..✦

Abdullah ibn ‘Amr (RadiyAllahu Anhu) said that the Messenger of Allah ﷺ said: “Make Suhoor even if it just with a sip/gulp of water”. [Sahih Ibn Hibbaan: 3476]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Amr RadiyAllahu Anhuma se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Sehri Zaroor karo! Agarche Aik Ghoont Pani hi Se kyun na ho.” [Sahih Ibn Hibbaan: 3476]


✦.........♥ Mahe SiyamWo Qiyam Ki Aamad ♥.........✦
✦....♥ Mahe Ramadan 1440 Hijri Mubarak Ho! ♥....✦

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Hamen is Ramadan Al-Mubarak Ke Liye Salamat Rakhe Aur is Ko Hamare Liye Salamat Rakhe, Aur is Ba Barkat Maah Ke Rozon Samait Hamari Tamam Ibadaat Ko Apni Bargaah Mein Sharfe Qubuliyat Ata Farmaye, Aur ise Tamam Alame Islam Ke Rehmat o Maghfirat Ka Zariya Banaye. Aameen


🌺  Har Gunah Ke Piche Shaitan Nahin Hota, Yahi Batane Ramadan Aata Hai 🌺


✦.....► Cigarette Aur Paan Gutke Se Najat Ka Moqa! ◄.....✦

●◗► Apni Sahet Ki Hifazat Ki Jiye! Tambaku Noshi Aur Paan Gutke Ka Istemal Tark Kardi Jiye, Tambaku Noshi Se Najat Ke Liye Ramadan Al-Mubarak Behtareen Moqa Hai.

✦.........♥ Dua Se Be Tawajjohi Na Barten ♥.........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “Indeed, he who does not ask Allah, he gets angry with him.”

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Jo Allah Se Nahin Mangta, Allah Us Se Naraz Ho Jata Hai.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3373, 3373]


✦.........♥ Sufaid Kapdon Ki Fazilat ♥.........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: 'Wear white, for indeed it is very pure and cleaner, and shroud your dead in it.'"

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Sufaid Libas Pehna Karo Kyun Ke Ye Zyadah Pakizah Aur Khushnuma Hai Aur Isi Mein Apne Murdon Ko Dafnaya Karo.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 5 :: Book 41 :: Hadith 2810, 2810]

No comments:

Post a Comment