Pages

Friday, 7 June 2019

✦............♥ Mahe Shawwal ki Barkat! ♥............✦

'A'isha (Allah be pleased with her) reported: Allah's Messenger (ﷺ) contracted marriage with me in Shawwal and took me to his house as a bride during Shawwal. And who among the wives of Allah's Messenger (ﷺ) was dearer to him than I, and' A'isha liked that the women (of her family) should enter the houses as brides during the month of Shawwal.

[Sahih Muslim :: Book 8 :: Hadith 3312, 1423]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati hain ke RasoolAllah ﷺ ne Mujh se Mahe Shawwal mein Nikah Farmaya aur Aap ﷺ ke Sath Meri Rukhsati bhi Mahe Shawwal mein hui, RasoolAllah ﷺ ki Azwaje Mutahrat mein se wo Konsi Zojah hai jo Rasool ﷺ ko Mujh se Zyadah Azeez tar ho? Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha is Baat ko Mustahab Samajhti thin ke un ke Khandan ki Aurton ki Mahe Shawwal mein Rukhsati ho.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 4 :: Hadith 3483, 3548]

●◗► Amman Aisha RadiyAllahu Anha ne Musalmanon ko ye Paigham diya ke koi Mahina ya Din Manhoos Nahin, Tamam Mahine aur Ayyam Ba barkat hain, Agar Mahe Shawwal Manhoos hota (Jaisa ke baaz Logon ka Eteqad hai) to is Maah mein Shadi o Rukhsati ke baad Main Nabi ﷺ ki Azwaj mein Mahboob tar Zojah na Banti aur na hi Mujhe ye Fazl o Kamal milta, Ye Mahina badi Fazeelat o Ba barkat wala hai aur Main ye Pasand karti hun ke Mere Khandan ki Aurton ki Rukhsati bhi isi Maah mein ho.


💞 Jin Ke Sath Zindagi Guzarni Ho Un Mein Nuqs Nahin Talash Kiye Jate 💞


✦....:( Ramadan Khatam Hua Hai Ya Musalman??? :(....✦

●◗► Muazzin ki Takbeeren, Khali wuzu khane aur Wiraan Masjiden puch rahi Hain: 'Ya Rab! Ramadan khatam hua hai Ya Musalman???'

Ya Arhamar Rahimeen! Ramadan Al-Mubarak ke Aa’mal ka Tasalsul Saal bhar Jari rakhne ki Hamen Toufeeq Naseeb Farmaye. (Aameen).


✦.........♥ Maahe Shawwal Ke 6 Roze ♥.........✦

Abu Ayyub al-Ansari (Allah be pleased with him) reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: “He who observed the fast of Ramadan and then followed it with six (fasts) of Shawwal. it would be as if he fasted perpetually.”

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2614, 1164]

Urdu Translation: Hazrat Abu Ayyub Ansari RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Farmaya: “Jis ne Ramadan Al-Mubarak ke Roze Rakhe aur is ke Baad Maahe Shawwal mein Che (6) Nafli Roze Rakhe to use Saal bhar ke Rozon ka Sawab Milega.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 2758, 2815]


✦.........► Eid Ki Khushiyan Banten ◄.........✦

●◗► Eid Ke Moqe Par Kuch Gharane Aise Bhi Hote Hain Jahan Eid Ki Khushiyan Dastak Nahin Detin, Aage Badhiye… Aur Un Ke Gharon Mein Eid Ki Khushiyan Pohnchane Ka Bandobast Kijiye.


✦..............► Haqiqi Eid ◄..............✦

✔ Eid Un Ki Nahin Jinhon Ne Umdah Libas Zaib Tan Kar Liya Balke Eid To Un Ki Hai Jo Allah Ki Wayeed Aur Pakad Se Dar Gaye.

✔ Eid Un Ki Nahin Jinhon Ne Umdah Khushbuon Ka Istemal Kiya Balke Eid To Un Ki Hai Jinhon Ne Apne Gunahon Se Tuaba Ki Aur Phir Tauba Par Qayem Rahe.

✔ Eid Un Ki Nahin Jinhon Ne Umdah Khanon Ki Dishes Pakayin Balke Eid To Un Ki Hai Jinhon Ne Hattal Imkan Naik Banne Ki Koshish Ki.

✔ Eid Un Ki Nahin Jinhon Ne Dunyawi Zaib o Zinat Ekhtiyar Ki Balke Eid To Un Ki Hai Jinhon Ne Taqwa Aur Parhezgari Ko Ekhtiyar Kiya Aur Use Apna Tosha Banaya.


•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•
Abuzar ki Janib se Tamam Chahne Walon ko Eid Mubarak
•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala ham Sab ke Rozon, Taraweeh, Zikr o Tilawat aur Tamam Ibadaat ko Apni Bargaah Mein Qubool Farma kar Hamen Baar Baar Ramadan Al-Mubarak ki Bahaaren aur Eid ki Sacchi Khushiyan Naseeb Farmaye. (Aameen).


✦......♥ Eid ki Mubarak Baad Dene ka Tariqa ♥......✦

Hazrat Wathla RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main ne Eid ke din Nabi Kareem ﷺ se Mulaqat ki aur Main ne kaha: "Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' "Allah Ta’ala hamare aur aap ke Naik Aa’maal Qubool Farmaye."

Nabi Kareem ﷺ ne Irshad Farmaya: "Han Han zaroor! 'Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' Allah paak Hamare aur Aap ke Naik Aa’maal Qubool Farmaye."

[Sunan Al-Kubra Al-Bahaqi :: Hadith 6088]


✦......✿.....♥ Eid Ul-Fitr ki Sunnaten ♥.....✿......✦

❶ Subah Sawere (Namaze Fajr Se Qabl) Bedar Hona.
❷ Miswak Karna.
❸ Gusul Karna.
❹ Shariat Ke Hudud Mein Rehte Hue Zaib o Zeenat Ekhtiyar Karna.
❺ Khushbo Lagana.
❻ Eid Gaah Jane Se Pehle Koi Meethi Cheez Maslan Khajur Wagherah Khana.
❼ Jald az Jald Eid Gaah Pahonchna, Paidal Jana Aur Wapsi Par Dusra Rasta Ekhtiyar Karna.
❽ Agar Sadaqah Fitr Ada Na kiya Ho To Eid Gaah Jane Se Pehle Ada Karna.
❾ Eid Ki Namaz, Eid Gaah Mein Padhna.
➓ Raste Mein

اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد

"Allahu Akbar Allahu Akbar La ilaaha illallahu Wallahu Akbar, Allahu Akbar Walillahil Hamd!" Aahista Aawaz Mein Padhna.


✦....►Sadaqa Khairat Sirf Ramadan Ya Eid Ka Mohtaj Nahin! ◄...✦

Aik Ghareeb Family Jis mein Panch Afrad the, Baap hamesha Bimar Rehta tha, Aakhir mein Mar gaya, Teen din tak Padosiyon ne khana Bheja, Maa ne kuch din Jaise taise Kar ke Bacchon ko khilaya, Phir Faqe Padne lage Jis ki Waja se 8 Saal ka beta Bimar Pad Gaya, 5 Saal ki Bacchi ne Maa ke Kaan mein Pucha, Maa Bhai kab Marega Maa Tadap Gayi aur kaha Aise kyun Puch Rahi ho, Bacchi ne Masumiyat se kaha, Amma Bhai Marega Tab hi Ghar mein Khana Aayega Na.

●◗► Sadaqa Khairat Sirf Ramadan ya Eid ka Mohtaj Nahin hain, Aap ke Maal Mein Ghareebon ka Bhi Haq Hain, Message ko Baar baar Padhiye aur Ghaur Karen.


✦............♥ SADAQAT-ul-FITR ♥............✦

Narrated Abdullah ibn Abbas RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (ﷺ) prescribed the sadaqah (alms) relating to the breaking of the fast as a purification of the fasting from empty and obscene talk and as food for the poor. If anyone pays it before the prayer (of 'Id), it will be accepted as zakat. If anyone pays it after the prayer, that will be a sadaqah like other sadaqahs (alms).

[Sunan Abi Dawud :: Book 9 :: Hadith 1605, 1609]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma se Riwayat hai: “RasoolAllah ﷺ ne Sadaqa e Fitr ko Farz Qarar diya taa ke Rozah Daar ki (Rozon ke dauran) Fuzool baton aur Fahesh kalami se Safayi ho jaye aur Masakeen ke liye Khane Pine ka Bandobast ho jaye, Jo koi Sadaqa e Fitr ko Namaz se pahle Ada karle to ye Maqbool Sadaqa e Fitr hai aur jo Namaz ke baad ada kare to ye Aam Sadaqat mein se Aik Sadaqah hoga.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 1596, 1609]


✦...► Shabe Qadr, Shab Bedari Ke Baad Namaze Fajr Ka Ehtemam Zaroori Hai! ◄...✦

Yahya related to me from Malik from Ibn Shihab from Abu Bakr ibn Sulayman ibn Abi Hathma that Umar ibn al-Khattab RadiyAllahu Anhu missed Sulayman ibn Abi Hathma RadiyAllahu Anhu in the subh prayer. In the morning he went to the market, and Sulayman's house was between the market and the Prophet's mosque. He passed ash-Shifa, Sulayman's mother, and said to her, "I did not see Sulayman at subh." She replied, "He spent the night in prayer and his eyes overcame him. Umar RadiyAllahu Anhu said, "I would rather be present at subh than stand the whole night in prayer.

Urdu Translation: Hazrat Umar Farooq RadiyAllahu Anhu Ne (Aik Din) Namaze Fajr Mein Hazrat Sulayman ibn Abi Hathma RadiyAllahu Anhu Ko Nahin Paya, Sulayman RadiyAllahu Anhu Ka Makan Chunke Masjid Aur Bazar Ke Darmiyan Tha Is Liye Hazrat Umar RadiyAllahu Anhu Jab Subah Bazar Jane Lage To Sulayman RadiyAllahu Anhu Ki Waldah Shifa Ke Paas Tashreef Le Gaye Aur Un Se Pucha: “Aaj Main Ne Sulayman Ko Fajr Ki Namaz Mein Nahin Dekha?” Sulayman RadiyAllahu Anhu Ki Waldah Kehne Lagin Ke Sulayman Puri Raat Namaz o Ibadat Mein Mashghool Rahe Aur (Subah Hote Hote) Un Ki Aankh Lag Gayi, Hazrat Umar RadiyAllahu Anhu Ne Irshad Farmaya: “Main Subah Ki Namaz Ba Jama’at Padh Lene Ko Raat Bhar Ibadat Karne Se Behtar Samajhta Hun.”

[Muwatta Imam Malik :: Book 8 :: Hadith 296]


✦.....► Shabe Qadr Ki Barkaat Se Mahroom Na Rahen! ◄.....✦

It was narrated that Anas bin Malik said: “Ramadan began, and the Messenger of Allah (ﷺ) said: ‘This month has come to you, and in it there is a night that is better than a thousand months. Whoever is deprived of it is deprived of all goodness, and no one is deprived of its goodness except one who is truly deprived.’”

Urdu Translation: Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Jab Ramadan Ka Mahina Aaya To RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Tum Par Ye Mahina Aachuka Hai, Is Mein Aik Raat Hai Jo Hazar Mahinon Se Behtar Hai, Jo Shaks Is Raat Se Mahrum Raha Wo Sari Hi Bhalayyon Se Mahroom Raha Aur Is Raat Ki Bhalayi Se Wahi Shaks Mahroom Rah Sakta Hai Jo Waqeyi Bada Mahroom Ho.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 7 :: Hadith 1644 1644]


✦............♥ Shabe Qadr Ki Alamaten ♥............✦

A Hadith reported by Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu indicates that it is a moderate night, neither hot nor cold. He said that The Messenger of Allah ﷺ said: Laylut al-Qadr is an easy and moderate night. It is neither hot nor cold.. On the morning following it, the sun rises weak (in light) and reddish.

(Recorded by Ibn Khuazaimah, al-Bayhaqi, and others. Verified to be authentic by al-Albani (Sahih Al-Jami: 5475)

Urdu Translation: Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Anhuma Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Shabe Qadr Ki Nishaniyon Ke Bare Mein Farmaya: “Shabe Qadr Narmi o Aasani Wali Aur Khushgawar Hoti Hai, Ye Raat Na Zyadah Garm Na Zyadah Thandi Balke Motadil Hoti Hai Naiz Shabe Qadar Ki Subah Suraj Ki Roshni Baghair Shua’a Ke Kamzor Aur Surkhi Mayel Hoti Hai.”

[Musnad al-Thayalisi :: 2680, Sahih Al-Jami :: 5475]


✦.► Namaz Qazaye Umri Se Mutaliq Man Ghadat Hadees ◄.✦

●◗► Aaj Kal Ye Message Bahot Share Ho Raha Hai Ke... “Ramadan Al-Mubarak Ke Aakhri Jum’ah Ko Makhsoos Tariqe Se 4 Nafil Padhne Se 700 Mahine Ki Qaza Namaz Ada Ho Jati Hai, Ye Bilkul Ghalat Aur Jhuta Message Hai.”

Yaad Rahe Ke Kutub Ahadees Mein Aisi Koi Hadees Mazkoor Nahin, Ye Logon Ki Banayi Hui Man Ghadat Aur Jhooti Baat Hai, Yaad Rakhen: Hadees Paak Ke Mutabiq Jitni Namazen Qaza Hui Hon Sab Ko Aik Aik Kar Ke Ada Karna Zaroori Hai, Is Ke Alawah Koi Surat Nahin Hai. (Sahih Bukhari:596,597) RasoolAllah ﷺ Ki Taraf Aisi Baat Mansoob Karna Jo Aap ﷺ Ne Irshad Na Farmayi Ho Na Sirf Gunah Balke Bade Wabaal o Azab Ka Sabab Hai, Chunanche Aap ﷺ Ka Irshade Girami Hai:

►“Mujh Par Jhoot Mat Bolo, Kyun Ke Jo Mujh Par Jhoot Bandhe Wo Dozakh Mein Dakhil Hoga.” (Sahih Bukhari: 106)

The Prophet (ﷺ) said, "Do not tell a lie against me for whoever tells a lie against me (intentionally) then he will surely enter the Hell-fire." [Sahih al-Bukhari :: Vol. 1 :: Book 3 :: Hadith 106]





✦..........♥ Shabe Qadr Ki Khusoosi Dua ♥..........✦

Narrated Aishah RadiyAllahu Anha: "I said: ‘O Messenger of Allah ﷺ what is your view if I know when the Night of Al-Qadr is, then what should I say in it?" He ﷺ said: ‘Say:

اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
'Allahumma Innaka Afuwwun Tuhibbul-Afwa Fa’fu Anni'

"O Allah, indeed You are Pardoning, You love pardon, so pardon me"

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3513]

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Aishah RadyAllahu Anha Farmati hain ke Main ne Aap ﷺ se Arz kiya: “Ya RasoolAllah! Agar mujhe Shabe Qadr ka Pata Chal Jaye to Main kya Dua Mangun? Huzoor ﷺ ne Irshad Farmaya ke ye Dua Padho:

اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
'Allahumma Innaka Afuwwun Tuhibbul-Afwa Fa’fu Anni'

''Aye Allah! Beshak Aap Muaaf karne Wale hain aur Muaaf karne ko Pasand Karte hain, Pus Mujhe bhi Muaaf Farmaden.''

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1438, 3513]


✦.........♥ Rozah Daron Ka Khaas Aizaz ♥.........✦

Narrated Sahl bin Sa`d RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ)  said: "Paradise has eight gates, and one of them is called Ar-Raiyan through which none will enter but those who observe fasting."

[Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 54 :: Hadith 479, 3257]

Urdu Translation: Hazrat Sahl bin Sa`d RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: "Jannat ke 8 Darwaze hain Jin mein se Aik Darwaze ka Naam "Rayyan" hai, is darwaze se sirf Rozah daar hi dakhil honge."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Hadith 3257]


✦......► Salat At-Tasbeeh (Muqam – Tadad) ◄......✦

1st Rakat Mein Surah Fatiha Aur Surah Ke Baad 15 Martaba
Ruku Mein Subhana Rabbiyal Adheem Ke Baad 10 Martaba
Rukku Se Khade Hone Ke Baad 10 Martaba
Sajdah Mein Subhana Rabbiyal A'la Ke Baad 10 Martaba
Dusre Sajdah Se Pehle Jalse Mein 10 Martaba
Dusre Sajdah Mein Subhana Rabbiyal A'la Ke Baad 10 Martaba
Doosri, Teesri, Chauthi Rakat Mein Surah Fatiha Aur Surah Ke Baad  15 Martaba

Aik Rakat Mein Kul : 75 Martaba
Char Rakat Mein : 300 Martaba

(Sunan Abi Dawood: 1297)


✦......♥ Shabe Qadr Saal Ki Qeemti Tareen Raat! ♥......✦

❶ Raat: 83 Saal Ki Ibadat Se Afzal
❶ Ghanta: 9 Saal Ki Ibadat Se Afzal
❶ Minute: 55 Din Ki Ibadat Se Afzal
❶ Second: 22 Ghanton Ki Ibadat Se Afzal

●◗► Lehaza Har Har Second Se Faidah Uthayyen! Aur Aakhri Ashre Ki Har Taaq Raat Mein Allah Ka Zikr, Quran Ki Tilawat, Astaghfar Ki Kasrat, Tahajjud, Allah Ka Zikr, Sadaqa Khairat Aur Khoob Duaon Ka Ehtemam Karen!


✦........♥ Shabe Qadr Palene ka Aasan Nuskha ♥........✦

RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: "Shabe Qadr ko Ramadan Al-Mubarak ke Aakhir Ashre ki Taaq Raaton mein Talash karo." ► Allah's Messenger (ﷺ) said: "Search for the Night of Qadr in the odd nights of the last ten days of Ramadan." (Sahih Bukhari: 2017)

Shabe Qadr ka Ramadan ke Aakhir Ashre ki Taaq Raton mein hona Muta’yyan hai lehaza Agar Aakhir Ashre ki Taaq raton (21, 23, 25, 27, 29) mein se har har Raat ko darj Zail Aa’mal kar Liye jayen to Allah ki zaat se Bhar pur Ummid hai ke ham Shabe Qadr ki Barkaat aur Hazaar Mahinon ki Ibadat ka Sawab pa Sakenge.

❶ Isha aur Fajr ki Namaz ba’Jamat ada kare, (Jis ne Isha o Fajr ba Jama’at ada ki to use Puri Raat ibadat ka sawab milta hai).
❷ Teesra kalimah aur Durood Shareef ka Ehtemam karen.
❸ Kam az kam aik Parah Qur’an Majeed ki Tilawat karen.
❹ Kam se kam 2 Rakat Salaat at-Taubah Padhen.
❺ Apne Gunahon par Roro kar Allah se Muafi mangen.


💓 Apni Aulad Ko Deeni Taleem Laazmi Do Kyun Ke Agar Aap Ki Aulad Deendar Hogi To Deen Naslon Tak Chalta Rahega InshaAllah, Aap Ki Aulad Naik Hogi To Aap Ke Guzarjane Ke Baad Bhi Aap Ke Liye Aa’mal Ka Silsila Bhi Chalta Rahega 💓


✦.....♥ Aik Din Mein Do Rozon Ka Sawab ♥.....✦

The Messenger of Allah ﷺ said: "Whoever provides the food for a fasting person to break his fast with, then for him is the same reward as his (the fasting person's), without anything being diminished from the reward of the fasting person."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Ne Kisi Rozah Daar Ko Iftar Karaya To Us Ke Liye Bhi Rozah Daar Ke Barabar Sawab Hai Aur Us Se Rozah Daar Ke Sawab Mein Bhi Koi Kami Nahin Hoti.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 3 :: Hadith 807, 807]


✦.....► Rozah, Fuzul Baton Se Bachne Ka Naam Hai! ◄.....✦

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Rozah Sirf Khane Pine Se Rukne Ka Naam Nahin Balke Rozah To Ye Hai Ke Laghu Aur Behudah Baton Se Bacha Jaye Aur Agar Koi Tum Se Galam Galoch Kare Aur Jihalat Par Utar Aaye To Us Se Kehdo Ke Main Roze Se Hun.” (Mustadrak Al-Hakim:1570)


✦….► Ghazwa e Badr Se Hasil Shudah Sabaq! ◄….✦
✦…............► (17 Ramadan Sun 2 Hijri) ◄…............✦

Haq Aur Batil Ke Darmiyan Faisla Karne Wale Islam Ke Is Pehle Azeem Al-Shan Marky Ko 1400 Saal Se Zayed Arsa Guzar Chuka Hai Lekin Is Ki Yaad Aaj Bhi Musalmanon Ke Iman Ko Jala Bakhashti Hai Aur Musalmanon Ko Ye Sabaq Deti Hai Ke Masayeb o Mushkilat, Mali Tangi o Be Sarosamani Aur Taqatwar Dushman Se Khof Zadah Ho Kar Iman, Aqide Aur Nazarye Par Samjhota Karne Ke Bajaye Baham Muttahid Ho Kar Kufriya Taqaton Ka Dat Kar Muqabla Karna Chahiye, Aisa Karne Se Allah Ki Madad o Nusrat Shamile Haal Ho Jaye Gi Aur Fateh o Kamrani Musalmanon Ka Muqaddar Tehre Gi! InshaAllah.





💓 Ramadan Mein Hi To Pata Chalta Hai Ke Paani Allah Ta'ala Ki Kitni Badi Nemat Hai 💓


✦…..► Ghazwa e Badr (17 Ramadan Sun 2 Hijri) ◄…..✦
✦ RasoolAllah ﷺ Ummat Ke Liye Aansu Bahate Rahe! ✦

“Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu Irshad Farmate Hain Ke Ghazwa e Badr Ke Moqe Par Hazrat Miqdad RadiyAllahu Anhu Ke Alawah Ham Mein Se Koi Ghode Par Sawar Na Tha Aur Ham Sab Log (Raat Padao Ke Dauran) So Gaye Siwaye RasoolAllah ﷺ Ke, Jo Aik Darakht Ke Niche Namaz Padhte Rahe Aur Rote Rahe Yahan Tak Ke Subah Hogayi.” (Musnad Ahmad: 1023)


✦…► RasoolAllah ﷺ Ne Bacchi Ke Qatil Ko Nishane Ibrat Bana Diya! ◄…✦

Narrated Anas RadiyAllahu Anhu: That a girl went out in Al-Madinah wearing some silver ornaments. A Jew grabbed her and fractured her head with a stone, and he took the jewelry she had on. He said: "She was found with some spark of life in her, and was brought to the Prophet (ﷺ) and he said: 'Did such and such person strike you?' She nodded 'no' with her head. He said: 'Such and such?' until he named the Jew and she nodded 'yes' with her head." He said: "He was brought and recognized so the Messenger of Allah (ﷺ) ordered that his head be crushed between two stones."

Urdu Translation; Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke “Aik Bacchi Kahin Jane Ke Liye Nikli, Us Ne Chandi Ka Zewar Pehna Hua Tha, Aik Yahudi Ne Use Pakad Liya Aur Us Ka Sir Patthar Se Kuchal Diya Aur Zewar Utar Liya, Abhi Us Bacchi Mein Thodi Si Jaan Baqi Thi Ke Log Pahoch Gaye Aur Us Bacchi Ko Nabi Kareem ﷺ Ke Paas Le Aaye, Aap ﷺ Ne Us Bacchi Se Pucha Ke Tumhen Kis Ne Qatl Kiya? Kya Fulan Ne? Us Ne Apne Sir Se Isharah Se Kaha Ke Nahin, Phir Aap Ne Dobarah Pucha Ke Kya Fulan Ne Tumhen Mara? Us Ne Phir Jawab Diya Ke Nahin, Yahan Tak Ke Aap ﷺ Ne Us Yahudi Ka Naam Liya To Us Bacchi Ne Apne Sir Ko Hila Kar Jawab Diya Ke Han, Hazrat Anas Farmate Hain Ke Wo Yahudi Pakda Gaya Aur Us Ne Eterafe Jurm Bhi Kar Liya, Chunanche Nabi Akram ﷺ Ne Us Yahudi Ka Sir Patthar Se Kuchalne Ka Hukum Diya, Jis Ke Natije Mein Yahudi Ka Sir Do Pattharon Ke Darmiyan Rakh Kar Kuchal Diya Gaya.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 3 :: Book 14 :: Hadith 1394, 1394]


✦.......♥ Ramadan ke Aakhri Ashrey ka I’tikaf Aur ♥.......✦
✦..........♥ Aur Pyare Rasool ﷺ ka Tarze Aml ♥..........✦

Narrated 'Aisha RadiyAllahu Anha: (the wife of the Prophet) "The Prophet (ﷺ) used to practice I`tikaf in the last ten days of Ramadan till he died and then his wives used to practice I`tikaf after him."

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 33 :: Hadith 243, 2026]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati hain: "Nabi Akram ﷺ Dunya se Rokhsat hone tak Ramadan Al-Mubarak ke Aakhri Ashrah ka I’tikaf Farmate rahe aur Aap ﷺ Ke Dunya se Tashreef le Jane ke Baad Aap ki Azwaje Mutahrat ne bhi I’tikaf Farmaya.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 2026]


✦........♥ Musalman Shoharon Ko Nasihat ♥........✦

Allah's Messenger (ﷺ) as saying: “A believing man should not hate a believing woman; if he dislikes one of her characteristics, he will be pleased with another.”

[Sahih Muslim :: Book 8 :: Hadith 3469, 1468]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Koi Momin Shohar Apni Momin Biwi Se Nafrat Na Rakhe Kyun Ke Agar Wo Us Ki Aik Aadat Ko Na Pasand Karta Hoga To Dusri Aadat Ko Pasand Bhi Karta Hoga.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.4 :: Hadith 3645]


✦.........► Nisabe Zakat: Zakat Kis Par Farz Hai? ◄.........✦

Jo Aaqil o Baligh Musalman (Mard ho Ya Aurat) Malik Ban Jaye:

❶ Sadhe Sath Tola (87.480 Gram) Sone (Gold) Ka…Ya
❷ Sadhe Bawan Tola (612.360 Gram) Chandi (Silver) Ka…Ya
❸ Sadhe Bawan Tola Chandi ki Qeemat ke Barabar Raqam (Currency) Ka (May 2019 ke Rate ke Mutabiq Taqriban 24,495/- Rupe ka)…Ya
❹ Sadhe Bawan Tola Chandi ki Qeemat ke Barabar Maale Tijarat ka (Maal Tijarat se Muraad wo Cheez jise Aage Farokht ki Niyyat se Khareeda ho Aur ye Niyyat Abhi Tak Baqi ho)…Ya
❺ Darje Bala Charon Amwale Zakat (Sona, Chandi, Currency, Maal Tijarat) Mein se kisi Do ya Teen ke Majmuye ka….Aur Wo Majmuah Sadhe Bawan Tola Chandi ki Qeemat ke Barabar Pahonch Jaye…

To Aisa Shaks Sahibe Nisab Kehlaye ga Aur Jis Qamri Tareekh ko Wo Sahibe Nisab bana, Wo Tareekh us Shaks ke Zakat ke Hisab ki Tareekh ke Taur Par Tai ho Jaye gi aur Agle Qamri Saal ki Usi Tareekh Par Agar ye Sahibe Nisab Raha to is Par Amwale Zakat 2.5% Feesad Nikalna Farz hoga, Neez Agar Sahibe Nisab Par Qarz Wagherah ho to Amwale Zakat ko Jama kar ke Qarz ko is Minha (Minus) kiya jaye, is ke Baad bhi Agar Nisab ke Baqadar Maal Baqi bache to Zakat Farz hogi Warna Nahin.


✦…..► “Mahwari” Mein Mahe Ramadan Se Istefadah! ◄…..✦

Bahot si Khawateen Ramadan mein aur Bilkhusoos Aakhir Ashre mien “Mahwari” Shuru ho Jane se Sakht Zahni koft ka Shikar ho jati hain aur ye Soch soch kar Pareshan hoti hain ke Ab Aakhir Ashre ki Ibadaat, Taaq Raaton aur Laylatul Qadr ka kya bane ga?

Aisi Tamam Khawateen Darj Zail ❸ Nukati Agende pe Aml paira ho kar Laylatul Qadr Samait Aakhri Ashre ki Barkaat se Istefadah kar Sakti hain:

❶ Niyyat ki Durustgi:  Khuloos Niyyat ke sath ye Soche ke ye Sharyi Uzr Allah ki taraf se hai aur Agar ye Uzr na hota to Main Behtareen Andaz mein Ibadat mein Mashghool ho kar apne Rab ko razi karti, is Acchi Niyyat aur irade par Maqbool ibadaat ka InshaAllah Ajr o Sawab milega, Nabi Akram ﷺ ne Ghazwah Tabuk ke moqe par Irshad Farmaya ke kuch log Madina mein hamare piche Reh gaye hain Lekin ham kisi bhi Ghati ya Wadi mein (jihad ke liye) Chalen to wo Sawab mein Hamare sath hote hain, Phir Aap ﷺ ne Irshad Farmaya ye wo log hain jo Uzr ki Waja se Hamare sath Shareek nahin ho Sake. (Sahih Bukhari: 2839)

❷ Ibadaat karne Waliyon ke Sath Ta’awun: Aisi khawateen ibadaat, Taraweeh aur Tahajjud mein Masroof ghar ki Digar khawateen ke sath Ta’awun kar ke un ki ibadaat ke Barabar Ajr o Sawab hasil kar sakti hain, Ye Ta’awun un ke Kaam nimta kar, un ke liye Sahri o Iftari Tayyar kar ke, un ke Bacche Sambhal kar aur Digar tariqon se Kiya ja sakta hai.

❸ Zikr Azkar aur Duaon mein Mashghuliyat: Napaki ki Halat mein har Ibadat Mamnoo Nahin hoti Balke Zikr Azkar aur Duayen Mangi ja sakti hain, Lehaza Aisi Tamam Khawateen ibadaat se bilkul kinarah Kashi Ekhtiyar na kare Balke zikr Azkar, Durood Shareef, Shabe Qadr ki Masnoon dua aur Digar duaon mein Mashghool reh kar Aakhir Ashre, Taaq Raton aur Shabe Qadr ki Barkaat Hasil karne ki koshish Karen.


✦....► Iftari Ke Intezar Mein, Waqt Katne Ki Koshish!!! ◄.....✦

Aam Taur Par Ramadan Al-Mubarak Mein Daftari, Talimi Aur Gharelu Masrufiyat Kum Ho Jati Hain Isliye Kafi Farigh Waqt Dastiyab Ho Jata Hai, Aam Taur Par Log Ye Farigh Waqt isi Soch o Fikr Mein Guzarte Hain Ke Iftari Hone Mein Kitna Waqt Baqi Hai? Baaz Log Ye Qeemti Waqt Zabardasti Sone Ki Koshish Mein Guzarte Hain, Baaz Novel Padhne, Bila Maqsad Internet Ya Facebook Istemal Karne, Taash o Digar Games Khelne Ya TV Ke Samne Baithne Mein Ye Qeemti Waqt Zaye Kar Dete Hain Aur Roze Ke Ruhani Asrat Aur Barkaat Se Mahroom Ho jate Hain. 

●◗► Farigh Auqat Ko Qeemti Banane Ka Nuskha Ye Hai Ke Ramadan Al-Mubarak Mein Kuch Ahdaf Muqarrar Karlen, Maslan: Pure Mahine Mein Aik Quran Tarjume Aur Tafseer Se Padhna Hai, Ya Quran Kareem Ki Ahem Surten Zubani Yaad Karni Hain, Ya Roz Marrah Ki Masnoon Duayen Yaad Karni hain, Ya Hadees, Seerat Aur Islami Mauzu Par Koi Mustannad Kitab Khatam Karni Hai, Ya Rozana Itni Itni Martaba Teesra Kalima Ya Durood Shareef Padhna Hai Wagherah Wagherah, Aur Phir Farigh Auqat Mein In Ahdaf Ko Mukammal Karne Par Sakhti Se Kaar Band Ho Jayen.

No comments:

Post a Comment