Pages

Saturday, 12 September 2020

✦.........► Aap Ka Kya Khayal Hai? ◄.........✦

Social Media Par Darj Zail Tehreer Kafi Dinon Se Gardish Kar Rahi Hai: “Agar Shadi Ke Baad Maa Baap Ki Khidmat Beti Ki Zimmedari Hoti To Koi Maa Baap Budhape Mein Darbadar Na Hote.”

Lekin Agar Is Mua’shrati Mas’ale Ka Bareek Beeni Se Jayezah Liya Jaye To Tahreer Kuch Yun Banti Hai:

“Agar Har Beti Shadi Ke Baad Shohar Ke Waldain Ko Apne Waldain Ka Darja De Kar Un Ki Khidmat Kare To Is Dunya Mein Koi Waldain Darbadar Na Hon.”

Prophet Muhammad (ﷺ) said: “If anyone relieves a Muslim believer from one of the hardships of this worldly life, Allah will relieve him of one of the hardships of the Day of Resurrection.” (Sahih Muslim: 2699)

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Kisi Musalman Ki Dunyawi Pareshaniyon Mein Se Koi Pareshani Door Karta Hai To Allah Subhanahu Wa Ta'ala Qayamat Ke Din Us Ki Pareshani Door Farmaye Ga.” (Sahih Muslim: 2699)

“Aulad Ki Ghalat Tarbiyat Ka Tana Hamesha Maa Ko Diya Jata Hai Jab Ke Tarbiyat Kisi Aik Fard Ki Koshish Aur Zimmedari Nahin Hoti Ghar Ka Mahol, Afrad Ka Rahen Sahen, Baap Aur Ghar Ke Dusre Afraad Ki Shakhsiyat, Guftagu Aur Kirdar Bhi Asar Andaz Hote Hain, Aakhir Ye Baat Kisi Ko Samajh Mein Kyun Nahin Aati.”

Almighty Allah Said: "It could be that you dislike something, when it is good for you; and it could be that you like something when it is bad for you. Allah knows, and you do not know." (Al-Baqarah (2):216)

Allah Ta’ala Ka Irshad Hai: “Ain Mumkin Hai Ke Tum Aik Cheez Ko Bura Samjho Halanke Wo Tumhare Haq Mein Behtar Ho Aur Ye Bhi Mumkin Hai Ke Tum Aik Cheez Ko Pasand Karo, Halanke Wo Tumhare Haq Mein Buri Ho Aur (Asal Haqiqat To) Allah Janta Hai, Aur Tum Nahin Jante.” (Al-Baqarah (2):216)

"Jis Ghar Mein Shadi Shudah Nandon Ka Raaj Ho Wahan Bahu Bichari Bus Hi Nahin Sakti."

The Prophet (ﷺ) was asked, 'Which woman is best?' He (ﷺ) said: 'The one who makes him happy when he looks at her, Obeys him when he commands her, and She does not go against his wishes with regard to herself nor her wealth.”(Sunan an-Nasa’i: 3231)

RasoolAllah (ﷺ) Se Arz Kiya Gaya Ya RasoolAllah! Behtareen Aurat Konsi Hai? Aap (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Behtareen Aurat Wo Hai Ke: ‘Jab Us Ki Taraf Us Ka Shohar Dekhe To Wo Shohar Ko Khush Karde, Jab Wo Use Kisi Baat Ka Hukum De To Shohar Ki Ita’at Kare, Jaan Aur Maal Ke Muamle Mein Shohar Jis Cheez Ko Na’Pasand Karta Ho Us Mein Us Ki Mukhalifat Na Kare.” (Sunan an-Nasa’i: 3231)

 

Prophet (ﷺ) said: “If there is any benefit in your medicines, it is in a drink of honey, cupping and [light] cauterization, However, I do not like to be cauterized.” (Sahih al-Bukhari: 5702)

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Agar Tumhari Dawayyon Mein Koi Bhalayi Hai To Shahed Ke Sharbat Mein Hai Aur Pachna (Hijama) Lagwane Mein Hai Aur Aag Se Daghne Mein Hai, Lekin Main Aag Se Dagh Kar Ilaj Ko Pasand Nahin Karta.” (Sahih al-Bukhari: 5702)

●◗► Saas Bahu Aur Miya Biwi Ke Jhagde Se Chutkara Pane Ka 3 Nikati Nabwi Formulas

❶ Biwi Ko Khule Dil Se Tasleem Karna Chahiye Ke Mere Shohar Par Sab Se Zyadah Haq Un Ki Waldah Mohtarma Ka Hai Kyun Ke Allah Ke Pyare Rasool ﷺ Ka Irshad Girami Hai: "Aurat Par Sab Se Zyadah Haq Us Ke Shohar Ka Hai Aur Mard Par Sab Se Zyadah Haq Us Ki Maa Ka Hai." (Mustadrak Al-Hakim: 7418)

❷ Shohar Ko Agar Biwi Ki Koi Baat Na Gawaar Guzre To Use Bunyad Bana Kar Biwi Se Hargiz Nafrat Na Kare Balke Us Ki Digar Khubiyon Par Nazar Rakhe, Allah Ke Pyare Rasool ﷺ Ka Irshad Hai: "Musalman Mard Apni Musalman Biwi Se Nafrat Na Kare, Agar Biwi Ki Aik Aadat Buri Maloom Hoti Ho To Dusri Aadat Pasand Hogi." (Sahih Muslim: 1468)

❸ Saas Bahu Mein Koi Oonch Neech Ho Jaye To Ladki Ke Rishtedaron Ko Chahiye Ke Wo Ladki Ko Samjhota Karne Ki Targheeb Den Shohar Ya Us Ke Khandaan Ke Khilaf Hargiz Na Bhadkayen Kyun Ke Allah Ke Pyare Rasool ﷺ Ka Irshad Hai: "Wo Ummate Muhammadiya Mein Se Nahin Jo Aurat (Ke Samne Us Ke Shohar Ki Burayyan Kar Ke Us) Ko Shohar Ke Khilaf Uksaye." (Sunan Abi Dawood: 2175)

●═══════════════◄►══════════════●

Aisha RadiyAllahu Anhu reported: She said, “O Messenger of Allah, who has the greatest right of people over women?” The Prophet, peace and blessings be upon him, said, “Her husband.” Aisha said, “Who has the greatest right of people over men?” The Prophet (ﷺ)said, “His mother.” (Mustadrak al-Mustadrak: 7418)

Allah's Messenger (ﷺ) as saying: A believing man should not hate a believing woman; if he dislikes one of her characteristics, he will be pleased with another. (Sahih Muslim: 1468)

The Prophet (ﷺ) said: “Anyone who incites a woman against her husband or a slave against his master is not one of us.” (Sunan Abi Dawood: 2175)

Allah's Messenger (ﷺ) said, Whoever believes in Allah and the Last Day, should serve his guest generously. The guest's reward is: To provide him with a superior type of food for a night and a day and a guest is to be entertained with food for three days, and whatever is offered beyond that, is regarded as something given in charity. And it is not lawful for a guest to stay with his host for such a long period so as to put him in a critical position." (Sahih al-Bukhari: 6135)

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Allah Aur Aakhirat Par Iman Rakhta Ho Use Chahiye Ke Wo Apne Mehman Ka Ikram Kare, Mehman Ki Khususi Ziyafat (Khatir Madarat) Aik Din Aur Aik Raat Tak Hai, Aur Umumi Ziyafat Teen Din Aur Teen Raton Tak, Teen Din Baad Bhi (Agar Mezban Bojh Na Samjhe Aur) Mehman Ki Ziyafat Kare To Ye Sadaqah Shumar Hoga, Mehman Ke Liye Jayez Nahin Ke Wo Apne Mezban Ke Paas Itne Din Teher Jaye Ke Mezban Harj Aur Tangi Mein Pad Jaye.” (Sahih al-Bukhari: 6135)

 

Do Qaumi Nazarya: “Damad Acche Hain Kyun Ke Wo Beti Ko Khush Rakhte Hain, Bete Bure Hain Kyun Ke Wo Bahu Ko Khush Rakhte Hain.”

 

Haqiqi Rahat Pane Ki Jagah! Hazrat Imam Ahmad Bin Hanbal Rahimahullah Se Aik Shaks Ne Pucha: Insan Rahat o Sukoon Ka Mazah Kab Chakhega? Imam Ahmad Bin Hanbal Rahimahullah Ne Farmaya: “Jab Wo Jannat Mein Pehla Qadam Rakhega.”

قال: حضرت أبا عبد الله أحمد بن حنبل وجاءه رجل من أهل خراسان فقال: يا أبا عبد الله قصدتك من خراسان أسألك عن مسألة قال: له سل قال: متى يجد العبد طعم الراحة قال: عند أول قدم يضعها في الجنة
(طبقات الحنابلة لابي يعلى الحنبلي)

 

“Shohar Ka Thoda Ehsaas Karna Biwi Ke Sare Gham Halke Kar Deta Hai, Shohar Jab Biwi Ke Sath Wafadar Aur Mukhlis Ho To Wo Apne Shohar Ke Sath Thodi Kamayi Mein Bhi Khush Rehti Hai.

 

●◗► Kya Aap Ne Kabhi “Dard” Ki Tasweer Dekhi Hai Agar Nahin To Aik Lamhe Ke Liye Is Tasweer Ko Ghor Se Dekhen, Yaqeenan Mehshar Ke Din Is Ka Hisab Bhi Liya Jayega, “Tum Zameen Walon Pe Rahem Karo! Aasman Wala Tum Pe Rahem Karega.” (Sunan Abi Dawud: 4941)

✦.....✔ Shaitani Wasawis Se Hifazat Ki Dua ✔.....✦

رَّبِّ أَعُوذُ بِكَ مِنْ هَمَزَاتِ الشَّيَاطِينِ ۝ وَاَعُوْذُبِكَ رَبِّ اَنْ يَّحْضُرُوْنِ ۝

Rabbi ‘a`outhubika min hamazaatish-shayaateeni, wa ‘a`outhu bika rabbi ‘ay-yahdhuroon.

“Aye Mere Parwardigar! Main Shayateen Ke Waswason Se Aap Ki Panah Mangta Hun, (Balke) Aye Mere Parwardigar Main To Is Se Bhi Teri Panah Mangta Hun Ke Wo Mere Paas Aayen.” (Al-Quran, Surah Al-Muminun:97,98)

✦......♥ Hasan o Husain Ke Chahne Wale ♥......✦
✦......✿.....♥ ALLAH KE MAHBOOB ♥…..✿......✦

Allah's Messenger (ﷺ) said: "These are my two sons (Hasan and Husain [peace be upon them]), and the sons of my daughter. O Allah! Indeed, I love them, so love them, and love those who love them."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Hasan Aur Husain (RadiyAllahu Anhuma) Mere Bete Aur Meri Beti (Fatimah RadiyAllahu Anha) Ke Bete Hain, Aye Allah! Main In Donon Se Mohabbat Karta Hun Tu Bhi In Donon Se Mohabbat Farma Aur In Donon Se Mohabbat Karne Walon Se Bhi Mohabbat Farma."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 46 :: Hadith 3769]

Narrated Ibn `Abbas RadiyAllahu Anhu: "I never saw the Prophet (ﷺ) seeking to fast on a day more (preferable to him) than this day, the day of 'Ashura', or this month, i.e. the month of Ramadan." (Sahih Bukhari: 2006)

Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Anhuma Farmate Hain Ke "Main Ne Nahin Dekha Ke RasoolAllah ﷺ Dinon Mein Se Daswen Muharram (Yaume Ashura) Aur Mahinon Mein Se Maahe Ramadan Ke Rozon Ke Siwa Kisi Aur Din Ke Roze Ka Khaas Tor Par Ehtemam Farmate Hon." (Sahih Bukhari: 2006)

✦......► Yaume Ashura Firaun Se Najat Ka Din ◄......✦

The Prophet (ﷺ) came to Medina and saw the Jews fasting on the day of Ashura. He asked them about that. They replied, "This is a good day, the day on which Allah rescued Bani Israel from their enemy. So, Moses fasted this day." The Prophet (ﷺ) said, "We have more claim over Moses than you." So, the Prophet fasted on that day and ordered (the Muslims) to fast (on that day).

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Jab Madinah Munawwarah Tashreef Laye To Aap ﷺ Ne Yahudiyon Ko Dekha Ke Wo Ashura (10 Muharram) Ka Rozah Rakhte Hain, Aap ﷺ Ne Un se Is Ka Sabab Daryaft Farmaya To Unhon Ne Bataya: “Ye Aik Ba Barkat Din Hai, Is Din Allah Ta’ala Ne Bani Israel Ko Un Ke Dushman (Firaun) Se Najat Dilayi Thi, Is Liye Musa Alaihis Salam Ne Is Din Rozah Rakha Tha.” Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Ham Musa Alaihis Salam Ke (Is Aml Ko Ekhtiyar Karne Mein) Tum Se Zyadah Haqdar Hain, Chunanche Aap ﷺ Ne Is Din Rozah Rakha Aur Sahaba RadiyAllahu Anhum Ko Bhi Is Ka Hukum Diya.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 222, 2004]

✦..........♥ Ashurah 10 Muharram ka Rozah ♥..........✦

The Prophet (ﷺ) said: "Fast the Day of Ashura, for indeed I anticipate that Allah will forgive (the sins of) the year before it."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Mujhe Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ki Zaat Par Yaqeen Hai Ke Wo Ashura (10 Muharram ul-Haram) Ke Roze Ke Badle Guzishta Aik Saal Ke Gunah Muaaf Farmaden Ge."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 3 :: Hadith 752]

It was narrated that Hafsah said: "There are four things which the Prophet (ﷺ) never gave up: Fasting on 'Ashura', the first ten days of Dhul Hijjah, (fasting) three days of each month, and praying two Rak'ahs before dawn (Fajr)." (Sunan an-Nasa'i: 2416)

Hazrat Hafsah RadiyAllahu Anha Irshad Farmati Hain Ke RasoolAllah (ﷺ) 4 Kaam Nahin Chhodte The: Ashura (10 Muharramul Haram) Ka Rozah, Ashrah Dhul Hijjah Ke Roze, Har Mahine Teen Roze (Ayyam Beez), Fajr Ki Do Sunnaten.” (Sunan an-Nasa'i: 2416)

✦....✔ Muharram ul Haram Aur Ashurah Ke Hawale Se ✔....✦
✦...✿.....✔ Sangeen Ghalat Fehmi Ka Izalah ✔.....✿…✦

●◗► Waqiah KARBALA Islami Tareekh Ka Ahem Tareen Saneha Hai Jis Mein Nawasay Rasool, Jigar Goshay Butool, Naujawanane Jannat Ke Sardar Sayyidna Hazrat Husain RadiyAllahu Anhu Ki Mazlumana Shahadat Hui, Chunke Ye Waqia 10 Muharram ul-Haram Yaume Ashura Ke Din Wuqu Pazeer Hua Tha Is Liye Log Is Ghalat Fehmi Mein Mubtela Ho Gaye Ke Maahe Muharram ul-Haram Yaume Ashura Sirf Isi Liye Muqaddas o Ba Barkat Hai Ke Is Mein Waqia KARBALA Pesh Aaya. Haqiqat Ye Hai Ke KARBALA Ka Dil Kharash Saneha To San 61/Hijri Mein Pesh Aaya Jab Ke…!!

✔ Maahe Muharram ul-Haram Kainaat Ki Takhleeq Ke Din Se Sabeqa Shari’aton Mein Muqaddas o Ba Barkat Chala Aaraha Hai. (Al-Quran, Surah At-Tawbah:36)

✔ Ashura (10 Muharram) Ke Din Hi Hazrat Musa Alaihis Salam Aur Bani’Israel Ka Firaun Aur Us Ke Lashkar Se Muqabla Hua Tha Aur Allah Ne Firaun Ko Gharq Aur Bani Israel Ko Najat Ata Farmayi, Jis Ki Wajah Se Yaume Ashura Musa Alaihis Salam Ki Shari’at Mein Aur Yahudiyon Ke Nazdeek Bhi Muqaddas o Ba’barkat Tahra. (Sahih Bukhari:2004)

✔ Ibteda Islam Mein Jab Tak Ramadan Ke Roze Farz Nahin Hue The, Ashura Ka Rozah Rakhna Musalmanon Par Farz Qarar Diya Gaya Tha. (Sahih Bukhari, Muslim)

✔ Huzoor ﷺ Ke Ahde Mubarak Mein Bhi Ashura Muqaddas Samjha Jata Tha. (Ahadeese Sahiha)

✔ Huzoore Aqdas ﷺNe Yaume Ashura Ke Roze Ko Sunnat Aur Guzishta Saal Ke Gunahon Ki Maghfirat Ka Zariya Qarar Diya. (Sahih Muslim)

•••••► Lehaza! Muharram ul-Haram Aur Ashura Ki Fazeelat Ko Sirf Waqia KARBALA Se Jodna, Ise Sog Ka Mahina Samajhna, Is Mein Siyah (Black) Libas Pahenna Aur Shadi Biyah o Digar Khushi Ki Taqribat Se Bachna Durust Nahin, Ashura Ka Din Waqia Karbala Ki Wajah Se Muqaddas Nahin Balke Ye Syyidna Hazrat Husain (RadiyAllahu Anhu) Aur Un Ke Sathiyon Ke Liye Sharf o Fazilat Ka Moqam Hai Ke Allah Ne Un Pakizah Nufoos Ko Aise Din Shahadat Ka Martaba Ata Farmaya Jo Roze Awwal Se Muqaddas o Mohtaram Chala Aaraha Hai.

✦.....♥ 9 aur 10 Muharramul Haram Ka Rozah ♥.....✦

Jab RasoolAllah ﷺ ne Yaume Ashura ka Rozah Rakha Aur Musalmanon Ko Bhi Is Ka Hukum Diya To Sahaba Ne Arz Kiya Ke Ya RasoolAllah! Yahood o Nasara Bhi Is Din Ki Bahot Tazeem Karte Hain, Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: Jab Agla Saal Aayega To Ham (Yahood o Nasara Ki Mushabihat Se Bachne Ke Liye) In'sha'Allah Nawe (9) Tareekh Ka Rozah Bhi Rakhenge, Hazrat Ibn Abbas Farmate Hain Ke Agla Saal Aane Se Pehle Hi RasoolAllah ﷺ Dunya Se Tashreef Le Gaye. [Sahih Muslim: 1134]

●◗► Note: Yaume Ashura Ke Roze Ke Sath 9 Ya 11 Tareekh Ka Rozah Rakhna Afzal Aur Behtar Hai, Lekin Agr Kisi Ne Sirf Ashura Ka Rozah Rakha To Bhi Harj Ki Baat Nahin, Neez Hadise Baala Se Ye Bhi Pata Chala Ke Musalmano Ko Har Moqe Par Yahood o Nasara Ki Mushabihat Se Bachna Chahiye.

●════════════════◄►═══════════════●

Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu reported that when the Messenger of Allah (ﷺ) fasted on the day of 'Ashura and commanded that it should he observed as a fast, they (his Companions) said to him: Messenger of Allah, it is a day which the Jews and Christians hold in high esteem. Thereupon the Messenger of Allah (ﷺ) said: When the next year comes, God willing, we would observe fast on the 9th But the Messenger of Allah (ﷺ) died before the advent of the next year."

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2528, 1134]

✦.....♥ Sahaba Karam RadiyAllahu Anhum Ke Auasaf! ♥.....✦

❶ Nazren: Nichi
❷ Khayalat: Unche
❸ Fikr: Wasee
❹ Dil: Narm
❺ Tabiyat: Faqeerana
❻ Zahen: Aalimana
❼ Chehra: Muskurana
❽ Zuban: Dilerana
❾ Akhlaq: Paighambari
❿ Muamlat: Diyanat Darana
⓫ Qadam: Nafs Par
⓬ Anjam: Arsh Par
⓭ Jawani: Jangi
⓮ Budhapa: Zahedana
⓯ Mohabbat: Talwar Se
⓰ Khof: Qahhar Se
⓱ Shoq: Shahadat ka
⓲ Aarzu: Jannat ki

1 comment:

  1. Hello my dear,

    I see your blog every day ... your blog is Very useful for me and I love so much ...
    https://faizanquranacademy.com/
    Learn Quran online

    ReplyDelete