Pages

Wednesday, 7 October 2020

Is Se Koi Farq Nahin Padhta Hai Ke Aap Ka Chehrah Kitna Hi Khoobsurat Hai, Aakhir Kaar Aap Kidon Ki Ghiza Banoge, To Apna Takabbur Chhod Do Aur Apni Qabr Ko Yaad Karo.

"Ham Sab Ko Maut Ka Samna Karna Padega, Ye Aisi Cheez Hai Jis Se Ham Bhaag Nahin Sakte, Khud Ko Mamuli Jane."

 

✦.........► Marne Walon Ko Muaaf Karden! ◄.........✦

Agar Aap Ka Koi Qareebi Rishtedar, Dost, Padosi Ya Koi Bhi Janne Wala Dunya Se Chala Jaye To Use Sacche Dil Se Muaaf Karden Chahe Us Ne Aap Ki Kitni Hi Dil Aazari Aur Haq Talfi Kyun Na Ki Ho…

Maut Se Badh Kar Ab Kya Ho Sakta Hai!!! Wo Hamesha Ke Liye Dunya Se Chala Gaya Aur Ab Laot Kar Kabhi Nahin Aayega, Lekin Ho Sakta Hai Aap Ka Muafi Nama Use Qabr o Hashr Ki Saza Se Bachale Aur Is Ehsan Ke Badle Allah Ta’ala Aap Ki Bhi Bakhshish Farmaden!

Kisi Se Nafrat Karne Se Pehle Ruke Aur Sochen Ke Allah Aap Ko Kitni Baar Muaaf Karta Hai.

"Kabhi Kabhi Mushkil Hota Hai Logon Par Ghussa Na Hona Lekin Ye Aap Ke Liye Aazamyesh Hai Aur Aap Ke Liye Sabr o Tahammul Mein Izafa Karne Ka Aik Moqa Hai, Un Ko Muaaf Karo Aur Aage Badho."

 

"Yahan To Masle Hal Ho Hi Jate Hain, Wahan Kya Karen Ge Agar Hamara Aa’mal Nama Hamare Bayen Hath Mein De Diya Gaya To?." A S T A G H F I R U L L A H
 
✦......♥ Dua Qubool Karwane Ka Aasan Tareen Tariqa! ♥......✦

Hazrat Umm Sulaim RadiyAllahu Anha Nabi Akram ﷺ Ki Khidmate Aqdas Mein Hazir Huyen Aur Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Mujhe Aise Kalimat Sikhladen Jin Ke Zariye Main Allah Se Dua Manga Karun.

Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: “10 Martaba SubhanAllah Aur 10 Martaba Alhamdulillah Aur 10 Martaba AllahuAkbar Padho Aur Phir Allah Se Apni Zarurat Ka Sawal Karo, To Allah Ta’ala Jawab Mein Irshad Farmate Hain: Main Ne Tumhara Kaam Kardiya, Main Ne Tumhara Kaam Kardiya.” (Musnad Ahmad: 12207)

عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ قَالَ: جَاءَتْ أُمُّ سُلَيْمٍ إِلَى النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَقَالَتْ: يَا رَسُولَ اللَّهِ، عَلِّمْنِي كَلِمَاتٍ أَدْعُو بِهِنَّ قَالَ: " تُسَبِّحِينَ اللَّهَ عَشْرًا، وَتَحْمَدِينَهُ عَشْرًا، وَتُكَبِّرِينَهُ عَشْرًا، ثُمَّ سَلِي حَاجَتَكِ، فَإِنَّهُ يَقُولُ: قَدْ فَعَلْتُ، قَدْ فَعَلْتُ " (مسندأحمد:12207مُسْنَدُ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ رَضِيَ اللَّهُ تَعَالَى عَنْهُ)
قال أبو عَبْدِ الْرَّحمنِ يُوسُف بْنِ جُودَةَ الدَّاودى فی تالیفہ: الجامع الصحيح فِيمَا كَانَ عَلى شَرطِ الشَيْخَيْنِ أو أحَدِهِمَا وَلم يُخَرِّجَاهُ: الحديث على شرط مسلم ولم يخرجه مسلم رحمه الله،

 

Quran Paak Aik Aisa Tohfa Hai Jise Bahot Se Log Kholna Bhool Jate Hain.

"Yahan Tak Ke Agar Din Mein Aik Ayat Hi Kyun Na Ho Allah Ke Paigham Ko Padhne Mein Kotahi Na Kare, Aaj Se Shuru Karden."

 

●◗► Zara Tasawwur Karen Ke Agar Roze Mehshar Is Tarah Log Aap Se Apna Haq Lene Khade Hon!!! In Mein Kisi Se Aap Ne Jhoot Bola Ho…Kisi Ki Chughli Khayi Ho…Kisi Ki Ghibat Ki Ho…Kisi Par Bohtan Lagaya Ho…Kisi Ka Mazaq Udaya Ho…Kisi Par Zulm Kiya Ho…Kisi Ka Maal Na Haq Khaya Ho…Kisi Ko Dhoka Diya Ho Wagherah…

Khuda Na Khaasta Ye Bhi Mumkin Hai Ke In Mein Se Koi Aik Hi Apne Haq Ke Badle Aap Ki Tamam Nekiyan Le Jaye Aur Baqi Log Apne Haq Ki Talafi Ke Liye Apne Apne Gunah Aap Ke Khate Mein Dalte Jayen!!!

Lehaza Huqooq ul-Ibad Ki Adayegi Ka Ehtemam Karen Aur Marne Se Pehle Har Haqdar Ko Us Ka Haq Ada Karen Aur Agar Haq Ki Adayegi Mumkin Na Ho To Sahibe Haq Se Ilteja Kar Ke Haq Muaaf Karwane Ki Koshish Karen Taa Ke Qayamat Ke Din Is Tarah Ki Ruswayi Aur Khasarah Uthana Na Pade.

Jab Dunya Aap Ko Apne Ghutnon Par Dhakel Deti Hai To Aap Ke Liye Behtareen Muqam Namaz Hai.

"Na Ummid Ho Rahe Ho? Allah Ka Zikr Karo, Pareshan Ho Rahe Ho Ya Ghamgeen Ho? Allah Ka Zikr Karo, Jab Ham Allah Ko Yaad Karenge Tab Hi Hamen Aaram Milega, Kyun Ke Allah Ke Zikr Se Hi Dilon Ko Itminan Milta Hai." (Qur'an 13:28)

 

Beshtar Masnoi Ghizayen Bacchon Ki Sahet Ko Shadeed Mutassir Kar Rahi Hain....Bacchon Ko Qudrati Ghizaon Ka Aadi Banayen!

 

Doctor’s Ki Ghaflat Se Kuch Dair Pehle Ke Manazir!

 

Prophet Muhammad (ﷺ) said: "The best things that a man can leave behind are three: A righteous son who will pray for him, ongoing charity whose reward will reach him, and knowledge which is acted upon after his death." (Sunan Ibn Majah:241)

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: "Aadmi Apne Piche (Dunya Mein) Jo Chhod Jaye Us Mein Behtareen Cheezen Teen Hain, Naik Aulad Jo Us Ke Liye Duaye Khair Karti Rahe, Sadaqah Jariya Jis Ka Ajr Us Ko Milta Rahe, Ilm Jis Par Us Ke Baad Aml Hota Rahe." (Sunan Ibn Majah:241)

 

Jab Dil Andha Ho, Rooh Kabhi Bhi Mutmain Nahin Ho Sakti.

"Andhe Dil Ki Alamaten Ye Hain Ke Andha Dil Aap Ko Allah Se Ghaflat Ka Ba’is Banta Hai, Ilm Ka Koi Faidah Nahin Hota, Islah Par Tawajje Nahin Di Jati Hai, Allah Ke Zikr Se Apne Dil Ko Narm Karte Hue Is Halat Se Bache."

 

✦......► Naam Aur Shuhrat Par Fakhr na Karen! ◄......✦

Jab Insan Marta Hai To Sab Se Pehle Us Ka Naam Us Se Alag Ho Jata Hai, Log Us Ke Dunyawi Jism Ko Us Ke Naam Se Pukarne Ke Bajaye Jasde Khaki, Mayyat Ya Dead Body Keh Kar Pukarte Hain, Jab Use Kandhe Par Uthate Hain To Naam Lene Ke Bajaye Kehte Hain: “Mayyat” Ko Kandha Dene Aajao, Isi Tarah Jab Dafan Ka Waqt Hota Hai To Naam Lene Ki Bajaye Kehte Hain: “Mayyat” Ko Aaram Se Qabr Mein Utaro.

●◗► Lehaza Namuri, Shuhrat, Qaum o Qabilah Aur Mansab Par Hargiz Fakhr o Ghuroor Na Karen, Ye Cheezen Bahot Jald Aap Ka Sath Chhod Jayengi.

 

"Kisi Ko Naraz Kar Ke Aur Kisi Se Naraz Ho Kar Nahin Sote Kya Pata Subah Ham Jaag Hi Na Saken Ya Subah Wo Ham Ko Mil Hi Na Sake."

 

✦........► Maahe SAFAR Hargiz Manhoos Nahin! ◄........✦

Maahe Safar Islami Qamri Calendar Ka Dusra Mahina Hai, Is Mahine Mein Shari’at Mutahhara Ne Na To Koi Khaas Ibadat Muqarrar Ki Hai Aur Na Hi Is Mahine Ke Bare Mein Koi Khaas Toham Parasti Ki Taleem Di Hai, Magar Bad’qismati Se Kuch Logon Ka Khayal Hai Ke (Na’uzubillah) Ye Mahina Badbakht Aur Manhoos Hai, Isi Wajah Se Is Mahine Mein Shadi Biyah o Digar Khushi Ki Taqribaat Ke In’eqad Se Ijtenab Kiya Jata Hai.

Ye Khayal Bilkul Be Bunyad Hai Aur Ye Darasal Usi Toham Parasti Ka Tasalsul Hai Jo Islam Se Qabl Arab Mein Aam Thi, RasoolAllah ﷺ Ne Toham Parasti Par Mabni Aise Tamam Aqayed Ko Yaksar Khatam Farma Diya, Bilkhusus Maahe Safar Ke Bare Mein To Allah Ke Rasool ﷺ Ne Wazeh Tor Par Irshad Farma Diya: La Safar Yani "Safar Ke Mahine Ko Manhoos Samajhne Ki Koi Haqiqat Nahin." (Sahih Bukhari :5757)

Is Wazeh Irshade Nabwi Ke Bawajood Bhi Aaj Kal Logon Ki Aik Badi Ta’dad Is Mahine Ko Manhoos Samajhti Hai Balke Is Mahine Ke Hawale Se Ajeeb o Ghareeb Chizen Hamare Mua’shre Mein Mashhoor Hain. Maslan:

❶ Is Ke Ibtedayi 13 Din Manhoos Aur "Tera Tezi" Kehlate Hain.
❷ Is Mahine Ki Nahusat Se Bachne Ke Liye Zyadah Se Zyadah Murawwaja Quran Khuani Ka Ehtemam Kiya Jata Hai.
❸ Sirf Isi Mahine Mein Jinnat Se Hifazat Ke Aamal Kiye Jate Hain.
❹ Is Mahine Ki Nahusat Se Bachne Ke Liye Ghar Se Door Daraz Nikalne Aur Safar Karne Se Ijtenab Barta Jata Hai.
❺ Is Mahine Ko Aurton Ke Bajaye Mardon Par Zyada Bhari Tasawwur Kiya Jata Hai.
❻ Is Mahine Ki Aakhri Budh Ko Khushi Manayi Jati Hai Aur Mithayi Taqseem Ki Jati Hai. Wagherah.

●◗► Islam Mein Bad’shuguni Aur Nahusat Ka Koi Tasawwur Nahin, Islam Mein Agar Koi Nahusat o Bad’shuguni Ki Cheez Hai To Wo Insan Ki Apni Bad’Aamaliyan, Fusq o Fujoor, Naach Gana, Fahashi o Uryani Aur Allah Ki Khullam Khulla Nafarmaniyan Hain Jo Ghar Ghar Mein Ho Rahi Hain, Agar Ham Waqeyi Nahusat Se Bachna Chahte Hain To Lanat o Phatkar Aur Qaher Khudawandi Ko Dawat Dene Wale Kamo Se Bachen.

"Allah Ta'ala Khush Hai Aap Ko Bana Ke, Aap Ko Bus Ye Khayal Rakhna Hai Ke Jab Allah Ta'ala Se Dobara Milen To Wo Khush Hi Ho Aap Se."

 

●◗► “Aik Luqma Pait Tak Pohonchne Ka Qudrat Ne Kitna Intezam Kiya Hai Ke Garam Ho To Hath Bata Dete Hain, Sakht Ho To Daant Bata Dete Hain, Kadwa Ho To Zuban Bata Deti Hai, Baasi Ho To Naak Bata Deti Hai, Bus Halaal Hai Ya Haraam Ye Faisla Hamen Karna Hai.”

 

“Coronavirus” Se Hasil Shudah Asbaq!

 

The Prophet (ﷺ) said: "The best of you are those who, when they are seen, inspire others to remember Allah Almighty." (Sunan Ibn Majah: 4119)

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: "Tum Mein Behtareen Log Wo Hain Ke Jab Koi Unko Dekhe To Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ki Yaad Aaye." (Sunan Ibn Majah: 4119)

 

"Jis Tarah Istri Karne Se Kapdon Mein Jaan Aati Hai Bilkul Isi Tarah Sab Ke Samne Izzat Dene Se Biwi Mein Bhi Jaan Aati Hai."

 

✦....► Safar Ka Mubarak Mahina Aur Toham Parasti ◄....✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) said, "There is no 'Adha, nor Tiyara, nor Hama, nor Safar."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 71 :: Hadith 653, 5757]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RAdiyAllahu Anhu se Riwayat Hai Ke RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “…..Safar Ke Maheene Ko Manhoos Samajhna Toham Parasti Hai Jis Ki Koi Haqeeqat Nahin.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 5757]

●◗► Toham Parasti – Wahem, Waswasa, Shak, Guman, Koi Ghair Aqli Aitiqad.

●◗► Ghurbat Ki Tareef Karna Bahot Aasan Hai Magar Guzarah Karna Bahot Mushkil Hota Hai…Ise Wahi Bandah Samajh Sakta Hai Jo Is Kaifiyat Se Guzar Chuka Ho.

 

✦.........♥ Mera Hath Aap Ke Hath Mein! ♥.........✦

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Kya Main Tumhen Tumhari Jannati Aurton Ke Bare Mein Na Bataun? “Wo Aurat Jo Khawind Se Bahot Mohabbat Karne Wali Ho, Aulad (Jaisi Nemat) Paida Karne Wali Ho Aur Khawind Ko Bahot Zyadah Nafa Pohnchane Wali Ho, Jab (Khawind Ki Janib Se) Kisi Qism Ki Ranjish Wali Baat Pesh Aajaye To (Ana Ka Masla Banane Ke Bajaye) Apna Hath Khawind Ke Hath Mein Dekar Us Se Kehti Ho: “Main Us Waqt Tak Palak Nahin Jhapkaoungi Jab Tak Aap Narazgi Khatam Na Karden.” (Jami` al-Saghir al-Suyuti: 2867)

قال رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم :
ألا أخبركم بنسائكم من أهل الجنة ؟ الودود الولود العوود التي إذا ظلمت قالت : هذه يدي في يدك لا أذوق غمضا حتى ترضى
( الجامع الصغيرللسيوطي:2867،حدیث حسن)

 

"The Best charity is to provide water." (Ibn Majah: 3684)

"Sab Se Afzal Sadaqah Pani Pilana Hai." (Ibn Majah: 3684)

 


✦.......► Ghair Muslim Zarurat Mandon Pe Kharch! ◄........✦

Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke RasoolAllah ﷺ Sirf Musalmanon Pe Kharch Karne Ka Hukum Diya Karte The, Hatta Ke Ye Aayat Nazil Hui:

“(Aye Paighambar!) Logon Ko Hidayat Dene Ki Zimmedari Aap Par Nahin Hai, Hidayat To Allah Jise Chahta Hai Deta Hai Aur Jo Maal Tum (Rahe Khuda) Mein Kharch Karte Ho Wo Tumhare Apne Faide Ke Liye Hai, Aakhir Tum Isi Liye To Kharch Karte Ho Ke Allah Ki Raza Hasil Ho To Jo Kuch Maal Tum Kharch Karoge, Us Ka Pura Pura Ajr Tumhen Diya Jayega Aur Tumhari Haq Talfi Hargiz Na Hogi.”

Chunanche Is Ke Baad Nabi Akram ﷺ Ne Har Us Shaks Par Sadaqa Karne Ka Hukum Diya Jo Tum Se Mange, Chahe Wo Kisi Bhi Mazhab Se Talluq Rakhta Ho. (Tafseer ibn Kaseer: Surah Al-Baqarah: 272)

عن ابن عباس، عن النبي صلى الله عليه وسلم: أنه كان يأمر بألا يتصَدق إلا على أهل الإسلام، حتى نزلت هذه الآية: { لَيْسَ عَلَيْكَ هُدَاهُمْ } إلى آخرها، فأمر بالصدقة بعدها على كل من سألك من كل دين(تفسيرابن كثير: تجت سورة البقرة:272)

 

The Messenger of Allah (ﷺ) observed: “He who has in his heart the weight of a mustard seed of pride shall not enter Paradise.” (Sahih Muslim:91)

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Wo Shaks Jannat Mein Na Jayega Jis Ke Dil Mein Rayi Ke Dane Ke Barabar Ghuroor Ho.” (Sahih Muslim:91)

 

✦......► Nazre Bad Jaan Lewa Bhi Ho Sakti Hai! ◄......✦

RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Meri Ummat Mein Sab Se Zyadah Log Allah Ta’ala Ke Faisle Aur Taqdeer Ke Baad Nazre Bad Lagne Ki Waja Se Marenge.” [Jami` al-Saghir al-Suyuti: 1385]

● Nazre Bad Ke Asrat Barhaq Hain, Lehaza Jab Koi Umdah Cheez, Kisi Ki Khubi Ya Kamal Dekhen To Foran 'MashaAllah La quwwata illa billah' Padhen.

● Isi Tarah Nazre Bad Se Hifazat Ke Liye Subah o Sham Ki Masnoon Duaon Ka Ehtemam Karen Bil khusus Is Dua Ka Ehtemam Farmayen: A'oodhu bikalimatIllahi-tammati min kulli shaytaanin wa hammatin wamin kulli 'aynin lammatin. (Tarjuma: Main Allah Ke Mukammal Kalimat Ke Sath Panah Mangta Hun Har Shaitan, Mauzi Janwar Aur Nazare Bad Se).

● Nazre Bad Ke Ilaj Ke Liye Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas Ke Sath Surah Al-Qalam Ki Aakhri Do Aayat
51 وَإِن يَكَادُ الَّذِينَ كَفَرُوا لَيُزْلِقُونَكَ بِأَبْصَارِهِمْ لَمَّا سَمِعُوا الذِّكْرَ وَيَقُولُونَ إِنَّهُ لَمَجْنُونٌ
52 وَمَا هُوَ إِلَّا ذِكْرٌ لِّلْعَالَمِينَ
Padh Kar Dum Karna Nihayat Mujrrab Hai.

 

Prophet (ﷺ) said: “He Is successful who has accepted Islam, who has been provided with sufficient for his want and been made contented by Allah with what He has given him.” (Sahih Muslim: 1054)

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: "Wo Shaks Kamyab Ho Gaya Jo Islam Laya Aur Use Baqadre Kifayat Rizq Diya Gaya Aur Phir Diye Hue Rizq Par Qina’at Karne Ki Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ne Use Toufeeq Di." (Sahih Muslim: 1054)

●◗► Qana’at – Thodi Cheez Par Khush Rehna, Jo Mil Jaye Us Par Razi Rehna.
●◗► Baqadre Kifayat- Zarurat Bhar Rozi Milgayi.

✦......► Maa Aur Bete Ke Darmiyan Judayi Na Dalen! ◄.......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) say: "Whoever separates between a mother and her child, then Allah will separate between him and his beloved on the Day of Judgement."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Ne Maa Aur Bete Ke Darmiyan Judayi Dali, Allah Ta’ala Qayamat ke Din Us Ke Aur Us Ke Chahne Walon Ke Darmiyan Judayi Daal Dega.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 3 :: Book 19 :: Hadith 1566, 1566]

✦.......► Qabr Ki Pehli Raat Ke Ahwal! ◄.......✦

●◗► Is Raat Ka Aankhon Dekha Haal Aaj Tak Na Koi Bayan Kar Saka Aur Na Ham Aur Aap Dunya Walon Se Bayan Kar Saken Ge!!!

Ya Arhamar Rahimeen! Qabr Ki Manzil Aasan Farma Aur Qabr Ki Sakhti Se Hamari Hifazat Farma! (Aameen)

 

No comments:

Post a Comment