Pages

Saturday, 28 November 2020

✦........► Jannat Ka Rasta Bhoolne Wale! ◄........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: ‘Whoever forgets to send peace and blessings upon me, then he has missed the road to Paradise.’”

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Mujh Par Durood Shareef Padhna Bhool Gaya, Us Ne Jannat Ka Rasta Bhula Diya.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 5 :: Hadith 908]

 

“Zyadah Mohabbat Aur Parwah Karne Walon Ke Hath Mein Kuch Nahin Aata, Na Rishton Ki Mithaas, Na Un Ka Ehsas, Na Hi Un Ki Qadar Ki Jati Hai! Bus Aik Zehni Faraib Sa Rehta Hai Ke Wo Bhi Hamare Sath Waise Hi Hain, Jaise Ke Ham Lekin Haqiqat Badi Hi Dilkharash Hoti Hai!!

 

✦.......♥ Deene Islam Par Sabit Qadmi Ki Dua! ♥........✦

'Anas RadiyAllahu Anhu narrated: "The Messenger of Allah (ﷺ) would often say: Ya Muqallibal-qulub, thabbit qalbi 'ala dinik ('O Changer of the Hearts! Strengthen my heart upon Your Religion.)'

So I said: 'O Prophet of Allah! We believe in you and what you have come with, but do you fear for us?' He ﷺ said: 'Yes. Indeed the hearts are between two Fingers of Allah's Fingers, He changes them as He wills.'"

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke RasoolAllah ﷺ Bakasrat Ye Dua Manga Karte The: (Ya Muqallibal-qulub, thabbit qalbi 'ala dinik) “Aye Dilon Ko Pherne Wale! Mere Dil Ko Apne Deen Par Qayem Rakh.”

(Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate hain) Main Ne Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Ham Aap Par Aur Aap Ki Layi Hui Hidayat Par Iman Le Aaye, Kya Ab Bhi Aap Ko Hamare Bhatakne Ka Andesha Hai? Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Dil, Rahman Ki Do Ungliyon Ke Darmiyan Hai, Woh Jaise Chahta Hai Use Pherta Rahta Hai.”

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 6 :: Hadith 2140]

"‏ يَا مُقَلِّبَ الْقُلُوبِ ثَبِّتْ قَلْبِي عَلَى دِينِكَ ‏"

 

► Corona Virus Aur Digar Mauzi Amraz Se Hifazat Ki Jame Dua ◄

اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَدَنِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي سَمْعِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَصَرِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ
Allahumma 'afini fi badani, Allahumma 'afini fi sam'i, Allahumma 'afini fi basari, La ilaha illa Anta

"O Allah! Grant me health in my body. O Allah! Grant me good hearing. O Allah! Grant me good eyesight. There is no god but Thou." You repeat them three times in the morning and three times in the evening.

Subah o Sham Teen Teen Martaba Ye Padhye! “Aye Allah! Mere Jism Mein Sahet o Aafiyat Ata Farmayye, Aye Allah! Meri Quwwate Sama’at (Sunne Ki Quwwat) Mein Aafiyat o Salamati Ata Farmayye, Aye Allah! Meri Quwwate Binayi Mein Sahet o Aafiyat Ata Farmayye Aap Ke Siwa Koi Mabood Nahin.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 5071, 5090]

 

✦...........♥ Shadi Nisf Iman Hai! ♥...........✦

Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Koi Shadi Karta Hai To Aadha Iman Mukammal Kar Leta Hai, Use Chahiye Ke Baqi Aadhe Mein Allah Ta’ala Se Darta Rahe.” (Al-Mu’jamul Awsat Al-Tabarani:7647)

 

“Doosron Se Badguman Hone Mein Jaldi Mat Kiya Karen Kuch Cheezen Waisi Nahin Hoti Jaisi Dikhayi Deti Hain Har Kahani Ke Piche Aik Kahani Hoti Hai Jo Aap Ko Maloom Nahin Hoti..!!

 

✦....► Safar Aur Driving Ke Doran Mosiqi Sunna ◄....✦

Hazrat Uqbah Bin Amir RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Nabi Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Safar Ki Halat Mein Allah Ki Yaad Aur Zikr Mein Laga Rahta Hai To Farishta Us Ka Hamsafar Ho Jata Hai Aur Agar Sher o Shayari (Gane o Moseeqi) Mein Mashghool Rahta Hai To Shaitan Us Ka Rafeeqe Safar Ban Jata Hai.”

[Al-Mu'jam Al-Kabeer Al-Tabarani : 895]

عن عقبة بن عامريقول قال النبي صلى الله عليه وسلم مَا مِنْ رَاكِبٍ يَخْلُو فِي مَسِيرِهِ بِالله وَذِكْرِهِ إِلاَّ كَانَ رِدْفَهُ مَلَكٌ وَلاَ يَخْلُو بِشِعْرٍ وَنَحْوِهِ إِلاَّ كانَ رِدْفَهُ شَيْطَانٌ
(المعجم الکبیر للطبرانی: 895حدیث حسن)

 

Pucha Gaya: Jannat Ke Bare Mein Kuch Aisa Batayein Ke Wahan Jane Ka Shoq Paida Ho Jaye!! Farmaya: Wahan Hazrat Muhammad ﷺ Honge!!!

 

✦....► Qabr Mein Dekho Subah o Sham Aakhirat Ka Anjam ◄....✦

Allah's Messenger (ﷺ) said, "When anyone of you dies, he is shown his place both in the morning and in the evening. If he is one of the people of Paradise; he is shown his place in it, and if he is from the people of the Hell-Fire; he is shown his place there-in. Then it is said to him, 'This is your place till Allah resurrect you on the Day of Resurrection."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Tum Mein Se Jab Koi Marta Hai To (Qabr Mein) Use Subah o Sham Us Ka Thikana Dikhaya Jata Hai, Agar Woh Jannati Hai To Jannatiyon Wale Mahallat Aur Agar Jahannami Hai To Jahannamiyon Wala Thikana Use Dikhaya Jata Hai, Aur Phir Use Bataya Jata Hai Ye Hai Teri Rahaish Gaah Hai Jahan Allah Ta’ala Qayamat Ke Din Tujhe Bhejega.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 23 :: Hadith 461, 1379]

 

Islam Aik Aisa Khoobsurat Mazhab Hai Jis Mein Muskurane Par Bhi Sawab Milta Hai!!!

“Jo Log Kehte Neki Ka Zamana Nahin Raha Woh Darasal Insanon Se Neki Ka Silah Chahte Hain Jo “Allah” Ki Raza Ke Liye Neki Karte Hain Un Ke Liye Har Zamana Neki Ka Hota Hai.”

 

✦............► Maut Ki Tamanna ◄.............✦

Allah's Messenger (ﷺ) said: "None amongst you should make a request for death, and do not call for it before it comes, for when any one of you dies, he ceases (to do good) deeds and the life of a believer is not prolonged but for goodness."

Nabi Akram (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Tum Mein Se Koi Maut Ki Aarzu Na Kare Aur Na Maut Aane Se Pehle Maut Ki Dua Kare! Kyun Ke Jo Koi Tum Mein Se Mar Jata Hai Us Ka Aml Khatam Ho Jata Hai Aur Momin Ki Umr Zyadah Hone Se Bhalayi Zyadah Hoti Hai (Kyun Ke Umr Zyadah Hone Ki Wajah Se Nekiyan Bhi Zyadah Ho Jati Hain).”

[Sahih Muslim :: Book 35 :: Hadith 6485, 2682]

✦.......♥ Har Baccha Musalman Paida Hota Hai! ♥........✦

The Prophet (ﷺ) said, "Every child is born with a true faith of Islam (i.e. to worship none but Allah Alone) and his parents convert him to Judaism or Christianity or Magianism,.(Sahih al-Bukhari: 1385)

Nabi Akram ﷺ Ka Farman Hai: “Har Baccha Deene Fitrat (Yani Deene Islam) Par Paida Hota Hai, Ye Alag Baat Hai Ke Phir Us Ke Waldain Use Yahudi Bana Dete Hain Ya Isayi Bana Dete Hain Ya Majusi Bana Dete Hain.” (Sahih al-Bukhari: 1385)

●◗► Islam, Deene Fitrat Hai Aur Insani Fitrat Mein Bunyadi Taur Par Khair Ka Ghalba Rakha Gaya Hai, Isi Liye Har Baccha, Sacchayi, Insaf, Diyanat Daari, Sharm o Haya Aur Touheed o Risalat Apni Fitrat Mein Liye Paida Hota Hai, Lekin Basa Auqat Us Ke Waldain Aur Kharji Mahol Use Touheed o Risalat Aur Islam Ke Noor Se Door Kar Dete Hain, Yahi Wajah Hai Kuffar o Mushrikeen Apni Pur Aasayish Zindagiyon Mein Bhi Be Chain o Be Qaraar Rehte Hain Aur Jaise Hi Unhen Koi Islam Ki Shama Dikhata Hai, Fauran Diwana Waar Chale Aate Hain.

 

●◗► “Zindagi Mein Apne Dil Ki Bahot Si Baten Dil Mein Hi Reh Jati Hain Ham Kisi Se Nahin Kar Pate Kyun Ke Hamen Hamare Meyar Ka Sunne Wala Nahin Milta Har Rishta Har Shaks Ham Se Wahi Sunna Chahta Hai Jo Use Accha Lagta Hai Agar Koi Shaks Hamen Samajh Sakta Hai To Wo Ham Khud Hain Isi Liye Apna Khayal Khud Rakhen.”

 

✦.....► Sadma Pahonchne Ke Fauran Baad Sabr! ◄.....✦

The Prophet (ﷺ) said: "The real patience is at the first stroke of a calamity."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Sabr To Wahi Hai Jo Sadma Ke Shuru Mein Kiya Jaye.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 23 :: Hadith 389, 1302]

●◗► Kisi Na Gahaani Aafat Ya Afsos Naak Waqiye Ke Fauran Baad Ya Kisi Ki Maut Wagherah Ki Khabar Sunte Hi Shor Sharaba, Sina Kobi Aur Noha Khuani Se Bachte Hue Allah Ke Faisle Par Razi Raha Jaye, Sawab Ki Ummid Rakhi Jaye Aur Sabr Kiya Jaye, Yahi Asal Sabr Hai, Warna Kuch Waqt Guzarne Ke Baad To Ranj o Gham Ke Asraat Khud Ba Khud Zayel Ho Jate Hain Aur Tabyi Taur Par Sabr Aahi Jata Hai.

 

✦...........♥ Azdwaji Zindagi Ko Bhi ♥...........✦
✦...♥ “Like” Aur “Comment” Ki Zarurat! ♥...✦

Azdwaji Zindagi Mein Aik Dusre Ko Waqt Dena Bahot Ahem Hai, Aaj Kal Ki Masroof Tareen Zindagi Mein Ghar Walon Ke Liye Waqt Nikalna Pehle Hi Mushkil Tha Ke Ab Rahi Sahi Kasar Social Media Ne Puri Kardi.

●◗► Lehaza Ghar Pahonch Kar Social Media Ka Istemal Bilkul Khatam Ya Mahdood Karden Aur Jis Tarah Facebook Ko Ghaur Se Dekha Jata Hai Isi Tarah Miyan Biwi Aik Dusre Ko Dekh Kar Like Ka Button Dabayen Aur Muh Se Tareefi Comment Kar Den… Phir Dekhen Zindagi Kitni Khushgawar Hoti Hai Aur Allah Ki Rehmat Kaise Barasti Hai.

 

●◗► Agar Kisi Insan Ki Haqiqat Janna Chahte Hain To Ye Dekhen Ke Us Ka Muamla Apne Se Niche Darje Ke Logon Ke Sath Kaisa Ha....Ye Mat Dekhen Ke Us Ka Apne Se Bade Darje Walon Ke Sath Muamla Kaisa Hai!

 

"Delete Jitna Tezi Se Hota Hai, Utni Tezi Se Download Nahin Hota, Kyun Ke Waqt Banane Mein Lagta Hai, Bigaadne Mein Nahin! Phir Chahe Woh Application Ho Ya Rishte."

✦.....♥ Mareez Ki Yaqini Sahet Yabi Ki Dua! ♥.....✦

The Prophet (ﷺ) said: If anyone visits a sick whose time (of death) has not come, and says with him seven times:
أَسْأَلُ اللَّهَ الْعَظِيمَ رَبَّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ أَنْ يَشْفِيَكَ
As'alullahal-'Azima Rabbal-'Arshil-'Azimi, an yashfiyaka

I ask Allah, the Mighty, the Lord of the mighty Throne, to cure you, Allah will cure him from that disease. (Sunan Abi Dawud: 3106)

●═══════════◄►═══════════●

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jab Koi Shaks Kisi Aise Mareez Ki Iyadat kare Jis Ki Maut Ka Waqt Abhi Qareeb Na Aaya Ho Aur Us Ke Paas Jakar 7 Martaba Ye Dua Padhe:

أَسْأَلُ اللَّهَ الْعَظِيمَ رَبَّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ أَنْ يَشْفِيَكَ
As'alullahal-'Azima Rabbal-'Arshil-'Azimi, an yashfiyaka

Tarjumah: “Main Azmat Wale Allah Se Jo Arsh Azeem Ka Malik Hai, Sawal Karta Hun Ke Wo Tumhen Shifa De.” To Allah Ta’ala Mareez Ko Us Marz Se Shifa Ata Farma Dega. (Sunan Abi Dawud: 3106)

 

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Seek out the hour that is hoped for on Friday after Asr until the sun has set."

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: "Jumah Ke Din (Dua Qubool Hone) Ki Ummid Wali Ghadi Ko Asr Ke Baad Se Suraj Ghuroob Hone Tak Talash Kiya Karo."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 4 :: Hadith 489, 489]

 

Depression Se Bachao Ka Mujarrab Wazifa! Durood Shareef Dar Haqeeqat (Anti-depression) Medicine Hai… Jaise Jaise Depression Badhta Jaye, Dawa Ki Miqdar Bhi Badhaden.

 

الحمدللہ ثم الحمدللہ ۔۔۔۔ اللھم لک الحمد ولک الشکر !

Hazrat Sheikh Ul Islam Mufti Muhammad Taqi Usmani Sahab Hafizahullah Aaj Baroz Jumerat 12 November Ko Taweel Bimari Se Sahet Yaab Ho Kar Darse Hadees Ke Liye Darul Hadees Tashreef Laye.

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Hazrat Ka Sayae Shafqat, Sahet o Aafiyat Ke Sath Hamesha Qayim o Dayim Rakhe. Aameen

 

✦ 1 Martaba Durood Shareef Par 30 Azeem Al-Shan Inaamat! ✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Whoever sends salah upon me once, Allah (SWT) will send salah upon him tenfold, and will erase ten sins from him, and will raise him ten degrees in status."

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ )Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Mujh Par 1 Martaba Durood Padhta Hai Allah Ta’ala Us Par 10 Rehmaten Nazil Farmate Hain Us Ke 10 Gunah Mita Dete Hain Us Ke 10 Darjaat Buland Farmate Hain.”

[Sunan an-Nasa'I :: Vol. 2 :: Book 13 :: Hadith 1298, 1297]

✦..........✿ ISTIKHARAH Karna Sikhen? ✿..........✦


Hazrat Jabir Bin Abdullah RadiyAllahu Anhu Farmate Hain: "RasoolAllah ﷺ Hamen Apne Tamam Mua’mlat Mein Istikharah Karne Ki Isi Tarah Taleem Dete The Jis Tarah Quran Ki Koi Surat Hamen Sikhlate, Aap ﷺ Farmate Ke Jab Tum Mein Se Koi Shaks Kisi (Jayez) Kaam Ka Iradah Kare To 2 Rakat (Nafl) Padhe Is Ke Baad Yun Dua Kare:

(Tarjuma): “Aye Mere Allah! Main Tujh Se Tere Ilm Ki Badolat Khair Talab Karta Hun Aur Teri Qudrat Ki Badolat Tujh Se Taqat Mangta Hun Aur Tere Fazl Azeem Ka Talabgar Hun Ke Qudrat Tu Hi Rakhta Hai Aur Mujhe Koi Qudrat Nahin, Ilm Tujh Hi Ko Hai Aur Main Kuch Nahin Janta Aur Tu Tamam Poshidah Baton Ko Janne Wala Hai, Aye Mere Allah! Agar Tu Janta Hai Ke 'Ye Kaam (Jis Ke Liye Istikharah Kiya Ja Raha Hai) Mere Liye Behtar Hai, Mere Deen Ke Aitebar Se, Meri Ma’aash Aur Mere Anjam Kaar Ke Aitebar Se Ya Mere Liye Waqti Tor Par Aur Anjam Ke Aitebar Se Ye Behtar Hai To Ise Mere Liye Naseeb Karde Aur Is Ka Husool Mere Liye Aasan Farmade Aur Phir Is Mein Mujhe Barkat Ata Farma.

Aur Agar Tu Janta Hai Ke 'Ye Kaam Mere Liye Bura Hai Mere Deen Ke Liye, Meri Zindagi Ke Liye Aur Mere Anjam Kaar Ke Liye, Ya Mere Muamlah Mein Waqti Tor Par Aur Anjam Ke Aitebar Se (Bura Hai) To Ise Mujh Se Hata De Aur Mujhe Bhi Us Se Hatade, Phir Mere Liye Khair Muqaddar Farmade, Jahan Kahin Bhi Woh Ho Aur Phir Mujhe Is Se Mutmain Karde.” Phir Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke (Hadhal Amr Ya Dua Ke Waqt) Us Kaam Ka Naam Le (Jis Ke Bare Mein Istekharah Karna Chahta Hai)."

●◗► Istikharah Din Raat Mein Kisi Bhi Waqt (Nawafil Ke Liye Makruh Auqat Ke Alawah) Kiya Ja Sakta Hai Naiz Istikharah Ke Baad Kisi Khuab Ya Ghaibi Ishare Ka Aana Bhi Zaroori Nahin, Sirf Dil Ka Kisi Aik Janib Mayel Ho Jana Aur Kisi Kaam Ke Liye Sharh Sadr Ho Jana Kafi Hai, Aaj Ham Log Istikhare Ke Sunnat Tariqe Ko Chhor Kar Ghair Masnoon Tariqon Ke Piche Lage Hue Hain, Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ham Sab Ko Sunnaton Par Aml Paira Hone Ki Taufeeq Marhamat Farmaye. (Aameen)

[Sahih al-Bukhari: 6382, 7390] [Jami` at-Tirmidhi 480]

●════════════◄►═══════════●

Narrated Jabir RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) used to teach us the Istikhara for each and every matter as he used to teach us the Suras from the Holy Qur'an. (He used to say), "If anyone of you intends to do something, he should offer a two-rak`at prayer other than the obligatory prayer, and then say:

'Allahumma inni astakhiruka bi'ilmika, wa astaqdiruka biqudratika, wa as'aluka min fadlika-l-'azim, fa innaka taqdiru wala aqdiru, wa ta'lamu wala a'lamu, wa anta'allamu-l-ghuyub. Allahumma in kunta ta'lamu anna ‘hadha-lamra’ (name your matter) khairun li fi dini wa ma'ashi wa 'aqibati `Amri (or said, fi 'ajili `Amri wa ajilihi) fa-qdurhu li, wa-yassirhu li thum-ma baarik lee feeh, Wa in kunta ta'lamu anna ha-dha-l-amra (name your matter) sharrun li fi dini wa ma'ashi wa 'aqibati `Amri (or said, fi ajili `Amri wa ajilihi) fasrifhu 'anni was-rifni 'anhu wa aqdur li alkhaira haithu kana, thumma Raddani bihi,"

O Allah! I consult You, for You have all knowledge, and appeal to You to support me with Your Power and ask for Your Bounty, for You are able to do things while I am not, and You know while I do not; and You are the Knower of the Unseen. O Allah If You know It this matter (name your matter) is good for me both at present and in the future, (or in my religion), in my this life and in the Hereafter, then fulfill it for me and make it easy for me, and then bestow Your Blessings on me in that matter. O Allah! If You know that this matter is not good for me in my religion, in my this life and in my coming Hereafter (or at present or in the future), then divert me from it and choose for me what is good wherever it may be, and make me be pleased with it."

[Sahih al-Bukhari 6382, 7390] [Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 75 :: Hadith 391]


Aalame Islam Se Duaye Sahet Ki Apeel! Hazrat Sheikh Ul Islam Mufti Muhammad Taqi Usmani Sahab Damat Barakatuhum Ki Tabiyat Guzashta Do Hafton Se Nasaz Hain, Dua Farmayen Ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala Aalame Islam Ke Is Azeem Sutoon Ko Sahet o Aafiyat Ke Sath Qayim o Dayim Rakhe. Aameen 

No comments:

Post a Comment