Pages

Sunday, 27 December 2020

⇨ The Jews say, “ ‘Uzair (Ezra) is the Son of Allah” and the Christians say, “MasīH (the Christ) is the Son of Allah.” That is their oral statement. They imitate the saying of the earlier disbelievers. May Allah ruin them, how far they are turned back from the truth! (Quran, Surah At-Tawbah:30)

⇨ “Yahoodi Kehte Hain Ke “Uzair” Allah Ke Bete Hain Aur Nasara Kehte Hain Ke “Maseeh” Allah Ke Bete Hain, Ye Sab Un Ke Muh Ki Banayi Hui Baten Hain, Ye Un Logon Ki Si Baten Hain Jo Un Se Pehle Kafir Ho Chuke Hain, Allah Ki Maar Ho Un Par! Ye Kahan Aundhe Behke Ja Rahe Hain?” (Quran, Surah At-Tawbah:30)

 

✦......♥ Shadi Ke Liye Qabile Tarjeeh Cheez! ♥......✦

●◗► Aap Ki Hone Wali Biwi Ya Aap Ka Hone Wala Shohar Aap Ki Aane Wali Nasal Ko Sanwar Bhi Sakta Hai Aur Bigaad Bhi Sakta Hai, Lehaza Shadi Karte Waqt Ladki Ya Ladke Ki Deen Daari Aur Akhlaq Ko Dekhen! Daulat Aur Husn Ko Nahin!

 

⇨ "And for their saying, “We have certainly killed the MasīH ‘Īsā the son of Maryam, the Messenger of Allah”, while in fact they did neither kill him, nor crucify him, but they were deluded by resemblance.Those who disputed in this matter are certainly in doubt about it. They have no knowledge of it, but they follow whims. It is absolutely certain that they did not kill him, but Allah lifted him towards Himself. Allah is All-Mighty, All-Wise. No one will remain from among the People of the Book but will certainly believe in him before he dies, and on the Day of Doom, he shall be a witness against them." (Quran, Surah An-Nisa: 157-159)

⇨ “Aur (Un Ahle Kitab Ne) Ye Kaha Ke: Ham Ne Allah Ke Rasool Masih Isa Bin Maryam Ko Qatl Kar Diya Tha, Halan Ke Na Unhon Ne Isa (Alaihis Salam) Ko Qatal Kiya Tha Aur Na Hi Sooli De Paye The, Balke Unhen Ishtibaah Ho Gaya Tha, Aur Haqiqat Ye Hai Ke Jin Logon Ne Is Bare Mein Ekhtelaf Kiya Hai, Woh Is Silsile Mein Shak Ka Shikar Hain, Unhen Guman Ke Piche Chalne Ke Siwa Is Baat Ka Koi Ilm Hasil Nahin Hai, Aur Ye Baat Bilkul Yaqeeni Hai Ke Woh Isa (Alaihis Salam) Ko Qatl Nahin Kar Paye, Balke Allah Ne Unhen Apne Paas Utha Liya Aur Allah Bada Sahibe Iqtidar Bada Hikmat Wala Hai, Aur Ahle Kitab Mein Se Koi Aisa Nahin Hai Jo Apni Maut Se Pehle Zaroor Bil Zaroor Isa (Alaihis Salam) Par Iman Na Laye, Aur Qayamat Ke Din Wo Un Logon Ke Khilaf Gawah Banenge.” (Surah An-Nisa: 157-159)

 

► Christmas, New Year Night, Diwali, Holi, Valentine Day AUr April Fool Manana, Yahood, Hanood Aur Nasara Ki Naqqali! ◄

The Prophet (ﷺ) said, "You will follow the wrong ways, of your predecessors so completely and literally that if they should go into the hole of a mastigure, you too will go there." We said, "O Allah's Messenger (ﷺ)! Do you mean the Jews and the Christians?" He replied, "Whom else?" (Meaning, of course, the Jews and the Christians.)

Nabi Akram (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Tum Log Pehli Ummaton Ke Tareeqon Ki Qadam Ba Qadam Pairwi Karoge Yahan Tak Ke Agar Woh Goah (Chipkali Ki Nasal Ka Aik Janwar) Ke Surakh Mein Dakhil Honge To Tum Bhi Us Mein Dakhil Hoge.” Sahaba Karam RadiyAllahu Anhum Ne Pucha: Ya RasoolAllah (ﷺ)! Pehli Ummaton Se Aap Ki Muraad Yahood Aur Isayi Hain? Aap (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “To Phir Aur Kon?”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 4 :: Book 55 :: Hadith 662, 3456]

 

“Izzat Den Un Logon Ko Jo Apni Masrufiyaat Mein Se Aap Ke Liye Waqt Nikalte Hain Magar... Mohabbat Karen Un Logon Se Jo Aap Ki Khatir Apni Masrufiyaat Tark Kar Dete Hain.”

 

✦........♥ Aadmi Apne Dost Ke Deen Par Hota Hai! ♥........✦

The Prophet (ﷺ) said: “A man follows the religion of his friend; so each one should consider whom he makes his friend.”

Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Aadmi Apne Dost Ke Deen Par Hota Hai, Lehaza Tum Mein Se Har Shaks Ko Ye Dekhna Chahiye Ke Woh Kis Se Dosti Kar Raha Hai.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 4815,4833]

 

"Dunya Ka Sab Se Wazni Kaghaz Talaq Hai Jis Ka Wazan Sirf Aurat Hi Nahin Balke Us Ka Pura Khandan Uthata Hai, Rishte Nibhana Sikhen, Mohabbaten Badhana Sikhen."

 

✦.......► 3 Ashkhas Ki Ibadat Besood Hain! ◄.......✦

RasoolAllah (ﷺ) Ne Farmaya: “3 Logon Ki Na Koi Nafli Ibadat Qubool Hoti Hai Aur Na Farz:

❶ (Waldain Ka) Na Farmaan.
❷ Ehsan Jatlane Wala.
❸ Taqdeer Ka Inkar Karne Wala.

(Al-Mu'jam Al-Kabeer Al-Tabarani: 7547)

●◗► Besood – Be Faidah, Rayega, Be Maqsad.

قال رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم - ثلاثة لا يقبل الله منهم صرفا و لا عدلا : عاق و منان و مكذب بالقدر (المعجم الکبیر للطبرانی: 7547،حدیث صحیح)

 

✦.......♥ Aurton Ke Sath Husne Sulook! ♥.......✦

●◗► Agar Aap Ke Paas Aurat Ko Izzat Dene Ki Koi Waja Na Ho Aur Sari Aqli Dalilen Mand Pad Jayen To Sirf Itna Soch Len Ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ne Aurton Ke Hawale Se Irshad Farmaya: “Aur Aurton Ke Sath Accha Bartao Karo.” (Quran, Surah Al-Nisa:19)

 

“Aap Kisi Ko Bhi Zabardasti Do Kamon Ke Liye Majboor Nahin Kar Sakte Aik Mohabbat Aur Doosra Ibadat Donon Dil Se Hoti Hain Aur Donon Ka Rishta Dil Se Juda Hota Hai.” 

 

✦...♥ Zarurat Se Zayed Ashya Se Sisakti Insaniyat Ki Madad Kare! ♥...✦

Abu Sa'id al-Khudri RadiyAllahu Anhu reported: Allah's Messenger (ﷺ) said: “He who has an extra mount should give that to one who has no mount for him, and he who has surplus of provisions should give them to him who has no provisions, and he (ﷺ) made mention of so many kinds of wealth until we were of the opinion that none of us has any right over the surplus.”

Urdu Translation: Hazrat Abu Sa'eed al-Khudri RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Nabi Akram (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Jis Ke Paas Zayed Sawari Ho Woh Aise Shaks Ko Dede Jis Ke Paas Sawari Na Ho Aur Jis Ke Paas Zarurat Se Zayed Samane Safar Ho Woh Aise Shaks Ko Dede Jis Ke Paas Samane Safar Na Ho. Rawi Farmate Hain Ke Phir Aap (ﷺ) Ne Mukhtalif Aqsam Ki Zarurat Se Zayed Ashya Ke Bare Mein Yahi Hukum Irshad Farmaya Yahan Tak Ke Ham Samajhne Lage Ke Ab Ham Mein Se Kisi Ka Bhi Zarurat Se Zayed Ashya Par Koi Haq Nahin Hai.”

[Sahih Muslim :: Book 18 :: Hadith 4290, 1728]

 

✦........................► O X Y G E N ◄........................✦

⇨ "Aur Tum Apne Parwardigar Ki Kon Kon Si Nematon Ko Jhutlaoge." ?

✦ Aik Insan Zindah Rehne Ke Liye Rozana Taqriban 3 Cylinder Ke Barabar Oxygen Istemal Karta Hai.

● Jis Ki Qimat Taqriban Sadhe 3 Hazar Rupe Rozana Banti Hai.
● Taqriban 1 Lakh 5 Hazar Rupe Mahana Banti Hai.
● Taqriban 13 Lakh Rupe Salana Banti Hai.
● Ausat Umr Ke Hisab Se 60 Salon Mein Ye Raqam Taqriban 7 Crore 80 lakh Rupe Banti Hai.

●◗► Kya Aap Ne kabhi Socha Ke Itni Badi Raqam Kharch Kar Ke Hasil Ki Jane Wali Bunyadi Zarurat Ki Cheez Allah Subhanahu WaTa'ala Mahez Apne Fazl o Karam Se Hamen Bila Muawza Ata Farma Rahe Hain!

 

“Aane Wali Nasal Ko Aur Kuch Na De Saken To Kam Az Kam Mohabbaten Batna Zaroor Sikhayen Ehsas Karna Sikhayen Unhen Cheezon Ki Nahin Rishton Ki Value Samjhayen, Apni Nafraten Bacchon Ke Kacche Zahen Mein Na Dalen, Waqt Guzar Jata Hai Bacchon Ke Dil Mein Nafraten Paida Ho Jati Hain, Aisi Baten Bachpan Mein Masumiyat Aur Bada Hone Par Rishte Cheen Leti Hain.”

 

✦....♥ Bukhaar Ka Ilaaj (Fever Treatment) ♥....✦
✦........▶ Tibbe Nabawi Aur Jadeed Tibb ◀........✦

Narrated Aisha RadiyAllahu Anha: The Prophet (ﷺ) said: "Fever is from the heat of the (Hell) Fire, so cool it with water."

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Bukhar Jahannam Ki Bhaap Mein Se Hai Is Liye Ise Pani Se Thanda Kiya Karo.”

[Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 54 :: Hadith 485, 3263]

●◗► Agar RasoolAllah (ﷺ) Ki Talimaat Aur Sunnat Samajh Kar Bukhar Mein Thande Pani Ki Pattiyan Mareez Par Dali Jayen To ilaaj Bhi Aur Sunnat Ka Sawab Bhi.

 

✦........► MARD KAISA HO ? ◄........✦

Aurat Kaisi Ho? Is Par Har Shaks Guftagu Karta Nazar Aata Hai, Magar Kabhi Socha Ke Mard Ko Kaisa Hona Chahiye?

Mard Woh Hai:

“Jo RasoolAllah (ﷺ) Ki Wasiyat Ko Samne Rakhte Hue Aurat Ke Bare Mein Hamesha Allah Se Darta Rahe, Jo Farmane Rasool (ﷺ) Ke Mutabiq Aurat Ko Tedhi Pasli Ki Tarah Samjhe Aur Us Par Be Ja Sakhti Na Kare, Jo Aurat Ki Badi Badi Khubiyon Se Faidah Uthane Ke Liye Us Ki Choti Choti Kamzoriyan Nazar Andaz Kare, Jo Dictator Ke Bajaye Muhafiz Aur Jiwan Sathi Bankar Zindagi Guzare, Jo Roti, Kapda Aur Rihayesh Dekar Ehsan Na Jatlaye, Balke Mashkoor Nazar Aaye, Jo Aurat Ki Izzate Nafs Ka Khayal Kare Aur Us Ki Ana Ki Dhajjiya Na Udaye, Jo Aurat Ko Sirf Mohabbat Hi Nahin Balke Izzat Aur Muqam Bhi De.”

 

✦...........► Surah Al-Kahf Ke Fazayel ◄...........✦

❶ Baitullah Shareef Tak Noor hi Noor: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Jumah ke Din Surah Al-Kahf ki Tilawat Kare to Jis Jaga Wo Tilawat karta hai Wahan se Lekar Makkah Mukarramah tak ka Tamam Fasla Noor se Munawwar ho jata hai. (Sunan an-Nasa’i Al-Kubra: 10788)

❷ Aik Jumah Se Dusre Jumah Tak Noor: Nabi Akram (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Jumah ke Din Surah Kahf Padhta Hai to us ke Liye Doosre Jumah tak Noor Jagmagata Rehta Hai.” (Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim: 3392)

❸ Dajjal Se Hifazat Ka Zariya: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Surah Al-Khaf ko Aise hi Padhe Jaise ke Wo Utari Gayi hai (Yani Tajweed ke Sath Acche Andaz Se) Aur Phir Wo Dajjal Ko Paale To Dajjal us Par Musallat Nahin Ho Sakega.” (Sunan an-Nasa’i Al-Kubra: 10790)

❹ Ibtedayi 10 Aayat Yaad karne ki Fazilat: Nabi Akram (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Surah Kahf ki Ibtidayi (Starting) 10 Aayat Yaad kare Ga Wo Dajjal ke Fitne Se Bacha liya Jayega.” (Sunan an-Nasa’i Al-Kubra: 10790)

❺ Aakhri 10 Aayat ki Fazilat: Nabi Akram (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jis Shaks Ne Surah Kahf Ki Aakhri (Ending) 10 Aayat Yaad kiyen Aur Phir Dajjal Nikal Aaya To Dajjal us Par Ghalba Nahin Pasake ga.” (Sunan an-Nasa’i Al-Kubra: 10790)

 

“Talluq Baqi Na Rahe Magar Ehteram Baqi Rehna Chahiye Ye Insan Ke Meyaari Aur Khandani Hone Ki Daleel Aur Kasoti Hai.”

 

✦.....♥ Quran Jism Insani Ko Qabo Mein Rakhne Wali Kitab ♥.....✦

● Insani Aawaz Control Mein Rakhne Ke Liye Quran Farmata Hai: “Aur Apni Aawaz Ko Aahista Rakho.” (Surah Luqman:19)

● Insani Alfaz Control Mein Rakhne Ke Liye Quran Farmata Hai: “Aur Logon Se Bhali Baat Kehna.” (Surah Al-Baqarah:83)

● Insani Aankhon Ko Control Mein Rakhne Ke Liye Quran Farmata Hai: “Aur Momin Mardon Se Kehdo Ke Wo Apni Nigahen Nichi Rakhen Aur Apni Sharm Gahon Ki Hifazat Karen.” (Surah An-Noor:30)

● Insani Chaal Dhaal Ko Control Karne Ke Liye Quran Farmata Hai: “Aur Zameen Par Itrate Hue Na Chalo.” (Surah Luqman:18)

● Insani Hirs o Tama’a Ko Control Karne Ke Liye Quran Farmata Hai: “Aur Tum Un Chizon Ki Taraf Hargiz Aankh Utha Kar Bhi Na Dekho, Jo Ham Ne Mukhtalif Logon Ko Maze Udane Ke Liye De Rakhi Hain.” (Surah Al-Hijr:88)

● Khane Pine o Digar Akhrajaat Control Karne Ke Liye Quran Farmata Hai: “Fuzool Kharchi Mat Karo.” (Surah Al-A’raf:31)

 

✦........► Gas Aur Heater Ke Haadsaat Se Bachao ◄........✦

The Prophet (ﷺ) said: "Do not keep the fire burning in your houses when you go to bed."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Sote Waqt Tum Apne Gharon Mein Jalti Aag Na Chhoda Karo."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 74 :: Hadith 308, 6293]

●◗► Sardi Ki Shiddat Mein Izafe Ke Sath Hi Akhbarat Mein Ye Khabren Aana Shuru Ho Jati Hain Ke Heater Ke Istemal, Gas Bhar Jane Ya Aag Lag Jane Se Aik Hi Khandan Ke 5 Afrad Ki Mout, Kahin 3 Aur Kahin 2 Afrad, Agar Ham RasoolAllah Ki Bayan Kardah Darje Bala Hifazati Tadabeer Yani Sote Waqt Heater Aur Gas Charaghe Aur Isi Tarah Ke Jalti Cheezo Ko Bujhade Is Se To Sunnat Ka Sawab Bhi Milega Aur Poori Qaum Is Qism Ke Haadsaat Se Bach Sakegi.

 

“Aye Allah! Apne Rahem o Karam Se Ham Se Ye Aazmayish Aur Waba Door Farmade.” (Aameen)

 

“Mard Sab Kuch Apne Liye Nahin Kamata Aurat Sab Kuch Apne Liye Nahin Pakati, Khushiyan Taqseem Karna Hi Asal Khushiyon Ka Sabab Hai.”

 

✦.....► Rishwat Lene Aur Dene Walon Par Lanat! ◄.....✦

Narrated Abdullah ibn Amr ibn al-'As RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (ﷺ) cursed the one who bribes and the one who takes bribe.”

Urdu Translation: Hazrat Abdullah Bin Amr RadiyAllahu Anhuma Farmate Hain Ke “Nabi Kareem ﷺ Ne Rishwat Lene Wale Aur Dene Wale Donon Par Lanat Farmayi Hai.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 24 :: Hadith 3573, 3580]

 

“Har Woh Shaks Jo Aap Ki Zindagi Mein Qadam Rakhta Hai Us Ke Aane Ka Koi Na Koi Sabab Hota Hai, Kuch Aap Ko Mohabbat Karna Sikha Dete Hain, Kuch Log Mohabbat Nibhana Sikha Dete Hain, Kuch Sabr Karna Sikha Dete Hain To Kuch Khwab Dekhna Aur Kuch Log Unhi Khwab Ko Pura Karne Ka Hosla De Jate Hain.”

 

✦......► Khwabon Ki Dastanen Sunane Wale! ◄......✦

Allah's Messenger (ﷺ) said: "The worst lie is that a person claims to have seen a dream which he has not seen."

Urdu Translation: Nabi Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Sab Se Bad’tareen Jhoot Ye Hai Ke Insan Khwab Mein Aisi Cheez Ko Dekhne Ka Dawa Kare Jo Us Ki Aankhon Ne Na Dekhi Ho."

[Sahih Bukhari :: Vol. 9 :: Book 87 :: Hadith 167, 7043]

●◗► Hadees Ka Matlab: Ye Bahot Bada Gunah Hai Ke Insan Jhoota Khwab (Wo Khwab Jo Neend Ki Halat Mein Aate Ho) Khud Se Bana Ke Logon Ko Sunaye Halan Ke Us Ne Woh Dekha Hi Nahin, Allah Mahfooz Rakhe Musalmanon Ko.

 

✦..........♥ Ghusse Ka Kadwa Ghoont ♥..........✦

It was narrated from Ibn ‘Umar RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (ﷺ) said: "There is no gulp that brings greater reward with Allah than a gulp of anger that a man swallows (suppresses), seeking thereby the Face of Allah."

Urdu Translation: Hazrat Ibn Umar RadiyAllahu Anhuma Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ke Nazdeek Ghusse Ke Us Ghoont Se Zyadah Ajr o Sawab Kisi Ghoont Par Nahin, Jo Ghusse Ka Ghoont Bandah Ne Mahez Allah Ki Raza Ke Liye Piya Ho."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 37 :: Hadith 4189] [Al-Adab Al-Mufrad :: Hadith 1318]

 

✦........► Apne Khuab Har Kisi Ko Na Batayen! ◄........✦

The Prophet (ﷺ) said: The vision flutters over a man as long as it is not interpreted , but when it is interpreted, it settles. And I think he ﷺ said: Tell it only to one who loves (i.e. friend) or one who has judgment."

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Apna Khuab Sirf Kisi Aalim Ya Khair Khuah Hi Se Bayan Karo.” Aur Aik Hadees Mein Hai Ke Khuab Siwaye Mohabbat Karne Wale Aur Sahibe Raye Aqalmand Aadmi Ke Kisi Se Bayan Na Karo.”

[Sunan Al-Darimi:2202, Sunan Abi Dawud:5020]

 

“Jo Log Aap Se Hasad Karte Hain Unko Aap Ki Khubiyon Ka Sab Se Zyadah Ilm Hota Hai, Jo Log Aap Ki Peeth Piche Burayi Karte Hain Woh Aap Ki Acchayion Se Khofzadah Hote Hain, Jo Log Aap Ko Haara Hua Dekhna Chahte Hain Dar Haqiqat Woh Log Aap Se Jeet Nahin Sakte, To Zindagi Mein Har Us Shaks Se Khush Rahen Jo Aap Se Na Khush Hai.”

 

✦.........♥ Jannat Ke Aala Libas Hasil Karen! ♥…......✦

The Prophet (ﷺ) said: "If any Muslim clothes a Muslim when he is naked, Allah will clothe him with some green garments of Paradise; if any Muslim feeds a Muslim when he is hungry, Allah will feed him with some of the fruits of Paradise; and if any Muslim gives a Muslim drink when he is thirsty, Allah will give him some of the pure wine which is sealed to drink."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Momin Ne Kisi Be Libas Momin Ko Kapda Pahnaya Allah Subhanahu Wa Ta'ala Use Jannat Ke Sabz Jode Pahnayega, Aur Jis Momin Ne Apne Bhuke Momin Bhai Ko Khana Khilaya Allah Subhanahu Wa Ta'ala Use Roze Qayamat Jannat Ke Phal Khilayega, Aur Jis Momin Ne Apne Pyase Momin Bhai Ko Pani Pilaya Allah Subhanahu Wa Ta'ala Use Qayamat Ke Din Muhar Lagi Hui Khalis Sharab Pilayega.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 9 :: Hadith 1678, 1682]

●◗► Apne Ird Gird Nazar Daliye! Bahot Se Fuqara o Masakeen Aise Milenge Jin Ke Paas Sardi Se Bachao Ka Saman Nahin, Aise Bebas Aur Aajiz Logon Ke Liye Garam Kapdon Aur Libaas Ka Fauri Bandobast Ki Jiye Aur Payyen Jannat Ke Aala Aur Qeemti Libas.

 

✦......♥ Marhoomeen Ke Darjaat Buland Karwayen! ♥......✦

The Messenger of Allah(ﷺ) said: "A man will be raised in status in Paradise and will say: 'Where did this come from?' And it will be said:'From your son's praying for forgiveness for you.'"

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Yaqeenan Aik Shaks Ke Liye Jab Jannat Mein Darja Buland Kiya Jata Hai To Woh Arz Karta Hai: “Aye Mere Rab! Mera Ye Darja Kaise Buland Ho Gaya? (Kyun Ke Main Ne To Ab Koi Aml Kiya Hi Nahin)” Us Shaks Se Kaha Jata Hai: “Tere Bete Ke Tere Liye Astaghfar Karne Ki Wajah Se Ye Darja Buland Hua Hai.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 33 :: Hadith 3660]

●◗► Zara Sochyen! Ham Par Hamare Waldain, Dada Dadi, Aur Nana Nani Ke Kis Qadar Ehsanat Hain, In Buzurgon Ko Ham Se Toqiaat Hongi Aur Woh Socha Karte Honge Ke Un Ki Nasal Mein Aane Wale Log Un Ke Liye Duaye Maghfirat Aur Isale Sawab Karenge, Lekin Aaj Hamara Kya Haal Hai? Ham Sab Ko Khud Maloom Hai, Agar Aaj Ham Apne Marhoomeen Ke Liye Duaye Maghfirat Aur Isale Sawab Ka Ehtemam Karenge To Kal Jab Ham Aalame Barzakh Mein Honge Aur Hamen In Chizon Ki Sakht Zarurat Hogi To Koi Hamare Liye Bhi Duaye Maghfirat Karne Wala Hoga. (InshaAllah)

 

“Jin Ke Waldain Zindah Hain, Allah Subhanahu Wa Ta'ala Iman o Aafiyat Ke Sath Un Ki Umr Daraz Kare, Jin Ke Waldain Bimar Hain, Allah Subhanahu Wa Ta'ala Unhen Sahet o Tandrusti Ata Farmaye, Aur Jin Ke Waldain Wafat Pa Chuke Hain, Allah Subhanahu Wa Ta'ala Unhen Jannatul Firdaus Naseeb Farmaye.” (Aameen)

 

No comments:

Post a Comment