Pages

Saturday, 15 May 2021

●◗► Aye Mere Parwardigar! Jitni Bhi Khawateen Sehri Aur Iftari Ki Mushaqaten Bardasht Kar Ke Aap Ke Bandon Ko Rozah Rakhwa Rahi Hain, Sab Ko Dunya o Aakhirat Mein Is Ka Behtareen Badla Ata Farma. Aameen


✦.....► Rozah, Fuzul Baton Se Bachne Ka Naam Hai! ◄.....✦

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Rozah Sirf Khane Pine Se Rukne Ka Naam Nahin Balke Rozah To Ye Hai Ke Laghu Aur Behudah Baton Se Bacha Jaye Aur Agar Koi Tum Se Galam Galoch Kare Aur Jihalat Par Utar Aaye To Us Se Kehdo Ke Main Roze Se Hun.” (Mustadrak Al-Hakim:1570)

 

✦......► Roze Mein Bhool Kar Khana Peena ◄.......✦

The Prophet (ﷺ) said: "If somebody eats something forgetfully while he is fasting, then he should complete his fast, for Allah has made him eat and drink."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Jo Shaks Rozah Ki Halat Mein Bhool Kar Khaye (Piye) Use Apna Rozah Mukammal Karna Chahiye, Kyun Ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ne Hi Use Khilaya Aur Pilaya."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 78 :: Hadith 662, 6669]

 

✦…..► “Mahwari” Mein Mahe Ramadan Se Istefadah! ◄…..✦

Bahot si Khawateen Ramadan mein aur Bilkhusoos Aakhir Ashre mien “Mahwari” Shuru ho Jane se Sakht Zahni koft ka Shikar ho jati hain aur ye Soch soch kar Pareshan hoti hain ke Ab Aakhir Ashre ki Ibadaat, Taaq Raaton aur Laylatul Qadr ka kya bane ga?

Aisi Tamam Khawateen Darj Zail ❸ Nukati Agende pe Aml paira ho kar Laylatul Qadr Samait Aakhri Ashre ki Barkaat se Istefadah kar Sakti hain:

❶ Niyyat ki Durustgi: Khuloos Niyyat ke sath ye Soche ke ye Sharyi Uzr Allah ki taraf se hai aur Agar ye Uzr na hota to Main Behtareen Andaz mein Ibadat mein Mashghool ho kar apne Rab ko razi karti, is Acchi Niyyat aur irade par Maqbool ibadaat ka InshaAllah Ajr o Sawab milega, Nabi Akram ﷺ ne Ghazwah Tabuk ke moqe par Irshad Farmaya ke kuch log Madina mein hamare piche Reh gaye hain Lekin ham kisi bhi Ghati ya Wadi mein (jihad ke liye) Chalen to wo Sawab mein Hamare sath hote hain, Phir Aap ﷺ ne Irshad Farmaya ye wo log hain jo Uzr ki Waja se Hamare sath Shareek nahin ho Sake. (Sahih Bukhari: 2839)

❷ Ibadaat karne Waliyon ke Sath Ta’awun: Aisi khawateen ibadaat, Taraweeh aur Tahajjud mein Masroof ghar ki Digar khawateen ke sath Ta’awun kar ke un ki ibadaat ke Barabar Ajr o Sawab hasil kar sakti hain, Ye Ta’awun un ke Kaam nimta kar, un ke liye Sahri o Iftari Tayyar kar ke, un ke Bacche Sambhal kar aur Digar tariqon se Kiya ja sakta hai.

❸ Zikr Azkar aur Duaon mein Mashghuliyat: Napaki ki Halat mein har Ibadat Mamnoo Nahin hoti Balke Zikr Azkar aur Duayen Mangi ja sakti hain, Lehaza Aisi Tamam Khawateen ibadaat se bilkul kinarah Kashi Ekhtiyar na kare Balke zikr Azkar, Durood Shareef, Shabe Qadr ki Masnoon dua aur Digar duaon mein Mashghool reh kar Aakhir Ashre, Taaq Raton aur Shabe Qadr ki Barkaat Hasil karne ki koshish Karen.

 

✦.....♥ Rozah o Quran Majeed Roze Mehshar Shifa’at Ka Zariya ♥.....✦

Narrated Abd-Allah ibn ‘Amr RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (ﷺ) said: "Fasting and the Quran will intercede for a person on the Day of Resurrection.

► Fasting will say, ‘O Lord, I deprived him of his food and his desires during the day, so let me intercede for him.’

► And the Quran will say: ‘I deprived him of his sleep at night so let me intercede for him.’ Then they will intercede."

[Musnad Ahmad :: Hadith 6626, Saheeh al-Jami’ :: No 3882]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Amr RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: "Qayamat ke din Rozah Aur Quran Majeed Bande ki Shifa’at Karen ge.

► Rozah Kahega: Aye Mere Rab! Main ne is ko Din Bhar Khane Pine Aur Khuaheshat se Roke Rakha, Tu is ke Haq mein Meri Shifa’at Qabool Farma.

► Aur Quran Majeed Kahega: (Aye Rab!) Main ne ise Raat ko Sone Se Roke Rakha, Tu is ke Haq mein Meri Sifarish Qabool Farma. Pus donon ki Shifa’at Qabool karli Jayegi."

[Musnad Ahmad :: Hadith 6626]

 

✦............♥ Zakat Ke 8 Mustahqeen ♥............✦

Quran Kareem Ki Surah At-Tawbah Aayat Number 60 Mein Darje Zail 8 Masarife Zakat Ka Zikr Maujood Hai:

❶ Fuqra
❷ Masakeen
❸ Aamileene Zakaat (Zakaat ikhatti Karne Par Ma’moor Amle Ke Wazayef Aur Tankhuahon Ki Mad Mein)
❹ (Wo Nao Muslim Jo Zarurat Mand Ho Aur Islam Par Unhen Sabit Qadam Rakhne Ke Liye Un Ki Dildari Maqsood Ho)
❺ Ghulam Ki Aazadi
❻ Maqrooz
❼ Allah Ke Raste Ka Mujahid
❽ Musafir

Note: Zakat Dete Waqt Dene Wale Ke Dil Mein Zakat Ki Niyyat Hona Kafi Hai, Zakat Wusool Karne Wale Ko Ye Batana Zaroori Nahin Ke Ye Zakaat Hai, Balke Hadya, Eidi Ya Kisi Aur Naam Se Bhi Zakat Di Ja Sakti Hai.

 

✦....♥ Iftari Ke Waqt Jahannam Se Chutkare Ka Parwana ♥....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “At every breaking of the fast Allah has people whom He frees (from the Fire), and that happens every night.”

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Allah Rabbul Izzat Ke Han Har Iftar Ke Waqt Logon Ki Aik Ta’dad (Jahannam Se) Aazad Ki Jati Hai, Aur Aisa (Ramadan Al-Mubarak Ki) Har Raat Ko Hota Hai.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 7 :: Hadith 1643]

●◗► Ya Allah! Hamen Bhi Iftari Ke Waqt Jahannam Se Chutkara Naseeb Farmade. (Aameen)

 

✦……..► Sehri Zaroor Karen! ◄……..✦

Abdullah ibn ‘Amr (RadiyAllahu Anhu) said that the Messenger of Allah ﷺ said: “Make Suhoor even if it just with a sip/gulp of water”. [Sahih Ibn Hibbaan: 3476]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Amr RadiyAllahu Anhuma Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Sehri Zaroor Karo! Agarche Aik Ghoont Pani Hi Se Kyun Na Ho.” [Sahih Ibn Hibbaan: 3476]

 

✦............♥ Rozah Ki Halat Mein Maut ♥............✦

The Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) said: “Whoever says Laa ilaaha ill-Allaah (there is no god but Allaah), seeking the Face of Allaah and that was his final action, will enter Paradise. Whoever fasts one day seeking the Face of Allaah and that was his final action, will enter Paradise. Whoever gives charity seeking the Face of Allaah and that was his final action will enter Paradise.” (Narrated by Imam Ahmad, 22813)

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Allah Ki Khushnudi Ke Liye Aik Din Ka Rozah Rakhe Aur Usi Halat Mein Mar Jaye To Woh Jannat Mein Zaroor Dakhil Hoga.” (Musnad Ahmad: 23324)

Ya Arhamar Rahimeen! Ham Sab ke Sath Aafiyat ka Muamla Farma aur Hamen Rozon aur Taraweeh Pe Isteqamat Ata Farma. (Aameen)

 

“Apne Ghar Ki Iftari Ka Kuch Hissa Ghareeb Ke Ghar Bhi Bhej Diya Karo Kyun Ke Sab Ke Ghar Mein Iftari Nahin Hoti.”

 

✦........♥ Khajoor Ya Pani Se Iftari ♥........✦

The Prophet ﷺ said: "When one of you breaks his fast, then let him do so with dried dates. And whoever does not find dates, then water, for it is purifying."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jab Tum Mein Se Koi Shaks Rozah Iftar Kare To Use Chahiye Ke Woh Khajoor Se Iftar Kare Kyun Ke Khajoor Ba’ise Barkat Hai, Aur Agar Koi Shaks Khajoor Na Paye To Pani Se Iftar Kare Kyun Ke Pani Paak Karne Wala Hai.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2, Book 3, Hadith 695 , 695]

 

✦.....♥ Sehri Mein Khajoor Ka Istemal Sunnat Bhi Ghizaiyat Bhi ♥....✦

The Prophet (ﷺ) as saying: How good is the believers meal of dates shortly before dawn.

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Momin Ki Behtareen Sehri Khajoor Hai.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 13 :: Hadith 2338, 2345]

 

 

✦.........♥ Rozah Daron Ka Khaas Aizaz ♥.........✦

Narrated Sahl bin Sa`d RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) said: "Paradise has eight gates, and one of them is called Ar-Raiyan through which none will enter but those who observe fasting."

Urdu Translation: Hazrat Sahl bin Sa`d RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: "Jannat Ke 8 Darwaze Hain Jin Mein Se Aik Darwaze Ka Naam "Rayyan" Hai, Is Darwaze Se Sirf Rozah Daar Hi Dakhil Honge."

[Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 54 :: Hadith 479, 3257]

 

✦.........♥ Iftari Ke Baad Masnoon Dua ♥.........✦

Narrated Ibn Umar RadiyAllahu Anhu: That the Prophet (ﷺ) said when he broke his fast:

" ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ وَثَبَتَ الأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ "
Dhahab-aẓ-ẓama’u, Wabtallat-il-‛urooqu, Wa thabat-al-Ajru In shaa’ Allaah

Thirst has gone, the arteries are moist, and the reward is sure, if Allah wills.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 13 :: Hadith 2350, 2357]

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Ibn Umar RadiyAllahu Anhuma Farmate hain ke Nabi Kareem ﷺ Jab Iftari Tanawul Farmalete to ye Dua Padhte:
" ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ وَثَبَتَ الأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ "
Dhahab-aẓ-ẓama’u, Wabtallat-il-‛urooqu, Wa thabat-al-Ajru In shaa’ Allaah

“Pyaas bujh Gayi aur Ragen tar Hogayin aur Allah ke Hukum se Ajr Sabit ho Gaya.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 585]

 

 

✦....♥ Ramadan Ka Mubarak Mahina Saya Fugan Hai! ♥....✦

"The Messenger of Allah ﷺ said: 'There has come to you Ramadan, a blessed month, which Allah, the Mighty and Sublime, has enjoined you to fast. In it the gates of heavens are opened and the gates of Hell are closed, and every devil is chained up. In it Allah has a night which is better than a thousand months; whoever is deprived of its goodness is indeed deprived."'

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Tum Par Ramadan Ka Mubarak Mahina Aaya Hai Jis Mein Allah Ta’ala Ne Roze Farz Kiye Hain, Is Mahine Mein Aasman (Yani Jannat) Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain, Jahannam Ke Darwaze Band Kar Diye Jate Hain Aur Sarkash Shayateen Qaid Kardiye Jate Hain, Is Mein Allah Ki Taraf Se Aik Raat (Shabe Qadr) Hai Jo Hazar Mahinon Se Behtar Hai, Jo Is Raat Ki Khair o Bhalayi Se Mahroom Raha Wo Haqiqat Mein Bada Mahroom Hai.”

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 3 :: Book 22 :: Hadith 2108, 2106]

 

“Dusron Ki Madad Mein Guzra Hua Waqt Behtareen Waqt Hota Hai.”

 Shabe Bara’at Aur Rahe Aitedal!

 

 ●◗► Shabe Bara'at Mein Rab Ki Maghfirat Se Mahroom Reh Jane Wale, Allah Ta'ala Ke Huzoor Har Qism Ke Gunah Se Tawbah Karen Taa Ke Dunya Aur Aakhirat Sanwar Jayen.

 

✦..........♥ 13,14,15 Sha’ban Ke Roze ♥..........✦

RasoolAllah ﷺ Ne Ayyam Beez (Yani Har Qamri Maah Ki 13,14 Aur 15 Tarikhon) Ke Rozon Ko Zindagi Bhar Roze Rakhne Ke Barabar Qarar Diya Hai, Ayyame Beez Ke Roze Har Qamri Maah Mein Masnoon Hain Lekin Chunke Khususiyat Ke Sath Mahe Sha’ban Mein Roze Rakhne Ke Fazayel Bhi Ahadeese Mubarka Mein Warid Hain, Is Liye Mahe Sha’ban Mein Ayyame Beez Ke Rozon Ka Aur Zyadah Ehtemam Karne Ki Zarurat Hai.

Neez Maahe Sha’ban Mein Ayyame Beez Ke Roze Rakhne Se Aik Mukhtalif Fiya Masle Ka Hal Nikal Aata Hai Aur Wo Ye Hai Ke Baaz Hazraat Khaas Pandhra Sha’ban Ke Roze Ko Masnoon Samajhte Hain, Jab Ke Muhaqqiq Raye Yahi Hai Ke Khaas 15 Sha’ban Ka Rozah Masnoon Nahin, Lekin Agar Kisi Ko 15 Sha’ban Ke Roze Rakhne Ka Shoq Aur Walwala Hai To Wo Ayyame Beez Ke Roze Rakhle, 15 Sha’ban Ka Rozah Bhi Is Mein Shamil Ho Jayega.

Is Hawale Se Hazrat Mufti Taqi Usmani Sahab Damat Barkatuhum Aaliya Farmate hain:

“Agar Koi Shaks In Do Wajah Se 15 Sha’ban Ka Rozah Rakhe, Aik Is Waja Se Ke Ye Sha’ban Ka Din Hai [Aur Maahe Sha’ban Ke Roze Masnoon Hain], Dusre Is Wajah Se Ke Ye 15 Tareeq Ayyame Beez Mein Dakhil Hai, Agar Is Niyyat Se Rozah Rakh Le To InshaAllah Muajjabe Ajr Hoga, Lekin Khaas 15 Tareekh Ki Khususiyat Ke Lihaz Se Is Roze Ko Sunnat Qarar Dena Baaz Ulama Ke Nazdeek Durust Nahin.” (Islahi Khutbat : Jild 4 : Safah 268)

 

 “Kisi Ke Paas Koi Cheez Dekh Kar Us Se Hasad Na Ki Jiye!! Ho Sakta Hai Ke Woh Cheez Us Ke Liye Aazmayish Ya Imtehan Ho!!

 

✦......♥ Masayel Mein Ghiri Zindagi Ka Raaz! ♥......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Trials will not cease afflicting the believing man and the believing woman in their self, children, and wealth, until they meet Allah without having any sin."

Urdu Translation: Nabi Akram (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Momin Mard o Aurat Par Aazmayishen (Aur Musibaten) Aati Rehti Hain, Kabhi Us Ki Zaat Par, To Kabhi Aulad Par Aur Kabhi Maal Par (Aur Har Aazmayish Par Sabr Ke Natije Us Ke Gunah Dhulte Rehte Hain), Yahan Tak Ke Jab Woh (Mar Kar) Allah Ta’ala Se Mulaqat Karta Hai To Gunahon Se Bilkul Saaf Ho Jata Hai.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2399]

 

✦....► Khush Haali o Bad Haali Donon Mein Sadaqah! ◄....✦

⇨ "Race with one another towards Forgiveness from your Lord and towards a paradise the width of which spans the heavens and the earth. It has been prepared for the God-fearing, the ones who spend (for Allah’s sake) in prosperity and adversity, and those who control anger and forgive people. And Allah loves those who are good in their deeds,." (Qur'an 3:133,134)

⇨ Irshade Bari Ta’ala Hai: “Aur Apne Rab Ki Taraf Se Maghfirat Aur Woh Jannat Hasil Karne Ke Liye Aik Dusre Se Badh Kar Tezi Dikhao Jis Ki Chaodayi Itni Hai Ke Is Mein Tamam Aasman Aur Zameen Sama Jayen, Woh Un Parhezgaron Ke Liye Tayyar Ki Gayi Hai, Jo Khush Haali Aur Bad Haali Mein Bhi (Allah Ke Liye) Maal Kharch Karte Hain Aur Jo Ghusse Ko Pi Jane Aur Logon Ko Muaaf Kardene Ke Aadi Hain, Allah Aise Naik Logon Se Mohabbat Karta Hai.” (Surah Al-Imran:133,134)

 

“Jab Aik Irani Ne Apni Beti Se Kaha Ke Beti Bahar Kisi Ko Mat Batana Ke Main Safayi Wala Hun Woh Tumhara Mazaq Banayenge To Beti Ne Apne Walid Ke Sath Tasweer Banakar Social Media Par Upload Kardi Aur Sath Mein Likh Diya Ke Mere Walid Galiyon Mein Jhadu Lagate Hain Aur Mujhe Apne Walid Par Fakhr Hai.”

 

●◗► Hamare Bahot Se Ahbab Aur Rishtedar Guzashta Saal Hamare Sath Hi Ramadan Al-Mubarak Ke Muntazir The, Lekin Aaj Woh Is Dunya Se Ja Chuke Hain Aur Hamari Bahot Si Duaon Aur Isale Sawab Ke Muntazir Hain Ta Ke Woh Apni Qabron Mein Rahat Ka Saman Pa Saken!! Aye Allah! Tamam Marhumeen Ki Kamil Maghfirat Farma. (Aameen)

 

✦...♥ Sha'ban: Ramadan Al-Mubarak Ke Intezar ka Mahina ♥...✦

Narrated Aisha, Ummul Mu'minin RadiyAllahu Anha: "The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) used to count the days in Sha'ban in a manner he did not count any other month; then he fasted when he sighted the new moon of Ramadan; but if the weather was cloudy he counted thirty days and then fasted."

[Sunan Abi Dawud :: Book 13 :: Hadith 2318, 2325]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha farmati hain ke "RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Sha'ban (ki tareekhen) ko yaad rakhne ka jis qadar Ehtemam farmate itna kisi Dusre mahine (ki tareekhon) ka Ehtemam nahi farmate (kyun ke Sha'ban ke Ekhtetam par Ramadan ke Aagaz ka madar hai) phir Jab Ramadan ka chand Nazar Aata to roze rakhte, aur Agar Matla’a Abar Alood hone ki wajah se (29 sha'ban ko) Chand nazar na Aata to (sha'ban ke) 30 din poore farmate aur phir Roze rakhte."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 555, 2327]

 

 “Bahot Se Log Aap Ke Liye Kuch Nahin Kar Sakte Lekin Un Se Baten Sirf Isliye Acchi Lagti Hain Ke Un Ki Musbat Baton Se Aik Sahara Milta Hai.”

 

✦.........► Dayyoos Aur Rajula Kon? ◄.........✦

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “3 Log Jannat Mein Kabhi Bhi Dakhil Nahin Honge: ❶ Dayyoos ❷ Rajula ❸ Aur Sharab Ka Aadi, Arz Kiya Gaya: Ya RasoolAllah ﷺ! Sharab Ke Aadi Ko To Ham Ne Pehchan Liya Lekin “Dayyoos” Se Kon Murad Hain? Aap (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Jise Is Baat Ki Parwah Na Ho Ke Us Ke Ghar Walon Ke Paas Kon Log Aarahe Hain (Mahram Hain Ya Ghair Mahram? Un Se Pardah Zaroori Hai Ya Nahin)? Phir Pucha Gaya: Rajula Se Kon Murad Hain? Aap (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Woh Aurten Jo Mardon Ki Mushabihat Ekthiyar Karen.”

(Shuab ul Iman Al-Bayhaqi: 10800)

 

 

Ummate Muslima Ke Liye Lamha Fikriyah: “Tum Kisi Qaum Ko Baghair Kisi Jang Ke Harana Chahte Ho To Us Ki Naujawan Nasal Mein Fahashi Aur Uryaniyat Ko Aam Kardo.” (Sultan Salahuddin Ayyubi)

 

“Log Sirf Khud Ke Sage Hote Hain, Aap Sari Umr Kisi Ke Khair Khuah Ho Jayen Bus Zarasi Ghalti, Ghalat Fehmi Ya Badgumani Ki Dair Hai Aap Ki Bhalayi Aap Ke Khuloos Samait Muh Par Maardi Jayegi.”

 

✦........► Badi Badi Moonchein Rakhna! ◄........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Whoever does not take from his mustache, then he is not from us."

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Jo Apni Moonchein Choti Na Karwaye Woh Ham Mein Se Nahin.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 5 :: Book 41 :: Hadith 2761]

●◗► Moonchein Itni Badhana Ke Woh Upar Wale Hont Ki Lakeer Se Tajawuz Kar Jayen Aur Khane Pine Ki Ashya Mein Lagen Shar’an Durust Nahin Aur Aisa Karna Gunah Aur Pakad Ka Sabab Hai.

 

✦.....► Dosti Aur Dushmani Mein Miyanarwi Se Chalen! ◄.....✦

Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu Ne Irshad Farmaya: “Dost Se Aik Had Tak Dosti Karo Kyun Ke Mumkin Hai Woh Aik Din Tumhara Dushman Ho Jaye Aur Dushman Se Bhi Aik Had Tak Hi Dushmani Rakho Ke Shayad Woh Kisi Din Tumhara Dost Ban Jaye.” [Shuab ul Iman Al-Bayhaqi : 6593]

عن علي رضي الله عنه أنه كان يقول أحبب حبيبك هونا ما عسى أن يكون بغيضك يوما وما أبغض بغيضك هونا ما عسى أن يكون حبيبك يوما ما
(شعب الایمان للبیھقی:6593باب الاقتصاد في النفقة وتحريم أكل المال الباطل)


✦ 27 Rajab, 583 Hijri: Faateh Baitul Muqaddas ✦
✦....♥ Sultan Salahuddin Ayubi (Rahimahullah) ♥...✦

Sultan Salahuddin Yusuf Bin Ayub, San 1138 Mein Maujudah Iraq Ke Shaher Tikrit Mein Paida Hue, Sultan Salahuddin Ayubi (Rahimahullah) Ne Misar, Sham, Yemen, Iraq Aur Sham Par Hukumat Ki Aur 20 Saal Ke Arse Mein Taqriban 100 Se Zayed Jungen Ladin, Jin Mein Woh Salebiyon Aur Europe Ki Mushtarka Afwaj Ko Musalsal Shikast Se Do Char Karte Rahe Aur Bil Aakhir Sar Zameene Muqaddas, Philistine Se Unhen Piche Dhakail Kar 1187 Mein Baitul Muqaddas Bhi Un Se Aazad Karwa Liya, Baitul Muqaddas Taqriban Aik Sadi Tak Salebiyon Ke Qabze Mein Rehne Ke Baad Sultan Salahuddin Ayubi (Rahimahullah) Ki Koshishon Se Aazad Hua, Dunyae Maghrib Ne Aisa Dilair, Nidar Aur Rahem Dil Faateh Shayad Hi Dekha Ho.

Baitul Muqaddas Ki Fateh Salahuddin Ayubi Ka Azeem Al-Shan Kaarnama Tha, Sultan Salahuddin Ayubi (Rahimahullah) Ne 28 Safar, Sun 589 Hijri Bamutabiq 1193 Mein Wafat Payi Aur Sham Ke Maujudah Darul Hukumat Damishq Ki Masjid Umayyah Mein Unhen Supurd Khaak Kiya Gaya.

 

✦.........♥ Maa Ke Qadmon Tale Jannat! ♥.........✦

It was narrated from Mu'awiyah bin Jahimah As-Sulami, that Jahimah RadiyAllahu Anhu came to the Prophet (ﷺ) and said: "O Messenger of Allah! I want to go out and fight (in Jihad) and I have come to ask your advice." He said: "Do you have a mother?" He said: "Yes." He said: "Then stay with her, for Paradise is beneath her feet."

Urdu Translation: Hazrat Jahimah RadiyAllahu Anhu Nabi Akram (ﷺ) Ki Khidmat Mein Hazir Hue Aur Arz Kiya: Ya RasoolAllah (ﷺ)! Main Ne Jihad Mein Shirkat Ka Iradah Karliya Hai Aur Aap Ki Khidmat Mein Mashwarah Karne Ke Liye Hazir Hua Hun, Aap (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Kya Tumhari Waldah Zindah Hain? “Unhon Ne Arz Kiya Ji Han, Aap (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Phir To Tum Un Ki Khidmat Karo Kyun Ke Jannat Un Ke Paon Ke Niche Hai.”

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 1 :: Book 25 :: Hadith 3106, 3104]

 

✦........► Safare Meraj Ke Ibrat Naak Mushahedat! ◄........✦

❶ Gheebat Aur Musalman Ki Aabru Rezi ki Waja Se Khofnak Azab: RasoolAllah (ﷺ) Ne Meraj Ke Safar Mein Dekha Ke Logon Ki Ghibat Aur Aabru Rezi Karne Walon Ke Nakhun Tanbe Ke The Aur Woh Un Se Apne Chehron Aur Sinon Ko Buri Tarah Noch Rahe The.

❷ Jinsi Be Raah Rawi Mein Mubtela Logon Ka Bhayank Anjam: Halal Biwi Ya Halal Shohar Ko Chhod Kar Haram Aur Badkari Ka Irtekab Karne Wale Mard o Aurton Ko Aap (ﷺ) Ne Dekha Ke Woh Saaf suthra Pakizah Gosht Chhod kar Sada hua Badbudar Gosht khane Ka Azab Bhugat Rahe Hain.

❸ Yateemon Ka Maal Khane Walon Ka Ibrat Naak Anjam: RasoolAllah (ﷺ) Ne Yatimon Ka Maal Nahaq Khane Walon Ko Dekha Ke Un Ke Hont Oont Ke Honton Ki Tarah The Aur Wo Apne Muh Mein Pattharon Jaise Angare Thons Rahe The Jo Dusri Janib Pakhane Ke Raste Se Nikal Rahe The.

❹ Sood Khoron Ko Dardnak Azab: Aap (ﷺ) Ne Sood Khoron Ko Dekha Ke Un Ke Pait Gharon Ki Manind Kushadah Aur Bade The Jin Mein Sanp The Jo Pait Ke Bahar Se Nazar Aarahe The.

❺ Shohar Ke Sath Khayanat Karne Wali Aurton Ka Haal: Aap (ﷺ) Ne Aisi Aurton Ko Dekha Ke Un Ke Sinon Mein Bade Bade Tedhe Kante Chubha Kar Unhen Aasman o Zameen Ke Darmiyan Latka Diya Gaya Tha.

❻ Be Aml Wa’zon Aur Khateebon Ka Anjam: Dusron Ko Nasihat Aur Khud Us Par Aml Na Karne Wale Khateebon Aur Wa’zon Ka Haal Aap (ﷺ) Ne Ye Dekha Ke Un Ki Zubanen Lohe Ki Qainchi Se Kaati Ja Rahi Hain Aur Jab Cut Jati Hain To Phir Pehle Ki Tarah Sahih o Salim Ho Jati Hain.

❼ Jannat Ki Khushbu Aur Jahannam Ka Sadan Badbu: Aap (ﷺ) Ka Guzar Jab Jannat Par Hua To Wahan Thande Aur Khushbudar Hawa Ke Jhonke Aarahe The Aur Jab Jahannam Par Guzar Hua To Aap Ne Sakht Badbu Mahsoos Farmayi.(Makhuz Az Ahadis Mubarka o Kutub Sirat).

 

●◗► Social Media Par Rajab Ki 27 Shab Se Mutalliq Ahadees, Paighamaat, Makhsoos Ibadaat Aur Wazayef Par Mushtamil Posts Aap Ko Gardish Karti Nazar Aayengi, Yaad Rakhen Ke In Sab Ki Koi Haqiqat Nahin!
 

✦...........♥ Musalman Aurat ♥...........✦

Aik Aurat Ne Kisi Aalim Se Pucha: Islam Ne Hamen Shohar Ki Ita’at Aur Farmanbardari Ka Paband Kyun Banaya Hai?

Jab ke Shohar Ko Hamari Ita’at Ka Paband Nahin banaya Gaya?

Aalim Ne Pucha: Is Shohar Se Tere Kitne Bete Hain?

Aurat Boli: 3 Bete Hain.

Is Par Aalim Ne Jawab Diya: Allah Ne Tujhe Aik Mard Ki Ita’at Ka Hukum Diya…Aur Teen Mardon Ko Teri Ita’at Ka Hukum Diya…Tere Sath Accha Muamla Kiye Baghair Woh Teenon Mard Hargiz Jannat Mein Dakhil Nahin Ho Sakenge…Ab Tu Hi Bata Ke Zyadah Paband Kon Hai???

Aurat Ne Jawab Diya: Beshak! Islam Ki Nemat Par Main Allah Ka Shukr Ada Karti Hun…♥

No comments:

Post a Comment