Pages

Saturday, 15 May 2021

✦.........♥ Maahe Shawwal Ke 6 Roze ♥.........✦

Abu Ayyub al-Ansari (Allah be pleased with him) reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: “He who observed the fast of Ramadan and then followed it with six (fasts) of Shawwal. it would be as if he fasted perpetually.”

Urdu Translation: Hazrat Abu Ayyub Ansari RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Jis Ne Ramadan Al-Mubarak Ke Roze Rakhe Aur Is Ke Baad Maahe Shawwal Mein Che (6) Nafli Roze Rakhe To Use Saal Bhar Ke Rozon Ka Sawab Milega.”

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2614, 1164]


•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•
Abuzar Ki Janib Se Tamam Chahne Walon ko Eid Mubarak
•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala ham Sab ke Rozon, Taraweeh, Zikr o Tilawat aur Tamam Ibadaat ko Apni Bargaah Mein Qubool Farma kar Hamen Baar Baar Ramadan Al-Mubarak ki Bahaaren aur Eid ki Sacchi Khushiyan Naseeb Farmaye. (Aameen).

 

✦......♥ Eid ki Mubarak Baad Dene ka Tariqa ♥......✦

Hazrat Wathla RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main ne Eid ke din Nabi Kareem ﷺ se Mulaqat ki aur Main ne kaha: "Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' "Allah Ta’ala hamare aur aap ke Naik Aa’maal Qubool Farmaye."

Nabi Kareem ﷺ ne Irshad Farmaya: "Han Han zaroor! 'Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' Allah paak Hamare aur Aap ke Naik Aa’maal Qubool Farmaye."

[Sunan Al-Kubra Al-Bahaqi :: Hadith 6088]

 

✦......✿.....♥ Eid Ul-Fitr ki Sunnaten ♥.....✿......✦

❶ Subah Sawere (Namaze Fajr Se Qabl) Bedar Hona.
❷ Miswak Karna.
❸ Gusul Karna.
❹ Shariat Ke Hudud Mein Rehte Hue Zaib o Zeenat Ekhtiyar Karna.
❺ Khushbo Lagana.
❻ Eid Gaah Jane Se Pehle Koi Meethi Cheez Maslan Khajur Wagherah Khana.
❼ Jald az Jald Eid Gaah Pahonchna, Paidal Jana Aur Wapsi Par Dusra Rasta Ekhtiyar Karna.
❽ Agar Sadaqah Fitr Ada Na kiya Ho To Eid Gaah Jane Se Pehle Ada Karna.
❾ Eid Ki Namaz, Eid Gaah Mein Padhna.
➓ Raste Mein
اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد
"Allahu Akbar Allahu Akbar La ilaaha illallahu Wallahu Akbar, Allahu Akbar Walillahil Hamd!" Aahista Aawaz Mein Padhna.

 

✦.......♥ Ramadan Aur Eid Ka Chand ♥.......✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) or Abul-Qasim said: "Start fasting on seeing the crescent (of Ramadan), and give up fasting on seeing the crescent (of Shawwal), and if the sky is overcast (and you cannot see it), complete thirty days of Sha'ban."

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Chand Dekh Kar Roze Shuru Karo Aur Chand Dekh Kar Hi Roze Khatam Karo (Yani Eid ul-Fitr Manao) Aur Agar Baadal Chaye Hue Hon (Aur Badalon Ki Wajah Se Chaand Nazar Na Aaye) To Sha’ban Ke 30 Din Pure Karlo.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 133, 1909]

 

✦.......♥ Masjid Aqsa Musalmanon Ka Qibal Awwal ♥.......✦

Narrated Al-Bara RadiyAllahu Anhu: We prayed along with the Prophet (ﷺ) facing Jerusalem for sixteen or seventeen months. Then Allah ordered him to turn his face towards the Qibla (in Mecca)."

Urdu Translation: Hazrat Bara Bin Azib RadiyAllahu Anhu Farmate Hain: “Ham Ne Nabi Kareem g Ke Hamrah 16 ya 17 Mahine Tak Baitul Muqaddas Ki Taraf Muh Kar Ke Namaz Padhi, Phir Allah Ta’ala Ne Hamen Kaba Ki Taraf Ruk Karne Ka Hukum Diya.”

[Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Book 60 :: Hadith 19, 4492]

●◗► Jab Tak Musalmanon Ke Liye Baitullah Qibla Muqarrar Nahin Hua Tha, Us Waqt Tak Musalmanon Ka Qibla Awwal “Masjid Aqsa” Thi, Is Khuli Haqiqat Ko Samne Rakhte Hue Musalmanon Ke Dil Mein Masjid Aqsa Ka Jo Muqam Hona Chahiye Woh Bilkul Wazeh Hai.

 

✦ Masjid Aqsa Ruye Zameen Par Baitullah Ke Baad Dusri Masjid! ✦

Abu Dharr RadiyAllahu Anhu reported: I said: Messenger of Allah, which mosque was set up first on the earth? He said: Al-Masjid al-Haram (the sacred). I (again) said: Then which next? He said: It was the Masjid Aqsa. I (again) said: How long the space of time (between their setting up)? He (the Holy Prophet) said: It was forty years.

Urdu Translation: Hazrat Abu Dharr Ghifari RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Main Ne Pucha: Ya RasoolAllah ﷺ! Ruye Zameen Par Sab Se Pehle Konsi Masjid Tameer Ki Gayi? Aap ﷺ Ne Jawab Diya: “Al-Masjid Al-Haram” Main Ne Phir Sawal Kiya: Is Ke Baad Konsi Masjid Tameer Ki Gayi? Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Al-Masjid Al-Aqsa” Main Ne Pucha" In Dono Ki Tameer Ke Dauran Kitna Waqfa Hai? Aap ﷺ Ne Jawab Diya “40 Saal”.

[Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 1056, 520]

 

Ramadan Al-Mubarak Ki Baqi Chand Babarkat Ghadiyon Bilkhusus Saher o Iftar Ke Waqt Mazloom Ahle Falasteen Aur Qibla Awwal Ki Rihayi Ke Liye Khususi Duaon Ka Ehtemam Farmayen.

Ya Allah Be Sahara Falasteeniyon Ki Madad o Nusrat Farma Aur Qibla Awwal Masjid Aqsa Ko Kafiron Se Rihayi Ata Farma. (Aameen)

 

✦.......♥ Tarbooz (Watermelon) Garmi Ka Tod ♥.......✦

Narrated Aisha, Ummul Mu'minin RadiyAllahu Anha: The Messenger of Allah (ﷺ) used to eat melon with fresh dates, and he used to say: "The heat of the one is broken by the coolness of the other, and the coolness of the one by the heat of the other."

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke Nabi Kareem ﷺ Tarbooz Ko Tar Khajoor Ke Sath Mila Kar Khaya Karte The Aur Farmaya Karte The: "Ham Khajoor Ki Garmi Ko Tarbooz Ki Thandak Se Aur Tarbooz Ki Thandak Ko Khajoor Ki Garmi Se Tod Te Hain."

[Sunan Abu Dawood :: Book 27 :: Hadith 3827, 3836]

 

✦............♥ Shabe Qadr Ki Alamaten ♥............✦

A Hadith reported by Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu indicates that it is a moderate night, neither hot nor cold. He said that The Messenger of Allah ﷺ said: Laylut al-Qadr is an easy and moderate night. It is neither hot nor cold.. On the morning following it, the sun rises weak (in light) and reddish.

(Recorded by Ibn Khuazaimah, al-Bayhaqi, and others. Verified to be authentic by al-Albani (Sahih Al-Jami: 5475)

Urdu Translation: Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Anhuma Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Shabe Qadr Ki Nishaniyon Ke Bare Mein Farmaya: “Shabe Qadr Narmi o Aasani Wali Aur Khushgawar Hoti Hai, Ye Raat Na Zyadah Garm Na Zyadah Thandi Balke Motadil Hoti Hai Naiz Shabe Qadar Ki Subah Suraj Ki Roshni Baghair Shua’a Ke Kamzor Aur Surkhi Mayel Hoti Hai.”

[Musnad al-Thayalisi :: 2680, Sahih Al-Jami :: 5475]

 

✦.....► Shabe Qadr Ki Barkaat Se Mahroom Na Rahen! ◄.....✦

It was narrated that Anas bin Malik said: “Ramadan began, and the Messenger of Allah (ﷺ) said: ‘This month has come to you, and in it there is a night that is better than a thousand months. Whoever is deprived of it is deprived of all goodness, and no one is deprived of its goodness except one who is truly deprived.’”

Urdu Translation: Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Jab Ramadan Ka Mahina Aaya To RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Tum Par Ye Mahina Aachuka Hai, Is Mein Aik Raat Hai Jo Hazar Mahinon Se Behtar Hai, Jo Shaks Is Raat Se Mahrum Raha Wo Sari Hi Bhalayyon Se Mahroom Raha Aur Is Raat Ki Bhalayi Se Wahi Shaks Mahroom Rah Sakta Hai Jo Waqeyi Bada Mahroom Ho.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 7 :: Hadith 1644 1644]

 

✦........♥ Shabe Qadr Palene ka Aasan Nuskha ♥........✦

RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: "Shabe Qadr ko Ramadan Al-Mubarak ke Aakhir Ashre ki Taaq Raaton mein Talash karo." ► Allah's Messenger (ﷺ) said: "Search for the Night of Qadr in the odd nights of the last ten days of Ramadan." (Sahih Bukhari: 2017)

Shabe Qadr ka Ramadan ke Aakhir Ashre ki Taaq Raton mein hona Muta’yyan hai lehaza Agar Aakhir Ashre ki Taaq raton (21, 23, 25, 27, 29) mein se har har Raat ko darj Zail Aa’mal kar Liye jayen to Allah ki zaat se Bhar pur Ummid hai ke ham Shabe Qadr ki Barkaat aur Hazaar Mahinon ki Ibadat ka Sawab pa Sakenge.

❶ Isha aur Fajr ki Namaz ba’Jamat ada kare, (Jis ne Isha o Fajr ba Jama’at ada ki to use Puri Raat ibadat ka sawab milta hai).
❷ Teesra kalimah aur Durood Shareef ka Ehtemam karen.
❸ Kam az kam aik Parah Qur’an Majeed ki Tilawat karen.
❹ Kam se kam 2 Rakat Salaat at-Taubah Padhen.
❺ Apne Gunahon par Roro kar Allah se Muafi mangen.

 

✦..........♥ Shabe Qadr Ki Khusoosi Dua ♥..........✦

Narrated Aishah RadiyAllahu Anha: "I said: ‘O Messenger of Allah ﷺ what is your view if I know when the Night of Al-Qadr is, then what should I say in it?" He ﷺ said: ‘Say:

اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
'Allahumma Innaka Afuwwun Tuhibbul-Afwa Fa’fu Anni'
"O Allah, indeed You are Pardoning, You love pardon, so pardon me"

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Aishah RadyAllahu Anha Farmati hain ke Main ne Aap ﷺ se Arz kiya: “Ya RasoolAllah! Agar Mujhe Shabe Qadr Ka Pata Chal Jaye To Main Kya Dua Mangun? Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke Ye Dua Padho:
اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
'Allahumma Innaka Afuwwun Tuhibbul-Afwa Fa’fu Anni'
''Aye Allah! Beshak Aap Muaaf Karne Wale Hain Aur Muaaf Karne Ko Pasand Karte Hain, Pus Mujhe Bhi Muaaf Farmaden.''

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3513]

 

✦............♥ SADAQAT-ul-FITR ♥............✦

Narrated Abdullah ibn Abbas RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (ﷺ) prescribed the sadaqah (alms) relating to the breaking of the fast as a purification of the fasting from empty and obscene talk and as food for the poor. If anyone pays it before the prayer (of 'Id), it will be accepted as zakat. If anyone pays it after the prayer, that will be a sadaqah like other sadaqahs (alms).

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma Se Riwayat Hai: “RasoolAllah ﷺ Ne Sadaqa e Fitr Ko Farz Qarar Diya Taa Ke Rozah Daar Ki (Rozon Ke Dauran) Fuzool Baton Aur Fahesh Kalami Se Safayi Ho Jaye Aur Masakeen Ke Liye Khane Pine Ka Bandobast Ho Jaye, Jo Koi Sadaqa e Fitr Ko Namaz Se Pehle Ada Karle To Ye Maqbool Sadaqa e Fitr Hai Aur Jo Namaz Ke Baad Ada Kare To Ye Aam Sadaqat Mein Se Aik Sadaqah Hoga.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 9 :: Hadith 1605, 1609]

 

✦......♥ Shabe Qadr Saal Ki Qeemti Tareen Raat! ♥......✦

❶ Raat: 83 Saal Ki Ibadat Se Afzal
❶ Ghanta: 9 Saal Ki Ibadat Se Afzal
❶ Minute: 55 Din Ki Ibadat Se Afzal
❶ Second: 22 Ghanton Ki Ibadat Se Afzal

●◗► Lehaza Har Har Second Se Faidah Uthayyen! Aur Aakhri Ashre Ki Har Taaq Raat Mein Allah Ka Zikr, Quran Ki Tilawat, Astaghfar Ki Kasrat, Tahajjud, Allah Ka Zikr, Sadaqa Khairat Aur Khoob Duaon Ka Ehtemam Karen! 

 

✦.....► Ramadan Guzar Gaya Aur Maghfirat Na Ho Saki! ◄.....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “May a man upon whom Ramadan enters and then passes, before he is forgiven, be humiliated."

Urdu Translation: RasoolAllah Ne Irshad Farmaya: “Khak Alood Ho Us Shaks Ki Naak (Yani Barbadi Ho Us Ke Liye) Jis Par Ramadan Ka Mahina Aaye Aur Us Ki Maghfirat Hone Se Pehle Hi Khatam Jaye.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3545, 3545]

 

✦........♥ Roze Ke Ruhani Fawayed ♥........✦

✔ Roze Ki Halat Mein Halal o Pakizah Cheezon Se Bachne Ki Wajah Se Sara Saal Haram Cheezon Se Bachne Ki Salahiyat Insan Mein Paida Hoti Hai Aur Isi Ka Naam Taqwa Hai.

✔ Aam Dinon Mein Allah Ki Nematon Ka Ehsas Nahin Hota Lekin Jab Insan Rozah Rakh Kar Sara Din Bhook Aur Pyaas Bardasht Karta Hai Aur Phir Iftar Ke Waqt Allah Ki Nematon Se Mustafeed Hota Hai To Rooh Aur Badan Ka Ruwan Ruwan Allah Ki Nematon Ke Ehsas Aur Shukr Guzari Mein Doob Jata Hai.

✔ Rozah Rakhne Se Haram Lazzaton Ki Talab Aur Un Ki Taraf Dhyan Khud Ba Khud Kam Ho Jata Hai Jis Ki Wajah Se Saal Bhar Nafs Ki Shahwat Aur Haram Lazzaton Par Qabon Pana Insan Ke Liye Aasan Ho Jata Hai.

✔ Rozah Rakhne Aur Bhook o Pyaas Bardasht Karne Se Allah Ke Hukum Par Apna Sab Kuch Qurban Karne Ka Jazba Paida Hota Hai.

✔ Roze Mein Bhook Bardasht Karne Se Insan Ko Bhook Ki Takleef Ka Ehsas Hota Hai, Jis Ki Wajah Se Us Ke Dil Mein Ghurba Aur Masakeen Se Hamdardi Paida Hoti Hai Aur Wo Allah Ki Raah Mein Dil Khol Kar Apna Maal Kharch Karne Par Aamadah Ho Jata Hai. 

 

✦.....♥ Aik Din Mein Do Rozon Ka Sawab ♥.....✦

The Messenger of Allah ﷺ said: "Whoever provides the food for a fasting person to break his fast with, then for him is the same reward as his (the fasting person's), without anything being diminished from the reward of the fasting person."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Ne Kisi Rozah Daar Ko Iftar Karaya To Us Ke Liye Bhi Rozah Daar Ke Barabar Sawab Hai Aur Us Se Rozah Daar Ke Sawab Mein Bhi Koi Kami Nahin Hoti.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 3 :: Hadith 807, 807]

 

 

✦......♥ Ramadan Al-Mubarak Ki Baharen! ♥......✦

❶ Ramadan Al-Mubarak Mein Jahannam ke Darwaze band Kar diye Jate hain.
❷ Jannat ke Darwaze khol diye Jate hain.
❸ Sarkash Shayateen Qaid kar diye Jate hain.
❹ Ramadan Al-Mubarak Nuzoole Quran ka Mahina hai.
❺ Ramadan Al-Mubarak ke Roze Farz Qarar diye gaye.
❻ Ramadan Al-Mubarak mein ibadaat ka Ajr kayi Guna badha diya jata hai.
❼ Ramadan Al-Mubarak mein Umrah ka Sawab Hajj ke Barabar hai.
❽ Ramadan Al-Mubarak mein iftari ke Waqt aur har Raat ko Allah Ta’ala apne Bandon ko Jahannam se Aazad farmate hain.
❾ Ramadan Al-Mubarak mein Lailatul Qadr ki Aik Raat hai jo Hazaar Mahinon se Afzal hai.
❿ Ramadan Al-Mubarak, Muafi, Rehmat, Maghfirat aur Jahannam se Aazadi ka Mahina hai.

 

Rozah Sirf Bhuka Pyasa Rehne Ka Naam Nahin Balke Rozah Apni Ana, Takabbur Aur Gunahon Ko Khatam Karne Ka Naam Hai!!!

 

✦.........► Rishtedaron Ko Zakat Di Ja Sakti Hai? ◄.........✦

Hajat Mand Aur Sharyi Taur Par Mustahiqe Zakat Rishtedaron Ko Zakat Dena Na Sirf Ye Ke Jayez Hai Balke Is Mein Dohra Sawab Hai, Aik Sawab Zakat Ka Aur Dusra Sila Rehmi Ka, Bhai, Bahen, Bhatija, Bhatiji, Bhanja, Bhanji, Chacha, Phupi, Khala, Mamu, Saas, Sasur, Damad Wagherah Mein Se Jo Zarurat Mand Aur Mustahiq Zakat Hon, Unhen Zakat Di Ja Sakti Hai Aur Zakat Dete Waqt Ye Batana Bhi Zaroori Nahin Ke Ye Raqam Zakat Ki Hai.

Albatta Darj Zail Rishtedaron Ko Zakat Dena Jayez Nahin:

❶ Usool: Yani Jin Se Paida Hua Hai, Maa, Baap, Dada, Dadi, Nana, Nani Wagherah (Sauteli Maa Usool Mein Dakhil Nahin, Lehaza Use Zakat Dena Jayez Hai).
❷ Furoo: Yani Aulad, Beta, Beti, Pota, Poti, Nawasa, Nawasi Wagherah.
❸ Miya Biwi Aik Dusre Ko Zakat Nahin De Sakte, Talaq Ke Baad Bhi Jab Tak Iddat Nahin Guzar Jati Zakat Dena Jayez Nahin.

 

✦.........► Nisabe Zakat: Zakat Kis Par Farz Hai? ◄.........✦

Jo Aaqil o Baligh Musalman (Mard Ho Ya Aurat) Malik Ban Jaye:

❶ Sadhe Sath Tola (87.480 Gram) Sone (Gold) Ka…Ya
❷ Sadhe Bawan Tola (612.360 Gram) Chandi (Silver) Ka…Ya
❸ Sadhe Bawan Tola Chandi Ki Qeemat Ke Barabar Raqam (Currency) Ka (April 2021 Ke Rate Ke Mutabiq Taqriban 45,253/- Rupe Ka)…Ya
❹ Sadhe Bawan Tola Chandi Ki Qeemat Ke Barabar Maale Tijarat Ka (Maal Tijarat Se Muraad Woh Cheez Jise Aage Farokht Ki Niyyat Se Khareeda Ho Aur Ye Niyyat Abhi Tak Baqi Ho)…Ya
❺ Darje Bala Charon Amwale Zakat (Sona, Chandi, Currency, Maal Tijarat) Mein Se Kisi Do Ya Teen Ya Chaar Ke Majmuye Ka….Aur Woh Majmuah Sadhe Bawan Tola (612.360 Gram) Chandi Ki Qeemat Ke Barabar Pahonch Jaye…

To Aisa Shaks Sahibe Nisab Kehlaye ga Aur Jis Qamri Tareekh Ko Woh Sahibe Nisab Bana, Woh Tareekh Us Shaks Ke Zakat Ke Hisab Ki Tareekh Ke Taur Par Tai Ho Jaye gi Aur Agle Qamri Saal Ki Usi Tareekh Par Agar Ye Sahibe Nisab Raha To Is Par Amwale Zakat 2.5% Feesad Nikalna Farz Hoga, Neez Agar Sahibe Nisab Par Qarz Wagherah Ho To Amwale Zakat Ko Jama Kar Ke Qarz Ko Is Minha (Minus) Kiya Jaye, Is Ke Baad Bhi Agar Nisab Ke Baqadar Maal Baqi Bache To Zakat Farz Hogi Warna Nahin, Aur Agar Sahibe Nisab Ka Kisi Par Qarz Wagherah Ho Aur Qarz Ki Wusuli Ki Ummid Bhi Ho To Use Amwal Zakat Mein Shamil Karne Ke Baad Kul Maal Ki Zakat Nikali Jaye Aur Agar Qarz Ki Wusuli Ki Ummid Na Ho To Use Shamil Karne Ki Zarurat Nahin.

✦.......► Gharon Mein Masjid Banayen! ◄.......✦

Narrated Aisha, Ummul Mu'minin RadiyAllahu Anha: "The Messenger of Allah (ﷺ) commanded us to build mosques in different localities (i.e. in the locality of each tribe separately) and that they should be kept clean and be perfumed."

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke RasoolAllah (ﷺ) Ne Gharon Mein Masjiden Banane (Yani Namaz Ki Jaga Mutayyan Karne), Unhen Paak Saaf Rakhne Aur Unhen Khushbu Se Muattar Karne Ka Hukum Diya.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 2 :: Hadith 455, 455]

 

 

Miqdare Zakat Maloom Karne Ke Aasan Formulas!

 

●◗► Koi To Jurm Tha Jis Mein Sabhi Mulawwis Hain, Tabhi To Har Shaks Muh Chupaye Phirta Hai, Ya Arhamar Rahimeen! Hamen Nadamat Ke Sath Sacchi Tauba Karne Ki Toufeeq Marhamat Farmade! Aameen

 

✦.......► Roze ki Halat Mein Muhtat (Ehtiyat) Wudu ◄.......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Perform Wudu well, and go between the fingers, and perform Istinshaq (water sniffed up in the nose) extensively except when fasting."

Urdu Translation: Nabi Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Wuzu Ko Acchi Tarah Se Karo Aur Ungliyon Ka Khilal Karo Aur Naak Mein Bhi Acchi Tarah Se Pani Dalo Han Magar Jab Tum Roze Ki Halat Mein Ho (To Phir Naak Mein Pani Dalte Hue Ehtiyat Karo)."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 3 :: Hadith 788]

 

✦..........♥ Iftar Mein Takheer Na Karen ♥..........✦

The Messenger of Allah ﷺ said: "Allah, Mighty and Sublime is He, said: 'Those of My worshippers who are most beloved to me are the quickest to break their fast.'"

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Allah Ta’ala ka Irshad hai: “Mere Han Mere Bandon Mein Mahboob Tareen Woh (Rozah Daar) Hai Jo (Waqt ho Jane Ke Baad) Iftari Karne Mein Jaldi Kare.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 3 :: Hadith 700]

 

No comments:

Post a Comment