Wednesday, 25 February 2015

✦..✔ Takabbur Karne Walon ka Takabbur Khaak Mein Mila Diay Jayega ✔..✦

Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The proud will be gathered on the Day of Judgement resembling tiny particles in the image of men. They will be covered with humiliation everywhere, they will be dragged into a prison in Hell called "Bulas", submerged in the Fire of Fires, drinking the drippings of the people of the Fire, filled with derangement."

[Jami At-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 11 :: Hadith 2492]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya "Qayamat ke din Takabbur karne wale, Chyuntiyon ki tarah Aadmiyon ki surat mein uthaye Jayenge, har taraf se zillat o Ruswayi unhen dhaanp legi, phir wo log Jahannam ke aik Qaid khane ki taraf Dhakele jayenge Jis ka Naam "Bulas" hai un par Aag cha jayegi aur unhen Dozakhiyon ki peep pilayi jayegi jo sada hua Badbodar kichad hai."

[Urdu Ref :: Jami At-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 379]

●◗► Hain na? Bete ke liye Bahu dhoondne ki Aad mein ghar ghar jakar Protocol lena, Dawat udana aur Aakhir mein dusron ki beti mein koi na koi Aaib nikal ke Manzar se Gayab hojana.

Ajeeb Rasam bangayi hai, Zamana jahiliyat wapas Aagaya hai log Bus dusron ki Betiyon ki izzate Nafs Dilo ko thains pocha kar sukoon mein rehte hain Chahe ► Apne bete mein Dunya jahan ke Aaib ho.

✦............♥ Aqalmand aur Bewaoof ♥............✦

Shaddad bin Aws RadiyAllahu Anhu narrated that the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The clever person ids the one who subjugates his soul, and works for what is after death. And the incapable is the one who follows his desires and merely hopes in Allah."

[Jami At-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 11 :: Hadith 2459]

Urdu Translation: Shaddad bin Aws RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Aqal mand Shaks wo hai jo Apne Nafs ko Allah ke Ehkamaat ka Paband banaye aur marne ke baad ki Tayyari kare aur Bewaquf Shaks wo hai jo Apne Aap ko Nafsani khuaheshaat ke Tabe karde aur Allah Tala se badi badi Ummiden wabaasta rakhe."

[Urdu Ref :: Jami At-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 349]

●◗► Aik dost ke Ghar jana hua wo Apne 6 saala Bete ke sath Cricket khail raha tha, Beta baap ko Out kar ke khush ho raha tha, Baap bete ke samne Out hone aur haar par udaas hone ki Adakari kar raha tha.

◈ Qareeb moujud us ki 4 saala beti, Udaas baap ko daikh kar qareeb aayi aur kehne lagi ♥ Abbu jaan Aap mujhe Ball karaye main Out hojaoungi aur aap Jeet jayenge, Dost ne Muskurate hue Beti ko utha kar Gale se lagaliya aur kehne laga ♥ Is Rishte ka koi Ne’mul badl (Behtareen badla) nahi.

✦..........♥ Gunahon ka Bojh Halka Kijiye ♥..........✦

Narrated Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhu: I heard the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) say: "When the worshipper stands up in prayer, all his sins are brought and placed upon his head and shoulders, so whenever he bows and prostrates, they fall from him."

[Sahih Ibn Hibban :: Hadith 1734, Bahyaqi, Tabaraani]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Irshad Farmate hue suna: "Jab koi shaks Namaz ke liye khada hota hai to us ke Gunah us ke Sir aur Kandhon par rakh diye jate hain, Jab Jab wo Ruku aur Sajdah mein jata hai to wo Gunah girte rahte hain."

[Sahih Ibn Hibban :: Hadith 1734, Bahyaqi, Tabaraani]

●◗► Aik Aadmi Rasta bhool kar Aik khofnak Jangal mein chala gaya tha, sab se pehle Aik Sher us ki raah mein Aaya, Shukr hai ke Sher ka pait us waqt bhara hua tha is liye us ne Aankh utha kar bhi na dekha, kuch Aage jakar Reench us ke piche pad gaya, Insan ne daod lagadi to Reench picha na kar saka.

Nadi kinare Magar mach bhi us par Hamla karne tayyar baithe the lekin wo Nadi se door door chalta raha, Kayi muqamat par Zahrlien sanpon ne dasne ki koshish ki, Insan har baar bach gaya, Raat bhar Jangal mein chalne ke baad Bila Aakhir Jangal se bahar nikal aaya, Bahar Nikalte hi :'( Aik dusre Insan ne use Khanjar Maar kar Qatal kardiya :'(

▶▶▶ Qaid kardiya Sanpon ko ye keh kar Saperon Ne, Ab Insan ko Dasne k liye Insan hi Kaafi Hai. :(

✦...........:( Gunah Rizq se Mahrumi ka Sabab :(...........✦

It was narrated from Thawban RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "A man may be deprived of provision by a sin that he commits."

[Sunan Ibn Majah :: Hadith 4022, Mustadrak Al-Haakim :: Hadith 1814]

Urdu Translation: Hazrat Thawban RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Aadmi Gunah ki Nahusat ki wajah se Rizq se Mahroom kardiya jata hai."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 903, Mustadrak Al-Haakim :: Hadith 1814]

●◗► Aik Aadmi ne Aik chote se Gareeb ladke ko dekha jo us ki besh qeemti Car ko bade gor se daikh raha tha, wo ladke ko apne sath Drive par le gaya, ladke ne kaha aap ki car bahot khoobsurat hai, ye Yaqinan behad qeemti hogi? kitne ki hai ye?

◈ Aadmi ne jawab diya mujhe nahi Maloom mere Bhai ne Tohfa di hai, Ladka hasrat se bola wo kitna Accha hai aap ka Bhai, Aadmi ne pucha tum kya soch rahe ho, kya tum Aisi hi Car lena chahoge? Ladke ne jawab diya, ♥ Main aisa Bhai lena chahunga ♥

► Dene wale se kuch Mangna ho to sab se behtar hai ke use hi Manglu kyun ke phir sab kuch mil jayega to kyu na phir ham  bhi Allah Tala se dunya ki chizen mangne ke bajaye Allah ko hi Manglen ♥ Jis ko Allah mil gaya samjho use sab kuch Milgaya ♥.

✦......¸.•*♥......♥ Aik Sajde par In’aam ♥......¸.•*♥......✦

Ma'dan b. Talha reported: I met Thauban, the freed slave. of Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam), and asked him to tell me about an act for which, if I do it, Allah will admit me to Paradise, or I asked about the act which was loved most by Allah. He gave no reply. I again asked and he gave no reply. I asked him for the third time, and he said:

I asked Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) about that and he said: "Make frequent prostrations before Allah, for you will not make one prostration without raising you a degree because of it, and removing a sin from you, because of it."

[Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 989, 1121]

Urdu Translation: Hazrat Ma'dan b. Abu Talha Ya'mari Rahimullah Farmate hain ke Main ne RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke Gulam Hazrat Thauban RadiyAllahu Anhu se Mulaqat kar ke daryaft kiya: Mujhe aisa Aml batlayye jis ki wajah se Allah Tala mujhe Jannat mein dakhil farmaden, Hazrat Thauban RadiyAllahu Anhu khamosh rahe, Main ne dobarah sawal kiya, wo khamosh rahe, Main ne Teesri baar phir sawal kiya, to unhone Farmaya:

Main ne bhi RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se ye baat puchi thi, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: "Allah Tala ki bargaah mein kasrat se sajde kiya karo, is liye ke tum Allah Tala ki bargaah jo bhi sajdah karoge to Allah Tala us ki waja se tumara aik Darja buland aur Aik Gunah muaf farmadenge."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 2 :: Hadith 1093]

●◗► Agar Aap ko Allah ne Aisi Biwi di hai, jo Apni Nazren jhuka ke rakhti hai ♥ Jis ko kisi Gair Mard ne nahi Chua ♥ aur jo apna Sajna Sawarna aap tak mahdood rakhti hai to Aap ne to Dunya mein hi Jannat ka Ehsaas paaliya ♥ kyun ke ye Khususiyaat to Allah ne Jannat mein Milne wali Hooron ko di hongi.

✦......:'( Jahannam ke sab se Halke Azab ki Holnaki :'(......✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The least tormented of the inhabitants of the Fire would be he who would wear two shoes of Fire and his brain would boil on account of the heat of the shoes."

[Sahih Muslim :: Book 1 :: Hadith 412]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya "Ahle Dozakh mein sab se km Azab pane wala wo shaks hoga jis ne Aag ke 2 Jute pehne honge Jin ki garmi aur Tapish se us ka Dimag khawalta hoga."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 1 :: Hadith 514]

Saturday, 14 February 2015

✦…....♥ Namaze Fajr ke Baad Rizq Halal ki Dua ♥…....✦

It was narrated from Umm Salamah RadiyAllahu Anha that when the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) performed the Subh (morning prayer), while he said the Salam, he would say:

" اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ عِلْمًا نَافِعًا وَرِزْقًا طَيِّبًا وَعَمَلاً مُتَقَبَّلاً "
‘Allahumma inni as’aluka ‘ilman nafi’an, wa rizqan tayyiban, wa ‘amalan mutaqabbalan’ (O Allah, I ask You for beneficial knowledge, goodly provision and acceptable deeds).’”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 5 :: Hadith 925]

Urdu Translation: Hazrat Umm Salamah RadiyAllahu Anha se Marwi hai ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Fajr ki Namaz ke Baad jab Salaam phairte to ye Dua mangte:

" اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ عِلْمًا نَافِعًا وَرِزْقًا طَيِّبًا وَعَمَلاً مُتَقَبَّلاً "
‘Allahumma inni as’aluka ‘ilman nafi’an, wa rizqan tayyiban, wa ‘amalan mutaqabbalan’ (Aye Allah Main Aap se Ilm Nafe, Pakizah o Halal Rizq aur Maqbool Aml ka sawal karta hun)."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 925]

✦..............X 14th February Valentine's Day X..............✦
✦........♥ Mohabbat ka Izhar kis se Kiya Jaye..? ♥........✦

✔ Allah Tala se Mohabbat Karen jis ne ham par In’aamat ki barish kar rakhi hai.
✔ Shafqat o Maherban Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se Mohabbat Karen jo Ummat ki khatir raaton ko Aah o zari Farmate rahe.
✔ Sahaba Ikram se Mohabbat Karen Jin ki qurbaniyo aur Mahnaton ki Wajah se ye Deen ham tak pohcha.
✔ Apne Waldain se Mohabbat Karen Jinhone takleef bardasht kar ke aap ki parwarish ki.
✔ Apne Mahram Rishtedaron se Mohabbat Karen jo har Mushkil mein Aap ke kaam aate hain.
✔ Apni biwiyon se Mohabbat kare Jinhen Allah Tala ne Aap ke liye sukoon o Itminan ka zariya banaya.
✔ Apne phool jaise Bacchon se Mohabbat kare Jinhen Allah Tala ne Aap ke liye Aakhon ki thandak banaya.

●◗► Jab Allah Subhanahu Wa’Tala ne apne Bandon ke fitri Jazba Mohabbat ko pura karne ka Jayez aur Munasib bandobast farmadiya hai to Khudara….! Fahashi o Iryani, Be-hayai o Nafsani khuaheshat par mabni kuffar ke Aeijad kirdah (Valentine’s Day) se Mukammal Ijtenab karen.

●════════════════════◄►═══════════════════●

⇨ "Verily, those who like that (the crime of) illegal sexual intercourse should be propagated among those who believe, they will have a painful torment in this world and in the Hereafter. (Qur'an 24:19)

⇨ "Jo log Musalmano mein Be’hayayi Phailane ke Aarzu mand rahte hain un ke liye Dunya aur Aakhirat mein Dardnaak Azab hain." (Qur'an 24:19)

✦4800 Ahadees RasoolAllah (Sallallahu  Alaihi Wasallam) ka Nichod✦
♥.•*¨)¸.•*♥¸.•´¸.•*¨)¸.•*♥ Sirf Chaar 4 Ahadees ♥.•*¨)¸.•*♥¸.•´¸.•*¨)¸.•*♥

Imam Abu Dawood Rahimullah Farmate hain Main ne Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki 5 Lakh Ahadees likhi hain, un mein se 4800 Ahadees ka Intekhab kar ke unhen Apni kitab Sunan Abu Dawood mein zikr kiya aur phir un 4800 Ahadees mein se sirf 4 Ahadees ka Intekhab kiya aur ye Chaar (4) Aisi Ahadees hain jo Insan ko Deendar banane ke liye kafi hain. (Al-Bidaya Wa al-Nihaya :: 64)

❶ Aa’mal ka Daromadaar Niyyat par hai. (Sahih Bukhari :: 1)

❷ Aadmi ke Islam ki khubi aur Kamaal ye hai ke wo Fuzool kamon aur baton ko Chhorde. (Sunan Tirmidhi :: 2317)

❸ Aadmi us waqt tak kamil Momin nahi ho sakta Jab tak wo apne Bhai ke liye wahi pasand na kare jo wo Apne liye pasand karta hai. (Sunan Tirmidhi :: 2515)

❹ Halal khula hua hai aur Haram bhi khula hua hai aur in donon ke Darmiyan kuch chizen Shuba (Doubtful) ki hain Jin ko bahot log nahi jante (ke Hala hain ya Haram) Phir jo koi Shuba ki chizo se bhi bachta Raha to us ka Deen aur us ki Izzat bach gayi. (Sahih Bukhair :: 52)

●════════════════════◄►═══════════════════●

4800 Sayings of Beloved prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) squashed to just 4: "Imam Abu Dawood Rahimullah Said: I have collected 5 lakhs sayings of prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam), i have selected 4800 and mentioned this in my book Sunan Abu Dawood. Then with those 4800 sayings of prophet i have selected 4 those sayings which are enough for a man to become pious." (Al-Bidaya Wa al-Nihaya :: 64)

❶ "The reward of deeds depends upon the intentions. (Sahih Bukhari :: 1)

❷ "Indeed among the excellence of a person's Islam is that he leaves what does not concern him." (Sunan Tirmidhi :: 2317)

❸ "None of you believes until he loves for his brother what he loves for himself." (Sunan Tirmidhi :: 2515)

❹ 'Both legal and illegal things are evident but in between them there are doubtful (suspicious) things and most of the people have no knowledge about them. So whoever saves himself from these suspicious things saves his religion and his honor. (Sahih Bukhari :: 52)

✦..........♥ Khush Bakhti o Sa’aadat ki Kunjiyan ♥..........✦

Agar Aap…!!

❶ Naik bakht banna chahte hain to Namazon ko Waqt par ada karne ka Ehtemam karen.
❷ Sahet mand banna chahte hain to Rozon ka Ehtemam karen.
❸ Chehre ka noor chahte hain to Tahajjud ka Ehtemam karen.
❹ Khush haali chahte hain to Quran kareen ki tilawat ka Ehtemam karen.
❺ Rizq mein kushadgi chahte hain to Kasrat se Astaghfar karen.
❻ Umr mein barkat chahte hain to Silah rahmi karen.
❼ Ghamo se Najat hasil karna chahte hain to Duao ka Ehtemam karen.
❽ Mushkilat ke Chungul se nikalna chahte hain to (La Ilaha Illa Anta Subhanaka Inni Kuntu Minaz-Zalimin) padhen.
❾ Rahmaten o Barkaten hasil karna chahte hain to Darood Shareef padhne ka Ehtemam karen.
➓ Logon mein izzat o Muqam chahte hain to Logon ka Ehteram karen.

●◗► Bagair Mushaqqat ke Dheron Nekiya Hasil karna chahte hain to is Deeni Paigham ko Dusron tak Pohchayen.

◈ Khush Bakhti - Khush Qismati.
◈ Sa’aadat - Khush Nasibi, Neki, Bhalayi.
◈ Silah rahmi - Rishtedaro se Naik sulook.

✦.....:o Aap ka Shumar Zindon mein Ya Murdon Mein ? :o.....✦

●◗► Allah ke Zikr mein Apna Dil lagalo sukoon aur Itminan tum se Dil laga lenge, Apni Zuban ko zikr o shukr se Hamesha taro tazah rakhen, Allah ke zikr mein Dil ka sukoon hai aur Allah ke zikr se apni zuban ko paak karte rahen Allah tumhen Gunaho se paak kardega.

Narrated Abu Musa RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "The example of the one who celebrates the Praises of his Lord (Allah) in comparison to the one who does not celebrate the Praises of his Lord, is that of a living creature compared to a dead one."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 75 :: Hadith 416]

Urdu Translation: Hazrat Abu Musa RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jo Apne Rab ka zikr karta hai wo Zindah ki tarah aur jo Zikr nahi karta wo Murdah ki tarah hai."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 6407]

●◗► Abbu Aksar ye baat kaha karte the ke Main ne 3 Manzila makan is liye banaya hai ke mere Teeno bacche aik Sath rah saken lekin un ka Inteqal hote hi ham ne Makan baichne ka Faisla karliya kyun ke Ham teeno bhai aur Hamari Biwiyan aik sath Rehna nahi chahti thi.

Main ne Akhbar mein Ishtehar diya to kayi khuahesh mand Aaye, Aik Sahab se Muaamla tai paya gaya to Main ne un se pucha Aap ye Teen Manzila makan kyu khareedna chahte hain unhone ne Jawab diya◗► "Mere Teen bete hain aur Main Chahta hun ke mere Teeno bete aik sath rahen."

✦…......♥ Na’Shukri se Bachne ka Nabwi Nuskha ♥…......✦

Abu Huraira RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: "Look at those who stand at a lower level than you but don't look at those who stand at a higher level than you, for this would make the favours (conferred upon you by Allah) insignificant (in your eyes)."

[Sahih Muslim :: Book 42 :: Hadith 7070,7619]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "(Maal o Doulat aur Husn o Jamaal ke Aaitebar se) Apne se km logon ki Taraf Nigah rakho aur Apne se unche logo ko Mat dekho, Aisa karne se tum Allah ki Nematon ki Na’qadri aur Na’shukri se bache rahoge."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 7430]

✦..........:o Ham bhi Ajeeb Qoum Hain!!! :o..........✦

✔ Bagair Mehnat kiye taraqqi karna chahte hain.
✔ Sabaq mein shareek hue bagair paas hona chahte hain.
✔ Bagair kaam kiye Tankhuah lena chahte hain.
✔ Bina kisi kar kirdagi ke promotion chahte hain.
✔ Daftar jate nahi aur Nokri barqarar rakhna chahte hain.
✔ Awam ko kuch diye bagair Intekhabat mein kamyabi chahte hain.
✔ Bagair warzish ke sahet mand rahna chahte hain.
✔ Aa’mal Sanware bagair Halaat ki Durustigi chahte hain.
✔ Allah ko Razi kiye bagair us ki Madad o Nusrat chahte hain.
✔ Toba karte nahi aur Khud ko Bakhshwana chahte hain.
✔ Aur Sab se Badh kar ye ke Namaz padhte nahi Magar Sajde ki Halat mein Marna chahte hain.

✦.....:o Bayen (Left) Hath se Khana Pina Shaitani Tariqa :o.....✦

Ibn 'Umar RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: "When any one of you intends to eat (meal), he should eat with his right hand. and when he (intends) to drink he should drink with his right hand, for the Satan eats with his left hand and drinks with his left hand."

[Sahih Muslim :: Book 23 :: Hadith 5008, 5384]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jab tum mein se koi khaye to Dayen (right) hath se khaye aur Jab piye to Dayen hath se piye, kyun ke Shaitan Bayen (left) hath se khata aur Bayen hath se Peeta hai."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5265]


●◗► Aik Jahaz Maghribi Mulk ki tarah Mahu parwaz tha us mein Aik padha likha Musalman safar kar raha tha, Airhostess ne us ko Sharab paish ki, us ne Sharab pine se Inkar kardiya, Airhostess ne apne Supervisor ko Ittela kiya. 

◈ Supervisor ne pucha kya hamari Khidmatgari mein koi kasar reh gayi hai, ye Sharab Mehmandari ke tor par paish ki ja rahi hai, Musafir ne use badi Tameez se bataya ke wo Musalman hai aur Sharab nahi pita.

◈ Supervisor israr karta raha ke wo sharab zaroor Nosh karle, Supervisor ke Musalsal israr par Musafir ne kaha aisa karo ke ye Sharab pehle Pilot ko do, Supervisor kehne laga, Aisa kaise ho sakta hai ke wo Sharab pikar Jahaz udaye, wo Duty par hai Agar wo Duty ke douran sharab piyega to is Baat ka 100% Imkan hai ke Jahaz haadise ka shikar hokar tabah hojayega.

●◗► Musafir ne Supervisor ko kaha: "Main Musalman hun aur Main apne Iman ko bachane ke liye har waqt Duty par hota hun aur Agar Main sharab piyunga to is baat ka 100% Imkan hai ke main haadise ka Shikar hojaunga aur apne Iman ko Tabah kar baithunga."