Wednesday 10 June 2015

●◗► Shaitan ka sab se Bada waar Insan ke dil mein Waswasa dalna hai, Shaitan aap ko Gunah karne par Majboor nahi karta, wo sirf Waswasa dalta hai, us Waswase par Aml karna ya..

◈➲ "La hawla wala quwwata illa billah" Padh kar us Waswasah ke shar se Mahfooz ho jana Aap ke Ekhtiyar mein hai.

(There is neither might nor any power except with Allah) (Nahi hai Gunahon se bachne ki taqat aur Neki karne ki Quwwat magar Allah ki toufeeq se)."

✦......✿......♥ Ma’mulaat Mein Nagha ♥......✿......✦

'Umar b. Khattab RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: "Should anyone fall asleep and fail to recite his portion of the Qur'an, or a part of it, if he recites it between the dawn prayer and the noon prayer, it will be recorded for him as though he had recited it during the night."

[Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 1629, 1779]

Urdu Translation: Hazrat Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jis shaks ka Raat ka koi Ma'mool sone ki wajah se Rehjaye phir wo use (Agle din) Fajr aur Zohar ke darmiyani waqt mein padhle to us ke Namaye Aamal mein ye Aml aise hi likha jayega jaise us ne Raat hi ko padha ho."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 2 :: Hadith 1745]

✦........:(  Momin Bad’Zubaan Nahi ho Sakta! :(.......✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The believer does not insult the honor of others, nor curse, nor commit Fahishah, nor is he foul."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 1977]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Momin La’an Ta’an karne wala nahi hota aur na hi Fahesh go aur Bad kalam hota hai."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 2041]

◈ La’an Ta’an – La’nat Malamat, Bura bhala kehna.

✦.........✿ Sacchi Mohabbat Kya Hai ? ✿.........✦

●◗► Jab Insan Gehri aur Meethi Neend mein ho aur kanon mein "Azan" ki Aawaz aaye aur wo Neend qurban kar ke Namaz padhne khada hojaye ♥ Ye Sacchi Mohabbat hai ♥

✦.....♥ Namaze Jumah ke Liye Umdah Libas Mukhtas Karna ♥......✦

It was narrated from ‘Abdullah bin Salam RadiyAllahu Anhu that he heard the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) saying on the pulpit one Friday:

"There is nothing wrong with anyone of you buying two garments for Friday (prayer), other than his daily work clothes."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 5 :: Hadith 1095] [Sunan Abu Dawood :: Book 3 :: Hadith 1073, 1078]

●═══════════════════◄►══════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Salam RadiyAllahu Anhu farmate hain ke Unhon ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko Jumah ke din Membar par ye farmate suna:

"Tum par koi Harj nahi hai ke Jumah ke liye Apne Roz marrah kaam kaaj ke Kapdon ke Alawah do Kapde (yani aik Umdah joda) Mukhtas (makhsoos) karlo."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 1095] [Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 1066]

✦......✿......♥ Do Chizen Badi Ahem Hain ♥......✿......✦

❶ Allah ka Darr (khof)
❷ Allah ka Dar (chokhat)

Jis shaks ko ye do Nematen Naseeb hogayin, Samjho! Us ko Dunya ki tamam Sa’aadaten naseeb hogayin ► "Darr (khof) hoga to Gunahon se bachega ► Dar (chokhat) hoga to Ibadat ki Lazzat naseeb hogi."

✦....✿.....♥ Maghfirate Khudawandi ka Tazkerah ♥......✿...✦
✿ RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) bhi Hans Pade! ✿

Urdu Translation: Hazrat Abu Dhar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Main Jannat mein dakhil hone wale Aakhri Jannati ko bhi janta hun, aur Jahannam se nikale jane wale Aakhri shaks ko bhi, ye wo shaks hai Jise Qayamat ke din laya jayega aur kaha jayega ke is ke Sagirah gunahon ko peish karo aur Kabirah gunahon ko is se hatalo, Chunanche Sagirah Gunah us ke samne kardiye jayenge aur use Yaad dilaya jayega ke tu ne Fulan din Fulan gunah kiya aur Fulan din Fulan gunah, wo sab Gunahon ka iqrar karega aur Inkar karne ki himmat us mein na hogi aur sath hi wo apne Kabirah Gunahon ki peshi se dar bhi raha hoga.

Lekin phir use kaha jayega ke tujhe tere har Gunah ke badle aik Neki di jati hai, to ab wo (Gunahon ki jaga Nekiyan lene ki lalach mein) kahega ke Aye mere Rab! Main ne to aur bhi bahot sare Gunah kiye hain jo yaha Nazar nahi aarahe, Sahabi farmate hain ke main ne Nabi Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko dekha ke wo is baat par khilkhila kar Hans pade yahan tak ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke samne ke Daant Mubarak nazar Aane lage."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 1 :: Hadith 467]

Abu Dharr RadiyAllahu Anhu reported that Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "I know the last of the inhabitants of Paradise to enter it and the last of the inhabitants of Hell to come out of it. He is a man who would be brought on the Day of Resurrection and it will be said: Present his minor sins to him, and withhold from him his serious sins. Then the minor sins would be placed before him, and it would be said: On such and such a day you did so and so and on such and such a day you did so and so. He would say: Yes. It will not be possible for him to deny, while he would be afraid lest serious sins should be presented before him.

It would be said to him: In place of every evil deed you will have a good deed. He will say: My Lord! I have done things I do not see here. I indeed saw the Messenger of Allah laugh till his front teeth were exposed."

[Sahih Muslim :: Book 1 :: Hadith 365, 314]

✦.......:o Imaan ko Barbaad Karne Wale 4 Kaam :o .......✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said:

► "When an adulterer commits illegal sexual intercourse, then he is not a believer at the time, he is doing it, and
► When a drinker of an alcoholic liquor drinks it, then he is not a believer at the time of drinking it, and
► When a thief steals, then he is not a believer at the time of stealing, and
► When a robber robs, and the people look at him, then he is not a believer at the time of doing robbery."

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 43 :: Hadith 655, 2475]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Irshad farmaya:

► "Jab bhi Zina karne wala Zina karta hai to wo Momin nahi rehta,
► Jab bhi Sharab pine wala Sharab pita hai to wo Momin nahi rehta,
► Jab bhi Chori karne wala Chori karta hai to wo Momin nahi rehta,
► Jab bhi loot maar karne wala loot maar karta hai aur log Nazren utha utha kar (khof o afsos se) use daikhne lagte hain to wo Momin nahi rehta."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 2475]

●◗► Main Mohabbat nahi chahti, Main izzat chahti hun, Tum beshak Mohabbat se na Peish aao Magar izzat se bartao karo ◈➲ Izzat karoge to ♥ Mohabbat khud Hojayegi ♥

✦............♥ Sha`ban Ki Pandhrawin (15) Shab ♥...........✦
✦...✿....♥ Rabbul Alameen ki Nazre Karam ♥....✿...✦

Narrated Mu'aadh ibn Jabal RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Allah looks at His creation in the Night of "MID-SHA`BAN" and He forgives all His creation. except one who ascribes partners to Him and one who harbours enmity in his heart."

Urdu Translation: Hazrat Mu'aadh ibn Jabal RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: "Allah Subhanahu Wa Ta'ala Sha'ban ki Pandhrawi shab mein Apni Tamam Makhlooq ki taraf Nazre Rahmat farma kar un ki Maghfirat farmadete hain, Siwaye do Shakshon ke: 1. Shirk karne Wala, 2. Kina parwar (Dil mein kina rakhne wala)."

[Sahih Ibn Hibban :: Hadith 5665, Bahyaqi, Tabaraani]

●═════════════════◄►════════════════●

Albani says in his 'Silsilat as Sahiha': (This is a) "SAHIH HADITH" narrated by group of Sahaba with different routes (Isnaad) such as from Muadh bin Jabal (ra), Abu Thalbah (ra) Abdullah bin Amr (ra), Abu Musa al Ashari (ra), Abu Huraira (ra), Abu Bakr as Siddiq (ra), Awf bin Malik (ra) and Aisha (ra).The Hadith of Muadh bin Jabal (ra) comes through Makhul from Malik bin Yakhamir and It is "MARFU" narrated by Ibn Abi Asim in his As-Sunnah Hadith #512 [Nasir ud din Albani in Silsilat as Sahiha :: 1144]

✦....♥ Dunyawi wa Ukhrawi Kamyabi ke 3 Bunyadi Usool ♥....✦

Narrated 'Uqbah bin 'Amir RadiyAllahu Anhu: "I said: 'O Messenger of Allah! What is the means to salvation?' He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: 'That you control your tongue, suffice yourself your house, and cry over your sins."

[Jami` at-Tirmidhi Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2406]

Urdu Translation: Hazrat Uqbah bin Amir RadiyAllahu Anhu farmate hain ke Main ne Arz kiya Ya RasoolAllah! Najat hasil karne ka zariya kya hai? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya: "Apni Zuban par Qabo rakho, aur Apne ghar mein raha karo (bila zarurat idhar udhar na jaya karo) aur Apne gunahon par Aansu bahaya karo."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 292]

●◗► Aap Internet Browser ki History to mitate jate hain, Magar Allah ke paas Mahfuz Shudah Internet Istemal ki History kaise Mitayenge?

◈ ✿ Allah ke paas Mahfooz shudah Internet ki History ko mitane ke liye "Sacche Dil se Toba ki zarurat hai aur Aayindah Na’munasib Browsing na karne ki Niyyat karna hai aur is par Amli Eqdam ki zarurat hai Allah paak Muaaf karne ko pasand karta hai, Insan ko iradah aur Niyyat pokhta karleni chahiye, Aur Jab kabhi Jaan boojh kar ya Anjane mein Gunah sarzad hojaye Allah se sacche dil se Muafi mangna aur Nadim hona Iman ki Nishani hai."

●═════════════════◄►════════════════●

✦ Gunahon Par Toba ✦ It was Narrated from Anas RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Every son of Adam commits sin, and the best of those who commit sin are those who repent."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 37 :: Hadith 4251]

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Har Insan khata kaar o Gunah gaar hai aur Behtareen Gunahgar wo hai jo Apne Gunahon par Toba Astaghfar kare."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 1132]