Saturday 18 August 2018

✦.........♥ Ashrah Dhul-Hijjah ♥.........✦

❶ Takbeer o Tahleel - اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ
❷ Taubah o Astaghfar
❸ Tahajjud aur Duayen
❹ Rozah - (Pehle Ashre ke 9 din, Bilkhusu 9 Dhul Hijjah Yaum Arafah ka Rozah)
❺ Takbirate Tashreeq - (9 ki Fajr ta 13 ki Asr Tak)
اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد
❻ Qurbani - (10 Ta 12 Dhul Hijjah)

🍁 Bakra Eid (Eid Al-Adha) Se Pehle, Bakra Bakri Wale Jokes Shuru Ho Jate Hain, Muslim Naujawan Haste Hain Aur Jokes ko Forward Karte Hain, Kya Isi Liye Hazrat Ibrahim  عليه السلام Khud Ke Bacche ki Qurbani Ke Liye Tayyar Hue?? Sharm Karo.... 🍂

► Jo Qaum Khud Ke Mazhab Ko Mazaq Banati Hai To Allah Bhi Un Ki Halat Kabhi Nahi Sudharte..!! ◄

✦........► Qurbani Mein Poshidah Hikmaten ◄.......✦

❶ Hazrat Ibrahim aur Ismail Alaihis Salam ki Azeem Qurbani ko yaad Rakhte hue Apna Sab Kuch Yahan tak ke Apne Jigar Goshon ko Allah ke Deen ke liye Qurban Kar dene Ka Jazba Paida karna. (Qur’an 37:102)

❷ Mahez Allah ke Naam par Qurbani ke Janwar ko Zabah Karna. (Qur’an 22:28, 6:162)

❸ Insan ke liye Janwaron aur Maweshiyon ke Tabe aur Halal kiye Jane Par Allah Ta’ala ka  Shukr Baja lana. (Qur’an 22:36)

❹ Fuqra’a o Masakeen ke liye Khane aur Gosht ki Farahmi ka Sabab. (Qur’an 22:36,28)

❺ Dhul Hijjah ki Duswin Tareek ki Azmat ka Izhar. (Qur’an 89:2,3)

♥︎ Acchayi Ke Liye Lazim Nahin Ke Logon Ke Sath Kuch Accha Karte Raho, Acchayi Ye Bhi Hai Ke Bus Kisi Ke Sath Bura Na Karo ♥︎

♥︎ Mushkil Waqt Mein Dusron Ke Kaam Aaya Karo, Kyun Ke Mushkil Waqt Sab Par Aata Hai, Kisi Ka Sabr Dekhne Ke  Liye Aur Kisi Ka Zarf! ♥︎

✦.......... ✔ Qurbani ke Janwaron ki Tafseel  ✔..........✦

✿ Chote Janwar: Bhaid, Dunbah, Bakra, Bakri ✿

• In ki Umr Km Az Km Aik (1) Saal honi Chahiye.
• Albatta Agar 6 Maah ka dumbah Jasamat mein Aik  Saal ka lage to us ki Qurbani bhi Jayez hai.
• In ki Qurbani sirf Aik Aadmi ki taraf se ho Sakti hai.

●══════════════◄►═════════════●

✿ Bade Janwar: Gaye, Bail, Bhains ✿

• In ki Umr Km Az Km Do (2) Saal honi Chahiye.
• In ki Qurbani Mein Zyadah se Zyadah sath (7) Afrad  Shareek ho sakte hain.

●══════════════◄►═════════════●

✿ Oont ✿

• Is ki Umr Km Az Km Panch (5) Saal honi Chahiye.
• Is ki Qurbani mein Bhi Sath (7) Afrad Shareek ho Sakte hain.

●◗► Darje Bala Janwaron ke Alawah Digar Halal Janwaron (Masalan: Nail Gaye aur Hiran Wagherah) ki Qurbani durust Nahin, (Shurka Mein se kisi Aik ki Aamdani bhi Haram ho ya Mahez Gosht khane ki Niyyat ho to Deegar Shurka ki Qurbani bhi Durust na Hogi).
✦...........♥ Watne Azeez INDIA Se Mohabbat! ♥...........✦

●◗► Insan Jis khitte, Mulk, Shaher ya ilaqe mein Rehta hai us Jage se Unsiyat, Qalbi lagao aur Mohabbat o Ulfat ka Paida ho jana Aik Fitri Cheez hai, Diyanat aur Amanat ka Taqaza bhi yahi hai ke Insan Jahan rahe Wahan ki khair khuahi, Taraqqi aur Falah o Bahbood ki koshishon mein laga rahe.

✿ RasoolAllah (ﷺ) Jab Makkah Mukarramah se Hijrat Farma kar Nikle to sawari Par Sawar ho Kar Baar baar Piche mud kar dekhte aur Farmate: "(Aye Makkah!) Allah ki Qasam tu Allah Ta’ala ki behtareen aur Mahboob tareen Zameen hai, Agar mujhe Yaha se na Nikala jata to main Tujhe Chhor kar Na jata." [Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 2 :: Hadith 1265, 3108]

✿ Baad Aza Jab RasoolAllah (ﷺ) Hijrat Farma kar Madinah Tayyabah Pohnche aur Madinah Munawwarah ko Apna Mustaqil Watan bana liya to ye dua Mangi: "Aye Allah! Jis Tarah Makkah Mukarramah ki Mohabbat tu ne hamen ata ki thi isi Tarah Madinah Munawwarah ki Mohabbat bhi hamen ata Farma, Ya us se bhi Zyadah hamen Madinah ki Mohabbat Ata Farma, aur Yahan ki Aab o hawa sahet Baksh banade aur Hamare Sa’a aur Mud (Ghalla Naapne ke 2 Paimane) mein Barkat ata Farma aur Madinah ke Wabayi Bukhar ko Juhfa (Naami Muqam) mein Muntaqil karde." [Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 3342, 3480]

♥ Apne Mulk aur Watan se Mohabbat karen aur Apni Zaat se Mulk o Watan ko Faidah pohchane ki Koshish karen ♥

●══════════════════◄►═════════════════●

Abu Salamah bin ‘Abdur-Rahman bin ‘Awf narrated that ‘Abdullah bin ‘Adiy bin Hamra’ said to him: “I saw the Messenger of Allah (ﷺ) , when he was on his she-camel, standing in Al-Hazwarah* saying: ‘By Allah, you are the best land of Allah, and the dearest of the land of Allah to me. By Allah, had I not been expelled from you I would never have left.’” *A place in Makkah."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 4 :: Book 25 :: Hadith 3108]

'A'isha (Allah be pleased with her) reported: When we came to Medina, and it was an unhealthy, uncogenial place, Abu Bakr fell sick and Bilal also fell sick; and when Allah's Messenger (ﷺ)  saw the illness of his Companions he said: O Allah, make Medina as congenial to us as you made Mecca congenial or more than that; make it conducive to health, and bleesus in its sa' and in its mudd, and transfer its fever to al-juhfa."

[Sahih Muslim :: Book 7 :: Hadith 3178]

●◗► Tanhayi Mein Gunah Karte hue Apne Aaza ki Khamoshi se Dhoke Mein Na Rahen, Is liye ke Un ke Liye (Qayamat ka) Aik Aisa din Muqarrar Hai Jis mein Wo Aap ke Khilaf Bolenge. (Surah Fussilat: 19-23)

✦........♥ Allah Ki Kibriyai Bayan Karne Ka Mosam! ♥........✦

Hazrat Ibn Umar Aur Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhuma Dhul Hijjah ke Pehle Ashrah Mein Bazar ki Taraf Nikal jate aur (Logon ko Takbiraat ki Taraf Mutawajje Karne ke Liye) Takbiraat Padhte aur Log bhi Un ke Sath Takbiraat Padhte.

[Sahih Bukhari :: Vol. 2  :: Hadith 968]

وَقَالَ ابْنُ عَبَّاسٍ وَاذْكُرُوا اللَّهَ فِي أَيَّامٍ مَعْلُومَاتٍ أَيَّامُ الْعَشْرِ، وَالأَيَّامُ الْمَعْدُودَاتُ أَيَّامُ التَّشْرِيقِ.
وَكَانَ ابْنُ عُمَرَ وَأَبُو هُرَيْرَةَ يَخْرُجَانِ إِلَى السُّوقِ فِي أَيَّامِ الْعَشْرِ يُكَبِّرَانِ، وَيُكَبِّرُ النَّاسُ بِتَكْبِيرِهِمَا.

💖 Tum Wo Mangte Ho Jo Tumhen Accha Nazar Aata Hai, Allah Wo Deta Hai Jo Tumhare Liye Accha Hota Hai 💖

✦......► Ashrah Dhul Hijjah Ke Roze ◄......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) used to fast the first nine days of Dhul-Hijjah.

[Sunan Abi Dawud :: Book 13 :: Hadith 2431, 2437]

Urdu Translation: “RasoolAllah (ﷺ) Dhul Hijjah ke Ibtedayi 9 Din Roze Rakha Karte The.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 665, 2437]

✦..♥ Ashrah Dhul Hijjah, Adheem Ashrah ke Adheem Aa'mal ♥..✦

Narrated Abdullaah ibn Umar RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (ﷺ)  said: "There are no days greater in the sight of Allaah and in which righteous deeds are more beloved to Him than these ten days (i.e., the first ten days of Dhul-Hijjah) so during this time recite a great deal of Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (AllahuAkbar) and Tahmeed (Alhamdulillah)."

[Musnad Ahmad :: Hadith 5446] [Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Book 15 :: Hadith 86]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah (ﷺ) ne Farmaya: "Dhul Hijjah ke Dus (10) dinon se Badh kar koi Din Aisa Nahin Jis mein Naik Aml Allah ke Nazdeek zyadah Mahboob aur Azeem-ul-Martabat ho, Lihaza in 10 Dino mein Tahleel (La ilaha illAllah) Takbeer (AllahuAkbar) aur Tahmeed (Alhamdulillah) kasrat se padha karo."

[Musnad Ahmad :: Hadith 6154] [Sahih Bukhari :: Hadith 969]

♥︎ Kisi Ko Sirf Chahna Mohabbat Nahin, Us Ki Zaat Ke Tamam Pahluon Ko Tasleem Karna Mohabbat Hai ♥︎

💖 Betiyan Allah Ki Rahmat Hoti Hai Janab Aur Rahmat Kabhi Bojh Nahin Hoti 💖
♥︎ Har Miyan Biwi Par Aik Waqt Aisa Bhi Aata Hai Ke Jab Kuch Log Un Ke Rishte Ko Kamzor Karne Ki Koshish Karte Hain Jo Is Mushkil Waqt Mein Nikal Gaya Wo Sukhi Aur Jo Logon Ki Baton Mein Aagaya Us Ka Muqaddar Na Khatam Hone Wala Dukh Hai ♥︎

🍁 Kuch Log Bardasht Ki Us Inteha Par Hote Hain Jo Apne Dukh Sunate Hue Yun Hanste Hain Ke Sunne Wala Ro Pade 🍁

♥︎ Girna Bhi Accha Hai Auqat Ka Pata Chalta Hai, Badhte Hain Jab Hath Uthane Ko Apnon Ka Pata Chalta Hai ♥︎

●◗► Beti Ka Pehla Haq Jo Hamare Muashre Mein Ada Nahin Hota ? “Us Ki Paidayesh Par Khush Hona.”

✦......► Hasad Ki Aag Mein Jalne Ka Khadsha! ◄......✦

The Prophet (ﷺ) said: By Allah! I am not afraid that you will worship others along with Allah after my death, but I am afraid that you will fight with one another for the worldly things."

[Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Book 23 :: Hadith 428, 1344]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Allah ki Qasam! Mujhe ye Dar Nahin ke Tum Mere Baad Shirk Karne Lagoge, Bal ke Mujhe Dar ye hai Ke Tum Log Dunya ki Lalach Mein Aakar Aik Dusre Se Hasad Karne Lago.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 1344]

♥︎ Sari Baat Dil Ki Hoti Hai Agar Insan Ka Dil Hi Mar Jaye To Lakh Behtarin Cheezen Ata Kardi Jayen Labon Par Muskurahat Ke Phool Nahin Khilte ♥︎

Aye Allah! Dil Ko Udhar Mayel Aur Mutmain Karde Jo Mere Haq Mein Behtar Ho. آمین

✦...► Isha Se Qabl Sona Aur Isha ke Baad Gup Shap Karna! ◄...✦

Narrated Abu Barza RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (ﷺ) disliked to sleep before the `Isha' prayer and to talk after it.

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 1 ::  Book 10 :: Hadith 543, 568]

Urdu Translation: Hazrat Abu Barza RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke: “RasoolAllah ﷺ Isha se Pehle Sone Aur Isha ke Baad Baat Cheet Karne Ko Na Pasand Farmate The.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 568]

●◗► Shadi Biyah Ke Moqe Par 2,2 Ghante, Khane KaIntezar Karne Wali Qaum 2 Minute Apne  Imam Ka Intezar Nahin Kar Sakti!!!

●◗► Is Post ka ye Maqsad Nahin ke Aaima Karam Par Waqt ki Pabandi lazim Nahin hai, Balke Maqsad sirf ye hai ke Jis Tarah Train, Hawayi Jahaz aur Gadiyon ki Aamad o Raft, Dafatir ki Meetings aur Qaumi Sateh ke Ijlas Wagherah mein Chand Minute ki Takheer ko Rawa Rakha Jata aur use Insani Fitrat Samjha jata hai isi Tarah Aaima Karam ke Bare Mein bhi ye Samjha Jaye Wo bhi Insan hain, Koi Machine Ya Robot Nahin ke un se Takheer Nahin ho Sakti, Unhen bhi koi Uzr Pesh Aa sakta hai, Lehaza Takheer ho jane ki Surat mein Unhen Ghoor Ghoor kar Dekhna aur Baar Baar Ghadi ki Taraf dekh kar Unhen Sharmindah karne ki Koshish karna Intehayi Na Munasib Baat hai.

♥︎ Rishte Ehsas Se Bante Hain, Rang, Nasal Aur Chaal Dekh Kar To Janwar Kharide Jate Hain ♥︎

🍁 Baaz Auqat Ham Samajhte Hain Ke Jis Ko Ham Bahot Acchi Tarah Jante Hain Us Ko Samajhte Bhi Hain Magar Aisa Nahin Hota, Jaan To Lete Hain Magar Samajhna Itna Hi Mushkil Hai, Samandar Dekhne Mein Bahot Wasee Dikhta Hai Magar Us Ke Andar Kitni Gehrayi Hai Ye Samajhna Bahot Hi Mushkil Hai 🍁
✦.............♥ Biwi Ka Roothna! ♥.............✦

●◗► Aurat ki Aik Khoobi Roothna bhi hai, Khawind ko Samajhna Chahiye ke “Roothna” Ghusse aur Nafrat ke Izhar ke liye Nahin Balke Pyar aur Tawajje Ke liye hai, Kyun ke Beshtar Mawaqe Par Biwiyan Rooth ti hi Pyar aur Tawajje Mangne ke liye hain, Lehaza Khawind apni Ruthi Biwi ko Mana kar Mohabbat ke Jazbat se Sarshar ho aur Apne Khawind hone ka Saboot de, Jab ke Biwi Ghair Zaroori Taur Par Nakhre dikhane ke Bajaye Khawind ke Manane Par Fauran Maan jaye to Azdwaji Zindagi Pur Lutf Guzarti hai.

♥ Mahe Ramadan Mein Beloos Khidmat Karne Par ♥
✦........♥ Ghar Ki Khawateen Ka Shukriya! ♥........✦

●◗► Har Us Waldah ka, Har Us Biwi ka, Har Us Bahen ka Aur Har us Beti ka Dil ki Gehraiyyon se Shukriya, Jis ne Sehri Aur Iftari ke Auqat Mein Pure Gharane ki Khidmat ki.

Yaqinan in Sab Khawateen ko Sehri o Iftari ke Auqat mein Khasi Mushkilat ka Samna karna Pada hoga, Lekin Isteqamat ke Sath Apni Khidmaat Sar Anjam dene mein ye Masroof Rahen, Aur Allah ke Khazanon se Azeem Ul-Shan Ajr o Sawab Unhon ne Hasil kiya, Allah Rabbul izzat in Tamama Khawateen ko Barkaton aur Khushiyon se Nawaze aur in ki Kamil Maghfirat Farmade. (Aameen)

🌸 Rishte / Mohabbat Daulat Aur Tohfon Se Nahin Balke Adab o Ehteram Se Nibhaye Jate Hain, Daulat KeTaqaze Par Mohabbat Nahin Ki Jati 🌸
💕 Na Mil Sake Is Eid Par To Koi Baat Nahin, Jazbon Mein Ho Khuloos To Eiden Hazar Hain 💕
💖 Roothna Manana Zindagi Ka Hissa Hai, Bus Khayal Rahe Narazgi Zuban Tak Rahe Dil Mein Izzat Aur Pyar Ho 💖