Thursday 27 February 2020

Coronavirus Se Bachao Ke Aamal!


✦...........► Coronavirus Ke Hawale Se ◄...........✦
✦..► Tashwish Aur Dehshat Na Phailayyen! ◄..✦

Sanpon Ki Lag Bhag 3000 Aqsam Mein Se Sirf 200 Aqsam Ke Sanp Aise Hain Jin Ka Katna Insan Ke Liye Muhlik Sabit Ho Sakta Hai, Research Se Pata Chalta Hai Ke Sanp Ke Katne Ke Baad Beshtar Amwat Zaher Se Nahin Balke Sanp Ke Khof Se Hoti Hain. 

Hindustan Mein Bhi Corona Virus Ke Hawale Se Yahi Surate Haal Banti Ja Rahi Hai, Zyadah Tar Log Is Ki Dehshat Se Hi Zehni Amraz Ka Shikar Ho Rahe Hain.

Lehaza Tashweesh Aur Dehshat Phailane Ke Bajaye Aagahi Aur Ehtiyati Tadabeer Ko Phailayyen, Masnoon Duaon Ka Ehtemam Karen Aur Allah Ta’ala Ki Zaat  Par Bharosa Rakhen.


✦.............► Muqame Afsos! ◄.............✦

Subah Uthne Ke Baad Hamara Pehla Kaam: WhatsApp Check Karna, Facebook Wall Check Karna.

●◗► Magar Qurane Kareem Jo Hamare Liye Azeem Tohfa Aur Hamare Dunyawi o Ukhrawi Masayel Ka Hul Hai, Use Padhne Ke Liye Hamare Paas Na Subah Waqt Hai Aur Na Shaam Ko.


Yaa Arhamar Rahimeen! Corona Virus Se Puri Insaniyat Ki Hifazat Farma Bilkhusoos Mutasirah Shahron Aur Mumalik Ke Bashindon Ko Is Se Najat Ata Farma. (Aameen)


INDIA New Delhi: Inteha Pasand Masajid Par Chadh Daude, Minaar Tod Dale, Aag Lagadi Aur Bharti Parcham Minaron Par Aawezan Kar Ke Muslim Aqliyat Ke Hawale Se Bharti Riyasati Policy Wazeh Kardi.

Allah Subhanahu Wa Ta'ala  Bharti Musalmanon Ki Ghaib Se Madad o Nusrat Farmaye Aur Inteha Pasandon Ke Mazalim Se Mazloom Musalmanon Ki Hifazat Farmaye. Aameen


✦...► Zalimon Ko Waqti Dheel Aur Phir Zabardast Pakad ◄...✦

Narrated Abu Musa RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (ﷺ) said, "Allah gives respite to the oppressor, but when He takes him over, He never releases him." Then he (ﷺ) recited:-- "Such is the seizure of your Lord when He seizes (population of) towns in the midst of their wrong: Painful indeed, and severe is His seizure.' (11.102)

[Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Book 60 :: Hadith 208]

Urdu Translation: Hazrat Abu Musa RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Rasool Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Allah Ta’ala Zalim Ko Kuch Waqt Ke Liye Muhlat Dete Hain, Magar Jab Zalim Ko Pakad Lete Hain To Phir Nahin Chhodte. 

Phir Aap ﷺ Ne Ye Aayat Tilawat Farmayi: (Tarjuma): "Aur Jo Bastiyan Zalim Hoti Hain, Tumhara Rab Jab Un Ko Girift Mein Leta Hai To Us Ki Pakad Aisi Hi Hoti Hai, Waqeyi Us Ki Pakad Badi Dardnaak, Badi Sakht Hai."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Hadith 4686]



✦..........► Zalimon Ko Zulm Se Roko ◄..........✦

Allah's Messenger (ﷺ) said, "Help your brother whether he is an oppressor or an oppressed," A man said, "O Allah's Messenger (ﷺ)! I will help him if he is oppressed, but if he is an oppressor, how shall I help him?" The Prophet (ﷺ) said, "By preventing him from oppressing (others), for that is how to help him."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 9 :: Book 85 :: Hadith 84, 6952]

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Apne Zalim Ya Mazloom Bhai Ki Madad Karo, Aik Shaks Ne Arz kiya: Ya RasoolAllah ﷺ! Mazloom Ki Madad Karna To Samajh Mein Aata Hai, Lekin Zalim Ki Kis Tarah Madad Karun? Aap ﷺ Ne Farmaya: Zalim Ko Zulm Se Rok Do, Yehi Us Ki Madad Hai.”

[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Vol. 8 :: Hadith 6952]


✦...♥ Mahe Rajab Ke Aaghaz Par Masnoon Dua Ka Ehtemam! ♥...✦

●◗► Aaj 25 February 2020 Baroz Mangal Ki Sham Ko Rajab Ka Chand Dekh Kar Maahe Rajab Ki Masnoon Dua Padhne Ka Ehtemam Farmayyen.

Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Jab Rajab Ka Mahina Shuru Hota To RasoolAllah        Ye Dua Farmaya Karte The:

اَللّهُمَّ بَارِكْ لَنَا فِى رَجَبَ وَ شَعْبَانَ وَ بَلِّغْنَا رَمَضَان
"Allahumma barik lana fi Rajab wa Sha'ban wa ballighna Ramadan"

Aye Allah! Hamare Liye Rajab Aur Sha’ban Ke Mahinon Mein Barkat Ata Farma Aur Hamen Ramadan Ka Mahina Naseeb Farma. (Al-Mu’jamul Al-Sagheer Al-Tabarani: 3939)


●◗► Raat Sone Se Pehle Ird Gird Nazar Daudayen Ke Koi Shaks Bhuka To Nahin!

Hazrat Ibn Umar RadiyAllahu Anhuma Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Basti Mein Kisi Shaks Ne Aisi Halat Mein Subah Ki Ke Wo Raat Bhar Bhuka Raha To Us Basti Walon Se Allah Rabbul Izzat Ki Hifazat o Nigrani Ka Wadah Khatam.” (Musannaf Ibn Abi Shaybah: 48)



✦.......► Zyadah Kha Kar Dakaren Marna! ◄.......✦

Yahya Al-Bakka' narrated from Ibn 'Umar RadiyAllahu Anhu who said: "A man belched in the presence of the Prophet (ﷺ), so He (ﷺ) said: 'Restain your belching from us. For indeed those who are filled most in the world will be the hungriest on the Day of Judgement.'"

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 11 :: Hadith 2479]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Anhuma Farmate Hain Ke Aik Shaks Ne RasoolAllah ﷺ Ke Samne Dakar Li To Aap ﷺ Ne Us Se Irshad Farmaya: “Tum Apni Dakar Ham Se Door Rakho!!! Is Liye Ke Dunya Mein Zyadah Pait Bhar Kar Khane Wala Qayamat Ke Din Zyadah Bhooka Rahega.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 368, 2479]

●◗► Umuman Zarurat Se Zyadah Khane Ki Wajah Se Badi Badi Dakaren Aati Hain, Isi Liye RasoolAllah ﷺ Ne Is Par Tanbee Farmayi, Agar Dakar Medah Ki Kharabi Ya Gas Ki Bimari Ki Wajah Se Aaye To Harj Ki Baat Nahin, Kyun Ke Ye To Insani Majboori Hai.



✦........► Mobile Phone Ka Kaar Aamad Istemal ◄.......✦

◈➲ Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ka Irshade Girami hai: "Rishte Naate Todne Wala Jannat Mein Dakhil Nahin Hoga." (Sahih Bukhari :: Hadith 5984)

◈➲ Aik Dusri Hadees Mein RasoolAllah ﷺ Ka Irshad Hai: Momin Ke Liye Jayez Nahin Ke Apne Musalman Bhai Ko (Qata Talluqi Ki Bina Par) Teen Din Se Zyada Chhode Rakhe. Naiz Ye Bhi Irshade Nabwi ﷺ Hai Ke Jis Shaks Ne (Narazgi Ki Wajah Se) Apne Musalman Bhai Se Aik Saal Tak Milna Julna Chhode Rakha To Goya Us Ne Us Ka Khoon Kiya. (Sunan Abu Dawood: 4910, 4915)

●◗► Hamare Mua’shre Mein Mamuli Mamuli Baton, Jaidad o Makan Ke Jhagdon Aur Paise Ke Lain Dain Ke Tanazue Par Qareebi Rishtedaron Se Qata Talluqi Karne Ka Riwaj Aam Hai Aur Ham Mein Se Taqriban Har Dusra Shaks Is Ka Shikar Nazar Aata Hai, Qata Talluqi Ki Wajah Se Jannat Se Mahrumi Aur Aakhirat Ka Dardnaak Azab To Apni Jaga Magar Dunya Mein Jo Be Barkati, Nahusat Aur Tangi Hoti Hai Us Ke Tasawwur Se Hi Har Musalman Kaanp Uthta Hai.

✿ Lihaza Ham Mein Se Har Shaks Qata Talluqi Khatam Kar Ke Silah Rahmi Shuru Kare, Aur Is Azeem Maqsad Ke Liye Agar Apne Aap Ko Jhukna Pade To Ham Jhuk Jayen Allah Izzat Ki Bulandiyan Ata Farmayenge, Agar Haq Par Hone Ke Bawajood Apna Hissa Ya Haq Chhorna Pade To Chhorden Allah Jannat Mein Mahel Marhamat Farmayenge.

✿ Pehle Zamane Mein Qata Talluqi Khatam Karne Ke Liye Bade Jatan Karne Padte The, Dusre Shaher Ka Safar Karna Padta Tha, Apni Masrufiyaat Mein Se Waqt Nikal Kar Us Rishtedar Ke Paas Chal Kar Jana Padta Tha, Ab "Mobile Phone" Ki Aijad Se Ye Mushkil Aasan Hogayi Hai, Aaj Aur Abhi Phone Uthayen Aur Jis Rishtedar Se Qata Talluqi Kar Rakhi Ho Us Se Dil Saaf Kar Ke Baat Karen, Us Ki Kadwi Kasili Bardasht Karlen Magar Qata Rahmi Ka Wabal Apne Sir Se Utar Kar Phenk Den.


Nakami Ka Raaz: "Kamyabi Ke Raaz To Sab Hi Bayan Karte Hain Lekin Nakami Ka Aik Bada Raaz Ye Hai Ke “Sab Ko Khush Karne Ki Koshish Ki Jaye.”


✦..............► Aik Dilchasp Sawal ◄..............✦

◈ Kisi Ne Matke Se Pucha: 

“Tum Itne Thande Kyun Rehte Ho?” 

◈ Matke Ne Muskura Kar Jawab Diya: 

“Jis Ka Maazi, Haal Aur Mustaqbil Sab Mitti Se Bana Ho To Takabbur Aur Garmi Kis Baat Ki!?”


✦..........► Dhoka Dahi Aur Milawat ◄..........✦

It is narrated on the authority of Abu Huraira RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (ﷺ) observed: “He who took up arms against us is not of us and he who acted dishonestly towards us is not of us.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Ham Par Hathyar Uthaye Wo Ham Mein Se Nahin Hai Aur Jo Shaks Hamen Dhoka De Wo Bhi Ham Mein Se Nahin Hai.”

[Sahih Muslim :: Book 1 :: Hadith 182, 101]


✦.....♥ Maal o Daulat Ka Batore Nemat Izhar! ♥.....✦

Hazrat Abu Hazim RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Wo Nabi Kareem ﷺ Ki Khidmat Mein Paragandah (Pareshan) Haal Mein Hazir Hue To Aap ﷺ Ne Unse Pucha Ke Kya Tumhare Paas Maal Wagherah Nahin Hai? Unhon Ne Arz Kiya: Kyun Nahin! Mere Paas To Allah Ta’ala Ka Diya Har Tarah Ka Maal, Gaye, Oont Aur Bakriyan Maujood Hain.

Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Ke Paas Maal Maujood Ho To Us Ke Asrat Nazar Aane Chahiye.” (Al M’ujam Al Kabeer At-Tabarani:7282)


✦...► Ahliya Ko Teer Ki Tarah Sidha  Karne Ki Koshish! ◄...✦

●◗► Aksar Khawindon Ki Khuahesh Hoti Hai Ke Un Ki Biwiyan, Tor Tareeqe, Bol Chal Aur Digar Khangi o Muashrati Muamlat Mein Har Qism Ki Basri Kami Kotahiyon Aur Onch Nich Se Paak Rahen Aur 100% Un Ke Mizaj Ke Mutabiq Chalen, Ye Aik Na Mumkin Khayal Hai, Is Khayal Ko Amli Jama Pehnane Ki Koshish Mein Ladayi Jhagde Be Qabo Hadtak Badh Sakte Hain Aur Nobat Talaq Tak Pahonch Sakti Hai, Aisi Soch Rakhne Wale Khawind Hazraat Darj Zail Hadeese RasoolAllah Pe Ghor Karen, Aap  ﷺ Ne Irshad Farmaya:

“Aurat Pasli Ki Haddi Ki Tarah Hai, Agar Tum Use Bilkul Sidha Karna Chahoge To Tum Use Tod Doge (Yani Judayi Ki Nobat Aa Pohnchegi) Aur Agar Tum Aurat Se Faidah Uthana Chaho To Tumhen Us Ka Tedha Pan Bardasht Karte Hue Us (Ki Khubiyon) Se Faidah Uthana Hoga.” (Sahih Bukhari: 5184)

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (ﷺ) said, "The woman is like a rib; if you try to straighten her, she will break. So if you want to get benefit from her, do so while she still has some crookedness."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 62 :: Hadith 113, 5184]

Saturday 15 February 2020

✦.......► Kanjuson Ke Liye Zillat Amaiz Azab! ◄.......✦

Irshade Khudawandi Hai: “Aise Log Jo Khud Bhi Kanjoosi Karte Hain Aur Dusron Ko Bhi Kanjusi Ki Talqeen Karte Hain Aur Allah Ne Apne Fazl Se Jo Kuch Un Ko De Rakha Hai Use Chupate Hain, Ham Ne Aise Na’Shukron Ke Liye Zaleel Kar Dene Wala Azab Tayyar Kar Rakha Hai.” (Quran, An-Nisa: 37)


✦..............► 14th February Valentine's Day ◄..............✦
✦......♥ Mohabbat Ka Izhar Kis Se Kiya Jaye??? ♥......✦

✔ Allah Ta'ala Se Mohabbat Karen Jis Ne Ham Par In’aamat Ki Barish  Kar Rakhi Hai ✔ Shafqat o Maherban Nabi ﷺ  Se Mohabbat Karen Jo  Ummat Ki Khatir Raton Ko Aah o Zari Farmate Rahe  ✔ Sahaba Ikram Se Mohabbat Karen Jin Ki Qurbaniyon Aur Mahnaton Ki Wajah Se Ye Deen Ham Tak Pohncha. 

✔ Apne Waldain Se Mohabbat Karen Jinhon Ne Takleef Bardasht Kar Ke  Aap Ki Parwarish Ki ✔ Apne Mahram Rishtedaron Se Mohabbat Karen  Jo Har Mushkil Mein Aap Ke Kaam Aate Hain. 

✔ Apni Biwiyon Se Mohabbat Karen Jinhen Allah Ta’ala Ne Aap Ke Liye Sukoon o Itminan Ka Zariya Banaya ✔ Apne Phool Jaise Bacchon Se Mohabbat Kare Jinhen Allah Subhanahu Wa Ta’ala Ne Aap Ke Liye Aakhon Ki Thandak Banaya.

●◗► Jab Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ne Apne Bandon Ke Fitri Jazba Mohabbat Ko Pura Karne Ka Jayez Aur Munasib Bandobast Farmadiya Hai To Khudara….! Fahashi o Uryani, Be-Hayai o Nafsani Khuaheshat Par Mabni kuffar Ke Ejad Kardah (Valentine’s Day) Se Mukammal Ijtenab Karen.


Valentine Day - Be Hayayi Ke Aalami Din Se Mazirat!



“Ye Dunya To Mahez Aik Zaher Fareb Ki Chiz Hai.” (Surah Al-Imran:185)



●◗► Har Tasweer Ke Do Rukh Hote Hain, Bad Qismati Se Hamare Han Aik Hi Rukh Ko Dekh Kar Faisla Kar Liya Jata Hai...



✦…......♥ Daro Mat Ghalib Tum Hi Rahoge! ♥…......✦

●◗► Jab Tamam Jadugar Firaun Ki Taqat Par Bharosa Karte Hue Maidan Munazrah Mein Musa Alaihis Salam Ko Ijtimayi Shikast Dene Ke Liye Hazir Ho Gaye, Us Thate Marte Jum Ghafeer Mein Rabb Musa Ne Nasihat Ki: “Daro Mat Ghalib Tum Hi Rahoge.” (Taha:68)

Kyun Ke Tum Hi Buland, Ghalib, Mukarram Ho, Manhaj Aap Ka Buland Hai, Akhlaq Aap Ka Behtareen Hai, Aur Aqidah Aap Hi Ka Mazboot Hai, Aur Yahi Paigham Hai Un Logon Ke Liye Jo Nafsiyati Taur Par Shikast Khordah Ho Chuke Hain, Jin Ki Soch Dagmaga Chuki Hai, Jin Ke Batil Ke Phailne Aur Phale Phoolne Par Qadam Larazne Lagte Hain. 

Firaun Ki Bhi Aik Chahat Hai, Allah Ki Bhi Chahat Hai, Aakhir Kaar Allah Ki Chahat Ghalib Aati Hai. ♥









💔 Log Be Jaan Cheezon Ke Tootne Par Barham Ho Jate Hain Udaas Ho Jate Hain Lekin Insan Ka Dil Todke Na Kabhi Koi Barham Hua Hai Na Udaas Kyun Ke Ham Log Chizon Se Mohabbat Karte Hain Insaniyat Se Nahin! 💔


► Shar’yi Majburi ke Baghair Hamal Zaye Karna ◄
✦..........► (Abortion) Bahot Bada Gunah ◄..........✦

⇨ Irshade Khudawandi Hai: “Aur Apni Aulad Ko Muflisi Ke Khof Se Qatl Na Karo Ham Unhen Bhi Rizq Denge Aur Tumhen Bhi, Yaqeen Jano Ke Un Ko Qatl Karna Badi Bhari Ghalti Hai.” (Qur’an, Surah Bani-Israel: 31)

⇨ "And kill not your children for fear of poverty. We provide for them and for you. Surely, the killing of them is a great sin." (Qur’an, Surah Bani-Israel: 31)


✦............► GHUSSE KA ILAAJ  ◄............✦

Mu`adh bin Jabal RadiyAllahu Anhu narrated: That one of the two men cursed the other next to the Prophet (ﷺ), until anger could be recognized in the face of one of them. So the Prophet (ﷺ) said: “Verily, I know a statement, that if he were to say it, his anger would leave: ‘I seek refuge in Allah from Shaitan, the rejected (A`ūdhu billāhi minash-shaiṭānir-rajīm).’”

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3452]

Urdu Translation: Hazrat Mu`adh bin Jabal RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Do Shaks Nabi (ﷺ) Ki Maujoodgi Mein Aik Dusre Ko Bura Bhala Kehne Lage Yahan Tak Ke Aik Ke Chehre Par Ghusse Ke Aasaar Zaaher Ho Gaye To RasoolAllah (ﷺ) Ne Farmaya Main Aisa Kalimah Janta Hun Ke Agar Ye Kalimah Kehde To Us Ka Ghussa Khatam Ho Jayega Wo (A`ūdhu billāhi minash-shaiṭānir-rajīm) Hai.

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1377]



❤️ Nafrat To Siyasat Ne Phailayi Hai Warna Masjidon Ke Bahar Aaj Bhi Hindu Maa Behne Bacchon Par Dum Karwane Aati Hain ❤️


✦.............♥ Jannat Ki Halki Si Jhalak ♥.............✦

Abu Huraira RadiyAllahu Anhu reported Allah's Apostle (ﷺ) as saying: He who would get into Paradise (would be made to enjoy such an everlasting) bliss that he would neither become destitute, nor would his clothes wear out, nor his youth would decline."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Jo Jannat Mein Jayega To (Hamesha) Khush Haal Rahega, Kabhi Badhaal Nahin Hoga, Na Us Ke Kapde Bosidah Honge, Na Us Ki Jawani Khatam Hogi.”

[Sahih Muslim :: Book 40 :: Hadith 6802, 2836]


✦....♥ Wuzu Kar Ke Soyyen Farishton Ki Duayen Len! ♥....✦

Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu reported that Allah's Messenger (ﷺ) said: "Purify these bodies and Allah will purify you, for there is no slave who goes to sleep in a state of purity but an Angel spends the night with him, and every time he turns over, [the Angel] says, 'O Allah! Forgive Your slave, for he went to bed in a state of purity."

[Al-Mu’jamul Awsat Al-Tabarani :: Hadith 5087]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Allah Subhanahu Wa’Tala Tumhen Paak Rakhe, Tum Apne Jismon Ko Paak Saaf Rakho Kyun Ke Jo Bhi Bandah Taharat Ki Halat Mein (Yani Ba Wuzu) Raat Guzarta Hai To Us Ke Sath Us Ke Bistar Par Aik Farishta Bhi Raat Guzarta Hai Aur Us Ki Har Karwat Par Wo Ye Dua Karta Hai: 'Aye Allah Apne Bande Ki Maghfirat Farma Di Jiye Kyun Ke Is Ne Paaki Ki Halat Mein Raat Guzari Hai."

[Al-Mu’jamul Awsat Al-Tabarani :: Hadith 5087]


●◗► Shohar Ke Libas Se Biwi Ki “Nafasat” Aur Biwi Ke Libas Se Shohar Ki “Ghairat” Ka Pata Chalta Hai.



✦...► Ranj, Gham Aur Sadme Ki Halat Mein Nabwi Taleemat ◄...✦

Narrated Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu: We went with Allah's Messenger (ﷺ) to the blacksmith Abu Saif, and he was the husband of the wet-nurse of Ibrahim (the son of the Prophet). Allah's Messenger (ﷺ) took Ibrahim and kissed him and smelled him and later we entered Abu Saif's house and at that time Ibrahim was in his last breaths, and the eyes of Allah's Messenger (ﷺ) started shedding tears.

`Abdur Rahman bin `Auf (RadiyAllahu Anhu) said, "O Allah's (ﷺ) Apostle, even you are weeping!" He said, "O Ibn `Auf, this is mercy."

Then he (ﷺ) wept more and said: "The eyes are shedding tears and the heart is grieved, and we will not say except what pleases our Lord, O Ibrahim ! Indeed we are grieved by your separation."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 23 :: Hadith 390, 1303]

●══════════════════◄►═════════════════●

Urdu Translation: Khadime Khaas Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Ham RasoolAllah ﷺ Ke Hamrah Aap Ke Pyare Sahibzade Ibrahim RadiyAllahu Anhu Ki Daya Ke Khawind Abu Saif Ke Han Gaye, Nabi Akram ﷺ Ne Apne Sahibzade Ibrahim RadiyAllahu Anhu Ko Apni Mubarak God Mein Liya, Unhen Pyar Kiya Aur Sungha.

Kuch Din Baad Ham Dobarah Abu Saif Ke Han Gaye, Us Waqt Aap ﷺ Ke Sahibzade Ibrahim RadiyAllahu Anhu Halate Naza Mein The, Masoom Sahibzade Ki Ye Halat Dekh Kar RasoolAllah ﷺ Ki Mubarak Aankhon Se Aansu Bahne Lage, Abdur Rahman Bin Auf RadiyAllahu Ne Arz Kiya: “Ya RasoolAllah ﷺ! Aap Bhi Ro Rahe Hain?” Aap ﷺ Ne Farmaya: “Aye Ibn Auf! Ye Aansu Rahmat Hain.”

Phir Dobarah Aap ﷺ Ki Mubarak Aankhon Se Aansu Jari Ho Gaye Aur Aap ﷺ Ne Farmaya: “Aankhen Aansu Baha Rahi Hain Aur Dil Nihayat Ghamzadah Hai, Aur Ham Apni Zuban Se (Shikwah Shikayat Kiye Baghair) Sirf Wahi Baat Kehte Hain Jis Par Hamara Parwardigar Razi Ho, Aye Ibrahim! Beshak Ham Teri Judayi Mein Bahot Ghamzadah Hain.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 1303]


✦.....► Sadma Pahochne Ke Fauran Baad Sabr! ◄.....✦

The Prophet (ﷺ) said: "The real patience is at the first stroke of a calamity."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Sabr To Wahi Hai Jo Sadma Ke Shuru Mein Kiya Jaye.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 23 :: Hadith 389, 1302]

●◗► Kisi Na Gahaani Aafat Ya Afsos Naak Waqiye Ke Fauran Baad Ya Kisi Ki Maut Wagherah Ki Khabar Sunte Hi Shor Sharaba, Sina Kobi Aur Noha Khuani Se Bachte Hue Allah Ke Faisle Par Razi Raha Jaye, Sawab Ki Ummid Rakhi Jaye Aur Sabr Kiya Jaye, Yahi Asal Sabr Hai, Warna Kuch Waqt Guzarne Ke Baad To Ranj o Gham Ke Asraat Khud Ba Khud Zayel Ho Jate Hain Aur Tabyi Taur Par Sabr Aahi Jata Hai.


✦.........► Aulad Ko Bad'Dua Na Den ◄.........✦

Jabir b. 'Abd Allah RadiyAllahu Anhu reported the Messenger of Allah (ﷺ) as saying: “Do not invoke curse on yourselves, and do not invoke curse on your children, and do not invoke curse on your servants, and do not invoke curse on your property, lest you happen to do it at a time when Allah is asked for something and grants your request.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 8 :: Hadith 1527, 1532]

Urdu Translation: Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Apne Aap Ko, Apni Aulad Ko, Apne Khadimon Ko Aur Apne Maal Ko Bad’Dua Na Do (Aisa Na Ho) Ke Wo Ghadi Dua Ki Qubuliyat Ki Ho Aur Tumhari Dua Qubool Ho Jaye.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 1519, 1534]


●◗► Khoone Muslim Ke Behne Pe Kyun Nahin  Machta Kohram??? Doghle Log Aur Media Dehshat Gardi Ki Mazammat Karte Nahin Thakte….Insani Huqooq Par Lecture Diye Jate Hain…Insaniyat Ke Naam Pe Log Apni DP Tabdeel Kar Dalte Hain….Dehshat Gardana Karwayyyon Ko Islam Se Zabardasti Jodne Ki Koshish Ki Jati Hai, Magar Afsos Ke Jab Hindustan Mein Musalmanon Pe Dehshat Gardana Hamle Hote Hain To Insani Huqooq Ka Rona Rone Walon Ko Sanp Soongh Jata Hai, In Dino Mein Delhi Jamia Ke Road Par CAA NRC Aur NPR Protest Ke Dauran Firing Ki Gayi Is Hamla Karne Wale Ka Naam Gopal Sharma Aur Zakhmi Ka Naam Shadab Hai Lekin Majaal Hai Ke Kisi Ke Kaan Pe Joon Bhi Rengi Ho, Isi Tarah Ka Aur Aik Waiqa Aaj Pesh Aaya. Ham Dua Go Hain Ke Allah Ta’ala Aalame Islam Bilkhusus Hindustan Ko Har Qism Ki Sazishon Aur Dakhili Inteshar Se Mahfooz Rakhe. (Aameen)


👉 Jo Aurat Aap Ki Nasal Ke Liye Apne Wujood Ke Tukde Kar Deti Hai Is Mein Itni Khamiyan Kaise Nikal Aati Hai 👈 ❤️ Ehteram Kiya Karo Aurat Ka ❤️


► Corona Virus Aur Digar Mauzi Amraz Se Hifazat Ki Jame Dua ◄

اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَدَنِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي سَمْعِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَصَرِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ
Allahumma 'afini fi badani, Allahumma 'afini fi sam'i, Allahumma 'afini fi basari, La ilaha illa Anta

"O Allah! Grant me health in my body. O Allah! Grant me good hearing. O Allah! Grant me good eyesight. There is no god but Thou." You repeat them three times in the morning and three times in the evening.

Subah o Sham Teen Teen Martaba Ye Padhye! “Aye Allah! Mere Jism Mein Sahet o Aafiyat Ata Farmayye, Aye Allah! Meri Quwwate Sama’at (Sunne Ki Quwwat) Mein Aafiyat o Salamati Ata Farmayye, Aye Allah! Meri Quwwate Binayi Mein Sahet o Aafiyat Ata Farmayye Aap Ke Siwa Koi Mabood Nahin.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 5071, 5090]

Saturday 1 February 2020

●◗► Din Mein 5 Baar Wudu “Coronavirus” Se Bachao Ka Zariya!: Vice Chancellor University Of Health Sciences Lahore Janab Professor Doctor Javed Akram Ka Kehna Hai Ke Wudu Ke Zariye Corona Virus Par Qabo Paya Ja Sakta Hai, Professor Javed Akram Ke Mutabiq Cheenk Aur Sans Ke Zariye Corona Virus Ke Zarrat Mahol Mein Shamil Hokar Aap Ke Jism Ke Expose Parts Skin, Chehre, Aankh Aur Naak Par Chale Jate Hain, Jabke Wudu Mein In Expose Parts Ko Baar Baar Dhoya Jata Hai, Naak Bhi Saaf Ki Jati Hai, Pura Chehrah Bashmool Aankhen Bhi Saaf Ki Jati Hain, Kulli Bhi Karni Hoti Hai Aur Apne Hathon Aur Paon Ko Bhi Dhona Hota Hai, Lehaza Din Mein 5 Martaba Wudu Karne Se Bahot Hadtak Is Virus Par Qabo Paya Ja Sakta Hai.


☝️Musalmanon Ke Chehron Se Naqab Chinne Wale Aaj Naqab Mein Zindagi Talash Rahe Hain...! Aur Tum Apne Parwardigar Ki Kon Kon Si Nematon Ko Jhutlaoge! ☝️- China


●◗► Zyadah Ki Hawas, Maujudah Nematon Ka Lutf Bhi Nahin Lene Deti.


✦.................► C O R O N A V I R U S ◄.................✦
► Virus Mutasireen Ko Dekh Kar Ye Dua Padhen! ◄

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “Whoever sees an afflicted person then says: ‘All praise is due to Allah who saved me from that which He has afflicted you with, and blessed me greatly over many of those whom He has created, (Al-ḥamdulillāhi alladhī `āfānī mimmabtalāka bihī wa faḍḍalanī `alā kathīrin mimman khalaqa tafḍīla)’ he shall not be struck by that affliction.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Kisi Aafat Zadah Shaks Ko Dekh Kar Ye Dua Padh Le To Use Wo Aafat Na Pohnche Gi.” 

الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي عَافَانِي مِمَّا ابْتَلاَكَ بِهِ وَفَضَّلَنِي عَلَى كَثِيرٍ مِمَّنْ خَلَقَ تَفْضِيلاً

(Tarjuma: Tamam Tareefen  Us Allah Ke Liye Hain Jis Ne Mujhe Is Musibat Se Aafiyat Di Jis Mein Tujhe Mubtela Farmaya Aur Us Ne Apni Bahot Si Makhluqat Par Mujhe Fazilat Di)

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3432, 3432]


✦.► “Corona Virus” Mutasirah Ilaqon Ka Safar Na Karen! ◄.✦

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jab Tumhen Kisi Sar Zameen Mein “Taoon (Nami Waba)” Ka Ilm Ho To Us Sar Zameen Mein Dakhil Mat Ho, Aur Jab Kisi Aisi Sar Zameen Mein “Taoon” Phail Jaye Jahan Tum Pehle Se Maujood Ho To Us Sar Zameen Se Bahar Mat Niklo!” (Sahih Bukhari:5728) 

Aik Dusri Riwayat Mein RasoolAllah ﷺ Ka Irshad Marwi Hai Ke “Jo Shaks “Taoon” Par Sabr Kare Us Ke Liye Shaheed Ke Barabar Ajr o Sawab Hai Aur “Taoon” Se Bhagne Wala Jihad Se Bhagne Wale Ki Tarah Hai.”  (Musnad Ahmad:25118)

●◗► Nabi Kareem ﷺ Ne Wabayi Amraz Se Mutalliq Umumi Zabta Ye Bayan Farmaya Ke Jis Ilaqe Mein Koi Mauzi Waba Ya Virus Phail Jaye To Wahan Jane Se Bilkul Ehteraz Kiya Jaye Aur Jo Log Pehle Se Wahan Maujood Hon Aur Waba Ya Virus Se Mutassir Ho Jayen To Wo Us Ilaqe Se Hargiz Bahar Na Niklen Balke Wahin Rehkar Sabr Karen Aur Us Sabr Par Unhen Azeem Al-Shan Ajr o Sawab Ki Khushkhabri Sunayi Gayi, Aaj Ki Jadeed Medical Science, 1400 Saal Qabl Bayan Kiye Gaye Is Nabwi Zabte Ko Waba Ke Phailao Ki Rok Tham Ka Sab Se Muassar Tariqa Qarar Deti Hai.


✦...► “Coronavirus” Aur Halal o Haram Ke Sharyi Zabte! ◄...✦

Irshade Khudawandi Hai: Aye Logo! Zameen Mein Jo Halal Pakizah Chizen Hain Wo Khao! (Quran, Al-Baqarah:168)

●◗► Zaraye Iblagh Ke Mutabiq Chamgadar Ka Soup Pine Aur Zindah Chuhe Khane Ki Waja Se Coronavirus Muntaqil Hua Aur Tezi Se Phaila Aur Is Ne China Mein Tabahi Macha Dali, Shariate Mutahrah Ne Chamgadar, Chuha Aur Billi Wagherah Ko Haram Qarar Diya Hai, Dunya Ko Ye Haqiqat Tasleem Karni Chahiye Ke Islam Ke Halal o Haram Ke Zabton Mein Hi Insaniyat Ki Baqa Aur Najat Hai.


✦..........► “Coronavirus” Se Allah Ki Panah! ◄..........✦

‏ "‏ اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْبَرَصِ وَالْجُنُونِ وَالْجُذَامِ وَمِنْ سَيِّئِ الأَسْقَامِ ‏"‏
“Allahumma inni a'udhu bika minal-barasi, wal- jununi, wal-judhami, wa sayyi'il-asqaam”.

The Prophet (ﷺ) used to say: "O Allah, I seek refuge in Thee from leprosy, madness, elephantiasis, and evil diseases."

Aye Allah! Main Aap Ki Panah Mangta Hun Bars Se, Dimaghi Kharabi Se, Kodh Se Aur Har Qism Ki Buri Bimariyon Se.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 8 :: Hadith 1549, 1554]


✦...►Paakdaman Aurton Pe Tohmat Lagane Ka Wabal! ◄...✦

⇨ Allah Subhanahu Wa Ta'ala Irshad Farmate Hain:
“Yaad Rakho Ke Jo Log Paakdaman Bholi Bhali Musalman Aurton Par Tohmat Lagate Hain, Unpar Dunya Aur Aakhirat Mein Phatkaar Hai, Aur Un Ko Zabardast Azab Hoga.” (Al-Quran, Surah Nur:23)

⇨ Allah Subhanahu Wa Ta'ala said: “Indeed, those who [falsely] accuse chaste, unaware and believing women are cursed in this world and the Hereafter; and they will have a great punishment.” (Al-Quran, Surah Nur:23)


●◗► Ambulance Mein Mareez Ho Ya Ambulance Khali Ho Use Har Surat Mein Raasta Dena Chahiye, Ambulance Ya To Kisi Mareez Ko Lekar Ja Rahi Hogi Ya Kisi Mareez Aur Zakhmi Ko Lene Ja Rahi Hogi, Insani Jaan Bachane Mein Apna Kirdar Ada Karen!


💞 Behtareen Rishte Ki Sab Se Badi Khaasiyat Ye Hai Ke Wo Aap Se Ekhtelaf Aur Narazgi Ke Bawajood Bhi Aap Ka Khayal Rakhna Aur Fikr Karna Nahin Chhodta 💞


●◗► Apne Bacchon Ko Smartphone Aur Screen Se Door Rakhen… Bacchon Ka Waqti Taur Par Rona Is Baat Se Behtar Hai Ke Aap Ko Un Ke Akhlaq o Kirdar Par Rona Pade.


♥ Agar Aap Ke Paas Abhi Tak Is Tarah Ki Call’s Aarahi Hain To Yaqeen Janiye Ke Aap Dunya Ke Khush Qismat Tareen Insanon Mein Se Hain ♥


✦…......♥ Na’Shukri se Bachne ka Nabwi Nuskha ♥…......✦

Abu Huraira RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: "Look at those who stand at a lower level than you but don't look at those who stand at a higher level than you, for this would make the favours (conferred upon you by Allah) insignificant (in your eyes)."

[Sahih Muslim :: Book 42 :: Hadith 7070, 2963]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "(Maal o Daulat Aur Husn o Jamaal Ke Aaitebar Se) Apne Se Kam Logon Ki Taraf Nigah Rakho Aur Apne Se Unche Logon Ko Mat Dekho, Aisa K0arne Se Tum Allah Ki Nematon Ki Na’qadri Aur Na’Shukri Se Bache Rahoge."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 7430]


✦.........♥ Zaban Ta Dil Aik Balisht Ka Safar! ♥.........✦

Sahaba Karam RadiyAllahu Anhum Ki Zindagi Quran o Sunnat Ka Amli Namuna Thi, Jabke Hamare Paas Quran o Sunnat Ki Malumat To Bahot Hain Lekin Qurna o Sunnat Ki Talimat Ham Par Asar Andaz Nahin Ho Rahin. 

Wajah Ye Hai Ke Ham Mein Aur Sahaba Karam RadiyAllahu Anhum Mein Aik Balisht Ka Farq Hai, Lekin Zaban Ta Dil Aik Balisht Ka Ye Safar Bahot Kathin Aur Mehnat Talab Hai Aur Sirf Qismat Walon Ko Ise Tai Karne Ki Toufeeq Naseeb Hoti Hai!!! Allah Ta’ala Hamen Guftaar Ki Tarah Kirdar Ka Ghazi Bhi Banade. (Aameen)


●◗► Apna Hunar, Salahiyat Aur Tajruba Aage Muntaqil Kijiye! Agar Aap Apne Shobe Ke Kamyab Tareen Fard Hain To Muashre Ko Rashan Aur Sadaqah Khairat Dene Ke Sath Apne Jaise Kam Az Kam 10 Hunar Mand Afrad Tayyar Kar Ke Den!



✦....► Jahannam Ke Sab Se Halke Azab Ki Holnaki ◄....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "The least tormented of the inhabitants of the Fire would be he who would wear two shoes of Fire and his brain would boil on account of the heat of the shoes."

[Sahih Muslim :: Book 1 :: Hadith 412]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya "Ahle Dozakh Mein Sab Se Kam Azab Pane Wala Wo Shaks Hoga Jis Ne Aag Ke 2 Jute Pehne Honge Jin Ki Garmi Aur Tapish Se Us Ka Dimagh Khoulta Hoga."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 1 :: Hadith 514, 211]



❤️ Aap Ka Bada Sarmaya Wo Log Hain Jo Aap Ki Ghair Maujoodgi Mein Apne Rab Se Duaon Mein Aap Ke Liye Khair Mangte Hain ❤️


●◗► Allamah Sha’abi Rahimahullah Farmate Hain: “Agar Tum Se 99 Kaam Sahih Hon Aur Aik Ghalti Ho Jaye To Log 99 Kamon Ko Chhod Kar Us Aik Ghalti Ko Lekar Baithenge (Aur Ta’an o Tashnee Karna Shuru Karden Ge).” (Hilyatul Auliya Abi Nu`aym)


✦.............♥  Sardi Ke Mosam Mein Wuzu ♥.............✦
♥ Gunahon Ki Muafi Aur Darjat Ki Bulandi Ka Sabab ♥

The Messenger of Allah (ﷺ) said: Should I not suggest to you that by which Allah obliterates the sins and elevates the ranks (of a man). They (the hearers) said: Yes, Messenger of Allah. He (ﷺ) said: Performing the ablution thoroughly despite odds, tranverside of more paces towards the mosque, and waiting for the next prayer after observing a prayer, and that is mindfulness.

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Faramya: “Kya Main Tumhen Aisa Aml Na Batlaun Jis Ki Waja Se Allah Subhanahu Wa Ta'ala Gunahon Ko Muaaf Aur Darjaat Buland Farmate Hain? Sahaba Ne Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Zaroor Batayye, Aap ﷺ  Ne Irshad Farmaya:

❶ (Sakht Sardi Wagherah Ki) Na Gawari Ke Bawajud Acchi Tarah Wuzu Karna

❷ Zyadah Se Zyadah Qadam Utha Kar Masjid Ki Taraf Jana

❸ Aur Aik Namaz Ke Baad Dusri Namaz Ka Intezar Karna 

Yahi Ribat (Yani Jihad Ki Tayyari) Ke Manind Hai.”

[Sahih Muslim :: Book 2 :: Hadith 485, 251]


●◗► Ham Jis Chehre Ke Sath Paida Hokar “Aalame Dunya” Mein Aate Hain Wo Hamara Apna Intekhab Nahin Hota.

Magar Jis Chehre Ke Sath Ham Ne Marna Hai Aur “Aalame Barzakh” Mein Pahonchna Hai Use Quran o Sunnat Ke Mutabiq Dhalne Ke Zimmedar Ham Khud Hain!


✦.......♥ Bin Bulaye Mehman Pehle Ijazat Len! ♥.......✦

Narrated Abu Mas`ud RadiyAllahu Anhu: An Ansari man, called Abu Shu'aib (RadiyAllahu Anhu), came and told his butcher slave, "Prepare meals sufficient for five persons, for I want to invite the Prophet (ﷺ) along with four other persons as I saw signs of hunger on his face." Abu Shu'aib invited them and another person came along with them. The Prophet (ﷺ) said (to Abu Shu'aib), This man followed us, so if you allow him, he will join us, and if you want him to return, he will go back." Abu Shu'aib said, "No, I have allowed him (i.e. he, too, is welcomed to the meal).

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 3 :: Book 34 :: Hadith 295, 2081]

Urdu Translation: Hazrat Abu Mas`ud RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Aik Ansari Sahabi Jin Ki Kunyat Abu Shu'aib RadiyAllahu Anhu Thi, Tashreef Laye Aur Apne Ghulam Se Jo Gosht Ka Kaam Karta Tha Farmaya Ke Mere Liye Itna Khana Tayyar Karo Jo Panch Aadmiyon Ke Liye Kafi Ho, Main Ne Nabi Akram ﷺ Ke Chehre Anwar Par Bhook Ka Asar Numayan Dekh Kar Aap ﷺ Aur Aap Ke Sath Mazeed Char Aadmiyon Ki Dawat Ka Iradah Kiya Hai, Chunanche Unhon Ne AanHazrat ﷺ o Digar Char Mahmanon Ko Dawat Di, Aap ﷺ Ke Hamrah Aik Aur Sahabi Bhi Aagaye, Aap ﷺ Ne Mezban Se Farmaya:

“Hamare Sath Ye Sahab (Zayed) Aagaye Hain, Agar Aap Inhen Ijazat Dena Chahen To Ye Aajayenge Aur Agar Wapas Karna Chahen To Ye (Bakhushi) Wapas Chale Jayenge, Mezban Ne Jawab Diya: Zaroor Tashreef Layyen! Main Inhen Bhi Ijazat Deta Hun.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 2081]