Thursday 25 August 2016

✦.......♥ Haji se Duaon Ki Darkhuast Karen! ♥.......✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said:  "Allah forgives the haji (person who performed hajj), and also forgives that person for whom the haji Makes dua.”

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:  “Hajj Karne Wale ki Maghfirat ki Jati hai aur Jis ke liye Haji Maghfirat ki Dua kare us ki bhi Maghfirat ki jati hai.”

[Rawah Al- Bazar, Al-Tabarani, Fi-Sagheer Sahih Ibn Khuzaimah]

✦.........♥ Shohar Ki Mohabbat ♥.........✦

●◗► Agar aap ka Shohar aap ko Pardah karne ka kahta hai to is ka ye Matlab nahin ke us ko Aap par Shak hai ya Aitebar nahin karta is ka Matlab ye hai ke Aap apne Shohar ke liye bahot Qeemti hain aur wo Aap se Mohabbat karta hai ♥ Aap ko buri Nazron se chupa kar rakhna Chahta hai aur aap ko Jahannam ki Aag se bachana chahta hai jo ke us par Farz bhi hai ke Apne Biwi bacchon ko Burayi se rok kar Jahannam ki Aag se bachaye.

✦......♥ Neend ka Galba aur Muft Tahajjud ka Sawab ♥......✦

It was narrated from Abu Ad-Darda' RadiyAllahu Anhu who attributed it to the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam): "Whoever goes to his bed intending to get up and pray qiyam (Tahajjud) at night, then sleep overwhelms him until morning, will have recorded that which he intended and his sleep is a charity given to him by his Lord, the Mighty and Sublime."

[Sunan an-Nasa’i :: Vol. 2 :: Book 20 :: Hadith 1788,1787]

Urdu Translation: Hazrat Abu Ad-Darda RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jo shaks (sone ke liye) apne Bistar par Aaye aur uski Niyyat ye ho ke Raat ko uth kar Tahajjud ki Namaz padhunga, Phir Neend ka aisa galba taari hua ke subah hi Aankh khuli to us ke liye Tahajjud ka sawab likh diya jata hai aur Neend karna us ke Rabbe Azzawajal ki taraf se Atya o In’aam hota hai."

[Urdu Ref :: Sunan an-Nasa’i :: Vol. 1 :: Hadith 1790]

✦......► 900 Chuhe Kha Kar Billi Hajj ko Chali! ◄......✦

●◗► Ye Muhawrah Aap ne bahot se Logon se suna hoga, Khaas tor par Jab koi Galat kaam kar ke Taubah karle aur sidhi Raah pe Aane ki koshish kare to Log kahte hain ke dekho: “900 chuhe kha kar Billi Hajj ko chali”, Ye Muhawrah bilkul na Munasib aur galat hai, Aik taraf is mein Hajj jaise Muqaddas farize ko Tazheek ka Nishana Banaya gaya hai to dusri Taraf taubah karne wale ki kirdar kashi ki gayi hai, Hadees Shareef ka Mafhoom hai ke Agar Insan din mein 70 martaba Gunah par Taubah kare aur har Martaba apni Taubah ko tod de aur Phir dobarah Sacche dil se Tauba kare to Allah Subhanahu Wa Ta'ala  phir bhi us ki Taubah qubool Farma lete hain.

♥ Lehaza Neki ki Taraf Aane Walon Pe Kichad Uchalne ke Bajaye un ki Bhar Poor Hosla Afzayi Karen ♥

✦.......✿.......♥ Bacche ka Aqiqah ♥.......✿.......✦
✦...♥ Aafaat o Bimariyon se Rahat ka Sabab ♥...✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The boy is mortgaged by his 'Aqiqah; slaughtering should be done for him on the seventh day, he should be given a name, and his head should be shaved."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 3 :: Book 17 :: Hadith 1522, 1522]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Har Baccha/Bacchi apna Aqiqah hone tak Girwi rahta hai, Bacche ki taraf se Satwen din Janwar zabah kiya jaye, Satwen din us ka Naam rakha jaye aur Sir Mundhwaya Jaye.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 1563]

●◗► Girwi aur Rahen rakhe hone ka Matlab Ulama ne ye Bayan farmaya hai ke Agar Isteta’at ke Bawajood Waldain, Bacche ka Aqiqah nahin karte to Qayamat ke din us Bacche ko Waldain ki Shifa’at se rok diya jayega, Baaz Ulama “Girwi” hone ka Matlab ye bayan farmate hain ke Agar Isteta’at ke bawajood bacche ka Aqiqah nahin kiya jata to Baccha Bimariyon aur Aafaat mein Ghira rahta hai.

✦...........♥ Tawaf-e-Ka'bah ♥...........✦

Narrated Abdullaah ibn Umar RadiyAllahu Anhu I heard the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) saying: "One foot is not put down, nor another raised except that Allah removes a sin from him and records a good merit for him."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 4 :: Hadith 959, 959]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke main ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Farmate hue suna hai: “Tawaf karne wala jo Qadam bhi Uthata aur Rakhta hai Allah Ta’ala is ke badle us ka aik Gunah mita deta hai aur us ke liye aik Neki likh di Jati hai.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 946]

✦.........♥ Hajre Aswad ♥.........✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The Black Stone descended from the Paradise, and it was more white than milk, then it was blackened by the sins of the children of Adam."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 4 :: Hadith 877, 877]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:  “Hajre Aswad Jannat se is Halat mein utra tha ke wo Doodh se bhi Zyadah Sufed tha, Magar Insanon ke Gunahon ne ise Siyah kar diya.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 859]

✦.......► Khud Garz Logon ka Haal ◄.......✦

●◗► Logon ko “Tissue Paper” ki Tarah istemal kar ke Phenkne Walon ki Apni Zindagi  “Dustbin” ban Jati hai.

✦....▶ Mahfil Wagerah Mein Baith kar Mobile Mein Mashguliyat ◀....✦

It was narrated from Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu that : The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) took a ring and put it on, then he said: "This distracted me from you all day, shifting my gaze from it to you (and back again)." Then he threw it away.

[Sunan an-Nasa’i :: Vol. 6 :: Book 48 :: Hadith 5291, 5289]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Abbas RadiyAllahu Anhuma se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne aik Anghothi banwayi aur use pehna, aur phir Farmaya: "Is Anghothi ne Aaj se meri tawajje Tumhari taraf se Baant di hai, Aik Nazar ise dekhta hun aur aik Nazar tumhen”, Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne wo Anghothi utardi."

[Urdu Ref :: Sunan an-Nasa’i :: Vol. 3 :: Hadith 1590]

●◗► Majlis ke Aadab mein se hai ke Insan Shurka Majlis aur Mehmano ko chhod kar kisi aur cheez mein Mashgool na ho, Aaj kal log Mahfil mein Shurka ko chhod kar dair tak Mobile Phone aur Social Media mein Mashgool rahte hain, aisa karna Khilafe Adab hai.

✦...........♥ Watne Azeez INDIA se Mohabbat! ♥...........✦

●◗► Insan Jis khitte, Mulk, Shaher ya ilaqe mein Rehta hai us jage se Unsiyat, Qalbi lagao aur Mohabbat o Ulfat ka paida ho jana aik fitri cheez hai, Diyanat aur Amanat ka taqaza bhi yahi hai ke Insan jahan rahe wahan ki khair khuahi, Taraqqi aur Falah o Bahbood ki koshishon mein laga rahe.

✿ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Jab Makkah Mukarramah se Hijrat farma kar nikle to sawari par sawar ho kar baar baar Piche mud kar dekhte aur Farmate: "(Aye Makkah!) Allah ki qasam tu Allah Ta’ala ki behtareen aur Mahboob tareen zameen hai, Agar mujhe yaha se na Nikala jata to main tujhe Chhor kar na jata." [Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 2 :: Hadith 1265, 3108]

✿ Baad Aza Jab RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Hijrat farma kar Madinah Tayyabah pohche aur Madinah Munawwarah ko apna Mustaqil watan bana liya to ye dua mangi: "Aye Allah! Jis tarah Makkah Mukarramah ki Mohabbat tu ne hamen ata ki thi isi tarah Madinah Munawwarah ki Mohabbat bhi hamen ata Farma, ya us se bhi zyadah hamen Madinah ki mohabbat ata farma, aur yahan ki Aab o hawa sahet baksh banade aur hamare Sa’a aur Mud (galla naapne ke 2 paimane) mein barkat ata farma aur Madinah ke wabayi Bukhar ko Juhfa (naami muqam) mein Muntaqil karde." [Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 3342, 3480]

♥ Apne Mulk aur Watan se Mohabbat karen aur Apni Zaat se Mulk o Watan ko Faidah pohchane ki Koshish karen ♥

●══════════════════◄►═════════════════●

Abu Salamah bin ‘Abdur-Rahman bin ‘Awf narrated that ‘Abdullah bin ‘Adiy bin Hamra’ said to him: “I saw the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam), when he was on his she-camel, standing in Al-Hazwarah* saying: ‘By Allah, you are the best land of Allah, and the dearest of the land of Allah to me. By Allah, had I not been expelled from you I would never have left.’” *A place in Makkah."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 4 :: Book 25 :: Hadith 3108]

'A'isha (Allah be pleased with her) reported: When we came to Medina, and it was an unhealthy, uncogenial place, Abu Bakr fell sick and Bilal also fell sick; and when Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) saw the illness of his Companions he said: O Allah, make Medina as congenial to us as you made Mecca congenial or more than that; make it conducive to health, and bleesus in its sa' and in its mudd, and transfer its fever to al-juhfa."

[Sahih Muslim :: Book 7 :: Hadith 3178]

Saturday 13 August 2016

✦.........♥ Baitullah ke 5 Imtiyazi Ausaf ♥.........✦

Irshade Bari Ta’ala hai:⇨ “Haqiqat ye hai ke sab se Pahla ghar jo Logon (ki ibadat) ke liye banaya gaya Yaqini tor par wo hai jo Makkah mein waqe hai (aur) banane ke waqt se hi Barkaton wala aur Dunya jahan ke logon ke liye Hidayat ka saman hai, is mein Roshan nishaniyan hain, Muqam Ibraheem hai, aur jo us mein dakhil hota hai Amn pa jata hai, aur logon mein se jo log is tak Pahochne ki isteta’at rakhte hon un par Allah ke liye is Ghar ka Hajj karna Farz hai.” (Al-Quran, Surah Al-Imran: 96,97)

Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne Baitullah Shareef ke 5 bade Ausaf Darj bala Aayat mein Bayan Farmaye hain:

❶ Ruye zameen par Banaya gaya ye sabse Qadeem Ghar hai.
❷ Ye Bada hi ba Barkat aur har Qism ki bhalayyon par Mushtamil hai.
❸ Is mein Insaniyat ke liye Hidayat ka saman hai.
❹ Roshan aur Wazeh Nishaniyan bhi is mein Moujood hain.
❺ Is mein Dakhil hone wala Amn pa jata hai.

●════════════════◄►═══════════════●

⇨ Verily, the first House (of worship) appointed for mankind was that at Bakkah (Makkah), full of blessing, and a guidance for Al-'Alamin (the mankind and jinns). In it are manifest signs (for example), the Maqam (place) of Ibrahim (Abraham); whosoever enters it, he attains security. And Hajj (pilgrimage to Makkah) to the House (Ka'bah) is a duty that mankind owes to Allah, those who can afford the expenses (for one's conveyance, provision and residence); (Al-Quran, Al-Imran: 96,97)

●◗► Agar log Aap ko Accha samajh rahe hon to Itrane aur Takabbur karne ke Bajaye Allah ka shukr ada Karen Jis ne Aap ke Uyoob par Pardah daal kar logon ki Nazron mein Aap ko Mua’zzaz bana diya ♥

✦ Subah Sawere: Neend se Bedar hone ke Baad Masnoon Aml ✦

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "If anyone of you rouses from sleep and performs the ablution, he should wash his nose by putting water in it and then blowing it out thrice, because Satan has stayed in the upper part of his nose all the night. (Cleaning of nose washes laziness caused by devil)."

[Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 54 :: Hadith 516, 3295]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad Farmaya: "Jab tum mein se koi shaks sokar uthe aur phir Wuzu kare to 3 Martaba naak jhaade, Kyun ke shaitan raat bhar us ki Naak ke nathne (upper part of nose) par baitha rahta hai. (aur Naak jhadne se wo Shaitani Nahusat aur Susti door hojati hai)."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Hadith 3295]

✦.......♥ Bin Bulaye Mehman Pehle Ijazat Len! ♥.......✦

Narrated Abu Mas`ud RadiyAllahu Anhu: An Ansari man, called Abu Shu'aib (RadiyAllahu Anhu), came and told his butcher slave, "Prepare meals sufficient for five persons, for I want to invite the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) along with four other persons as I saw signs of hunger on his face." Abu Shu'aib invited them and another person came along with them. The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said (to Abu Shu'aib), This man followed us, so if you allow him, he will join us, and if you want him to return, he will go back." Abu Shu'aib said, "No, I have allowed him (i.e. he, too, is welcomed to the meal).

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 3 :: Book 34 :: Hadith 295, 2081]

Urdu Translation: Hazrat Abu Mas`ud RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Aik Ansari Sahabi jin ki Kunyat Abu Shu'aib RadiyAllahu Anhu thi, Tashreef laye aur apne Ghulam se jo gosht ka kaam karta tha Farmaya ke mere liye itna khana tayar karo jo panch Aadmiyon ke liye kafi ho, Main ne Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ke Chehre Anwar par bhook ka Asar Numayan dekh kar Aap Sallallahu Alaihi Wasallam aur Aap ke sath Mazeed char Aadmiyon ki dawat ka iradah kiya hai, Chunanche unhon ne AanHazrat Sallallahu Alaihi Wasallam o Digar char Mahmanon ko dawat di, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke hamrah aik aur Sahabi bhi agaye, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Mezban se Farmaya:

“Hamare sath ye Sahab (zayed) aagaye hain, Agar aap inhen ijazat dena chahen to ye Aajayenge aur Agar wapas karna chahen to ye (bakhushi) wapas chale jayenge, Mezban ne jawab diya: Zaroor tashreef layyen! Main inhen bhi ijazat deta hun.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 2081]

✦.......♥ Main Janti Hun Ke! ♥.......✦

●◗► Na Mahram Mardon ki Nigahen Hawas bhari, Zaher Aalood aur Galeez hoti hain aur Jab mere wujood par Padti hain to Meri rooh kanp uth ti hai…Lekin main ye bhi Acchi tarah Janti hun ke ye Mujh par Munhasir hai ke main Mardon ko Nigahen uthane par Majboor karun ya Nigahen Jhukane par!!!

●◗► Ya Allah! "Jo Musalman Ladke aur Ladkiyan Rishte ke Intezar Mein hain Unhen Naik, Saleh aur Jod ke Rishte Ata Farma." Aameen

✦.......♥ Hunar Mand Afrad ki Izzat Afzayi! ♥.......✦

Narrated Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu: A tailor invited Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) to a meal which he had prepared. I went along with Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) and saw him seeking to eat the pieces of gourd from the various sides of the dish. Since that day I have liked to eat gourd."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 65 :: Hadith 291, 5379]

Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu Riwayat karte hain ke Aik “Darzi” ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke liye khana Tayyar kiya aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko khane ki dawat di, Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main bhi RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Hamrah dawat mein chala gaya, Main ne dekha ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam khane ke bartan mein charon taraf Kaddu talash kar ke (tanawul farma rahe) hain, Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main bhi us din se Kaddu ko pasand karne laga.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 5379]

●◗► Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka “Darzi” ki dawat Qubool farmana us ki Aamdani ko Sanade Jawaz Faraham karna aur us ki Hosla Afzayi farmana tha, Mashhoor Muhaddis Imam Nawawi Rahimahullah Farmate hain ke Hadise bala se pata chala ke “Darzi” ka Pesha Halal aur tayib hai, Aik aur bade Muhaddis Hafiz Ibn Hajar Rahimahullah Farmate hain ke “Darzi” hona khilafe Marwat ya Aaib ki baat Nahin.

✦......♥ Halal Khayyen aur Sunnaton Par Aml Karen ♥......✦

Abu Sa'eed Al-Khudri RadiyAllahu Anhu narrated that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said:

❶ "Whoever eats the Tayyib and
❷ Acts in accordance with the Sunnah, and
❸ The people are safe from his harm, he will enter Paradise."

So a man said: "O Messenger of Allah! This is the case with many people today." So he (Sallallahu Alaihi Wasalalm) said: "It shall be so in the generation after me."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 11 :: Hadith 2520]

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abu Sa’eed Khudri RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:

❶ “Jo Shaks Halal khaye
❷ Sunnaton pe Aml kare
❸ Aur Log us ke shar se Mahfooz rahen to wo Jannat Mein zaroor Dakhil hoga.”

Aik Sahabi ne Arz kiya: Ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam! Aaj kal aap ki Ummat mein to aise Bahot se log Maojood hain, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Mere baad wale zamanon mein bhi Aisel log honge.”

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadih 410, 2520]

✦..► Galat Tarze Aml Khubiyon ke Bajaye Khamiyan Dekhna! ◄..✦

Allamah Sha’abi Rahimahullah Farmate hain: “Agar tum se 99 kaam sahih hon aur Aik galti ho jaye to log 99 kamon ko chhod kar us Aik Galti ko lekar baithenge (aur Ta’an o Tashnee karna shuru karden ge).” (Hilyatul Auliya Abi Nu`aym)

⇨ “Aur Ham ne Insan ko Hukum diya hai ke wo Apne Waldain ke Sath Husn Sulook kare.” (Al-Quran, Surah Al-Ankabut : 8)

⇨ “And We have enjoined on man to be good and dutiful to his parents;” (Al-Quran, Surah Al-Ankaboot : 8)

✦......♥ Namaze Fajr Padhne ke Besh Baha Fawayed ♥......✦

❶ Ba jama’at Namaze Fajr puri Raat Qayam ul-Lail ke Barabar hai: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jis ne Isha ki Namaz ba jama’at padhli to goya us ne Aadhi raat khade ho kar Namaz padhi aur Jis ne Fajr ki Namaz ba jama’at padhli to goya us ne Tamam raat khade ho kar Namaz padhi.” (Sahih Muslim : 1523, 1491)

❷ Fajr ki Namaz padhne wala Allah ke zimme mein Aajata hai: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jis Aadmi ne Subah ki Namaz padhi to wo Allah ki Zimmedari mein Dakhil ho gaya….” (Sahih Muslim : 1526, 1494)

❸ Namaz Fajr ke liye Masjid jana, Qayamat ke din Noor aur Roshni ka Sabab hoga: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Raat ki tarikiyon mein Masajid ki taraf kasrat se jane walon ko Qayamat ke din kamil Noor ki khush khabri sunado.” (Sunan Abi Dawud : 561)

❹ Namaz Fajr Padhne wale Jannat mein Dakhil honge: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jis ne 2 thandi Namazen (Fajr aur Asr) Padhen to wo Jannat mein dakhil hoga.” (Sahih Bukhari : 574)

❺ Fajr ki 2 Sunnaten Padhna, Dunya aur jo kuch Dunya mein hai is se Behtar hai: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Fajr ki do Rakat sunnat Dunya aur jo kuch is Dunya mein hai, in sab se Behtar hai.” (Sahih Muslim : 1721, 1688)

❻ Fajr ki Namaz Padhne walon ke Farishte gawah Ban jate hain: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Tumhare paas Raat aur din ke Farishte aate hain aur ye Asr aur Fajr ki Namaz mein jama hote hain, Phir wo Farishte uphar chadhte hain Jinhon ne raat tumhare sath guzari hoti hai, phir Allah tumhare bare mein un se Puchte hain halan ke use Tumhari khoob khabar hai, Puchte hain: Mere bandon ko kis haal mein chhoda? Wo kehte hain ke ham ne is Haal mein chhoda ke wo Namaz padh rahe the.” (Sahih Bukhari : 7429)

❼ Namaz Fajr Rizq mein Barkat ka Zariya hai: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Dua Farmayi: “Aye Allah! Meri Ummat ke liye Subah sawere ke waqt mein Barkat de.” (Sunan Abi Dawud : 2606)

●═══════════════════◄►══════════════════●

❶ The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "He who observed the 'Isha' prayer in congregation, it was as if he prayed up to midnight, and he who prayed the morning prayer in congregation, it was as if he prayed the whole night.” (Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 1379)

❷ The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "He who observed the morning prayer (in congregation), he is in fact under the protection of Allah….” (Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 1382)

❸ The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Give good tidings to those who walk to the mosques in darkness for having a perfect light on the Day of Judgment.” (Sunan Abi Dawud :: 561)

❹ The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "'Whoever prays the two cool prayers (`Asr and Fajr) will go to Paradise.'” (Sahih Bukhari :: 574)

❺ The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The two rak'ahs at dawn are better than this world and what it contains.” (Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 1573)

❻ The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "(A group of) angels stay with you at night and (another group of) angels by daytime, and both groups gather at the time of the 'Asr and Fajr prayers. Then those angels who have stayed with you overnight, ascend (to Heaven) and Allah asks them (about you) ---- and He knows everything about you. "In what state did you leave My slaves?' The angels reply, 'When we left them, they were praying, and when we reached them they were praying.' " (Sahih Bukhari :: 7429)

❼ The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "O Allah, bless my people in their early mornings." (Sunan Abi Dawud : 2606)

✦........✔ Quwwate Baazu Par Etemad ✔.......✦

●◗► Shaakh par Baitha Parindah kabhi shakh ki Kamzori se Nahin darta, Kyun ke use apni Quwwate Baazu Aur paron par Etemad hota hai.

●◗ Isi tarah kisi ki Baisakhiyon par bharosa karne ke bajaye apne andar Khud Etemadi paida karo aur apni Quwwate bazu par jina sikho, na kisi se Toqiaat (ummiden) bandho aur na kisi se koi gila karo.

✦....♥ Ya Allah! Hamen aur Hamari Naslon ko “Apna” Banale! ♥....✦

⇨ “Aye Hamare Parwardigar Hamen apna Mukammal Farman bardar banale aur hamari Nasal se bhi aisi Ummat paida kar jo teri puri Tabe daar ho, aur ham ko hamari Ibadaton ke tariqe sikhade aur Hamari tauba qubool Farmale Beshak tu aur sirf tu hi Muaaf kardene ka khugar (aur) badi Rahmat ka Malik hai.” (Surah Al-Baqarah : 128) Aameen Ya Allah

⇨ “Our Lord, and make us Muslims [in submission] to You and from our descendants a Muslim nation [in submission] to You. And show us our rites and accept our repentance. Indeed, You are the Accepting of repentance, the Merciful.” (Surah Al-Baqarah : 128) Aameen Ya Allah