Saturday 27 October 2018

✦...♥ Mujh Se Mukammal Yaqeen Ke Sath Mang Kar To Dekho ♥...✦

●◗► Hote Ho Kya Meri Qudrat Par Yaqeen Nahin Hai Tum Ko ? Main To Tumhari Shah Rag se bhi Zyadah Qareeb Hun Jab Tum Apni Maa ki Niyyat Par Shak Nahin Kar Sakte to Us Par Kaisi Be Yaqeeni Jo Tum Se 70 Maaon Se Badh Kar Mohabbat Karta hai... ♥ “Mujh Se Mukammal Yaqeen Ke Saath Mang Kar To Dekho Arsh Par “Kun” Keh Kar Puri Dunya Ko Tumhara Waseela Bana Kar Tumhen Na Nawaza To Kehna..!!

🌸 Fikr Na Karen Log Bhool Jayenge Allah Nahin Bhoolta Aap Ki Neki Na Logon Ki Zyadati!! 🌸

✦..:: Jum'ah ki Azan Sunte hi Dunyawi Masrufiyaat Tark Karden ::..✦

⇨ "O you who have believed, when [the adhan] is called for the prayer on the day of Jumu'ah [Friday], then proceed to the remembrance of Allah and leave trade. That is better for you, if you only knew." (Surah Al-Jumu'ah:9)

⇨ "Urdu Translation: "Aye Imaan Walo! Jab Jumah ke Din Namaz Ke Liye Pukara Jaye to Allah Ke Zikr ki Taraf Lapko Aur Khareed o Farokht Chhod Do ye Tumhare Haq mein Behtar Hai Agar Tum Samjho.” (Surah Al-Jumu'ah:9)



✦.....♥ Dunya Ki Sab Se Badi Daulat ♥ Naik Biwi ♥.....✦

Allah's Messenger (ﷺ) as saying: “The whole world is a provision, and the best object of benefit of the world is the pious woman.”

[Sahih Muslim ::  Book 8 :: Hadith 3465]

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Dunya Faidah Uthane Ki Cheez Hai Aur Dunya Mein Sab Se Zyadah Faidah Dene Wali Cheez Naik Biwi Hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 4 :: Hadith 3649, 3716]
✦..........► Maut Ke Baad 9 Aarzuyen ◄..........✦

❶ Aye Kash! Main Mitti Hota. (Surah An-Naba:40)
❷ Aye Kash! Main ne Apni (Aakhri) Zindagi ke liye Kuch kiya Hota. (Surah Al-Fajr:24)
❸ Aye Kash! Mujhe Mera Nama Aa’mal na Diya jata. (Surah Al-Haqqah:25)
❹ Aye Kash! Main Fulan ko Dost na Banata. (Surah Al-Furqan:28)
❺ Aye Kash! Ham ne Allah aur us ke Rasool ki Farman Bardari ki Hoti. (Surah Al-Ahzab:66)
❻ Aye Kash! Main Rasool ka Rasta Apna leta. (Surah Al-Furqan: 27)
❼ Aye Kash! Main bhi un ke sath Hota to Bahot badi Kamyabi hasil Kar leta. (Surah An-Nisa: 73)
❽ Aye Kash! Main ne Apne Rab ke sath kisi ko Shareek na Tahraya hota. (Surah Al-Kahf:42)
❾ Aye Kash! Koi Surat Aisi ho ke Ham Dunya mein Phir bheje Jayen aur Apne Rab ke Nishaniyon ko na Jhutlayen aur Iman lane Walon mein Shamil hon. (Surah Al-An’am:27)

●◗► Kahin Aap Ki Bhi Koi Aarzu Adhuri To Nahin Reh Gayi???

✦..........► Aundhe Muh Sona Mana Hai! ◄..........✦

It was narrated from Qais bin Tihfah Al-Ghifari RadiyAllahu Anhu that his father said: "The Messenger of Allah (ﷺ) found me sleeping in the masjid on my stomach. He (ﷺ) nudged me with his foot and said: 'Why are you sleeping like this? This is a kind of sleep that Allah dislikes,' or 'that Allah hates.'"

[Sunan Ibn Majah ::  Vol. 5 :: Book 33 :: Hadith 3723]

Urdu Translation: Hazrat Tikhfah Ghifari RadiyAllahu Anhu Farmate Hain ke RasoolAllah ﷺ ne Mujhe Masjid Mein Pait ke bal (Aundhe Muh) Soya hua Paya, Aap ﷺ ne Apne Pair Mubarak se Mujhe hila Kar Farmaya: "Tum is Tarah Kyun So Rahe Ho? Is Tarah Sona Allah Subhanahu Wa Ta'ala ko Sakht Na’pasand hai."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 604, 3723]

●◗► RasoolAllah ﷺ ne Aundhe muh Sone se Mana Farmaya hai Aur Aaj ki Medical Science bhi ise Aaza o Jawareh Bilkhusus dil o Dimagh aur Insani Nafsiyat ke liye Sakht Nuqsan deh Qarar de Rahi hai, Lehaza Ladakpan se hi Aundhe Muh na Sone ke Hawale se Bacchon ki Tarbiyat karen.

♥︎ Rishte To Sabhi Anmol Hote Hain Par Use Ahmiyat Kuch Acche Aur Khaas Log Hi Dete Hain, Dil To Sabhi Ko Deta Hai Khuda Par Us Mein Jaga Kuch Khaas Log Hi Lete Hain ♥︎

💐 Zaroori Ye Nahin Beton Se Naam Roshan Ho, Mere Nabi Ka Chala Khandan Beti Se..!! 💐 ‎ﷺ


✦..........♥ “Bhai” Jaisa Koi Nahin! ♥..........✦

(Allah Allah Subhanahu Wa Ta’ala ne Hazrat Musa Alaihis Salam Se Farmaya): “Ham Tumhare Bhai Ke Zariye Tumhare Hath Mazboot Kiye Dete Hain.” (Surah Al-Qasas: 35)

 ●◗► Lehaza Har Us Shaks Se Door Rahen Jo Aap Aur Aap Ke Bhai Ke Darmiyan Ghalat Fahmiyan Paida Kar Ke Talluqat Ko Theis Pohnchaye.

✦......► Deene Islam Mein Jismani Safayi ◄......✦

Anas RadiyAllahu Anhu reported: "A time limit has been prescribed for us for clipping the moustache, cutting the nails, plucking hair under the armpits, shaving the pubes, that it should not be neglected far more than forty nights."

[Sahih Muslim :: Book 2 :: Hadith 497, 258]

Urdu Translation: Sayyidna Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate Hain: "Rasool Akram (ﷺ) ne Hamare Liye Munchen Katne, Nakhun Tarashne, Baglon ke Baal Ukhadne Aur Zere Naaf Balon ki Safayi ka (Zyadah Se Zyadah) Waqt ye Mutaiyyan Farmaya ke Ham Inhen 40 din se Zyadah na Chhoden."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 1 :: Hadith 599, 622]

●◗► Har hafte Nakhun Tarashna aur Jismani Safayi hasil karna Masnoon hai, Albatta Agar kisi Majburi se koi Shaks har Hafte Nakhun na Tarash Sake ya Jismani Safayi Hasil na kar Sake to Aakhri Muddat 40 din hai, 40 din ke baad bhi Nakhun na Tarashna aur Jism ke Ghair Zaroori Baal Saaf na Karna Sakht Gunah aur Na Jayez Aml hone ke Sath Sath Bahot se Muhlak Amraz aur Bimariyon ka Sabab bhi Hai.

✦...........► 2 Jahannami ka Giroh ◄............✦

Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jahannam Mein Jane Wale 2 Giroh Aise Hain jo Main ne Abhi tak Nahin Dekhe (Aur wo mere Baad dunya Mein Paida Honge),

❶ Aise Log Aayenge Jin ke Paas Bail ki Dumon ki Tarah Sakht Kode Honge Jin se wo Logon ko (Zulman) Mara Karenge.

❷ Aisi Aurten Paida Hongi jo Kapde Pehenne ke Bawajood Nangi hongi (Yani bareek aur Tang kapde un ke Jism par Honge), Mardon ko (Adaye dikha kar) Apni Janib Mayel Karne Wali aur khud Mardon ki Janib Mayel hone Wali hongi, Un ke sir Bukhti Oonton ke Kohaan ki Tarah (Balon mein Unche jode Lagane ki Wajah se) Aik taraf Jhuke honge, Aisi Aurten na Jannat mein Jayengi aur na Jannat ki Khushbon Soongh Sakengi, Halan ke Jannat ki Khushbon Door door tak Sunghi jati hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.6 :: Hadith 7194, 5704]

► Bukhti oont – Aik qism ka bada oont
► Kohaan - Oont ki peet ki bulandi, Saand ya Bail ka Uncha kandha.

●═══════════════◄►═══════════════●

Abu Huraira RadiyAllau Anhu reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: Two are the types amongst the denizens of Hell,

❶ The one possessing whips like the tail of an ox and they flog people with their help.

❷ (The second one) the women who would be naked in spite of their being dressed, who are seduced (to wrong paths) and seduce others with their hair high like humps. These women would not get into Paradise and they would not perceive the odour of Paradise, although its frag- rance can be perceived from such and such distance (from great distance).

[Sahih Muslim :: Book 40 :: Hadith 6840]

✦........► Allama Iqbal, Aik Waqia, Aik Sabaq! ◄........✦

Allama Iqbal Europe ke Daure Par the, Aik Roz Sham ke Waqt Aik Park mein Bacchon ko khelte dekh kar Lutf Andoz ho Rahe the, Achanak un ki Nigah Park ke Kone mein Baithe aik Aise Bacche Par Padi jo Padhayi kar Raha tha, Allama Iqbal ko Hairat hui, Kyun ke wo Bacchon ki Fitrat (Child Psychology) se Bakhubi Waqif the, is liye Bacche ko Padhta dekh Unhen zara Tajjub hua, Unhen Ajeeb laga ke aik Baccha is Mahol mein Padh bhi Sakta hai, Unhen ye Baccha kuch Extra Ordinary laga, Wo uth kar us Bacche ke Paas Gaye Aur us se Bole “Kya Aap ko khelna Pasand Nahin?” Bacche ke Jawab ne Unhen Hairan kar diya “Ham dunya Mein Mutthi Bhar hain, Agar main Khelne Mein Waqt Zaye Karunga to Meri Qaum mit Jayegi, Mujhe Apni Qaum ko Bachana hai.” 

Allama Iqbal: “Aap Kis Qaum Se Ho? Baccha: “Main Yahudi Hun.” 

“Main Yahudi Hun” Ye Alfaz Aur ye Azm, Allama Iqbal ke Hosh Fakhta Ho Gaye, Un ke Zahen kisi aur hi Dunya mein Chala gaya Aur Aankhon se be Sakhta Aansu Bahne lage, Wo Yunnan, Spain, Misar, Iran ki Fateh ki Kahaniyon se Lekar un Ko Ganwa dene Tak ki Wujuhat ka Safar karne Lage, ► “Shayad Dil Cheekh Raha Hoga ke Haai Meri Qaum, Haai Hamare Bacche, Main Tum Mein Shaheen Dhoond Raha Hun Lekin Uqaab to Yahudi Gharon Mein Pal Rahe Hain, Haqiqat Khurafat Mein Kho Gayi, Ye Ummat Riwayat Mein Kho Gayi.”

♥︎ Acche Logon Ke Sath Un Ki Ghaltiyon Ki Waja Se Talluqat Khatam Na Ki Jiye Kyun Ke Un Ki Ghaltiyan Hi Ghalti Se Hua Karti Hain ♥︎

✦...........►Surah Al-Kahf Ke Fazayel ◄...........✦

❶ Baitullah Shareef Tak Noor hi Noor:  RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Jumah ke Din Surah Al-Kahf ki Tilawat Kare to Jis Jaga Wo Tilawat karta hai Wahan se Lekar Makkah Mukarramah tak ka Tamam Fasla Noor se Munawwar ho jata hai. (Sunan an-Nasa’i:  10788)

❷ Aik Jumah Se Dusre Jumah Tak Noor:  Nabi Akram (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Jumah ke Din Surah Kahf Padhta Hai to us ke Liye Doosre Jumah tak Noor Jagmagata Rehta Hai.” (Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim: 3392)

❸ Dajjal Se Hifazat Ka Zariya:  RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Surah Al-Khaf ko Aise hi Padhe Jaise ke Wo Utari Gayi hai (Yani Tajweed ke Sath Acche Andaz Se) Aur Phir Wo Dajjal Ko Paale To Dajjal us Par Musallat Nahin Ho Sakega.” (Sunan an-Nasa’i:  10790)

❹ Ibtedayi 10 Aayat Yaad karne ki Fazilat:  Nabi Akram (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Surah Kahf ki Ibtidayi (Starting) 10 Aayat Yaad kare Ga Wo Dajjal ke Fitne Se Bacha liya Jayega.” (Sunan an-Nasa’i: 10790)

❺ Aakhri 10 Aayat ki Fazilat:  Nabi Akram (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jis Shaks Ne Surah Kahf Ki Aakhri (Ending) 10 Aayat Yaad kiyen Aur Phir Dajjal Nikal Aaya To Dajjal us Par Ghalba Nahin Pasake ga.” (Sunan an-Nasa’i: 10790)

👉🏻 Tik Tok Ki Jis Rangeen Dunya Mein Aap 24 Ghante Madhosh Hai Janab, Zara Khayal Rakhna Us Madhoshi Ki Shikaar Aap Ki Bahen To Nahin 👈🏻

✦......♥ Bhale Naraz Ho Jaye Lekin Badguman Nahin ♥......✦

●◗► Badgumani Us Taiz Aandhi ki Tarah Hoti hai Jo Sab Kuch Apni Lipait Mein Le Leti hai, Dekhne Wali Sab Aankhon Mein Mitti Daal deti Hai to Phir Ham Kuch dekhne ke Qabil Nahin Rahte, Bura Gumaan to kisi Ghair Ke Liye Bhi Nahin Rakhna Chahiye Aur Jahan Baat Kisi Bahot Apne Pyare Ki Aajaye to Bhale Us Se Kuch Waqt Ke Liye Naraz Ho Jayen Magar Badguman Nahin.

💖 Hukumat To Wo Hai Jo Dilon Par Ki Jaye Aur Dilon Par Hukumat Acche Akhlaq Wale Hi Kar Sakte Hain 💖

✦..........♥ Har Shar Se Hifazat Ka Dum! ♥..........✦

Narrated AbuSalih Zakwan as-Samman: A man from Aslam tribe said: I was sitting with the Messenger of Allah (ﷺ). A man from among his Companions came and said: Messenger of Allah (ﷺ)! I have been stung last night, and I could not sleep till morning. He (ﷺ) asked: What was that? He replied: A scorpion. He (ﷺ) said: Oh, had you said in the evening:

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ

"I take refuge in the perfect words of Allah from the evil of what He created," nothing would have harmed you, Allah willing.

[Sunan Abi Dawud :: Book 28 :: Hadith 3889, 3898]

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Nabi Akram  ﷺ ki Khidmat Mein Aik Martaba Aap ke Sahaba Mein se Aik Shaks Tashreef laye aur Arz kiya ke Ya RasoolAllah ﷺ! Aaj Raat Mujhe Dus liya Gaya Jis ki Waja se Main Subah Tak so Nahin saka, Huzoor ﷺ ne Pucha ke kis Cheez ne Dasa? Wo Sahabi Farmane Lage ke Bicchu ne Dasa, Huzoor ﷺ ne Farmaya ke Agar Tum Sham ke Waqt ye Kalimat:

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ

Tarjuma: “Main Allah ke Tamam Kailmat ki Panah Mangta hun Us Cheez ke Shar se Jo Us Ne Paida ki.” Padh Lete to Allah ke Hukum se Tumhen kuch Nuqsan na Pahochta.”

[Urdu Ref :: Sunan Abi Dawood :: Vol. 3 :: Hadtih 500, 3898]

💐 Allah Har Ladki Ko Izzat Wala Sasural Aur Mohabbat Karne Wala Khawind Ata Kare. آمین 💐

✦..........► Dosti Aur Itemad Ke Qabil! ◄..........✦

Allah's Messenger (ﷺ) saying: "People are just like camels, out of one hundred, one can hardly find a single camel suitable to ride."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 8 :: Book 76 :: Hadith 505, 6498]

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Logon ki Misaal Un 100 Oonton ki si Hai Jin Mein se Aik Oont bhi Tum Sawari ke Qabil Na Pao.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 6498]

●◗► Sawari ke Qabil Wahi Oont hota hai Jis mein Narm Mizaji ho, Jo Aasani se Sir Jhuka leta ho, Jahan bithao Baith jaye Aur Jab uthao Uth jaye, Lekin 100 Oonton mein se Aik Oont bhi Bamushkil in Sifaat se Aarasta aur Sawari ke Qabil hota hai, isi Tarah Log bhi Shakal o Surat aur Guftagu mein Bazahir Acche Maloom Hote Hain, Magar in mein Ita’at Guzar, Narm khu, Dosti ke Qabil aur Qabil Bharosa Aik Bhi Nahin hota… Lehaza Ba Kamaal Aur Qabile Bharosa Logon ki Qadar Karen!

☘ Aahista Aahista Insan Dusron Ko Qayel Karna Chhod Deta Hai Use Samajh Aajati Hai Ke Kis Ki Kitni Parwaah Karni Hai, Aur Kis Se Kitni Ummid Rakhni Hai, Aur Kis Se Kitna Fasla Rakhna Hai, Zindagi Sab Sikha Deti Hai ☘

✦........► Maahe SAFAR Hargiz Manhoos Nahin! ◄........✦

Maahe Safar Islami Qamri Calendar ka dusra mahina hai, is Mahine mein shari’at Mutahhara ne na to koi khaas Ibadat Muqarrar ki hai aur na hi is Mahine ke bare mein koi khaas toham Parasti ki taleem di hai, Magar Bad’qismati se kuch Logon ka khayal hai ke (Na’uzubillah) ye Mahina badbakht aur Manhoos hai, isi wajah se is Mahine mein Shadi Biyah o digar khushi ki Taqribaat ke In’eqad se ijtenab kiya jata hai.

Ye khayal Bilkul be Bunyad hai aur ye Darasal usi Toham Parasti ka Tasalsul hai jo Islam se Qabl Arab mein aam thi, RasoolAllah (ﷺ)  ne Toham parasti par mabni aise Tamam Aqayed ko yaksar khatam farma diya, Bilkhusus Maahe safar ke bare mein to Allah ke Rasool (ﷺ)  ne wazeh tor par Irshad Farma diya: La Safar yani "Safar ke Mahine ko Manhoos Samajhne ki koi Haqiqat Nahin." (Sahih Bukhari: 5757)

 Is wazeh Irshade Nabwi ke bawajood bhi Aaj kal logon ki aik badi Ta’dad is mahine ko Manhoos samajhti hai Balke is mahine ke hawale se Ajeeb o Gareeb chizen hamare Mua’shre mein Mashhoor hain. Maslan:

❶ Is ke ibtedayi 13 din Manhoos aur "Tera Tezi" kehlate hain.
❷ Is Mahine ki Nahusat se bachne ke liye zyadah se zyadah Murawwaja Quran khuani ka Ehtemam kiya jata hai.
❸ Sirf isi Mahine mein Jinnat se hifazat ke Aamal kiye jate hain.
❹ Is Mahine ki Nahusat se bachne ke liye Ghar se door daraz nikalne aur safar karne se ijtenab barta jata hai.
❺ Is Mahine ko Aurton ke bajaye Mardon par zyada bhari Tasawwur kiya jata hai.
❻ Is mahine ki Aakhri budh ko khushi Manayi jati hai aur Mithayi taqseem ki jati hai. Wagerah.

●◗► Islam mein bad’shuguni aur Nahusat ka koi Tasawwur nahin, Islam Mein agar koi Nahusat o Bad’shuguni ki cheez hai to wo insan ki apni Bad’Aamaliyan, Fusq o Fujoor, Naach gana, Fahashi o Uryani aur Allah ki khullam khulla Nafarmaniyan hain jo ghar ghar mein ho rahi hain, Agar ham waqeyi Nahusat se bachna Chahte hain to Lanat o phatkar aur Qaher khudawandi ko Dawat dene wale kamo se bachen.

✦.....►Zindagi Khatam Ho Jayegi Zimmedariyan Nahin ◄.....✦

●◗► Aik Faqeer Darya ke Kinare baitha Tha, Kisi ne Pucha Baba kya kar Rahe ho? Faqeer Ne kaha Intezar kar Raha hun ki Mukammal Darya Beh jaye Phir Paar karun, Us Aadmi ne Kaha kaisi Baat karte ho Baba, Mukammal Pani Behne ke Intezar Mein to Tum Kabhi Darya Paar Nahi kar Paoge, Faqeer ne Kaha Yahi to Main Tum Logon ko Samjhana Chahta hun ki Tum Log jo Hamesha ye Kehte Rahte ho ki Aik baar Ghar ki Zimmedariyan Puri ho Jaye to Phir Namaz Padhunga, Dadhi Rakhunga, Hajj karunga, Khidmat Karunga…Jaise Darya ka Pani Khatam Nahin hoga Hamen is Paani se hi Paar Jane ka Raasta Banana hai Isi Tarah ◈➲ Zindagi Khatam Ho Jayegi Par Zindagi ke Kaam Aur Zimmedari Kabhi Khatam Nahin Hon Ge.

♥︎ Pareshan Mat Hua Karo, Jab Dil Ghabraye Kisi Baat Se To Quran Padh Liya Karo ♥︎

✦......► Qarz Aur Dushmanon Se Hifazat Ki Dua! ◄......✦

It was Narrated from 'Abdullah bin 'Amr bin Al-'As that: The Messenger of Allah (ﷺ)  used to say these words in his supplication:

‏ "‏ اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ غَلَبَةِ الدَّيْنِ وَغَلَبَةِ الْعَدُوِّ وَشَمَاتَةِ الأَعْدَاءِ ‏"
"Allahumma inni a'udhu bika min ghalabatid-dain, wa ghalabatil-'aduwwi, wa shamatatil-a'da'.

(O Allah, I seek refuge with You from being overwhelmed with debt, from being overpowered by the enemy and from the enemy rejoicing over my misfortunes.)'"

[Sunan an-Nasa'i ::  Vol. 6 :: Book 50 :: Hadith 5477, 5475]

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Amr RadiyAllahu Anhuma Farmate Hain ke RasoolAllah (ﷺ) in Kalimat ke Sath Dua Manga karte the:

‏ "‏ اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ غَلَبَةِ الدَّيْنِ وَغَلَبَةِ الْعَدُوِّ وَشَمَاتَةِ الأَعْدَاءِ ‏"
"Allahumma inni a'udhu bika min ghalabatid-dain, wa ghalabatil-'aduwwi, wa shamatatil-a'da'. 

“Aye Allah! Main Aap ki Panah Chahta hun Qarz ke Bojh Se, Dushman ke Ghalbe Se Aur Dushmanon Ke (Mujh Par) Hansne se.”

[Urdu Ref :: Sunan an-Nasa'i ::  Vol. 3 :: Hadith 1776, 5475]

❤️ Mohabbat Ke Teen Anasir Bahot Ahmiyat Rakhte Hain...►Ruthna, Manana, Aur Maan Jana Aur Ye Teesra Sab Se Ahem Hai ❤️

✦...♥10 Minute Mein Jism Ke 360 Jodon Ka Sadaqah! ♥...✦

Abu Dharr reported Allah's Apostle (ﷺ) as saying: In the morning charity is due from every bone in the body of every one of you. Every utterance of Allah's glorification is an act of charity. Every utterance of praise of Him is an act of charity, every utterance of profession of His Oneness is an act of charity, every utterance of profession of His Greatness is an act of charity, enjoining good is an act of charity, forbidding what is distreputable is an act of charity, and two rak'ahs which one prays in the forenoon will suffice.

[Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 1557, 720]

Urdu Translation: Nabi Akram (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Tum mein se har Aik ke har Azu Par Subah ke Waqt Sadaqah Lazim hota hai, Aur har Tasbeeh (SubhanAllah) Sadaqah hai, Tahleel (La ilaha illAllah) bhi Sadaqah hai, Takbeer (Allahu Akbar) bhi Sadaqah hai, Tahmeed (Alhamdulillah) bhi Sadaqah hai, Acchi Baat ka Hukum Karna Sadaqah hai Aur Buri Baat se Rokna bhi Sadaqah hai Aur in Sab ki Kifayat Wo 2 Rakaten kar Deti hain jo Tum mein se koi Shaks Chasht ke Waqt Padhta hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 2 :: Hadith 1671, 1704]

●◗► Chasht ka Waqt Tulue Aftab ke Baad Suraj ke Khoob Acchi Tarah Roshan Aur Dhoop Ke Tez ho Jane se Shuru ho Kar Zawal se Pehle tak Rehta hai, Kitna Aasan Nuskha hai ke sirf 10 Minute mein Chahst ki 2 Rakaten Padh Kar Insan Apne Jism ke 360 Jodon ka Sadaqah aur Shukrana Ada kar Sakta hai.

Saturday 6 October 2018

✦.....♥ Ungliyon Ke Pore, Qayamat Ke Din Gawah ♥.....✦

Narrated Yusairah RadiyAllahu Anha she was one of those who emigrated - she said: "The Messenger of Allah (ﷺ) said to us: ‘Hold fast to At-Tasbih (SubhanAllah), At-Tahlil (La ilaha illallah), and At-Taqdis (Subhanal Malikil Quddus), and count them upon the fingertips, for indeed they shall be questioned, and they will be made to speak. And do not become heedless, so that you forget about the Mercy (of Allah)."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 46 :: Hadith 3583]

Urdu Translation: Hazrat Yusairah RadiyAllahu Anha jo Muhajirat Sahabiyat mein se Then Farmati hain ke Nabi kareem (ﷺ) ne ham Aurton se Khitab Farmate hue Irshad Farmaya: "Tum Tasbih (SubhanAllah), Tahlil (La ilaha illallah) Aur Taqdees (Subhanal Malikil Quddus Wagherah) Padhti Raha karo Aur in ko Ungliyon ke Poron Par shumar karo, is liye ke (digar Aaza ki tarah) Poron se bhi (Qayamat ke din un se kiye gaye Aamal ke bare mein) sawal kiya jayega aur in mein Goyayi Paida kar ke un ko Bulwaya Jayega aur Zikr Se Ghafil mat hona (Yani Zikr ko Mat Chhodna), Warna tum Rehmat ko (Yani Sabab Rehmat ko) Chhodne wali Hogi."

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1506, 3583]

🍁 Dhoke Ki Khasiyat Hoti Hai, Use Dene Wala Aksar Koi Khaas Hi Hota Hai 🍁

✦..► Mobile Phone Ke Khangi Zindagi Par Tabah Kun Asrat! ◄..✦

▶ Aap ki Muskurahat Mobile Phone ke Sath
▶ Guftagu, Mobile Phone ke Sath
▶ Soch o Fikr aur Dimaghi Masrufiyat, Mobile Phone ke Sath

●◗► Halan ke Darje Bala Chizon Par Aap ki Ahliya aur Biwi Bacchon ka Haq hai, RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Tere Ghar Walon Ka Bhi Tujh Par Haq hai.” (Sunan Abi Dawud :: Vol. 1 :: Hadith 1356)

The Prophet (ﷺ) said: “Your wife has a right on you…” (Sunan Abi Dawud: 1369)

🍁 Allah Ta'ala Ka Banaya Hua Har Shaks Mukammal Aur Khoobsurat Hai, Bus Khami Aur Kami Hamare Akhlaq Aur Rawayyon Mein Hai 🍁

❤️ Jo Apni Biwi Ko Shehzadi Wali Izzat Deta Hai, Pata Chal Jata Hai Ke Us Ki Tarbiyat Bhi Kisi Malika Ne Ki Hai ❤️

💖 Dusron Ke Liye Accha Sochoge To Allah Tumhare Liye Rasta Bana Dega 💖

✦......► Ashura Ke Roze Ka Tarikhi Pase Manzar! ◄......✦

Abdullah b. 'Umar (Allah be pleased with them) reported that (the Arabs of) pre-Islamic days used to observe fast on the day of Ashura and the Messenger of Allah (ﷺ) observed it and the Muslims too (observed it) before fasting in Ramadan became obligatory. But when it became obligatory, the Messenger of Allah (ﷺ) said: 'Ashura is one of the days of Allah, so he who wished should observe fast and he who wished otherwise should abandon it.

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2504, 1126]

Urdu Translation: Sayyidna Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhuma ne Farmaya ke Zamana Jahiliyat mein log Ashurah (10 Muharram) ko Rozah Rakhte the Aur RasoolAllah ﷺ ne bhi is din Rozah Rakha Aur Musalman bhi Ramadan ke Roze Farz hone se Pehle Ashura ka Rozah Rakhte the Phir Jab Ramadan ke Roze Farz hue to Aap ﷺ ne Irshad Farmaya: “Ashura, Allah Ta’ala ke Dinon mein se Aik Din hai Jo Chahe is mein Rozah Rakhe aur Jo Chahe Chhod de.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 2642, 2698]


✦......♥ Yaume Ashura 10 Muharram Ka Rozah ♥......✦

RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Mujhe Allah ki Zaat Pe Yaqeen hai ke wo Yaume Ashura (10 Muharram Al-Haram) ke Roze ko Guzashta Saal ke Gunahon Ka Kaffarah Bana Dega.” (Sahih Muslim: 2803, 2746)

Baad Aza Jab RasoolAllah ﷺ ne Yaume Ashura ka Rozah Rakha aur Musalmanon ko bhi is ka Hukum diya to Sahaba ne Arz kiya ke Ya RasoolAllah! Yahood o Nasara bhi is Din ki Bahot Tazeem karte Hain, Aap ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jab Agla saal Aayega to ham (Yahood o Nasara ki Mushabihat se Bachne ke Liye) In'sha'Allah Nawe (9) Tareekh ka Rozah bhi Rakhenge, Hazrat Ibn Abbas Farmate Hain ke Agla saal Aane se Pehle hi RasoolAllah ﷺ Dunya se Tashreef le Gaye. (Sahih Muslim: 2722, 2666)

●◗► Yaume Ashura ke Roze ke sath 9 ya 11 Tareekh ka Rozah Rakhna Afzal aur Behtar hai, Lekin Agr kisi ne Sirf Ashura ka Rozah Rakha to bhi Harj Ki Baat Nahin, Neez Hadise Baala se ye bhi Pata Chala ke Musalmano ko Har Moqe par Yahood o Nasara ki Mushabihat se Bachna Chahiye.

●════════════════◄►═══════════════●

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "I seek from Allah that fasting on the day of Ashura may atone for the sins of the preceding year."

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2602, 1162]

Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu reported that when the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) fasted on the day of 'Ashura and commanded that it should he observed as a fast, they (his Companions) said to him: Messenger of Allah, it is a day which the Jews and Christians hold in high esteem. Thereupon the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: When the next year comes, God willing, we would observe fast on the 9th But the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) died before the advent of the next year."

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2528, 1134]

✦.....♥ 9 aur 10 Muharramul Haram Ka Rozah ♥.....✦

Jab RasoolAllah ﷺ ne Yaume Ashura ka Rozah Rakha aur Musalmanon ko bhi is ka Hukum diya to Sahaba ne Arz kiya ke Ya RasoolAllah! Yahood o Nasara bhi is Din ki Bahot Tazeem karte Hain, Aap ﷺ ne Irshad Farmaya: Jab Agla saal Aayega to ham (Yahood o Nasara ki Mushabihat se Bachne ke Liye) In'sha'Allah Nawe (9) Tareekh ka Rozah bhi Rakhenge, Hazrat Ibn Abbas Farmate Hain ke Agla saal Aane se Pehle hi RasoolAllah ﷺ Dunya se Tashreef le Gaye. [Sahih Muslim: 2722, 2666]

●◗► Note: Yaume Ashura ke Roze ke sath 9 ya 11 Tareekh ka Rozah Rakhna Afzal aur Behtar hai, Lekin Agr kisi ne Sirf Ashura ka Rozah Rakha to bhi Harj Ki Baat Nahin, Neez Hadise Baala se ye bhi Pata Chala ke Musalmano ko Har Moqe par Yahood o Nasara ki Mushabihat se Bachna Chahiye.

●════════════════◄►═══════════════●

Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu reported that when the Messenger of Allah (ﷺ) fasted on the day of 'Ashura and commanded that it should he observed as a fast, they (his Companions) said to him: Messenger of Allah, it is a day which the Jews and Christians hold in high esteem. Thereupon the Messenger of Allah (ﷺ) said: When the next year comes, God willing, we would observe fast on the 9th But the Messenger of Allah (ﷺ) died before the advent of the next year."

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2528, 1134]

💐 Maa Baap Ameer Ho Ya Phir Ghareeb Apni Aulaad Ke Liye Wo Kisi Badshah Se Kum Nahin Hote 💐

●◗► Jab Koi Shaks Tumhari Tareef Kare to Dil hi dil Mein Dua Mango ke ♥ Aye Allah ye Shaks Nahin Janta ke Mujh mein Kya kya Aaib hain, Lekin tu Bakhubi janta hai, Jo ye Shaks Meri Tareef mein Jo Jo Alfaz keh Raha us ko Sach kar Dikha ♥

◈ Aur jo Mujh mein Aaib aur Ghalatiyan hain Use door Farma, Taa ke meri Zaat ka Bharam us Shaks ke Aage reh Jaye, Mujhe Nadamat se Bacha kyun ke Tu hi behtar Janta hai ke Kon kis Qabil hai.

✦...► Burayi Karne Se Behtar Tha Ke Tu Bhi So Jata! ◄...✦

●◗► Shaikh Sa’adi Rahimahullah Bayan karte Hain unhe Bachpan mein Ibadat Ka Bahot Shoq tha, Main apne Walid ke Sath sari Raat Jaag kar Quran Paak ki Tilawat aur Namaz mein Mashgool Rahta tha, Aik Raat Main Aur Walid Mohtaram Hasbe Ma’mul Ibadat mein Mashghul the Hamare Paas hi Kuch log Ghafil Pade Farsh Pe so Rahe the, Main ne Unki ye Halat Dekhi to Apne Walid se Kaha ke in Logon ki Halat Pe Afsos hai in se itna Bhi na Ho Saka ke Uth ke Tahajjud ki Naflen hi Ada Kar Lete.

◈➲ “Walid Mohtaram ne Meri ye Baat Suni to Farmaya Ke: “Beta Dusron Ko Km Darja Khayal Karne Aur Burayi Karne Se Behtar Tha ke Tu Bhi Padke So Jata.”

✦..♥ Namaze Jumah ke Liye Umdah Libas Mukhtas Karna ♥..✦

It was narrated from ‘Abdullah bin Salam RadiyAllahu Anhu that he heard the Messenger of Allah (ﷺ) saying on the pulpit one Friday:"There is nothing wrong with anyone of you buying two garments for Friday (prayer), other than his daily work clothes."

[Sunan Abu Dawood :: Book 3 :: Hadith 1073, 1078]

●══════════════◄►═════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Salam RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Unhon ne RasoolAllah ﷺ Ko Jumah ke din Membar Par ye Farmate Suna: "Tum Par koi Harj Nahin hai ke Jumah ke liye Apne Roz Marrah Kaam kaaj ke Kapdon ke Alawah do Kapde (Yani aik Umdah joda) Mukhtas (makhsoos) karlo."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 1066]

♥︎ Kisi Ka Kirdaar Tumhari Zimmedari Nahin, Kisi Ki Zaat Tumhara Theka Nahin, Jo Tum Ho Wo Bus Tum Khud Hi Ho Apne Aap Par Zyadah Tawajje Do, Dusron Ke Bare Mein Zyada Wahi Sochte Hain Jin Ki Apni Koi Zaati Zindagi Nahin Hoti ♥︎

💐 Aye Allah! Jo Mere Muqaddar Mein Nahin Likha Us Ki Koshish Aur Tamanna Mein Mujhe Mubtela Na Karna, Aur Jo Taqdeer Mein Likh Diya Hai Use Mere Liye Aasan Kar Dena. آمین 💐

✦......♥ Muharramul Haram Wajibul Ehteram ♥......✦

⇨ "Haqiqat ye hai ke Allah ke Nazdeek Maheenon ki Ta’dad 12 Mahine hai jo Allah Ki Kitab (Lohe Mahfooz) ke Mutabiq us din se Nafiz chali Aarahi hai Jis din Allah Ne Aasman aur Zameen ko Paida kiya tha, in (12 Mahinon) mein 4 Mahine (Dhul Qa’dah, Dhul Hijjah, Muharram aur Rajab) Wajib ul Ehteram hain, Yahi Deen (ka) Seedha Sadah (Taqaza) hai, Lehaza in Mahinon ke Muamle Mein (Baham Jang kar ke) Apni Janon Par Zulm na karo.” (Quran Surah At-Tawbah: 36)

⇨ "Verily, the number of months with Allah is twelve months (in a year), so was it ordained by Allah on the Day when He created the heavens and the earth; of them four are Sacred, (i.e. the 1st, the 7th, the 11th and the 12th months of the Islamic calendar). That is the right religion, so wrong not yourselves therein, and fight against the Mushrikun (polytheists, pagans, idolaters, disbelievers in the Oneness of Allah) collectively, as they fight against you collectively. But know that Allah is with those who are Al-Muttaqun (the pious - see V. 2:2). (Quran Surah At-Tawbah: 36)

✦.......... ♥ Naye Islami Saal ki Dua  ♥..........✦

Abdullah bin Hisham RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Sahaba Karam RadiyAllahu Anhum Ajmayeen Naye Saal ya Maheene ki Aamad Pe Ye Dua Sikhate the:

اللَّهُمَّ أَدْخِلْهُ عَلَيْنَا بِالأَمْنِ ، وَالإِيمَانِ ، وَالسَّلامَةِ ، وَالإِسْلامِ ، وَرِضْوَانٍ مِنَ الرَّحْمَنِ ، وَجَوَازٍ مِنَ الشَّيْطَانِ

“Aye Allah! Amn, Iman, Salamati, Islam, Rahman ki Raza Mandi Aur Shaitan se Bachao ke Sath is Saal / Maheena ko Ham Pe Dakhil Farma.” (Aameen)

[Al-Mu’jamul Awsat Al-Tabarani :: 6241]

●═══════════════◄►═══════════════●

Narrated by Abdullah ibn Hisham RadiyAllahu Anhu, when there is new year or new month would begin , the Sahaba (companion) of the RasoolAllah ﷺ would learn the following dua:

اللَّهُمَّ أَدْخِلْهُ عَلَيْنَا بِالأَمْنِ ، وَالإِيمَانِ ، وَالسَّلامَةِ ، وَالإِسْلامِ ، وَرِضْوَانٍ مِنَ الرَّحْمَنِ ، وَجَوَازٍ مِنَ الشَّيْطَانِ

Allahumma Adkhilhu Alaina bil Amni wal iman, Was salamati wal islam, Wa ridwanim minar Rahman, wa Jawazim minash shaitan

O Allah, bring this (month or year) upon us with security and iman, and with safety and Islam, and with the pleasure of Rahman and Protection from shaitan.

[Al Muajam Al Awsat At-Tabrani :: 6410]

✦........► Mard Hazraat Mutawajje Hon! ◄........✦

●◗► Agar aap ki Khuahesh ho ke Aap ki Biwi Naik, Saliha, Pakizah Seerat Aur Paakbaz ho to is Haseen Khuab ke Takmeel ke  liye Aap ko bhi Naik o Saleh, Pakizah Seerat Aur Paakbaz Banna Hoga, Kyun ke Quran Majeed ka Wazeh Faisla hai:

⇨ “Gandi Aurten Gande Mardon ke Layeq hain Aur Gande Mard Gandi Aurton ke Layeq, Aur Paakbaz Aurten Paakbaz Mardon ke Layeq Hain Aur Paakbaz Mard Paakbaz Aurton ke Layeq.” (Quran, Surah An-Noor:26)

⇨ "Vile women are for vile men, and vile men for vile women. Good women are for good men, and good men for good women;" (Quran, Surah An-Noor:26)

✦....♥ Aurat Apne Shohar Ke Liye Banao Singhar Kare! ♥....✦

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) Se Arz kiya Gaya Ya RasoolAllah! Behtareen Aurat Konsi hai ? Aap (ﷺ)  ne Irshad Farmaya: “Behtareen Aurat Wo hai ke:
❶ Jab us ki Taraf  Us ka Shohar Dekhe to Wo Shohar ko khush Karde.
❷ Jab wo use kisi Baat ka Hukum de to Shohar ki Ita’at Kare.
❸ Jaan Aur Maal ke Muamle Mein Shohar Jis Cheez ko Na’Pasand Karta ho us Mein us ki Mukhalifat na Kare.”

[Urdu Ref :: Sunan an-Nasa’i :: Vol. 2 :: Hadith 1143, 3231]

Muhaddiseen ne likha hai ke Behtareen Aurat Apne Shohar ko Char Tarah se Khush Rakhti hai: (1) Apni Deendari Se, (2) Apne Akhlaq Se, (3) Apne Mua’mlat se Aur (4) Apne Banao Singhar se, Lehaza Musalman Aurat ko Chahiye ke Shari’at ki Hudood mein Rahte hue Apne Khawind ke liye Banao Singhar kare Aur Apna Banao Singhar aur Zeenat Na’mahram Mardon ko Dikhati na Phire.

●══════════════◄►═════════════●

Narrated Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu: It was Narrated that Abu Hurairah said: "It was said to the Messenger of Allah (ﷺ): 'Which woman is best?' He (ﷺ) said:

❶ 'The one who makes him happy when he looks at her,
❷ Obeys him when he commands her, and
❸ She does not go against his wishes with regard to herself nor her wealth.'"

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 4 :: Book 26 :: Hadith 3233, 3231]

●◗► Jab Aap ke Ghar Mein Maujood Quran Kareem Par Gard o Ghubar ho, Aur Aap ka Mobile Phone Saaf Shaffaf ho to ye is Baat ki Alamat hai ke Aap ke Talluqat aur Raabte Apne Dost o Ahbab ke Sath to Mazboot Hain lekin Allah Ta’ala ke Sath Aap ka Rabta Aur Talluq Kamzor hai.

Qur’an Kareem Ki Tilawat Karte Raha Ki Jiye Aur Apne Rab se Talluq Mazboot Banayye.

✦.....♥ Ishq Ye Bhi Hota Hai Apne Mahboob Se ♥.....✦

♥ Ishq Ye Bhi hota Hai ke Mulaqat ka Dil Chahe to Waqt ko Rok Kar Mahboob ke liye Shandar Sawari Bheji Jaye aur Use Arsh Par Bula liya Jaye, Tamam Aasmanon ki Sair Karayi Jaye, Apne Anmbiya ko Us ka Deedar Karaya Jaye, Ishq Ye Bhi hota ke Jis Muqam se Aage Khas Al-Khaas Farishte bhi Na Jate hon, Wo Apne Mahboob ko Us se Bhi Aage Bulaye Aur ♥ Phir Use Tohfe Mein Ummat Ke Liye Sajde Diye Jayen ♥ Ishq Ye Bhi Hota Hai.

✦.....♥ Aulad Dena Allah Ta’ala Ki Maslihat Hai ♥.....✦

♥ Jab Allah Rabbul Izzat ne Quran Mein Keh diya ke Aulad Dena Mera Kaam hai, To Log is Baat ko Tasleem kyun Nahin Karte, Miyan Biwi ki Zaati Zindagi be Auladi ke Ta’non se is Qadar Mutassir hoti hai ke un ko Apna Jina hi Be Maqsad Lagne Lagta hai, Allah ki Maslihat hai, Wo is Baat Par Qadir hai ke Aulad dede, Aap Hamdardi na kijiye Balke Dua kijiye ke... Allah Rabbul izzat Sab Be Aulaad Jodon ko Naik o Saleh Aulaad De, Allah Hamari Aulad ko bhi Naik o Farmanbardar Banade Aameen!

💐 Tohfe Mein Aik Dusre Ko Ghadiyan Nahin Waqt Do 💐

✦.....♥ Ahliya Ke Sath Dosti Aur Rahem Ka Rishta ♥.....✦

♥ Biwi Apne Shohar ki Ayena Daar hoti hai, Tum us ko Kaho Wo Khoobsurat hai Wo har Roz Nikharti Jayegi, Use kaho wo Khidmat Guzar hai Wo Mazeed khidmat Karegi, Us ko Sara Hoge to Us ka Etemad Badhega, Lekin Agar har Waqt us ke Andar Nuqs Nikaloge to Us Ko Khokhla kar doge, Wo Tedhi Phasli se Nikli hai, Us Ko Sidha karne ki Koshish mein Tum use tod doge, is liye Us ke Sath ♥ Dosti Aur Rahem Ka Rishta Rakho ♥

🌸 Jo Bura Kahe Chup Ho Jao, Jo Sataye Sabr Karo, Allah Ki Qasam Aisi Taqat Banoge Pahad Bhi Rasta Denge..!! 🌸

❤️ Hawayen Mosam Ka Rukh Badal Deti Hai Aur Dua Musibaton Ka ❤️

✦........♥ Afzal Din Ka Behtareen Aml! ♥........✦
✦..............♥ Durood Shareef ♥..............✦

The Messenger of Allah (ﷺ) as saying: “Among the most excellent of your days is Friday; so invoke many blessings on me on that day.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 8 :: Hadith 1526, 1531]

Urdu Translation: Huzoor Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Tumhare Dinon Mein se Afzal Din Jum’ah Ka Din Hai Pus Jum’ah ke Roz Mujh Par Kasrat se Durood Shareef Padha karo.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 1518, 1531]

✦....► Uyoob Juyi Se Bachne Ka Nabwi Nuskha! ◄....✦

Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu said: "When you want to mention your companion's faults, remember your own faults." [Al-Adab Al-Mufrad: 328]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma Irshad Farmate Hain: “Jab Tu Apne Sathi ke Uyoob Bayan Karne ka Iradah Kare to Apne Aaibon ko Yaad kar Liya kar.” [Al-Adab Al-Mufrad: 328]

●◗► Jo Shaks Apne Aaibon se Ghafil Rehta hai use Dusron ke Aaib Talash karne ki Aadat lagi Rahti hai, Aur jis ki Nazar Apni Aaibon Par Hoti Hai use Dusron mein koi Aaib Nazar Nahin Aata aur Wo Aaib bini Aur Nukta Chini Jaisi Buri Aadaat se Chutkara Hasil kar leta Hai.

✦.....♥ Logon Ke Darmiyan Sulah Karwayen! ♥.....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Shall I not inform you of what is more virtuous than the rank of fasting, Salat, and charity?" They said: "But of course!" He (ﷺ) said: "Making peace between each other. For indeed spoiling relations with each other is the Haliqah.

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 11 :: Hadith 2509]

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Kya Main Tumhen (Nafli) Rozah, Namaz, Aur Sadaqa se Afzal Cheez Na Bataun? Sahaba Karam ne Arz kiya: Kyun Nahin! (Zaroor Irshad Farmayen) Aap (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Do Aadmiyon ke Darmiyan Sulah Safayi Karwana, is Liye ke Do Aadmiyon ke Darmiyan Ladayi Jhagda Deen ko Mondh dene (Yaksar Khatam Kar dene) Wala Aml hai.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 398, 2509]

●◗► Khandanon, Rishtedaron, Miyan Biwi, Bhai Bahnon aur Dost Ahbab ke Darmiyan Sulah Safayi Karwana Aur Dilon ko Jodna Bahot Badi Neki aur Ibadat hai.

💖 Zindagi Tab Khoobsurat Hoti Hai, Jab Zindagi Ko Khoobsurat Banane Wala Sath Ho 💖

💐 Koi Mohabbat Mein Kisi Ke Liye Nahin Marta, Karobar Zindagi Kisi Ke Liye Nahin Rukti, Jab Aulad Apne Maa Baap Ke Bina Aur Aksar Maa Baap Apni Aulad Ke Chin Jane Ke Baad Bhi Ji Sakte Hain To Phir Insan Kisi Ke Bina Bhi Zindagi Guzar Sakta Hai 💐

✦......♥ Haji: Nomolood Ki Tarah Paak Saaf ♥......✦

The Prophet (ﷺ) said, "Whoever performs Hajj for Allah's pleasure and does not have sexual relations with his wife, and does not do evil or sins then he will return (after Hajj free from
all sins) as if he were born anew."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 26 :: Hadith 596, 1521]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jis Shaks ne Mahez Allah ki Khushnudi ke liye Hajj Kiya Aur is Dauran koi Behudah Baat ya Gunah ka Kaam Nahin Kiya to wo (Gunahon se Paak ho kar) Aise Laot ta hai Jaise Apni Paidayesh ke Din Gunahon se Paak Saaf Tha.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 1521]

💐 Hooron Ke Khuab Dekhne Wale, Pehle Khawateen Ki Izzat Karna Sikhen 💐



💖 Aik Aurat Ki Izzat Karna Us Ko Khubsurat Kehne Se Zyadah Khubsurat Hai 💖

💖 Baap Ke Baad Accha Shohar Biwi Ke Sir Ki Chhat Aur Us Ka Maan Hota Hai 💖