Sunday 21 July 2019

✦.......♥ Haji se Duaon Ki Darkhuast Karen! ♥.......✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu Allah's Messenger (ﷺ) said:  "Allah forgives the haji (person who performed hajj), and also forgives that person for whom the haji Makes dua.”

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya:  “Hajj Karne Wale Ki Maghfirat Ki Jati Hai Aur Jis Ke Liye Haji Maghfirat Ki Dua Kare Us Ki Bhi Maghfirat Ki Jati Hai.”

[Rawah Al- Bazar, Al-Tabarani Fi-Sagheer Sahih Ibn Khuzaimah, Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim:1612]


✦................♥ Fazayele Hajj! ♥................✦

❶ Arkane Islam Mein Se Panchwan Rukn Hajj Baitullah Hai. (Sahih Muslim:16)

❷ Hajj Guzashta Zindagi Ke Tamam Gunahon Ko Mita Deta Hai. (Jami` at-Tirmidhi:811)

❸ Hajje Mabroor Ka Badla Sirf Aur Sirf Jannat Hi Hai. (Sahih Bukhari:1773)

❹ Lagatar Hajj Aur Umrah, Faqr o Faqa (Mali Tangi) Aur Gunahon Ko Khatam Karne Ka Zariya Hai. (Jami` at-Tirmidhi:810)

❺ Daurane Hajj Inteqal Karne Wale Ko Qayamat Tak Hajj Ka Sawab Milta Rehta Hai.  (Al Muajam Al Awsat At-Tabrani:5321)

❻ Haji Ko Har Qadam Par 700 Nekiyan Milti Hain. (Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim:1692)

❼ Haji Allah Ka Khaas Mehman Hota Hai. (Sunan An-Nasa’i:2625)

❽ Haji Ki Maghfirat Kardi Jati Hai Aur Jis Ke Liye Haji Maghfirat Ki Dua Kare Us Ki Bhi Maghfirat Kardi Jati Hai. (Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim:1612)

❾ Hajj Ki Adayegi Se Wapas Aane Wala Nao Maulood Bacche Ki Tarah Gunahon Se Paak Saaf Ho Kar Aata Hai. (Sunan Ibn Majah:2889)


✦.........► QURBANI! ◄.........✦

Hukum: Aaqil, Baligh, Muqeem Aur Maal Daar Shaks Par Qurbani Karna Wajib Hai.

Fazeelat: “Allah Ta’ala Ke Nazdik Qurbani Ke Din Bandon Ke Tamam Aa’mal Mein Pasndidah Tareen Aml Janwar Ka Khoon Bahana Hai.” (Tirmidhi:1493)

Waqt: 10 Dhul Hijjah Ke Din Namaze Eid Ke Baad Se 12 Dhul Hijjah Ke Ghurube Shams Tak.

Sharayet: Janwar Ki Umr Shari’at Ki Tai Shudah Had Ke Barabar ho Aur Wo Janwar Aaib Daar Na Ho.

Aadab: Janwar Ka Gosht Khud Bhi Khaye Rishtedaron Ko Bhi Hadya Kare Aur Ghurba Mein Bhi Taqseem Kare.

Fawayed: Allah Ta’ala Ka Qurb Hasil Hota Hai, Makhlooq Par Rizq Ke Darwaze  Khulte Hain.


✦...........► Suraj aur Chand Grahan ◄...........✦
✦....► Qudrate Khudawandi Ki Nishani ◄....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: The sun and the moon are two signs among the signs of Allah These do not eclipse either on the death of anyone or on his birth. So when you see them, hasten to prayer.

[Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 1966, 901]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Beshak Suraj Aur Chand Allah Ki Nishaniyon Mein Se Do Nishaniyan Hain, Kisi Ke Marne Jine Se Un Ko Grahan Nahin Lagta Pus Jab Tum in Nishaniyon Ko Dekho To Namaz Padho.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 2 :: Hadith 2089]

 ●◗► Suraj Aur Chand Grahan Ke Waqt 2 Rakat Namaz Masnoon hai, Suraj Grahan ki Namaz Ko “Namaze Kusoof” Aur Chand Grahan Ki Namaz Ko “Namaze Khusoof” Kaha Jata Hai, Aaj (17-07-2019) Chand Grahan Hai (Start 12:13am End 4:29am) Lehaza Ahle Hindustan 2 Rakat Namaz Infiradi Taur Par Baghair Jamat Ke Padhe Aur Taubah Astaghfar Ka Ehtemam Karen.


✦...♥ Chote Bacchon Ko Bosa Dena Rahmat o Shafqat Ki Alamat ♥..✦

'A'isha (Allah be pleased with her) reported that there came a few desert Arabs to Allah's Messenger (ﷺ) and said: Do you kiss your children? He said: Yes. Thereupon they said: By Allah but we do not kiss our children.

Thereupon Allah's Messenger (ﷺ) said: "Then what can I do if Allah has deprived you of mercy? Ibn Numair said: (We has deprived) your heart of mercy."

[Sahih Muslim :: Book 30 :: Hadith 5735, 2317, Musnad Ahmad :: Hadith 24291]

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: Hazrat A'isha RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke RasoolAllah ﷺ Ki Khidmate Aqdas Mein Aik Dihati Hazir Hua Aur Us Ne Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Kya Aap Bacchon Ko Bosa Dete Hain? Allah Ki Qasam! Ham To Bacchon Ko Bosa Nahin Dete.

Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Agar Allah Ne Tumhare Dil Se Rahmat o Shafqat Ka Maaddah Nikal Diya Hai To Main Kya Kar Sakta Hun."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6027, Musnad Ahmad :: Hadith 24291]


✦......♥ Wo Nemat Jo Qismat Walon Ko Milti Hai! ♥......✦

 “Momin Ki Aankhon Ko Is Se Badh Kar Thanda Karne Wali Cheez Koi Aur Nahin Ke Wo Apni Biwi Aur Aulad Ko Allah Ki Ita’at Karta Dekhe!”  (Imam Al Qurzi Rahimahullah- Tafsir Al Baghawi, Zail Ayat 73, Surah Al-Furqan)


●◗► Dunya Mein Sab Se Ghaleez Aur Buri Aawaz Us Aulad Ki Hai Jo Unchi Aawaz Mein Badtameezi Ke Sath Apne Waldain Se Baat Karti Hai…


Thauban, the freed slave of the Messenger of Allah (ﷺ) reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: “He who offered prayer for the dead, for him is the reward of one qirat, and he who attended its burial, he would have two qirats as his reward. And qirat is equivalent to Uhud.” (Sahih Muslim:946)

Wednesday 10 July 2019

●◗►  Aaj Ke Mard Jahaz Mein Air hostess Ke Khana Lane Par Shukriya Aur Uthane Par Thanks To Keh Sakte Hain, Lekin Ghar Mein Din Raat Khidmat Karne Wali Biwi Ko Shukriya Ya JazakAllahu Khairan Kehna Aar Ki Baat Samajhte Hain.

Aar - Ghairat, Sharm, Burayi, Aaib.


✦.........► Maut Ko Hamesha Yaad Rakhen ◄.........✦

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya:“Lazzaton Ko Khatam Karne Wali Cheez: Maut Ko Kasrat Se Yaad Kiya Karo.”(Sahih Ibn Hibban:2992)


●◗► Apna Maal Bure Waqt Ke Liye Bacha Kar Rakhne Ki Bajaye Kisi Ke Bure Waqt Mein Kharch Kardiya Jaye To Apna Bura Waqt Aata Hi Nahin...!!!


✦.......♥ Allah Ki Madad Sath Rakhne Ka Nuskha ♥.......✦

Allah's Messenger (ﷺ) Narrated that Allah, Blessed and Most High said: "Son of Adam: Perform four Rak'ah for Me in the beginning of the day it will suffice you for the latter part of it."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ka Irshad Hai Ke Allah Ta’ala Ne Farmaya: ”Aye Ibne Adam! Tu Din Ke Pehle Hisse Mein Mere Liye Char Rakat Padhle Main Din Ke Aakhri Hisse Mein Tere Liye Kafi Ho Jaunga.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 3 :: Hadith 475, 475]

●◗►  Is Se Murad Fajr Ki Namaz Hai Ya Ishraq Ki Namaz Hai, Ye Donon Qaul Maujood Hai.


●◗►  Aik Shaks Ki Chappal Chori Hogayi, Us Ne Aik Aalim Se Pucha: “Kya Mere LIye Jayez Hai Ke Main Kisi Aur Ki Chappal Uthalun?” Unhon Ne Jawab Diya: “Jab Tum Par Zulm Ho Gaya To Tum Kisi Aur Par Zulm Mat Karo.”


❤️ Kuch Betiyan Baap Ke Ghar Shehzadi Aur Shohar Ke Ghar Malika Hoti Hai Kyun Ke Sare Mard Aik Jaise Nahin Hote ❤️


✦.......♥ Khuab Mein Huzoor ﷺ Ki Ziyarat ♥.......✦

Allah's Messenger (ﷺ) as saying: “He who saw me in a dream in fact saw me, for the satan does not appear in my form.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Ne Mujhe Khuab Mein Dekha To Us Ne Mujhe Hi Dekha Is Liye Ke Shaitan Meri Surat Ekhtiyar Nahin Kar Sakta.”

[Sahih Muslim :: Book 29 :: Hadith 5635, 2266]


Talkh Haqiqat: "1 Se Leke 10 Tak Arbi Mein Jinhen Ginti Nahin Aati Wo Mujtahideen Ke Fatwon Par Tabserah Karte Hain."


✦...► Facebooki Danishwar Hazraat! Tawajje Farmayen ◄...✦

It was Narrated that Hudhaifah RadiyAllahu Anhu said: "I heard the Messenger of Allah (ﷺ) say: 'Do not acquire knowledge in order to show off before the scholars, or to argue with the foolish, or to attract people's attention, for whoever does that will be in Hell.'"

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Is Niyyat Se Ilm Hasil Kare Ke Us Ke Zariye Ulama E Karam Ke Sath Muqabla Bazi Kare Ya Juhla Ke Sath Bahes o Mubahisa Kare Ya Us Ke Zariye Logon Ko (Apni Janib) Mutawajje Kare, To Allah Subhanahu Wa Ta'ala  Use Jahannam Mein Dakhil Farmayen Ge.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 1 :: Hadith 259]


🌺 Mendak Ko Chahe Sone Ki Kursi Par Hi Bithade, Par Wo Chalang Laga Kar Wapas Daldal Mein Hi Jana Pasand Karta Hai, Bus Isi Tarah Hamare Aas Paas Bhi Kuch Aise Hi Log Hote Hain, Jin Ko Aap Jitni Marzi Izzat Delen, Jitna Marzi Sir Par Bithale, Par Unhon Ne Apne Sulook, Akhlaq Aur Kartuton Ki Wajah Se Apne Aap Ko Kam Zarf Sabit Karna Hi Hota Hai 🌺





❤ Na Koi Dil Milata Hai, Na Koi Dil Se Milta Hai, Kisi Ne Sach Kaha Hai Dil Badi Mushkil Se Milta Hai ❤


✦........♥ Hajj Ki Adayegi Mein Jaldi! ♥........✦

“The Messenger of Allah (ﷺ) said: ‘Whoever intends to perform Hajj, let him hasten to do so, for he may fall sick, lose his mount, or be faced with some need."

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Hajj Ka Iradah Kare To Use Jaldi Karna Chahiye Kyun Ke Use Koi Marz La Haq Ho Sakta Hai, Sawari Gum Ho Sakti Hai Aur Koi Majboori Pesh Aa Sakti Hai.”

[Musnad Ahmad bin Hanbal: 1834, Sunan Ibn Majah: 2883]


●◗► Bad Mizaaj Apnon Mein Bhi Ajnabi Hota Hai Aur Khush Mizaaj Ko Ajnabi Bhi Apna Samajhte Hain.


✦...♥ Muaf Karden Ya Apna Muamla Allah Par Chhod Den! ♥...✦

Hazrat Umar Bin Abdul Azeez Rahimahullah Ko Aik Shaks Ne Gaali Di To Aap Rahimahullah Ne Farmaya: “Agar Qayamat Ke Din Ka Wujood Na Hota To Main Bhi Tujhe Jawab Deta.” (نثر الدر للآبی۔ الباب الخامس : کلام عمر بن عبدالعزیز)


⁦❤️⁩ Kuch Log Itne Khaas Hote Hain Ke Un Se 5 Minute Ki Guftagu Hamare Chehre Par Rehne Wali 24 Ghante Ki Muskurahat Ka Sabab Hoti Hai ❤️⁩


✦....► Masnuaat Farokht Karen Qaum Ki Izzaten Nahin ◄....✦

●◗► Aurat Itni Haqeer Aur Ghatiya Nahin Ke Use Sign Board, Hoarding Board, Pina Flex Aur Ishteharaat Ki Zeenat Bana Kar Mahez Apni Masnuaat Ki Marketing Aur Rupiya Paisa Kamane Ka Zariya Bana Liya Jaye, Balke Aurat To Pure Mua’ashre Ki Izzat, Ghairat, Iftekhar Aur Waqar Ki Alamat Hai.


✦.......♥ “Rijal Sazi” Mein Maa Ka Kirdar! ♥.......✦

●◗► Salfe Saliheen Ke Zamane Mein Aurten Bismillah Padh Kar Is Niyyat Se Bacchon Ko Doodh Pilati Thin Ke Baccha Bada Hokar Islam Ka Shahsawar, Deen Ka Dayi, Aalim, Qayid Aur Shaan Wala Bane, Yahi Waja Hai Ke Us Zamane Mein Azeem Shakhsiyaat Samne Aayen.

Lekin Aaj Ki Aksar Aurten Apne Bacchon Ko Is Niyyat Se Doodh Pilate Hain Ke Baccha So Jaye Is Liye Aaj Ummat So Rahi Hai. (Arbi Se Ma’khuz Hikayat)


✦.......♥ Mursi Rahmatullah Alaih Ke Aakhri Kalimat! ♥.......✦

●◗► “Judge Sahab! Mujhe Kuch Bolne Ki Ijazat Den, Mujhe Qatl Kiya Ja Raha Hai, Meri Sahet Bahot Kharab Hai, Aik Hafte Ke Dauran Main Do Dafa Behosh Hua, Lekin Mujhe Kisi Doctor Ke Paas Nahin Le Jaya Gaya, Mere Sine Mein Raaz Hain, Jinhen Agar Zaher Karun, Main Jail Se To Chhoot Jaunga, Lekin Mere Watan Mein Aik Tufan Aayega, Mulk Ko Nuqsan Se Bachane Ke Liye Main Un Razon Se Pardah Nahin Hata Raha, Mere Wakeel Ko Muqaddama Ke Bare Mein Kuch Pata Nahin Aur Na Mujhe Pata Hai Ke Adalat Mein Kya Chal Raha Hai.”


“Jo Muhammad ﷺ Ki Izzat Karega Ham Us Ki Izzat Karenge Aur Jo Un Ki Izzat Nahin Karega Wo Hamara Dushman Hai.” (Sadar Muhammad Mursi Rahimahullah)

“Main Mayyat Ke Liye Zalimon Ki Minnaten Kar Ke Apne Shohar Ko Sharmindah Nahin Karungi.” (Begum Najla Mursi)

“Allah Ke Huzoor Mulaqat Tak Sabr Kar Sakte Hain.” (Beta Abdullah Muhammad Mursi)


●◗► “Unhon Ne Mujhe Jail Mein Quran Paak Dene Se Inkar Kar Diya, Wo Shayad Nahin Jante The Ke Main 40 Saal Se Hafiz Quran Hun, Main Sirf Quran Kareem Ko Chuna Chahta Tha. ” (Sadar Muhammad Morsi Rahmatullah Alaih)


✦.......♥ Aurton Ke Sath Husne Sulook! ♥.......✦

●◗► Agar Aap Ke Paas Aurat Ko Izzat Dene Ki Koi Waja Na Ho Aur Sari Aqli Dalilen Mand Pad Jayen To Sirf Itna Soch Len Ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ne Aurton Ke Hawale Se Irshad Farmaya: “Aur Aurton Ke Sath Accha Bartao Karo.” (Quran, Surah Al-Nisa:19)





❤️ Baap Ki Daulat Nahin Saya Hi Kafi Hota Hai ❤️


✦...........► Zakir o Ghafil Ki Misal ◄...........✦

The Prophet (ﷺ) said, "The example of the one who celebrates the Praises of his Lord (Allah) in comparison to the one who does not celebrate the Praises of his Lord, is that of a living creature compared to a dead one."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 75 :: Hadith 416]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Allah Ka Zikr Karne Wale Aur Allah Ka Zikr Na Karne Wale Ki Misaal Aisi Hai Jaise: Zindah Aur Murdah.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 6407] [Riyad as-Salihin :: Book 16 :: Hadith 1434]


✦......► Mazaq Mazaq Mein Musalman Ko Darana ◄......✦

Narrated AbdurRahman ibn AbuLayla Rahimahullah: The Companions of the Prophet (ﷺ) told us that they were travelling with the Prophet (ﷺ). A man of them slept, and one of them went to the rope which he had with him. He took it, by which he was frightened. The Prophet (ﷺ) said: "It is not lawful for a Muslim that he frightens a Muslim."

[Sunan Abu Dawood :: Book 42 :: Hadith 4986, 5004]

Urdu Translation: Hazrat AbdurRahman bin AbuLayla Rahimahullah Farmate Hain Ke Hamen RasoolAllah ﷺ Ke Sahaba Ikram (RadiyAllahu Anhum) Ne Ye Qissa Sunaya Ke Aik Martaba Wo RasoolAllah ﷺ Ke Sath Kahin Ja Rahe The, Un Mein Se Aik Sahabi Ko Neend Aagayi To Dusre Sahabi Ne Jakar (Mazaq Mein) Un Ki Rassi Leli (Jab Sone Wale Sahabi Ki Aankh Khuli Aur Use Apni Rassi Nazar Na Aayi) To Wo Pareshan Ho Gaye, Is Par RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Kisi Musalman Ke Liye Ye Halal Nahin Ke Wo Musalman Ko Daraye."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.3 :: Hadith 1567]


✦......► Aandhi Aur Taiz Hawa Ke Waqt Masnun Dua! ◄......✦

Aishah [may Allah be pleased with her] narrates, saying: “When the Prophet (ﷺ) would see the wind he would say:

"‏ اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ مِنْ خَيْرِهَا وَخَيْرِ مَا فِيهَا وَخَيْرِ مَا أُرْسِلَتْ بِهِ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّهَا وَشَرِّ مَا فِيهَا وَشَرِّ مَا أُرْسِلَتْ بِهِ ‏"‏
 (Allāhumma innī as’aluka min khairihā wa khairi mā fīhā, wa khairi mā ursilat bihī, wa a`ūdhu bika min sharrihā wa sharri mā fīhā, wa sharri mā ursilat bih).’”

‘O Allah, indeed, I ask You for its good, the good of what is in it, and the good of what it has been sent with. And I seek refuge in You from its evil, the evil of what is in it, and the evil of what it has been sent with.

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anhuma Farmati Hain Ke Jab Taiz Hawayen Chaltin To RasoolAllah ﷺ Ye Dua Padhte:

"‏ اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ مِنْ خَيْرِهَا وَخَيْرِ مَا فِيهَا وَخَيْرِ مَا أُرْسِلَتْ بِهِ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّهَا وَشَرِّ مَا فِيهَا وَشَرِّ مَا أُرْسِلَتْ بِهِ ‏"‏
 “Aye Allah! Main Aap Se Is Hawa Ki Bhalayi Ka Sawal Karta Hun Aur Us Bhalayi Ka Sawal Karta Hun Jo Is Mein Hai Aur Us Bhalayi Ka Sawal Karta Hun Jise Dekar Ye Bheji Gayi Hai. Aur Aye Allah! Main Aap Ki Panah Chahta Hun Is Hawa Ke Shar Se Aur Panah Chahta Hun Us Shar Se Jo Is Mein Hai Aur Panah Chahta Hun Us Shar Se Jise Dekar Ye Bheji Gayi Hai.”

[Sahih Muslim 899, Jami` at-Tirmidhi 3449]


✦......► Rabbani Banen, Ramadani Na Banen! ◄......✦

Ramadan Al-Mubarak Guzar Gaya Magar:

● Roze Rakhne Ke Mawaqe Khatam Nahin Hue.
● Quran Ki Tilawat Karna Dastaras (Qudrat) Se Bahar Nahin Hua.
● Masajid Band Nahin Huin.
● Duaon Ki Qubuliyat Ka Elan Wapas Nahin Hua.
● Ajr o Sawab Ke Wade Khatam Nahin Hue.

Irshade Khudawandi Hai: “Allah Ki Ibadat Karen Yahan Tak Ke Aap Ki Maut (Ka Waqt) Aajaye.” (Al-Quran, Al-Hijr:99)

●◗►  Lehaza Rabbani Yani Pura Saal “Allah Wale” Banen, Ramadani Na Banen!


✦.......♥ Narm Lab o Lehja, Khushhaal Gharana ♥.......✦

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jab Allah Kisi Gharane Ke Sath Bhalayi Ka Iradah Karta Hai To Un Mein Narmi Dakhil Kar Deta Hai.” ((Jami` al-Saghir:392)