Thursday 10 October 2019

✦......♥ Musalman Bhai Ke Liye Dua Karen Farishton Ki Duayen Len! ♥......✦

Allah's Messenger (ﷺ) said: "The supplication of a Muslim for his brother at his back (in his absence) is responded so long as he makes a supplica- tion for blessings for his brother and the commissioned Angel says: Amen, and says: May it be for you too…"

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Musalman Ki Dua Apne Bhai Ke Liye Us Ke Peeth Piche (Zaroor) Qabool Hoti Hai, Us (Dua Mangne Wale) Ke Sir Ke Paas Aik Farishta Muqarrar (Kardiya Jata) Hai, Jab Bhi Wo Apne Bhai Ke Liye Dua Karta Hai To Ye Farishta Kehta Hai: “Aameen Aur Tum Ko Bhi Yahi Mile.”

[Sahih Muslim :: Book 35 :: Hadith 6590, 2732, 2733]
[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6928,6929]


💘 Dobarah Garam Ki Gayi Chai Aur Samjhota Kiya Hua Rishta Donon Mein Pehle Jaisi Mithas Nahin Rehti 💘


Namaziyon Ke Liye Masjid Ke Andar Chaspan Intibahi Notice! Tarjumah: “Jis Bacche Ko Aap Masjid Se Nikal Bahar Karte Hain Shor Karne Ki Wajah Se Ye Baccha Wo Hoga Ke Mustaqbil Mein Aap Us Se Namaz Padhne Ki Mannat Samajat Karenge, Lehaza Bacchon Ke Shor Par Sabr Kijiye Aur Unhen Narmi Se Samjhayye.” (Masjid Intezamiya)


✦......♥ Khane Pine Mein Padosi Ka Khayal ♥......✦

Abu Dharr RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: Abu Dharr, when you prepare the broth, add water to that and give that (as a present) to your neighbour.

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Aye Abu Dhar! Jab Tum Salan Banao To Us Ka Shorba Zyadah Karliya Karo Aur Apne Padosi Ka Bhi Khayal Rakha Karo.”

[Sahih Muslim :: Book 32 :: Hadith 6357, 2625]


✦........► Maahe SAFAR Hargiz Manhoos Nahin! ◄........✦

Maahe Safar Islami Qamri Calendar Ka Dusra Mahina Hai, Is Mahine Mein Shari’at Mutahhara Ne Na To Koi Khaas Ibadat Muqarrar Ki Hai Aur Na Hi Is Mahine Ke Bare Mein Koi Khaas Toham Parasti Ki Taleem Di Hai, Magar Bad’qismati Se Kuch Logon Ka Khayal Hai Ke (Na’uzubillah) Ye Mahina Badbakht Aur Manhoos Hai, Isi Wajah Se Is Mahine Mein Shadi Biyah o Digar Khushi Ki Taqribaat Ke In’eqad Se Ijtenab Kiya Jata Hai.

Ye Khayal Bilkul Be Bunyad Hai Aur Ye Darasal Usi Toham Parasti Ka Tasalsul Hai Jo Islam Se Qabl Arab Mein Aam Thi, RasoolAllah ﷺ Ne Toham Parasti Par Mabni Aise Tamam Aqayed Ko Yaksar Khatam Farma Diya, Bilkhusus Maahe Safar Ke Bare Mein To Allah Ke Rasool ﷺ Ne Wazeh Tor Par Irshad Farma Diya: La Safar Yani "Safar Ke Mahine Ko Manhoos Samajhne Ki Koi Haqiqat Nahin." (Sahih Bukhari :5757)

Is Wazeh Irshade Nabwi Ke Bawajood Bhi Aaj Kal Logon Ki Aik Badi Ta’dad Is Mahine Ko Manhoos Samajhti Hai Balke Is Mahine Ke Hawale Se Ajeeb o Ghareeb Chizen Hamare Mua’shre Mein Mashhoor Hain. Maslan:

❶ Is Ke Ibtedayi 13 Din Manhoos Aur "Tera Tezi" Kehlate Hain.
❷ Is Mahine Ki Nahusat Se Bachne Ke Liye Zyadah Se Zyadah Murawwaja Quran Khuani Ka Ehtemam Kiya Jata Hai.
❸ Sirf Isi Mahine Mein Jinnat Se Hifazat Ke Aamal Kiye Jate Hain.
❹ Is Mahine Ki Nahusat Se Bachne Ke Liye Ghar Se Door Daraz Nikalne Aur Safar Karne Se Ijtenab Barta Jata Hai.
❺ Is Mahine Ko Aurton Ke Bajaye Mardon Par Zyada Bhari Tasawwur Kiya Jata Hai.
❻ Is Mahine Ki Aakhri Budh Ko Khushi Manayi Jati Hai Aur Mithayi Taqseem Ki Jati Hai. Wagherah.

●◗► Islam Mein Bad’shuguni Aur Nahusat Ka Koi Tasawwur Nahin, Islam Mein Agar Koi Nahusat o Bad’shuguni Ki Cheez Hai To Wo Insan Ki Apni Bad’Aamaliyan, Fusq o Fujoor, Naach Gana, Fahashi o Uryani Aur Allah Ki Khullam Khulla Nafarmaniyan Hain Jo Ghar Ghar Mein Ho Rahi Hain, Agar Ham Waqeyi Nahusat Se Bachna Chahte Hain To Lanat o Phatkar Aur Qaher Khudawandi Ko Dawat Dene Wale Kamo Se Bachen.


✦............♥ Neend Na Aane Ka Nabwi Ilaj ♥............✦

Sahabi Rasool Hazrat Khalid Bin Waleed RadiyAllahu Anhu Ne Nabi Akram ﷺ Se Raat Bhar Neend Na Aane Ki Shikayat Ki, RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Jab Tum Apne Bistar Par Sone Ke Liye Jao To Ye Dua Padho:

اللَّهُمَّ رَبَّ السَّمَوَاتِ السَّبْعِ وَمَا أَظَلَّتْ وَرَبَّ الأَرَضِينَ وَمَا أَقَلَّتْ وَرَبَّ الشَّيَاطِينِ وَمَا أَضَلَّتْ كُنْ لِي جَارًا مِنْ شَرِّ خَلْقِكَ كُلِّهِمْ جَمِيعًا أَنْ يَفْرُطَ عَلَىَّ أَحَدٌ مِنْهُمْ أَوْ أَنْ يَبْغِيَ عَلَىَّ عَزَّ جَارُكَ وَجَلَّ ثَنَاؤُكَ وَلاَ إِلَهَ غَيْرُكَ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ ‏"‏

Tarjumah: Aye Allah! Saton Aasmanon Ke Aur Un Cheezon Ke Rab Jin Par Wo Aasman Saya Fagan Hain, Sari Zaminon Ke Aur Un Sari Cheezon Ke Rab Jin Ka Bojh Zaminen Uthaye Hue Hain Aur Shayateen Ke Aur Jinhen Shayateen Ne Gumrah Kiya Hai Un Sab Ke Rab! Tu Mujhe Apni Panah Mein Lele Apni Tamam Ki Tamam Makhluqat Ke Shar Se, Ta Ke Un Makhluqat Mein Se Koi Mujh Par Zulm o Zyadati Na Kar Sake Aur Na Hi Koi Baghawat o Sarkashi Ka Murtakab Ho, Teri Panah Mein Aane Wala Ghalib Rehta Hai, Teri Hamd o Sana Badi Azmat Wali Hai, Tere Siwa Koi Mabood Barhaq Nahin Aur Mabood To Bus Tu Hi Hai.

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1447, 3523]

●═══════════════◄►═══════════════●

Sulaiman bin Buraidah narrated that his father said: “Khalid bin Al-Walid al Makhzumi RadiyAllahu Anhu complained to the Prophet (ﷺ) saying: ‘O Messenger of Allah, I do not sleep at night due to insomnia.’ So Allah’s Prophet (ﷺ) said: ‘When you go to your bed, say:

اللَّهُمَّ رَبَّ السَّمَوَاتِ السَّبْعِ وَمَا أَظَلَّتْ وَرَبَّ الأَرَضِينَ وَمَا أَقَلَّتْ وَرَبَّ الشَّيَاطِينِ وَمَا أَضَلَّتْ كُنْ لِي جَارًا مِنْ شَرِّ خَلْقِكَ كُلِّهِمْ جَمِيعًا أَنْ يَفْرُطَ عَلَىَّ أَحَدٌ مِنْهُمْ أَوْ أَنْ يَبْغِيَ عَلَىَّ عَزَّ جَارُكَ وَجَلَّ ثَنَاؤُكَ وَلاَ إِلَهَ غَيْرُكَ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ ‏"‏

O Allah, Lord of the Seven Heavens and what they have shaded, Lord of the earths and what they carry, Lord of the Shayatin and those they have misguided, be for me a Protector against the evil of Your creation, all of them together, so that none of them should transgress against me, or oppress me, mighty is the one who seeks protection in You, and glorified is Your praise, and there is none worthy of worship other than You, and there is none worthy of worship except You.

(Allāhumma rabbas-samāwātis-sab`i wa mā aẓallat, wa rabbal-arḍīna wa mā aqallat, wa rabbash-shayāṭīni wa mā aḍallat, kun lī jāran min sharri khalqika kullihim jamī`an an yafruṭa `alayya aḥadun minhum, aw an yabghiya `alayya, `azza jāruka wa jalla thanā’uka, wa lā ilāha ghairuka wa lā ilāha illā anta).”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3523 , 3523]


✦......► Maa Aur Bete Ke Darmiyan Judayi Na Dalen! ◄.......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) say: "Whoever separates between a mother and her child, then Allah will separate between him and his beloved on the Day of Judgement."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 3 :: Book 19 :: Hadith 1566, 1566]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Ne Maa Aur Bete Ke Darmiyan Judayi Dali, Allah Ta’ala Qayamat ke Din Us Ke Aur Us Ke Chahne Walon Ke Darmiyan Judayi Daal Dega.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 1616, 1566]


✦.........► Akabir Ulama Ki Na Qadri ◄.........✦

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Qayamat Ki Nishaniyon Mein Se Aik Nishani Ye Hai Ke (Akabir Ulama Ko Chhod Kar) Asaghir (Yani Kam Umr, Na Pokhta o Na Tajruba Kaar) Logon Se Ilm Hasil Kiya Jayega.” (Jami` al-Saghir:2475, Saheehah Al-Albani Fi Saheeh Al-Jami:2207)

●◗► Aaj Kal Akabir Ulama Ko Muashre Ka Bekar Aur Fuzool Tabqa Samjha Ja Raha Hai Jabke Deen Ka Sat’hi Ilm Rakhne Wale Nao Umr o Naam Nihad Muhaqqiqeen Aur Facebook Danishwaron Ki Market Urooj Par Hai, Social Media Par Aik Bada Majma Inhi Nao Umr o Aazad Khayal Muhaqqiqeen Ko Apna Ustad Samajhne Laga Hai Aur In Ki Chikni Chapdi Baten Seekhne Mein Fakhr Mahsoos Karne Laga Hai.


💓 Zindagi Jannat  Hai Agar Hamsafar Deendar Ho 💓


✦....► Badshuguni Ki Waja Se Kisi Kaam Se Ruk Jana! ◄....✦

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Kisi Cheez Se Badfali Pakad Kar Apne Kisi Kaam Se Piche Hat Gaya To Us Ne Shirk Kiya.” Sahaba Karam RadiyAllahu Anhum Ne Pucha: Ya RasoolAllah ﷺ! Is Ka Kaffarah Kya Hoga? Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Wo Yun Kahe:

اللَّهُمَّ لا خَيْرَ إِلا خَيْرُكَ ، وَلا طَيْرَ إِلا طَيْرُكَ ، وَلا إِلَهَ غَيْرُكَ

“Aye Allah! Teri Bhalayi Ke Siwa Koi Bhalayi Nahin Aur Teri Faal Ke Siwa Koi Faal Nahin Aur Tere Siwa Koi Mabood Nahin.”  [Musnad Ahmad: 7045]

عن عبد اللَّهِ بن عَمْرٍو رضي الله عنهما قال : قال رسول اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ( مَن رَدَّتْهُ الطِّيَرَةُ من حَاجَةٍ فَقَدْ أَشْرَكَ ) قالوا : يا رَسُولَ اللَّهِ ما كَفَّارَةُ ذلك ؟ قال ( أن يَقُولَ أَحَدُهُمْ : اللهم لاَ خَيْرَ إلا خَيْرُكَ وَلاَ طَيْرَ إلا طَيْرُكَ وَلاَ إِلَهَ غَيْرُكَ ) .
رواه أحمد ( 7045 ) وصححه الألباني في " السلسلة الصحيحة " ( 3 / 53 تحت الحديث 1056 ) .


✦....► Safar Ka Mubarak Mahina Aur Toham Parasti ◄....✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) said, "There is no 'Adha, nor Tiyara, nor Hama, nor Safar."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 71 :: Hadith 653, 5757]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RAdiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “…..Safar ke Maheene ko Manhoos Samajhna Toham Parasti hai Jis ki koi Haqeeqat Nahin.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 5757]

●◗► Toham Parasti – Wahem, Waswasa, Shak, Guman, Koi Ghair Aqli Aitiqad.


✦......► Paidal Chalne Ke Hairat Angez Asrat ◄......✦

◈ 3 Minute Chehal Qadmi: Blood Pressure Mein Kami Hoti Hai
◈ 5 Minute Chehal Qadmi: Mod Mein Khush Gawar Tabdeeli
◈ 5 Se 10 Minute Chehal Qadmi: Takhleeqi Soch Bedari
◈ 15 Min Khane Ke Baad: Khoon Mein Sugar Mutawazan Rehti Hai
◈ 30 Minute Khane Ke Baad: Motape Se Hifazat
◈ 40 Minute Chehal Qadmi: Dil Ke Amraz Se Hifazat
◈ 90 Minute Chehal Qadmi: Mayusi Aur Depression Ke Asrat Se Hifazat


✦...... ♥ Mardangi Aur Khangi Tarbiyat Ka Mazhar! ♥......✦

●◗► Aik Khandani Tarbiyat Yafta Bacche Ki Ghairat Ne Ye Gawara Na Kiya Ke Us Ki Bahen Apne Jute Ka Tasmah (Shoelace) Bandhne Beech Sadak Par Jhuke….Ye Hai Wo Khubsurat Tehzeeb Jise Maghrib Tabah o Barbad Karne Par Tula Hua Hai.


✦......♥ ๑۩๑ ♥ Behtareen Biwi! ♥ ๑۩๑ ♥......✦

❶ Jo Apne Shohar Ki Farmanbardari Aur Khidmat Guzari Ko Apna Farz Mansabi Samjhe. 
❷ Jo Apne Shohar Ke Tamaam Huqooq Ada Karne Mein Kotahi Na Karen. 
❸ Jo Apne Shohar Ki Khubiyon Par Nazar Rakhe Aur Us Ke Uyoob Aur Khamiyon Ko Nazar Andaz Karti Rahe. 
❹ Jo Khud Takleef Utha Kar Apne Shohar Ko Aaram Pohnchane Ki Hamesha Koshish Karti Rahe. 
❺ Jo Apne Shohar Se Us Ki Aamdani Se Zyada Ka Mutaliba Na Kare Aur Jo Mil Jaye Us Par Sabr o Shukr Ke Sath Zindagi Basar Kare. 
❻ Jo Apne Shohar Ke Siwa Kisi Ajnabi Mard Par Nigah Na Dale Na Kisi Ki Nigah Apne Uphar Padhne De. 
❼ Jo Parde Mein Rahe Aur Apne Shohar Ki Izzat o Namoos Ki Hifazat Kare. 
❽ Jo Shohar Ke Maal Aur Makan o Saman Aur Khud Apni Zaat Ko Shohar Ki Amant Samajh Kar Har Cheez Ki Hifazat o Nigehbani Karti Rahe. 
❾ Jo Apne Shohar Ki Musibat Mein Apni Jani o Mali Qurbani Ke Sath Wafadari Ka Saboot De. 
➓ Jo Mazhab Ki Paband Aur Deendar Ho Huqooq Allah o Huqooq ul Ibad Ko Ada Karti Ho.
⓫ Jo Padosiyon Aur Milne Julne Wali Aurton Yani Saas, Nanand, Sasurali Rishtedar, Ke Sath Khush Akhlaqi Aur Sharafat Ka Bartao Kare.
⓬ Jo Maika o Sasural Donon Gharon Mein Har Dil Azeez Aur Ba Izzat Ho.


✦......♥ ๑۩๑ ♥ Behtareen Shohar ♥ ๑۩๑ ♥......✦

❶ Jo Apni Biwi Ke Sath Narmi, Khush Khalqi Aur Husne Sulook Ke Sath Pesh Aaye.
❷ Jo Apni Biwi Ke Huqooq Ada Karne Mein Kisi Qism Ki Ghaflat Aur Kotahi Na Kare. 
❸ Jo Apni Biwi Ka Is Tarah Hokar Rahen Ke Kisi Ajnabi Aurat Par Nigah Na Dale.
❹ Jo Apni Biwi Ki Khubiyon Par Nazar Rakhe Aur Mamuli Ghalatiyon Ko Nazar Andaz Karen.
❺ Jo Apni Biwi Ki Musibaton Bimariyon Aur Ranj o Gham Mein Dil Joi Timardari Aur Wafadari Ka Saboot De.
❻ Jo Apni Biwi Ko Deendari Ki Takeed Karta Rahe Aur Shari’at Ki Raah Par Chalaye.
❼ Jo Apni Biwi Per Is Tarah Control Rakhe Ke Wo Kisi Burai Ki Taraf Rukh Bhi Na Kar Sake.
❽ Jo Apni Biwi Ko Apne Aish o Ishrat Mein Barabar Samjhe.
❾ Jo Apni Biwi Par Kabhi Zulm Aur Kisi Qism Ki Beja Zyadati Na Kare.
➓ Jo Apni Biwi Ki Tang Mizaji Aur Bad Akhlaqi Par Sabr Kare.
⓫ Jo Apni Biwi Ko Parde Mein Rakh Kar Izzat o Aabru Ki Hifazat Kare.
⓬ Jo Apni Biwi Ko Zillat o Ruswayi Se Bachaye Rakhe.
⓭ Jo Apni Biwi Ke Akhrajaat Mein Bakhili Aur Kanjoosi Na Kare.


👥 Qaid Kardiya Sanpon Ko Ye Kehkar Saperon Ne, Ab Insan Ko Dasne Ke Liye Insan Hi Kafi Hai 👥


✦....✔ Kya Aap Shohar Ka Dil Jeetna Chahti Hain? ✔....✦
✦.......✔Muslim Biwiyon Ke Liye Rahnuma Usool ✔.......✦

✿ Shohar Se Mohabbat Karen Aur Us Ka Kehna Manen
✿ Kamrah, Mahol, Libas Khushnuma Aur Saaf Suthra Rakhen
✿ Shohar Ki Man Pasand Baton Ka Khayal Rakhen
✿ Buland Aawaz Se Guftagu Mat Karen
✿ Zyadah Shikwah o Shikayat Se Parhez Karen
✿ Kisi Dusre Ke Samne Shohar Ki Dil Aazari Se Bachen.


✦..........► Mayoosi Se Bachen! ◄..........✦

●◗► Is Dunya Mein Koi Ghuroob Aakhri Nahin, Har Ghuroob Ke Liye Aik Naya Tulu Muqaddar Hai Bashart Yeke Insan Apni Sham Ko Dobarah Subah Mein Tabdeel Karne Ka Hausla Rakhta Ho.


✦.........► Maysoos Na Hon! ◄.........✦

♥ Mushkil Aur Tang Jaga Mein Bhi Allah Ki Rehmat! ♥

(Ashab Kahf Walon ne (Aapas Mein) Kaha:)

“Chalo Ab Tum is Ghaar Mein Panah le lo, Tumhara Parwardigar Tumhare Liye Apna Daman Rehmat Phaila Dega Aur Tumhare Kaam mein Aasani Ke Asbab Muhayya Farma dega.” (Al-Quran, Surah Al-Kahf: 16)


💞 Kabhi Mana Liya Kabhi Maan Gaye Zindagi Mein Yehi Baat Hai Jo Rishton Ko Jode Rakhti Hai, Zid Aur Ana Acchi Nahin Hoti Rishton Se Chahat Khatam Kar Deti Hai 💞








✦..........► Qata Rahmi Ki Saza ◄..........✦

Narrated Jubair bin Mut'im RadiyAllahu Anhu: That he heard the Prophet (ﷺ) saying: "The person who severs the bond of kinship will not enter Paradise."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 13]

Urdu Translation: Hazrat Jubair bin Mut’im RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Qata Rahmi Karne Wala (Yani Rishte Nate Todne Wala) Jannat Mein Dakhil Na Hoga.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 5984]


●◗► Aurat Se Ilm Cheen Liya Jaye To Naslon Mein Jahalat Safar Karegi Aur Ilm Ke Naam Par Pardah Cheen Liya Jaye To Be Hayai Naslon Mein Safar Karegi.


✦......♥ Deene Islam Har Ghar Mein Dakhil Hoga! ♥......✦

It was narrated by Ahmad in his Musnad, from Tameem Al-Daari, who said that he heard the Prophet (ﷺ) say: “Verily, this matter (Islam) will reach where day and night have reached, and it will not leave a house of Madar (mud or clay) or a house of Wabar (fur of camels and goats, i.e. tents) except Allah will bring it into this Deen, (either) with the honour of an honoured one, or the disgrace of a disgraced one; honour with which Allah honours Islam, and disgrace with which Allah disgraces Kufr.”

Urdu Translation: Hazrat Tameem Dari RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Main Ne Nabi Kareem ﷺ Ko Ye Irshad Farmate Hue Suna: “Ye Silsilae Islam Wahan Wahan Tak Pahonch Kar Rahega Jahan Jahan Tak Din Aur Raat Ki Pahonch Hai, Allah Ta’ala Na Koi Pakka Ghar Chodega Aur Na Kaccha Makan Jahan Wo Is Deen Ko Dakhil Na Karde, Izzat Wale Ko Islam Ke Sath Izzat Dete Hue Aur Zillat Wale Ko Kuft Ke Sath Zaleel Karte Hue.”

(Masnad Ahmed: 16998), (Al M’ujam Al Kabeer At-Tabarani: 1280), (Haakim: 8326), (Sunan Al-Kubra Al-Bahaqi:18400)


✦......♥ Dil Khol Kar Sadqah Karen ♥......✦

Narrated Asma: The Prophet (ﷺ) said to me, "Do not withhold your money, (for if you did so) Allah would withhold His blessings from you." The Prophet (ﷺ) said: "Do not withhold your money by counting it (i.e. hoarding it), (for if you did so), Allah would also withhold His blessings from you."

Urdu Translation: Hazrat Asma RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke RasoolAllah ﷺ Ne Mujh Se Irshad Farmaya: “Khairat Ko Mat Rok Warna Tera Rizq Bhi Rok Diya Jayega Aur Ginne Na Lag Jana Warna Allah Ta’ala Bhi Tumhen Gin Gin Kar Dega.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 24 :: Hadith 513, 1433]


✦......♥ Sajdah Karte Jayye, Qurb Pate Jayye ♥......✦

The Prophet (ﷺ) said: "Make frequent prostrations before Allah, for you will not make one prostration without raising you a degree because of it, and removing a sin from you, because of it."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Apne Upar Allah Ke Sajdon Ko Lazim Karlo, Kyun Ke Jab Tum Allah Ke Liye Koi Sajdah Karte Ho To Us Ke Sabab Allah Tumhara Aik Darja Badha Deta Hai Aur Aik Gunah Ghata Deta Hai."

[Sahih Muslim: Book 4 :: Hadith 989, 488] [Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 2 :: Hadith 1093]


🌺 Kuch Baton Ka Matlab Kuch Matlab Ki Baten, Jab Se Farq Samjha Zindagi Aasan Hogayi 🌺


✦.........♥ Rizq Ki Kunjiyan ♥.........✦

❶ Tawakkul
❷ Iman o Tawqa
❸ Rizqe Halal
❹ Sila Rehmi
❺ Sadqah
❻ Hajj o Umrah
❼ Nikah
❽ Astaghfar


✦…......✔ Anjane Logon Ko Bhi Salam Karen ✔....…..✦

It is a sign of Qiyamah to greet only those whom we know. Abdullah Ibn Mas’ud RadiyAllahu Anhu narrated that the Messenger of Allah (ﷺ) said: "Among the signs of Qiyamah is (when you see) that the greetings are (being paid) only to the known ones."

Urdu Translation: Hazrat Abdullah Bin Mas’ud RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Main Ne RasoolAllah ﷺ Ko Ye Irshad Farmate Hue Suna: "Qayamat Ki Nishaniyon Mein Se Ye Bhi Ke Sirf Jaan Pehchan Wale Ko Salam Kiya Jayega."

[Musnad Ahmad :: Hadith 3664]


✦....► Wapas Na Karne Ki Niyyat Se Qarz Lene Wala! ◄....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “Any Man who takes out a loan, having resolved not to pay it back, will meet Allah (Subhanahu Wa Ta’ala) as a thief.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Qarz Le Aur Us Ka Pokhta Iradah Ho Ke Qarz Wapas Nahin Karega, To Ye Shaks Allah Ta’ala Se “Chor” Hokar Milega (Yani Maidane Hashr Mein Us Ka Shumar Choron Mein Hoga).”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Book 15 :: Hadith 2410]