Thursday 5 August 2021

✦.....♥ Mareez Ki Yaqini Sahet Yabi Ki Dua! ♥.....✦

The Prophet (ﷺ) said: If anyone visits a sick whose time (of death) has not come, and says with him seven times:

أَسْأَلُ اللَّهَ الْعَظِيمَ رَبَّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ أَنْ يَشْفِيَكَ

I ask Allah, the Mighty, the Lord of the mighty Throne, to cure you, Allah will cure him from that disease.

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jab Koi Shaks Kisi Aise Mareez Ki Iyadat kare Jis Ki Maut Ka Waqt Abhi Qareeb Na Aaya Ho Aur Us Ke Paas Jakar 7 Martaba Ye Dua Padhe:

أَسْأَلُ اللَّهَ الْعَظِيمَ رَبَّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ أَنْ يَشْفِيَكَ

Tarjuma: “Main Azmat Wale Allah Se Jo Arsh Azeem Ka Malik Hai, Sawal Karta Hun Ke Wo Tumhen Shifa De.” To Allah Ta’ala Mareez Ko Us Marz Se Shifa Ata Farma Dega.

[Sunan Abi Dawud :: Book 20 :: Hadith 3100, 3106]


“Afsos Us Waqt Hota Hai Jab Waldain Ko Beti Ke Jahez Ke Liye Woh Woh Cheez Khareed Te Dekhta Hun Jo Un Ke Apne Ghar Mein Bhi Nahin Hoti.”


✦........► Shaitan Rote Hue Bhag Nikalta Hai! ◄........✦

It is narrated on the authority of Abu Huraira RadiyAllahu Anhu that when, the son of Adam recites the Ayat of Sajdah (prostration) and then falls down in prostration, the Satan goes into seclusion and weeps and says:

Alas, and in the narration of Abu Kuraib the words are: Woe unto me, the son of Adam was commanded to prostrate, and he prostrated and Paradise was entitled to him and I was commanded to prostrate, but I refused and am doomed to Hell."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jab Aadmi Sajdah Ki Aayat Tilawat Karta Hai Aur Phir Sajdah Karta Hai To Shaitan Rota Hua Aik Taraf Nikal Jata Hai Aur Kehta Hai: Haye Meri Halakat! Insan Ko Sajdah Ka Hukum Hua Aur Us Ne Sajdah Kar Liya, Ab Use Jannat Milegi Aur Mujhe Sajdah Ka Hukum Hua Lekin Main Ne Inkar Kiya, Mere Liye Jahannam Hai.”

[Sahih Muslim :: Book 1 :: Hadith 144, 81]


✦........► Mazoor Ko Tang Karne Wale Par Lanat! ◄........✦

The Messenger of Allah, may Allah bless him and grant him peace, said, "Allah curses anyone who misguides a blind person and leads him away from the path."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Allah Ki Lanat Ho Us Shaks Par Jis Ne Kisi Nabina Ko Raste Se Bhatkaya.”

[Al-Adab Al-Mufrad :: Book 38 :: Hadith 892, 892]


✦....♥ Ghar, Rozgar Aur Naik Biwi Hasil Karne Ki Dua! ♥....✦

Jab Hazrat Musa Alaihis Salam Madyan Tashreef Le Gaye To Un Ke Paas Na Rehne Ke Liye Ghar Tha, Na Koi Zariya Ma’aash Aur Na Hi Ahliya, Musa Alaihis Salam Ne Aik Naik Aml Kiya Aur Saye Mein Baith Kar Ye Dua Mangi:

رَبِّ إِنِّي لِمَا أَنْزَلْتَ إِلَيَّ مِنْ خَيْرٍ فَقِيرٌ

“Aye Mere Rab! Jo Khair o Bhalayi Bhi Aap Mujh Par Nazil Karden, Main Us Ka Mohtaj Hun.” (Surah Al-Qasas: 24)

Us Dua ka Padhna Tha Ke Suraj Ghuroob Hone Se Pehle Pehle Allah Ne Unhen Ghar, Zariya Ma’ash Aur Naik Biwi Ata Farmadi.

●◗► Lehaza Ghar, Zariya Ma’aash Aur Shadi Ke Khuaheshmand Hazraat Darje Bala Dua Ko Pure Yaqeen Ke Sath Padhne Ka Ehtemam Farmayen!


“Baaz Rishte Hamari Bardasht Ki Waja Se Hi Qayem Hote Hain Aur Aise Rishte Tab Tak Hi Nibhaye Jate Hain Jab Tak Hamare Andar Bardasht Ki Sakat Maujood Rahti Hai.”


“Sari Ki Sari Chalakiyan Aur Hoshiyariyan Sirf Is Dunya Mein Hi Hain, Is Ko Bewaqoof Bana Liya, Us Se Jhoot Bol Liya, Us Ko Dhoke De Diya Lekin Yaad Rakhen Jo Kuch Aap Kar Rahe Hain Woh Hawaon Mein Nahin Ud Raha, Balke Farishte Likh Rahe Hain Aur Allah Ta’ala Dekh Raha Hai.”


✦......♥ Namaze Jumah Ke Liye Uthaye Gaye Qadam ♥......✦

Narrated Yazid bin Abu Maryam (Rahmatullah Alaih): "Abayah bin Rifa'ah bin Rafi' (Rahmatullah Alaih) met me while I was walking to the Friday prayer. He said: 'Have glad tidings, for indeed these footsteps of yours are in the cause of Allah. I heard Abu 'Abs (RadiyAllahu Anhu) say: "The Messenger of Allah (ﷺ) said, 'Whoever get his two feet dusty in the path of Allah, then they are prohibited for the Fire.'"

Urdu Translation: Hazrat Yazid Bin Abi Maryam Rahmatullah Alaih Farmate Hain Ke Main Jumah Ki Namaz Ke Liye Paidal Ja Raha Tha Ke Hazrat Abayah bin Rifa'ah bin Rafi Rahmatullah Alaih Mujhe Mil Gaye Aur Farmane Lage Ke Tumhen Khush Khabri Ho Ke Tumhare Ye Qadam Allah Ta’ala Ke Raste Mein Hain, Kyun Ke Main Ne Abu 'Abs RadiyAllahu Anhu Ko Ye Farmate Hue Suna Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Ke Qadam Allah Ta’ala Ke Raste Mein Ghubar Aalood Hue To Woh Qadam Jahannam Ki Aag Par Haram Hain.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 3 :: Book 20 :: Hadith 1632, 1632]


✦.........♥ RasoolAllah ﷺ Ka Pasandidah Gosht! ♥.........✦

Abu 'Ubayd RadiyAllahu 'Anhu says: "I cooked a pot (food) for Rasulullah Sallallahu 'Alayhi Wasallam. Because Rasulullah ﷺ loved the dhiraa (forequarter of a goat or sheep) a lot, I served him that portion. He then ordered another one, I served the ,second one. He then ordered one again. I replied: 'Ya Rasulullah (ﷺ) the goat has only two dhiraa'.

Rasulullah ﷺ then said: 'I swear an oath by the Name of that Being in whose hands is my life, if you kept quiet, you could have served me every time I requested one'".

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abu 'Ubayd RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Main Ne Nabi Akram g Ke Liye Handi Pakayi, Chunke Dasti (Bakre Ke Bazu) Ka Gosht RasoolAllah g Ko Zyadah Pasand Tha, Is Liye Main Ne Aik Dasti Pesh Ki To RasoolAllah g Ne Use Tanawul Farmaya Aur Phir Dusri Talab Farmayi, Main Ne Khidmate Aqdas Mein Dusri Bhi Pesh Kardi, Phir Aaqaye Naamdar g Ne Mazeed Dasti Talab Farmayi To Main Ne Arz Kiya: Ya RasoolAllah g! Bakri Ke Do Hi Bazu Hote Hain To RasoolAllah g Irshad Farmane Lage: “Us Zaat Ki Qasam! Jis Ke Qabze Mein Meri Jaan Hai, Agar Tum Khamosh Rahte To Jab Tak Main Dasti Mangta Rahta (Allah Ke Hukum Se Handiya Se) Mujhe Di Jati Rahti.”

[Shama’il at-Tirmidhi :: Book 25 :: Hadith 19, 168]
[Urdu Ref :: Shumail Tirmidhi :: Hadith 159, 168]


♥ Naik Kamon Mein Baham Ta’awun Karne Wale Miyan Biwi! ♥

●◗► Neki Ke Kamon Mein Baham Ta’awun Karne Wale Miyan Biwi Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ko Bahot Pasand Hain, Aik Hadis Ka Mafhoom Hai Ke Allah Us Shohar Ya Biwi Par Rehmat Nazil Farmate Hain Jo Namaz Tahajjud Ke Liye Uthe Aur Apne Shareeke Hayaat Ko Bhi Uthaye Aur Neend Ka Ghalba Door Karne Ke Liye Pani Ke Chinte Mare, Allah Subhanahu Wa Ta'ala Tamam Zaujain Ko Aik Dusre Ke Sath Naik Kamon Mein Ta’awun Karne Ki Toufeeq Naseeb Farmaye. (Aameen)


✦ Madinah Munawwarah Jane Walon Ke Liye Nadir o Nayab Tohfa ✦ ♥ Masjide Fateh Mein Duaon Ki Qubuliyat ♥

Jabir ibn 'Abdullah RadiyAllahu Anhu said: "The Messenger of Allah, may Allah bless him and grant him peace, made supplication in this mosque, the Mosque of Victory, on Monday, Tuesday and Wednesday, and it was answered for him between the two prayers on Wednesday," Jabir RadiyAllahu Anhu said, "Whenever anything severe and serious happened to me and I singled out that time and made supplication to Allah concerning it between the two prayers on Wednesday, I found the answer.'"

Urdu Translation: Hazrat Jabir Bin Abdullah RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke (Ghazwah Khandaq Ke Moqe Par) RasoolAllah Ne Masjid “Fateh” Mein Peer, Mangal, Aur Budh Ke Roz Dua Mangi, Chunanche Budh Ke Din Do Namazon (Zohar o Asr) Ke Darmiyan Aap Ki Dua Qubool Karli Gayi.

Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu Ne Farmaya Ke Jab Bhi Mujhe Koi Mushkil Aur Ahem Tareen Kaam Dar Pesh Hua, Main Ne Budh Ke Din Do Namazon (Zohar o Asr) Ke Darmiyan Masjide Fateh Mein Jakar Dua Ki, Har Baar (Meri Dua Qubool Hui Aur) Mujhe Dua Ki Qubuliyat Ka Pata Bhi Chal Gaya.

[Al-Adab Al-Mufrad Al-Bukhari :: Book 31 :: Hadith 704, 704]


•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*¸.•*´¨`*•.¸
Ilmi Majlis Ki Janib Se Tamam Chahne Walon Ko Eid Mubarak
•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*¸.•*´¨`*•.¸

●◗► Allah Ta’ala Ham Sab Ki Qurbani Aur Hajje Baitullah Samait Digar Tamam Ibadaat Ko Apni Bargaah Rehmat Mein Qubool Farma Kar Hamen Deene Mateen Ke Liye Har Tarah Ki Qurbani Dene Ka Jazba Ibrahimi Ata Farmade. (Aameen)

تَقَبَّلَ اللّهُ مِنَّا وَ مِنْكُمْ

'Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' Allah paak Hamare aur Aap ke Naik Aa’maal Qubool Farmaye."

★•.•´¯`•.•★ ♥ A A M E E N ♥ ★•.•´¯`•.•★

اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد

●◗► "Allahu Akbar Allahu Akbar La ilaaha illallahu Wallahu Akbar, Allahu Akbar Walillahil Hamd!"


✦......♥ Eid ki Mubarak Baad Dene ka Tariqa ♥......✦

Hazrat Wathla RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main ne Eid ke din Nabi Kareem ﷺ se Mulaqat ki aur Main ne kaha: "Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' "Allah Ta’ala hamare aur aap ke Naik Aa’maal Qubool Farmaye."

Nabi Kareem ﷺ ne Irshad Farmaya: "Han Han zaroor! 'Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' Allah paak Hamare aur Aap ke Naik Aa’maal Qubool Farmaye."

[Sunan Al-Kubra Al-Bahaqi :: Hadith 6088]


✦.......♥ Eid Al-Adha Ke Aadaab ♥.......✦

❶ Subah Sawere(Namaze Fajr Se Qabl) Bedar Hona.
❷ Miswak Karna.
❸ Ghusul Karna.
❹ Shari’at Ki Hudood Mein Rahte Hue Zaib o Zeenat Ekhtiyar Karna
❺ Khushbo Lagana.
❻ Eid Ki Namaz, Eidgah Mein Padhna.
❼ Jald Az Jald Eidgah Pahonchna, Paidal Jana Aur Wapsi Par Dusra Rasta EkhtiyarKarna
❽ Raaste Mein

اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد

"Allahu Akbar Allahu Akbar La ilaaha illallahu Wallahu Akbar, Allahu Akbar Walillahil Hamd!" Ba’aawaze Buland Padhna.

❾ Eid Ki Namaz Se Pehle Kuch Na Khana.
➓ Qurbani Ke Mubarak Gosht Se Khane Ki Ibteda Karna.


TAKBEERATE TASHREEQ


✦........✿ ...... Hajj Ke 5 Ayyam ......✿ ........✦
Teesra Din (10 Dhul Hijjah): (India Mein 9 Dhul Hijjah)

Aaj Manasik Hajj Ki Adayegi Ka Teesra Ahem Tareen Din Hai, Hujjaj Karam Muzdalifah Mein Namaz Fajr Awwal Waqt Mein Padhne Ke Baad Tulu Aftab Tak Wuqufe Muzdalifah Karenge Aur Zikr o Dua Aur Tasbihat Mein Mashghool Rahenge, Tulu Aaftab Ke Waqt Mina Ki Taraf Rawana Ho Jayenge Aur Muzdalifah Se Hi Apne Sath Taqriban 70 Kankariyan Bhi Le Lenge, Mina Pahonch Kar Jamrah Aqabah (Bade Alamati Shaitan) Par Kankariyan Marenge, Pehli Kankari Marte Hi Talbiya Padhna Band Kar Denge, Is Ke Baad Hajj Ki Qurbani Karenge Aur Phir Sir Mundhwa Kar Ya Baal Chote Karwa Kar Ehram Ki Beshtar Pabandiyon Se Aazad Ho Jayenge, Is Din Agar Moqa Muyyasar Aasaka To Hujjaj Karam Makkah Mukarramah Pahoch Kar Tawaf Ziyarat Aur Sayi Bhi Kar Lenge.

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Safar Hajj Ke Shuruaat Qubool Farmaye Aur Tamam Aazmeene Hajj Ko Apne Hifz o Aman Mein Rakhe. (Aameen)


Allah Ta’ala Tamam Hajiyon Ka Hajj Qubool Farmaye Aur Hamen Bhi Ye Sa’adat Naseeb Farmaye. (Aameen)


✦..........♥ Hajj Ke 5 Ayyam Dusra Din ♥..........✦
(9 Dhul Hijjah): (India Mein 8 Dhul Hijjah)

Aaj Ka Din Ayyam Hajj Ka Sab Se Ahem Aur Masroof Tareen Din Hai, Aaj Subah Talbiya Padhte Hue Hujjaj Karam Mina Se Arafat Ke Liye Rawana Ho Jayenge, Maidane Arafat Mein Zawal Ke Baad Hajj Ka Rukn Aazam “Wuqufe Arafah” Ada Karenge, Is Dauran Zohar Aur Asr Ki Namazen Ikatthi Ada Ki Jayengi, Namazon Ke Alawah Ghuroob Aaftab Tak Jitna Waqt Bachega, Hujjaj Karam Qibla Rukh Ho Kar Khoob Aahwazari Aur Duayen Mangenge Aur Ghuroob Aftab Ke Baad Talbiya Padhte Hue “Muzdalifah” Ki Janib Rawana Ho Jayen, Muzdalifah Pahonch Kar Maghrib Aur Isha Ki Namazen Isha Ke Waqt Mein Ikatthi Ada Karenge Aur Aaj Ki Raat Muzdalifah Mein Guzarenge, Muzdalifah Mein Namaze Fajr Awwal Waqt Mein Ada Kar Ke Qibla Rukh Ho Kar Duaon Aur Zikr o Azkar Mein Mashghool Ho Jayenge, Is Aml Ko “Wuqoofe Muzdalifah” Kaha Jata Hai.


✦..........♥ Hajj Ke 5 Ayyam Pehla Din ♥..........✦
(8 Dhul Hijjah): (India Mein 7 Dhul Hijjah)

Aaj Hazaron Aazmeene Hajj Makkah Mukarramah Se Mina Pahonch Rahe Hain Jahan Wo Panch Namazen: Zohar, Asr, Maghrib, Isha Aur 9 Dhul Hijjah Ki Fajr Ada Karenge, Mina Mein Ye Panchon Namazen Ada Karna Aur Aaj Ki Raat Mina Mein Guzarna Hajj Ki Sunnat Hai, Lehaza Agar Kisi Wajah Se Mina Pahochne Mein Kuch Takheer Ho Jaye Ya Mina Na Pahonch Saken To Hujjaje Karam Par Koi Dum Wagherah Lazim Nahin, Lekin Qasdan Aisa Karna Munasib Nahin, Kyun Ke Sunnat Chhodne Se Hajj Ka Sawab Kam Ho Jata Hai.

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Safar Hajj ki Shuruaat Qubool Farmaye Aur Tamam Aazmeene Hajj Ko Apne Hifz o Aman Mein Rakhe. (Aameen)


✦...♥ Talbiya Aur Takbir Padhne Par Jannat Ki Basharat! ♥...✦

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Talbiya Padhne Wala Jab Talbiya Padhta Hai To Use Khushkhabri Sunayi Jati Hai, Isi Tarah Takbeer Kehne Wala Jab Takbeer Kehta Hai To Use Bhi Khushkhabri Sunayi Jati Hai, Pucha Gaya: Ya RasoolAllah! Kya Jannat Ki Khushkhabri Sunayi Jati Hai? Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: Han.” (Al-Mu’jamul Awsat Al-Tabarani:7779)

عن أبي هريرة عن النبي صلى الله عليه و سلم قال ما أهل مهل قط إلا بشر ولا كبر مكبر قط إلا بشر قيل يا رسول الله بالجنة قال نعم (المعجم الاوسط للطبرانی:7779،حدیث صحیح)


✦......... TAKBEERATE TASHREEQ .........✦

اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد

"Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu Arafah (9 Dhul Hijjah) Ke Din Namaz Fajr Se Ayyam Tashreeq Ke Aakhri Din (13 Dhul Hijjah) ki Namaz Asr Tak Takbeere Tashreeq Padhte The."

[Musannaf Ibn Abi Shaybah :: Hadith 5631]

●◗► 9 Dhul Hijjah (20/07/2021) Ki Namaze Fajr Se 13 Dhul Hijjah (24/07/2021) Ki Namaze Asr Tak Har Farz Namaz Ke Baad Ba Jama’at Ya Tanha Namaz Padhne Wale Mard Par Aik Martaba Buland Aawaz Se Aur Aurat Par Aik Martaba Aahista Aawaz Se Ye Takbeer Padhna Wajib Hai.


✦...♥ Baroz MANGAL 20-07-2021, Arafah Ka Rozah ♥...✦

The Prophet ﷺ said: "Fast the Day of Arafah, for indeed I anticipate that Allah will forgive (the sins) of the year after it, and the year before it."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Mujhe Allah Ta’ala Ki Zaat Par Pokhta Yaqeen Hai Ke Yaum Arafah (9 Dhul Hijjah) Ke Roze Ke Badle Guzishta Saal Aur Aayindah Saal Ke Gunah Muaaf Farma Dega.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2, Book 3 :: Hadith 749, 749]


“Apne Zehni Sukoon Ke Liye Kuch Logon Ko Nazar Andaz Karna, Aap Ki Kamzori Nahin, Aqalmandi Hai!


✦ Qurbani Ke Janwar Ka Khoon, Gobar Aur Oon ✦
✦...► Nekiyon Ka Palda Bhari Karne Ka Sabab! ◄...✦

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Qurbani Kiya Karo Aur Khush Dili Se Kiya Karo! Kyun Ke Jab Musalman Apni Qurbani Ka Rukh Qible Ki Taraf (Kar Ke Zabah) Karta Hai To Us Janwar Ka Khoon, Gobar Aur Oon Qayamat Ke Din Us Ke Aamal Ke Tarazu Mein Nekiyon Ki Surat Mein Rakhe Jayen Ge.” (Musannaf Abdul Razzaq:8167)

عَنْ عَائِشَةَ، أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: «ضَحُّوا، وَطَيِّبُوا بِهَا أَنْفُسَكُمْ؛ فَإِنَّهُ لَيْسَ مِنْ مُسْلِمٍ يُوَجِّهُ ضَحِيَّتَهُ إِلَى الْقِبْلَةِ إِلَّا كَانَ دَمُهَا، وَفَرَثُهَا، وَصَوْفُهَا حَسَنَاتٍ مُحْضَرَاتٍ فِي مِيزَانِهِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ» (مصنف عبدالرزاق:8167،بَابُ فَضْلِ الضَّحَايَا وَالْهَدْيِ، وَهَلْ يَذْبَحُ الْمُحْرِمُ)


✦............♥ Ashrah Dhul-Hijjah Mein ♥............✦
✦ Ramadan Al-Mubarak Ke Rozon Ki Qaza ✦

Hazrat Umar RadiyAllahu Anhu Irshad Farmate Hain: “Ramadan Al-Mubarak Ke Rozon Ki Qaza Ke Liye Mujhe Dhul Hijjah Ke 10 Dinon Se Zyadah Koi Din Mahboob Nahin.” (Sunan Al-Kubra Al-Bahaqi:8655)

عَنِ الأَسْوَدِ بْنِ قَيْسٍ عَنْ أَبِيهِ أَنَّ عُمَرَ رَضِىَ اللَّهُ عَنْهُ قَالَ : مَا مِنْ أَيَّامٍ أَحَبَّ إِلَىَّ أَنْ أَقْضِىَ فِيهَا شَهْرَ رَمَضَانَ مِنْ أَيَّامِ الْعَشْرِ.
( السنن الکبری للبیھقی:8655، باب جَوَازِ قَضَاءِ رَمَضَانَ فِى تِسْعَةِ أَيَّامٍ مِنْ ذِى الْحِجَّةِ )


✦.........♥ Ashrah Dhul-Hijjah ♥.........✦

❶ Takbeer o Tahleel - اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ
❷ Taubah o Astaghfar
❸ Tahajjud Aur Duayen
❹ Rozah - (Pehle Ashre ke 9 din, Bilkhusu 9 Dhul Hijjah Yaum Arafah ka Rozah)
❺ Takbirate Tashreeq - (9 ki Fajr ta 13 ki Asr Tak)
اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد
❻ Qurbani - (10 Ta 12 Dhul Hijjah)


✦........♥ Allah Ki Kibriyai Bayan Karne Ka Mosam! ♥........✦

Hazrat Ibn Umar Aur Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhuma Dhul Hijjah ke Pehle Ashrah Mein Bazar ki Taraf Nikal jate aur (Logon ko Takbiraat ki Taraf Mutawajje Karne ke Liye) Takbiraat Padhte aur Log bhi Un ke Sath Takbiraat Padhte.

[Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 968]

وَقَالَ ابْنُ عَبَّاسٍ وَاذْكُرُوا اللَّهَ فِي أَيَّامٍ مَعْلُومَاتٍ أَيَّامُ الْعَشْرِ، وَالأَيَّامُ الْمَعْدُودَاتُ أَيَّامُ التَّشْرِيقِ.
وَكَانَ ابْنُ عُمَرَ وَأَبُو هُرَيْرَةَ يَخْرُجَانِ إِلَى السُّوقِ فِي أَيَّامِ الْعَشْرِ يُكَبِّرَانِ، وَيُكَبِّرُ النَّاسُ بِتَكْبِيرِهِمَا.


✦.......... Ashrah Dhul Hijjah Ke Aamal ..........✦

● Hajj
● Qurbani
● Yaume Arfah Ka Rozah
● Takbeer o Tasbeeh o Tahmeed
● Allah Se Manajaat
● Tilawate Quran Majid
● Allah Ke Raste Mein Kharch Karna
● Amr Bil Maroof Wa Nahi Anil Munkar
● Din Mein Roze Raton Mein Ibadat

The Messenger of Allah ﷺ said: "There are no days in which righteous deeds are more beloved to Allah than those ten days ( Dhul-Hijjah)." They said: "O Messenger of Allah! Not even Jihad in Allah Cause?" The Messenger of Allah ﷺ said: "Not even Jihad in Allah's Cause, unless a man were to out with his self and his wealth and not return from that with anything."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Dhul Hijjah Ke Dus Dinon Ke Muqable Mein Dusre Koi Din Aise Nahin Jin Mein Naik Aml Allah Ta’ala Ko In Dinon Se Zyadah Mahboob Ho.” Sahaba Ne Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Kya Jihad Fi Sabilillah Bhi Nahin?

Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jihad Fi Sabilillah Bhi Nahin, Han Magar Wo Shaks Jo Apni Jaan o Maal Ke Sath Rahe Jihad Mein Nikle Aur Kuch Wapas Lekar Na Aaye (Wahin Shahid Ho Jaye).”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 3 :: Hadith 757, 757] 


✦......► Ashrah Dhul Hijjah Ke Roze ◄......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) used to fast the first nine days of Dhul-Hijjah.

Urdu Translation: “RasoolAllah (ﷺ) Dhul Hijjah Ke Ibtedayi 9 Din Roze Rakha Karte The.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 13 :: Hadith 2431, 2437] 


❶ Barish Baraste Waqt Ki Dua:

‏ "‏ اللَّهُمَّ صَيِّبًا نَافِعًا ‏"‏
Aye Allah! Is Barish Ko Faidah Mand Bana. (Sahih Bukhari:1032)

❷ Barish Ke Baad Ki Dua:

مُطِرْنَا بِفَضْلِ اللَّهِ وَرَحْمَتِهِ
Ham Allah Ke Fazl Aur Us Ki Rehmat Ke Sath Barish Se Nawaze Gaye. (Sahih Bukhari:846)

❸ Zaroorat Se Zyadah Barish Ke Waqt Dua:

"‏ اللَّهُمَّ حَوَالَيْنَا وَلاَ عَلَيْنَا، اللَّهُمَّ عَلَى الآكَامِ وَالْجِبَالِ وَالآجَامِ وَالظِّرَابِ وَالأَوْدِيَةِ وَمَنَابِتِ الشَّجَرِ ‏"‏‏.‏
Aye Allah! Hamare Ird Gird Barish Barsa Aur Ham Par Na Barsa, Aye Allah! Telon, Pahadon, Jangalaat, Unche Maidanon, Wadiyon Aur Darakhton Ki Jadon Mein Barish Barsa. (Sahih Bukhari:1013) 


✦....► Khawateen Ki Mulazimat Ki 3 Qurani Sharayet! ◄....✦

❶ Ghair Mahram Mardon Ke Sath Ikhtilat Na Ho: Hazrat Shuaib Alaihis Salam Ki Betiyan Jab Ghar Se Bahar Kaam Ke Liye Niklen To Unhon Ne Farmaya: “Ham Apne Janwaron Ko Us Waqt Tak Pani Nahin Pila Sakten Jab Tak Sare Mard Charwahe Nikal Nahin Jate.” (Al-Quran, Surah Al-Qasas, 23)

❷ Naukri Aur Kaam Ki Ashad Zarurat Ho Aur Koi Kaam
Karne Wala Mard Ghar Mein Na Ho: Hazrat Shuaib Alaihis Salam Ki Betiyon Ne Apne Kaam Kaaj Karne Ki Majburi Ka In Alfaz Mein Tazkirah Farmaya: “Hamare Walid Bahot Budhe Aadmi Hain (Aur Kaam Kaaj Se Qasir Hain).” (Al-Quran, Surah Al-Qasas, 23)

❸ Jab Kisi Kamane Aur Kaam Karne Wale Ka Intezam
Ho Jaye To Fauran Naukri Aur Kaam Chhod Diya Jaye: Hazrat Shuaib Alaihis Salam Ki Betiyon Ne Musa Alaihis Salam Ke Bare Mein Apne Walid Se Farmaya: “Abba Jaan! Aap In Ko Ujrat Par Koi Kaam De Dijiye.” (Al-Quran, Surah Al-Qasas, 26) 


✦.........♥ Bakriyan Paalna Barkat Ka Sabab! ♥.........✦

It was narrated from Umm Hani' RadiyAllahu Anha that the Prophet (ﷺ) said to her: "Keep sheep, for in them is blessing!'

Urdu Translation: Hazrat Umm Hani RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke Nabi Akram Ne Un Se Farmaya: “Tum Bakriyan Palo, Is Liye Ke In Mein Barkat Hai.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Book 12 :: Hadith 2304] 


✦.... Qurbani Karne Wale Baal o Nakhun Na Tarashen ....✦

Umm Salama RadiyAllahu Anha reported (these words) directly from Allah's Messenger (ﷺ): "If anyone has in his possession a sacrificial animal to offer as a sacrifice (on 'Id al-Adha), he should not get his hair cut and nails trimmed after he has entered the first days of Dhu'l Hijja."

[Sahih Muslim :: Book 22 :: Hadith 4871, 1977]

Urdu Translation: Hazrat Umm Salamah RadiyAllahu Anha Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Jab Tum Maah Dhul Hijjah Ka Chand Dekh Lo Aur Tum Mein Se Kisi Ka Qurbani Karne Ka Iradah Ho To Use Chahiye Ke Woh (Janwar Zabah Karne Tak) Na Apne Jism Ke Baal Kate Aur Na Hi Nakhun Tarashe."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5119]

●◗► 10-July-2021 Baroze Hafta Ko 29 Dhul Qa’dah Hai Lehaza Qurbani Ka Iradah Rakhne Wale Tamam Hazraat 29 Dhul Qa’dah Hafta Ke Din Maghrib Se Pehle Pehle Jism Ke Ghair Zaroori Baal Aur Nakhun Wagherah Tarash Len!




Darya Ne Naher Se Pucha: Tujhe Samandar Nahin Banna?

Naher Ne Jawab Diya: Bada Ban Kar Khara Ho Jane Se Behtar Hai Chota Rehkar Mitha Raha Jaye!!!


✦.........► QURBANI! ◄.........✦

Hukum: Aaqil, Baligh, Muqeem Aur Maal Daar Shaks Par Qurbani Karna Wajib Hai.

Fazeelat: “Allah Ta’ala Ke Nazdik Qurbani Ke Din Bandon Ke Tamam Aa’mal Mein Pasndidah Tareen Aml Janwar Ka Khoon Bahana Hai.” (Tirmidhi:1493)

Waqt: 10 Dhul Hijjah Ke Din Namaze Eid Ke Baad Se 12 Dhul Hijjah Ke Ghurube Shams Tak.

Sharayet: Janwar Ki Umr Shari’at Ki Tai Shudah Had Ke Barabar ho Aur Woh Janwar Aaib Daar Na Ho.

Aadab: Janwar Ka Gosht Khud Bhi Khaye Rishtedaron Ko Bhi Hadya Kare Aur Ghurba Mein Bhi Taqseem Kare.

Fawayed: Allah Ta’ala Ka Qurb Hasil Hota Hai, Makhlooq Par Rizq Ke Darwaze Khulte Hain.


✦.........♥ Sahet Aur Thande Pani Ki Nemat! ♥.........✦

The Messenger of Allah ﷺ said: “Indeed the first of what will be asked about on the Day of Judgment – meaning the slave (of Allah) being questioned about the favors – is that it will be said to him: ‘Did We not make your body, health, and give you of cool water to drink?’”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Qayamat Ke Din Bande Se Sab Se Pehle Nematon Ke Mutaliq Sawal Kiya Jayega Ke Kya Ham Ne Tumhare Badan Ko Tandrusti Aur Tumhen Thande Pani Se Sairab Nahin Kiya Tha?”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 5 :: Book 44 :: Hadith 3358]


Jab Khawateen Parde Ke Ehtemam Ki Koshish Karti Hain To Allah Subhanahu Wa Ta’ala Bhi Un Ki Madad Farmate Hain Aur Mushkil Halaat Mein Parde Ki Koi Na Koi Surat Nikal Hi Aati Hai!!!


✦.....♥ Ye Khubiyan Apnayen Aur Begham Ho Jayen! ♥.....✦

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Agar 4 Khubiyan Tum Mein Hon To Sari Dunya Bhi Agar Tumhare Hath Se Nikal Jaye To Koi Fikr Ki Baat Nahin:

❶ Amanat Ki Hifazat
❷ Guftagu Mein Sacchayi
❸ Akhlaq Ki Umdagi
❹ Khane Mein Pakeezgi." (Musnad Ahmad:6652)


✦.......... ✔ Qurbani ke Janwaron Ki Tafseel ✔..........✦

✿ Chote Janwar: Bhaid, Dunbah, Bakra, Bakri ✿

• In Ki Umr Km Az Km Aik (1) Saal Honi Chahiye.
• Albatta Agar 6 Maah Ka Dumbah Jasamat Mein Aik Saal Ka Lage To Us Ki Qurbani Bhi Jayez Hai.
• In Ki Qurbani Sirf Aik Aadmi Ki Taraf Se Ho Sakti Hai.

●══════════════◄►═════════════●
✿ Bade Janwar: Gaye, Bail, Bhains ✿

• In Ki Umr Km Az Km Do (2) Saal Honi Chahiye.
• In Ki Qurbani Mein Zyadah Se Zyadah Sath (7) Afrad Shareek Ho Sakte Hain.

●══════════════◄►═════════════●

✿ Oont ✿

• Is Ki Umr Km Az Km Panch (5) Saal Honi Chahiye.
• Is Ki Qurbani Mein Bhi Sath (7) Afrad Shareek Ho Sakte Hain.

●◗► Darje Bala Janwaron Ke Alawah Digar Halal Janwaron (Masalan: Nail Gaye Aur Hiran Wagherah) Ki Qurbani Durust Nahin, (Shurka Mein Se Kisi Aik Ki Aamdani Bhi Haram Ho Ya Mahez Gosht Khane Ki Niyyat Ho To Deegar Shurka Ki Qurbani Bhi Durust Na Hogi).


✦.....♥ Shaitan Ke Waar Se Bachao Ka Nuskha ♥.....✦

Surah An-Nas Ki Aayat: (Min Sharril Waswasil Khannas) Ki Tafseer Mein Rayees Al-Mufassireen Hazrat ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma Irshad Farmate Hain:

“Shaitan Insan Ke Dil Se Chipka Rehta Hai, Jab Insan Allah Ka Zikr Karta Hai To Shaitan Piche Hat Jata Hai Aur Jab Insan Allah Ke Zikr Se Ghafil Hota Hai To Shaitan Us Ke Dil mein Waswase Dalta Hai.

[Musannaf Ibn Abi Shaybah :: 35919]


⇨ Almighty Allah Said: "Whoever fears Allah, He brings forth a way out for him, (Surah At-Talaq:2)

⇨ Irshade Khudawandi Hai: “Aur Jo Koi Allah Ta’ala Se Darega, Allah Ta’ala Us Ke Liye Mushkil Se Nikalne Ka Koi Rasta Paida Karde Ga.” (Qur'an, Surah At-Talaq:2)


✦....▶ Dunya Ke Bad’tareen Log, Baham Nafrate Phailane Wale ◀....✦

Asma' bint Yazid reported that the Prophet, may Allah bless him and grant him peace, said, "Shall I tell you who is the best of you?" "Yes,," they replied. He ﷺ said, "Those who remind you of Allah when you see them." He went on to say, "Shall I tell you who is the worst of you?" "Yes," they replied. He ﷺ said, "Those who go about slandering, causing mischief between friends in order to separate them, and desiring to lead the innocent into wrong action."

[Al-Adab Al-Mufrad :: Hadith 323]

●══════════════════◄►═════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Asma bint Yazid RadiyAllahu Anha Se Riwayat Hai Ke Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: Aye Logo! Kya Main Tumhen Tumhare Behtareen Logon Ke Bare Mein Khabar Na Dun? Sahaba Karam (RadiyAllahu Anhum) Ne Arz Kiya: Han! Zaroor Khabar Den.

Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Behtareen Log Woh Hain Jinhen Dekh Kar Allah Yaad Aajaye."(Phir Farmaya) Kya Main Tumhen Tumhare Bad’tareen Logon Ke Bare Mein Na Bataun? Sahaba Karam (RadiyAllahu Anhum ) Ne Arz kiya: Han! Zaroor Khabar Den. Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Tumhare Bad’tareen Log Woh Hain Jo Chugalkhori Karte Phirte Hain, Doston Ke Darmiyan Talluqat Kharab Karte Hain Aur Allah Ke Naik Bandon Ke Darmiyan Jhagde o Fasad Ki Khuahesh Rakhte Hain." (Al-Mu’jamul Awsat Al-Tabarani: 423)

[Al-Mu’jamul Awsat Al-Tabarani :: Hadith 423] [Al-Adab Al-Mufrad :: Book 15 :: Hadith 323]


✦....► Musalman Ki Aabrurezi (Be’izzati) Ka Jurm ◄....✦

The Prophet (ﷺ) said: "The most prevalent kind of usury is going to lengths in talking unjustly against a Muslim's honour."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Bila Shuba Sab Se Bade Sood Mein Se Ye Bhi Hai Ke Kisi Musalman Ki Izzat o Aabru Ko Na Haq Bigadne Ke Liye Zuban Darazi Ki Jaye.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 4858, 4876]


✦.....►Suraj Grahan Ki Namaz : Tawil Qirat Aur Tawil Ruku o Sujood Wali Namaz ◄....✦

Narrated Abu Musa RadiyAllahu Anhu: The sun eclipsed and the Prophet (ﷺ) got up, being afraid that it might be the Hour (i.e. Day of Judgment). He went to the Mosque and offered the prayer with the longest Qiyam, bowing and prostration that I had ever seen him doing. Then he said, "These signs which Allah sends do not occur because of the life or death of somebody, but Allah makes His worshipers afraid by them. So when you see anything thereof, proceed to remember Allah, invoke Him and ask for His forgiveness."

Urdu Translation: Hazrat Abu Musa Ash’ari RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Aik Baar Suraj Grahan Hua, Nabi Akram ﷺ Bahot Zyadah Ghabra Kar Uthe Ke Kahin Qayamat Qayem Na Ho Jaye, Aap ﷺ Fauran Masjid Tashreef Laye Aur Aap ﷺ Ne Bade Taweel Qayam Aur Taweel Ruku Aur Taweel Sajdon Ke Sath Namaz Padhi, Main Ne Kabhi Aap ﷺ Ko Is Tarah Se Namaz Padhte Nahin Dekha Tha Aur Phir Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke “Ye Nishaniyan Hain Jo Allah Buzurg o Bartar Bhejta Hai, Ye Kisi Ki Maut Aur Hayat Ke Sabab Se Nahin Hota Hai, Balke Allah Ta’ala Is Ke Zariye Apne Bandon Ko Darata Hai, Jab Tum Is Ko Dekho To Zikre Ilahi Aur Dua o Astaghfar Ki Taraf Daudo.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 18 :: Hadith 167, 1059]


✦........► Suraj Grahan Aur Masnoon Aamal ◄........✦

❶ 2 Rakat Namaze Kusuf

Aam Nawafil Ki Tarah 2 Rakat Padhi Jaye, Is Namaz Mein Taweel Qirat Aur Taweel Ruku Aur Sajde Karna Masnoon Hai, Mardon Ke Liye Ba Jamat Padhna Afzal Hai, Agar Jamat Muyassar Na Ho To Tanha Bhi Padh Sakte Hain, Khawateen Gharon Mein Is Ka Ehtemam Karen Gi

❷ Hasbe Taufeeq Sadqah o Khairat Karna
❸ Aakhirat Ke Bare Mein Fikr Mand Hona
❹ Jab Tak Suraj Grahan Khatam Na Ho Jaye:

● Qibla Rukh Baith Kar Dair Tak Dua Karna
● Allah Ke Zikr Mein Waqt Guzarna
● Astaghfar Mein Mashghool Rehna.


●◗► Aaj 10 June 2021 Is Saal Pehla Suraj Grahan Hoga, Hindustan Waqt Ke Mutabiq Suraj Grahan Dopahar 01:42 Par Shuru Hoga, Aur 06:41 Par Suraj Grahan Ka Ekhtetam Hoga.

✦..........► Suraj Aur Chand Grahan Ke Moqe Par! ◄..........✦
Allah Ka Zikr Aur Tauba o Astaghfar Ka Ehtemam Karen!

Urdu Translation: Nabi Kareem ﷺ Ke Zamane Mein Suraj Ko Grahan Laga To Aap ﷺ Ne Namaz Padhi Aur Us Ke Baad Aap ﷺ Ne Khutba Diya Aur Irshad Farmaya: “Suraj Aur Chand Donon Allah Ta’ala Ki Nishaniyan Hain Aur Kisi Ki Maut o Zindagi Ki Waja Se Un Mein Grahan Nahin Lagta Is Liye Jab Tum Ko Malum Ho Ke Grahan Lag Gaya Hai To Allah Ta’ala Ka Zikr Karo.”

Narrated `Aisha RadiyAllahu Anha: In the lifetime of Allah's Messenger (ﷺ) (p.b.u.h) the sun eclipsed, so he led the people in prayer, and stood up and performed a long Qiyam, then bowed for a long while. He stood up again and performed a long Qiyam but this time the period of standing was shorter than the first. He bowed again for a long time but shorter than the first one, then he prostrated and prolonged the prostration. He did the same in the second rak`a as he did in the first and then finished the prayer; by then the sun (eclipse) had cleared. He delivered the Khutba (sermon) and after praising and glorifying Allah he (ﷺ) said,

"The sun and the moon are two signs against the signs of Allah; they do not eclipse on the death or life of anyone. So when you see the eclipse, remember Allah and say Takbir, pray and give Sadaqa."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 18 :: Hadith 154, 1044]


Bacchon Ke Dimagh Mein Aap Kya Bhar Rahe Hain? Yaad Rakhye! Bacche Aap Ko Dekhte Aur Sunte Hain..Aap Ka Rishtedaron Aur Dost Ahbab Ke Sath Sulook Bacchon Mein Sarayat Kar Jata Hai..Lehaza Har Muamle Se Pehle Sochen Ke Aap Bacchon Ke Dil o Dimagh Mein Kya Bhar Rahe Hain?


“Ajeeb Baat Hai Ham Zarurat Padne Par Zarurat Mand Ban Jate Hain Aur Zarurat Khatam Hone Par Ghairat Mand Magar Ehsan Mand Kabhi Nahin Bante Hain.”


✦.......♥ Ba Wuzu Aur Zikr Karte Hue Soyyen! ♥.......✦

The Prophet (ﷺ) said: "If a Muslim sleeps while remembering Allah, in the state of purification, is alarmed while asleep at night, and asks Allah for good in this world and in the Hereafter. He surely gives it to him."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Jab Koi Musalman Ba Wuzu Allah Ka Zikr Karte Hue Sota Hai Phir Raat Ko Karwat Badalne Ki Waja Se Jaag Uthta Hai Aur Us Halat Mein Allah Ta'ala Se Dunya o Aakhirat Ki Bhalayi Ki Koi Cheez Mangta Hai To Allah Subhanahu Wa Ta'ala Zaroor Woh Cheez Ata Farma Dete Hain."

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 5024, 5042]


✦.......► Ladkiyon Ki Rukhsati Mein Jaldi! ◄.......✦

Aaj kal Ham Ne Shadiyon Ko Itna Mushkil Bana Diya Hai Ke Badi Beti Ki Shadi Tak Baqi Choti Bahnen Bhi Jawani Ki Dahleez Tak Pahonch Jati Hain.... Ham Pahle Badi Beti Ki Mangni, Phir Kayi Saal Baad Nikah Aur (Ab Naya Riwaj Chal Pada Hai Ke Nikah Ke Bhi Kayi Saal Baad) Rukhsati Karte Hain, In Fuzool Marahil Se Guzarne Ke Baad Dusri Beti Ka Number Aata Hai Aur Phir Teesri Ka, Islam Mein Shadi Ki Mahngi, Fuzool Aur Sabr Aazma Rusumaat Ka Koi Tasawwur Nahin, RasoolAllah ﷺ Ke Irshad Ka Mafhoom Hai Ke Ladki Ka Jab Munasib Rishta Mil Jaye To Nikah Aur Shadi Mein Hargiz Takheer Na Ki Jaye. (Sunan Al-Kubra Al-Bahaqi: 13535)


✦......♥ Neend Ka Ghalba Aur Muft Tahajjud Ka Sawab ♥......✦

It was narrated from Abu Ad-Darda' RadiyAllahu Anhu who attributed it to the Prophet (ﷺ): "Whoever goes to his bed intending to get up and pray qiyam (Tahajjud) at night, then sleep overwhelms him until morning, will have recorded that which he intended and his sleep is a charity given to him by his Lord, the Mighty and Sublime."

Urdu Translation: Hazrat Abu Ad-Darda RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Jo Shaks (Sone Ke Liye) Apne Bistar Par Aaye Aur Us Ki Niyyat Ye Ho Ke Raat Ko Uth Kar Tahajjud Ki Namaz Padhunga, Phir Neend Ka Aisa Ghalba Taari Hua Ke Subah Hi Aankh Khuli To Us Ke Liye Tahajjud Ka Sawab Likh Diya Jata Hai Aur Neend Karna Us Ke Rabbe Azzawajal Ki Taraf Se Atya o In’aam Hota Hai."

[Sunan an-Nasa’i :: Vol. 2 :: Book 20 :: Hadith 1788,1787]


●◗► Be Zubaan Janwaron Ke Bhi Ehsasat Hote Hain, Woh Bhi Sardi Garmi Mahsoos Karte Hain Lehaza Un Ke Liye Bhi Sakht Garmi Aur Dhoop Se Bachao Ka Intezam Karen!


✦.....♥ Baitul Muqaddas Ke Qareeb Maut Ki Tamanna! ♥.....✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: "The angel of death was sent to Moses and when he went to him, Moses slapped him severely, spoiling one of his eyes. The angel went back to his Lord, and said, "You sent me to a slave who does not want to die." Allah restored his eye and said, "Go back and tell him (i.e. Moses) to place his hand over the back of an ox, for he will be allowed to live for a number of years equal to the number of hairs coming under his hand." (So the angel came to him and told him the same). Then Moses asked, "O my Lord! What will be then?" He said, "Death will be then." He said, "(Let it be) now." He asked Allah that He bring him near the Sacred Land at a distance of a stone's throw. Allah's Messenger (ﷺ) (p.b.u.h) said, "Were I there I would show you the grave of Moses by the way near the red sand hill."

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Malakul Maut (Aadmi Ki Shakal Mein) Hazrat Musa Alaihis Salam Ke Paas Bheje Gaye, Jab Woh Musa Alaihis Salam Ke Paas Aaye To Musa Alaihis Salam Ne (Na Pehchan Kar) Unhen Aik Zor Ka Tamancha Mara Aur Un Ki Aankh Phod Dali, Woh Wapas Apne Rab Ki Bargah Mein Pohnche Aur Arz Kiya Ya Allah! Tu Ne Mujhe Aise Bande Ki Taraf Bheja Jo Marna Nahin Chahta.

Allah Subhanahu Wa Ta’ala Ne Un Ki Aankh Pehle Ki Tarah Durust Farmadi Aur Farmaya Ke Wapas Jao Aur Musa Alaihis Salam Se Kaho Ke Aap Apna Hath Bail Ke Peeth Par Rakhye Aur Jitne Baal Aap Ke Hath Tale Aajayen Un Mein Se Har Baal Ke Badle Aap Ko Aik Saal Mazeed Zindagi Dedi Jayegi, Musa Alaihis Salam Ne (Allah Ka Ye Paigham Sunkar) Irshad Farmaya: Aye Mere Rab! (Mazeed Itne Saal Zindah Rahne Ke Baad) Phir Kya Hoga? Allah Ne Farmaya Ke Is Ke Baad Maut Hogi. Musa Alaihis Salam Farmane Lage To Phir Abhi Maut Kyun Na Aajaye! Phir Unhon Ne Allah Se Darkhuast Ki Ke (Rooh Qabz Karne Se Qabl) Unhen Arz Muqaddas (Baitul Muqaddas) Se Itna Qareeb Karde Jitni Door Tak Aik Patthar Ko Phenka Ja Sakta Hai, Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu Ne Bayan Kiya Ke Nabi Kareem g Ne Farmaya Ke Agar Main Wahan Hota To Tumhen Musa Alaihis Salam Ki Qabr (Baitul Muqaddas Ke) Raste Ki Aik Janib Surkh Tele Ke Sath Dikha Deta.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 23 :: Hadith 423, 1339]


✦…..♥ Jannat Mein Zati Makan Hasil Karne Ke 8 Tariqe! ♥…..✦

❶ Masjid Ki Tameer Mein Hissa Milana: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Shaks Ne Allah Ta’ala Ki Khushnudi Ke Liye Masjid Tameer Ki To Allah Ta’ala Us Ke Liye Jannat Mein Ghar Banadenge.” (Sahih Muslim: 533)

❷ Mareez Ki Iyadat Karna: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Ne Kisi Bimar Ki Iyadat Ki Ya Allah Ke Liye Kisi Bhai Se Mulaqat Ki To Use Aik Pukarne Wala (Yani Farishta) Kehta Hai Ke Tujhe Mubarak Ho Aur Tera Chal Kar Aana Mubarak Ho Aur Tu Ne Jannat Mein Ghar Bana Liya.” (Sunan Tirmidhi:2008)

❸ Aulad Ki Maut Par Sabr Karna: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jab Kisi Shaks Ka Beta Faut Ho Jata Hai Aur Woh Us Musibat Mein Allah Ki Tareef Aur Aur Inna Lillahi Wainna ilayhi Raji’oon Padhta Hai To Allah Subhanahu Wa Ta’ala Farmate Hain: “Mere Bande Ke Liye Jannat Mein Aik Azeem Al-Shan Ghar Banao Aur Us Ka Naam “Baitul Hamd” Rakho.” (Sunan Tirmidhi: 1021)

❹ Jhagda Chhodna ❺ Sach Bolna Aur ❻ Umdah Akhlaq: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Main Us Shaks Ke Liye Jannat Ke Beech Mein Aik Ghar Ka Zamin Hun Jo Haq Par Hone Ke Bawajood Jhagda Chhod De Aur Us Shaks Ke Liye Ghar Ka Zamin Hun Jo Mazaq o Mazah Mein Bhi Jhoot Bolna Chhod De Aur Us Shaks Ke Liye Bhi Ghar Ka Zamin Hun Jo Aala Akhlaq Ka Malik Ho.” (Sunan Abi Dawud: 4800)

❼ 12 Rakat Sunnate Mokkadah Ka Ehtemam Karna: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Musalman Bandah Bhi Har Din Allah Ta’ala Ki Raza Ke Liye Farz Namaz Ke Alawah 12 Rakat (Sunnate Mokkadah) Padhega To Allah Ta’ala Us Ke Liye Jannat Mein Aik Ghar Banayenge.” (Sahih Muslim: 728)

❽ Namaz Ki Saf Mein Maujood Khala Pur Karna: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Saf Mein Khali Jage Ko Pur Karde To Allah Ta’ala Us Ke Sabab Us Ke Liye Jannat Mein Ghar Banadenge.” (Al Muajam Al Awsat At-Tabrani: 5797)


“Ye Mat Dekho Ke Koi Tumhare Sath Mukhlis Hai Ya Nahin! Bus Apne Aap Ko Har Rishte Ke Sath Mukhlis Aur Imandaar Rakho Agar Koi Tumhare Sath Munafiqat Ya Dhoka Kare Ga To Woh Us Ka Sila Rab Se Palega Aur Aap Ko Aap Ki Mukhlisi Aur Sacchayi Ka Ajr Bhi Rab Ata Kardega.”

✦.....► Yahudi Apni “Qatl Gaah” Mein Jama Ho Rahe Hain! ◄.....✦

Allah's Messenger (ﷺ) as saying: "The last hour would not come unless the Muslims will fight against the Jews and the Muslims would kill them until the Jews would hide themselves behind a stone or a tree and a stone or a tree would say: Muslim, or the servant of Allah, there is a Jew behind me; come and kill him; but the tree Gharqad would not say, for it is the tree of the Jews."

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Qayamat Us Waqt Tak Qayem Nahin Hogi Jab Tak Ke Musalman Yahoodiyon Se Qital Na Karlen, Pus Musalman Un Ko (Khoob) Qatl Karenge Yahan Tak Ke Yahoodi Patthar Ya Darakht Ke Piche Panah Lega To Woh Darakht Ya Patthar Kahega: Aye Musalman! Aye Allah Ke Bande! Ye Yahoodi Mere Piche Hai Tu Aakar Is Ko Qatl Karde, Magar Gharqa Nami Darakht (Aisa Nahin Karega) Kyun Ke Woh Yahoodiyon Ka Darakht Hai.”

[Sahih Muslim :: Book 41 :: Hadith 6985, 2922]

●◗► Yahoodiyon Ka Dunya Bhar Se Aakar Falasteen Ke 92% Raqbe Par Qabiz Ho Jana Aur Na Jayez Riyasat “Israel” Qayem Karna Is Baat Ki Daleel Hai Ke Rasool Akram ﷺ Ki Darj Bala Pesh Goyi Ab Puri Hone Wali Hai Aur Na Jayez Riyasat “Israel” Yahoodiyon Ki Aakhri Qatl Gaah Sabit Hogi. InshaAllah

✦........► Musalmanon Ke Sab Se Bade Dushman! ◄........✦

Irshade Khudawandi Hai: “Tum Ye Baat Zaroor Mahsoos Karloge Ke Musalmanon Se Sab Se Sakht Dushmani Rakhne Wale “Yahudi” Hain Aur Woh Log Hain Jo Khul Kar Shirk Karte Hain.” (Surah Al-Maidah: 82)

●◗► Aayat Bala Ki Ru Se Musalmano Ke Sab Se Bade Dushman Yahoodi Hain, Na Jayez Riyasat Israel Ke Qiyam Se Qabl Is Aayat Ki Gehrayi Tak Pahochna Shayad Mushkil Ho, Lekin 1948 Ke Baad Falasteeni Musalmanon Par Dhaye Gaye Yahoodi Mazalim Dekh Kar Aayat Ka Mafhoom Ab Wazeh Taur Par Samajh Mein Aata Hai, Yahood Ke Batni Inaad Ko Zaher Karne Wali Ye Aayat Quran Kareem Ki Haqqaniyat Ka Muh Bolta Saboot Hai.


Jumatul Mubarak Ke Qeemti Lamhat Mein Falasteen Mein Maujood Apne Mazloom Musalman Bhaiyyon Ki Zalim Taqaton Se Najat Aur Zulm Dhane Walon Ki Tabahi o Barbadi Ke Liye Khususi Duaon Ka Ehtemam Karen.