Saturday 28 April 2018

✦..........♥ 13,14,15 Sha’ban ke Roze ♥..........✦

RasoolAllah ﷺ ne Ayyam Beez (Yani har Qamri Maah ki 13,14 aur 15 Tarikhon) ke Rozon ko zindagi bhar Roze rakhne ke Barabar Qarar diya hai, Ayyame Beez ke Roze har Qamri maah Mein Masnoon hain lekin Chunke Khususiyat ke sath Mahe Sha’ban mein Roze rakhne ke Fazayel bhi Ahadeese Mubarka mein warid hain, is liye Mahe Sha’ban mein Ayyame Beez ke Rozon ka aur zyadah Ehtemam karne ki zarurat hai.

Neez Maahe Sha’ban mein Ayyame Beez ke Roze Rakhne se aik Mukhtalif fiya Masle ka hal Nikal Aata Hai aur wo ye hai ke Baaz Hazraat khaas Pandhra Sha’ban ke Roze ko Masnoon samajhte hain, Jab ke Muhaqqiq Raye yahi hai ke khaas 15 Sha’ban ka Rozah Masnoon nahin, Lekin Agar kisi ko 15 Sha’ban ke Roze rakhne ka Shoq aur Walwala hai to wo Ayyame Beez ke roze Rakhle, 15 Sha’ban ka Rozah bhi is mein shamil ho jayega.

Is Hawale se Hazrat Mufti Taqi Usmani Sahab Damat Barkatuhum Aaliya Farmate hain: “Agar koi shaks in do Wajah se 15 Sha’ban ka Rozah rakhe, Aik is waja se ke ye Sha’ban ka din hai [aur maahe sha’ban ke Roze masnoon hain], Dusre is wajah se ke ye 15 Tareeq Ayyame Beez mein dakhil hai, Agar is Niyyat se Rozah rakh le to InshaAllah Muajjabe Ajr hoga, Lekin Khaas 15 tareekh ki khususiyat ke Lihaz se is Roze ko Sunnat Qarar dena Baaz Ulama ke Nazdeek durust Nahin.”

✦.....► Khawateen Ko Aag Se Hifazat Ki Aagahi Den! ◄.....✦

“Aik Khatoon Bawarchi Khane mein Gas ke Chulhe Par Khana Paka Rahi Thin, is Dauran Unhen Aik Laal Bag (Cockroach) Nazar Aaya Khatoon ne Fauran kide Marne Wali Spray uthaya aur Chulhe ke Qareeb Maujood (Cockroach) Par Spray kar diya, Phir kya tha, Aik Dhamaka sa hua Aur Khatoon Sho’lon ki Lapet mein Aagayin, Shohar ne Biwi ko Bachane ki koshish ki Jis ke Natije mein us ke Kapdon ne bhi Aag Pakad li, Khatoon 65% se Zayed Jal Gayin..” (Aik Afsosnak Khabar)

“Perfume, Kide Maar Adwayat aur Spray Wagherah mein Aatish Geer Mawad hota hai aur Pressure Packing ki wajah se Bawaqte istemal ye Intehayi Chote Bukharat ki Surat mein Phail jata hai, Us waqt use Bhadkane ke liye Aik Mamuli Chingari bhi Kafi hoti hai, Lehaza Khawateen ko Samjhaya Jaye ke is Tarah ki Chizon ko Chulhe, Heater ya Geyser Wagherah ke Atraf mein Hargiz istemal na Karen.”

🍁 Insan Jitna Bhi Mazboot Ban Jaye Us Ki Zaat Mein Koi Na Koi Gham Aisa Zaroor Hota Hai Jo Yaad Aane Par Aansu Ban Kar Aankhon Mein Taher Jata Hai 🍁

✦......► Khuabon Ki Dastanen Sunane Wale! ◄......✦

Allah's Messenger (ﷺ) said: "The worst lie is that a person claims to have seen a dream which he has not seen."

[Sahih Bukhari :: Vol. 9 :: Book 87 :: Hadith 167]

Urdu Translation: Nabi Kareem ﷺne Irshad Farmaya: "Sab se Bad’tareen Jhoot ye Hai Ke Insan Khuab Mein Aisi Cheez Ko Dekhne Ka Dawa Kare Jo Us ki Aankhon ne Na Dekhi ho."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Hadith 7043]

✦......♥ Dil Ki Islah Behad Zaroori Hai! ♥......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “Beware! There is a piece of flesh in the body if it becomes good (reformed) the whole body becomes good but if it gets spoilt the whole body gets spoilt and that is the heart.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 1 :: Book 2 :: Hadith 50, 52]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Sun Lo! Badan mein Aik Gosht ka Tukda hai, Jab wo Durust Hota Hai to Sara Badan Durust ho Jata hai Aur Jab wo Kharab hota Hai To Sara Badan Kharab ho Jata hai, Kaan Khol kar Sun Lo! Wo Gosht ka Tukda “Dil” Hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 52]

🌺 Chote Chote Shikwon Se Bade Bade Rishte Kamzor Ho Jate Hain! 🌺

✦.......♥ Maahe Sha’ban (Month of Sha’ban) ♥.......✦

Usamah bin Zaid RadiyAllahu Anhu said: "I said: 'O Messenger of Allah, I do not see you fasting any month as much as Shaban.'

He (ﷺ) said: 'That is a month to which people do not pay much attention, between Rajab and Ramadan. It is a month in which the deeds are taken up to the Lord of the worlds, and I like that my deeds be taken up when I am fasting."'

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 3 :: Book 22 :: Hadith 2359, 2357]

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Usamah bin Zaid RadiyAllahu Anhuma Farmate hain ke Main ne RasoolAllah ﷺ se Arz kiya: Ya RasoolAllah! Main ne Sha’ban se Zyadah kisi dusre Mahine mein Aap ko itne Ehtemam se Roze rakhte hue Nahin dekha?

Aap ﷺ ne Irshad Farmaya:

"Ye Aisa Mahina hai Jo Mahe Rajab aur Mahe Ramadan ke Darmiyan Mein Aata hai Aur log is se Ghaflat Baratte hain Halan ke is Mahine mein (Poore Saal ke) Aa’mal Allah Subhanahu Wa Ta'ala ke Samne Pesh Kiye jate hain, Aur main Chahta hun ke Mere Aa’mal is Halat mein Pesh kiye Jayen ke main Roze se hun."

[Urdu Ref :: Sunan an-Nasa’i :: Vol. 2 :: Hadith 268]

💖 Miyan Biwi Aik Dusre Ki Izzat Karen To Dusron Ko Kabhi Moqa Nahin Mil Sakta Ke Wo Donon Ke Darmiyan Darar Daal Saken 💖

Maah Ramadan Al-Mubarak Shuru Hone Mein Din Baqi Reh Gaye Hain! ► Ya Allah! Hamen Khair o Aafiyat ke Sath Maah Ramadan ki Baharen Naseeb Farma. Aameen.

✦.......► Rahe Haq Ki Rahnumayi ◄.......✦

The Prophet (ﷺ) said: “By Allah! If a single person embraces Islam at your hands (i.e. through you), that will be better for you than the red camels."

[Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 52 :: Hadith 192, 2942]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu ko Mukhatab Kar ke Farmaya: “Allah ki Qasam! Agar Tere Zariye Allah Subhanahu Wa Ta'ala Aik Aadmi ko bhi Hidayat De den to Ye Tere Liye Surkh Oonton (Us Zamane ka Umdah Tareen Maal) se Behtar hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 2942]

🌸 Jitna Zyadah Sochoge Utni Zyadah Azyat Mein Rahoge, Ya To Apne Aap Ko Mazboot Karlo Ya Masroof Karlo 🌸

✦.....♥ Sha’ban Mein Ramadan Al-Mubarak ki Tayyari! ♥.....✦

●◗► Sha’ban ke Tezi se Guzarte din Ramadan Al-Mubarak ki Tayyari ke Liye bahot badi Ghanimat hain, Dunyawi kamon ke liye ham Raat din aik kar dete hain, Agar Ramadan ki tayyari ke liye Abhi se Tag o Dun shuru Kardi Jaye to Aane wala Ramadan hamare Liye kayi Guna Zyadah Mufeed aur Ruhani Taraqqi ka Sabab ban Sakta hai, Sha’ban ke ye Ayyam Aam dinon ki Tarah na Guzaren, Ye bahot Qeemti ayyam hain, Har aane Wala din Hamen Ramadan Al-Mubarak ko Qeemti Banane ke Naye Mawaqe Faraham kar Raha hai.

✿ Bahot se Allah wale Ramadan Al-Mubarak khatam hone ke Baad us ki Barkaton ka Tazkerah karte karte 6 Maah Guzar dete aur Phir ye Duayen Mangte ke Inhen Mazeed 6 Maah aur Aane wala Ramadan Naseeb ho jaye, Andazah Lagayen ke Allah Walon ko Ramadan ki Aamad ka kis Shiddat se intezar Hota tha.

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ramadan Al-Mubarak ki Abhi se Tayyari karne ki hamen Toufeeq Marhamat Farmaden. (Aameen)

●◗►"Masroof Zindagi Mein Aik Waqt ki Namaz ke Liye Waqt Nikalna Mushkil hai, Lekin Jo Shaks Panch Waqta Namazon ke Liye Waqt Nikal le to ye Namazen us Ki Masroof Zindagi ko Sahal aur Aasan Bana Deti Hain."

Tuesday 17 April 2018

✦.........► Imane Mufassal Kya Hai? ◄.........✦

Hazrat Jibreel Alaihis Salam ne Huzoore Akram ﷺ ki Khidmat Mein Hazir ho Kar Ummat ki Taleem ke Liye Chand Sawalat kiye The Jin mein Se Aik Sawal Iman ke Bare mein bhi Tha, Aap ﷺ ne Jawab mein Iman ke 7 Bunyadi Ajza Bayan Farmaye the. (Sahih Muslim: 108, 93)

In 7 Ajza ki Tasdeeq Karna Har Momin ke Liye Zaroori hai, Ye Ajza “Imane Mufassal” ke Naam se Jama kar Diye Gaye hain, Imane Mufassal ye Hai:

(Tarjuma) Main Iman Laya:

❶ Allah Par
❷ Us Ke Farishton Par
❸ Us ki Kitabon Par
❹ Us ke Rasoolon Par
❺ Qayamat ke Din Par
❻ Taqdeer par ke Har Khair o Shar Allah ki Taraf se Hai
❼ Marne ke Baad Dobarah Zindah Hone Par.

🍂 Aap Apne Bacchon Ki Hifazat Khud Karen Kyun Ke Hukumat Be Auladon Ki Hai...!! 🍂

✦........► Safare Meraj Ke Ibrat Naak Mushahedat! ◄........✦

❶ Gheebat aur Musalman ki Aabru Rezi ki Waja se Khofnak Azab: RasoolAllah ﷺ ne Meraj ke Safar mein Dekha ke Logon ki Ghibat aur Aabru rezi Karne Walon ke Nakhun Tanbe ke the aur Wo un se Apne Chehron aur Sinon ko buri Tarah Noch Rahe the.

❷ Jinsi Be Raah Rawi Mein Mubtela Logon ka Bhayank Anjam: Halal Biwi ya Halal Shohar ko Chhod kar Haram aur Badkari ka irtekab karne Wale Mard o Aurton ko Aap ﷺ ne Dekha ke wo Saaf suthra Pakizah Gosht Chhod kar Sada hua Badbudar Gosht khane Ka Azab Bhugat rahe Hain.

❸ Yateemon ka Maal Khane Walon ka Ibrat Naak Anjam: RasoolAllah ﷺ ne Yatimon ka Maal Nahaq khane Walon ko dekha ke un ke Hont Oont ke Honton ki tarh the aur Wo Apne muh mein Pattharon Jaise Angare thons rahe the jo Dusri Janib Pakhane ke Raste se Nikal rahe the.

❹ Sood khoron ko Dardnak Azab: Aap ﷺ ne Sood khoron ko Dekha ke un ke Pait Gharon ki Manind kushadah aur bade the Jin mein Sanp the Jo Pait ke Bahar se Nazar Aarahe the.

❺ Shohar ke Sath Khayanat karne Wali Aurton ka Haal: Aap ﷺ ne Aisi Aurton ko Dekha ke un ke Sinon mein Bade bade Tedhe kante Chubha kar unhen Aasman o Zameen ke Darmiyan latka diya Gaya tha.

❻ Be Aml Wa’zon aur Khateebon ka Anjam: Dusron ko Nasihat aur khud us Par Aml na Karne Wale Khateebon aur Wa’zon ka haal Aap ﷺ ne ye Dekha ke un ki Zubanen Lohe ki Qainchi se kati Ja Rahi hain aur jab Cut jati hain to Phir Pehle ki Tarah Sahih o Salim ho Jati hain.

❼ Jannat ki Khushbu aur Jahannam ka Sadan Badbu: Aap ﷺ ka Guzar jab Jannat par hua to Waha Thande aur Khushbudar hawa ke Jhonke Aarahe the aur Jab Jahannam Par Guzar hua to Aap ne Sakht Badbu Mahsoos Farmayi. (Makhuz Az Ahadis Mubarka o Kutub Sirat).

✦......♥ Meraj un Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ♥......✦
✦.......♥ Masjid e Haram se Masjid e Aqsa Tak ♥......✦

●◗►“Har Nuqs o Kamzori se Paak hai wo Zaat jo Apne (Mahboob o Muqarrab) Bande ko Raton Raat "Masjide Haram" se "Masjide Aqsa" tak le Gaya Jis ke Gird o Nawah ko ham ne Ba barkat Banaya taa ke Ham us (Mahboob bandah) ko Apni kuch Nishaniyan Dikhayen, Beshak wo har Baat sunne wali har Cheez dekhne Wali Zaat hai.” (Qur’an Surah Bani Israel: 1)

◈➲ "Meraj ki Raat RasoolAllah ﷺ  ko Masjide Haram se Masjide Aqsa le Jaya gaya, Phir Wahan se Aap ﷺ Allah Subhanahu Wa Ta'ala se Mulaqat ka Sharf Hasil karne ke liye Aasmanon mein Tashreef le gaye.”

► Tafseeli Zikr [Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 54 :: Hadith 429, 3207] [Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Hadith 3207]

❤️ Jis Ki Qasmen Mera Rab Khata Hai Kitni Dilkash Mere Mahboob Ki Surat Hogi! ﷺ ❤️

✦..........► Ghar Mein Deendari Ka Qayam ◄..........✦
✦.....► Miyan Biwi Ki Mushtarka Zimmedari ◄.....✦

Allah's Messenger (ﷺ) said: "A man is the guardian of his family (household) and is responsible for his subjects; a woman is the guardian of her husband's home and of his children and is responsible for them; "

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 9 :: Book 89 :: Hadith 252, 7138]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Mard Apne Ghar Walon ka Nigran hai Aur is se Us Ke Matahton ke Bare Mein Sawal Hoga Aur Aurat Apne Khawind ke Ghar Aur Us ki Aulad Ki Nigran hai Aur is se Un ke Bare mein Pucha Jayega.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 8:: Hadith 7138]

 ●◗► Mard se Sawal Hoga ke Tum ne Biwi Bacchon ke Sharyi Huqooq Ada kiye ya Nahin? Unhen Zarurat ke Mutabiq Kharcha diya ya Nahi? Islami Taleem o Tarbiyat Ka Fareeza Sar Anjam diya ya Nahin? Isi Tarah Aurat se Sawal Hoga ke Tum ne Khawind ki khidmat ki ya Nahin? Khawind ke Maal aur Aulad ke Sath Khair khuahi Ka Muamla Kiya ya Nahin? Bacchon ki jis Tarah Umdah Parwarish aur Tarbiyat Zimme mein thi use Sar Anjam diya ya Nahin?



❤️ Khudaya! Kabhi Kisi Insan Ko Wahan Se Dukh Na Mile Jahan Us Ne Apna Sukh Lutaya Ho..!! ❤️ آمین

✦......► Wazeh Tareen Kamyabi Kya Hai? ◄......✦

⇨ Irshade Khudawandi Hai: “Jis Kisi Shaks Se Qayamat Ke Din Azab Hata Diya Gaya, Us Par Allah Ne Bada Rahem Kiya, Aur Yahi Wazeh Tareen Kamyabi hai.” (Qur’an 6:16)

⇨ "He from whom it is averted that Day - [ Allah ] has granted him mercy. And that is the clear attainment.” (Qur’an 6:16)

🌸 Kisi Ko Ghalat Samajhne Se Pehle Aik Baar Us Ke Halaat Janne Ki Koshish Zaroor Karen 🌸

♥ 1 Baccha Kam Az Kam 80 Ahle Khana Ko Jannat  Le Jaye Ga! ♥

150 Masoom Bacchon mein se Har Har Baccha, Hafiz Quran Hone Ki Wajah se Apne Khandan ke 10 Gunahgar Afraad Ko Jannat Mein Le Jaye ga. (Mafhoome Hadees, Jami at-Tirmidhi: 2905) Aur Shahadat Ke Rutbe Par Fayiz Hone ki Wajah Se 70 Afraad ko Jannat Mein Dakhil Karwaye ga. (Mafhoome Hadees, Sunan Abi Dawud: 2522)

✦.......► Kunduz Ke Shaheed Huffaze Karam ◄.......✦
✦........♥ Jannat Ke Aala Darjaat Pe Fayiz! ♥........✦

The Prophet (ﷺ) said: "It shall be said - meaning to the one who memorized the Qur'an - 'Recite, and rise up, recite (melodiously) as you would recite in the world. For indeed your rank shall be at the last Ayah you recited.'"

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 42 :: Hadith 2914]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “(Qayamat ke Din Sahib e Quran (Hafize Quran) Se Kaha Jaye ga Ke Quran Padhta Ja Aur Jannat ke Darjaat Pe Chadhta Ja, Aur Waise hi Tarteel ke Sath (Teher Teher kar) Padh Jis Tarah tu Dunya Mein Teher Teher kar Padhta tha, Teri Manzil Wo hogi Jahan Teri Aakhri Aayat ki Tilawat Khatam hogi.”

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 824, 2914]

Kunduz Ki Ye Gudiya Nannhe Hathon Mein Gift Uthaye Apne Hafiz Quran Bhai ke Isteqbal Ke Liye Khadi thi, is Bichari ko Kya Khabar Thi ke Waqt ka Firon is Ke Masoom Bhai Ko Shaheed Kar Dalega. :'(

✦....► Saneha Kunduz Afghanistan ◄....✦
► Parwan Chadhti Nayi Nasal Ka Noha! ◄

100 Bacche?        

                 Nahin Janab! 100 Maon Ki Kokh…100 Bapon ka Ghuroor…Senkdon Bacchon ko Bahen Bhai ki Judayi ka Tahayaat Sadma….Aik Parwan Chadhti Puri Nasal Ka Noha….

Yaad Rakhye!!! Zulm ki koi Ta’weel Nahin ho Sakti, Agar in Bacchon Ke Qatl Aam Par Aap ko Dard Mahsoos Nahin ho Raha to Yaqeenan Aap Dil Jaisi Nemat Se Mahroom Hain...

✦....► Main Kis Ke Hath Pe Apna Lahu Talash Karun? ◄....✦

Kunduz Mein Dastarbandi Ki Taqreeb Par Bambari Se Chand Lamhe Pehle Ka Manzar: Jab Hifz Quran ki Dastare Fazeelat Sar Par Sajaye, Hath Mein Hifz Quran Ki Isnad thame, Ghar Pahonch kar Maon se Daad Aur Inaam Wusool Karne ke Muntazir, 100 se Zayed Masoom Hafiz Quran Bacchon ko Barood se Uda Diya Gaya. :'(

❤️ Wo Hi Mard Nayab Hote Hain Jo Ghusse Mein Bhi Aurat Se Baat Karne Mein Tehzeeb Nahin Bhoolte! ❤️

✦....♥ Quran Padhane Walon Ke Liye Azeem Ajr! ♥....✦

RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Quran Majeed ki Koi Aik Aayat bhi Kisi Ko Sikhata Hai to Jab Tak Wo Aayat Tilawat ki Jati Rahegi Use Ajr o Sawab Milta Rahega.” (Jami al-Hadis Jalal al-Din al-Suyuti: 22969)

💖 Bharosa Wo Nazuk Rishta Hai Jo Aik Martaba Toot Jaye To Phir Kabhi Nahin Judta, Aur Agar Kabhi Jud Bhi Jaye To Hamesha Chehre Do Hi Nazar Aate Hain 💖
✦....♥ Chasht Ki Namaz Allah Walon Ki  Namaz! ♥....✦

RasoolAllah  ﷺ ne Irshad Farmaya: “Chasht ki Namaz ki Hifazat Sirf Wahi Shaks Karta hai Jo Allah ki Taraf Bahot Zyadah Ruju Karne Wala ho, Aur Ye Namaz Allah ki Taraf Bahot Zyadah Ruju Karne Walon ki Namaz Hai.”

[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim: 1182]

●◗► Chasht ka Waqt Tulue Aftab ke Baad Suraj ke Khoob Acchi Tarah Roshan aur Dhoop Ke Tez ho Jane se Shuru ho Kar Zawal se Pehle tak Rehta hai, Chasht ki Kam Az Kam 2 Rakat aur Zyadah se Zyadah 12 Rakaten Hain.

🌸 Logon Ki Nagawar Baton Ko Bardasht Karna Ignore Karna Aur Bure Logon Se Kinarah Ekhtiyar Kar Lena Ye Aap Ki Zehni Pokhtagi Ki Alamat Hai Na ke Buzdili Ki 🌸

✦......► April Fool Manane ki Qabahaten ◄......✦

❶ Kuffar se Mushabihat hai, Aur Jo Jis Qaum Se Mushabihat Ekhtiyar Karta hai Qayamat Ke din us ka Hashr Unhin ke Sath hoga.  (Sunan Abu Dawood :: 4020)

❷ Jhoot Par is ki Bunyad hai, Aur "Jhoot Bolne Wale Par Allah Ta’ala ki La'nat hoti hai". (Qur'an 3:61)

❸ Dhoke Par is ki Bunyad hai, Aur Dhoke Dene Wala Ummate Muhammadiya mein Se Nahin. (Sahih Muslim :: 284)

❹ Makhluqat ko Satane ka Wabal hai.

❺ Insan ka Etemad Kho Jata hai.