Friday 24 November 2017

✦...♥ Tum Aur Tumhara Maal Tumhare Walid ka Hai! ♥...✦

A man came to the Prophet (ﷺ) and said: Messenger of Allah (ﷺ), I have property and children, and my father finishes my property. He (ﷺ)  replied; You and your property belong to your father; your children come from the pleasantest of what you earn; so enjoy from the earning of your children.

[Sunan Abi Dawud :: Book 23 :: Hadith 3523, 3530]

Urdu Translation: Rasool Akram ﷺ ke Paas Aik Shaks Aaya aur Arz kiya: Ya RasoolAllah ﷺ! Mere Paas Maal hai aur Meri Aulad bhi hai Aur is ke Sath Sath Mera Walid Mere Maal ka Mohtaj bhi hai (Ab Main kya Karun?). 

Aan Hazrat ﷺ ne Irshad Farmaya:“Tum aur Tumhara Maal Tumhare Walid ka hai, Beshak Tumhari Aulad Tumhari Behtareen Kamayi Mein Se hai Chunanche apni Aulad Ki Kamayi Se Khao.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3:: Hadith 134]

🌸 Na Shukri Zawaal Ka Aaghaz Aur Astaghfirullah Sar Bulandi Ka Wazeefa Hai 🌸

💖 Talluqat Baghair Mohabbat Ke To Qayem Reh Sakte Hain, Magar Baghair Ehteram Ke Nahin..!! 💖

✦...► 2 Rukhi Aadmi Qayamat Ka Badtareen Aadmi! ◄...✦

The Prophet (ﷺ) said, "The worst people in the Sight of Allah on the Day of Resurrection will be the double faced people who appear to some people with one face and to other people with another face."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 84, 6058]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Tum Qayamat ke Din Allah ke Han Sab se Zyadah Badtar us Shaks ko Paoge jo Do Chehron wala (Yani Do Rukhi) ho, Baaz logon ke Samne aik Chehre se Aaye aur Baaz Dusre logon ke Samne Dusre Chehre se.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 6058]

✦....♥ Shohar Bhi Biwi Ke Liye Zeb o Zeenat Ekhtiyar Kare! ♥....✦

Hazrat Abdullah bin Abbas RadiyAllahu Anhuma Farmate Hain ke Main ye Pasand karta hun ke Apni Ahliya ke liye Zeb o Zeenat Ekhtiyar karun Jaisa ke Mujhe ye Baat Pasand hai ke Meri Ahliya Mere Liye Zeb o Zeenat Ekhtiyaar Kare, Kyun ke Allah Rabbul izzat ka Farman hai:

“Aur Dastoor ke Mutabiq Aurton ke bhi Mardon Par usi Tarah Huqooq Hain Jaise Mardon ke Aurton Par, Albatta Mardon ko un Par Fazeelat hai. (Tafseer ibn Kaseer: Surah Al-Baqarah: 228)

 عن ابن عباس قال: إني لأحب أن أتزيَّن للمرأة كما أحب أن تتزين لي المرأة؛ لأن الله يقول: { وَلَهُنَّ مِثْلُ الَّذِي عَلَيْهِنَّ بِالْمَعْرُوفِ } (تفسيرابن كثير: (سورة البقرة :228)

❤️ Zindagi Mein Baaz Muqam Aise Aate Hain Jab Na Chahte Hue Bhi Apne Jazbat Ko Dafan Kar Ke Apne Se Wabasta Logon Ki Khuaheshat Ka Ehteraam Karna Padta Hai ❤️

✦.........♥ Alfaz, Zakhm Bhi Marham Bhi ♥.........✦

Aik Badshah ne Khuab dekha ke us ke Sare Dant toot kar Gir Pade hain, Badshah ne Khuabon ki Tabeer batane wale Aik Mahir ko Bulwa kar us se Apne Khuab ki Tabeer Puchi, Tabeer Batane wale ne Ghaur o Khoz ke baad Badshah ko Bataya: “Badshah Salamat! Is ki Tabeer to ye Banti hai ke Aap ke Sare Ghar wale Aap ke samne Marenge.” Badshah ye Sun kar Aag Bagola ho Gaya aur us ne Tabeer Batane Wale ko Qatl karwa Diya.

Phir Aik aur Khuabon ki Tabeer Batane wale ko Bulwaya gaya, Badshah ne us se bhi Apne Khuab ki Tabir Puchi, Tabeer daan ne kaha: “Badshah Salamat! Mubarak ho, Khuab ki Tabeer Ye Banti hai ke Aap MashaAllah apne Tamam Ghar walon mein Sab se Lambi Umr Payenge.” Badshah khush hua aur us ne Tabeer Batane wale ko In’aam o Ikram de kar Rukhsat kar diya.”
 Ab Zara Ghaur Karen ke Dusri Tabeer ka bhi Wahi Matlab Banta hai jo Pehli Tabeer ka tha, Kyun ke Agar Badshah apne Ghar walon Mein Sab se Lambhi umr Payega to Yaqeenan us ke Tamam Ghar wale us ke Samne hi Marenge, Magar baat ke Saliqe aur Alfaz ke Chunao Mein Farq hota hai, Aap ke Alfaz kisi ke liye Zakhm bhi Ban Sakte hain aur Marham bhi, Ab aap ko Ekhtiyar hai ke jo Asloob Chahe Istemal Karen.

❤️ Mohabbaten Aml Se Nazar Aati Hai Janab, Baton Se To Dukandar Mutassir Karte Hain ❤️



✦........♥ Bacchon Ki Imani Tarbiyat! ♥........✦

Apne Bacchon se Yun Kaha Karen: “Ab So jao, Subah Fajr ke Liye Uthna hai,” Is Tarah Kehne se un ki Nazar hamesha Aakhirat Par Rahegi,

Bacchon ko is Tarah na Kahen: “So jao, Subah School Jana hai.” Kyun ke is Tarah Kehne se un ki Nazar Dunya dari Par hi Rahegi.

✦.....► 1 Soodi Muamle Ka 5 Logon Par Wabaal! ◄.....✦

Jabir RadiyAllahu Anhu said that Allah's Messenger (ﷺ) cursed the accepter of interest and its payer, and one who records it, and the two witnesses, and he said: They are all equal.

[Sahih Muslim :: Book 10 :: Hadith 3881, 1598]

Urdu Translation: Sayyidna Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu Farmate Hain ke: RasoolAllah  ﷺ ne (1) Sood khane Wale Par, (2) Khilane Wale Par aur (3) Soodi Muamla Likhne Wale Par (4,5) Soodi Muamle Par Gawah banne Wale Dono Shakshon Par Lanat Farmayi aur Ye Farmaya ke ye Sab Log (Sood ke Gunah mein) Barabar ke Shareek hain.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 4 :: Hadith 4093, 4177]

🍂 Mujhe Lehjon Ke Dheeme Pan Se Behad Khof Aata hai, Rawayye Sard Hone Se Talluq Toot Jate Hain 🍂

✦....► Aap Ke Bacche Kya Dekh Rahe Hain? ◄....✦

●◗► Fahash Manzar Dekhne Wale Bacche Fahashi ikhtiyaar Karte hain, Baghair Kahe Sune ikhtiyaar karte Hain aur Acche Manazir dekhne Wale Bacche Acchi Cheezen ikhtiyaar karte hain Lehaza is Baat ka Bahot Khayal Rakhe ke Aap ki Aulad kya Dekh Rahi hai.

❤️ Aurat Se Mohabbat Bahot Se Mard Karte Hain Magar Mohabbat Ke Sath Sath Izzat Bahot Kam Mard Dete Hain ❤️

✦..♥ Kufr o Shirk Ke Bawajood “Rizq” Dene Wali Zaat! ♥..✦

The Prophet (ﷺ) said, "None is more patient than Allah against the harmful and annoying words He hears (from the people): They ascribe children to Him, yet He bestows upon them health and provision.

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 9 :: Book 93 :: Hadith 475, 7378]

Urdu Translation: Nabi Akram (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Takleef Deh Baat Sun kar Allah Ta’ala se Zyadah Sabr karne Wala koi Nahin, (kyun ke) Mushrik log Allah ke Liye Aulad Hone ka Jhuta Dawa karte hain aur Allah Subhanahu Wa Ta'ala (Ye Na Gawaar Baat sun kar bhi) Darguzar ka Muamla Farmate hain aur Unhen Rozi Dete Hain.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Hadith 7378]

❤️ Yaqeen Aisa Ho Ke Samne Samandar Ho Aur Tum Kaho Ke Nahin "Mera Rab Raaste Banayega" ❤️
✔ Apna Mobile, Laptop ya Computer Kholen!
✔ Aur Allah ki Narazgi Wali Tamam Chizen Delete Karden!
✔ Aur Phir Allah ki Taraf Mutawajje ho kar Yun Dua Mangen: Aye Allah! Main ne Teri Raza ki Khatir in Chizon ko Chhod diya hai, Tu Mujhe Apni Aaghoshe Rehmat mein Lekar har Qism ki Ma’siyat se Bachale.

✦.......► Takabbur Ruswayi Ka Sabab! ◄.......✦

●◗► Takabbur Chahe Daulat ka ho, Taqat ka ho, Rutbe ka ho, Haisiyat ka ho, Hasab o Nasab ka ho, Husn ka ho, Ilm ka ho, Hatta ke Taqwa ka hi Kyun Na ho, Insan ko Ruswa kar ke Chhodta hai.

🌸 Khoobiyan Itni To Nahin Ke Kisi Ke Dil Mein Ghar Bana Saken, Lekin! Kuch Aise Pal Zaroor Chhod Jayenge Ke Bhoolna Aasaan Na Hoga 🌸

✦....► Safar Ka Mubarak Mahina Aur Tohum Parasti ◄....✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) said, "There is no 'Adha, nor Tiyara, nor Hama, nor Safar."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 71 :: Hadith 653, 5757]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RAdiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “…..Safar ke Maheene ko Manhoos Samajhna Tohum Parasti hai Jis ki koi Haqeeqat Nahin.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 5757]

●◗► Tohum Parasti – Wahem, Waswasa, Shak, Guman, koi Ghair Aqli Aitiqad.

✦.....♥ Farz Namaz ke Baad Ayat Al-Kursi ♥.....✦

It is Narrated from Abu Umamah (RadiyAllahu Anhu) that the Messenger of Allah (ﷺ) said: "Whoever reads Ayat al-Kursi after every mandatory (fardh) prayer, only his death prevents his entry into Jannah."

Urdu Translation: Sayyidna Abu Umamah RadiyAllahu Anhu Bayan Karte Hain ke Main ne RasoolAllah (ﷺ) ko Ye Irshad Farmate hue Suna: "Jo Shaks har Farz Namaz ke Baad Aayat Al-Kursi Padhe Use Jannat Mein Dakhil Hone Se Siwaye Maut ke koi Cheez Nahin Rokti."

[Reported by Imam Nasa’i: 9928, and Tabarani, graded authentic by Sh. Al-Albani]

عن أبي أمامة قال قال رسول الله صلى الله عليه و سلم من قرأ آية الكرسي في دبر كل صلاة مكتوبة لم يمنعه من دخول الجنة الا ان يموت نوع آخر في دبر الصلوات
(سنن النسائی :9928،باب ثواب من قرأ آية الكرسي دبر كل صلاة،حدیث صحیح)

🍃 Waqt Har Zakhm Ka Marham To Nahin Ban Sakta, Dard Kuch Hote Hain Taa Umr Rulane Wale 🍃

✦....►Tanhayi Mein Bhi Na Munasib Kamon Se Ijtinab! ◄....✦

RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jis Kaam Ko Karte hue Tum ye Na Pasand Karo Ke Log ise Dekhen, To Tanhayi Mein bhi Use Na Karo.”

[Jami` al-Hadith al-Suyuti: 20251]

ما كرهت أن يراه الناس منك فلا تفعله بنفسك إذا خلوت
(جامع الاحاديث للسيوطي: 20251،حدیث حسن)

❤️ Khuda Kare Salamat Rahen Wo Log, Jinhen Bade Khuloos Se Ham Roz Yaad Karte Hain..!! آمین ❤️

✦.....♥ Mareez Ki Yaqini Sahet Yabi Ki Dua! ♥.....✦

The Prophet (ﷺ) said: If anyone visits a sick whose time (of death) has not come, and says with him seven times:

أَسْأَلُ اللَّهَ الْعَظِيمَ رَبَّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ أَنْ يَشْفِيَكَ

I ask Allah, the Mighty, the Lord of the mighty Throne, to cure you, Allah will cure him from that disease.

[Sunan Abi Dawud :: Book 20 :: Hadith 3100, 3106]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jab koi Shaks kisi Aise Mareez ki Iyadat kare Jis ki Maut ka Waqt abhi Qareeb na Aaya ho Aur us ke Paas Jakar 7 Martaba Ye Dua Padhe:

أَسْأَلُ اللَّهَ الْعَظِيمَ رَبَّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ أَنْ يَشْفِيَكَ

Tarjuma: “Main Azmat wale Allah se Jo Arsh Azeem ka Malik hai, Sawal Karta hun ke Wo Tumhen Shifa de.” To Allah Ta’ala Mareez ko us Marz se Shifa Ata Farma dega.

[Urdu Ref :: Sunan Abi Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 1329, 3106]

●◗► Jin se Mohabbat ho Unhen kata Nahin Jata Balke un ke liye Raste Banaye jate hain, Baat Zarurat ki Nahin Balke Khuloos o Mohabbat ki hoti hai, Jaga Banani Padti hai Dil Mein ho ya Ghar mein.
❤️ Kisi ko Yaad Karne ki Waja Kuch Bhi Nahin Hoti, Jo Dil Par Raaj Karte Hain Zuban Pe Raqs Karte Hain ❤️