Saturday 31 March 2018

✦....► Swimming Pool Ya Talab Mein Peshab Na Karen! ◄....✦

The Prophet (ﷺ) said: "You should not pass urine in stagnant water which is not flowing then (you may need to) wash in it."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 1 :: Book 4 :: Hadith 240, 239]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Tum mein se Koi Shaks Aise Tehre hue Pani mein Jo Jari na ho, Hargiz Peshab Na kare! (Aur Baad Azan) Phir us Mein Nahaye bhi.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 239]

😃 Bahot Naaz Hai Na Tumhen Apne Husn Par Fursat Mile To Adhar Card Wali Tasweer Dekh Lena 😃

✦.........► Chipkali Ko Marne Ka Sawab ◄.........✦

Abu Huraira RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: He who killed a gecko with the first stroke for him is such and such a reward, and he who killed it with a second stroke for him is such and such reward less than the first one, and he who killed it with the third stroke for him is such and such a reward less than the second one."

[Sahih Muslim :: Book 26 :: Hadith 5564, 2240]

Urdu Traslation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jis ne Chipkali ko Pehli Zarb mein Maar dala to Us ke Liye itni itni Nekiyan hain aur Jis ne use Dusri Zarb mein Mara, us ke Liye itn Itni Nekiyan hain, Magar Pehli Dafa Maarne Wale se Kam aur Agar us Ne Teesri Zarb mein Maara to Us ke Liye itni itni Nekiyan hain, Lekin Dusri Zarb mein Marne Wale se Kam.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5846]

●◗► Maa Baap se Unchi Aawaz Mein Hargiz Baat Na Karen! KhudaNakhuasta Jis din ye Khamosh ho Gaye to us Din Se Aap un ki Aawaz Sunne ko Tarsenge. Allah Subhanahu Wa Ta'ala Maa Baap ka Saya Hamare Saron Par Salamat Rakhe. (Aameen)

❤️ Har Aankh Dekhti Zaroor Hai Magar Mahsoos Karne Wali Aankhen Bahot Kam Hoti Hain ❤️

🌸 Agar Khush Rehna Chahte Ho To Dusron Ko Khush Dekh Kar Hasad Na Karo! 🌸

✦......♥ Shukriya Ada Karne Ka Behtareen Tariqa ♥......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Whoever some good was done to him, and he says:

جَزَاكَ اللَّهُ خَيْرًا

'May Allah reward you in goodness' then he has done the most that he can of praise."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 2035, 2035]

●═══════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jis Shaks ke Sath koi Bhalayi ki Gayi aur Us ne Bhalayi karne Wale se Kaha:

جَزَاكَ اللَّهُ خَيْرًا

(Allah Ta’ala Tum ko Behtar Badla de) To Us ne Bhalayi Karne Wale ki Poori Poori Tareef Kardi.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 2101, 2035]

✦....► Dayen Hath Se Najasat Saaf Na Karen! ◄....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: None of you should hold penis with his right hand while urinating, or wipe himself with his right hand in privy.

[Sahih Muslim :: Book 2 :: Hadith 511, 267]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Tum Mein Se Koi Shaks Peshab Karte Waqt Apni Sharmgah Ko Dayen Hath (Right Hand) se Na Chuye Aur Na hi Dayen Hath Se Najasat Ko Saaf Karen.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 1 :: Hadith 613]

💖 Dil Khoobsurat Hona Chahiye Chehre Pe Raunaq Khud Ba Khud Aajati Hai 💖

●◗► Jab Aap Bacchon Ko Baat Baat Par Maarte Hain To Is ka Matlab Ye Hota Hai Ke Aap Mein Samjhane Ki Salahiyat Nahin!!!

✦...► Musalman ki Taraf Aslaha Se Isharah Bhi Mamnoo! ◄...✦

Abu Huraira RadiyAllahu Anhu reported: Abu'l-Qasim (the kunya of Allah's Messenger, may peace be upon him): said: He who pointed a weapon towards his brother the angels invoke curse upon him even if he is his real brother so long as he does not abandon it (the pointing of weapon towards one's brother Muslim).

[Sahih Muslim :: Book 32 :: Hadith 6336, 2616]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Apne Bhai ki Taraf Lohe (Yani Hathyar Wagherah) Se Isharah Karta hai to Farishte Us Waqt tak Us Par Lanat Bhejte Rehte Hain Jab Tak ke Wo us Lohe ko Rakh Nahin deta, Agarche Wo Us ka Haqiqi Bhai kyun Na ho.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6832, 6666]

🌸 Har Rishte Ki Qadar Ki Jiye Aur Khoob Kijiye Aik Aik Kar Ke Sab Ne Chale Jana Hai, Piche Bus Hasraten Aur Yaden Reh Jati Hain 🌸

✦....► 70 Saal Tak Jahannam Ke Pahad Par Chadhna Aur Girna! ◄....✦

Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jahannam mein Aik Pahad hai Jis ka Naam (صعود)  “Saud”  hai, Kafir is Par 70 Saal mein Chadhega aur Phir itni hi Muddat Tak is Se Ludhak kar Girta Rahega, Aur Hamesha isi Azab mein Rahega.”

[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim: 3873]

عن أبي سعيد الخدري رضي الله عنه : عن النبي صلى الله عليه و سلم قال : ....... و الصعود جبل في النار فيتصعد فيه سبعين خريفا ثم يهوي و هو كذلك
(المستدرك علی الصحیحین للحاكم:3873 وصححه الذهبي)

✦...........♥ Musalman Aurat Ka Azm ♥...........✦
Main Aazad Khayal Aurton Ki Nahin Apne Allah Ki Manungi!

●◗► Kyun ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala Jismani Khoobsurti Aur Zeb o Zeenat ke Izhar ke Hawale Se Wazeh Hukum Dete Hain: ⇨ “Aur Momin Aurton se Kehdo ke Wo Apni Nigahen Nichi Rakhen aur Apni Sharmgahon ki Hifazat Karen aur Apni Sajawat ko kisi Par Zaher na Karen Siwaye is ke Jo khud hi Zaher ho Jaye aur Apni Odhniyon ke Aanchal apne Girebanon Par Dal Liya Karen aur Apni Zeenat kisi Par Zaher na Karen Siwaye ❶ Apne Shoharon Par Ya ❷ Apne Baap Par Ya ❸ Susar Par Ya ❹ Apne Beton Par Ya ❺ Apne Shoharon ke Beton Par Ya ❻ Apne Bhaiyyon Par Ya ❼ Apne Bhatijon Par Ya ❽ Apne Bhanjon Par Ya ❾ Apni Mel Milap ki Aurton Par Ya ❿ Un Ghulamon Ya ⓫ Khidmat Guzaron Par jin ke dil mein Koi Jinsi Taqaza Nahin hota Ya ⓬ Un Bacchon Par jo Abhi Tak Aurton ke Chupe hue Hisson se Aashna Nahin hue, Aur Musalman Aurton ko Chahiye ke Wo Apne Paon Zameen Par is Tarah Na maren ke Unhon ne jo Zeenat Chupa Rakhi hai wo Maloom ho Jaye."(Al-Qur’an, Surah An-Noor: 31)

●═══════════════◄►═══════════════●

⇨ "And tell the believing women to lower their gaze (from looking at forbidden things), and protect their private parts (from illegal sexual acts, etc.) and not to show off their adornment except only that which is apparent (like palms of hands or one eye or both eyes for necessity to see the way, or outer dress like veil, gloves, head-cover, apron, etc.), and to draw their veils all over Juyubihinna (i.e. their bodies, faces, necks and bosoms, etc.) and not to reveal their adornment except to their husbands, their fathers, their husband's fathers, their sons, their husband's sons, their brothers or their brother's sons, or their sister's sons, or their (Muslim) women (i.e. their sisters in Islam), or the (female) slaves whom their right hands possess, or old male servants who lack vigour, or small children who have no sense of the shame of sex. And let them not stamp their feet so as to reveal what they hide of their adornment. And all of you beg Allah to forgive you all, O believers, that you may be successful." (Al-Qur’an, Surah An-Noor: 31)

💖 Zindagi Mein Agar Koi Aap Ka Kirdar Utha Kar Chauk Mein Tang De To Bhi Itminan Rakhen Ke Izzat Aur Zillat Sirf Allah Ke Hath Mein Hai 💖

✦........♥ Mahe Ramadhan Ki Tayyari Shuru Karden! ♥........✦

●◗► Mahe Rajab ka Aaghaz ho Gaya, Palak Jhapakte hi Aadha Hijri Saal Mukammal hua, Khud Andazah Laga len ke Zindagi kitni Barq Raftari se Barf ki Manind Pighalti ja Rahi hai, Lehaza Aik Aik Minute ki Qadar Karen aur Mahe Rajab Se hi Ramadan Al-Mubarak ki Tayyari Shuru karden.

Allah Subhanahu Wa Ta'ala is Qeemti Zindagi ko Naik Aa’mal Mein Sarf karne ki Hamen Toufeeq Naseeb Farmaye, Bil khusoos Rajab aur Sha’ban ko Hamare liye Khair o Barkat ka Zariya Banaye aur Hamen khair o Aafiyat Aur Imaan ki Salamati ke Sath Ramadan Al-Mubarak tak Pohnchade. (Aameen)

Tuesday 20 March 2018

✦....♥ Ghar, Rozgar aur Naik Biwi Hasil Karne Ki Dua! ♥....✦

Jab Hazrat Musa Alaihis Salam Madyan Tashreef Le Gaye to Un ke Paas Na Rehne ke Liye Ghar tha, Na koi Zariya Ma’aash aur Na hi Ahliya, Musa Alaihis Salam ne Aik Naik Aml kiya aur Saye Mein Baith kar ye Dua Mangi:

  رَبِّ إِنِّي لِمَا أَنْزَلْتَ إِلَيَّ مِنْ خَيْرٍ فَقِيرٌ

“Aye Mere Rab! Jo Khair o Bhalayi Bhi Aap Mujh Par Nazil Karden, Main us Ka Mohtaj Hun.” (Surah Al-Qasas: 24)

Us Dua ka Padhna tha ke Suraj Ghuroob Hone se Pehle Pehle Allah ne Unhen Ghar, Zariya Ma’ash aur Naik Biwi Ata Farmadi.

●◗► Lehaza Ghar, Zariya Ma’aash aur Shadi ke Khuaheshmand Hazraat Darje Bala Dua ko Pure Yaqeen ke Sath Padhne ka Ehtemam Farmayen!


🍁 Jab Koi Shaks Achanak Khamosh Ho Jaye, To Samajh Jana Chahiye Ke Wo Dard Chupate Chupate Bahot Thak Chuka Hai 🍁
✦...........♥ (Tail Bone) Reed ki Haddi ♥...........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "The only thing in a man which would not decay would be one bone (the tailbone) from which the whole frame would be reconstituted on the Day of Resurrection."

[ Sahih Muslim :: Book 41 ,:: Hadith 7055, 2955]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Ibn Adam (Ke Badan Ki Har Cheez) Ko Zameen Bosidah kar Dalegi Siwaye Ponch Ki Haddi ke, isi se Insan ko Banaya Gaya Aur isi se Insan ko Dobarah Uthaya Jayega.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 7414]

Reedh ki Haddi ka Sab se Nichla Hissa “Ponch ki Haddi Ya Tail Bone” Kehlata hai, Jadeed Medical Science ne ye Sabit kiya hai ke Insan ki Maut kisi bhi Tarah Waqe ho ye Hissa Mahfooz Rehta hai, Baad Azaa Lakhon Saal Mitti mein Pade Rehne ke Bawajood bhi ye Hissa Bosidah Nahin hota, Shadeed Tareen Kimyawi Aag, Dhamake Aur Chot se bhi ye Hissa Mutassir Nahin hota, Insan ka Sab se Pehla Jinyati Code (Jis se Insan ki Takhleeq hoti hai) isi Hisse mein Mahfooz hai, Yahi Wajah hai ke is Ponch Ki Haddi (Tail Bone) se Insan ke Marne ke baad us ka Pura Bio Data Hatta ke Pasand o Na Pasand aur Ungliyon ke Poron ke Nishanat tak Maloom kiye ja Sakte hain.

●◗► Jadeed Science ki ye Tehqeeq Aaj se 1400 Saal Qabl Rasoole Akram  ﷺ Apni Ummat ke Samne Bayan Farma Chuke the.

😄 Ham Bhi Nikle Talashe Ishq Mein Apni Tanhayyon Se Ladkar, Par Sardi Bahot Thi, Chai Pikar Wapas Aagaye 😄

✦....► Nabi Akram ﷺ Ka “Qabr” Ko Dekh Kar Rona! ◄....✦

It was Narrated that Bara’ RadiyAllahu Anhu said: “We were with the Messenger of Allah (ﷺ) at a funeral, and he sat at the edge of the grave weeping, until the ground became wet. Then he (ﷺ) said: ‘O my brothers, prepare yourselves for something like this.’”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 37 :: Hadith 4195]

Urdu Translation: Hazrat Bara’ RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Ham RasoolAllah ﷺ Ke Hamrah Aik Janaze Mein Shareek the, Aap ﷺ Qabr ke Kinare Baithe aur Itna Zyadah Roye ke (Aansuon se) Mitti Tar Ho Gayi, Phir Aap ﷺ ne Irshad Farmaya: “Aye Mere Bhaiyyon! Is Jaisi (Qabr) Ke Liye Tayyari Karlo!”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 1076, 4195]

💖 Aurat Ke Chehre Par Tamam Rang Mard Ki Wajah Se Aate Hain Chahe Wo Khushi Ke Hon Ya Gham Ke 💖
✦...► Bhook Bardasht Hai Magar Jahannam ki Aag Bardasht Nahin! ◄...✦

●◗► Salaf-e-Saliheen ke Zamane Mein Jab Mard Ghar se Kamane Ke Liye Nikalta tha to Ghar ki Khawateen use Kehti thin ke Haram Kamane se Bachna! Kyun ke ham Bhook Par to Sabr kar Sakte Hain Magar Dozakh ki Aag Par Sabr Nahin kar Sakte. (Mukhtasar Al-Manhaj Al-Muqdisi)

❤️ Jaib Khali Ho Phir Bhi Mana Nahin Karta, Baap Se Ameer Shaks Dekha Nahin Main Ne ❤️

✦...♥ Namaze Zohar Se Pehle aur Baad Mein 4 Rakat! ♥...✦

The Messenger of Allah (ﷺ) used to say: "Whoever prays four rak'ahs before Zuhr and four after, Allah, the Mighty and Sublime, will forbid him from the Fire."

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 2 :: Book 20 :: Hadith 1815, 1814]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jo Aadmi Zohar ki Namaz Se Pehle 4 Rakat Aur Zohar ke Baad 4 Rakat Ada Kare to Allah Ta’ala Us Par Jahannam ko Haram Farma Dete Hain.”

[Urdu Ref :: Sunan an-Nasa'i :: Vol. 1 :: Hadith 1820, 1814]

💖 Zindagiyan Aasan Kisi Ki Bhi Nahin Hoti Bus Apni Apni Adakari Hoti Hai, Koi Jhel Leta Hai Aur Kisi Mein Bardasht Karne Ki Taqat Khatam Ho Jati Hai 💖

✦.......► Dunyawi Zindagi Ka Dhoka! ◄.......✦

●◗► Soye Hue Shaks ko Bedaar Hote hi Pata Chal Jata hai ke Wo Khuab Dekh Raha tha, isi Tarah Insan ko Maut ke Aasar Tari Hote hi Pata Chal Jata hai ke Wo Faani Aur Aarzi Dunya Ke Dhoke aur Khuabon Mein Gum tha.

✦..........► Zalimon Ko Zulm Se Roko ◄..........✦

Allah's Messenger (ﷺ) said, "Help your brother whether he is an oppressor or an oppressed," A man said, "O Allah's Messenger (ﷺ)! I will help him if he is oppressed, but if he is an oppressor, how shall I help him?" The Prophet (ﷺ) said, "By preventing him from oppressing (others), for that is how to help him."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 9 :: Book 85 :: Hadith 84, 6952]

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai Ke  RasoolAllah ﷺ ne Farmaya:  “Apne Zalim Ya Mazloom Bhai ki Madad Karo, Aik Shaks ne Arz kiya: Ya RasoolAllah ﷺ! Mazloom ki Madad Karna to Samajh Mein Aata hai, Lekin Zalim ki kis Tarah Madad Karun? Aap ﷺ ne Farmaya: Zalim ko Zulm se Rok do, Yehi us ki Madad Hai.”

[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Vol. 8 :: Hadith 6952]

🍁 Insan Ko Bhoolta Kuch Bhi Nahin Magar Kayi Baar Ye Zahir Zaroor Karna Padta Hai Ke Use Kuch Yaad Nahin 🍁
●◗► Quran Kareem se itni Doori Ekhtiyar na Karen ke Us Par Dhool Mitti ki Tah Jam Jaye! Log us Waqt Tak Khair o Bhalayi Par Qayem Rahenge Jab Tak Tilawat Quran ka Ehtemam Aur Quran Kareem Ko Mazbooti se Thame Rakhenge.

✦.......► Apne Gunahon Ko Bayan Na Karen! ◄.......✦

Narrated Abu Huraira: I heard Allah's Messenger (ﷺ) saying. "All the sins of my followers will be forgiven except those of the Mujahirin (those who commit a sin openly or disclose their sins to the people). An example of such disclosure is that a person commits a sin at night and though Allah screens it from the public, then he comes in the morning, and says, 'O so-and-so, I did such-and-such (evil) deed yesterday,' though he spent his night screened by his Lord (none knowing about his sin) and in the morning he removes Allah's screen from himself."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 95, 6069]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Meri Tamam Ummat ko Muaafi Mil Jayegi Siwaye khullam Khulla Gunah Karne Walon ke, Aur khullam khulla Gunah karne mein ye bhi Shamil hai ke Aik Shaks Raat ko koi (Gunah ka) Kaam kare Aur Bawajood ye ke Allah ne us ke Gunah ko Chupa diya tha Magar ye Subah hone par (logon ko) Batane lage ke Aye Fulan! Main ne Raat ko ye ye Gunah ke kaam kiye, Raat to is Halat mein Guzri thi ke us ke Rab ne us Par Pardah Rakha Lekin Jab Subah hui to Ye Khud Allah ke Parde ko Chaak karne Laga.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 6069]

💖 Aik Parwah Hi Batati Hai Ke Khayal Kitna Hai, Warna Tarazu Nahin Hota Koi Rishton Mein 💖

✦.......► Zahiri Husn Ko Na Dekhen! ◄.......✦

●◗► Kisi ke Zahir ko Dekh kar Kabhi Koi Faisla Na Karen, Kyun ke Aag Dekhne Mein To Surkh (Laal) aur Shokh Hoti hai Lekin us ka Jalaya hua Siyah (Kaala) ho Jata hai.

✦.....♥ Sadiq o Ameen (ﷺ) Ki Jhoot Se Nafrat! ♥.....✦

Aishah RadiyAllahu Anha Narrated: "There was no behavior more hated to the Messenger of Allah (ﷺ)  than lying. A man would lie in narrating something in the presence of the Prophet (ﷺ), and he (ﷺ) would not be content until he knew that he had repented."

Urdu Translation: Hazrat Aishah RadiyAllahu Anha Farmati hain ke “RasoolAllah (ﷺ) ke Nazdeek Sab se Mabghooz Tareen Aadat Jhoot kit hi aur Jab koi Aadmi Aap (ﷺ)  ke Samne Jhoot bolta to Aap (ﷺ) us se Naraz ho Jate aur Ye Narazgi us Waqt tak Rehti Jab tak ke Aap (ﷺ) ko Ye na Maloom ho Jata ke us ne Jhoot se Taubah Karli hai.”

[Jami` at-Tirmidhi 1973 :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 1973, 1973]

==► Mabghooz - Qabile Nafrat.

🍁 Kuch Dard Aise Hain Jo Insan Ko Khamosh Kar Dete Hain 🍁

✦..........♥ Bakriyon Mein Barkat! ♥..........✦

The Prophet (ﷺ) said: "Keep sheep, for in them is blessing!'

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Book 12 :: Hadith 2304]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Bakriyan Pala Karo! Kyun Ke in Mein Barkat Hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 2 :: Hadith 461, 2304]

❤️ Agar Dil Mein Nafrat Ghussa Basaye Rakhoge to Baqi Bachi Khushiyon Ke Liye Bhi Koi Jaga Baqi Nahin Rahegi ❤️

✦......♥ Shadi Ke Liye Qabile Tarjeeh Cheez! ♥......✦

●◗► Aap ki Hone Wali Biwi Ya Aap ka Hone Wala Shohar Aap Ki Aane Wali Nasal ko Sanwar Bhi Sakta hai Aur Bigaad bhi Sakta hai, Lehaza Shadi Karte Waqt Ladki Ya Ladke ki Deen Daari aur Akhlaq Ko Dekhen! Daulat aur Husn Ko Nahin!
🌸 Main Aaj Bhi Shatranj Akela Khelta Hun Kyun ke Doston Ke Khilaf Chaal Chalna, Mujhe Aaj Bhi Nahin Aaya 🌸

✦....... -_- Nazar Taiz Karne ka Nabwi Nuskha  -_- .......✦

It was Narrated from Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu that: The Messenger of Allah (ﷺ) said: "One of the best kinds of kohl that you use is Ithmid (antimony); it brightens the vision and makes the hair (eye-lashes) grow."

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 6 :: Book 48 :: Hadith 5116, 5113]

Urdu Translaiton: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma se Riwayat  hai ke Nabi Akram  ﷺ ne irshad Farmaya: "Bila Shuba Tumhare Surmon Mein Sab se Behtar Surma “Ismad” Hai Jo Nazar ko Taiz karta hai Aur (Palkon ke) Baal Ugata Hai."

[Urdu Ref :: Sunan an- Nasa'i :: Vol. 3 :: Hadith 1414, 5113]

🌸 Aasan Nahin Hota Samne Wale Ki Baat Seh Kar Ji Ji Kehna 🌸