Saturday, 26 August 2017

✦........♥ Safa aur Marwah Ke Darmiyan Sa’yee! ♥........✦
✦....♥ Maa ki Azmat Aur Be-Loos Mamta Ka Mazhar ♥....✦

●◗► Maa ki Qadar Karen! Kyun ke Aik Maa (Hazrat Hajirah Alaihis Salam) ki Apni Aulad  (Hazrat Ismail Alaihis Salam) ke Liye Bhaag Daud aur Tadap ko Pasand Farmate hue Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne Safa Marwah ke Darmiyan Sa’yee aur Daudne ko “Hajj” Jaisi Azeem Tareen Ibadat ka “Rukn” Bana diya.

🌸 Mehfil Thi Dua Ki, So Main Ne Bhi Aik Dua Mangi Mere Apne Sada Khush Rahen Mere Sath Bhi Mere Baad Bhi...!! 🌸

❤️ “Baap” Dunya Ka Wo Wahid Shaks Hai Jo Khud Se Bhi Zyadah “Aap Ko” Kamyab Dekhna Chahta Hai, ‘Walid Ki Narazgi Yani Allah Ki Narazgi.' ❤️ (Tirmidhi: 1899)

✦..► Halal Kamon Mein Sabse Na Pasandidah Kaam ◄...✦

The Messenger of Allah ﷺ said: "The most hated of permissible things to Allah is divorce."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Book 10 :: Hadith 2018]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Allah Subhanahu Wa Ta'ala ke Nazdeek Halal Cheezon Mein Sab Se Zyadah Na Pasandidah Cheez “TALAQ” hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 2 :: Hadith 175, 2018]

✦.....♥ Mahe Dhul Hijjah Chand Dekhne Ki Dua! ♥.....✦

Bilal bin Yahya bin Talhah bin `Ubaidullah RadiyAllahu Anhu narrated: from his father, from his grandfather Talhah bin `Ubaidullah that when the Prophet (ﷺ) would see a crescent moon, he would say:

"‏ اللَّهُمَّ أَهْلِلْهُ عَلَيْنَا بِالْيُمْنِ وَالإِيمَانِ وَالسَّلاَمَةِ وَالإِسْلاَمِ رَبِّي وَرَبُّكَ اللَّهُ ‏"‏

“O Allah, bring it over us with blessing and faith, and security and Islam. My Lord and your Lord is Allah (Allāhumma ahlilhu `alainā bil-yumni wal-Īmān, was-salāmati wal-Islām, rabbī wa rabbuk Allāh).”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3451, 3451]

●═══════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Talhah bin Ubaidullah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool Akram ﷺ Jab Naya Chand dekhte to ye Dua Padhte:

"‏ اللَّهُمَّ أَهْلِلْهُ عَلَيْنَا بِالْيُمْنِ وَالإِيمَانِ وَالسَّلاَمَةِ وَالإِسْلاَمِ رَبِّي وَرَبُّكَ اللَّهُ ‏"‏

“Aye Allah! Is Chand ko ham par Barkat, Iman, Salamati aur Islam ke Sath Tuloo Farma, (Aye Chand!) Mera aur Tera Parwardigar Allah hai.” (Allāhumma ahlilhu `alainā bil-yumni wal-Īmān, was-salāmati wal-Islām, rabbī wa rabbuk Allāh).”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1376, 3451]

 ●◗► Mahe Dhul Hijjah ka Babarkat Chand Dekh kar Mazkurah Baala Dua Padhna Na Bhulen!

🍂 Jahan Lage Ahmiyat Kam ho Rahi Hai Wahan Jana Kam KarDo, Phir Chahe Kisi Ka Ghar Ho Baat ho, Yaad ho, Ya Dil 🍂

✦......► 900 Chuhe Kha Kar Billi Hajj ko Chali! ◄......✦

●◗► Ye Muhawrah Aap ne bahot se Logon se suna hoga, Khaas tor par Jab koi Ghalat Kaam kar ke Taubah karle aur sidhi Raah pe Aane ki koshish kare to Log kehte hain ke Dekho: “900 Chuhe kha kar Billi Hajj ko Chali”, Ye Muhawrah bilkul na Munasib aur Ghalat hai, Aik taraf is Mein Hajj jaise Muqaddas Farize ko Tazheek ka Nishana Banaya gaya hai to dusri Taraf taubah karne Wale ki kirdar kashi ki gayi hai, Hadees Shareef ka Mafhoom hai ke Agar Insan din mein 70 martaba Gunah par Taubah kare aur har Martaba apni Taubah ko tod de aur Phir dobarah Sacche dil se Tauba kare to Allah Subhanahu Wa Ta'ala  Phir bhi us ki Taubah Qubool Farma lete hain.

♥ Lehaza Neki ki Taraf Aane Walon Pe Kichad Uchalne ke Bajaye un ki Bhar Poor Hausla Afzayi Karen♥

✦...► Qurbani Janwar ki Khareedari o Hissa Daari ka Marhala! ◄......✦

❶ Halal Raqam ka Bandobast Karen.
❷ Razaye Khudawandi ka Husool aur Sunnate Ibrahimi ki Adayegi ka Jazba Dil mein Rakhen.
❸ Qurbani ke liye Umdah aur Khoobsurat Janwar ka Intekhab Karen.
❹ Naam o Namood aur Numayesh ke Jazbat dil se Nikal den.
❺ Agar Bade Janwar mein Hissa lene ka Iradah ho to Pehle se Hissa daar ya Ijtemayi Qurbani ka Nazm Muntakhab karlen.
❻ Jis Shaks ke Bare mein Yaqeen ho ke us ki Aamdani Haram hai us ko Hissa daar Na Banayen.
❼ Isi Tarah us Shaks ko bhi Hisse Daar na Banayen Jis ka Maqsad Mahez Gosht Hasil karna ho.
❽ Dhul HIjjah ka Chand Nazar Aane se Qabl Hajamat Banwalen, Nakhun Tarash len aur Zayed Balon ko Saaf karlen.

💞 Behtareen Shohar Wo Hai Jo Apni Biwi ki Khubiyon Par Nazar Rakhen Aur Mamuli Ghalatiyon Ko Nazar Andaz Karden 💞

✦....► Islam Mein Nahaq Khoon Bahane Ki Ijazat Nahin! ◄....✦

Jo Islam “Fuzool Pani” Bahane ki Ijazat Nahin deta Wo “Nahaq Khoon” Bahane ki Ijazat kaise De sakta hai?

●◗► Islam to Har Muamle mein Sabr o Tahammul aur Afu-o-Darguzar  se Kaam Lene ka Hukum deta hai aur Gussa, Bhadkana, Inteqam, Badzubani, Kina Parwari, Nafrat, Ta’assub, Firqa Wariyat aur Har Qism ke Ladayi Jhagde se Door Rehne ki Takeed karta hai.

💖 Haya ki Kashish Khubsurti Se Zyadah Hoti Hai, Aaj ki Hayadaar Bacchi Kal ki Aik Behtareen Nasal Ko Parwan Chadha Sakti Hai 💖

✦....✔ Qurbani Karne Wale Baal o Nakhun na Tarashen ✔....✦

Umm Salama RadiyAllahu Anha reported (these words) directly from Allah's Messenger (ﷺ): "If anyone has in his possession a sacrificial animal to offer as a sacrifice (on 'Id al-Adha), he should not get his hair cut and nails trimmed after he has entered the first days of Dhu'l Hijja."

[Sahih Muslim :: Book 22 :: Hadith 4871, 5234]

Urdu Translation: Hazrat Umm Salamah RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: "Jab tum Maah Dhul Hijjah ka Chand Dekh lo Aur tum Mein se kisi ka Qurbani Karne ka Iradah ho to use Chahiye ke wo (Janwar zabah Karne tak) na Apne Jism ke Baal Kate aur Na hi Nakhun Tarashe."

 [Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5119]

●◗► 29 Dhul Qa’dah Bamutabiq 22-Aug-2017 ko Dhul Hijjah ka Chand Nazar Aane ka Nihayat Mamuli Imkan hai, Lehaza Qurbani ka Iradah Rakhne wale Tamam Hazrat 29 Dhul Qa’dah Mangal (Tuesday) ke Din Maghrib se Pehle Pehle Jism ke Ghair Zaroori Baal aur Nakhun Wagerah Tarash len!

✦.......♥ Haji se Duaon Ki Darkhuast Karen! ♥.......✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu Allah's Messenger (ﷺ) said:  "Allah forgives the haji (person who performed hajj), and also forgives that person for whom the haji Makes dua.”

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya:  “Hajj Karne Wale ki Maghfirat ki Jati hai aur Jis ke liye Haji Maghfirat ki Dua kare us ki bhi Maghfirat ki jati hai.”

[Rawah Al- Bazar, Al-Tabarani Fi-Sagheer Sahih Ibn Khuzaimah]

😊 Bahot Mushkil Hota Hai Dard Hans Kar Bardasht Karna 😊

✦...........♥ YA ALLAH! ♥...........✦

● Aur Hamare Rizq Mein Barkat Ata Farma.
● Hamari Aulad Mein Barkat Ata Farma.
● Aur Hamari Aafiyat Mein Barkat Ata Farma.
● Aur Hamare Gharon Mein Barkaten Ata Farma.
● Aur Hamare Auqaat Mein Barkat Ata Farma.. (Aameen)

😔 Purane Log Pur Josh Hote The, Wo Talluqat ko Sambhalte the, Phir Log Practical hogaye Talluq Se Faidah Uthane lage, Ab Log Professional Hogaye, Faidah Ho to hi Talluq Banate hai 😔

✦.......♥ Izdiwaji Zindagi ke Akhrajat ♥.......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "There are three who are promised the help of Allah:

❶ The Mukatab who wants to buy his freedom,
❷ The one who gets married seeking to keep himself chaste, and
❸ The Mujahid who fights in the cause of Allah." (Mukatab: the slave who has made a contract of manumission).

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 4 :: Book 26 :: Hadith 3220, 3218]

Urdu Translation: Nabi Kareem ﷺ ne Irshad Farmaya: "3 Tarah ke Logon ki Madad karna Allah ne Apne zimme Liya hua hai:

❶ Wo Ghulam Jo Aazadi ke Husool ke Liye Malik ko Adayegi karna Chahta ho.
❷ Wo Naujawan Jo Iffat o Paakdamni (Gunah se Bache Rehne) ki Gharz se Nikah kar Raha ho.
❸ Allah ke Raste ka Mujahid."

[Urdu Ref :: Sunan an-Nasa'i :: Vol. 2 :: Hadith 1130]

😢 Shadi ke Baad Ladkiyon Ko Apni Hi Godh Mein Sir Rakh Kar Rone Ki Aadat Ho Jati Hai Choti Choti Baton Ko Maa Baap Se Nahin Kehti 😢

✦.........♥ Kapde Tabdeel Karte Waqt! ♥.........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “The barrier between the eyes of the Jinn and the nakedness of the Children of Adam is [created] when a Muslim discards a garment and says, 'In the name of Allah besides Whom there is no other god'."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jinnat ki Aankhon aur Bani Adam ki Sharmgahon ke Darmiyan Pardah aur Hijab ki Surat ye hai ke Aadmi Jab apne Kapde utare to Bismillah Padhe.”

[Al-Mu’jamul Awsat Al-Tabarani :: 7066]

●◗► Jinn look's at you, While removing clothing recite 'Bismillah'' as the devil gets blinded and can't look at the private parts due to this.

🌸 Aaj Log Us Ke Peeche Chalna Pasand Karte Hai Jo Chand Par Gaya Hai, Halan ke Kamyabi us Insan Ke Piche Chahne Mein hai Jisne Chand Ke Do Tukde Kar Diye The 🌸

Friday, 11 August 2017

✦......♥ Jumah Ke Din Umdah Libas! ♥......✦

●◗► Jab Aap koi Umdah ya Naya Libas Pahenna Chahen to Behtar ye hai ke Jumah ke Din use Pehnen, is Liye ke Jumah ke Din Umdah Libaas Pahenna Masnoon Hai.

❤️ Fikr, Khayal Aur Izzat Dene Wale Naseeb Se Milte Hain Qadar Ki jiye! ❤️

✦....► Khane Ke Dauran Agar Luqma Gir Jaye To ? ◄.....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “The Satan is present with any one of you in everything he does; he is present even when he eats food; so if any one of you drops a mouthful he should remove away anything filthy on it and eat it and not leave for the devil; and when he finishes (food) he should lick his fingers, for he does not know in what portion of his food the blessing lies.”

[Sahih Muslim :: Book 23 :: Hadith 5046]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Bila Shuba Shaitan tum Mein se har Aik ke Sath us ke har Kaam ke Waqt Hazir Rehta hai, Hatta ke khane ke Waqt bhi us ke Paas Maojood Rehta hai, Lehaza Khana Khate Waqt Jab tum Mein se kisi ka Luqma Gir jaye to use Uthale aur us Mein jo Gandagi (Mitti Wagherah) Lagi ho use Saaf kar ke Khale Aur use Shaitan ke liye Na Chhode, Phir Jab khane se Farigh ho Jaye to Apni Ungliyan Chaat le, is liye ke wo Nahin Janta ke Khane ke kis Hisse Mein Barkat hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5303, 5423]

●◗► Khush Naseebi Kisi Uhday ka Naam Nahin, Samaji Martabe Aur Shohrat ka Naam Nahin, Bank Balance ka Naam Nahin, Aulad ki Kasrat ka Naam Nahin, Bade Bade Makanon ka Naam Nahin... Balke Khush Naseebi Sirf “Apne Naseeb Pe Khush Rehne” ka Naam hai.

✦....♥ Ammi Aur Abbu Hamesha Zindah Rehte Hain! ♥.....✦

●◗► Log Kehte hain ke Ammi aur Abbu Mar jate hain to Dunya Weeran ho jati hai, Par Aisa lagta hai ke Ammi Abbu Hamesha Zindah aur Hamare sath Rehte hain, Haqiqat ye ke kisi Bhai ki Aankhen Abbu jaisi hoti Hain to kisi Bahen ka Chehrah Ammi ki Tarah, Koi Abbu ki Tarah Muskurata hai to kisi Bahen ke hath mein Ammi Jaisi lazzat!!!

Agar kabhi Ammi Abbu ki Yaad Aaye to Sab Bahen Bhai mil kar Baith Jayen, Kisi ke Chehre mein Maa Muskurati Nazar Aayegi aur kisi ki Baton mein Walid ka Lehja Sunayi dega.

💖 Rabte Bata Dete Hain Ke Dil Mein Kitni Qadar Hai, Kehne Ko To Sabhi Apne Hote Hain 💖

✦.....► Ibadat ki Lazzat Kyun Mahsoos Nahin Hoti? ◄......✦

Hamare Zahnon Mein Aksar ye Sawal Gardish karta hai ke Hamein Ibadat ki Lazzat Kyun Mahsoos Nahin Hoti?

●◗► Aik Allah Wale ne is ka ye Jawab diya ke Hamare aur Ibadat ki Lazzat ke Darmiyan Gunah Hayel ho Chuke hain aur Gunahon ki Kasrat Aik Aisi Ruhani Bimari hai Jis ki Waja se Ibadat ki Mithaas Naseeb Nahin hoti, Aur Hamari Halat bilkul us Bimar ki Tarah Ho jati hai Jise Shahed bhi kadwa Mahsoos hota hai Halan ke Kadwahat Shahed ki Nahin bal ke Marz ki Hoti hai.

✦...........► 2 Jahannami ka Giroh ◄............✦

Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jahannam Mein Jane Wale 2 Giroh Aise Hain jo Main ne Abhi tak Nahin Dekhe (Aur wo mere Baad dunya Mein Paida Honge),

❶ Aise Log Aayenge Jin ke Paas Bail ki Dumon ki Tarah Sakht Kode Honge Jin se wo Logon ko (Zulman) Mara Karenge.

❷ Aisi Aurten Paida Hongi jo Kapde Pehenne ke Bawajood Nangi hongi (Yani bareek aur Tang kapde un ke Jism par Honge), Mardon ko (Adaye dikha kar) Apni Janib Mayel Karne Wali aur khud Mardon ki Janib Mayel hone Wali hongi, Un ke sir Bukhti Oonton ke Kohaan ki Tarah (Balon mein Unche jode Lagane ki Wajah se) Aik taraf Jhuke honge, Aisi Aurten na Jannat mein Jayengi aur na Jannat ki Khushbon Soongh Sakengi, Halan ke Jannat ki Khushbon Door door tak Sunghi jati hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.6 :: Hadith 7194, 5704]

► Bukhti oont – Aik qism ka bada oont
► Kohaan - Oont ki peet ki bulandi, Saand ya Bail ka Uncha kandha.

●═══════════════◄►═══════════════●

Abu Huraira RadiyAllau Anhu reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: Two are the types amongst the denizens of Hell,

❶ The one possessing whips like the tail of an ox and they flog people with their help.

❷ (The second one) the women who would be naked in spite of their being dressed, who are seduced (to wrong paths) and seduce others with their hair high like humps. These women would not get into Paradise and they would not perceive the odour of Paradise, although its frag- rance can be perceived from such and such distance (from great distance).

[Sahih Muslim :: Book 40 :: Hadith 6840]

😢 Qusoor Kisi Ka Bhi Ho Par Aansu Hamesha Be Qusoor Ke Hi Hote Hain 😢

✦........♥ Hajj Ki Adayegi Mein Jaldi! ♥........✦

“The Messenger of Allah (ﷺ) said: ‘Whoever intends to perform Hajj, let him hasten to do so, for he may fall sick, lose his mount, or be faced with some need."

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Hajj ka iradah Kare to Use Jaldi karna Chahiye Kyun Ke Use Koi Marz La haq ho Sakta hai, Sawari Gum ho Sakti hai Aur Koi Majboori Pesh Aa Sakti hai.”

[Musnad Ahmad bin Hanbal: 1834,  Sunan Ibn Majah: 2883]

✦.....♥ Sahaba Karam RadiyAllahu Anhum Ke Auasaf! ♥.....✦

❶ Nazren: Nichi
❷ Khayalat: Unche
❸ Fikr: Wasee
❹ Dil: Narm
❺ Tabiyat: Faqeerana
❻ Zahen: Aalimana
❼ Chehra: Muskurana
❽ Zuban: Dilerana
❾ Akhlaq: Paighambari
❿ Muamlat: Diyanat Darana
⓫ Qadam: Nafs Par
⓬ Anjam: Arsh Par
⓭ Jawani: Jangi
⓮ Budhapa: Zahedana
⓯ Mohabbat: Talwar Se
⓰ Khof: Qahhar Se
⓱ Shoq: Shahadat ka
⓲ Aarzu: Jannat ki

💖 Kisi Khushbon se Apne Kapdon ko Mehkana Badi Baat Nahin, Mazah to Tab Aaye jab Hamare Kirdaar se Khushbon Aaye 💖

✦..........► Nakhun Badhane Ka Fashion! ◄...........✦

Anas RadiyAllahu Anhu reported: "A time limit has been prescribed for us for clipping the moustache, cutting the nails, plucking hair under the armpits, shaving the pubes, that it should not be neglected far more than forty nights."

[Sahih Muslim :: Book 2 :: Hadith 497, 258]

Urdu Translation: Sayyidna Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate hain: "Rasool Akram ﷺ ne Hamare Liye Munchen katne, Nakhun Tarashne, Baghlon ke Baal Ukhadne aur Zere Naaf Balon ki Safayi ki (Zyadah Se Zyadah) Muddat Ye Muqarrar Farmayi ke Ham inhen 40 Din se Zyadah na Chhoden Rakhen."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 1 :: Hadith 599, 622]

✦..........► Waldain ke Inteqal Ke Baad ◄..........✦
✦....► Bhaiyyon ki Zimmedari Badh Jati Hai! ◄....✦

●◗► Waldain ke Inteqal ke Baad Bahnon ko Bhaiyyon ka Aasra hota hai, Lehaza kabhi bhi Apni Bahnon ko Akele Pan ka Ehsas na Hone den, Waqtan Fawaqtan un se Milte Rahen, Unhen Hadya aur Gift den aur Jab kabhi wo Maike Aayen to un ki Khoob Khatir Madarat Karen Taa ke Unhen Waldain ki Kami Mahsoos na ho.

●◗► Aik Martaba main Apne aik Dost ke Sath Jo ke Nao Muslim (Revert) tha, Namaz Padhne Masjid mein Gaya, Main Namaz Padh kar Thodi dair mein Bahar Aagaya Lekin use waha se Bahar Aane mein Paon ghanta Lag gaya.

► Main hairan tha ke Ye shaks Mera itna bhi Khayal Nahin kar sakta, Mujhe bahar khada kar Gaya hai, Main Sonch hi Raha tha ke wo (Nao Muslim) mere Paas Aaya aur Intehayi Sharmindagi aur Aajizi se kehne laga,

► Asal mein Tum Logon ne Bachpan se Allah ka zikr suna hota hai, Musalman ghar Mein Paida hote ho is Liye Tumhen Namaz Padhte hue Allah ka Tasawwur Zahen mein Lane Mein kitni Aasani hoti hai, Mujhe to Aadha Ghanta lag jata hai Apne zahen ko Yaksu kar ke ye Kaifiyat Lane mein ke, Aise lage Jaise Main Allah ke Huzoor khada hun, Aap Maherbani Kar ke Mujhe koi Aisa Tareeqa Bata do ke Main Jaldi Se Allah ke Tasawwur Mein Apne Aap ko Yaksu kar Sakun.

Meri Aankhon Se Aik dum Aansu Nikal Pade, Sharm  Se Mera Sir  Jhuk Gaya, Mere Daman Mein Apne Iman Ki Kamtari ke Siwa Kuch Bhi na Tha.

🌺 Kamal Ke Log Hote Hain Jo Aap Ki Aawaz Se Aap ki Khushi Aur Udasi Ka Andazah Laga Lete Hain 🌺

✦..► Bewah Ya Mutllaqah Beti Pe Kharch Karne Ka Sawab! ◄...✦

Suraqa ibn Malik (RadiyAllahu Anhu) reported: The Messenger of Allah (ﷺ) said to him, “O Suraqa, shall I not tell you about the greatest of charities?” He said, “Of course, O Messenger of Allah.” He (ﷺ) said: “To provide for your daughter when she is returned to you and you are her only source of provision.”

Urdu Translation: Hazrat Suraqa bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate Hain ke RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Kya Main Tumhen Azeem Sadaqa ke Bare mein Aagah Kardun ? (Wo Kharch Karna hai) Apni us Beti Par Jo Tumhari Taraf Wapas Kardi Gayi ho (Yani us ka Khawind Faut ho Gaya ho ya Khawind ne Talaq De di ho) Aur Tumhare Siwa us ka Koi Kamane Wala na ho.”

[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim : 7345]

🌸 Rishton ki Mazbooti Ke Liye Tahammul Sabr Aur Bardasht Lazim hai Warna! Kal Tootne Wale Rishte Aaj hi Toot Jate Hain 🌸