Wednesday, 28 November 2018

✦...► Gunah Mein Taawun Bahami Dushmani Ka Sabab! ◄...✦

Allama ibn Taymiyyah Rahimahullah Farmate Hain:“Jab Log Gunah Aur Zulm Ke Kamon Mein Aik Dusre Ke Sath Taawun Karenge To Taawun Karne Wale Aik Dusre ke Dushman Ban Jayenge.”. (Majmu Al Fatawa ibn Taymiyyah)

✦.......►“Online” Se “Offline” Tak Ka Safar! ◄.......✦

Aik Din Aap tamam Dost Mujhe Offline Payenge, Friend Request Bhejenge Lekin Accept Nahin hogi, Messenger Pe Paigham Bhejenge Lekin Jawab Nahin Milega, Main Aap ko Mustaqil Offline Nazar Aaunga, Meri Posten Bhi Aana band Ho jayengi, Kyun ke Main is Dunya se Ruqsat ho Chuka honga aur Qabr ke Tang o Taareek Gadhe mein Akela Qayam Pazeer Honga, Wahan main Apni Tanhayi ko door karne ke liye kisi se Chat Nahin kar Sakunga, Wahan Mere Aamal hi mere liye Hasrat ya Khushi ka Saman honge.. Main aur Aap Jab is dunya se Rihlat Kar jayenge to Ham Apne Hath se Likhi Gayi ya Share ki Gayi Acchi ya Buri Posts Chhod Jayenge, Lehaza Abhi se Koshish kijiye ke Hamari Posts hamare liye Sadaqa Jariya Ban Jayen.

●◗► Jaldi Kijiye! Maut ka Kuch Bharosa Nahin, Apni Timeline ka Jayezah le kar Ghair Zaroori aur Gunah Par Mushtamil Posts ko Delete karden Aur Aayindah Aisi Posts karne se Gurez Karen, Kyun ke Abhi Aap ke Paas Moqa hai Aur Aap Dunya Mein Aur Facebook Par Online Hain.

❤️ Aik Ghaibi Usool Ye Bhi Hai Ke Jo Taqseem Karoge Usi ki Tumhare Paas Farawani Ho Jayegi, Phir Wo Daulat Ho Ilm Ho, Mohabbat Ho Ya Aasaniya ❤️



✦.....► Bacchon Ko Namaz Ka Aadi Banane Ki Umr! ◄.....✦

The Prophet (ﷺ) said: “Command a boy to pray when he reaches the age of seven years. When he becomes ten years old, then beat him for prayer.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 2 :: Hadith 494, 494]

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jab Tumhare Bacche 7 Saal ki Umr ko Pahonch Jayen to Unhen Namaz ka Hukum karte Raho, Aur Jab wo 10 Saal ki Umr ko Pahonch Jayen to Unhen Namaz Chhodne ki Waja se Saza do.”

[Urdu Ref :: Sunan Abi Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 492, 494]

💐 Sab Se Dilkash Aur Khoobsurat Zewar Jo Aap Apne Chehre Par Saja Sakte Hain..!! Muskurahat Hai 💐

✦.♥ Farq To Bus Ye Padta Hai Ke Kitne Log Khush Hain ♥.✦

●◗► Kya Farq Padhta Hai Hamare Paas Kitna Husn Kitni Daulat, Kitne Lakh, Kitne Crore, Kitne Ghar Aur Kitni Gadiyan Hain, Khani To Bus Do Rotiyan Hain, Jini To Bus Aik Zindagi Hai....!! “Farq To Bus Ye Padta Hai Ke Ham Ne Kitne Pal Khushi Se Bitaye Aur Kitne Log Hamari Wajah Se Khushi Se Jiye...!!

✦.......♥ Dua Ko Jaldi Qubool Karwane Ka Tariqa! ♥.......✦

Hazrat Abdullah bin Mas’ud RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke “Jab Tum Mein Se Koi Dua Mange to use Chahiye: 

❶ Dua ki Ibteda Mein Allah Rabbul izzat ki Shayane Shaan, Hamd o Sana Bayan Kare
❷ Phir Nabi Akram ﷺ Par Durood Shareef Padhe.
❸ Aur Phir Us ke Baad (Jo Dua Mangni Ho Wo) Dua Mange.

Kyun ke Is Tarteeb se Wo Apni Muraad Jald Palega (Yani us ki Dua Jaldi Qubool Ho Jayegi).”

(Al-Mu'jam Al-Kabeer Al-Tabarani: 8780) (Riyad as-Salihin :: Book 15 :: Hadith 1404)

🍁 Insan Talluq Qayem Rakhna Chahe To Badi Badi Baten Bhi Nazar Andaz  Kar Deta Hai Aur Jab Talluq Khatakne Lage To Choti Choti Baten Bhi Rishte Tootne Ki Waja Ban Jati Hai 🍁

✦.........♥ Sarware Konain ﷺ Ki Sadgi! ♥.........✦

“RasoolAllah (ﷺ) Khacchar Par Sawari Farma Lete,  Juta Khud Ganth Lete, Qamees ko Pewand Laga Lete Aur Irshad Farmate Ke “Jo Mere Tariqe Se Ru Gardani Kare Ga Us ka Mujh Se Koi Talluq Nahin.” (Jami` al-Saghir Jalal al-Din al-Suyuti: 7032)

✦........► Ibadat Ke Liye Behtareen Din! ◄........✦

Kisi Allah Wale Buzurg se Pucha Gaya: Tauba o Astaghfar Aur Ibadat ke liye Sab se Behtareen Din Konsa hai?
Unhon ne Jawab Diya: Maut se Aik Din Pehle.
Us Shaks ne Kaha: Maut ka Waqt to kisi ko Maloom Nahin!
Buzurg ne Jawab Diya: To Phir Zindagi Ke Har Din ko Aakhri Samjho Aur Har Din Tauba o Astaghfar Aur Allah ki Ibadat Mein Lage Raho.

Aalame Islam ki Azeem Shakhsiyat, Dayi IlAllah, Muballigh Islam Ameer Tableeghi Jama'at "Haji Janab Abdul Wahab Sahab" Rahimahullah is Dare Fani se koch Farma gaye. انا للہ وانا الیہ راجعون ۔۔ اللھم اغفرلہ وارحم

●◗► Khud Ko Badliye Jo Nahin Hasil Hua Us ki Khuahesh Mein Khud Ko Halkan Karne Ke Bajaye Haasil Par Shukr Ada Kiya Karen, Zindagi Pur Sukoon Lagne Lagegi, Ham Har Kisi Ko Razi Nahin Rakh Sakte Lekin Kisi Se Zyadati Ki Bhi Hamen Ijazat Nahin, Koshish Kijiye Kisi Ka Accha Nahin Kar Sakte to Bura Bhi Nahin Ki Jiye, Apni Zuban Aur Hath Se Dusron Ko Takleef Na Dena, Dar Haqiqat Apni Khushiyon Aur Nematon Ki Hifazat Karna Hai.

●◗► Mazboot “Quwwate Iradi” Ke Zariye Cigarette Noshi Ki Qaid Se Aazadi Hasil Ki Ja Sakti Hai. Himmat Ki Jiye Aur Chutkara Payye!

🌸 Koshish Karo Ke Zindagi Ka Har Lamha Apni Taraf Se Har Kisi Ke Sath Acche Se Accha Guzaro Kyun Ke Zindagi Nahin Rahti Par Acchi Yaden Hamesha Zindah Rahti Hai 🌸

✦.....♥ Mushkilat Mein RasoolAllah Ka Tarze Aml! ♥.....✦

Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu said: “Whenever a matter would distress him, the Prophet (ﷺ) would say: ‘O Living, O Self-Sustaining Sustainer! In Your Mercy do I seek relief (Yā Ḥayyu yā Qayyūm, bi-raḥmatika astaghīth).’”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3524]

Urdu Translation: Nabi Akram (ﷺ) Ko Jab Koi Mushkil Muamla Pesh Aata to Farmate: (Yā Ḥayyu yā Qayyūm, bi-raḥmatika astaghīth), Aye Zindah Jaweed! Aye Qayem o Dayem! Main Teri Hi Rehmat Ke Zariye Madad Ka Talab Gaar Hun.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1451, 3524]

●◗► Gali Ka Aawarah Kutta Aur Wo Shaks Barabar Hain Jis Ki Aawargi Se Dar Kar Aurat Apna Raasta Badal Le.

✦..........► Mushkilat Ke Waqt 3 Baten! ◄..........✦

Jab Aap Par Koi Musibat Aapade To 3 Baten Sochen:

❶ Ye Musibat Aarzi Aur Waqti Hai. 

❷ Ye Musibat Allah Ki Taraf Se Hai Aur Main Allah ke Faisle Par Razi hun.

❸ Is Musibat ke Badle Allah Ta’ala Mujhe Kayi Khushiyon Se Nawazenge.

💖 Zulfen Chahe Kitni Hi Haseen Kyun Na Ho Dupatta Shakhsiyat Ko 4 Chaand Laga Deta Hai 💖

✦.....► Kyun Ke..!! Sacchayi Tumhen Hairan Kardegi ◄.....✦

●◗► Aik 25 Saala Ladka Rail Gadi ki Khidki Se Bahar Dekh Raha Tha ke Achanak Wo Bola "Abbu Dekho Darakht Ham Se Piche ki Taraf Bhaag Rahe hain" Us ka Walid Muskuraya aur Un ke Sath Baithe hue Jode (Couple) ne us 25 sala Ladke ki Bachkana Harkat ko Rahem Dili ki Nigah Se Dekha,

Thodi dair baad Wo Ladka Phir Achanak bola "Abbu in Badalon ko to Dekho, Ye hamare Sath Sath Chal Rahe Hain "Sath Baithe hue Jode (Couple) Se ye Bardasht Nahin hua Aur Wo us ke Baap se bole ke Aap is ko kisi Acche Doctor ke Paas kyu Nahin lejate?

✿Us ladke ka Budha baap Muskuraya aur Bola ➲ "Ham Gaye the Doctor ke Paas Aur Ab Ham Hospital Se Hi Aarahe hain, Mere Beta Paidayeshi Tor Par Andha Tha, Use Aaj hi Aakhen Mili Hain" ➲

♥ Matlab Ye ke Har Insan Ke Paas Us Ki Koi Na Koi Kahani Hai, To Phir Tum Insano Ko Bina Haqeeqat Jaane Mat Parkho....!!! Kyun Ke Sacchayi Tumhen Hairan Kardegi!!  ♥

💐 Log Kehte Hain Paisa Rakho Bure Waqt Mein Kaam Aayega Main Kehta Hun Allah Par Yaqin Rakho Bura Waqt Hi Nahin Aayega..! Insha’Allah 💐

✦..........♥ Rizq Kise Kehte Hain? ♥..........✦

Sirf Paisa aur Maal hi Rizq Nahin Balke Quran o Hadees Ki Ruu se Darj Zail Chizen bhi Rizq Mein Dakhil Hain:

❶ Iman ki Daulat
❷ Ilm, Zihanat, Samajhdari Aur Hikmat
❸ Sahet, Aafiyat aur Aaza ki Salamati
❹ Naik Biwi
❺ Naik Aulad
❻ Naik Padosi
❼ Mukhlis Dost
❽ Logon Ki Mohabbat

Lehaza Rizq ki Tangi Aur Kami Ke Shikwe ke Bajaye Har Pal Allah Ka Shukr Ada Karte Rahen!

✦........► TALIB ILM Aur Social Media ◄........✦

●◗► Chote Bacchon aur Nao Khaiz Talib Ilmon ki Taleem o Tarbiyat ke liye Zaroori hai ke Unhen Social Media Par Zyadah Mashghool Na hone Diya Jaye, Yaad Rakhiye! Taleem ke liye Eksuyi (Concentration), Tawajje aur Inhemak ki Zarurat hoti hai, Jab Ke Social Media ka Tufaan Talib Ilmon ke Na Pokhta Azhan o Afkar mein Na Khatam Hone Wali Talatum Khezi Aur Shor Paida karta hai Aur Tawajje o Inhemak Mein Yaqinan Khalal Andaz Hota hai Jis Ka Manfi Asar Talib-e-Ilm ke Tabnaak Mustaqbil Par Padta hai.

Allah Ta'ala Hamein Hamare Paidayesh se Qabl se Lekar Apni Zindagi ki Aakhri Sans Tak Hamara Bojh Uthane Wale (Waldain) ki Qadardani ki Toufeeq Ata Farmaye. (Aameen)

✦.........♥ Bin Daikhe Iman Lane ki Fazilat ♥.........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "I wish that I could meet my brothers." The Sahabah (companions of the Prophet (ﷺ)  asked: "Aren't we your brothers?” He replied: "You are my Companions, but my brothers are those who will believe in me without having seen me."

[Musnad Ahmad and Al-Albani graded it saheeh in al-Silsilah al Saheehah # 2888]

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: "Mujhe Tamanna hai ke Main Apne Bhaiyyon se Milun" Sahaba RadiyAllahu Anhum ne Arz Kiya: Kya ham Aap ke Bhai Nahin Hain? Aap (ﷺ) ne Irshad Farmaya: "Tum to Mere Sathi ho, Mere bhai Wo Hain jo Mujhe Dekhe Baghair Mujh Par Iman layenge."

[Musnad Ahmad bin Hanbal :: 12339, 12579 :: and Al-Albani graded it saheeh in al-Silsilah al Saheehah # 2888]

●◗► Ya Allah! Hamen Roze Mehshar RasoolAllah ﷺ Ki Shifa’at Naseeb Farma. (Aameen)

💐 Khoobsurat Mard Wo Hota Hai Jo Aurat Ki Khataon Ko Muaaf Kar Deta Hai 💐

🍁 Aurat Se Ilm Cheen Liya Jaye To Jihalat Naslon Mein Safar Karegi, Aur Ilm Ke Naam Par Aurat Se Pardah Cheen Liya Jaye To Be Hayai Naslon Mein Safar Karegi 🍁

✦....♥ Wo Zaher Nahin Karte, Wo Bhi Aksar Rote Hain ♥....✦

●◗► Sab Ke Samne Nahin Akele Mein Kahi Wo Bhi Aksar Rote Hain, Kisi Se Kuch Kahte Nahin, Kyun Ke Apnon Ko Dekh Ke Udaas, Unhen Bhi Dukh Hota Hai, Mard Ko Bhi Dard Hota Hai, Jab Wo Apni Maa Ko Takleef  Mein Dekhte Hain, Jab Un Ki Bahen Shadi Ke Baad Un Ko Chhod Jati Hai, Jab Wo Apne Baap Ko Kisi Mushkil Mein Dekhte Hain, Ladke Bhi Jazbat Rakhte Hain, Wo Zaher Nahin Karte Lekin Wo Rote Hain.

✦.......► Qatl Hote Waqt Shaheed Ko Takleef! ◄.......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “The martyr does not feel anything more when he is killed than one of you feels if he is pinched (by a bug).”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 4 :: Book 24 :: Hadith 2802]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ  ne Irshad Farmaya: “Shaheed Ko Qatl Hote Waqt itni Hi Takleef Hoti Hai Jitni Ke Tumhen Chunti Ke Katne Se Hoti Hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 2 :: Hadith 959. 2802]

🌸 Aaib Apne Dekho Aur Use Door Karne Ki Fikr Karo, Acchaiyan Dusron Ki Dekho Aur Use Apne Andar Paida Karne Ki Fikr Karo 🌸

✦....♥ Ilm Ka Hasil Karna Har Musalman Par Farz hai ♥....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Seeking knowledge is a duty upon every Muslim."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 1 :: Hadith 224]

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: "Ilm Hasil Karna Har Musalman Par Farz Hai."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 224]

●═══════════════◄►══════════════●

Imaniyat (Tauheed, Risalat, Aakhirat Wagherah) Aur Ibadat (Namaz, Rozah, Zakat Wagherah) Ka Ilm Seekhna to Har Musalman Par Farz hai, Is ke Sath Sath Ijtemayi ya Infiradi Zindagi ke Jis Sho’be se Aap Wabasta Ho us Shobe ke Halal o Haram ka Ilm Sikhna bhi Farz hai.

Maslan: Agar Aap Tajir (Tijarat karne Wale) hain, Kisan hain, Doctor hain, Mulazim hain, Mayishat dan hai, Siyasat daan hain, Faoji hain, Adalati Nizam o Qanoon Jari Karne Wale idaron se Wabasta hain, Wazeer hain, Sarbarah hain to Aap Par Muta’lliqa Shobe ke Huqooq o Farayez, Halal o Haram aur Jayez o Na jayez ka Ilm Seekhna Farz hai.

✦...♥ Allah Subhanahu Wa Ta'ala Par Bharosa Rakhen ♥...✦

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Par Bharosa Rakhen Aap Ki Aansuon Se Bheegi Hui Koi Bhi Raat Aur Takleef Mein Guzra Hua Koi Bhi Din Kabhi Rayegan Nahin Jata Kyun Ke Zindagi Ka Har Aasan Aur Takleef Deh Lamha Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ke Kisi Azeem Mansube Ka Hissa Hota Hai “Jo Kabhi To Jaldi Samajh Mein Aajata Hai Aur Kabhi Hamein Intezar Karna Padta Hai.”


✦..........► Aik Ghalti Ki Islah! ◄..........✦

●◗► Dekha Gaya hai ke Kisi Par Zulm o Zyadati Hone ki Surat Mein Zalim ko Bad Dua di jati hai ke Allah is Par bhi Aisa hi “Zulm” Kare.

Yaad Rakhen! Allah Ta'ala ki Taraf Zulm ki Nisbat Karna Durust Nahin, Allah Subhanahu Wa Ta'ala Quran Majeed Mein Farmate Hain: ⇨ “Aur Tumhara Rab Kisi Par Koi Zulm Nahin Karta.” (Surah Al-Kahf:49)

●◗► Lehaza is Qism Ke Alfaz Se Khud Bhi Ijtinaab Karen Aur Dusron Ko Bhi is Ki Talqeen Karen!

💖 Zindagi Mein Har Cheez Milti Hai Bus Zindagi Dene Wale Rab Par Yaqeen Rakho 💖

✦......► Maut Ke Baad Kaam Aane Wale 3 Aamal! ◄......✦

Allah's Messenger (ﷺ) as saying: "When a man dies, his acts come to an end, but three, recurring charity, or knowledge (by which people) benefit, or a pious son, who prays for him (for the deceased)."

[Sahih Muslim :: Book 13 :: Hadith 4005]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jab Insan Inteqal Kar Jata hai to Teen Aamal ke Alawah Tamam Aa’mal (Ke Ajr o Sawab ka Silsila) Us se Munqata ho Jata Hai. (Wo Teen Aamal ye Hain):

❶ Sadaqah Jariya
❷ Wo Ilm Jis se Nafa Uthaya Jaye
❸ Naik Aulad Jo us ke Liye Dua Karti Rahe.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.4 :: Hadith 4223]

●◗► Munqata: Yani ke us ke Aamal ka Silsila khatam hojata hai.

❤️ Rooth Jane Ke Baad Ghalti Chahe Jis Ki Bhi Ho Baat Ka Aagaz Wahi Karta Hai Jis Ko Be Panah Mohabbat Ho ❤️