✦ And who is better in speech than one who invites to Allah and does righteousness and says, "Indeed, I am of the Muslims. (Qur'an 41:33) ✦
Thursday, 24 January 2019
Friday, 4 January 2019
Hazrat Ibn Abbas
RadiyAllahu Anhu Farmate Hain:
Naik Aml Ki Wajah Se:
♥ Chehrah Par Raunaq Aati
Hai
♥ Dil Mein Noor Paida Hota
Hai
♥ Badan Mein Taqat o Quwwat
Aati Hai
♥ Rizq Mein Kushadgi Hoti
Hai
♥ Makhlooq Ke Dilon Mein Mohabbat
Paida Ho Jati Hai. (Jawab al kafi lil ibn Qayyim)
✦.......♥ Bacchon Par Nazre Bad Se Hifazat Ka Dum Karen! ♥.......✦
Hazrat Aisha RadiyAllahu
Anha Farmati hain ke (Aik Martaba) RasoolAllah (ﷺ) Tashreef laye aur Aik Bacche ke Rone ki Aawaz suni to Irshad
Farmaya:
“Tumhare is Bacche ko Kya
hua Ke Ye Ro Raha hai? Tum logon Ne is Bacche Par Nazre Bad Se Hifazat Ka Dum
Kyun Nahin Kiya?.” (Musnad Ahmad: 24486)
●═══════════════◄►══════════════●
Nazre Bad se Hifazat ke
liye Bacchon Par Subah o Sham Ye Masnoon Kalimat Padh kar Dum Karen:
اُعِيذُكَ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ
التَّامَّةِ، مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ، وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لَامَّةٍ
U'idhuka bikalimatillahi-Tammati,min kulli shaitanin wa hammatin,
Wa minkulli'ainin lammah
Tarjuma: Main Tumhen Allah
Ta’ala ke Kalimat Tama ki Panah mein Deta hun, Har Shaitan aur Zahrili bala ke
Dar se Aur Nazre bad ke Shar se. (Sahih Bukhari: 3371)
عن عائشة قالت دخل النبي صلى الله
عليه و سلم فسمع صوت صبي يبكي فقال ما لصبيكم هذا يبكي فهلا استرقيتم له من العين
(مسند أحمد :24486 حديث حسن)
✦.......♥ Tarbiyate Aulad Ka Bunyadi Usool ♥.......✦
Tum Apne Bacchon Ko Allah Ta’ala
Ke Huqooq Ada Karna Sikhao Allah Ta'ala Khud Hi Tumhare Bacchon Ko Waldain Ke
Huquq Ada Karna Sikhaden Ge.
(Latayefe Quraniya, Surah
Luqman, Aayat:14)
✦............► Kis Baat Ki Khushi ◄............✦
● Hamari Zindagi ka Aik
Saal Kum Ho Gaya.
● Ham Apni Maut Aur
Aakhirat ke Mazeed Qareeb Ho Gaye.
● 2018 Mein Ham Allah
Ta’ala ki Nafarmani aur Gunahon Mein Lage Rahe.
● 2018 Mein Sham, Burma,
Philistine Aur Kashmir Mein Hazaaron Mard, Aurten, Aur Bacche Shaheed Aur Be
Ghar Kar Diye Gaye. Phir Khushi Kis Baat
Ki?
●◗► Hamen To Allah Ta’ala Ke Samne Gidgida Kar
Tauba o Astaghfar Karna Chahiye.
Allah's Messenger (ﷺ) said: "The hour shall not be established until time is constricted, and the year is like a month, a month is like the week, and the week is like the day, and the day is like the hour, and the hour is like the flare of the fire."
[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2332]
Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: "Qayamat us Waqt tak Qayem Nahin Hogi Jab tak Zamana Aapas Mein Bahot Qareeb na Ho Jaye (Yani Shab o Roz ki Gardish Bahot Taiz Na Ho Jaye), Chunanche Saal Mahine ke Barabar, Mahina Hafte ke Barabar, Hafta Dinon ke Barabar Aur Din Ghante ke Barabar Ho Jayega, Aur Ghante ka Dauraniya Itna hi Reh Jayega ke Jitni dair Mein Aag ka Sho’al Aikdum Bhadak kar Bujh jata Hai."
[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 213]
⇨ "And those who do not witness falsehood, and if they pass by some evil play or evil talk, they pass by it with dignity." (Qur’an 25:72)
✦.......♥ Maal Mein Izafa Aur Barkat Ke Asbab ♥.......✦
❶ Zakat Ki Adayegi
❷ Sadqa Ka Mamool
❸ Astaghfar Ki Kasrat
❹ Waldain Se Husn Sulook
❺ Rishtedaron Se Accha
Sulook
❻ Allah Par Etemad
❼ Halal Tariqe Se Kamana.
✦..........♥ Jumah Ka Mubarak Din Masnun Aamal ♥..........✦
❶ Miswak Karna
❷ Ghusul Karna
❸ Umdah Kapde Zeb Tan Karna
❹ Tail Aur Khushbu Waghera
Lagana
❺ Namaze Juma Ke Liye
Paidal Jana
❻ Masjid Jaldi Pahochna
❼ Imam Ke Qareeb Baithna
Aur Khutba Ghor Se Sunna
❽ Surah Kahf Ki Tilawat
Karna
❾ Kasrat Se Durood Shareef
Padhna
❿ Duao Ka Ehtemam Karna
(Bilkhusoos Ghuroob Se Kuch Dair Qabl, Qubuliyate Dua Dua Ki Ghadi Hai).
✦.......► Sone Se Qabl Aag Zaroor Bujhaden! ◄.......✦
Narrated Abu Musa RadiyAllahu Anhu: One night a house in Medina was burnt with its occupants. The Prophet (ﷺ) spoke about them, saying, "This fire is indeed your enemy, so whenever you go to bed, put it out to protect yourselves." (Sahih al-Bukhari: 6294)
Urdu Translation: Hazrat Abu Musa RadiyAllahu Anhu Se Riwayat hai Ke Madinah Munawwarah Mein Aik Ghar Raat ke Waqt Jal Gaya, RasoolAllah Ko is Ke Mutalliq Bataya Gaya to Aap (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Aag Tumhari Dushman Hai, Is Liye Jab Sone Lago To Use Bujha Diya Karo.” (Sahih Bukhari: 6294)
✦.......► Tilawate Quran Ke Mawaqe Ko
Ghaneemat Janen! ◄.......✦
►Jail aur Qaid Khane Mein
Maujood Qaidi Chahta Hai Ke Use Quran Majeed ka Nuskha Mil Jaye Ta ke Wo
Tilawat Kar ke Apni Tanhayi aur Wahshat Door kar Sake.
►Hospital Mein Pada Mareez
khuahesh Karta hai ke Use Quran Majeed Padhne ki Taqat Mil Jaye Ta ke Wo
Tilawat Kar ke Apne Marz ki Takleef Mein Kami Aur Tashaffi Mahoos Kar Sake.
►Faut Shudah Shaks Ye
Khuahesh karta Hai ke Use Tilawat Karne ka Dubarah Moqa Mile Ta Ke Wo Tilawat
kar Ke Apne Darjat Buland Karwa Sake.
Aur Ham Tandurust o Tawana
Aur Zindah Logon Ka Haal Kya Hai?
►Aaj Quran Majeed ki
Tilawat Hamari Dastaras (Qudrat) Aur Isteta’at Mein hai, Lekin Tilawat Kiye
Baghair Hafte Aur Mahine Guzar Jate Hain, Kya Ham is Baat ke Muntazir Hain ke
Quran Majeed ko Padhne Ki Khuahesh Us Waqt Karen Jab Wo Hamari Dastaras Mein hi
Na ho?
💖 Miyan Biwi Har Dukh Dard Mein Aik Dusre Ke Sathi Hote Hain Allah Paak Har Miyan Biwi Ke Pyar Ko Hamesha Salamat Rakhe..!! آمین یا رب العالمین 💖
💐 Khuloos Aur Acchayi Sirf Alfaz Mein Nahin Apni Niyyat Aur Fitrat Mein Bhi Paida Karen Ta Ke Aap Logon Ke Aaib Nahin Un Ki Khubiyan Dekh Payen 💐
✦.........► Logon Mein Mahboob Shaks ◄.........✦
➲ Tawaze Se Rehne Wala
➲ Acche Kamo ko Pasand Karne
Wala
➲ Har Baat Mein Sach Kehne
Wala
➲ Har Aik Se Khush Rehne
Wala
➲ Hamdardi Karne Wala
➲ Madad Mein Jaldi Karne
Wala
➲ Narm Guftagu Karne Wala
➲ Muskurakar Milne Wala
➲ Baat Tawajje Se Sunne Wala
➲ Behad Mohabbat Karne Wala
➲ Tana Zani Se Bachne Wala
➲ Badon Ka Adab Karne Wala
➲ Choton Par Shafqat Karne
Wala
➲ Majlis Mein Badayi Jatane
Se Parhez Karne Wala
➲ Apne Dili Ehsasat Ka
Izhaar Karne Wala.
✦..........♥ Allah Ta’ala Ke 4 Wade ♥..........✦
❶ Wo Iman Jis Mein Lazzat Ho
❷ Wo Aankh Jis Mein Haya Ho
❸ Wo Sina Jis Mein Quran Ho
❹ Wo Dil Jis Mein Allah Ka Dar Ho
❺ Jannat Mein Wo Makan
❻ Jo Aap ﷺ Ke Pados Mein Ho
❼ Wo Zindagi Jis Mein Islam Ho
❽ Wo Qabr Jis Mein Sukoon Ho.
✦.......►
Ibadat Mein Lazzat Kyun Nahin ◄.......✦
► Jis Tarah Bimar Hone Ki
Surat Mein
► Khane Ki Lazzat Mahsus
Nahin Hoti
► Is Tarah Gunahon Ki
Maujudgi Mein
► Ibadat Ki Lazzat Mahsus
Nahin Hoti.
✦.......♥
Allah Ta’ala Ke 4 Wade ♥.......✦
❶ Shukr : “Agar Tum Shukr Karoge To Main
Zyadah Ata Karunga.”
❷ Zikr : Mera Zikr Karo, Main Tumhen Yaad
Karunga.”
❸ Dua : Mujh Se Dua Mango, Main Qubool
Karunga.”
❹ Astaghfar : Agar Wo Astaghfar Karte
Rehte To Allah Ta’ala Un Ko Azab Na Deta.”
💐 Acche To Sabhi Hote Hain Bus Pehchan Bure Waqt Mein Hoti Hai 💐
✦.........►
Sharmindagi Se Bachne Ki Mohlat ◄.........✦
Imam Ahmad Bin Hanbal
Rahimahullah Ka Qeemti Farman:
❶ Dunya Aml Ka Ghar Hai
❷ Aur Aakhirat Badle Ka Ghar
❸ Jo Yahan Aml Nahin Karega
❹ Wo Wahan Nadamat Uthayega.
(Az-Zohd Al-Imam Baihiqi:282)
Subscribe to:
Posts (Atom)