Friday, 20 March 2020

✦.......► Cheenkne Ke Nabwi Aadab ◄........✦

Narrated Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu: That when the Prophet (ﷺ) would sneeze, he would cover his face with his hand or with his garment, and muffle the sound with it.

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 5 :: Book 41 :: Hadith 2745]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke RasoolAllah ﷺ Cheenk Ke Waqt Apne Chehre Ko Kapde Ya Daste Mubarak (Hathon) Se Dhaank Liya Karte Aur Aawaz Ko Past Farma Liya Karte.

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 645]


✦.......► Wabai Bimariyan Kyun Aati Hain? ◄........✦

It was narrated that ‘Abdullah bin ‘Umar said: The Messenger of Allah (ﷺ) said to us: “….Immorality never appears among a people to such an extent that they commit it openly, but plagues and diseases that were never known among the predecessors will spread among them…”

Urdu Translation: Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Anhuma Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “…Jab Bhi Kisi Qaum Mein Be Hayai Aam Ho Jaye Aur Log Us Ka Irtekab Elaniya Karne Lagen To Un Mein Taoon Aur Aisi Aisi Bimariyan Phail Jati Hain Jo Un Ke Aaba o Ajdaad Ke Zamane Mein Na Thin….”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 36 :: Hadith 4019, 4019]


✦....► (Infectious) Kya Bimariyan Mutaddi Hoti Hain? ◄....✦

Shariate Mutahrah, Mutaddi (Infectious) Samjhi Jane Wali Bimariyon Ke Mutaddi (Infectious) Hone Ka Inkar Nahin Karti Balke Sirf Aqide Ki Durustugi Ki Taraf Tawajje Dilati Hai Ke Is Muamle Mein Asal Cheez Allah Ki Mashiyat Hi Ko Samajhna Chahiye Na Ke Kisi Bimari Ko, Kyun Ke Koi Bimari Bazate Khud Mutaddi (Infectious) Nahin Hoti Balke Wo Agar Kisi Ko Lagti Hai To Allah Ke Hukum Se Hi Lagti Hai. 

Lehaza Bimari, Jaraseem Aur Virus Ke Hawale Se Ye Samajhna Ke Ye Aik Insan Se Dusre Insan Mein Muntaqil Nahin Hote Ghalat Hai, Ye Allah Ke Hukum Se Muntaqil Hote Hain Aur Allah Aur Us Ke Rasool ﷺ Ne Hi Ehtiyati Tadabeer Ekhtiyar Karne Aur Ilaj Karne Ka Hamen Hukum Diya Hai, Lehaza Wabai Marz Ke Phailao Aur Mutaddi (Infectious) Hone Se Bachao Ki Jo Ehtiyati Tadabeer Deendar Mahireene Sahet Bata Rahe Hain Un Par Aml Karna Zaroori Hai.


❤️ Apni Biwi Ka Dil Se Shukriya Ada Karen Jo Maut Ki Wadi Se Ho Kar Aap Ko Baap Banne Ki Khushi Deti Hai ❤️


✦...► Wabai Aur Mutaddi Amraz Mein Mubtela Marizon Ko Isolation Ward Mein Rakhna ◄...✦

Allah's Messenger (ﷺ) said: “A sick person should not be taken to one who is healthy.”

Urdu Translation: RasoolAllah  ﷺ Ne Irshad Farmaya:  “Bimar Oont Ko Tandrust Oont Ke Paas Na Le Jao.”

●◗► Mutasirah Mareezon Ko Sahet Mand Logon Se Alag Thalag Kar Ke Isolation Ward Mein Rakhne Ki Ehtiyati Tadabeer Ka Is Mubarak Hadees Se Pata Chalta Hai.


✦...► Wabai Amraz Mein Marne Wale Musalman ◄...✦
✦...........♥ Shahadat Ke Rutbe Par Fayiz ♥............✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "one who dies of plague is a martyr;."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Taoon (Ki Waba) Mein Mar Gaya Wo Shaheed Hai.”

[Sahih Muslim :: Book 20 :: Hadith 4706, 1915]


⇨ "Hamara Rab Wo Hai Jis Ne Har Cheez Ko Wo Banawat Ata Ki Jo Us Ke Munasib Thi, Aur Phir Us Ki Rahnumayi Bhi Farmayi." (Al-Quran, Surah Taha:50)

⇨ "Our Lord is He Who gave to each thing its form and nature, then guided it aright." (Al-Quran, Surah Taha:50)


❤️ Waqt Beshak Bahot Le Gayi Zindagi Par Shukr Hai Rishton Ki Sahih Pehchan De Gayi ❤️



✦.......► Ghusse Ke Waqt Kya Karen? ◄........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said to us: When one of you becomes angry while standing, he should sit down. If the anger leaves him, well and good; otherwise he should lie down.

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 4764, 4782]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jab Tum Mein Se Kisi Ko Ghussa Aaye To Agar Wo Khada Ho To Baith Jaye, Agar Ghussa Khatam Ho Jaye To Theek Warna Phir Lait Jaye.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1354]



✦....♥ Ummate Muhammadi  ﷺ Ki Roze Qayamat Pehchan ♥....✦

Allah's Messenger (ﷺ) say: “My people would come with bright faces and bright hands and feet on account of the marks of ablution,”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Meri Ummat Qayamat Ke Din Is Tarah Aayegi Ke Wudu Ke Asar Ki Wajah Se Un Ke Chehre, Hath Aur Paon Chamak Rahe Hon Ge.”

[Sahih Muslim :: Book 2 :: Hadith 478, 246]


✦.............► C O R O N A V I R U S ◄.............✦
►► Pareshani Nahin Bus Ehtiyat Ki Zarurat ◄◄

❶ Apne Hathon Ko Baqayedgi Se Sabun Ya Saaf Pani Se Dhoyen Ya Hath Saaf Karne Wala Lotion Istemal Karen 

❷ Khansi Ya Cheenk Aane Par Muh Aur Naak Ko Tissue Ya Aasteen Se Dhanpen, Hath Se Hargiz Na Dhanpen 

❸ Bimari Ki Surat Mein Logon Ko Gale Milne Ya Hath Milane Se Gurez Karen 

❹ Bukhar, Khansi Aur Sans Lene Mein Dushwari Ki Surat Mein Doctor Se Ruju Karen

❺ Aaludah Ya Gande Hathon, Aankh, Naak, Ya Muh Ko Mat Chuyen 

❻ Istemal Ke Baad Tissue Ko Munasib Tariqe Se Zaye Karen

❼ Agar Aap Ko Khansi Ya Bukhar Hai To Logon Se Kam Az Kam Aik Meter Ka Fasla Rakhen.



✦...........►Surah Al-Kahf Ke Fazayel ◄...........✦

❶ Baitullah Shareef Tak Noor hi Noor: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Jumah ke Din Surah Al-Kahf ki Tilawat Kare to Jis Jaga Wo Tilawat karta hai Wahan se Lekar Makkah Mukarramah tak ka Tamam Fasla Noor se Munawwar ho jata hai. (Sunan an-Nasa’i: 10788)

❷ Aik Jumah Se Dusre Jumah Tak Noor: Nabi Akram (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Jumah ke Din Surah Kahf Padhta Hai to us ke Liye Doosre Jumah tak Noor Jagmagata Rehta Hai.” (Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim: 3392)

❸ Dajjal Se Hifazat Ka Zariya: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Surah Al-Khaf ko Aise hi Padhe Jaise ke Wo Utari Gayi hai (Yani Tajweed ke Sath Acche Andaz Se) Aur Phir Wo Dajjal Ko Paale To Dajjal us Par Musallat Nahin Ho Sakega.” (Sunan an-Nasa’i: 10790)

❹ Ibtedayi 10 Aayat Yaad karne ki Fazilat: Nabi Akram (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Surah Kahf ki Ibtidayi (Starting) 10 Aayat Yaad kare Ga Wo Dajjal ke Fitne Se Bacha liya Jayega.” (Sunan an-Nasa’i: 10790)

❺ Aakhri 10 Aayat ki Fazilat: Nabi Akram (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jis Shaks Ne Surah Kahf Ki Aakhri (Ending) 10 Aayat Yaad kiyen Aur Phir Dajjal Nikal Aaya To Dajjal us Par Ghalba Nahin Pasake ga.” (Sunan an-Nasa’i: 10790)


✦.......► C O R O N A V I R U S  Wabayi Bimari ◄.......✦

The Prophet (ﷺ) said, "If you hear of an outbreak of plague in a land, do not enter it; but if the plague breaks out in a place while you are in it, do not leave that place."

RasoolAllah  ﷺ Ne Farmaya: “Jab Tum Kisi Zameen Ke Bare Mein Suno Ke Wahan Taoon Phail Gaya Hai To Wahan Na Jao Aur Agar Wo Aisi Zameen Mein Phail Jaye Jahan Tum Maujood Ho, To Wahan Se Na Niklo.

[Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Book 71 :: Hadith 624, 5728]


●◗► Ghalti Ho Jaye To Maan Len Aur Ghalat Fehmi Ho Jaye To Door Karlen.


●◗► Apne Kanon Par Pade Jhoot, Tohmat, Ilzam Tarashi, Gheebat Badgumani Aur Afwahon Ke Kachre Ko Saaf Rakhen Dil Saaf Rahega.



Irshad Khudawandi Hai: Yaqinan Tum Par Kuch Nigran Farishte Muqarrar Hain Wo Muazzaz Likhne Wale Jo Tumhare Sare Kamon Ko Jante Hain. (Surah Al-Infitar: 10,11,12)


✦…......♥ Ahl o Ayal Pe Kharch Karna ♥…......✦

The Prophet (ﷺ) said, "When a Muslim spends something on his family intending to receive Allah's reward it is regarded as Sadaqa for him."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Jab Musalman Apne Ghar Walon Par Koi Kharch Karta Hai Aur Us Par (Allah Se) Sawab Ki Ummid Rakhta Hai To Ye Us Ke Liye Sadaqah Hai.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 64 :: Hadith 263, 5351]


●◗► Apne Muhalle Mein Ijtemayi Madafiat Aur Hifazat Ka Mahol Banayyen! Hifazat Khud Ekhtiyari Mein Ye Baat Bhi Dakhil Hai Ke Musalman Apne Muhalle Mein Ijtemayi Mudafiat Aur Hifazat Ka Mahol Banayyen, Yani Agar Aik Be Qusoor Shaks Par Hamla Ho, Ya Muhalle Ke Kisi Makan Par Yalghar Ho Jaye To Tamam Log Jaan Par Khel Kar Us Ki Hifazat Karen, Har Shaks Us Ko Apne Aap Par Hamla Tasawwur Kare Aur Muqabla Karne Ke Liye Uth Khada Ho, Ye Baat Ke Har Aadmi Apni Bari Ka Intezar Kare Aur Yeke Baad Digare Supurdgi Ekhtiyar Karta Jaye, Ghair Danishmandana, Khud Gharzi Aur Halakat Khaiz Buzdili Balke Khud Kashi Hai, Ijtemayi Quwwat Muassar Bhi Hoti Hai Aur Is Ke Sath Allah Ta’ala Ki Madad Bhi Shareek Haal Rahti hai, Isi Ko RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke Jamat Ke Sath Allah Ki Madad Hai, Albatta Ye Zaroori Hai Ke Aisi Ijtemaiyat Ki Qiyadat Saleh, Sanjidah Aur Door Andesh Logon Ke Hathon Ho, Na Ke Shar Pasand, Bad Maashi Aur Mushtaal Mizaj Logon Ke Hath Mein, Ke Aisi Surat Mein Faidah Se Zyadah Nuqsan Ka Andesha Hai. (Maulana Khalid Saifullah Rahmani Sahab)


✦........► Jab Tilawate Quran Mein Susti Hone Lage ◄........✦

To Yaad Rakhen! Quran Kareem Ke Huroof Ki Tadad 3 Lakh 23 Hazar 71 Hai, RasoolAllah ﷺ Ke Farman Ke Mutabiq Har Harf Ki Tilawat Par 10 Nekiyan Likhi Jati Hain. (Jami` at-Tirmidhi: 2910) Is Hisab Se: 

⇨ Aik Ruku Ki  Tilawat Par Taqriban 5 Hazar Nekiyan
⇨ Aik Pare Ki Tilawat Par 1 Lakh Nekiyan
⇨ Aik Quran Khatam Karne Par Taqriban 30 Lakh Nekiyan

Darje Bala Nekiyan To Kam Se Kam Aur Hamare Hisab Ke Mutabiq Hain Warna  “Aur Allah Jis Ke Liye Chahta Hai (Sawab Mein) Kayi Guna Izafa Farma Deta Hai.” (Surah Al-Baqarah:261)


❤️ Koshish Itni Hai Ke Koi Ruthe Na Ham Se Warna Nazar Andaz Karne Walon Se Nazar Ham Bhi Nahin Milate ❤️



●◗► Saudi Shehriyon Ke Umre Aur Masjide Nabwi Ki Ziyarat Par Bhi Pabandi Coronavirus Qahre Khudawandi Ki Alamat!

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Is Qadar Naraz Hain Ke Musalmanon Par Al-Masjid Al-Haram Aur Masjide Nabwi Ke Darwaze Band Kardiye Aur Aisa Islami Tareekh Mein Pehle Kabhi Nahin Hua, Dunya Bhar Mein Hazaron Mutamireen Airports Par Ruke Hue Hain Aur Makkah Aur Madiah Ki Taraf Jane Wali Fizayi Routes Bhi Muattal Hain. 

Yaad Rakhen! Ye Faisle Insanon Ya Hukmuranon Ke Nahin Balke Ye Aasmani Faisle Hain Aur Is Par Puri Ummate Muslima Ko Ruju IlaAllah, Tauba o Astaghfar Aur Gid Gida Kar Ye Dua Mangne Ki Zarurat Hai Ke Aye Allah! Ham Gunah Garon Ko Al-Masjid Al-Haram Aur Masjide Nabwi Ki Barkaat Se Mahroom Na Farma Aur Ham Par In Muqaddas Muqamaat Ke Darwaze Band Na Farma!!! Aameen


✦...........► Corona Virus Aur Latife! ◄...........✦

Coronavirus Ke Cases Samne Aane Ke Baad Corona Virus Ke Hawale Se Maskharah Pan Aur Latife Gardish Mein Hain, Koi Keh Raha Hai Ke “Pehle Se Virus Zadah Qaum Ko Corona Virus Kya Nuqsan Pohnchayega?” “Koi Mask Ki Jagah Muh Par Pamper Bandhe Logon Ko Tafreeh Faraham Kar Raha Hai.” Wagherah Wagherah, Gharz Har Aadmi Ko Maskharah Pan Sujha Hua Hai, Yaad Rakhen Aise Moqe Par Maskharah Pan, Dilon Ki Sakhti Aur Allah Ki Narazgi Ki Alamat Hai, Momin In Halaat Mein Aahozari, Tauba o Astaghfar Aur Ruju IlalAllah Ka Ehtemam Karta Hai Na Ke Tanz o Mazah Ke Zariye Allah Ki Taraf Se Aamadah Musibat Ka Mazaq Udata Hai. 

Irshade Khudawandi Hai: “Pus Jab Hamari Taraf Se Un Par Sakhti Aayi To Kyun Na Unhon Ne Aajizi Ekhtiyar Ki? Magar Un Ke Dil To Aur Sakht Hogaye Aur Shaitan Ne Un Ko Itminan Dilaya Ke Jo Kuch Tum Kar Rahe Ho Khoob Kar Rahe Ho.” (Al-Quran, Surah Al-An'am:43)



✦...........► Mauzi Hashrat Ul Arz Se Hifazat ◄...........✦

Abu Huraira RadiyAllahu Anhu reported that a person came to Allah's Messenger (ﷺ) and said:" Allah's Messenger, I was stung by a scorpion during the night. Thereupon he said: Had you recited these words in the evening:"

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ ‏.
 (Audhu bi kalimati'llahi't-tammati min sharri ma khalaq.)
I seek refuge in the Perfect Word of Allah from the evil of what He created," it would not have done any harm to you.

[Sahih Muslim  :: Book 35 :: Hadith 6541, 2709]

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Aik Shaks Nabi Akram ﷺ Ki Khidmat Aqdas Mein Hazir Hua Aur Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Mujhe Raat Bicchu Ke Kaatne Se Bahot Taklif Hui, Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: Agar Tum Sham Ke Waqt Ye Kalimat Keh Lete

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ ‏.
To Tumhen Bicchu Kabhi Nuqsan Na Pohnchata.

[Sahih Muslim  :: Book 35 :: Hadith 6541, 2709]



❤️ Ya Allah! Corona Virus Mein Mubtela Marizon Ka Ilaaj Karne Wale Doctor's Ki Tu Hifazat Farmana. Aameen ❤️


●◗► “Baap” Wo Azeem Insan Hai Jo Aulad Ko Taraqqi Ke Manazil Tay Karwane Ki Koshishon Mein Apni Jawani Aur Puri Zindagi Kharch Kar Dalta Hai.



✦.....► Mardon Ke Liye Sab Se Khatar Naak Fitna! ◄.....✦

Allah's Messenger (ﷺ) as saying: "I have not left after me turmoil for the people but the harm done to men by women."

[SahihMuslim :: Book 36 :: Hadith 6604, 2741]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Main Ne Apne Baad Mardon Ke Liye Aurton Ke Fitne Se Badh Kar Nuqsan Dene Wala Aur Koi Fitna Nahin Chhoda Hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6945, 7122]

●◗► Hadees Bala Mein Aurton Se Murad Wo Na Mahram Aurten Hain Jin Ke Husn Aur Adaon Se Mutassir Ho Kar Mard Hazrat Apni Dunya Aur Aakhirat Tabah Kar Baith Te Hain, Tareeq Shahed Hai Ke Islam Dushman Taqaton Ne Isi Fitne Ke Zariye Badi Badi Muslim Saltanaten Takht o Taraj Kardin, Bade Bade Unche Aur Muaz’zaz Khandan Tahes Nahes Kardiye Aur Aaj Bhi Jadeed Tehzeeb, Aazadi Aur Roshan Khayali Ke Naam Se Fahashi o Uryani Ka Wahi Khatarnak Khel Khela Ja Raha Hai Jis Se RasoolAllah ﷺ Ne 1400 Saal Qabl Aagah Farma Diya Tha.


✦...........♥ 4 Qabile Ehteram Mahine! ♥...........✦

⇨ "Haqiqat Ye Hai Ke Allah Ke Nazdeek Maheenon Ki Ta’dad 12 Mahine Hai Jo Allah Ki Kitab (Lohe Mahfooz) Ke Mutabiq Us Din Se Nafiz Chali Aarahi Hai Jis Din Allah Ne Aasman Aur Zameen Ko Paida Kiya Tha, In (12 Mahinon) Mein 4 Mahine (Dhul Qa’dah, Dhul Hijjah, Muharram Aur Rajab) Wajib Ul Ehteram Hain, Yahi Deen (Ka) Seedha Sadah (Taqaza) Hai, Lehaza In Mahinon Ke Muamle Mein (Baham Jang Kar Ke) Apni Janon Par Zulm Na Karo.” (Quran Surah At-Tawbah: 36)

⇨ "Verily, the number of months with Allah is twelve months (in a year), so was it ordained by Allah on the Day when He created the heavens and the earth; of them four are Sacred, (i.e. the 1st, the 7th, the 11th and the 12th months of the Islamic calendar). That is the right religion, so wrong not yourselves therein, and fight against the Mushrikun (polytheists, pagans, idolaters, disbelievers in the Oneness of Allah) collectively, as they fight against you collectively. But know that Allah is with those who are Al-Muttaqun (the pious - see V. 2:2). (Quran Surah At-Tawbah: 36)


✦.► Aalame Islam Ke Liye Tarikhi Din 29 February 2020 ◄..✦

⇨ “Aur Jis Ko Chahta Hai Izzat Bakhashta Hai Aur Jis Ko Chahta Hai Ruswa Kar Deta Hai,” (Al-Imran:26)

⇨ "And You endue with honour whom You will, and You humiliate whom You will,” (Al-Imran:26)


⇨ "(“Musalmano!) Tum Na To Kamzor Pado, Aur Na Ghamgeen Raho, Agar Tum Waqeyi Momin Raho To Tum Hi Sarbuland Hoge.” (Al-Imran:139)

⇨ "So do not become weak (against your enemy), nor be sad, and you will be superior (in victory) if you are indeed (true) believers." (Al-Imran:139)


✦....► Ummate Muslima Ke Liye Khuabe Ghaflat Se Bedari Ka Waqt! ◄....✦

Hindustani Police Ki Nazar Ke Samne Musalmanon Ke Qatl Aam, Masajid Aur Gharon Ko Nazar Aatish Kiya Ja Raha Hai, Shar Pasand Log Helmet Pahen Kar Police Ki Nigrani Mein Delhi Ke Musalmanon Ka Qatle Aam Kar Rahe Hain, Ab Tak 40 Se Zayed Musalman Shaheed Ho Chuke Hain. 

Musalmanon Ke Hukmuran Kahan Hain?
Muslim Mumalik Ka Media Kahan Hai? 

Yaad Rakhen! Musalman Bhaiyyon Ki Madad Karte Hue Agar Aap Ko Aur Hamen Maut Bhi Aajaye To Ye Dunya Ki Pur Aasayesh Zindagi Se Kayi Guna Behtar Hai, Afsos Sad Afsos Ummate Muslima Ki Behisi Par...…Ab Bhi Agar Ummate Muslima Is Barbariyat Ke Khilaf Na Uthi To Yaad Rakhen Allah Ki Pakad Badi Sakht Hai.



✦...........♥ Walid Jannat Ka Darwazah ♥...........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) saying: "The father is the middle gate to Paradise. So if you wish, then neglect that door, or protect it."

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Walid Jannat Mein Dakhile Ka Darmiyani (Sab Se Umdah Aur Aasan) Darwazah Hai, Ab Tum Is Darwaze Ko (Nafarmani Aur Bure Sulook Se) Zaye Karlo Ya (Ita’at o Farmanbardari Se) Is Ko Mahfooz Karlo."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 1900]


●◗► Masajid Mein Jum’ah Ke Khutbaat Sunkar Aisa Lagta Hai Ke Ye Khateeb Hazraat Kis Dunya Ke Bashinde Hain, Dunya Bhar Mein, Apne Mulk Mein, Apni Riyasat Mein Aur Apne Shaher o Mohalle Ke Kuch Aur Hi Halaat o Taqaze Hote Hain Aur Ye Khateeb Hazraat Ke Jum’ah Wale Bayanat Ki Dunya Koi Aur Hi Hoti Hai, Jo Aalim Apne Waqt Ke Halaat Aur Waqiaat Se Waqif Na Ho Aur Aain Waqt Par Qaum ki Rehbari Na Karen Wo Apne Aap Ko Aalim Kehne Ka 1% Bhi Mustahiq Nahin Hain. (Hazrat Maulana Khalilur Rahman Sajjad Nomani)