Wednesday, 2 February 2022

Ye Tasweer Kisi Pahad, Surang Ya Ghaar Ki Nahin Hai Balke Ye Insani Jism Mein Sui Ke Zakhm (Needle Puncture) Ki Hai, Sui Ke Chubhne Se Paida Hone Wale Surakh Ko Electronic Khordbeen (Microscope) Ki Madad Se Senkdon Guna Bada (Highly Magnified) Kar Ke Dikhaya Gaya Hai, Jadeed Technology Ki Madad Se Li Gayi Is Tasweer Mein Aur Insani Jild Ki Digar (Highly Magnified) Tasaweer Mein Insani Jild Mitti Ke Gare Ke Mushaba Nazar Aati Hai.

●◗► Irshade Khudawandi Hai: "Aur Ham Ne Insan Ko Sade Hue Gare Ki Khankhanati Hui Mitti Se Paida Kiya." (Al-Quran, Surah Al-Hijr:26)


✦...► Mobile Phone Ke Khangi Zindagi Par Tabah Kun Asrat! ◄...✦

▶ Aap Ki Muskurahat Mobile Phone Ke Sath
▶ Guftagu, Mobile Phone Ke Sath
▶ Soch o Fikr Aur Dimaghi Masrufiyat, Mobile Phone Ke Sath

●◗► Halan Ke Darje Bala Chizon Par Aap Ki Ahliya Aur Biwi Bacchon Ka Haq Hai, RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Tere Ghar Walon Ka Bhi Tujh Par Haq hai.” (Sunan Abi DawuD:1369)


✦......▶ Mehfil Wagherah Mein Baith Kar ◀......✦
✦.........▶ Mobile Mein Mashghuliyat ◀.........✦

It was narrated from Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu that: The Messenger of Allah (ﷺ) took a ring and put it on, then he said: "This distracted me from you all day, shifting my gaze from it to you (and back again)." Then he threw it away.

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Abbas RadiyAllahu Anhuma Se Riwayat Hai ke RasoolAllah ﷺ Ne Aik Anghothi Banwayi Aur Use Pehna, Aur Phir Farmaya: "Is Anghothi Ne Aaj Se Meri Tawajje Tumhari Taraf Se Baant Di Hai, Aik Nazar Ise Dekhta Hun Aur Aik Nazar Tumhen”, Phir Aap ﷺ Ne Woh Anghothi Utardi."

[Sunan an-Nasa’i :: Vol. 6 :: Book 48 :: Hadith 5291, 5289]

●◗► Majlis Ke Aadab Mein Se Hai Ke Insan Shurka Majlis Aur Mehmano Ko Chhod Kar Kisi Aur Cheez Mein Mashghool Na Ho, Aaj Kal Log Mehfil Mein Shurka Ko Chhod Kar Dair Tak Mobile Phone Aur Social Media Mein Mashghul Rehte Hain, Aisa Karna Khilafe Adab Hai.


Imam Kaba Ki Intehayi Mukhtasar Ahem Nasihat: Nabi Kareem ﷺ Ne Murghe Ko Gali Dene Se Mana Farmaya Is Liye Ke Woh Fajr Ke Waqt Jagata Hai, Jab Murghe Ko Gali Dena Jayez Nahin To Ulama Ko Gali Dena Kaise Jayez Ho Sakta Hai Jab Ke Woh Sari Zindagi Hamen Khuab Ghaflat Se Jagane Mein Sarf Kar Dete Hain." (Sheikh Saud Al-Shuraim Hafizahullah)


“Jab Dil Kisi Apne Se Be Panah Khafa Ho Jaye To Khamoshi Ekhtiyar Kar Lena Lekin Kadwi Baat Bol Kar Us Ki Dil Aazari Mat Karna.”

Kabhi Kabhi Khamoshi Hi Behtareen Jawab Hai!


✦.....♥ Hijama (Cupping Therapy) Har Bimari Se Shifa! ♥.....✦

The Prophet (ﷺ) said: "If anyone has himself cupped on the 17th, 19th and 21st it will be a remedy for every disease."

Urdu Translation: RasoolAllah g Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks (Chand Ki) 17, 19, Aur 21 Tareekh Ko Hijamah Karwaye To Use Har Bimari Se Shifa Hogi.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 28 :: Hadith 3852, 3861]


✦.....♥ Sahaba Karam RadiyAllahu Anhum Ke Auasaf! ♥.....✦

❶ Nazren: Nichi
❷ Khayalat: Unche
❸ Fikr: Wasee
❹ Dil: Narm
❺ Tabiyat: Faqeerana
❻ Zahen: Aalimana
❼ Chehra: Muskurana
❽ Zuban: Dilerana
❾ Akhlaq: Paighambari
❿ Muamlat: Diyanat Darana
⓫ Qadam: Nafs Par
⓬ Anjam: Arsh Par
⓭ Jawani: Jangi
⓮ Budhapa: Zahedana
⓯ Mohabbat: Talwar Se
⓰ Khof: Qahhar Se
⓱ Shoq: Shahadat ka
⓲ Aarzu: Jannat ki


✦.......♥ Kamal Darje Ki Diyanatdari Aur Ehtiyat! ♥.......✦

Allah's Messenger (ﷺ) said, "A man bought a piece of land from another man, and the buyer found an earthenware jar filled with gold in the land. The buyer said to the seller. 'Take your gold, as I have bought only the land from you, but I have not bought the gold from you.' The (former) owner of the land said, "I have sold you the land with everything in it.' So both of them took their case before a man who asked, 'Do you have children?' One of them said, "I have a boy.' The other said, "I have a girl.' The man said, 'Marry the girl to the boy and spend the money on both of them and give the rest of it in charity.'"

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "(Tum Se Pehle Logon Mein Se) Aik Shaks Ne Dusre Shaks Se Makaan Khareeda, Baad Azan Kharidar Ko Us Makan Mein Aik Matka Mila Jis Mein Sona Maujood Tha, Chunanche Us Ne Makan Farokht Karne Wale Se Kaha Ke Apna Sona Le Jao! Kyun Ke Main Ne Tum Se Ghar Khareeda Hai Sona Nahin, Makan Farokht Karne Wale Ne Kaha Ke (Main Nahin Le Sakta Kyun Ke) Main Ne Ghar Ko Tamam Saz o Saman Samait Tumhen Bech Chuka Hun.

Algharz Ye Donon Aik Teesre Shaks Ke Paas Faisla Karwane Gaye, Faisla Karne Wale Ne Un Dono Se Pucha: Kya Tumhari Koi Aulad Hai? Aik Ne Bataya Ke Mere Aik Ladka Hai Aur Dusre Ne Kaha Ke Meri Aik Ladki Hai, Faisla Karne Wale Ne Un Se Kaha Ke Ladke Ka Ladki Se Nikah Kardo Aur Sona Un Donon Par Kharch Kardo Aur Kuch Khairat Bhi Kardo!"

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 4 :: Book 55 :: Hadith 678, 3472]


“Aye Allah Jo Behnen Nikah Ke Intezar Mein Baithi Hain Jin Ki Umren Guzri Ja Rahi Hain Un Ke Liye Naik Rishton Ke Asbab Paida Farmade.” Aameen


✦.......♥ Miya Biwi Ke Liye Rehmat Ki Dua! ♥.......✦

A woman said to the Prophet (ﷺ): Invoke blessing on me as well as on my husband. The Prophet (ﷺ) said: May Allah send blessing on you and your husband.

Urdu Translation: Aik Sahabiya Ne Nabi Akram ﷺ Se Arz Kiya: Mere Aur Mere Shohar Ke Liye Rehmat Ki Dua Farma Dijiye! Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Allah Tujh Par Aur Tere Shohar Par Rehmat Nazil Farmaye.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 8 :: Hadith 1528, 1533]

‏ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْكِ وَعَلَى زَوْجِكِ ‏"


“Indeed, Allah will not change the condition of a people until they change what is in themselves.”

“Beshak Allah Kisi Qaum Ke Halaat Nahin Badalta Jab Tak Ke Woh Khud Nahin Badal Dete Us (Kaifiyat) Ko Jo Un Ke Dilon Mein Hai.”

(Qur’an, Surah Ar-Ra’d: 11)


“Hifze Quran Bahot Badi Nemat Hai, Sirf 3 Aayaat Rozana Chalte Phirte Yaad Karli Jiye, 6 Saal Mein Hafiz Quran Ho Jayenge.”


✦......► Qarza To Shaheed Ka Bhi Muaaf Nahin! ◄.......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: 'By the One in Whose hand is my soul, if a man were to be killed in the cause of Allah then brought back to life, then killed, but he owed a debt, he would not enter paradise until his debt was paid off,"

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Us Zaat Ki Qasam Jis Ke Qabze Mein Meri Jaan Hai! Agar Koi Aadmi Allah Subhanahu Wa Ta’ala Ke Raste Mein Shaheed Kiya Jaye, Phir Use Zindah Kiya Jaye Aur Phir Shaheed Kiya Jaye, Phir Zindah Kiya Jaye Aur Phir Shaheed Kiya Jaye Is Haal Mein Ke Us Ke Zimme Qarz Wajib ul Ada Ho To Aisa Shaks Us Waqt Tak Jannat Mein Dakhil Nahin Hoga Jab Tak Us Ki Taraf Se Qarz Ada Na Kar Diya Jaye.”

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 5 :: Book 44 :: Hadith 4688, 4684]


”Jo Mard Ye Samajh Le Ke Aurat Ka Dil Shishe Ki Tarah Nazuk Hota Hai Woh Hamesha Narmi Se Pesh Aayega Kyun Ke Aurat Acchi Ho Ya Buri Bewaquf Ho Ya Aqalmand Qabo Sirf Mohabbat Aur Izzat Se Hoti Hai.”


✦........► Mali Tangi Ke Waqt Mangi Jane Wali Dua! ◄.........✦

Hazrat Abdullah bin Mas'ud RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ke Paas Aik Mehman Aaya, Aap ﷺ Ne Khana Lane Ke Liye (Aik Admi Ko) Apni Azwaje Mutahrat Ke Paas Bheja Lekin Un Mein Se Kisi Aik Ke Paas Bhi Khana Na Mila, To Aap ﷺ
Ne Ye Dua Ki:

" اللهم إني أسألك من فضلك ورحمتك فإنه لا يملكهما إلا أنت "
"Aye Allah Main Aap Se Aap Ka Fazl Aur Rehmat Ka Sawal Karta Hun, Beshak Aap Ke Siwa Is Ka Koi Malik Nahin."

Chunanche Aap ﷺ Ke Paas Bhuni Hui Bakri Ka Tohfa Laya Gaya, To Aap ﷺ Ne Farmaya: Ye Allah Ka Fazl Hai Aur Ham Usi Ki Rehmat Ka Intezar Karte Hain." (Majma al-Zawa'id: 17274)

عن عبد الله يعني ابن مسعود - قال : أضاف النبي صلى الله عليه و سلم ضيفا فأرسل إلى أزواجه يبتغي عندهن طعاما فلم يجد عند واحدة منهن فقال : " اللهم إني أسألك من فضلك ورحمتك فإنه لا يملكهما إلا أنت " . فأهديت إليه شاة مصلية ( مشوية ) فقال : " هذه من فضل الله ونحن ننتظر الرحمة "
(مجمع الزوائد : 17274 ، رجاله رجال الصحيح غير محمد بن زياد البرجمي وهو ثقة )


“Logon Par Jitna Aitebar Bhi Ho Magar Un Ke Liye Apni Zindagi Ke Kamron Mein Sirf Mehmanon Wala Kamrah Hi Kholen.”


Munafiq Ki Alamat! Hazrat Wahb ibn Munabbih Rahimahullah Farmate Hain: "Munafiq Ki Alamaat Mein Se Hai Ke Tareef Ko Pasand Karta Hai Aur Mazammat Par Naraz Hota Hai.” (Musannaf Ibn Abi Shaybah:36325)


“Zyadah Sochna Insan Ko Khatam Kar Deta Hai, Bus Dua Karo Aur Sab Kuch Apne Rabbul Alameen Par Chhod Do, Jo Itni Badi Kainaat Ko Itne Khoobsurat Rangon Se Bhar Sakta Hai To Kya Use Tum Nazar Nahin Aarahe Hai, Kya Woh Tumhari Zindagi Aise Hi Berang Rehne Dega, Bus Apne Rabbul Alameen Par Kamil Yaqeen Rakho, InshaAllah Woh Tumhari Zindagi Bhi Tumhare Pasandidah Rangon Se Bhar Dega.”


✦........► Covid-19 Se Bachao Ki Ehtiyati Tadbeer ◄.........✦
♥ Cheenkte Waqt Sunnate Rasool ﷺ Par Aml Karen! ♥

Narrated Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu: "That when the Prophet (ﷺ) would sneeze, he would cover his face with his hand or with his garment, and muffle the sound with it."

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke RasoolAllah ﷺ Jab Cheenkte To: "Apne Chehrah Mubarak Ko Daste Mubarak (Hathon) Se Dhanp Lete, Ya Chehrah Mubarak Ko Kapde Se Dhanp Lete, Aur Cheenkne Ki Aawaz Ko Past Farma Lete."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 5 :: Book 41 :: Hadith 2745]


✦.......► Pahad Jitna Qarz Bhi Ada Hojaye Ga! ◄.......✦

Ali [may Allah be pleased with him] narrated: That a Mukatib came to him and said: “Indeed I am not capable of my Kitabah so aid me.” He said: “Should I not teach you words that the Messenger of Allah (ﷺ) taught me? If you had a debt upon you similar to the mountain of Sir, Allah would fulfill it for you. He said: ‘Say:

O Allah, suffice me with Your lawful against Your prohibited, and make me independent of all those besides You (Allāhummakfinī biḥalālika `an ḥarāmika, wa aghninī bi faḍlika `amman siwāka).’”

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Ali bin Abi Talib RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Aik Makatib (Yani Mutay’yan Maal Ki Adayegi Ki Shart Par Aazad Hone Wala Ghulam) Un Ke Paas Aaya Aur Arz Kiya Ke Main Apni Aazadi Ke Liye Mutay’yan Raqam Ki Qiston Ko Ada Karne Se Aajiz Aagaya Hun, Unhon Ne Farmaya:

“Main Tumhen Woh Dua Sikhata Hun Jo Mujhe RasoolAllah ﷺ Ne Sikhayi Thi, Agar Tum Par Pahad Jaisa Bhari Qarz Bhi Ho To Allah Subhanahu Wa Ta'ala Use Ada Kar Dega, Ye Dua Padho:

(Allāhummakfinī biḥalālika `an ḥarāmika, wa aghninī bi faḍlika `amman siwāka).’” Tarjumah: “Aye Allah! Mujhe Apne Halal Ke Zariye Apne Haram Se Tu Kafi Hoja, Aur Apni Maherbani Se Apne Siwa Har Cheez Se Mujhe Be Parwah Karde.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 46 :: Hadith 3563, 3563]

"‏ اللَّهُمَّ اكْفِنِي بِحَلاَلِكَ عَنْ حَرَامِكَ وَأَغْنِنِي بِفَضْلِكَ عَمَّنْ سِوَاكَ ‏"


✦......► Shohrat o Namwari Ke Chakkar Mein Na Paden! ◄......✦

Kamyabi Ke Liye Zaroori Nahin Ke Aap Ka Naam Ho Aur Tareekh Mein Aap Ka Tazkerah Kiya Jaye, Bahot Se Anbiyae Karam Aise Bhi Guzre Hain Jin Ka Tazkerah Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ne Nahin Farmaya Halan Ke Woh Dunya o Aakhirat Mein Aala Darje Ke Kamyab Hain, Irshade Khudawandi Hai:

"Aur Bahot Se Rasool Aise Hain Jin Ke Waqiyaat Ham Ne Aap Ko Nahin Sunaye." (Surah An-Nisa: 164)

Lehaza Apne Tazkere Aur Naam Ki Parwah Kiye Baghair Kaam Kiye Jayen, Allah Subhanahu Wa Ta'ala Qadardan Hai, Woh Aap Ke Kaam Aur Mehnat Ko Dekh Raha Hai.


“Log Hasad Insan Se Nahin, Balke Uski Zindagi Mein Maujood Sukoon, Khushiyon Aur Us Ko Muyassar Nematon Se Karte Hain!”


“Ham Kisi Ke Dil Mein Jhank Nahin Sakte Ye Jaan Nahin Sakte Ke Kon Hamare Sath Kitna Mukhlis Hai Lekin Waqt Aur Rawayye Jald Hi Ye Ehsas Dila Dete Hain.”


✦.......► Takabbur Ruswayi Ka Sabab! ◄.......✦

●◗► Takabbur Chahe Daulat ka ho, Taqat ka ho, Rutbe ka ho, Haisiyat ka ho, Hasab o Nasab ka ho, Husn ka ho, Ilm ka ho, Hatta ke Taqwa ka hi Kyun Na ho, Insan ko Ruswa kar ke Chhodta hai.


✦.........► Marne Walon Ko Muaaf Karden! ◄.........✦

Agar Aap Ka Koi Qareebi Rishtedar, Dost, Padosi Ya Koi Bhi Janne Wala Dunya Se Chala Jaye To Use Sacche Dil Se Muaaf Karden Chahe Us Ne Aap Ki Kitni Hi Dil Aazari Aur Haq Talfi Kyun Na Ki Ho…

Maut Se Badh Kar Ab Kya Ho Sakta Hai!!! Wo Hamesha Ke Liye Dunya Se Chala Gaya Aur Ab Laot Kar Kabhi Nahin Aayega, Lekin Ho Sakta Hai Aap Ka Muafi Nama Use Qabr o Hashr Ki Saza Se Bachale Aur Is Ehsan Ke Badle Allah Ta’ala Aap Ki Bhi Bakhshish Farmaden!


✦........► Bhook Aur Jhoot Ko Ikhatta Na Karen! ◄........✦

It was narrated that Asma’ bint Yazid RadiyAllahu Anha said: “Some food was brought to the Prophet (ﷺ) and it was offered to us. We said: ‘We do not have any appetite for it.’ He (ﷺ) said: ‘Do not combine hunger and lies.’”

Urdu Translation: Hazrat Asma Bint Yazid RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke Rasool Akram ﷺ Ki Khidmat Mein Khana Pesh Kiya Gaya To Aap ﷺ Ne Hamen Khane Ki Dawat Di, Ham Ne Kaha: Hamen Bhook Nahin Hai. Aap ﷺ Ne Farmaya: Jhoot Aur Bhook Ko Jama Na Karo!"

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 4 :: Book 29 :: Hadith 3298]


► Corona Virus Aur Digar Mauzi Amraz Se Hifazat Ki Jame Dua ◄

اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَدَنِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي سَمْعِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَصَرِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ
Allahumma 'afini fi badani, Allahumma 'afini fi sam'i, Allahumma 'afini fi basari, La ilaha illa Anta

"O Allah! Grant me health in my body. O Allah! Grant me good hearing. O Allah! Grant me good eyesight. There is no god but Thou." You repeat them three times in the morning and three times in the evening.

Subah o Sham Teen Teen Martaba Ye Padhye! “Aye Allah! Mere Jism Mein Sahet o Aafiyat Ata Farmayye, Aye Allah! Meri Quwwate Sama’at (Sunne Ki Quwwat) Mein Aafiyat o Salamati Ata Farmayye, Aye Allah! Meri Quwwate Binayi Mein Sahet o Aafiyat Ata Farmayye Aap Ke Siwa Koi Mabood Nahin.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 5071, 5090]


Aap Apne Bacchon Par Dunya Ke Khazane Hi Kyun Na Kharch Karden Phir Bhi Woh Qayamat Ke Din Aap Se Bhagen Ge. (Makhuz Az Al-Quran, Surah Abas)

Lekin Agar Aap Ne Unhen Quran Kareem Ki Azeem Daulat Thamadi To Woh Roze Mehshar Aap Ko Dhoonden Ge Taa Ke Woh Aap Ko Izzat o Azmat Ka Taaj Pehna Saken. (Makhuz Az Sunan Abi Dawud)


“Koi Bhi Insan Perfect Nahin Hota Lagao Ho To Khubiyan Talash Kar Lete Hain Aur Bezari Ho To Khamiyan.”


“Jo Rad Hui Hain Duayen To Hairaten Kaisi? Khuda Se Zyadah Talluq Hamara Phone Se Hai.”


✦....► New Year Night Ki Taqareeb Ka Boycott Kijiye ◄....✦

⇨ "(Rehman ke Bande Woh Hain) Jo Jhoot Aur Batil Kamon Mein Shareek Nahin Hote Aur Jab Behudah Kamon Ke Paas Se Guzarte Hain To (Daman Bachate Hue) Nihayat Waqar Aur Sharafat Ke Sath Guzar Jate Hain." (Qur’an Surah Al-Furqan: 72)

⇨ "And those who do not witness falsehood, and if they pass by some evil play or evil talk, they pass by it with dignity." (Qur’an 25:72)


✦..........► Apni Aulad Ke Darmiyan Insaf Karen! ◄..........✦

Allah's Messenger (ﷺ) said: 'Be afraid of Allah, and be just to your children.'

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya:“Allah Ta’ala Se Daro Aur Apni Aulad Ke Darmiyan Insaf Ko Qayem Rakho.”

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 47 :: Hadith 760, 2587]


✦.......♥ Khush o Khurram Azdawaji Zindagi Ka Raaz ♥.......✦

●◗► “Khush o Khurram Zindagi Guzarne Wale Miyan Biwi Aik Jaise
Mizaj, Tabi’at Aur Soch Ke Hamil Nahin Hote Balke Aam Insanon Ki Tarah Un Ki Bhi Soch, Mizaj Aur Tabi’at Mein Bada Farq Hota Hai, Albatta Woh Aik Dusre Ki Tabi’at Aur Mizaj Ke Farq Ko Acchi
Tarah Samajh Kar Baham Mua’amla Karte Hain.”


✦...♥ Jahannam Par Haram Aur Jahannam Us Par Haram ♥...✦

'Abdullah bin Mas'ud RadiyAllahu Anhu narrated that the Messenger of Allah (ﷺ) said: "Shall I not inform you of whom the Fire is unlawful and he is unlawful for the Fire? Every person who is near (to people), amicable, and easy (to deal with).'"

Urdu Translation: Hazrat Abdullah Bin Mas’ud RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Kya Main Tumhen Woh Shaks Na Batau Jo Jahannam Ki Aag Par Haram Hai Aur Jahannam Ki Aag Us Par Haram Hai? (Phir Khud Irshad Farmaya): Ye Woh Aadmi Hai Jo Narm Mizaaj, Narm Tabi’at Aur Khush Akhlaq Ho."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 11 :: Hadith 2488]



Agar Sirf Khush Hona Chahte Hain To Tareef Sunen Aur Agar Behtar Banna Aur Apni Islah Karna Chahte Hain To Tanqeed Sunen!


✦..► Azdawaji Zindagi Ke Ahwaal Makhfi Rakhne Ka Hukum! ◄..✦

Abu Sa'id al-Khudri (Allah he pleased with him) reported that Allah's Messenger (ﷺ) said: The most wicked among the people in the eye of Allah on the Day of judgment is the men who goes to his wife and she comes to him, and then he divulges her secret.

Urdu Translation: Hazrat Abu Sa’id Khudri RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Qayamat Ke Din Allah Ta’ala Ke Nazdeek Martabe Ke Etebar Se Sab Se Bad’tareen Shaks Woh Hoga Jo Apni Biwi Ke Paas Khalwat Mein Jata Hai Aur Woh Us Ke Paas Khalwat Mein Aati Hai Phir Woh Shaks Us Ka Raaz (Yani Sohbat Ki Baten Aur Halaat) Ifsha (Zaahir) Kar Deta Hai.”

[Sahih Muslim :: Book 8 :: Hadith 3369, 1437]

●◗► Miyan Biwi Donon Ke Liye Apni Jinsi Zindagi Ki Baten Aur Ahwaal Dost Ahbab Aur Rishtedaron Mein Bayan Karna Haram Aur Intehayi Na Munasib, Nazeba, Sharmnaak Aur Ghatya Harkat Hai Jis ka Tasawwur Aik Ba Haya Musalman Se Nahin Ho Sakta, Lekin Afsos! Ke Digar Be Hayayi Ke Kamon Ki Tarah Ye Gunah Bhi Aam Hota Ja Raha Hai, Allah Subhanahu Wa Ta'ala Hamari Hifazat Farmaye. (Aameen)


✦....► Hazrat Isa Alaihis Salam Sooli Nahin Chadhaye Gaye! ◄....✦

⇨ "And for their saying, “We have certainly killed the MasīH ‘Īsā the son of Maryam, the Messenger of Allah”, while in fact they did neither kill him, nor crucify him, but they were deluded by resemblance.Those who disputed in this matter are certainly in doubt about it. They have no knowledge of it, but they follow whims. It is absolutely certain that they did not kill him, but Allah lifted him towards Himself. Allah is All-Mighty, All-Wise. No one will remain from among the People of the Book but will certainly believe in him before he dies, and on the Day of Doom, he shall be a witness against them." (Quran, Surah An-Nisa: 157-159)

⇨ “Aur (Un Ahle Kitab Ne) Ye Kaha Ke: Ham Ne Allah Ke Rasool Masih Isa Bin Maryam Ko Qatl Kar Diya Tha, Halan Ke Na Unhon Ne Isa (Alaihis Salam) Ko Qatal Kiya Tha Aur Na Hi Sooli De Paye The, Balke Unhen Ishtibaah Ho Gaya Tha, Aur Haqiqat Ye Hai Ke Jin Logon Ne Is Bare Mein Ekhtelaf Kiya Hai, Woh Is Silsile Mein Shak Ka Shikar Hain, Unhen Guman Ke Piche Chalne Ke Siwa Is Baat Ka Koi Ilm Hasil Nahin Hai, Aur Ye Baat Bilkul Yaqeeni Hai Ke Woh Isa (Alaihis Salam) Ko Qatl Nahin Kar Paye, Balke Allah Ne Unhen Apne Paas Utha Liya Aur Allah Bada Sahibe Iqtidar Bada Hikmat Wala Hai, Aur Ahle Kitab Mein Se Koi Aisa Nahin Hai Jo Apni Maut Se Pehle Zaroor Bil Zaroor Isa (Alaihis Salam) Par Iman Na Laye, Aur Qayamat Ke Din Wo Un Logon Ke Khilaf Gawah Banenge.” (Surah An-Nisa: 157-159)


“Aye Allah! Rahem Farma Un Dilon Pe Jin Ka Haal Tere Alawah Koi Nahin Janta.” (Aameen)


●◗► 25 December: Logon Ko “Christmas Day” Ki Mubarak Baad Dene Ka Matlab Ye Hai: Ke Aap Ye Baat Tasleem Karte Hain Ke Isa Alaihis Salam Allah Ke Bete (Nauzubillah) Aur Mabood Hain. "NO CHRISTMAS DAY"


✦........♥ CHRISTMAS DAY Par Khoobsurat Paigham! ♥........✦

⇨ "Say you, He is Allah, the One. Allah the Independent, Care free. He begot none, nor was he begotten (neither the Jesus Christ nor the holy Ezra are his sons). And nor anyone is equal to him." (Qur’an - Surah Al-Ikhlas)

⇨ "Keh Do: Baat Ye Hai Ke Allah Har Lihaz Se Aik Hai, Allah Hi Aisa Hai Ke Sab Us Ke Mohtaj Hain Woh Kisi Ka Mohtaj Nahin, Na Us Ki Koi Aulad Hai Aur Na Woh Kisi Ki Aulad Hai, Aur Us Ke Jod Ka Koi Bhi Nahin." (Qur’an - Surah Al-Ikhlas)


✦......► Sufaid Posh Zarurat Mandon Ka Khayal Rakhen! ◄......✦

Abu Huraira RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: "The poor man (miskin) is not the one who goes round to the people and is dismissed with one or two morsels. and one or two dates. They (the Prophet's Companions) said: Messenger of Allah, then who is miskin? He said: He who does not get enough to satisfy him, and he is not considered so (as to elicit the attention of the benevolent people), so that charity way be given to him. and he does not beg anything from people."

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Miskeen Woh Nahin Hai Jo Logon Ke Gird Ghoomta Rehta Hai Aur Aik Do Luqma Ya Aik Do Khajoor Lekar Laut Jata Hai.” Sahaba Ne Arz Kiya: (Ya RasoolAllah!) Phir Miskeen Kon Hai? Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Ke Paas Itna Kharch Na Ho Jo Us Ki (Bunyadi) Zaruriyat Puri Kar Sake Aur Na Log Use Miskeen Jante Hon Ke Us Ko Sadaqah Khairat Den Aur Na Woh Logon Se Kuch Mangta Ho.”

[Sahih Muslim :: Book 5 :: Hadith 2261, 1039]


✦…......♥ Khala Ke Sath Silah Rahmi Kijiye ♥…......✦

Narrated from Ibn 'Umar RadiyAllahu Anhu: A man came to the Prophet (ﷺ) and said: "O Messenger of Allah! I have been afflicted by a tremendous sin. Is there any repentance for me?"

He (ﷺ) said: "Do you have your mother?" The man said: "No."
He (ﷺ) said: "Do you have any maternal aunts?" The man said: "Yes."
He (ﷺ) said: "Then be dutiful to them."

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Aik Shaks Nabi Kareem ﷺ Ki Khidmat Mein Hazir Hue Aur Arz Kiya: "Ya RasoolAllah ﷺ! Mujh Se Aik Bada Gunah Sarzad Ho Gaya Hai, Kya Mere Liye Taubah Ka Koi Rasta Hai?”

Aap ﷺ Ne Farmaya: "Kya Tumhari Waldah (Zindah) Hain?" Unhon Ne Kaha: “Ji Nahin.”

Aap ﷺ Ne Farmaya: "Kya Tumhari Khala (Hayat) Hain?” Unhon Ne Kaha: "Ji Han.”

Aap ﷺ Ne Farmaya: "Pus Un Ke Sath Neki o Ehsan Ka Sulook Karo.”

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 1 :: Hadith 1904]


✦....► Mosame Sarma Hawa Ke Jhonkon Ko Bura Na Kahen! ◄....✦

Narrated AbuHurayrah RadiyAllahu Anhu: I heard the Messenger of Allah (ﷺ) say: The wind comes from Allah's mercy.

Salamah's version has: It is Allah's mercy; it (sometimes) brings blessing and (sometimes) brings punishment. So when you see it, do not revile it, but ask Allah for some of its good, and seek refuge in Allah from its evil."

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Hawa Allah Ki Rehmat Mein Se Hai, Kabhi Woh Rehmat Lekar Aati Hai Aur Kabhi Azab Lekar Aati Hai, Jab Tum Hawa Chalti Dekho To Use Bura Mat Kaho! Balke Allah Se Us Ki Bhalayi Mango Aur Us Ke Shar Se Allah Ki Panah Chaho!”

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 5078, 5097]


Agar Aap Ke Rizq Se Dusron Ki Zaruriyat Puri Ho Rahi Hain To Yaqeen Janiye Ke Aap Khush Qismat Hain Ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala Aap Ke Rizq Ko Ba Barkat Bana Raha Hai Aur Hisab Kitab Ki Sakhti Ko Aap Se Door Farma Raha Hai!!!


✦..........♥ Ahliya Shishe Ki Tarah Nazuk ♥..........✦

Narrated Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) came to some of his wives among whom there was Um Sulaim RadiyAllahu Anha, and said, "May Allah be merciful to you, O Anjasha! Drive the camels slowly, as they are carrying glass vessels!"

Abu Qalaba said: "The Prophet (ﷺ) said a sentence (i.e. the above metaphor) which, had anyone of you said it, you would have admonished him for it".

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 170]

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Nabi Akram ﷺ (Aik Safar Mein Ke Moqe Par) Apni Baaz Azwaje Mutahrat Ke Paas Aaye Jo Unton Par Sawar Ja Rahi Thin Aur Un Ke Hamrah Umm Sulaim RadiyAllahu Anha Bhi Then (Aik Habshi Ghulam Anjasha Tezi Ke Sath Unton Ko Hankaye Ja Raha Tha). Aan Hazrat ﷺ Ne (Ghulam Ko Mukhatab Kar Ke) Irshad Farmaya: “Tera Naas Ho, Aye Anjasha! Shishon Se Lade Unton Ko Aahistagi Se Lekar Chalo.”

(Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Se Ye Hadees Naqal Karne Wale Mashhoor Tabayi) Hazrat Abu Qalaba Farmate Hain Ke “Aan Hazrat ﷺ Ne Ahliya Se Mutalliq “Shishon Ko Narmi Se Le Chalo” Jaise Alfaz Istemal Farmaye. Agr Tum Mein Se Koi Shaks Aise Alfaz Istemal Karta To Tum Use Aaib Ki Baat Samajhte.” (Sahih Bukhari: 6149)

●◗► RasoolAllah ﷺ Ne Azwaje Mutaharat Ko Shishe Se Tashbih Di, Shisha Bahot Nazuk Hota Hai Aur Beruni Asrat Se Bahot Jald Muta’ssir Ho Kar Toot Jata Hai, Isi Tarah Ghar Wali Bhi Kamzor Saakht, Nazuk Fitrat Aur Hasas Dil Ki Malik Hoti Hai Aur Ise Bhi Shishe Ki Tarah Ehtiyat, Narmi Aur Dekh Bhaal Se Rakhne Ki Zarurat Hoti Hai.


✦.....♥ Insani Wujud Mein Allah Ki Qudrat Ka Karishma! ♥.....✦

Dunya Mein Is Waqt Lag Bhag 8 Arab Insanon Ke 16 Arab Anguthe Hain, Har Insan Ke Is Chote Se Hisse Mein Allah Subhanahu Wa Ta’ala Ne Aisa Design Aur Naqsha Bana Rakha Hai Jo Dunya Ke Kisi Dusre Shaks Ke Anguthe Ke Naqshe Se Nahin Milta, Naiz Hazrat Adam Alaihis Salam Se Lekar Ab Tak Jitne Insan Aaye Hain Aur Ab Se Qayamat Tak Jitne Insan Aayenge, In Arbon Kharbon Insanon Ke Anguthe Ke Design Aur Fingerprints Bhi Aik Dusre Se Mukhtalif Hain.

Irshade Khudawandi Hai: “Aur Khud Tumhare Apne Wujood Mein Bhi (Bahot Si Nishaniyan Hain) Kya Phir Bhi Tumhen Dikhayi Nahin Deta?” (Surah Adh-Dhariyat: 21)



♦️♦️ Sath Baith Kar Aur Mil Jul Kar Khana Allah Ko Pasand Hai! ♦️♦️

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ke Han Sab Se Pasandidah Khana Woh Hai Jis Mein (Khane Wale) Hath Zyadah Hon.”

عن عطاء قال : جابر بن عبد الله قال قال رسول الله صلى الله عليه و سلم : أحب الطعام إلى الله عز و جل ما كثرت عليه الأيدي
(شعب الایمان للبیھقی:9620، فصل في التكليف للضيف عند القدرة عليه،حدیث حسن)


“Lakh Ekhtelafat Ke Bawajood, Kabhi Bhi Apne Ghar Ke Shair Ko Mat Maro, Warna Ird Gird Ke Kutte Tumhen Noch Dalenge.”


✦......► Har Nemat Har Kisi Ko Batani Nahin Chahiye ◄......✦

RasoolAllah (ﷺ) said: “Fulfill your needs (or work) confidentially, because everyone who is blessed with something is envied.”

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Apni Zaruriyat Ko Pura Karne Ke Liye Raazdari Ke Sath Kaam Liya Karo Kyun Ke Har Nemat Wale Se Hasad Kiya Jata Hai.”

(Al-Silsila-tus-Sahiha:257)
قَالَ صلی اللہ علیہ وسلم : اسْتَعِينُوا عَلَى إِنْجَاحِ الْحَوَائِجِ بِالْكِتْمَانِ، فَإِنَّ كُلَّ ذِي نِعْمَةٍ مَحْسُودٌ . 


“Zyadah Mohabbat Aur Parwah Karne Walon Ke Hath Mein Kuch Nahin Aata, Na Rishton Ki Mithaas, Na Un Ka Ehsas, Na Hi Un Ki Qadar Ki Jati Hai! Bus Aik Zehni Faraib Sa Rehta Hai Ke Wo Bhi Hamare Sath Waise Hi Hain, Jaise Ke Ham Lekin Haqiqat Badi Hi Dilkharash Hoti Hai!! 


✦.........► Bad’Duayen Na Den! ◄.........✦

Jabir b. 'Abd Allah RadiyAllahu Anhu reported the Messenger of Allah (ﷺ) as saying: “Do not invoke curse on yourselves, and do not invoke curse on your children, and do not invoke curse on your servants, and do not invoke curse on your property, lest you happen to do it at a time when Allah is asked for something and grants your request.”

Urdu Translation: Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Apne Aap Ko Bad’dua Na Do, Na Apni Aulad Ko Bad’dua Do, Na Apne Khadimon Ko Bad’dua Do Aur Na Apne Maal Ko Bad’dua Do, (Kyun Ke) Ho Sakta Hai Ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ki Taraf Se Woh Ghadi Aisi Ho Jis Mein Duayen Qubool Hoti Hon Aur Yun Tumhari Bad’dua Qubool Ho Jaye.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 8, Hadith 1527, 1532] 


Apne Bacchon Ke Liye Behtar Dunya Chhod Kar Jane Se Behtar Hai Ke Dunya Ke Liye Behtareen Bacche Chhod Kar Jayyen! 


“Zindagi Itni Lambi Nahin Ke Aap Ise Aise Logon Ke Sath Guzarden Jahan Aap Ko Sara Waqt Apne Kamon Ki Safayi Dete Hi Guzar Jaye, Aap Se Mohabbat Rakhne Wala Aap Mein Khair Hi Khair Dekhega, Baqi Logon Ko Aap Razi Karne Mein Hamesha Nakam Rahenge.” 


✦......► Khair o Bhalayi Ki Wajah Se Qasam Todna! ◄......✦

Narrated `Abdur-Rahman bin Samura RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (ﷺ) said, "O `Abdur-Rahman bin Samura! Do not seek to be a ruler, for if you are given authority on your demand, you will be held responsible for it, but if you are given it without asking for it, then you will be helped (by Allah) in it. If you ever take an oath to do something and later on you find that something else is better, then do what is better and make expiation for your oath."

Urdu Translation: Hazrat Abdur Rahman bin Samurah RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke RasoolAllah ﷺ Ne Mujh Se Irshad Farmaya: “Aye Abdur Rahman Bin Samurah!...Agar Tum Kisi Baat Par Qasam Khalo Aur Phir Us Ke Siwa Dusri Cheez Mein Khair o Bhalayi Dekho To Woh Karo Jis mein Bhalayi Ho Aur Apni Qasam Ka Kaffarah Ada Kardo.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 9 :: Book 89 :: Hadith 261, 7147]

●◗► Insan Ko Qasam Khate Hue Badi Ehtiyat Aur Hosh Se Kaam Lena Chahiye, Agar Koi Mustaqbil Ki Kisi Baat Par Allah Ki Qasam Khale Ke Main Fulan Kaam Zaroor Karunga Ya Nahin Karunga, Lekin Bazaher Khair o Bhalayi Qasam Ke Khilaf Chalne Mein Nazar Aarahi Ho To Aisi Surat Mein Qasam Tod Kar Qasam Ka Kaffarah Ada Karna Chahiye, Shari’at Mutahrah Mein Qasam Ka Kaffarah 10 Miskeenon Ko Apni Haisiyat Ke Mutabiq Subah Aur Sham Pait Bhar Kar Khana Khilana Hai Ya 10 Miskeenon Ko Aik Aik Joda Kapda Pehnana Hai Aur Agar Khana Khilane Ya Kapda Pehnane Ki Isteta’at Na Ho To Musalsal 3 Din Roze Rakhna Hai. (Qur’an 5:89) 


✦.........► Maysoos Na Hon! ◄.........✦

♥ Mushkil Aur Tang Jaga Mein Bhi Allah Ki Rehmat! ♥

(Ashab Kahf Walon Ne (Aapas Mein) Kaha:)

“Chalo Ab Tum is Ghaar Mein Panah le lo, Tumhara Parwardigar Tumhare Liye Apna Daman Rehmat Phaila Dega Aur Tumhare Kaam mein Aasani Ke Asbab Muhayya Farma dega.” (Al-Quran, Surah Al-Kahf: 16) 


✦.......♥ 3 Kamon Mein Kabhi Takheer Na Karen! ♥.......✦

‘Ali told how the Prophet ﷺ said: “There are three things, ‘Ali, which you must not postpone: "Prayer when its time comes, a funeral, and the marriage of an unmarried woman when she finds one of suitable class for her.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Aye Ali! Teen Chizon Mein Kabhi Takhir Na Karna:

❶ Namaz Mein, Jab Us Ka Waqt Aajaye
❷ Janaze Mein, Jab Woh Tayyar Ho Jaye
❸ Be Nikah Aurat Ke Nikah Mein Jab Tumhen Us Ke Jod Ka Rishta Mil Jaye." (Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim: 2686, Mishkat al-Masabih 605, Jami` at-Tirmidhi 1075)

عن محمد بن عمر بن علي بن أبي طالب عن أبيه عن جده علي بن أبي طالب رضي الله عنه : أن رسول الله صلى الله عليه و سلم قال : ثلاث يا علي لا تؤخرهن : الصلاة إذا آنت و الجنازة إذا حضرت و الأيم إذا وجدت كفؤا
(المستدرک علی الصحیحین للحاکم:2686، كتاب النكاح،تعليق الذهبي قي التلخيص : صحيح) 


“Humans are tested according to the levels of their faith.” (Ibn Majah: 4023)

“Insan Apne Deen Ke Mutabiq Aazmaish Mein Mubtela Kiya Jata Hai.” (Ibn Majah: 4023)

●◗► Agar Deen Par Sakhti Se Kaarband Ho To Sakht Aazmaish Hoti Hai Aur Agar Deen Mein Narm Ho To Aazmaish Bhi Us Ke Mutabiq Hoti Hai Phir Woh Aazmaish Us Waqt Tak Nahin Chhodti Jab Tak Woh Gunahon Se Paak Nahin Ho Jata. 


✦..........► Ghar Mein Deendari Ka Qayam ◄..........✦
✦.....► Miyan Biwi Ki Mushtarka Zimmedari ◄.....✦

Allah's Messenger (ﷺ) said: "A man is the guardian of his family (household) and is responsible for his subjects; a woman is the guardian of her husband's home and of his children and is responsible for them; "

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Mard Apne Ghar Walon Ka Nigran Hai Aur Is Se Us Ke Matahton Ke Bare Mein Sawal Hoga Aur Aurat Apne Khawind Ke Ghar Aur Us Ki Aulad Ki Nigran Hai Aur Is Se Un Ke Bare Mein Pucha Jayega.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 9 :: Book 89 :: Hadith 252, 7138]

●◗► Mard Se Sawal Hoga Ke Tum Ne Biwi Bacchon Ke Sharyi Huqooq Ada Kiye Ya Nahin? Unhen Zarurat Ke Mutabiq Kharcha Diya Ya Nahin? Islami Taleem o Tarbiyat Ka Fareeza Sar Anjam Diya Ya Nahin? Isi Tarah Aurat Se Sawal Hoga Ke Tum Ne Khawind Ki Khidmat Ki Ya Nahin? Khawind Ke Maal Aur Aulad Ke Sath Khair Khuahi Ka Muamla Kiya Ya Nahin? Bacchon Ki Jis Tarah Umdah Parwarish Aur Tarbiyat Zimme Mein Thi Use Sar Anjam Diya Ya Nahin? 


Sahaba Karam RadiyAllahu Anhum Aam Taur Par Khajoor Aur Jao Ki Roti Wagherah Tanawul Farmaya Karte The, Kacche Gharon Mein Rehte Aur Chatayyon Pe Soya Karte The Lekin Is Ke Bawajood Unhen Khitab Kar Ke Allah Subhanahu Wa Ta’ala Ne Irshad Farmaya:

⇨ "Phir Tum Se Us (Qayamat Ke) Din Nematon Ke Bare Mein Pucha Jayega." (Surah At-Takathur:8)

●◗► Zara Ghor Kijiye Ke Hamara Kya Haal Hoga??? 


✦...........►Surah Al-Kahf Ke Fazayel ◄...........✦

❶ Baitullah Shareef Tak Noor hi Noor: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Jumah ke Din Surah Al-Kahf ki Tilawat Kare to Jis Jaga Wo Tilawat karta hai Wahan se Lekar Makkah Mukarramah tak ka Tamam Fasla Noor se Munawwar ho jata hai. (Sunan an-Nasa’i: 10788)

❷ Aik Jumah Se Dusre Jumah Tak Noor: Nabi Akram (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Jumah ke Din Surah Kahf Padhta Hai to us ke Liye Doosre Jumah tak Noor Jagmagata Rehta Hai.” (Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim: 3392)

❸ Dajjal Se Hifazat Ka Zariya: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Surah Al-Khaf ko Aise hi Padhe Jaise ke Wo Utari Gayi hai (Yani Tajweed ke Sath Acche Andaz Se) Aur Phir Wo Dajjal Ko Paale To Dajjal us Par Musallat Nahin Ho Sakega.” (Sunan an-Nasa’i: 10790)

❹ Ibtedayi 10 Aayat Yaad karne ki Fazilat: Nabi Akram (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Surah Kahf ki Ibtidayi (Starting) 10 Aayat Yaad kare Ga Wo Dajjal ke Fitne Se Bacha liya Jayega.” (Sunan an-Nasa’i: 10790)

❺ Aakhri 10 Aayat ki Fazilat: Nabi Akram (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Jis Shaks Ne Surah Kahf Ki Aakhri (Ending) 10 Aayat Yaad kiyen Aur Phir Dajjal Nikal Aaya To Dajjal us Par Ghalba Nahin Pasake ga.” (Sunan an-Nasa’i: 10790) 


✦........► Ghusule Jumah Pure Hafte Ki Taharat ◄........✦

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Ne Jumah Ke Din Ghusul Kiya To Woh Agle Jumah Tak (Gunah o Masiyat Ki Gandagi Se) Paak Ho Gaya.” (Sahih Ibn Hibban: 1222, Hasan Al-Albani) 


“Allah does not obligate anyone beyond his capacity.” (Al-Baqarh 2:286)

“Allah Ta’ala Kisi Jaan Ko Us Ki Taqat Se Zyadah Takleef Nahin Deta.” (Al-Baqarah 2:286) 


✦..........► Nakhun Badhane Ka Fashion! ◄...........✦

Anas RadiyAllahu Anhu reported: "A time limit has been prescribed for us for clipping the moustache, cutting the nails, plucking hair under the armpits, shaving the pubes, that it should not be neglected far more than forty nights."

Urdu Translation: Sayyidna Anas Bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate Hain: "Rasool Akram ﷺ Ne Hamare Liye Munchen Katne, Nakhun Tarashne, Baghlon Ke Baal Ukhadne Aur Zere Naaf Balon Ki Safayi Ki (Zyadah Se Zyadah) Muddat Ye Muqarrar Farmayi Ke Ham Inhen 40 Din Se Zyadah Na Chhoden Rakhen."

[Sahih Muslim :: Book 2 :: Hadith 497, 258] 


“Main Aise Mardon Ko Khush Naseeb Manta Hun Jin Ke Sine Se Lag Ke Aurat Roti Hai Aur Sukoon Paleti Hai, Kyun Ke Har Mard Mein Itna Hosla Himmat Nahin Hoti Ke Woh Aurat Ke Aansu Saaf Kar Ke Wahan Muskurahat Le Aaye.” 


✦.......♥ Faqr o Faqa Chupane Ki Fazilat ♥.......✦

RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: "Jo Shaks Bhook Ya Kisi Hajat Mein Mubtela Hua, Aur Use Logon Se Chupa Kar Rakha To Ye Allah Azzawajal Par Haq Hai Ke Use Saal Bhar Ka Halal Rizq Ata Farmayen Ge." (Shuab ul Iman Al-Bayhaqi:10054) 


Insan Ki Zindagi To Is Qadar Mukhtasar Hai Ke Woh Mohabbat Ka Haq Bhi Ada Nahin Kar Sakta, Jane Log Nafrat Ke Liye Waqt Kahan Se Nikaal Lete Hain. 


✦.......♥ Ayyame Beez Ke Roze..Umr Bhar Ke Roze ♥.......✦

The Prophet ﷺ said: "Fasting three days of each month is fasting for a lifetime, and the shining days of Al-Bid, the thirteenth, fourteenth and fifteenth."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Har Maah Teen Din Roze Rakhna Sari Zindagi Roze Rakhne Ke Barabar Hai Aur Ayyame Beez Chand Ki 13, 14 Aur 15 (Tareeq) Ke Din Hain.”

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 3 :: Book 22 :: Hadith 2422, 2420] 


✦..........♥ Allah Ta’ala Maqrooz Ke Sath Hai! ♥..........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “Allah will be the borrower until he pays off his debt, so long as it (the loan) is not for something that Allah dislikes.”

Urdu Translation: RasoolAllah Ne Irshad Farmaya: “Allah Ta’ala Ki Madad Maqrooz Ke Sath Hoti Hai Yahan Tak Ke Woh Apna Qarz Ada Karde, Bashart Ye Ke Woh Qarz Aisi Cheez Ke Liye Na Liya Gaya Ho Jo Allah Ta’ala Ko Na Pasand Ho.”

[Suan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Book 15 :: Hadith 2409, 2409] 


“Munafiq Ke Sath Dosti Na Rakho Kyun Ke Woh Bahot Bada Chaal Baaz Hota Hai Ye Bhediye Ke Sath Khata Hai, Kutte Ke Sath Bhonkta Hai, Aur Charwahe Ke Sath Rota Hai.” 


✦........► Qabristan Jayen To Ye Dua Padhen! ◄........✦

“The Messenger of Allah (ﷺ) used to teach them, when they went out to the graveyard, to say: As-salamu ‘alaykum ahlad-diyar minal-mu’minina wal- muslimin, wa inna insha’ Allah bikum lahiqun, nas’alul-laha lana wa lakumul-‘afiyah (Peace be upon you, O inhabitants of the abodes, believers and Muslims, and we will join you soon if Allah wills. We ask Allah for well-being for us and for you).’”

Urdu Translation: Hazrat Buraidah RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Unhen (Sahaba Karam Ko) Taleem Dete The Ke Jab Woh Qabristan Jayen To Ye Dua Padhen:

السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ أَهْلَ الدِّيَارِ مِنَ الْمُؤْمِنِينَ وَالْمُسْلِمِينَ وَإِنَّا إِنْ شَاءَ اللَّهُ بِكُمْ لاَحِقُونَ نَسْأَلُ اللَّهَ لَنَا وَلَكُمُ الْعَافِيَةَ ‏.‏

Aye Musalmanon Ke Ghar Walo! Tum Par Salamati Ho, InshaAllah Ham Bhi Tumhare Sath Milne Wale Hain, Ham Allah Ta’ala Se Apne Aur Tumhare Liye Aafiyat Ka Sawal Karte Hain.

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 6 :: Hadith 1547, 1547] 


✦..► Neend Se Bedar Hone Ke Baad 3 Martaba Hath Dhona! ◄..✦

The Apostle of Allah (ﷺ) said: "When anyone amongst you wakes up from sleep, he should wash his hands three times before putting it in the utensil, for he does not know where his hand was during the night."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Jab Tum Mein Se Koi Aadmi Sokar Uthe To Apne Hath Ko Us Waqt Tak Bartan Mein Na Dale Jab Tak Ke Use 3 Baar Dho Na Le, Is Liye Ke Use Nahin Malum Ke Raat Bhar Us Ka Hath Kahan Raha."

[Sahih Muslim :: Book 2 :: Hadith 541, 278] 


Lakh Dhundon Ge Tum Aaghoshe Mohabbat!! Baad Marne Ke Maa Nahin Milti!!


“Dunya Ka Sab Se Khoobsurat Insan Wahi Hai, Jis Se Baat Karna Aasan Ho, Jis Se Mushkil Mein Madad Mangna Aasan Ho, Aur Jo Dusron Ke Dukh Dard Mein Shamil Rahe, Jo Aansu Ponchna Janta Ho, Jo Marham Banna Aur Marham Lagana Janta Ho, Agar Aap Aise Insan Hain To Yaqinan Allah Ta’ala Ne Aap Ko Bahot Khaas Banaya Hai.”