Mashhoor Musalman Riyazi Daan (Mathematician) Allama Khwarizmi Farmate Hain:
◗► Agar Insan Sirf Akhlaq Wala Ho To Kul Number = 1
◗► Agar Wo Khoobsurat Bhi Ho To Dayen Taraf Aik Sifar Badhaden = 10
◗► Agar Woh Maldar Bhi Ho To Aik Sifar Aur Lagaden = 100
◗► Agar Woh Khandani Hasab Nasab Wala Bhi Ho To Aik Sifar Aur Badhaden = 1000
◗► Agar Sab Kuch Ho Lekin Akhlaq Na Ho To 1 Hataden Baqi Bach Jayenge = 000.
'Uthman bin 'Affan RadiyAllahu Anhu narrated that the Prophet (ﷺ) said: "There is no right for the son of Adam in other than these things: "A house which he lives in, a garment which covers his nakedness, and Jilf (a piece of bread) and water."
Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “(Dunya Ki Cheezon Mein Se) Ibn Adam Ka Haq Siwaye Is Ke Aur Kuch Nahin Ke Us Ke Liye Aik Ghar Ho Jis Mein Woh Zindagi Basar Kar Sake Aur Itna Kapda Ho Jis Se Woh Apna Satar Dhanp Sake Aur Roti Aur Pani Ke Liye Bartan Hon Jin Se Woh Khane Pine Ki Zarurat Puri Kar Sake.”
[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2341, 2341]
Allah Ta'ala Mehangai Ke Is Sailab Mein Ham Sab Ki Bunyadi Zaruriyat Puri Farmaye. Aameen
Allah's Messenger (ﷺ) said: "If any Muslim dies and forty men who associate nothing with Allah stand over his prayer (they offer prayer over him), Allah will accept them as intercessors for him."
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Bhi Musalman Faut Ho Jaye, Phir Us Ki Namaz Janazah Mein Aise 40 Afrad Shareek Ho Jayen Jo Allah Ta’ala Ke Sath Kisi Ko Bhi Shareek Na Tehrayen To Allah Ta’ala Us Ke Haq Mein Un Ki Shifa’at Qubool Farma Leta Hai.”
[Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 2072, 948]
عن ابن المبارك أنه قال: لو كنت مغتابًا أحدًا لاغتبت والدي؛ لأنهما أحق الناس بحسناتى
(شرح البخاری لابن بطال : باب: الغيبة وقوله تعالى: {ولا يغتب بعضكم بعضا})
'Anas RadiyAllahu Anhu narrated: "The Messenger of Allah (ﷺ) would often say: Ya Muqallibal-qulub, thabbit qalbi 'ala dinik ('O Changer of the Hearts! Strengthen my heart upon Your Religion.)'
So I said: 'O Prophet of Allah! We believe in you and what you have come with, but do you fear for us?' He ﷺ said: 'Yes. Indeed the hearts are between two Fingers of Allah's Fingers, He changes them as He wills.'"
Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke RasoolAllah ﷺ Ba kasrat ye Dua manga karte the: (Ya Muqallibal-qulub, thabbit qalbi 'ala dinik) “Aye Dilon ko Pherne wale! Mere dil ko Apne Deen par Qayem rakh.”
(Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate hain) Main ne Arz kiya: Ya RasoolAllah! Ham aap par aur Aap ki layi hui Hidayat par Iman le aaye, kya Ab bhi aap ko Hamare bhatakne ka Andesha hai ? Aap ﷺ ne Irshad Farmaya: “Dil, Rahman ki do Ungliyon ke Darmiyan hai, Wo Jaise chahta hai use Pherta rahta hai.”
[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 6 :: Hadith 2140]
" يَا مُقَلِّبَ الْقُلُوبِ ثَبِّتْ قَلْبِي عَلَى دِينِكَ "
Shuraih Rahimahullah asked 'Aishah RadiyAllahu Anha: "What would the Messenger of Allah (ﷺ) do as soon as he entered the house?" She replied: "(He would use) the siwak."
Urdu Translation: Hazrat Shuraih Rahimahullah Farmate Hain Main Ne Ummul Mu'minin Hazrat Aisha Siddiqa RadiyAllahu Anha Se Pucha: RasoolAllah ﷺ Jab Apne Ghar Mein Tashreef Late To Sab Se Pehle Kya Karte? Hazrat Aishah RadiyAllahu Anha Ne Farmaya: "Sab Se Pehle Miswak Karte."
[Sunan Abi Dawud :: Book 1 :: Hadith 58, 51]
Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “....Mehman Ke Liye Jayez Nahin Ke Woh Apne Mezban Ke Paas Itna Tahre Ke Use Tangi Mein Daal De.” (Sahih al-Bukhari: 6135)
●◗► Hajj Zindagi Mein Aik Martaba Har Aise Musalman Par Farz Hai Jo Aazad, Aaqil, Baligh Aur Tandrust Ho Aur Us Ke Paas Zaruriyate Asliya (Ghar, Libas, Sawari, Gharelu Saman Aur Qarz Wagherah) Se Zayed Aur Apni Ghair Maujoodgi Mein Ahl o Ayaal Ke Akhrajaat Ke Alawah Itna Maal Ho Ke Aadat Aur Haisiyat Ke Mutabiq Baitullah Aane Jane Ke Safri Akhrajaat Aur Zaderah Ke Liye Kafi Ho.
The Messenger of Allah (ﷺ) said: "The pilgrims performing Hajj and ‘Umrah are a delegation to Allah. If they call upon Him, He will answer them; and if they ask for His forgiveness, He will forgive them."
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Hajj Aur Umrah Par Jane Wale Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ke Mehman Hain, Agar Ye Dua Mangen To Allah Ta’ala Un Ki Dua Qubool Farmate Hain Aur Agar Ye Log Maghfirat Ke Talabgaar Hon To Allah Ta’ala Un Ki Maghfirat Farmadete Hain.”
[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 25 :: Hadith 2892]
Garmi
Ki Shiddat Aur Chilchilati Dhoop Mein Parinde Pani Ki Talash Mein Sar
Gardan Rehte Hain Aur Bahot Se Parinde Pyas Ki Shiddat Ki Waja Se Behosh
Ho Jate Hain Aur Mar Bhi Jate Hain, Pani Pilana Bahot Bada Sadaqah Hai,
Lehaza Apne Ghar Ki Chat Ya Balcony Wagherah Par Parindon Ke Liye Pani
Aur Dane Ka Intezam Kar Ke Rab Ki Khushnudi Hasil karen.
Anas RadiyAllahu Anhu reported: "A time limit has been prescribed for us for clipping the moustache, cutting the nails, plucking hair under the armpits, shaving the pubes, that it should not be neglected far more than forty nights."
Urdu Translation: Sayyidna Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate Hain: "Rasool Akram (ﷺ) ne Hamare Liye Munchen Katne, Nakhun Tarashne, Baglon ke Baal Ukhadne Aur Zere Naaf Balon ki Safayi ka (Zyadah Se Zyadah) Waqt ye Mutaiyyan Farmaya ke Ham Inhen 40 din se Zyadah na Chhoden."
[Sahih Muslim :: Book 2 :: Hadith 497, 258]
●◗► Har Hafte Nakhun Tarashna Aur Jismani Safayi Hasil Karna Masnoon Hai, Albatta Agar Kisi Majburi Se Koi Shaks Har Hafte Nakhun Na Tarash Sake Ya Jismani Safayi Hasil Na Kar Sake To Aakhri Muddat 40 Din Hai, 40 Din Ke Baad Bhi Nakhun Na Tarashna Aur Jism Ke Ghair Zaroori Baal Saaf Na Karna Sakht Gunah Aur Na Jayez Aml Hone Ke Sath Sath Bahot Se Muhlak Amraz Aur Bimariyon Ka Sabab Bhi Hai.
RasoolAllah (ﷺ) Ne Farmaya: Maa Ke Qadmon Tale Jannat Hai. (Sunan an-Nasa'i: 3104)
Abdul-Aziz bin Suhaib said: "Thabit Al-Bunani and I entered upon Anas bin Malik, and Thabit said: 'O Abu Hamzah! I am suffering from an illness. So Anas said: 'Shall I not recite the Ruqyah of the Messenger of Allah over you?' He said: 'Why, yes.' He said:
" اللَّهُمَّ رَبَّ النَّاسِ مُذْهِبَ الْبَاسِ اشْفِ أَنْتَ الشَّافِي لاَ شَافِيَ إِلاَّ أَنْتَ شِفَاءً لاَ يُغَادِرُ سَقَمًا "
'O Allah! Lord of mankind, removed the harm, and cure (him). Indeed You are the One Who cures, there is none who cures except you, a cure that leaves no disease.'"
Urdu Translation: Hazrat Abdul-Aziz bin Suhaib Rahimahullah Aur Hazrat Thabit Al-Bunani Rahimahullah Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu Ki Khidmat Mein Hazir Hue, Hazrat Thabit Ne (Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Ko Un Ki Kunyat Se Mukhatab Kar Ke) Kaha! Aye Abu Hamzah Main Bimar Hun, Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Ne Farmaya: Kya Main Tumhen RasoolAllah Ki Dua Ke Zariye Dum Na Karun? Unhon Ne Kaha: Kyun Nahin, Hazrat Anas Ne Ye Padha:
" اللَّهُمَّ رَبَّ النَّاسِ مُذْهِبَ الْبَاسِ اشْفِ أَنْتَ الشَّافِي لاَ شَافِيَ إِلاَّ أَنْتَ شِفَاءً لاَ يُغَادِرُ سَقَمًا "
'Aye Allah! Logon Ke Palne Wale! Takleefon Ko Door Karne Wale! Ise Shifa Ata Farma, Kyun Ke Tere Alawah Koi Shifa Dene Wala Nahin, Aisi Shifa Ata Farma Jis Ke Baad Koi Bimari Na Rahe."
[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 5 :: Hadith 973, 973]
'A'isha (Allah be pleased with her) reported: Allah's Messenger (ﷺ) contracted marriage with me in Shawwal and took me to his house as a bride during Shawwal. And who among the wives of Allah's Messenger (ﷺ) was dearer to him than I, and' A'isha liked that the women (of her family) should enter the houses as brides during the month of Shawwal.
Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke RasoolAllah ﷺ Ne Mujh Se Mahe Shawwal Mein Nikah Farmaya Aur Aap ﷺ Ke Sath Meri Rukhsati Bhi Mahe Shawwal Mein Hui, RasoolAllah ﷺ Ki Azwaje Mutahrat Mein Se Wo Konsi Zojah Hai Jo Rasool ﷺ Ko Mujh Se Zyadah Azeez Tar Ho? Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Is Baat Ko Mustahab Samajhti Thin Ke Un Ke Khandan Ki Aurton Ki Mahe Shawwal Mein Rukhsati Ho.”
[Sahih Muslim :: Book 8 :: Hadith 3312, 1423]
●◗► Amma Aisha RadiyAllahu Anha Ne Musalmanon Ko Ye Paigham Diya Ke Koi Mahina Ya Din Manhoos Nahin, Tamam Mahine Aur Ayyam Ba Barkat Hain, Agar Mahe Shawwal Manhoos Hota (Jaisa Ke Baaz Logon Ka Eteqad Hai) To Is Maah Mein Shadi o Rukhsati Ke Baad Main Nabi ﷺ Ki Azwaj Mein Mahboob Tar Zojah Na Banti Aur Na Hi Mujhe Ye Fazl o Kamal Milta, Ye Mahina Badi Fazeelat o Ba Barkat Wala Hai Aur Main Ye Pasand Karti Hun Ke Mere Khandan Ki Aurton Ki Rukhsati Bhi Isi Maah Mein Ho.
Hazrat Mu`adh bin Jabal RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Main Ne RasoolAllah ﷺ Se Pucha: Allah Ta'ala Ke Han Sab Se Pasandidah Aml Konsa Hai? RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Tumhen Is Haal Mein Maut Aaye Ke Tumhari Zuban Allah Ke Zikr Se Tar Ho." (Al-Mu'jam Al-Kabeer Al-Tabarani: 181)
عن معاذ بن جبل قال سألت رسول الله صلى الله عليه و سلم أي الاعمال أحب الى الله تعالى ؟ قال : أن تموت ولسانك رطب من ذكر الله (المعجم الکبیر للطبرانی:181،حدیث حسن)
Abu Ayyub al-Ansari (Allah be pleased with him) reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: “He who observed the fast of Ramadan and then followed it with six (fasts) of Shawwal. it would be as if he fasted perpetually.”
Urdu Translation: Hazrat Abu Ayyub Ansari RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Jis Ne Ramadan Al-Mubarak Ke Roze Rakhe Aur Is Ke Baad Maahe Shawwal Mein Che (6) Nafli Roze Rakhe To Use Saal Bhar Ke Rozon Ka Sawab Milega.”
[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2614, 1164]
Abuzar Ki Janib Se Tamam Chahne Walon ko Eid Mubarak
•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•
●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ham Sab Ke Rozon, Taraweeh, Zikr o Tilawat Aur Tamam Ibadaat Ko Apni Bargaah Mein Qubool Farma Kar Hamen Baar Baar Ramadan Al-Mubarak Ki Bahaaren Aur Eid Ki Sacchi Khushiyan Naseeb Farmaye. (Aameen).
❶ Subah Sawere (Namaze Fajr Se Qabl) Bedar Hona.
❷ Miswak Karna.
❸ Gusul Karna.
❹ Shariat Ke Hudud Mein Rehte Hue Zaib o Zeenat Ekhtiyar Karna.
❺ Khushbo Lagana.
❻ Eid Gaah Jane Se Pehle Koi Meethi Cheez Maslan Khajur Wagherah Khana.
❼ Jald az Jald Eid Gaah Pahonchna, Paidal Jana Aur Wapsi Par Dusra Rasta Ekhtiyar Karna.
❽ Agar Sadaqah Fitr Ada Na kiya Ho To Eid Gaah Jane Se Pehle Ada Karna.
❾ Eid Ki Namaz, Eid Gaah Mein Padhna.
➓ Raste Mein
اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد
"Allahu Akbar Allahu Akbar La ilaaha illallahu Wallahu Akbar, Allahu Akbar Walillahil Hamd!" Aahista Aawaz Mein Padhna.
Narrated Nafi` Rahimahullah said: Ibn `Umar RadiyAllahu Anhu used to give dates (as Sadaqat-ul-Fitr). Once there was scarcity of dates in Medina and Ibn `Umar gave barley. 'And Ibn `Umar RadiyAllahu Anhu used to give Sadaqat-ul- Fitr for every young and old person. He even used to give on behalf of my children. Ibn `Umar RadiyAllahu Anhu used to give Sadaqat-ul-Fitr to those who had been officially appointed for its collection. People used to give Sadaqat-ul-Fitr (even) a day or two before the `Id.
●═══════════════◄►══════════════●
Urdu Translation: Hazrat Nafi Rahimahullah Jo Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Anhuma Ke Aazad Kardah Ghulam Hain Farmate Hain Ke
Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhuma Sadaqa Fitr Mein Khajoor Diya Karte The, Aik Martaba Ahle Madinah Par Khajoor Ka Qahet Hua To Aap Ne Jao Ki Surat Mein Sadaqa Fitr Ada Kiya, Hazrat ibn Umar RadiyAllahu Anhuma Chote, Bade (Ghar Ke Tamam Afraad) Ki Taraf Se Sadaqa Fitr Diya Karte The, Yahan Tak Ke Mere Beton Ki Taraf Se Bhi Sadaqa Fitr De Dete The, Neez Ibn Umar RadiyAllahu Anhuma Sadaqa Fitr, Un Ko Dete Jo Qubool Karte Aur Eid Ul-Fitr Se 1 Ya 2 Din Pehle Dete.
[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 25 :: Hadith 587, 1511]
●◗► Har Sahibe Nisaab Shaks Par Apni Taraf Se Aur Apni Na Baligh Aulad Ki Taraf Se Sadaqa e Fitr Ada Karna Wajib Hai.
Narrated Aishah RadiyAllahu Anha: "I said: ‘O Messenger of Allah ﷺ what is your view if I know when the Night of Al-Qadr is, then what should I say in it?" He ﷺ said: ‘Say:
اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
'Allahumma Innaka Afuwwun Tuhibbul-Afwa Fa’fu Anni'
"O Allah, indeed You are Pardoning, You love pardon, so pardon me"
●═══════════════◄►══════════════●
Urdu Translation: Hazrat Aishah RadyAllahu Anha Farmati hain ke Main ne Aap ﷺ se Arz kiya: “Ya RasoolAllah! Agar Mujhe Shabe Qadr Ka Pata Chal Jaye To Main Kya Dua Mangun? Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke Ye Dua Padho:
اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
'Allahumma Innaka Afuwwun Tuhibbul-Afwa Fa’fu Anni'
''Aye Allah! Beshak Aap Muaaf Karne Wale Hain Aur Muaaf Karne Ko Pasand Karte Hain, Pus Mujhe Bhi Muaaf Farmaden.''
[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3513]
RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: "Shabe Qadr ko Ramadan Al-Mubarak ke Aakhir Ashre ki Taaq Raaton mein Talash karo." ► Allah's Messenger (ﷺ) said: "Search for the Night of Qadr in the odd nights of the last ten days of Ramadan." (Sahih Bukhari: 2017)
Shabe Qadr ka Ramadan ke Aakhir Ashre ki Taaq Raton mein hona Muta’yyan hai lehaza Agar Aakhir Ashre ki Taaq raton (21, 23, 25, 27, 29) mein se har har Raat ko darj Zail Aa’mal kar Liye jayen to Allah ki zaat se Bhar pur Ummid hai ke ham Shabe Qadr ki Barkaat aur Hazaar Mahinon ki Ibadat ka Sawab pa Sakenge.
❶ Isha aur Fajr ki Namaz ba’Jamat ada kare, (Jis ne Isha o Fajr ba Jama’at ada ki to use Puri Raat ibadat ka sawab milta hai).
❷ Teesra kalimah aur Durood Shareef ka Ehtemam karen.
❸ Kam az kam aik Parah Qur’an Majeed ki Tilawat karen.
❹ Kam se kam 2 Rakat Salaat at-Taubah Padhen.
❺ Apne Gunahon par Roro kar Allah se Muafi mangen.
❶ Raat: 83 Saal Ki Ibadat Se Afzal
❶ Ghanta: 9 Saal Ki Ibadat Se Afzal
❶ Minute: 55 Din Ki Ibadat Se Afzal
❶ Second: 22 Ghanton Ki Ibadat Se Afzal
●◗► Lehaza Har Har Second Se Faidah Uthayyen! Aur Aakhri Ashre Ki Har Taaq Raat Mein Allah Ka Zikr, Quran Ki Tilawat, Astaghfar Ki Kasrat, Tahajjud, Allah Ka Zikr, Sadaqa Khairat Aur Khoob Duaon Ka Ehtemam Karen!
A Hadith reported by Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu indicates that it is a moderate night, neither hot nor cold. He said that The Messenger of Allah ﷺ said: Laylut al-Qadr is an easy and moderate night. It is neither hot nor cold.. On the morning following it, the sun rises weak (in light) and reddish.
(Recorded by Ibn Khuazaimah, al-Bayhaqi, and others. Verified to be authentic by al-Albani (Sahih Al-Jami: 5475)
Urdu Translation: Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Anhuma Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Shabe Qadr Ki Nishaniyon Ke Bare Mein Farmaya: “Shabe Qadr Narmi o Aasani Wali Aur Khushgawar Hoti Hai, Ye Raat Na Zyadah Garm Na Zyadah Thandi Balke Motadil Hoti Hai Naiz Shabe Qadar Ki Subah Suraj Ki Roshni Baghair Shua’a Ke Kamzor Aur Surkhi Mayel Hoti Hai.”
[Musnad al-Thayalisi :: 2680, Sahih Al-Jami :: 5475]
✦....... Haq o Batil Ke Darmiyan Faisla Kun Moarka ......✦
“Allah Ta'ala Ne Jange Badr Ke Moqe Par Aisi Halat Mein Tumhari Madad Ki Thi Jab Tum Bilkul Be Saro Saman The, Lehaza (Sirf) Allah Ka Khof Dil Mein Rakho Ta Ke Tum Shukr Guzar Ban Sako.” (Surah Al-Imran:123)
Musalmanon Aur Mushrikeen e Makka Ke Darmiyan 17 Ramadan Al-Mubarak Sun 2 Hijri Ko Badr Nami Muqam Par Aik Faisla Kun Moarka Pesh Aaya Jis Mein Intehayi Be Saro Samani Ke Bawajood Allah Subhanahu Wa Ta’ala Ki Khaas Nusrat o Imdad Se Musalmanon ko Shandar Fateh Naseeb Hui.
✦ RasoolAllah ﷺ Ummat Ke Liye Aansu Bahate Rahe! ✦
“Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu Irshad Farmate Hain Ke Ghazwa e Badr Ke Moqe Par Hazrat Miqdad RadiyAllahu Anhu Ke Alawah Ham Mein Se Koi Ghode Par Sawar Na Tha Aur Ham Sab Log (Raat Padao Ke Dauran) So Gaye Siwaye RasoolAllah ﷺ Ke, Jo Aik Darakht Ke Niche Namaz Padhte Rahe Aur Rote Rahe Yahan Tak Ke Subah Hogayi.” (Musnad Ahmad: 1023)
Hajat Mand Aur Sharyi Taur Par Mustahiqe Zakat Rishtedaron Ko Zakat Dena Na Sirf Ye Ke Jayez Hai Balke Is Mein Dohra Sawab Hai, Aik Sawab Zakat Ka Aur Dusra Sila Rehmi Ka, Bhai, Bahen, Bhatija, Bhatiji, Bhanja, Bhanji, Chacha, Phupi, Khala, Mamu, Saas, Sasur, Damad Wagherah Mein Se Jo Zarurat Mand Aur Mustahiq Zakat Hon, Unhen Zakat Di Ja Sakti Hai Aur Zakat Dete Waqt Ye Batana Bhi Zaroori Nahin Ke Ye Raqam Zakat Ki Hai.
Albatta Darj Zail Rishtedaron Ko Zakat Dena Jayez Nahin:
❶ Usool: Yani Jin Se Paida Hua Hai, Maa, Baap, Dada, Dadi, Nana, Nani Wagherah (Sauteli Maa Usool Mein Dakhil Nahin, Lehaza Use Zakat Dena Jayez Hai).
❷ Furoo: Yani Aulad, Beta, Beti, Pota, Poti, Nawasa, Nawasi Wagherah.
❸ Miya Biwi Aik Dusre Ko Zakat Nahin De Sakte, Talaq Ke Baad Bhi Jab Tak Iddat Nahin Guzar Jati Zakat Dena Jayez Nahin.
Quran Kareem Ki Surah At-Tawbah Aayat Number 60 Mein Darje Zail 8 Masarife Zakat Ka Zikr Maujood Hai:
❶ Fuqra
❷ Masakeen
❸ Aamileene Zakaat (Zakaat ikhatti Karne Par Ma’moor Amle Ke Wazayef Aur Tankhuahon Ki Mad Mein)
❹ (Wo Nao Muslim Jo Zarurat Mand Ho Aur Islam Par Unhen Sabit Qadam Rakhne Ke Liye Un Ki Dildari Maqsood Ho)
❺ Ghulam Ki Aazadi
❻ Maqrooz
❼ Allah Ke Raste Ka Mujahid
❽ Musafir
Note: Zakat Dete Waqt Dene Wale Ke Dil Mein Zakat Ki Niyyat Hona Kafi Hai, Zakat Wusool Karne Wale Ko Ye Batana Zaroori Nahin Ke Ye Zakaat Hai, Balke Hadya, Eidi Ya Kisi Aur Naam Se Bhi Zakat Di Ja Sakti Hai.
❶ Ramadan Al-Mubarak Mein Jahannam ke Darwaze band Kar diye Jate hain.
❷ Jannat ke Darwaze khol diye Jate hain.
❸ Sarkash Shayateen Qaid kar diye Jate hain.
❹ Ramadan Al-Mubarak Nuzoole Quran ka Mahina hai.
❺ Ramadan Al-Mubarak ke Roze Farz Qarar diye gaye.
❻ Ramadan Al-Mubarak mein ibadaat ka Ajr kayi Guna badha diya jata hai.
❼ Ramadan Al-Mubarak mein Umrah ka Sawab Hajj ke Barabar hai.
❽ Ramadan Al-Mubarak mein iftari ke Waqt aur har Raat ko Allah Ta’ala apne Bandon ko Jahannam se Aazad farmate hain.
❾ Ramadan Al-Mubarak mein Lailatul Qadr ki Aik Raat hai jo Hazaar Mahinon se Afzal hai.
❿ Ramadan Al-Mubarak, Muafi, Rehmat, Maghfirat aur Jahannam se Aazadi ka Mahina hai.
Ramadan Al-Mubarak Mein Jo Bakasrat Infaq Fi Sabilillah Ke Fazail Manqool Hain, Isi Tarah RasoolAllah ﷺ Ki Sakhawat Ke Waqiaat Aur Sakhawat Karne Ke Jo Fazail Warid Hue Hain, Ye Tamam Fazail, Sadqate Nafila, Atyaat Aur Hadaya Wagherah Se Mutalliq Hain, Zakat Ki Farziyat Aur Adayegi Ka Bunyadi Taur Par Ramadan Se Talluq Nahin.
Isi Tarah Zakat Yani 2.5% Ki Adayegi Sakhawat Nahin, Ye To Farz Hai Jise Bahre Surat Ada Karna Hai Khuah Ramadan Mein Ada Kare Ya Ramadan Ke Alawah, Sakhawat Ye Hai Ke Insan Zakat Ke Alawah Baqadre Istita'at Dil Khol Kar Insanon Par Aur Rahe Khuda Mein Kharch Kare Aur Sadqate Nafila, Atyaat Aur Hadaya Dene Ka Khoob Ehtemam Kare.
The Prophet ﷺ said, "Recite (and study) the Qur'an as long as you agree about its interpretation, but if you have any difference of opinion (as regards to its interpretation and meaning) then you should stop reciting it (for the time being)."
Urdu Translation: Nabi Kareem ﷺ ne Irshad Farmaya: "Quran Majeed Ki Tilawat Us Waqt Tak Karo Jab Tak (Tilawat Mein) Dil Lage, Jab Jee Uchat Hone Lage To Tilawat Karna Band Kardo."
[Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Book 61 :: Hadith 580, 5060]
●◗► Quran Kareem Ki Tilawat Pure Aadab, Itminan, Saliqe, Dhiyan Aur Zauq Shauq Se Karni Chahiye, Aaj Kal Murawwajah Quran Khuani o Digar Mawaqe Mein Log Bus Jaldi Jaldi Quran Khatam Karna Chahte hain, Zauq Shauq Dhiyan aur Itminan ki Taraf koi Tawajjeh Hi Nahin.
Roze Ki Halat Mein Halal o Pakizah Cheezon Se Bachne Ki Wajah Se Sara Saal Haram Cheezon Se Bachne Ki Salahiyat Insan Mein Paida Hoti Hai Aur Isi Ka Naam Taqwa Hai.
Aam Dinon Mein Allah Ki Nematon Ka Ehsas Nahin Hota Lekin Jab Insan Rozah Rakh Kar Sara Din Bhook Aur Pyaas Bardasht Karta Hai Aur Phir Iftar Ke Waqt Allah Ki Nematon Se Mustafeed Hota Hai To Rooh Aur Badan Ka Ruwan Ruwan Allah Ki Nematon Ke Ehsas Aur Shukr Guzari Mein Doob Jata Hai.
Rozah Rakhne Se Haram Lazzaton Ki Talab Aur Un Ki Taraf Dhyan Khud Ba Khud Kam Ho Jata Hai Jis Ki Wajah Se Saal Bhar Nafs Ki Shahwat Aur Haram Lazzaton Par Qabon Pana Insan Ke Liye Aasan Ho Jata Hai.
Rozah Rakhne Aur Bhook o Pyaas Bardasht Karne Se Allah Ke Hukum Par Apna Sab Kuch Qurban Karne Ka Jazba Paida Hota Hai.
Roze Mein Bhook Bardasht Karne Se Insan Ko Bhook Ki Takleef Ka Ehsas Hota Hai, Jis Ki Wajah Se Us Ke Dil Mein Ghurba Aur Masakeen Se Hamdardi Paida Hoti Hai Aur Wo Allah Ki Raah Mein Dil Khol Kar Apna Maal Kharch Karne Par Aamadah Ho Jata Hai.
RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Rozah Sirf Khane Pine Se Rukne Ka Naam Nahin Balke Rozah To Ye Hai Ke Laghu Aur Behudah Baton Se Bacha Jaye Aur Agar Koi Tum Se Galam Galoch Kare Aur Jihalat Par Utar Aaye To Us Se Kehdo Ke Main Roze Se Hun.” (Mustadrak Al-Hakim:1570)
Narrated Ibn Umar RadiyAllahu Anhu: That the Prophet (ﷺ) said when he broke his fast:
" ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ وَثَبَتَ الأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ "
Dhahab-aẓ-ẓama’u, Wabtallat-il-‛urooqu, Wa thabat-al-Ajru In shaa’ Allaah
Thirst has gone, the arteries are moist, and the reward is sure, if Allah wills.”
[Sunan Abi Dawud :: Book 13 :: Hadith 2350, 2357]
●════════════════◄►═══════════════●
Urdu Translation: Hazrat Ibn Umar RadiyAllahu Anhuma Farmate hain ke Nabi Kareem ﷺ Jab Iftari Tanawul Farmalete to ye Dua Padhte:
" ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ وَثَبَتَ الأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ "
Dhahab-aẓ-ẓama’u, Wabtallat-il-‛urooqu, Wa thabat-al-Ajru In shaa’ Allaah
“Pyaas bujh Gayi aur Ragen tar Hogayin aur Allah ke Hukum se Ajr Sabit ho Gaya.”
[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 585]
The Messenger of Allah (ﷺ) said: “At every breaking of the fast Allah has people whom He frees (from the Fire), and that happens every night.”
Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Allah Rabbul Izzat Ke Han Har Iftar Ke Waqt Logon Ki Aik Ta’dad (Jahannam Se) Aazad Ki Jati Hai, Aur Aisa (Ramadan Al-Mubarak Ki) Har Raat Ko Hota Hai.”
[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 7 :: Hadith 1643]
●◗► Ya Allah! Hamen Bhi Iftari Ke Waqt Jahannam Se Chutkara Naseeb Farmade. (Aameen)
Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate Hain: Main Ne RasoolAllah ﷺ Ko Kabhi Nahin Dekha Ke Aap ﷺ Ne Rozah Iftar Karne Se Pehle Namaze Maghrib Padhi Ho, Agarche (Iftar) Pani Ka Aik Ghoont Pikar Ho. (Sahih Ibn Hibban:3504)
Narrated Abd-Allah ibn ‘Amr RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (ﷺ) said: "Fasting and the Quran will intercede for a person on the Day of Resurrection.
► Fasting will say, ‘O Lord, I deprived him of his food and his desires during the day, so let me intercede for him.’
► And the Quran will say: ‘I deprived him of his sleep at night so let me intercede for him.’ Then they will intercede."
[Musnad Ahmad :: Hadith 6626, Saheeh al-Jami’ :: No 3882]
Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Amr RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Qayamat Ke Din Rozah Aur Quran Majeed Bande Ki Shifa’at Karen Ge.
► Rozah Kahega: Aye Mere Rab! Main Ne Is Ko Din Bhar Khane Pine Aur Khuaheshat Se Roke Rakha, Tu Is Ke Haq Mein Meri Shifa’at Qabool Farma.
► Aur Quran Majeed Kahega: (Aye Rab!) Main Ne Ise Raat Ko Sone Se Roke Rakha, Tu Is Ke Haq Mein Meri Sifarish Qabool Farma. Pus Donon Ki Shifa’at Qabool Karli Jayegi."
[Musnad Ahmad :: Hadith 6626]
Abdullah ibn ‘Amr (RadiyAllahu Anhu) said that the Messenger of Allah ﷺ said: “Make Suhoor even if it just with a sip/gulp of water”. [Sahih Ibn Hibbaan: 3476]
Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Amr RadiyAllahu Anhuma Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Sehri Zaroor Karo! Agarche Aik Ghoont Pani Hi Se Kyun Na Ho.” [Sahih Ibn Hibbaan: 3476]
Narrated Ar-Rubi' bint Mu'awadh RadiyAllahu Anha: "The Prophet (ﷺ) sent a messenger to the village of the Ansar in the morning of the day of 'Ashura' (10th of Muharram) to announce: 'Whoever has eaten something should not eat but complete the fast, and whoever is observing the fast should complete it.' "She further said, "Since then we used to fast on that day regularly and also make our boys fast. We used to make toys of wool for the boys and if anyone of them cried for, he was given those toys till it was the time of the breaking of the fast."
Urdu Translation: Rubi’ Bint Mu’awadh RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke Ashura Ki Subah Aan Hazrat ﷺ Ne Ansar Ke Muhallon Mein Kehla Bheja Ke “Jis Ne Subah Ko Kha Pi Liya Ho Wo Din Ka Baqi Hissa (Rozah Daar Ki Tarah) Pura Kare Aur Jis Ne Kuch Khaya Piya Na Ho To Wo Roze Se Rahe.” Rubi’ RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke Phir Baad Mein Bhi Ham Us Din Rozah Rakhte Aur Apne Bacchon Se Bhi Rakhwate, Bacchon Ko Ham Oon Ka Khilona Dekar Behlaye Rakhte, Jab Koi Khane Ke Liye Rota To Wahi Khilona De Dete, Yahan Tak Ke Iftar Ka Waqt Ho Jata.
[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 181, 1960]
●◗► Bukhari Shareef Ke Sharah Hafiz Ibn Hajar Rahimahullah Farmate Hain: “Ye Hadees Bacchon Ko Roze Ki Mashq Karwane Ke Mashroo’ Hone Ki Wazeh Daleel Hai.” (Fath al Bari: Safah: 201:Juz. 4)
The Prophet (ﷺ) said: "If somebody eats something forgetfully while he is fasting, then he should complete his fast, for Allah has made him eat and drink."
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Jo Shaks Rozah Ki Halat Mein Bhool Kar Khaye (Piye) Use Apna Rozah Mukammal Karna Chahiye, Kyun Ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ne Hi Use Khilaya Aur Pilaya."
[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 78 :: Hadith 662, 6669]
The Prophet (ﷺ) as saying: How good is the believers meal of dates shortly before dawn.
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Momin Ki Behtareen Sehri Khajoor Hai.”
[Sunan Abi Dawud :: Book 13 :: Hadith 2338, 2345]
Rahmat o Maghfirat Ka Mahina Shuru Hote Hi Masjiden Namaziyon Se Bhar Jati Hain Aur Naye Chahre Masjid Mein Nazar Aane Lagte Hain Jin Mein Badi Ta’daad NoUmr Naujawanon Ki Hoti Hai, Aise Mein Masjid Ke Mustaqil Aur Samajhdar Namaziyon Ki Zimmedari Hai Ke Woh Un Nauwarid Naujawanon Se Mohabbat Aur Shafqat Bhara Sulook Karen, Un Ki Laghzishon Aur Bachkana Harkaton Par Darguzar Se Kaam Len, Un Ko Waqt Den Aur Un Par Aisi Mahnat Karen Ke Un Ka Dil Masjid Mein Lagna Shuru Ho Jaye.
●◗► Yaad Rakhen! Acche Akhlaq Aur Umdah Bartaon Naye Chahron Ko Saal Bhar Pabandi Se Namazen Padhne Wala Bana Sakta Hai, Jab Ke Bura Sulook Un Ko Masajid Ke Ruhani Mahol Se Door Karne Ka Sabab Ban Sakta Hai.
● Jo Guzar Chuka Use Bhool Jayyen!
● Jis Ne Takleef Pohnchayi Use Muaaf Karden!
● Agar Muaaf Nahin Kar Pa Rahe To Muamla Allah Par Chhod Den!
Baat Baat Pe Gile Shikwe Karna Chhod Den, Aap Ki Zindagi Pur Sukoon Ho Jayegi, InshaAllah
● Jibreel Alaihis Salaam ke Zariye “Quran” Nazil hua Lehaza Wo Tamaam Farishton Mein Afzal Qarar Paye
● Muhammad RasoolAllah ﷺ Par “Quran” Nazil hua, Lehaza Aap ﷺ Tamam Makhlooq ke Sardar kehlaye
● Ummate Muhammadiya ko “Quran” ki Amanat Supurd ki gayi, Lehaza Ye Ummat khaire Ummat Qarar Payi
● Maahe Ramadan mein “Quran” Nazil hua, Lehaza ye Maheena Tamam Mahinon ka Sardar Tehra
● Shabe Qadr mein “Quran” Nazil hua, Lehaza ye Raat Tamaam Raton se Afzal Qarar Payi.
Jo Bhi Quran Se Nisbat Jodega Wo Taraqqi ki Manazil Tai Karega!
Darwaze Par Aane Wale Ghurba Ko Bacchon Ke Hath Se Khana Dilwayye, Bahar Jate Waqt Gadi Mein Phal Aur Khane Pine Ki Ashya Rakhye, Raste Aur Signals Par Mangne Walon Ko Bacchon Ke Hath Se Dilwayye.
Bhukon Ko Khana Khilane Se Bacchon Mein Rahem Aur Hamdardi Ke Jazbat Paida Hote Hain.
Narrated Aisha, Ummul Mu'minin RadiyAllahu Anha: "The Messenger of Allah (ﷺ) used to count the days in Sha'ban in a manner he did not count any other month; then he fasted when he sighted the new moon of Ramadan; but if the weather was cloudy he counted thirty days and then fasted."
Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke "RasoolAllah ﷺ Sha'ban (Ki Tareekhen Yaad Rakhne) Ka Jis Qadar Ehtemam Farmate Itna Kisi Dusre Mahine Ki Tareekhon Ka Nahin (Kyun Ke Sha’ban Ke Ekhtetam Par Ramadan Ke Aagaz Ka Madar Hai) Phir Jab Ramadan Ka Chand Nazar Aata To Roze Rakhte, Aur Agar Matla’a Abar Aalood Hone Ki Wajah Se (29 Shaban Ko) Chand Nazar Na Aata To (Sha'ban Ke) 30 Din Poore Farmate Aur Phir Roze Rakhte."
[Sunan Abi Dawud :: Book 13 :: Hadith 2318, 2325]
“Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Jab Nabi Akram ﷺ Kisi Se Musafha Farmate To Us Waqt Tak Us Ke Hath Se Apna Hath Nahin Kheenchte The Jab Tak Woh Khud Na Kheench Leta Aur Us Waqt Tak Us Ki Taraf Se Chehrah Mubarak Nahin Pherte The Jab Tak Woh Khud Chehrah Na Pher Leta.”
[Shuab ul Iman Al-Bayhaqi : 8132 Sahih]
عن أنس قال كان رسول الله صلى الله عليه و سلم إذا صافح رجلا لم ينزع يده من يده حتى يكون الرجل هو الذي ينزع و لا يصرف وجهه حتى يكون الرجل هو الذي يصرف
(شعب الایمان لابی بکر البیہقی: 8132، حدیث صحیح)
"The Messenger of Allah ﷺ said: 'There has come to you Ramadan, a blessed month, which Allah, the Mighty and Sublime, has enjoined you to fast. In it the gates of heavens are opened and the gates of Hell are closed, and every devil is chained up. In it Allah has a night which is better than a thousand months; whoever is deprived of its goodness is indeed deprived."'
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Tum Par Ramadan Ka Mubarak Mahina Aaya Hai Jis Mein Allah Ta’ala Ne Roze Farz Kiye Hain, Is Mahine Mein Aasman (Yani Jannat) Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain, Jahannam Ke Darwaze Band Kar Diye Jate Hain Aur Sarkash Shayateen Qaid Kardiye Jate Hain, Is Mein Allah Ki Taraf Se Aik Raat (Shabe Qadr) Hai Jo Hazar Mahinon Se Behtar Hai, Jo Is Raat Ki Khair o Bhalayi Se Mahroom Raha Wo Haqiqat Mein Bada Mahroom Hai.”
[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 3 :: Book 22 :: Hadith 2108, 2106]
Amr bin Al-Harith bin Al-Mustaliq narrated from the nephew of Zainab, the wife of Abdullah (Ibn Mas'ud) who said: "The Messenger of Allah (ﷺ) delivered a sermon to us, and said: 'O you women! Give charity, even if it is from your jewelry, for indeed you will make up most of the people of Hell on the Day of Judgment.'"
Urdu Translation: Hazrat Zainab RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke RasoolAllah ﷺ Ne Hamen Khutba Dete Hue Irshad Farmaya: "Aye Aurton Ki Jamat! Tum Zakat Ada Kiya Karo Agarche Woh Zewar Hi Kyun Na Ho Is Liye Ke (Zewraat Aur Maal Ki Mohabbat Mein Giraftar Hokar Zakat Ki Adayegi Mein Kotahi Ki Waja Se) Qayamat Ke Din Tum Mein Aksariyat Jahannam Mein Hogi."
[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 2 :: Hadith 635, 635]
تعاشروا كالإخوان وتعاملوا كالأجانب
Mashhoor Arbi Maqola Hai: "Muashrat Aur Husn Sulook Bhaiyyon Ki Tarah Karo! Lekin Muamlat Aur Lain Dain Ajnabiyon Ki Tarah Karo! (Yani Maali Muamlaat Wazeh, Saaf Suthre Aur Tahreeri Shakal Mein Hon).”
Main Aazad Khayal Aurton Ki Nahin Apne Allah Ki Manungi!
●◗► Kyun ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala Jismani Khoobsurti Aur Zeb o Zeenat ke Izhar Ke Hawale Se Wazeh Hukum Dete Hain: ⇨ “Aur Momin Aurton se Kehdo Ke Woh Apni Nigahen Nichi Rakhen Aur Apni Sharmgahon Ki Hifazat Karen Aur Apni Sajawat Ko Kisi Par Zaher Na Karen Siwaye Is Ke Jo Khud Hi Zaher Ho Jaye Aur Apni Odhniyon Ke Aanchal Apne Girebanon Par Dal Liya Karen Aur Apni Zeenat Kisi Par Zaher Na Karen Siwaye ❶ Apne Shoharon Par Ya ❷ Apne Baap Par Ya ❸ Susar Par Ya ❹ Apne Beton Par Ya ❺ Apne Shoharon Ke Beton Par Ya ❻ Apne Bhaiyyon Par Ya ❼ Apne Bhatijon Par Ya ❽ Apne Bhanjon Par Ya ❾ Apni Mail Jol Ki Aurton Par Ya ❿ Un Ghulamon Ya ⓫ Khidmat Guzaron Par jin Ke Dil Mein Koi Jinsi Taqaza Nahin Hota Ya ⓬ Un Bacchon Par Jo Abhi Tak Aurton Ke Chupe Hue Hisson Se Aashna Nahin Hue, Aur Musalman Aurton Ko Chahiye Ke Woh Apne Paon Zameen Par Is Tarah Na Maren Ke Unhon Ne Jo Zeenat Chupa Rakhi Hai Woh Maloom Ho Jaye. (Al-Qur’an, Surah An-Noor: 31)
◗► Jo Shaks Ahliya Ke Liye Gadi Ka Darwazah Khole, Woh Beghairat Samjha Jata Hai.
◗► Jo Ahliya Ke Baithne Ke Liye Kursi Rakhe, Woh Kamzor Shakhsiyat Ka Malik Kehlata Hai.
◗► Jo Ahliya Ki Sahulat Ke Khatir kabhi bacche Sambhal Le, Woh Biwi Ka Ghulam Samjha Jata Hai.
◗► Garz Jo Bhi Shaks Ahliya Ka Kisi Kaam Mein Hath Bataye, Woh….Aur…..Samjha Jata Hai.
✦......... RasoolAllah ﷺ Ka Tarze Amal .........✦
✿ "RasoolAllah ﷺ Apni Ahliya Mohtarma Ummul Mumineen Hazrat Safya RadiyAllahu Anha Ke Liye Oont Ke Qareeb Baith Gaye Aur Ghutna Mubarak Khada Farmadiya Aur Safya RadiyAllahu Anha Ne Apna Qadam RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Ghutne Par Rakha Aur Ba’aasani Oont Par Sawar Hogayen." (Sahih Bukhari: 4211)
✿ "RasoolAllah ﷺ Ghar Ke Kaam Kaaj Mein Azwaje Mutahrat Ka Hath Batate, Hatta Ke Kapde Par Khud Pewand Lagalete, Jute Ki Islah Farmalete, Phata Hua Pani Ka Dol Durust Farmadete Wagherah." (Sahih Ibn Hibban: 5676)
●═══════════════◄►══════════════●
Prophet (ﷺ), making for her a kind of cushion with his cloak behind him (on his camel). He then sat beside his camel and put his knee for Safiya to put her foot on, in order to ride (on the camel [Sahih Bukhari :: Vol. 5 :: Book 59 :: Hadith 522]
Prophet (ﷺ) use to help his wife, he improved his sandals, sew his clothes, and raised the water in the bucket. [Reported by Sahih Ibn Hibban :: Hadith 5676]
✦ Kamron Mein Bhi Dakhile Se Pehle Dastak Dekar Ijazat Len.
✦ Waldain Ke Kamre Mein Bhi Dakhil Hone Se Pehle Dastak Den.
✦ Do Pahar Aur Raat Ke Auqat Mein Khaas Khayal Rakhen.
✦ Teen Martaba Tak Dastak Dene Ke Baad Ijazat Milne Ka Intezar Karen.
✦ Ijazat Na Milne Ki Surat Mein Bura Mane Baghair Wapas Laut Jayen.
It was narrated from Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu that: A man came to the Messenger of Allah (ﷺ) and said: "O Messenger of Allah, what do you think if someone comes to steal my wealth?" He ﷺ said: "Urge him by Allah." He said: "What if he persists?" He ﷺ said: "Urge him by Allah." He said: "What if he persists?" He ﷺ said: "Urge him by Allah." He said: "What if he persists?" He ﷺ said: "Then fight. If you are killed you will be in Paradise and if you kill him, he will be in the Fire."
Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Aik Shaks Ne RasoolAllah ﷺ Ke Paas Aakar Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Agar Koi Mera Maal Zulman Lene Aaye To Aap Ka Kya Hukum Hai? Aap ﷺ Ne Farmaya: “Unhen Allah Ki Qasam Do!” Sahabi Ne Pucha: Agar Woh Na Manen? Aap ﷺ Ne Farmaya: “Unhen Phir Allah Ki Qasam Do” Sahabi Ne Arz Kiya: Agar Woh Phir Bhi Na Manen? Aap ﷺ Ne Phir Farmaya: “Unhen Allah Ki Qasam Do”, Us Ne Kaha: Phir Bhi Woh Na Manen? Aap ﷺ Ne Farmaya: “Phir Un Se Lado! Agar Tum Mare Gaye To Jannat Mein Hoge, Aur Agar Tum Ne Unhen Mardiya To Woh Jahannam Mein Honge.”
[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 5 :: Book 37 :: Hadith 4088, 4083]
Khawateen Ko Khatoon Darzan Se Hi Kapde Silwane Chahiye, Agar Kisi Zarurat Ke Tahet Koi Khatoon Mard “Darzi” Se Kapde Silwana Chahe To Shohar, Bhai Ya Bete Wagherah Ko Naap Ke Liye Sile Hue Kapde Dekar Darzi Ke Paas Bhejde Aur Woh Darzi Ko Silayi Ki Tafsilaat Bata Kar Kapde Silwale To Is Ki Gunjaish Hai.
✘ Agar Koi Khatoon Az Khud Kisi Mard “Darzi” Ke Paas Jaye Aur Woh Us Ke Kapdon Ka Khud Naap Le Jis Ki Wajah Se Woh Us Ke Niswani Aaza Ke Size Aur Figure Wagherah Ka Mushahedah Kare To Ye Bilkul Haram Aur Na Jayez Hai Aur Fitne Mein Mubtela Hone Ka Zariya Hai.
✦.......► Dunyawi Zindagi Ka Dhoka! ◄.......✦
●◗►
Soye Hue Shaks Ko Bedaar Hote Hi Pata Chal Jata Hai Ke Woh Khuab Dekh
Raha Tha, Isi Tarah Insan Ko Maut Ke Aasar Tari Hote Hi Pata Chal Jata
Hai ke Woh Faani Aur Aarzi Dunya Ke Dhoke Aur Khuabon Mein Gum Tha.
❶ Gheebat aur Musalman ki Aabru Rezi ki Waja se Khofnak Azab: RasoolAllah ﷺ ne Meraj ke Safar mein Dekha ke Logon ki Ghibat aur Aabru rezi Karne Walon ke Nakhun Tanbe ke the aur Wo un se Apne Chehron aur Sinon ko buri Tarah Noch Rahe the.
❷ Jinsi Be Raah Rawi Mein Mubtela Logon ka Bhayank Anjam: Halal Biwi ya Halal Shohar ko Chhod kar Haram aur Badkari ka irtekab karne Wale Mard o Aurton ko Aap ﷺ ne Dekha ke wo Saaf suthra Pakizah Gosht Chhod kar Sada hua Badbudar Gosht khane Ka Azab Bhugat rahe Hain.
❸ Yateemon ka Maal Khane Walon ka Ibrat Naak Anjam: RasoolAllah ﷺ ne Yatimon ka Maal Nahaq khane Walon ko dekha ke un ke Hont Oont ke Honton ki tarh the aur Wo Apne muh mein Pattharon Jaise Angare thons rahe the jo Dusri Janib Pakhane ke Raste se Nikal rahe the.
❹ Sood khoron ko Dardnak Azab: Aap ﷺ ne Sood khoron ko Dekha ke un ke Pait Gharon ki Manind kushadah aur bade the Jin mein Sanp the Jo Pait ke Bahar se Nazar Aarahe the.
❺ Shohar ke Sath Khayanat karne Wali Aurton ka Haal: Aap ﷺ ne Aisi Aurton ko Dekha ke un ke Sinon mein Bade bade Tedhe kante Chubha kar unhen Aasman o Zameen ke Darmiyan latka diya Gaya tha.
❻ Be Aml Wa’zon aur Khateebon ka Anjam: Dusron ko Nasihat aur khud us Par Aml na Karne Wale Khateebon aur Wa’zon ka haal Aap ﷺ ne ye Dekha ke un ki Zubanen Lohe ki Qainchi se kati Ja Rahi hain aur jab Cut jati hain to Phir Pehle ki Tarah Sahih o Salim ho Jati hain.
❼ Jannat ki Khushbu aur Jahannam ka Sadan Badbu: Aap ﷺ ka Guzar jab Jannat par hua to Waha Thande aur Khushbudar hawa ke Jhonke Aarahe the aur Jab Jahannam Par Guzar hua to Aap ne Sakht Badbu Mahsoos Farmayi. (Makhuz Az Ahadis Mubarka o Kutub Sirat).
Allah's Messenger (ﷺ) kissed Al-Hasan bin `Ali RadiyAllahu Anhu while Al-Aqra' bin H`Abis at-Tamim was sitting beside him. Al-Aqra said, "I have ten children and I have never kissed anyone of them," Allah's Messenger (ﷺ) cast a look at him and said, "Whoever is not merciful to others will not be treated mercifully."
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Hazrat Hasan bin Ali RadiyAllahu Anhuma Ko Bosa Diya, Aap ﷺ Ke Paas Hazrat Aqra bin Habis RadiyAllahu Anhu Baithe Hue The, Hazrat Aqra RadiyAllahu Anhu Ne Kaha Ke Mere 10 Ladke Hain Aur Main Ne Un Mein Se Kisi Ko Bosa Nahin Diya.
Aap ﷺ Ne Un Li Taraf Dekha Aur Farmaya: “Jo Makhluqe Khuda Par Rahem Nahin Karta Us Par Bhi Rahem Nahin Kiya Jata.”
[Sahih al-Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 26, 5997]
Hazrat Sheikh Ul Islam Mufti Muhammad Taqi Usmani Sahab Farmate Hain: “27 Rajab Ki Shab Ke Bare Mein Ye Mashhoor Ho Gaya Hai Ke Ye Shabe Meraj Hai Aur Is Shab Ko Bhi Isi Tarah Guzarna Chahiye Jis Tarah Shabe Qadr Guzari Jati Hai Aur Jo Fazilat Shabe Qadr Ki Hai Kam o Besh Shabe Meraj Ki Bhi Wahi Fazilat Samjhi Jati Hai Balke Main Ne To Aik Jaga Ye Likha Hua Dekha Ke “Shabe Meraj” Ki Fazilat “Shabe Qadr” Se Bhi Zyadah Hai, Aur Phir Is Raat Mein Logon Ne Namazon Ke Bhi Khaas Khaas Tariqe Mashhoor Kar Diye Ke Is Raat Mein Itni Rakaat Padhi Jayen Aur Har Rakat Mein Fulan Fulan Khaas Surten Padhi Jayen, Khuda Jane Kya Kya Tafsilat Is Namaz Ke Bare Mein Logon Mein Mashhoor Ho Gayin, Khoob Samajh Lijiye! Ye Sab Be Asal Baten Hain, Shariat Mein In Ki Koi Asal Aur Koi Bunyad Nahin.
Sab Se Pehli Baat To Ye Hai Ke 27 Rajab Ke Bare Mein Yaqini Taur Par Nahin Kaha Ja Sakta Ke Ye Wahi Raat Hai Jis Mein Nabi Kareem ﷺ Meraj Par Tashreef Le Gaye The Kyun Ke Is Baab Mein Mukhtalif Riwayten Hain, Baaz Riwayaton Se Malum Hota Hai Ke Aap ﷺ Rabi ul Awwal Ke Mahine Mein Tashreef Le Gaye The, Baaz Riwayaton Mein Rajab Ka Zikr Hai Aur Baaz Riwayaton Mein Koi Aur Mahina Bayan Kiya Gaya Hai, Is Liye Pure Yaqeen Ke Sath Nahin Kaha Ja Sakta Ke Konsi Raat Sahih Mayni Mein Meraj Ki Raat Thi Jis Mein Aap ﷺ Meraj Par Tashreef Le Gaye..
Phir Dusri Baat Ye Ke Waqia Meraj Sun 5 Nabwi Mein Pesh Aaya, Yani Huzoor ﷺ Ke Nabi Banne Ke Panchwe Saal Ye Shabe Meraj Pesh Aayi, Jis Ka Matlab Ye Hua Ke Is waqia Ke Baad 18 Saal Tak Aap Dunya Mein Tashreef Farma Rahe, Lekin In 18 Saal Ke Dauran Ye Kahin Sabit Nahin Ke Aap ﷺ Shabe Meraj Ke Bare Mein Koi Khaas Hukum Diya Ho, Ya Is Ko Manane Ka Ehtemam Farmaya Ho, Ya Is Ke Bare Mein Farmaya Ho Ke Is Raat Shabe Qadar Ki Tarah Jagna Zyadah Ajr o Sawab Ka Bais Hai, Na To Aap ﷺ Ka Aisa Koi Irshad Sabit Hai, Na Khud Huzoor ﷺ Jage Aur Na Sahaba Karam Ko Is Ki Takeed Farmayi Aur Na Sahaba Karam RadiyAllahun Anhum Ajmayeen Ne Apne Taur Par Is Ka Ehtemam Farmaya.”
⇨ "And the messenger (ﷺ) will say, “O my Lord, my people had taken this Qur’ān as deserted.” (Surah Al-Furqan:30)
"Aur Rasool (ﷺ) Kahen Ge: "Ya Rab! Meri Qaum Is Quran Ko Bilkul Chhod Baithi Thi." (Surah Al-Furqan:30)
Is Ladki Ne Hawas Naak Bhuke Bhediyon Ke Muh Par Woh Thhappad Raseed Kiya Hai Ke Jis Ki Goonj Dunya Ke Kone Kone Mein Suni Gayi Hai, Woh Khamoshi Se Tane Sunkar Bhag Sakti Thi, Lekin Us Ne Chand Lamhat Ke Fasle Par Apni Jaan Aur Izzat Ko Lahaq Shadeed Tareen Khatrat Ke Bawajood Rabbe Dhul Jalal Ka Ba Barkat Zikr Buland Kiya Aur Haq Baat Ko Mushrik Bhediyon Ke Galon Mein Utara Hai.
●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Is Sherni Ki Hifazat Farmaye, Aur Muslim Dunya Ke Buzdil Aur Be Ghairat Hukmuranon Aur Un Ki Afwaj Ko Ghairat Ata Farmaye. Aameen
The Messenger of Allah ﷺ said: “The woman is Awrah, so when she goes out, the Shaitan seeks to tempt her.”
Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Aurat Parde Mein Rehne Ki Cheez Hai, Jab Wo (Ghar Se) Nikalti Hai To Shaitan Use (Logon Ke Liye) Muzayyan Banata Hai.” (Yani: Wasawis Aur Bure Khayalat Ke Zariye Logon Ko Behkane Ki Koshish Karta Hai.)
[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 7 :: Hadith 1173, 1173]
Aawarah Aur Hawas Bhari Nigahon Se Bachata Hai.
Zina Se Bachata Hai.
Zillat o Ruswayi Se Bachata Hai.
Poore Mua’shre Ko Be’hayai Aur Fasad Se Bachata Hai.
Mua’shre Mein iffat o Paak Damni Paida Karta Hai.
Hazrat Ibn Umar RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke “RasoolAllah g Ne Tanhayi Yani Is Baat Se Mana Farmaya Ke Koi Shaks Akele Raat Guzare.” (Musnad Ahmad:5650)
●◗► Tanha Raat Guzarne Ki Mumaniat Is Liye Hai Ke Basa Auqat Raat Mein Tabiyat Ki Achanak Kharabi, Bimari, Chori Ka Khadsha, Dar Aur Wehshat Wagherah Jaisi Kai Wujuhat Ki Bina Par Insan Ko Sathi Ki Zarurat Pad Sakti Hai, Neez Raat Ke Waqt Shayateen Bhi Phail Jate Hain Jo Insanon Ko Takaleef Pohnchane Ke Darpe Rahte Hain Aur Dil Mein Tarah Tarah Ke Wasawis Aur Gunah Ke Jazbat Ubharte Hain, Lehaza Behtar Yahi Hai Ke Akele Raat Na Guzari Jaye.
Apni
"Sahet" Ka Khayal Apne "Rishtedaron" Se Badh Kar Rakhen! Kyun Ke Bimar
Ho Jane Ki Surat Mein Aap Unhi "Rishtedaron" Par Bojh Ban Jate Hain!