Tuesday, 13 December 2022

✦....► Mosame Sarma Hawa Ke Jhonkon Ko Bura Na Kahen! ◄....✦

Narrated AbuHurayrah RadiyAllahu Anhu: I heard the Messenger of Allah (ﷺ) say: The wind comes from Allah's mercy.

Salamah's version has: It is Allah's mercy; it (sometimes) brings blessing and (sometimes) brings punishment. So when you see it, do not revile it, but ask Allah for some of its good, and seek refuge in Allah from its evil."

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Hawa Allah Ki Rehmat Mein Se Hai, Kabhi Woh Rehmat Lekar Aati Hai Aur Kabhi Azab Lekar Aati Hai, Jab Tum Hawa Chalti Dekho To Use Bura Mat Kaho! Balke Allah Se Us Ki Bhalayi Mango Aur Us Ke Shar Se Allah Ki Panah Chaho!”

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 5078, 5097]


Bacchon Ke Dimagh Mein Aap Kya Bhar Rahe Hain? Yaad Rakhye! Bacche Aap Ko Dekhte Aur Sunte Hain..Aap Ka Rishtedaron Aur Dost Ahbab Ke Sath Sulook Bacchon Mein Sarayat Kar Jata Hai..Lehaza Har Muamle Se Pehle Sochen Ke Aap Bacchon Ke Dil o Dimagh Mein Kya Bhar Rahe Hain?


“Masaib o Mushkilat Mein Pareshan Na Rahen Balke Unhi Masaib Aur Tute Dilon Ke Zariye Allah Ta’ala Se Duayen Mangen.”



✦.........♥ Dunya Ki Sab Se Badi Daulat ♥.........✦

RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “4 Chizen Jab Tumhen Mil Jayen To Dunya Ki Kisi Cheez Ke Na Milne Par Afsos Na Karna:u Amanat Ki Paasdari Karnav Guftagu Mein Sach Bolnaw Husn Akhlaqx Halal o Pakizah Rozi.” (Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim:7876)


✦..........► Soodi Nizam Ki Nahusat ◄..........✦

Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Logon Par Aik Waqt Aisa Zaroor Aayega Ke Koi Shaks Sood Khane Se Bach Nahin Sakega Aur Agar Sood Na Bhi Khaya To Kam Se Kam Sood Ka Dhuan To Us Ko Pahoch Kar Rahega.” (Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim: 2162)

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ham Sab Ko Soodi Aamdani Aur Sood Ki Nahusat Se Mahfooz Farmaye. (Aameen)


✦ 1 Martaba Durood Shareef Par 30 Azeem Al-Shan Inaamat! ✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Whoever sends salah upon me once, Allah (SWT) will send salah upon him tenfold, and will erase ten sins from him, and will raise him ten degrees in status."

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ )Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Mujh Par 1 Martaba Durood Padhta Hai Allah Ta’ala Us Par 10 Rehmaten Nazil Farmate Hain Us Ke 10 Gunah Mita Dete Hain Us Ke 10 Darjaat Buland Farmate Hain.”

[Sunan an-Nasa'I :: Vol. 2 :: Book 13 :: Hadith 1298, 1297]


Hazrat Bishr Al-Hafi Rahimahullah Farmate Hain: Bure Logon Ki Sohbat Naik Logon Se “Badgumani” Paida Karti Hai.


Agar Aap Ki Sahet Theek Hai Aur Badan Ke Aaza Salamat Hain To Is Par Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ka Shukr Ada Kijiye!!!

✦......► Aap Ka Shumar Zindon Mein Ya Murdon Mein? ◄......✦

The Prophet (ﷺ) said, "The example of the one who celebrates the Praises of his Lord (Allah) in comparison to the one who does not celebrate the Praises of his Lord, is that of a living creature compared to a dead one."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Apne Rab Ka Zikr Karta Hai Woh “Zindah” Ki Tarah Hai Aur Jo Zikr Nahin Karta Woh “Murdah” Ki Tarah Hai.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 8 :: Book 75 :: Hadith 416, 6407]


✦......♥ Sard Raat Mein Lihaf Se Uth Kar Namaz Padhna ♥......✦

Hazrat Abdullah bin Mas'ud RadiyAllahu Anhu Se Marwi Aik Hadees Mein Hai: Do Shakson Ko Dekh Kar Allah Ta'ala Hans Deta Hai, (Jin Mein) Aik Shaks Woh Hai Jo Sard Raat Mein Apne Bistar Aur Lihaf Se Uth Kar Wuzu Karta Hai, Phir Jab Namaz Ke Liye Khada Hota Hai To Allah Ta'ala Farishton Se Puchta Hai: Mere Bande Ko Ye Takleef Bardasht Karne Par Kis Cheez Ne Ubhara Hai? Farishte Jawab Dete Hain Ke Woh Aap Ki Rehmat Ka Ummidwar Hai Aur Aap Ke Azab Se Khaufzadah Hai, Allah Ta'ala Farmata Hai: Tum Log Gawah Raho Main Ne Is Ki Ummiden Puri Kardin Aur Jis Cheez Se Khof Kha Raha Hai Us Se Amn De Diya. (Al-Mu’jam Al-Tabarani:8532)

عَنِ ابْنِ مَسْعُودٍ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: عَجِبَ رَبُّنَا مِنْ رَجُلَيْنِ: رَجُلٍ ثَارَ عَنْ وِطَائِهِ وَلِحَافِهِ مِنْ بَيْنَ حِبِّهِ وَأَهْلِهِ إِلَى صَلَاتِهِ ، فَيَقُولُ اللَّهُ جَلَّ وَعَلَا لِمَلَائِكَتِهِ: انْظُرُوا إِلَى عَبْدِي، ثَارَ عَنْ فِرَاشِهِ وَوِطَائِهِ مِنْ بَيْنَ حِبِّهِ وَأَهْلِهِ إِلَى صَلَاتِهِ رَغْبَةً فِيمَا عِنْدِي، وَشَفَقَةً مِمَّا عِنْدِي، وَرَجُلٍ غَزَا فِي سَبِيلِ اللَّهِ، فَانْهَزَمَ أَصْحَابُهُ، وَعَلِمَ مَا عَلَيْهِ فِي الِانْهِزَامِ ، وَمَا لَهُ فِي الرُّجُوعِ، فَرَجَعَ حَتَّى هُرِيقَ دَمُهُ، فَيَقُولُ اللَّهُ لِمَلَائِكَتِهِ: انْظُرُوا إِلَى عَبْدِي، رَجَعَ رَجَاءً فِيمَا عِنْدِي، وَشَفَقًا مِمَّا عِنْدِي حَتَّى هُرِيقَ دَمُهُ .

رواه أحمد في مسنده (3949) وابن حبان في صحيحه (2558) وابن خزيمة في "التوحيد" (799)

وقد ساق المنذري رحمه الله الحديث المرفوع أولا، ثم الموقوف، في "الترغيب والترهيب" (630) ، ثم قال: رواه أحمد وأبو يعلى والطبراني وابن حبان في "صحيحه".


✦......♥ Namaze Fajr Ke Liye Bedar Hone ki Tadabeer! ♥......✦

● Allah Se Madad Chahen!
● Fajr Mein Uthne Ka Pokhta Azm Karen!
● Raat Ka khana Kam Khayen!
● Dair Tak Jagne Se Ehteraz Aur Jald Sone Ka Ehtemam Karen!
● Andruni Alarm Lagayen! (Yani Dil Mein Allah Ki Mohabbat Paida Karen!
● Beruni Alarm Lagayen! (Yani Ghadi Wagerah Lagalen Ya Kisi Ko Jagane Ka Kehkar Soyen).


Sardi Ka Mosam Hai, Ird Gird Maujood Taleemi Idaron Aur Jhopdiyon Mein Rehne Walon Par Nazar Daudayen Ke Kahin Koi Baccha Sardi Se Mutassir To Nahin Ho Raha!!! Aise Bacchon Ko Jersey, Garam Topi, Chadar Aur Digar Sardi Se Bachao Ka Saman Muhayya Kar Ke Apne Liye Aakhirat Ka Saman Tayyar Karen!!!


✦.......♥ Ehtemame Namaz Par Jannat Ka Wadah ♥.......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) say: 'Five prayers are those that Allah has decreed for (His) slaves, whoever does them, and does not neglect any of them out of disregard toward them, will have a promise from Allah that He will admit him to Paradise. And whoever does not to them will have no such promise from Allah; if He wills he will punish him and if He wills He will admit him to Paradise.

Urdu Translation: Nabi Kareem ﷺ Ka Irshad Hai: “Allah Ne Apne Bandon Par Panch Namazen Farz Ki Hain, Jo Inhen Ada Karega, Aur In Mein Se Kis Ko Halka Samajhte Hue Zaye Nahin Karega, To Allah Ka Us Se Pokhta Wadah Hai Ke Woh Use Jannat Mein Dakhil Karega, Aur Jis Ne Inhen Ada Nahin Kiya To Allah Ka Us Se Koi Wadah Nahin Hai, Agar Chahe To Use Azab De, Aur Chahe To Use Jannat Mein Dakhil Kare.”

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 1 :: Book 5 :: Hadith 462, 461]


"Our Lord, indeed we have believed, so forgive us our sins and protect us from the punishment of the Fire." [Qur'an 3:16]

"Aye Hamare Rab! Ham Iman Le Aaye Pus Hamare Gunahon Ko Baksh De Aur Hamen Aag Ke Azab Se Bachale." [Qur'an 3:16]


✦.......♥ Rishtedari Nibhane Ka Sahih Tariqa ♥.......✦

The Prophet (ﷺ) said, "Al-Wasil is not the one who recompenses the good done to him by his relatives, but Al-Wasil is the one who keeps good relations with those relatives who had severed the bond of kinship with him."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Rishtedari Nibhane Ka Tareeqa Ye Nahin Hai Ke Sirf Acche Sulook Ke Badle Hi Accha Sulook Kiya Jaye Balke Sila Rehmi Karne Wala (Asal Shaks) Woh Hai Ke Jab Us Ke Sath Koi Rishtedar Accha Sulook Na Kare (Aur Qata Talluq Karta Ho) Phir Bhi Ye Un Ke Sath Talluq Banaye Rakhe (Aur Accha Sulook Karta Rahe).”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 20, 5991]


✦..► Ghibat Aur Chughliyan Karne Walon Ki Baat Na Sunen! ◄..✦

⇨ Irshad Khudawandi Hai: “Aur Kisi Bhi Aise Shaks Ki Baton Mein Na Aana Jo Bahot Zyadah Qasmen Khane Wala Be Wuq’at Shaks Hai, Tane Dene Ka Aadi Hai, Chughliyan Lagata Phirta Hai.” (Quran, Surah Al-Qalam:10,11)

⇨ "And do not obey any contemptible one who swears much, a slanderer who goes about with calumnies, (Quran, Surah Al-Qalam 68:10,11)


“Naraz Hone Walon Ko Manane Mein Dair Na Karen Lekin Bezar Ho Jane Walon Pe Alfaz Zaye Mat Karen.”


✦............♥ Neki Ka Ye Moqa Zaye Na Karen! ♥............✦

Sardi Ka Mosam Shuru Ho Chuka Hai, Is Mosam Mein Nekiyan Jama Karne Aur Razaye Ilahi Hasil Karne Ka Aik Ahem Zariya Ye Bhi Hai Ke Ham Apne Atraf Mein Nazar Dalen Aur Dekhen Ke Kitne Log Hain Jo Ghurbat Ki Wajah Se Sardi Se Bachne Ka Saman Nahin Kar Sakte, Aise Logon Ke Liye Apni Haisiyat Ke Mutabiq Garam Kapdon Ya Chadaron Ka Intezam Karden.

Allah Ke Rasool ﷺ Ka Farman Hai: “Makhlooq Allah Ka Kunba Hai Aur Allah Ko Sab Se Zyadah Pasand Woh Hai Jo Us Ke Kunba Ke Sath Neki Kare.”

عَنْ أَنَسٍ وَعَبْدِاللهِ قَالَا قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : " الْخَلْقُ عِيَالُ اللهِ ، فَأَحَبُّ الْخَلْقِ إِلَى اللهِ مَنْ اَحْسَنَ اِلَى عِيَالِهِ " (رواه البيهقى فى شعب الايمان)
معارف الحدیث - کتاب الاخلاق - حدیث نمبر 268


✦.......► Bacchon Ko Hargiz “Shaitan” Na Kahen! ◄.......✦

●◗► Bacchon Ko “Shaitan” Na Kahen!!! Allah Na Kare Ke Koi Baccha Shaitan Ho Ya Shaitani Khaslat Ka Hamil Ho, “Shaitan” To Iblees Mardood Aur Us Ki Aal Aulad Ko Kaha Jata Hai Jin Ka Kaam Hi Dunya Mein Fasad, Sarkashi Aur Allah Ki Nafarmani Ka Bazaar Garam Rakhna Hai.. Neez Hazrat Adam Alaihis Salam Ko Sajdah Na Karne Ki Wajah Se “Shaitan” Randah Dargahe Khudawandi Aur Allah Ki Rehmat Se Hamesha Ke Liye Door Hai, Kya Koi Ye Chahega Ke Us Ka Baccha Allah Ki Rehmat Se Door Ho?

"Han Albatta Agar Koi Baccha Bahot Chulbula Ho To Use “Shararti” Kehlen, Lekin Shaitan Hargiz Na Kahen."


“Afsos Ki Baat Hai Ke Aksar Musalmanon Ke Mizaj Mein Firauniyat Aur Takabbur Bhar Chuka Hai, Woh Nasihat Qubool Karne Pe Aamadah Nahin Hain, illa MashaAllah.” (Muhaddis Shaik Nasir Uddin Albani (Rahimahullah) - Mutafarriqaat: Page 291


✦.....♥ Asbab Ekhtiyar Kar Ke Allah Par Tawakkul Karen! ♥.....✦

Anas bin Malik RadiyaAllahu Anhu narrated that a man said: "O Messenger of Allah! Shall I tie it and rely(upon Allah), or leave it loose and rely(upon Allah)?" He (ﷺ) said: "Tie it and rely(upon Allah)."

Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Aik Shaks Ne Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Kya Main Oont Ko Bandh Dun Phir Allah Par Tawakkul Karun Ya Use Khula Chhod Kar Allah Par Tawakkul Karun? Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Use Bandh Do, Phir (Allah Par) Tawakkul Karo.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 11 :: Hadith 2517, 2517]


✦........► Mobile Ka Durust Istemal Karen! ◄........✦

Irshad Khudawandi Hai:"(Musalmano!) Tum Woh Behtareen Ummat Ho Jo Logon Ke Faide Ke Liye Wujood Mein Layi Gayi Hai, Tum Neki Ki Talqeen Karte Ho, Burayi Se Rokte Ho Aur Allah Par Iman Rakhte Ho." (Quran, Surah Al-Imran: 110)

Mobile Phone Ke Zariye Apne Social Media (Facebook, WhatsApp, Twitter Wagherah) Ko Deene Islam Ki Tableegh Aur Khair Ki Nashr (Share) o Isha'at Ke Liye Istemal Karen.


✦........► Suraj Grahan Aur Masnoon Aamal ◄........✦

❶ 2 Rakat Namaze Kusuf

Aam Nawafil Ki Tarah 2 Rakat Padhi Jaye, Is Namaz Mein Taweel Qirat Aur Taweel Ruku Aur Sajde Karna Masnoon Hai, Mardon Ke Liye Ba Jamat Padhna Afzal Hai, Agar Jamat Muyassar Na Ho To Tanha Bhi Padh Sakte Hain, Khawateen Gharon Mein Is Ka Ehtemam Karen Gi

❷ Hasbe Taufeeq Sadqah o Khairat Karna
❸ Aakhirat Ke Bare Mein Fikr Mand Hona
❹ Jab Tak Suraj Grahan Khatam Na Ho Jaye:

● Qibla Rukh Baith Kar Dair Tak Dua Karna
● Allah Ke Zikr Mein Waqt Guzarna
● Astaghfar Mein Mashghool Rehna.


✦.....►Suraj Grahan Ki Namaz : Tawil Qirat Aur Tawil Ruku o Sujood Wali Namaz ◄....✦

Narrated Abu Musa RadiyAllahu Anhu: The sun eclipsed and the Prophet (ﷺ) got up, being afraid that it might be the Hour (i.e. Day of Judgment). He went to the Mosque and offered the prayer with the longest Qiyam, bowing and prostration that I had ever seen him doing. Then he said, "These signs which Allah sends do not occur because of the life or death of somebody, but Allah makes His worshipers afraid by them. So when you see anything thereof, proceed to remember Allah, invoke Him and ask for His forgiveness."

Urdu Translation: Hazrat Abu Musa Ash’ari RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Aik Baar Suraj Grahan Hua, Nabi Akram ﷺ Bahot Zyadah Ghabra Kar Uthe Ke Kahin Qayamat Qayem Na Ho Jaye, Aap ﷺ Fauran Masjid Tashreef Laye Aur Aap ﷺ Ne Bade Taweel Qayam Aur Taweel Ruku Aur Taweel Sajdon Ke Sath Namaz Padhi, Main Ne Kabhi Aap ﷺ Ko Is Tarah Se Namaz Padhte Nahin Dekha Tha Aur Phir Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke “Ye Nishaniyan Hain Jo Allah Buzurg o Bartar Bhejta Hai, Ye Kisi Ki Maut Aur Hayat Ke Sabab Se Nahin Hota Hai, Balke Allah Ta’ala Is Ke Zariye Apne Bandon Ko Darata Hai, Jab Tum Is Ko Dekho To Zikre Ilahi Aur Dua o Astaghfar Ki Taraf Daudo.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 18 :: Hadith 167, 1059]


✦.....► Padosi Ko Naql Makani Par Majboor Karne Wala! ◄.....✦

Thawban RadiyAllahu Anhu said: "There is no man who wrongs his neighbour to the extent that he forces him until he makes him leave his home who is not destroyed."

Urdu Translation: Sahabi Rasool Hazrat Thawban RadiyAllahu Anhu Irshad Farmate Hain: “Jo Shaks Apne Padosi Par Is Qadar Zulm o Zyadati Kare Ke Use Apne Ghar Se Nikal Jane Par Majboor Karde To Ye Shaks Zaroor Halak Hoga.”

[Al-Adab Al-Mufrad :: Book 6 :: Hadith 127, 127]


✦..► Khawateen Ka Mard Dukandaron Se Chudiyan Pahenna! ◄..✦

Kuch Khawateen Bazaron Mein Jakar Na Mahram Dukandaron Ke Hathon Se Chudiyan Pahenti Hain, Jo Sakht Gunah Ki Baat Hai.

Yaad Rakhye! Ajnabi Mard Ke Hath Ka Aurat Ke Hath Ya Kisi Bhi Azu Ko Chuna Ya Pakadna Sakht Tareen Gunah Aur Haram Aml Hai Aur Ise Hathon Ka Zina Qarar Diya Gaya Hai.

Lehaza Khawateen Is Qabeeh Tareen Aml Se Ijtinab Karen Aur Mard Dukandar Bhi.


✦...........♥ (Tail Bone) Reed Ki Haddi ♥...........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "The only thing in a man which would not decay would be one bone (the tailbone) from which the whole frame would be reconstituted on the Day of Resurrection."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya:“Ibn Adam (Ke Badan Ki Har Cheez) Ko Zameen Bosidah Kar Dalegi Siwaye Ponch Ki Haddi Ke, Isi Se Insan Ko Banaya Gaya Aur Isi Se Insan Ko Dobarah Uthaya Jayega.”

[Sahih Muslim :: Book 41,:: Hadith 7055, 2955]

Reedh ki Haddi Ka Sab Se Nichla Hissa “Ponch Ki Haddi Ya Tail Bone” Kehlata Hai, Jadeed Medical Science Ne Ye Sabit Kiya Hai Ke Insan Ki Maut Kisi Bhi Tarah Waqe Ho Ye Hissa Mahfooz Rehta Hai, Baad Azaa Lakhon Saal Mitti Mein Pade Rehne Ke Bawajood Bhi Ye Hissa Bosidah Nahin Hota, Shadeed Tareen Kimyawi Aag, Dhamake Aur Chot Se Bhi Ye Hissa Mutassir Nahin Hota, Insan Ka Sab Se Pehla Jinyati Code (Jis Se Insan Ki Takhleeq Hoti Hai) Isi Hisse Mein Mahfooz Hai, Yahi Wajah Hai Ke Is Ponch Ki Haddi (Tail Bone) Se Insan Ke Marne Ke Baad Us Ka Pura Bio Data Hatta Ke Pasand o Na Pasand Aur Ungliyon Ke Poron Ke Nishanat Tak Maloom Kiye Ja Sakte Hain.

●◗► .Jadeed Science Ki Ye Tehqeeq Aaj Se 1400 Saal Qabl Rasoole Akram ﷺ Apni Ummat Ke Samne Bayan Farma Chuke The.


♥ Rauza Aqdas Se Muttasil Baab Fatimah Az-Zahra Par Likha Gaya Qasidah Burdah Ka Aik Shair ♥

Shair Ka Tarjumah: RasoolAllah ﷺ Aise Mahboob Hain Ke Nazil Hone Wali Musibaton Mein Se Har Musibat Ke Waqt Aap Ki Shifa'at Ki Ummid Ki Jati Hai.

ھو الحبیب الذی ترجی شفاعتہ!
لکل حول من الاحوال مقتحم!


✦.........♥ Bin Dekhe Iman Lane Ki Fazilat ♥.........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "I wish that I could meet my brothers." The Sahabah (companions of the Prophet (ﷺ) asked: "Aren't we your brothers?” He replied: "You are my Companions, but my brothers are those who will believe in me without having seen me."

[Musnad Ahmad and Al-Albani graded it saheeh in al-Silsilah al Saheehah # 2888]

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: "Mujhe Tamanna Hai Ke Main Apne Bhaiyyon Se Milun" Sahaba RadiyAllahu Anhum Ne Arz Kiya: Kya Ham Aap Ke Bhai Nahin Hain? Aap (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: "Tum To Mere Sathi Ho, Mere Bhai Woh Hain Jo Mujhe Dekhe Baghair Mujh Par Iman Layenge."

[Musnad Ahmad bin Hanbal :: 12339, 12579 :: and Al-Albani graded it saheeh in al-Silsilah al Saheehah # 2888]

●◗► Ya Allah! Hamen Roze Mehshar RasoolAllah ﷺ Ki Shifa’at Naseeb Farma. (Aameen)


✦.........♥ Milad Un Nabi (ﷺ) Manane Ka Tariqa ♥.........✦

Narrated Abu Qatada Ansari (Allah be pleased with him) reported that Allah's Massenger (ﷺ) was asked about fasting on Monday, whereupon he (ﷺ) said: "It was the day on which I was born. on which I was commissioned with prophethood or revelation was sent to me."

Urdu Translation: Hazrat Abu Qatadah RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Aan Hazrat ﷺ Se Peer Ke Din Pabandi Se Rozah Rakhne Se Mutalliq Daryaft Kiya Gaya (Ke Aap ﷺ Peer Ke Din Ehtemam Se Roze Kyun Rakhte Hain?) to Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Ye Woh Din Hai Jis Mein Meri Wiladat Hui Aur Is Mein Meri Bei’sat Hui (Nabi Hua) Aur Mujh Par Wahi Nazil Ki Gayi." (Sahih Muslim:1162)

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2603, 1162]

✿ RasoolAllah ﷺ Ne Peer (Monday) Ke Din Ehtemam Se Roze Rakhne Ki Aik Ahem Wajah Ye Bayan Farmayi Ke Us Din Meri Wiladate Ba Sa’adat Hui Aur Usi Din Mujhe Sharfe Nubuwwat Se Mashraf Kiya Gaya Is Liye Batore Shukrana Main Is Din Ka Rozah Rakhta Hun, Neez Dusri Riwayat Mein Peer o Jumerat Ke Roze Ki Aik Aur Ahem Wajah RasoolAllah ﷺ Ne Ye Bayan Farmayi Ke Peer o Jumerat Ko Bandon Ke Naame Aa’mal Allah Ta’ala Ke Huzoor Pesh Kiye Jate Hain Aur Main Chahta Hun Ke Jab Mera Name Aa’mal Baargahe Khudawandi Mein Pesh Ho To Main Roze Se Hun.

✿ Lehaza Ta’assub Se Balatar Ho Kar Insaf Ki Nazar Se Dekhen Ke RasoolAllah ﷺ Ne Apni Wiladate Ba’saadat Par Khushi Manane Aur Shukr Baja Lane Ke Liye Saal Mein Sirf Aik Din Yani 12/Rabi-ul-Awwal Ka Intekhab Nahin Farmaya Balke Saal Mein 52 Martaba Peer (Monday) Ke Dinon Ka Intekhab Farmaya Aur Khushi Manane Aur Shukr Baja Lane Ka Tariqa Bhi Logon Ko Sawabdeed Par (Naik Salah Dekar) Nahin Choda Balke Rozah Rakh Kar Wiladate Ba Sa’adat Par Shukr Bajalaye, Lehaza◗► "Wiladate Ba Sa’adat Par Khushi Ka Izhar Aur Shukr Baja Lane Ka Durust Tariqa Ye Hai Ke Pure Saal Peer Ke Din Roze Rakhne Ka Ehtemam Kiya Jaye."


✦......♥ Apne Mahboob ﷺ Ko Pehchaniye ♥......✦
✦ Silsila Waar Paighamat: Paigham Number 3 ✦

✦...♥ Jannat Ke Darwaze Pe Sab Se Pehle Dastak Dene Wale! ♥...✦

Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu reported: The Messenger of Allah (ﷺ) said: Amongst the apostles I would have the largest following on the Day of Resurrection, and I would be the first to knock at the door of Paradise.

Urdu Translation: Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Qayamat Ke Din Meri Ummat Ki Ta’dad Tamam Ambiya Ke Muttabayeen Se Zyadah Hogi Aur Main Hi Sab Se Pehle Jannat Ke Darwaze Pe Dastak Dunga.”

[Sahih Muslim :: Book 1 :: Hadith 382, 196]


“Aik Baap Ke Liye Bacche Ki Tarbiyat Mein Sab Se Behtareen Kaam Us Ki Maa Se Husne Sulook Hai.”


✦....♥ Quran Padhane Walon Ke Liye Azeem Ajr! ♥....✦

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Quran Majeed Ki Koi Aik Aayat Bhi Kisi Ko Sikhata Hai To Jab Tak Woh Aayat Tilawat Ki Jati Rahegi Use Ajr o Sawab Milta Rahega.” (Jami al-Hadis Jalal al-Din al-Suyuti: 22969)


✦......♥ Apne Mahboob ﷺ Ko Pehchaniye ♥......✦
✦ Silsila Waar Paighamat: Paigham Number 2 ✦

✦......♥ RasoolAllah ﷺ Ki Ibadat Ka Manzar! ♥......✦

Narrated Al-Mughira RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) used to stand (in the prayer) or pray till both his feet or legs swelled. He was asked why (he offered such an unbearable prayer) and he said, "should I not be a thankful slave."

Urdu Translation: Hazrat Mughirah Bin Shu’ba RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke RasoolAllah ﷺ Itni Dair Tak Khade Ho Kar Namaz Padhte Rahte Ke Aap ﷺ Ke Qadam Mubarak Ya Pindliyon Par Waram Aajata, Jab Aap ﷺ Se Is Ke Mutalliq Kuch Arz Kiya Jata To Farmate: “Kya Main Allah Ka Shukr Guzaar Bandah Na Banun.”

[Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Book 21 :: Hadith 230, 1130]


✦........♥ Bacchon ko Apne Qareeb Kijiye! ♥........✦

Arbi Ke Chand Kalimaat Jin Ki Jaamiyat Hairan Kun Hai, Chaar Kalimat Par Mushtamil Ye Qeemti Nasihaten Waldain Ke Bacchon Ke Sath Khush Gawar Talluqat Ki Kaleed (Kunji) Hain, Mulaheza Farmayen:

● Apne Bacchon Ke Qareeb Raha Karo!!!
● Un Se Mashware Kiya Karo!!!
● Un Se Tabadla Khayal Kiya Karo!!!
● Un Ke Dil Jeet Lo Qabl Is Ke Ke Tum Unhen Hamesha Ke Liye Khodo!!!


✦......♥ Apne Mahboob ﷺ ko Pehchaniye ♥......✦
✦ Silsila Waar Paighamat: Paigham Number 1 ✦

Aan Hazrat ﷺ Ke Sahibzade Aur Sahibzadiyon Ki Ta’dad Kitni Thi?
Aap (صلى الله عليه و سلم) Ke 3 Sahibzade The:

❶ Hazrat Qasim RadiyAllahu Anhu
❷ Hazrat Abdullah (In Ka Laqab Tayyib Aur Tahir Tha.)
❸ Hazrat Ibraheem RadiyAllahu Anhu
In Mein Hazrat Qasim Ki Kunyat Se Aap ﷺ Ko Abul Qasim Bhi Kaha Jata Tha.

Aap (صلى الله عليه و سلم) Ki 4 Sahibzadiyan Thin:

❶ Hazrat Zainab RadiyAllahu Anha
❷ Hazrat Ruqayya RadiyAllahu Anha
❸ Hazrat Umme Kulthum RadiyAllahu Anha
❹ Hazrat Fatimah RadiyAllahu Anha

Mazkurah Bala Tamam Aulad Hazrat Khadijah RadiyAllahu Anha Ke Batan Mubarak Se Thi, Siwaye Hazrat Ibraheem RadiyAllahu Anhu Ke Wo Hazrat Maria Qibtiyya RadiyAllahu Anha Ke Batan Se The.


Kabirah Gunahon Par Taubah Aur Saghirah Gunahon Se Ehteraz!: Hazrat Abu Bakr Siddiq RadiyAllahu Anhu Farmate Hain: "Beshak Allah Subhanahu Wa Ta'ala Kabeerah Gunahon Ko (Taubah Karne Par) Muaaf Farmadenge Lehaza Na Ummid Mat Hona Aur Saghirah Gunahon Par Azab Dega Lehaza Dhoke Mein Mat Padna." (Sharh Al-Bukhari li Ibn Battal:65)


Aye Allah! Hamen Aur Hamari Naslon Ko Quran Paak Se Mohabbat Karne Wala Bana.


✦........♥ Mushkil Halaat Mein Padhi Jane Wali Dua! ♥........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “The supplication of Dhun-Nun (Prophet Yunus) when he supplicated, while in the belly of the whale was: ‘There is none worthy of worship except You, Glory to You, Indeed, I have been of the transgressors. (Lā ilāha illā anta subḥānaka innī kuntu minaẓ-ẓālimīn)’ So indeed, no Muslim man supplicates with it for anything, ever, except Allah responds to him.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Dhun Nun (Hazrat Yunus Alaihis Salam) Ki Dua Jo Unhon Ne Machli Ke Pait Mein Mangi Thi Woh Ye Thi:

لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنْتُ مِنَ الظَّالِمِينَ ‏

“Aap Ke Siwa Koi Mabood Barhaq Nahin, Aap Paak Hain, Beshak Main Hi Zalim (o Khatakaar) Hun.”

Kyun Ke Ye Aisi Dua Hai Ke Jab Bhi Koi Musalman Shaks Ise Kisi Mushkil Mein Padh Kar Dua Mange Ga To Allah Subhanahu Wa Ta’ala Us Ki Dua Zaroor Qubool Farmayega.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3505, 3505]


✦....► Badshuguni Ki Waja Se Kisi Kaam Se Ruk Jana! ◄....✦

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Kisi Cheez Se Badfali Pakad Kar Apne Kisi Kaam Se Piche Hat Gaya To Us Ne Shirk Kiya.” Sahaba Karam RadiyAllahu Anhum Ne Pucha: Ya RasoolAllah ﷺ! Is Ka Kaffarah Kya Hoga? Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Wo Yun Kahe:

اللَّهُمَّ لا خَيْرَ إِلا خَيْرُكَ ، وَلا طَيْرَ إِلا طَيْرُكَ ، وَلا إِلَهَ غَيْرُكَ

“Aye Allah! Teri Bhalayi Ke Siwa Koi Bhalayi Nahin Aur Teri Faal Ke Siwa Koi Faal Nahin Aur Tere Siwa Koi Mabood Nahin.” [Musnad Ahmad: 7045]

عن عبد اللَّهِ بن عَمْرٍو رضي الله عنهما قال : قال رسول اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ( مَن رَدَّتْهُ الطِّيَرَةُ من حَاجَةٍ فَقَدْ أَشْرَكَ ) قالوا : يا رَسُولَ اللَّهِ ما كَفَّارَةُ ذلك ؟ قال ( أن يَقُولَ أَحَدُهُمْ : اللهم لاَ خَيْرَ إلا خَيْرُكَ وَلاَ طَيْرَ إلا طَيْرُكَ وَلاَ إِلَهَ غَيْرُكَ ) .
رواه أحمد ( 7045 ) وصححه الألباني في " السلسلة الصحيحة " ( 3 / 53 تحت الحديث 1056 ) .


✦........► Maahe SAFAR Hargiz Manhoos Nahin! ◄........✦

Maahe Safar Islami Qamri Calendar Ka Dusra Mahina Hai, Is Mahine Mein Shari’at Mutahhara Ne Na To Koi Khaas Ibadat Muqarrar Ki Hai Aur Na Hi Is Mahine Ke Bare Mein Koi Khaas Toham Parasti Ki Taleem Di Hai, Magar Bad’qismati Se Kuch Logon Ka Khayal Hai Ke (Na’uzubillah) Ye Mahina Badbakht Aur Manhoos Hai, Isi Wajah Se Is Mahine Mein Shadi Biyah o Digar Khushi Ki Taqribaat Ke In’eqad Se Ijtenab Kiya Jata Hai.

Ye Khayal Bilkul Be Bunyad Hai Aur Ye Darasal Usi Toham Parasti Ka Tasalsul Hai Jo Islam Se Qabl Arab Mein Aam Thi, RasoolAllah ﷺ Ne Toham Parasti Par Mabni Aise Tamam Aqayed Ko Yaksar Khatam Farma Diya, Bilkhusus Maahe Safar Ke Bare Mein To Allah Ke Rasool ﷺ Ne Wazeh Tor Par Irshad Farma Diya: La Safar Yani "Safar Ke Mahine Ko Manhoos Samajhne Ki Koi Haqiqat Nahin." (Sahih Bukhari :5757)

Is Wazeh Irshade Nabwi Ke Bawajood Bhi Aaj Kal Logon Ki Aik Badi Ta’dad Is Mahine Ko Manhoos Samajhti Hai Balke Is Mahine Ke Hawale Se Ajeeb o Ghareeb Chizen Hamare Mua’shre Mein Mashhoor Hain. Maslan:

❶ Is Ke Ibtedayi 13 Din Manhoos Aur "Tera Tezi" Kehlate Hain.
❷ Is Mahine Ki Nahusat Se Bachne Ke Liye Zyadah Se Zyadah Murawwaja Quran Khuani Ka Ehtemam Kiya Jata Hai.
❸ Sirf Isi Mahine Mein Jinnat Se Hifazat Ke Aamal Kiye Jate Hain.
❹ Is Mahine Ki Nahusat Se Bachne Ke Liye Ghar Se Door Daraz Nikalne Aur Safar Karne Se Ijtenab Barta Jata Hai.
❺ Is Mahine Ko Aurton Ke Bajaye Mardon Par Zyada Bhari Tasawwur Kiya Jata Hai.
❻ Is Mahine Ki Aakhri Budh Ko Khushi Manayi Jati Hai Aur Mithayi Taqseem Ki Jati Hai. Wagherah.

●◗► Islam Mein Bad’shuguni Aur Nahusat Ka Koi Tasawwur Nahin, Islam Mein Agar Koi Nahusat o Bad’shuguni Ki Cheez Hai To Wo Insan Ki Apni Bad’Aamaliyan, Fusq o Fujoor, Naach Gana, Fahashi o Uryani Aur Allah Ki Khullam Khulla Nafarmaniyan Hain Jo Ghar Ghar Mein Ho Rahi Hain, Agar Ham Waqeyi Nahusat Se Bachna Chahte Hain To Lanat o Phatkar Aur Qaher Khudawandi Ko Dawat Dene Wale Kamo Se Bachen.


“Dunya Ki Zindagi Dhoke Ke Saman Ke Siwa Kuch Nahin.”(Qur’an, Surah Al-Imran:185)


✦............♥ Husne Akhlaq Ka Darjah ♥............✦

Narrated Aisha RadiyAllahu Anha, Ummul Mu'minin: The Messenger of Allah (ﷺ) said: "By his good character a believer will attain the degree of one who prays during the night and fasts during the day."

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Kehti Hain Ke Main Ne RasoolAllah ﷺ Ko Farmate Hue Suna: “Beshak Momin Apni Khush Akhlaqi Ki Wajah Se Roze Daar Aur Tahajjud Guzar Shaks Ka Darja Pa Leta Hai.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 4780, 4798]


✦...........► Waldain Ko Bura Bhala Kehne Wala! ◄...........✦

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Maloon (Yani Allah Ki Rahmat Se Door Aur Phatkar Ka Mustahiq) Hai Woh Shaks Jo Apne Walid Ko Gali De, Maloon Hai Woh Shaks Jo Apni Maa Ko Gali De.” (Musnad Ahmad:1875)

عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ ‌، قَالَ: قَالَ النَّبیُّ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم : ((مَلْعُوْنٌ مَنْ سَبَّ اَبَاہُ، مَلْعُوْنٌ مَنْْ سَبَّ اُمَّہُ۔))


✦.....► Haqdaron Ko Un Ka Haq Dena Hoga! ◄.....✦

Allah's Messenger (ﷺ) as saying: “Rights will certainly be restored to those entitled to them on the Day of Resurrection, (to the point that) even the hornless sheep will lay claim upon the horned one.”

Urdu Transaltion: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Tumhen Qayamat Ke Din Haq Daron Ko Un Ke Huqooq Ada Karne Honge, Yahan Tak Ke Be Sing Bakri Ko Bhi Sing Wali Bakri Se Badla Dilaya Jayega."

[Sahih Muslim :: Book 32 :: Hadith 6252, 2582]

●◗► Janwar Na Ahkame Shariyah Ke Mukallaf Hain Aur Na Hi Un Ke Liye Jannat Ya Jahannam Hai, Phir Bhi Allah Un Ke Darmiyan Insaf Farma Kar Unhen Mitti Farmadenge To Zara Sochen Ke Insanon Se Allah Kaisa Hisab Lenge Aur Kis Tarah Zulm Ya Haq Talfi Karne Walon Ko Payi Payi Ka Hisab Dena Hoga!


●◗► Watne Azeez Ke Tamam Bashindon Ko Yaume Aazadi Mubarak Ho! Aaj Hamare Mulk Ki Aazadi Ko 75 Saal Mukammal Ho Gaye Mulk Kadi Mehnat Aur Mushaqqat Ke Baad Azad Hua Hai Aazadi Ki Is Nemat Ki Qadar Karna Aur Is Par Allah Ka Shukr Ada Karna Zaroori Hai Isi Tarah Mulk Ki Aazadi Ko Barqarar Rakhne Aur Yaha Ke Har Bashinde Ki Jaan Aur Maal Ke Tahaffuz Ko Yaqeeni Banane Ki Jiddo Jehad Arbabe Iqtidar Samait Mulk Ke Har Bashinde Ki Bunyadi Zimmedari Hai.


✦............♥ Watne Azeez INDIA se Mohabbat! ♥............✦

●◗► Insan Jis Khitte, Mulk, Shaher Ya Ilaqe Mein Rehta Hai Us Jage Se Unsiyat, Qalbi Lagao Aur Mohabbat o Ulfat Ka Paida Ho Jana Aik Fitri Cheez Hai, Diyanat Aur Amanat Ka Taqaza Bhi Yahi Hai Ke Insan Jahan Rahe Wahan Ki Khair Khuahi, Taraqqi Aur Falah o Bahbood Ki Koshishon Mein Laga Rahe.

✿ RasoolAllah (ﷺ) Jab Makkah Mukarramah Se Hijrat Farma Kar Nikle To Sawari Par Sawar Ho Kar Baar Baar Piche Mud Kar Dekhte Aur Farmate: "(Aye Makkah!) Allah Ki Qasam Tu Allah Ta’ala Ki Behtareen Aur Mahboob Tareen Zameen Hai, Agar Mujhe Yaha Se Na Nikala Jata To Main Tujhe Chhor Kar Na Jata." (Sunan Ibn Majah: 3108)

✿ Baad Aza Jab RasoolAllah (ﷺ) Hijrat Farma Kar Madinah Tayyabah Pohnche Aur Madinah Munawwarah Ko Apna Mustaqil Watan Bana Liya To Ye Dua Mangi: "Aye Allah! Jis Tarah Makkah Mukarramah Ki Mohabbat Tu Ne Hamen Ata Ki Thi Isi Tarah Madinah Munawwarah Ki Mohabbat Bhi Hamen Ata Farma, Ya Us Se Bhi Zyadah Hamen Madinah Ki Mohabbat Ata Farma, Aur Yahan Ki Aab o Hawa Sahet Baksh Banade Aur Hamare Sa’a Aur Mud (Ghalla Naapne Ke 2 Paimane) Mein Barkat Ata Farma Aur Madinah Ke Wabayi Bukhar Ko Juhfa (Naami Muqam) Mein Muntaqil Karde." (Sahih Muslim: 1376)

Apne Mulk Aur Watan Se Mohabbat Karen Aur Apni Zaat Se Mulk o Watan ko Faidah Pohnchane Ki Koshish Karen

●══════════════════◄►═════════════════●

Abu Salamah bin ‘Abdur-Rahman bin ‘Awf narrated that ‘Abdullah bin ‘Adiy bin Hamra’ said to him: “I saw the Messenger of Allah (ﷺ) , when he was on his she-camel, standing in Al-Hazwarah* saying: ‘By Allah, you are the best land of Allah, and the dearest of the land of Allah to me. By Allah, had I not been expelled from you I would never have left.’” *A place in Makkah."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 4 :: Book 25 :: Hadith 3108]

'A'isha (Allah be pleased with her) reported: When we came to Medina, and it was an unhealthy, uncogenial place, Abu Bakr fell sick and Bilal also fell sick; and when Allah's Messenger (ﷺ) saw the illness of his Companions he said: O Allah, make Medina as congenial to us as you made Mecca congenial or more than that; make it conducive to health, and bleesus in its sa' and in its mudd, and transfer its fever to al-juhfa."

[Sahih Muslim :: Book 7 :: Hadith 3178, 1376]


✦.....► Jange Aazadi Mein Ulama Karam Ki Qurbaniyan ◄.....✦

1857 Delhi Ke Chandni Chowk Se Peshawar Tak Darakhton Par Ulama Ki Gardane Aur Jism Latke Hue Milte The, Rozana 80 Ulama Phansi Par Latkaye Jate The, Main Delhi Ke Aik Khaime Mein Baitha Tha, Mujhe Gosht Ke Jalne Ki Bu Aayi, Main Ne Khaime Ke Piche Jakar Dekha To Kya Dekhta Hun Ke Aag Ke Angaron Par Tees Chalees Ulama Ko Nanga Kar Ke Dala Ja Raha Hai, Phir Dusre 40 Isi Tarah Laye Gaye Unhen Nanga Kiya Gaya, Aik Angrez Ne Un Se Kaha Agar Tum Inquilab 1857 Mein Shirkat Se Inkar Kardo To Tumhen Chhod Diya Jayega, Tamson Kehta Hai “Khuda Ki Qasam Sare Ulama Jal Kar Mar Gaye Magar Kisi Aik Ne Bhi Angrez Ke Samne Gardan Nahin Jhukayi.”

(1857 Ki Kahani Angrez Tamson Ki Zubani: Makhuz Mahnama Darul Uloom Deoband Shumarah 1 Jild 97)

●◗► Ye Jo Barre Saghir Ki Angrez Se Aazadi Hai Is Ke Piche Ulama Ke Khoon Ki Waadi Hai.


✦......♥ Musalman Bhai Ke Liye Dua Karen Farishton Ki Duayen Len! ♥......✦

Allah's Messenger (ﷺ) said: "The supplication of a Muslim for his brother at his back (in his absence) is responded so long as he makes a supplication for blessings for his brother and the commissioned Angel says: Amen, and says: May it be for you too…"

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Musalman Ki Dua Apne Bhai Ke Liye Us Ke Peeth Piche (Zaroor) Qabool Hoti Hai, Us (Dua Mangne Wale) Ke Sir Ke Paas Aik Farishta Muqarrar (Kardiya Jata) Hai, Jab Bhi Woh Apne Bhai Ke Liye Dua Karta Hai To Ye Farishta Kehta Hai: "Aameen Aur Tum Ko Bhi Yahi Mile."

[Sahih Muslim :: Book 35 :: Hadith 6590, 2732, 2733]
[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6928, 6929]


✦.......♥ Namaz Ke Baad Apni Jage Par Ba Wudu Baithna! Farishton Ki Duayen Hasil Karne Ka Sabab! ♥.......✦

Allah's Messenger (ﷺ) said: "The angels keep on asking Allah's forgiveness for anyone of you, as long as he is at his Musalla (praying place) and he does not pass wind (Hadath). They say, 'O Allah! Forgive him, O Allah! be Merciful to him."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Jab Tak Tum Mein Se Koi Apne Us Musalle Par Jahan Us Ne Namaz Padhi Baitha Rahe Aur Us Ka Wudu Na Tute To Farishte Us Ke Liye Duayen Karte Rehte Hain Aur Kehte Hain:“Aye Allah! Is Ki Maghfirat Farma Dijiye! Aye Allah! Is Par Rahem Kar Dijiye!”.

[Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Book 8 :: Hadith 436, 445]


YAUME ASHURA: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Main Allah Subhanahu Wa Ta'ala Se Ummid Rakhta Hun Ke Woh Yaume Ashura (10 Muharram Al-Haram) Ke Roze Ko Guzishta Saal Ke Gunahon Ka Kaffarah Bana Dega.” (Sahih Muslim: 1162)


✦.......♥ 9 aur 10 Muharramul Haram Ka Rozah ♥.......✦

Jab RasoolAllah ﷺ ne Yaume Ashura ka Rozah Rakha Aur Musalmanon Ko Bhi Is Ka Hukum Diya To Sahaba Ne Arz Kiya Ke Ya RasoolAllah! Yahood o Nasara Bhi Is Din Ki Bahot Tazeem Karte Hain, Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: Jab Agla Saal Aayega To Ham (Yahood o Nasara Ki Mushabihat Se Bachne Ke Liye) In'sha'Allah Nawe (9) Tareekh Ka Rozah Bhi Rakhenge, Hazrat Ibn Abbas Farmate Hain Ke Agla Saal Aane Se Pehle Hi RasoolAllah ﷺ Dunya Se Tashreef Le Gaye. [Sahih Muslim: 1134]

●◗► Note: Yaume Ashura Ke Roze Ke Sath 9 Ya 11 Tareekh Ka Rozah Rakhna Afzal Aur Behtar Hai, Lekin Agr Kisi Ne Sirf Ashura Ka Rozah Rakha To Bhi Harj Ki Baat Nahin, Neez Hadise Baala Se Ye Bhi Pata Chala Ke Musalmano Ko Har Moqe Par Yahood o Nasara Ki Mushabihat Se Bachna Chahiye.

●════════════════◄►═══════════════●

Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu reported that when the Messenger of Allah (ﷺ) fasted on the day of 'Ashura and commanded that it should he observed as a fast, they (his Companions) said to him: Messenger of Allah, it is a day which the Jews and Christians hold in high esteem. Thereupon the Messenger of Allah (ﷺ) said: When the next year comes, God willing, we would observe fast on the 9th But the Messenger of Allah (ﷺ) died before the advent of the next year."

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2528, 1134]


✦....✔ Muharram ul Haram Aur Ashurah Ke Hawale Se ✔....✦
✦...✿.....✔ Sangeen Ghalat Fehmi Ka Izalah ✔.....✿…✦

●◗► Waqiah KARBALA Islami Tareekh Ka Ahem Tareen Saneha Hai Jis Mein Nawasay Rasool, Jigar Goshay Butool, Naujawanane Jannat Ke Sardar Sayyidna Hazrat Husain RadiyAllahu Anhu Ki Mazlumana Shahadat Hui, Chunke Ye Waqia 10 Muharram ul-Haram Yaume Ashura Ke Din Wuqu Pazeer Hua Tha Is Liye Log Is Ghalat Fehmi Mein Mubtela Ho Gaye Ke Maahe Muharram ul-Haram Yaume Ashura Sirf Isi Liye Muqaddas o Ba Barkat Hai Ke Is Mein Waqia KARBALA Pesh Aaya. Haqiqat Ye Hai Ke KARBALA Ka Dil Kharash Saneha To San 61/Hijri Mein Pesh Aaya Jab Ke…!!

✔ Maahe Muharram ul-Haram Kainaat Ki Takhleeq Ke Din Se Sabeqa Shari’aton Mein Muqaddas o Ba Barkat Chala Aaraha Hai. (Al-Quran, Surah At-Tawbah:36)

✔ Ashura (10 Muharram) Ke Din Hi Hazrat Musa Alaihis Salam Aur Bani’Israel Ka Firaun Aur Us Ke Lashkar Se Muqabla Hua Tha Aur Allah Ne Firaun Ko Gharq Aur Bani Israel Ko Najat Ata Farmayi, Jis Ki Wajah Se Yaume Ashura Musa Alaihis Salam Ki Shari’at Mein Aur Yahudiyon Ke Nazdeek Bhi Muqaddas o Ba’barkat Tahra. (Sahih Bukhari:2004)

✔ Ibteda Islam Mein Jab Tak Ramadan Ke Roze Farz Nahin Hue The, Ashura Ka Rozah Rakhna Musalmanon Par Farz Qarar Diya Gaya Tha. (Sahih Bukhari, Muslim)

✔ Huzoor ﷺ Ke Ahde Mubarak Mein Bhi Ashura Muqaddas Samjha Jata Tha. (Ahadeese Sahiha)

✔ Huzoore Aqdas ﷺNe Yaume Ashura Ke Roze Ko Sunnat Aur Guzishta Saal Ke Gunahon Ki Maghfirat Ka Zariya Qarar Diya. (Sahih Muslim)

•••••► Lehaza! Muharram ul-Haram Aur Ashura Ki Fazeelat Ko Sirf Waqia KARBALA Se Jodna, Ise Sog Ka Mahina Samajhna, Is Mein Siyah (Black) Libas Pahenna Aur Shadi Biyah o Digar Khushi Ki Taqribat Se Bachna Durust Nahin, Ashura Ka Din Waqia Karbala Ki Wajah Se Muqaddas Nahin Balke Ye Syyidna Hazrat Husain (RadiyAllahu Anhu) Aur Un Ke Sathiyon Ke Liye Sharf o Fazilat Ka Moqam Hai Ke Allah Ne Un Pakizah Nufoos Ko Aise Din Shahadat Ka Martaba Ata Farmaya Jo Roze Awwal Se Muqaddas o Mohtaram Chala Aaraha Hai.


✦.......► Haakime Waqt Ke Kapdon Mein 3 Pewand ◄.......✦

Anas ibn Malik RadiyAllahu Anhu said: 'I saw Umar ibn al-Khattab (RadiyAllahu Anhu) when he was the amir of Madina. Three patches were sewn between his shoulders, one patched over the other.'

Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Main Ne Hazrat Umar RadiyAllahu Anhu Ke Zamana Khilafat Mein Unhen Dekha Ke Un Ke Donon Kandhon Ke Darmiyan (Kurte Mein) 3 Pewand Lage Hue The Aur Pewand Hi Ko Aik Dusre Ke Sath Joda Gaya Tha.

[Muwatta Imam Malik :: Book 48 :: Hadith 1673, 3400]


✦......♥ Muharramul Haram Wajibul Ehteram ♥......✦

⇨ “Haqiqat Ye Hai Ke Allah Ke Nazdeek Maheenon Ki Ta’dad 12 Mahine Hai Jo Allah Ki Kitab (Lohe Mahfooz) Ke Mutabiq Us Din Se Nafiz Chali Aarahi Hai Jis Din Allah Ne Aasman Aur Zameen Ko Paida Kiya Tha, In (12 Mahinon) Mein 4 Mahine (Dhul Qa’dah, Dhul Hijjah, Muharram Aur Rajab) Wajib ul Ehteram Hain, Yahi Deen (Ka) Seedha Sadah (Taqaza) Hai, Lehaza In Mahinon Ke Muamle Mein (Baham Jang Kar Ke) Apni Janon Par Zulm Na Karo.” (Quran, Surah At-Tawbah: 36)

⇨ "Verily, the number of months with Allah is twelve months (in a year), so was it ordained by Allah on the Day when He created the heavens and the earth; of them four are Sacred, (i.e. the 1st, the 7th, the 11th and the 12th months of the Islamic calendar). That is the right religion, so wrong not yourselves therein, and fight against the Mushrikun (polytheists, pagans, idolaters, disbelievers in the Oneness of Allah) collectively, as they fight against you collectively. But know that Allah is with those who are Al-Muttaqun (the pious - see V. 2:2). (Quran Surah At-Tawbah: 36)


✦...........♥ Naye Islami Saal Ki Dua! ♥...........✦

Abdullah Bin Hisham RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Sahaba Karam RadiyAllahu Anhum Ajmayeen Naye Saal Ya Maheene Ki Aamad Pe Ye Dua Sikhate The:

اللَّهُمَّ أَدْخِلْهُ عَلَيْنَا بِالأَمْنِ ، وَالإِيمَانِ ، وَالسَّلامَةِ ، وَالإِسْلامِ ، وَرِضْوَانٍ مِنَ الرَّحْمَنِ ، وَجَوَازٍ مِنَ الشَّيْطَانِ

“Aye Allah! Amn, Iman, Salamati, Islam, Rahman Ki Raza Mandi Aur Shaitan Se Bachao Ke Sath Is Saal / Maheena Ko Ham Pe Dakhil Farma.” (Aameen)

[Al-Mu’jamul Awsat Al-Tabarani :: 6241]

●═══════════════◄►═══════════════●

Narrated by Abdullah ibn Hisham RadiyAllahu Anhu, when there is new year or new month would begin , the Sahaba (companion) of the RasoolAllah ﷺ would learn the following dua:

اللَّهُمَّ أَدْخِلْهُ عَلَيْنَا بِالأَمْنِ ، وَالإِيمَانِ ، وَالسَّلامَةِ ، وَالإِسْلامِ ، وَرِضْوَانٍ مِنَ الرَّحْمَنِ ، وَجَوَازٍ مِنَ الشَّيْطَانِ

Allahumma Adkhilhu Alaina bil Amni wal iman, Was salamati wal islam, Wa ridwanim minar Rahman, wa Jawazim minash shaitan

O Allah, bring this (month or year) upon us with security and iman, and with safety and Islam, and with the pleasure of Rahman and Protection from shaitan.

[Al Muajam Al Awsat At-Tabrani :: 6410]


✦....► Nikah Se Pehle Aurat Ki Razamandi Lena Zaroori Hai ◄....✦

The Prophet (ﷺ) said, "A matron should not be given in marriage except after consulting her; and a virgin should not be given in marriage except after her permission." The people asked, "O Allah's Messenger (ﷺ)! How can we know her permission?" He said, "Her silence (indicates her permission).

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Bewah Ka Nikah Us Ki Ijazat Ke Baghair Na KiyaJaye Aur Kunwari Ladki (Baligha) Ka Nikah Bhi Us Ki Ijazat Ke Baghair Na Kiya Jaye, Logon Ne Arz Kiya Ke: Ya RasoolAllah! Kunwari Ki Ijazat Kaise Maloom Hoti Hai? Farmaya Agar Puchne Par Woh Khamosh Ho Jaye To Ye Bhi Ijazat Hai.”

[Sahih Bukhari Vol. 7 :: Book 62 :: Hadith 67, 5136]


“Hamare Dunya Ke Masayel Itne Zyadah Nahin Hain Jitne Tanz, Sawal, Dil Dukhane Wale Tabsere Hain, Agar Sirf Zuban Rokli Jaye To Logon Ke Dilon Ki Takaleef Kam Ho Jayen Gi Aur Bahot Se Dilon Ko Sukoon Milega.”


✦......► Baghair Mundair Ki Chat Par Sona Mana Hai! ◄......✦

The Prophet (ﷺ) said: If anyone spends the night on the roof of a house with no stone palisade, Allah's responsibility to guard him no longer applies.

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Ghar Ki Aisi Chat Par Soye Jis Par Patthar Ki Mundair (Char Diwari) Na Ho To Us Se (Allah Subhanahu Wa Ta’ala Ki) Hifazat Ka Zimma Uth Gaya.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 5023, 5041]


●◗► Cheez Ke Nuqsan Ya Khilone Tutne Ki Surat Mein Bacchon Ko Dantne Dapatne Aur Itna Mehnga Khilona Tod Diya, Itna Bada Nuqsan Kar Diya,Jaise Manfi Jumle Kehne Se Gurez Ki Jiye Balke! Bacchon Ko Ehtiyat Ke Sath Khelne Ki Hidayat Ki Jiye, Cheezon Ko Ahmiyat Dene Se Bacche Maddiyat Pasand Ban Jate Hain.

Aise Bacche Bade Ho Kar Maa Baap Ke Bajaye Maal o Daulat Ko Ahmiyat Dene Lagte Hain!


Prophet (ﷺ) said: “You will be tested in your graves.”

RasoolAllah (ﷺ) Ne Farmaya:“Tum Apni Qabron Mein Aazmaye Jaoge.”

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 3 :: Book 21 :: Hadith 2067, 2065]


“Jab Gharelu Faisle Karne Ke Liye Bahar Ke Bande Ki Zarurat Pad Jaye To Samajh Len Ke Aap Ka Khandan Tabah Ho Chuka Hai.”


✦.........♥ Ehsan Ka Badla Ehsan! ♥.........✦

The Prophet (ﷺ) said: "if anyone does you a kindness, recompense him; but if you have not the means to do so, pray for him until you feel that you have compensated him."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Tumhare Sath Koi Bhalayi Kare To Tum Use Us Ka Badla Do! Aur Agar Tum Badla Dene Ke Liye Kuch Na Pao To Us Ke Haq Mein Dua Karo Yahan Tak Ke Tum Jaan Lo Ke Tum Ne Us Ka Badla Chuka Diya Hai.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 9 :: Hadith 1668, 1672]


✦....► Waldain Par Bacchon Ki Dini Tarbiyat Ki Zimmedari ◄....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Command your children to pray when they become seven years old, and beat them for it (prayer) when they become ten years old; and arrange their beds (to sleep) separately."

Urdu Transaltion: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Tumhare Bacche Jab 7 Saal Ke Ho Jayen To Un Ko Namaz Ki Takeed Karo Aur Jab 10 Saal Ke Ho Jayen To Namaz Mein Kotahi Karne Par Un Ko Saza Do Aur Un Ke Bistar Bhi Alag Kardo.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 2 :: Hadith 495]

●◗► Bistar Alag Karne Ka Hukum Namaz Na Padhne Par Saza Ke Tor Par Nahin Hai Balke Ye Aik Mustaqil Hukum Hai