Saturday, 27 January 2024

Aurat Se Ilm Cheen Liya Jaye To Jahalat Naslon Mein Safar Karegi Aur Ilm Ke Naam Par Aurat Se Pardah Cheen Liya Jaye To Be Hayai Naslon Mein Safar Karegi.

✦ Allah Aur Makhluq Ki Mohabbat Pane Ka Nabwi Nuskha ✦

“A man came to the Prophet (ﷺ) and said: ‘O Messenger of Allah, show me a deed which, if I do it, Allah will love me and people will love me. The Messenger of Allah (ﷺ) said: “Be indifferent towards this world, and Allah will love you. Be indifferent to what is in people’s hands, and they will love you.”

Urdu Translation: Aik Shaks Ne Arz Kiya: Allah Ke Rasool ﷺ! Mujhe Aisa Aml Bata Di Jiye, Jis Se Allah Bhi Mujh Se Mohabbat Karne Lage Aur Log Bhi Mujhe Pasand Karen, RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Dunya Se Be Raghbat Ho Jao, Allah Tum Se Mohabbat Karne Lagega Aur Logon Ke Paas Jo Kuch Hai Us Se Be Niyaz Ho Jao, To Log Tum Se Mohabbat Karne Lagenge.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 37 :: Hadith 4102]

✦.............♥ Hurmat Wale Mahine ♥.............✦

Allah Ta'ala Ne Saal Ke 12 Mahinon Mein Se In 4 Mahinon Ko Azmat Aur Hurmat Ata Farmayi Hai, Isi Ki Badolat In Mein Ada Ki Jane Wali Ibadaat Ke Ajr o Sawab Mein Izafa Hota Hai, Jab Ke Gunahon Ke Wabal Aur Azab Mein Bhi Zyadati Hoti Hai, Is Ka Taqaza Ye Hai Ke In Mahinon Mein Ibadaat Ki Adayegi Aur Gunahon Se Bachne Ka Bakhubi Ehtemam Karna Chahiye.

Allah's Messenger (may peace he upon him) said: "When any one of you is invited to a feast, he should accept it. He may eat if he likes, or he may abandon (eating) if he likes."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Jab Tum Mein Se Kisi Ko Khane Ki Dawat Di Jaye To Woh Us Mein Aaye, Phir Agar Chahe To Khale, Chahe To Na Khaye.”

[Sahih Muslim :: Book 8 :: Hadith 3346, 1430]

The Messenger of Allah (ﷺ) said: 'O merchants, selling involves (false) oaths and idle talk, so mix some charity with it."'

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Aye Tajiron Ki Jama’at! Kharid o Farokht Mein Qasmein Khayi Jati Hain Aur Fuzool Baten Ho Jati Hain, Is Liye Sath Sath Sadaqa Bhi Karte Raha Karo.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Book 12 :: Hadith 2145, 2145]

Narrated Abdullah ibn Busr ibn Atiyyah ibn Busr RadiyAllahu Anhuma: “The Messenger of Allah (ﷺ) came to visit us and we offered him butter and dates, for he liked butter and dates.”

Urdu Translation: Busr Ke Do Bete (Abdullah Aur Atiyyah RadiyAllahu Anhuma) Bayan Karte Hain Ke RasoolAllah ﷺ Hamare Han Tashreef Laye To Ham Ne Aap Ki Khidmat Mein Makkhan Aur Khajoor Pesh Ki, Aap ﷺ Ne Makkhan Aur Khajoor Pasand Farmaya Karte The.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 27 :: Hadith 3828, 3837]

✦.............♥ Bimari Bhi Kaffarah! ♥.............✦

Allah's Messenger (ﷺ) said: "If Allah wants to do good to somebody, He afflicts him with trials."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Allah Ta’ala Jis Ke Sath Khair o Bhalai Karna Chahta Hai Use Bimari Ki Takaleef Aur Digar Musibaton Mein Mubtela Kar Deta Hai.”

[Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Book 70 :: Hadith 548, 5645]

✦........♥ Kabhi Allah Ko Yaad Kar Ke Ro Liya Karen! ♥........✦

The Prophet (ﷺ) said Allah will give shade to seven (types of people) under His Shade (on the Day of Resurrection). (one of them will be) a person who remembers Allah and his eyes are then flooded with tears.

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Sath Qism Ke Logon Ko Allah Ta'ala Us Din Apne Saye Mein Saya Muhayya Karega Jis Din Us Ke Saye Ke Siwa Koi Saya Nahin Hoga: (Un Mein Se Aik) Woh Aadmi Jis Ne Tanhayi Mein Allah Ko Yaad Kiya To Us Ki Aankhon Se Aansu Behne Lagen.”

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 76 :: Hadith 486, 6479]

✦.............► Badgumani ◄.............✦

⇨ Irshade Khudawandi Hai: “Aye Iman Walo! Bahot Se Gumanon Se Bacho, Baaz Guman Gunah Hote Hain.” (Quran, Surah Al-Hujurat:12)

⇨ Aik Hadees Mein Huzoor Paak g Ne Farmaya: “Badgumani Se Bachte Raho Kyun Ke Badgumani Ki Baten Aksar Jhuti Hoti Hain.” (Sahih Bukhari: 6064)

Dil Ke Bhedon Ko Sirf Allah Ta'ala Janta Hai, Lehaza Kisi Ke Bare Mein Bura Guman Rakhna Us Waqt Tak Jayez Nahin Jab Tak Us Ki Burai Is Tarah Zahir Na Ho Ke Us Mein Taaweel (Yani Bachao Ki Daleel) Ki Gunjaish Na Rahe.

✦....► New Year Night Aur Iman Walon Ka Aml ◄....✦

⇨ Irshade Khudawandi Hai: “Aur (Rehman Ke Bande Woh Hain) Jo Jhoot Aur Batil Kamon Mein Shareek Nahin Hote Aur Jab Behudah Kamon Ke Paas Se Guzarte Hain To (Daman Bachate Hue) Nihayat Waqar Aur Sharafat Ke Sath Guzar Jate Hain.” (Surah Al-Furqan: 72)

⇨ "And those who do not witness falsehood, and if they pass by some evil play or evil talk, they pass by it with dignity." (Qur’an 25:72)

Allah's Messenger (ﷺ) saying: "The person guiding (someone) to do a good deed, is like the one performing the good deed."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Neki Ki Taraf Rahnumai Karne Wala Bhi Neki Karne Wale Ki Tarah Hai”.

[Jami` at-Tirmidhi: 2670, Forty Hadith of Shah Waliullah Dehlawi: Hadith 5]

✦........♥ CHRISTMAS DAY Par Khoobsurat Paigham! ♥........✦

⇨ "Say you, He is Allah, the One. Allah the Independent, Care free. He begot none, nor was he begotten (neither the Jesus Christ nor the holy Ezra are his sons). And nor anyone is equal to him." (Qur’an - Surah Al-Ikhlas)

⇨ "Keh Do: Baat Ye Hai Ke Allah Har Lihaz Se Aik Hai, Allah Hi Aisa Hai Ke Sab Us Ke Mohtaj Hain Woh Kisi Ka Mohtaj Nahin, Na Us Ki Koi Aulad Hai Aur Na Woh Kisi Ki Aulad Hai, Aur Us Ke Jod Ka Koi Bhi Nahin." (Qur’an - Surah Al-Ikhlas)

Allah's Messenger (ﷺ) saying: "There is healing in black cumin for all diseases except death."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Kalonji (Siyah Daanon) Mein Har Bimari Se Shifa Hai Siwaye ‘Saam’ (Maut) Ke”.

[Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Book 71 :: Hadith 592, 5688]

⇨ "O you who believe, seek help through patience and prayer. Surely, Allah is with those who are patient." [Quran:153]

⇨ "Aye Iman Walo! Sabr Aur Namaz Se Madad Hasil Karo Beshak Allah Sabr Karne Walon Ke Sath Hai.” [Quran:153]

✦.......♥ 3 Kamon Mein Kabhi Takheer Na Karen! ♥.......✦
‘Ali told how the Prophet ﷺ said: “There are three things, ‘Ali, which you must not postpone: "Prayer when its time comes, a funeral, and the marriage of an unmarried woman when she finds one of suitable class for her.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Aye Ali! Teen Chizon Mein Kabhi Takhir Na Karna:

❶ Namaz Mein, Jab Us Ka Waqt Aajaye
❷ Janaze Mein, Jab Woh Tayyar Ho Jaye
❸ Be Nikah Aurat Ke Nikah Mein Jab Tumhen Us Ke Jod Ka Rishta Mil Jaye." (Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim: 2686, Mishkat al-Masabih 605, Jami` at-Tirmidhi 1075)

عن محمد بن عمر بن علي بن أبي طالب عن أبيه عن جده علي بن أبي طالب رضي الله عنه : أن رسول الله صلى الله عليه و سلم قال : ثلاث يا علي لا تؤخرهن : الصلاة إذا آنت و الجنازة إذا حضرت و الأيم إذا وجدت كفؤا
(المستدرک علی الصحیحین للحاکم:2686، كتاب النكاح،تعليق الذهبي قي التلخيص : صحيح)

RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya:“Quran Majeed Mein Aik Aisi Surat Hai Jis Ki Tees Aayat Hain, (Surah Mulk) Woh Apne Padhne Wale Ke Liye Qayamat Ke Din Jhagda Karegi Hatta Ke Use Jannat Mein Dakhil Karwa Degi.” (Al-Mu'jam Al-Sagheer: 1106)

“Ikhtilafaat Mein Itni Gunjaish Zaroor Rakhen Ke Kahin Achanak Mulaqat Ke Waqt Aankhen Milane Mein Sharmindagi Mahsoos Na Ho.”

The Prophet (ﷺ) said: "Glad tidings to those who find a lot of seeking forgiveness in the record of their deeds."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: "Mubarak Ho Us Shaks Ko Jise Apne Namae Aamal Mein Zyadah Astaghfar Mila."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 33 :: Hadith 3818, 3818]

✦....► Qanoon To Sab Ke Liye Aik Jaisa Hona Chahiye! ◄.....✦

The Prophet (ﷺ) said, "The people before you were destroyed because they used to inflict the legal punishments on the poor and forgive the rich. By Him in Whose Hand my soul is! If Fatima (the daughter of the Prophet (ﷺ) ) did that (i.e. stole), I would cut off her hand."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Aye Logo! Tum Se Pehle Logon Ko Isi Cheez Ne Tabah Kar Dala Ke Jab Unka Koi Mu’azzaz Aadmi Chori Karta To Use Chhod Dete Aur Jab Un Mein Se Koi Kamzor Aadmi Chori Karta To Us Par Had Nafiz Karte, Allah Ki Qasam! Agar Fatima Bint Muhammad ﷺ Bhi Chori Karti To Main Us Ka Hath Bhi Kaat Deta.”

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 81 :: Hadith 778, 6787]

RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Jo Shaks Sirf Is Liye Masjid Jata Hai Ke Woh Ilm Sikhe Ya Sikhaye To Use Mukammal Hajj Karne Wale Ke Barabar Sawab Milta Hai.” (Al-Mu'jam Al-Kabeer Al-Tabarani: 7346, Sahih ut-Targhib al-Albani: 86)

عَنْ أَبِي أُمَامَةَ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ مَنْ غَدَا إِلَى الْمَسْجِدِ لا يُرِيدُ إِلا أَنْ يَتَعَلَّمَ خَيْرًا أَوْ يَعْلَمَهُ كَانَ لَهُ كَأَجْرِ حَاجٍّ تَامًّا حَجَّتهُ

7346 المعجم الكبير للطبراني باب الصاد من اسمه الصعب
86 المحدث الألباني خلاصة حكم المحدث حسن صحيح فيصحيح الترغيب

✦.........♥ Biwi Bhi Zimmedaar Hai ♥.........✦

Allah's Messenger (ﷺ) said, "Everyone of you is a guardian and is responsible for his charges... a man is a guardian of his family and is responsible for them; a woman is a guardian of her husband's house and children and is responsible for them;

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Tum Mein Se Har Shaks Se Apni Zimmedari Ke Bare Mein Pucha Jayega, Khawind Apne Ghar Walon Ka, Biwi Shohar Ke Ghar Aur Us Ke Bacchon Ki Zimmedaar Hai.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 3 :: Book 46 :: Hadith 730, 2554]

The Messenger of Allah (ﷺ) say: "If one keeps apart from his brother for a year, it is like shedding his blood."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Jis Ne Aik Saal Tak Apne Bhai Se Bol Chal Chhode Rakhi To Woh Aise Hai Jaise Us Ka Khoon Bahaya Ho.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 4897, 4915]

✦...........♥ Hajre Aswad Ki Gawahi ♥...........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said about the (Black) Stone: "By Allah! Allah will raise it on the Day of Resurrection with two eyes by which it sees and a tongue that it speaks with, testifying to whoever touched it in truth."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Hajre Aswad Ke Bare Mein Farmaya: “Allah Ki Qasam! Allah Ise Qayamat Ke Din Is Haal Mein Uthayega Ke Is Ki Do Aankhen Hongi, Jis Se Ye Dekhega, Aik Zuban Hogi Jis Se Ye Bolega, Aur Ye Us Shaks Ke Iman Ki Gawahi Dega Jis Ne Haq Ke Sath (Yani Iman Aur Ajr Ki Niyyat Se) Is Ka Istilam Kiya Hoga.”

[Jami Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 4 :: Hadith 961, 961]

The Prophet (ﷺ) said: "Beware of suspicion, for suspicion is the worst of false tales; and do not look for the others' faults and do not spy, and do not be jealous of one another, and do not desert (cut your relation with) one another, and do not hate one another; and O Allah's worshipers! Be brothers (as Allah has ordered you!")

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: "Badgumani Se Bachte Raho Kyun Ke Badgumani Ki Baten Aksar Jhuti Hoti Hain, Logon Ke Uyoob Talash Karne Ke Piche Na Pado, Aapas Mein Hasad Na Karo, Kisi Ki Peeth Piche Burai Na Karo, Bughz Na Rakho, Balke Sab Allah Ke Bande Aapas Mein Bhai Bhai Ban Kar Raho."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 90, 6064]

The Prophet (ﷺ) said: "The most prevalent kind of usury is going to lengths in talking unjustly against a Muslim's honour."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: "Sab Se Badi Zyadati Ye Hai Ke Aadmi Na Haq Kisi Musalman Ki Be izzati Kare."

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 4858, 4876]

✦...► Masjide Aqsa Mein Namaz Ki Adayegi ◄...✦
✦...........♥ Gunahon Se Safayi Ka Zariya! ♥...........✦

It was narrated from 'Abdullah bin 'Amr RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (ﷺ) said: "When Sulaiman bin Dawud finished building Bait Al-Maqdis, he asked Allah for three things:

❶ Judgement that was in harmony with His judgement, and he was given that.

❷ And he asked Allah for a dominion that no one after him would have, and he was given that.

❸ And when he finished building the Masjid he asked Allah, the Mighty and Sublime, that no one should come to it, intending only to pray there, but he would emerge free of sin as the day his mother bore him."

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abdullah Bin Amr RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah g Ne Irshad Farmaya: “Hazrat Sulaiman Bin Dawud Alaihim Assalam Ne Jab Baitul Muqaddas Ki Tameer Farmayi To Allah Ta’ala Se Teen Chizen Mangin:

❶ Allah Se Manga Ke Woh Logon Ke Muqaddamat Ke Aise Faisle Karen Jo Allah Ke Faisle Ke Mawafiq Hon, To Unhen Ye Cheez Dedi Gayi.

❷ Unhon Ne Allah Ta’ala Se Aisi Saltanat Mangi Jo Un Ke Baad Kisi Ko Na Mili Ho, To Unhen Ye Bhi Dedi Gayi.

❸ Aur Jab Woh Masjid Ki Tameer Se Farigh Hue To Allah Se Sawal Kiya Ke “Jo Bhi Shaks Is Masjid Mein Namaz Padhne Ki Gharz Se Aye To Woh Gunahon Se Paak Hokar Aise Nikle Jaise Ke Aaj Hi Us Ki Maa Ne Use Jana Ho.”

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 1 :: Book 8 :: Hadith 694, 693]

✦.........► Masjide Aqsa Se Kya Murad Hai? ◄.........✦

❌ Kuch Logon Ka Guman Ye Hai Ke Masjide Aqsa Sirf “Gunbade Sakhra” Ka Naam Hai.

❌ Jab Ke Kuch Log Ye Samajhte Hain Ke Masjide Aqsa Ka Itlaq Sirf “Musalla Qibli” Par Hota Hai.

✅ Durust Baat Ye Hai Ke Harme Qudsi Ke Ihate Mein Maujood Tamam Tamiraat Aur Sehan Sab Ke Sab Masjide Aqsa Kehlate Hain.

✦ Jumah Ke Din Ahle Falasteen Ko Duaon Mein Yaad Rakhen ✦

Jumah Ka Din, Qubuliyat Dua Ka Din Hai, Jumah Ki Qeemti Sa'aat Mein Mazloom Falasteeni Bhaiyyon Ko Duaon Mein Yaad Rakhen!

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Qibla Awwal Masjid Aqsa Ko Shikanjae Yahood Se Aazad Farmaye, Ahle Falasteen Ko Yahudiyon Ke Zulm o Jabar Se Mahfooz Farmaye Bil Khusoos Ahle Gazah Ki Apne Khazanae Ghaib Se Madad o Nusrat Farmaye Aur Zalim o Ghasib Yahudiyon Aur Un Ke Pusht Banon Ko Tabah o Barbad Farma Kar Nishane Ibrat Banade. Aameen

Neez Ahle Falasteen o Gazah Ke Tamam Dushmanon Ka Tasawwur Bandh Kar Is Masnoon Dua Ka Khoob Wird Karen:

"‏ اللَّهُمَّ إِنَّا نَجْعَلُكَ فِي نُحُورِهِمْ وَنَعُوذُ بِكَ مِنْ شُرُورِهِمْ ‏"‏ ‏.‏

“Aye Allah! Ham Aap Ko (Musalmanon Ke Difa Ke Liye) In Dushmanon Ke Samne Karte Hain Aur Aap Ke Zariye Ham In Dushmanon Ki Shararton Se Panah Mangte Hain.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 8 :: Hadith 1532, 1537]

✦....► Masla Falasteen Par Ulamae Hind Ki Door Andeshi! ◄....✦

Khilafate Usmania Ke Tabnak Daur Mein Yahudiyon Ko Falasteen Mein Zameen Khareedne, Karobar Karne Aur Rahaish Ekhtiyar Karne Ka Qanuni Haq Hasil Nahin Tha, Albatta Woh Visa Lekar Falasteen Aa Sakte the Aur Muqddas Muqamat Ki Ziyarat Kar Sakte The.

Khilafat Ke Khatime Ke Baad Jab Bartania Ka Falasteen Par Qabza Hua To Yahudiyon Ko Aane Jane Aur Zameen Khareedne Ki Khuli Ijazat Dedi Gayi, Ye Woh Khatarnak Waqt Tha Jab Yahudiyon Ne Dunya Bhar Se Daulat Ikhatti Kar Ke Dugni Chugni Qimton Par Falasteen Ka Aik Bada Hissa Khareed Liya.

Us Waqt Ulama e Arab Mein Se Beshtar Hazrat Is Baat Par Muttafiq The Ke Khareed o Farokht Ki Zaruri Sharayet Puri Karte Hue Agar Falasteen Ki Zameen Yahudiyon Ko Bechi Jaye To Shar’an Koi Qabahat Nahin, Lekin Qurban Jaye Chand Ulamaye Arb Aur Mufti Aazam Hind Mufti Kifayatullah Dehlawi Rahimahullah Aur Moulana Ashraf Ali Thanvi Rahimahullah Jaise Door Andesh Ulama e Hind Par Ke Jinhon Ne Ye Fatwa Diya Ke Yahudiyon Ko Falasteen Ki Zameen Bechna Durust Nahin, In Hazrat Ko Imani Firasat Ke Zariye Usi Waqt Andazah Ho Gaya Tha Ke Yahudi Zaminen Khareedne Ke Baad Khitte Ke Asal Malikan Yani Falasteeni Musalmanon Ko Be Dakhal kar Denge Aur Un Par Arsa Hayat Tang Kar Diya Jayega.

✦....► Musalmanon Ke Qatle Aam Ka Bunyadi Sabab ◄....✦
✦.........► Dunya Se Mohabbat Aur Maut Se Nafrat! ◄.........✦

The Prophet (ﷺ) said: The people will soon summon one another to attack you as people when eating invite others to share their dish. Someone asked: Will that be because of our small numbers at that time? He replied: No, you will be numerous at that time: but you will be scum and rubbish like that carried down by a torrent, and Allah will take fear of you from the breasts of your enemy and last enervation into your hearts. Someone asked: What is wahn (enervation). Messenger of Allah (ﷺ): He replied: Love of the world and dislike of death.

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Qareeb Hai Ke (Kafir) Aqwam Tum Par Aise Hi Toot Paden Jaise Khane Wale Pyalon Par Toot Padte Hain.” To Aik Kehne Wale Ne Kaha: Kya Ham Us Waqt Tadad Mein Kam Honge?

Aap ﷺ Ne Farmaya: “Nahin, Balke Tum Us Waqt Bahot Kaseer Tadad Mein Hoge, Lekin Tum Sailab Ki Jhag Ke Manind Hoge, Allah Ta'ala Tumhare Dushman Ke Sinon Se Tumhara Khof Nikal Dega, Aur Tumhare Dilon Mein “Wahn” Daal Dega.”

Aik Puchne Wale Ne Pucha: Ya RasoolAllah! “Wahn” Kya Cheez Hai? Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Ye Dunya Ki Mohabbat Aur Maut Ka Dar Hai.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 38 :: Hadith 4284, 4297]

✦ Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu Ki Nazar Mein Dunya Ki Haqiqat! ✦

Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu Se Logon Ne Darkhwast Ki Ke Hamen Dunya Ki Haqiqat Batayye! Unhon Ne Pucha Ke Tafseel Se Bataun Ya Mukhtasar? Logon Ne Kaha Mukhtasar Irshad Farmayye!

Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu Ne Farmaya: “Dunya Ki Halal Cheezon Ka Hisab o Kitab Hai Aur Is Ki Haram Cheezon Par Jahannam Ka Azab Hai.” (Shuab ul Iman Al-Bayhaqi: 10622)

Irshad Khudawandi Hai: “Darakht Se Girne Wala Koi Patta Aisa Nahin Jis Ka Allah Ko Ilm Na Ho.” (Surah Al-An’am:59)

✦......♥ Apne Mahboob ﷺ Ko Pehchaniye ♥......✦
✦ Silsila Waar Paighamat: Paigham Number 6 ✦

RasoolAllah ﷺ Ke Waldain Aur Mubarak Nasab Nama!

RasoolAllah ﷺ Ke Walid Majid Ka Naam Hazrat Abdullah Aur Waldah Majdah Ka Naam Hazrat Amina Tha.

Walid Mohtaram Ki Taraf Se Silsila Nasab Yun Hai:

Muhammad (ﷺ) bin Abdullah bin Abdul Muttalib bin Hashim bin Abd Manaf bin Qusayy bin Kilab bin Murra bin Kaab bin Luay bin Ghalib bin Fahr bin Malik bin Al - Nadr bin Kinana bin Khuzaymah bin Mudrikah bin Ilyas bin Mudar bin Nizar bin Ma’ad bin Adnan , Ismail Alaihis Salam.

Waldah Majdah Ki Taraf Se Silsila Nasab “Kilab” Par Jakar Walid Ke Silsile Nasab Se Ja Milta Hai.

✦...........♥ Ye Thi Pyari Surat Huzoor ﷺ Ki ♥...........✦

Abu Hurayra RadiyAllahu Anhu described the Messenger of Allah ﷺ with the words, "He was of medium height, but nearer to being tall. He was very white with a black beard and good front teeth. He had long eye-lashes. He was very broad between the shoulders and had full cheeks. He walked on his entire foot, but they did not have a hollow."

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurayra RadiyAllahu Anhu Farmate Hain:“RasoolAllah ﷺ Miyana Qad The, Taweel Qad Se Qareeb Tar, Nihayat Gore Chite, Dadhi Mubarak Ke Baal Siyah Kale, Khoobsurat Dant, Lambi Aur Ghani Palken, Donon Kandhon Ke Darmiyan Qadre Fasla, Rukhsar Hamwar, Chalne Mein Pure Qadam Rakhte, Aap Ke Talwe Mein Gehrayi Na Thi.”

[Al-Adab Al-Mufrad :: Book 47 :: Hadith 1155, 1155]

✦......♥ Apne Mahboob ﷺ Ko Pehchaniye ♥......✦
✦ Silsila Waar Paighamat: Paigham Number 5 ✦

RasoolAllah ﷺ Ki Razai Mayen Aur Kanizen!

Seerat Nigaron Ne Nabi ﷺ Ki Razai Maaon Mein Mukhtalif Khawateen Ka Zikr Kiya Hai Jin Mein Se Mashhoor Ye Hain:

❶ Sobia
❷ Halimah Sa'diyah RadiyAllahu Anha

RasoolAllah ﷺ Ki Char Kanizen (Bandiyan) Thin, Jin MeinSe Teen Ke Naam Seerat Ki Kitabon Mein Mazkoor Hain:

❶ Maria Qibtiyya RadiyAllahu Anha
❷ Rehana Bint Sham’oon RadiyAllahu Anha
❸ Nafeesa RadiyAllahu Anha

✦......♥ Apne Mahboob ﷺ Ko Pehchaniye ♥......✦
✦ Silsila Waar Paighamat: Paigham Number 4 ✦

RasoolAllah ﷺ Ke Chacha Aur Phuphiyan!
RasoolAllah ﷺ Ke Lag Bhag 10 Chacha The Jin Ke Naam Ye Hain:

❶ Hamzah RadiyAllahu Anhu
❷ Abbas RadiyAllahu Anhu
❸ Abu Talib
❹ Abu Lahab
❺ Zubayr
❻ Muqawwim
❼ Dhiraar
❽ Mugheerah (Jahal)
❾ Abdul Ka’ba
➓ Harith

Phuphiyan 6 Shumar Ki Gayi Hain, Jin Ke Naam Ye Hain:

❶ Safiyyah RadiyAllahu Anha
❷ Aatikah RadiyAllahu Anha
❸ Barrah
❹ Arwa RadiyAllahu Anha
❺ Umaymah
❻ Umm Hakim Al-Baydha

✦........► Shohar Aurat Ki Jannat Bhi Aur Dozakh Bhi! ◄........✦

Al-Husayn ibn Muhsin RadiyAllahu Anhu reported that his aunt came to the Prophet ﷺ for a need, and when she finished, the Prophet ﷺ asked her, “Do you have a husband?” She replied, “Yes.” He ﷺ said, “How do you treat him?” She replied, “I try to fulfill all his rights upon me unless I am unable to do so.”

Thereupon, he ﷺ said, “Look to how you are with respect to him, for he is your Heaven or Hell (i.e. you will be admitted to Paradise or thrown into hell according to the way you treat him).”

●═════════════════◄►════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Husayn bin Muhsin RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Un Ki Phuphi Nabi Akram ﷺ Ki Khidmat Mein Apne Kisi Kaam Ke Silsile Mein Hazir Huyen, Jab Un Ka Kaam Ho Gaya To Aap ﷺ Ne Un Se Pucha: Kya Tumhara Shohar Hai? Unhon Ne Arz Kiya: Ji Han, Aap ﷺ Ne Daryaft Farmaya Ke Tum Apne Shohar Se Kaisa Bartao Karti Ho?

Unhon Ne Arz Kiya Ke Hattal Imkan Un Ki Khidmat Mein Koi Kotahi Nahin Karti, Siwaye Is Ke Ke Jab Main Khidmat Karne Se (Kisi Uzr Ki Waja Se) Aajiz Hi Ho Jaun.

Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Khawind Ke Sath Apne Bartao Ka Jaizah Lete Rehna, Kyun Ke Wahi Teri Jannat Bhi Hai Aur Dozakh Bhi.”

(Musnad Ahmad: 18237, Al-Mundhiri classed the isnaad of this hadeeth as jayyid in al-Targheeb wa’l-Tarheeb; it was classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Targheeb wa’l-Tarheeb, no. 1933)

حَدَّثَنَا يَزِيدُ بْنُ هَارُونَ قَالَ أَخْبَرَنَا يَحْيَى بْنُ سَعِيدٍ عَنْ بُشَيْرِ بْنِ يَسَارٍ عَنِ الْحُصَيْنِ بْنِ مِحْصَنٍ أَنَّ عَمَّةً لَهُ أَتَتْ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فِي حَاجَةٍ فَفَرَغَتْ مِنْ حَاجَتِهَا فَقَالَ لَهَا النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَذَاتُ زَوْجٍ أَنْتِ قَالَتْ نَعَمْ قَالَ كَيْفَ أَنْتِ لَهُ قَالَتْ مَا آلُوهُ إِلَّا مَا عَجَزْتُ عَنْهُ قَالَ فَانْظُرِي أَيْنَ أَنْتِ مِنْهُ فَإِنَّمَا هُوَ جَنَّتُكِ وَنَارُكِ

✦......♥ Apne Mahboob ﷺ Ko Pehchaniye ♥......✦
✦ Silsila Waar Paighamat: Paigham Number 3 ✦

RasoolAllah ﷺ Ki Azwaj-e-Mutahrat RadiyAllahu Anhun!

❶ Hazrat Khadijah RadiyAllahu Anha
❷ Hazrat Sawdah RadiyAllahu Anha
❸ Hazrat Aishah RadiyAllahu Anha
❹ Hazrat Zaynab Bint Khuzaymah RadiyAllahu Anha
❺ Hazrat Hafsa RadiyAllahu Anha
❻ Hazrat Umm Salamah RadiyAllahu Anha
❼ Hazrat Zaynab Bint Jahsh RadiyAllahu Anha
❽ Hazrat Umm Habibah RadiyAllahu Anha
❾ Hazrat Juwayriyah RadiyAllahu Anha
➓ Hazrat Safiyyah RadiyAllahu Anha
⓫ Hazrat Maimunah RadiyAllahu Anha

Ahem Wazahat: Hazrat Muhammad ﷺ Ke Ye Sab Nikah Us Aayat Se Pehle Ho Chuke The Jis Mein Musalmanon Ke Waste Biwiyon Ki Tadad Zyadah Se Zyadah 4 Tak Muqarrar ki Gayi Hai.

Jangon Mein Baaz Sahaba Karam Shaheed hue Ya Kuffare Makkah Ne Musalman Aurton Ko Talaq Dedi To Aap ﷺ Ne Un Bewah Ya Mutallaqa Yani Talaq Yafta Aurton Se Nikah Karliya Aur Insaniyat Ko Bewah Aur Mutallaqa Aurton Se Nikah Karne Ki Targheeb Di.

✦......♥ Apne Mahboob ﷺ Ko Pehchaniye ♥......✦
✦ Silsila Waar Paighamat: Paigham Number 2 ✦

RasoolAllah ﷺ Ke 3 Damad The:

❶ Hazrat Abu'l-'Aas bin al-Rabee' RadiyAllahu Anhu
(In Ke Nikah Mein Sahibzadi Rasool Hazrat Zainab RadiyAllahu Anha Thin)

❷ Hazrat 'Uthman bin Affan RadiyAllahu Anhu
(In Ke Nikah Mein Yake Baad Digare Do Sahibzadiyan Hazrat Ruqayya, Phir Hazrat Umme Kulthum RadiyAllahu Anhuma Thin)

❸ Hazrat Ali Al-Murtadha RadiyAllahu Anhu
(In Ke Nikah Mein Sahibzadi Rasool Hazrat Fatima RadiyAllahu Anha Thin)

✦......♥ Apne Mahboob ﷺ Ko Pehchaniye ♥......✦
✦ Silsila Waar Paighamat: Paigham Number 1 ✦

Aan Hazrat ﷺ Ke Sahibzade Aur Sahibzadiyon Ki Ta’dad Kitni Thi?
Aap (صلى الله عليه و سلم) Ke 3 Sahibzade The:

❶ Hazrat Qasim RadiyAllahu Anhu
❷ Hazrat Abdullah (In Ka Laqab Tayyib Aur Tahir Tha.)
❸ Hazrat Ibraheem RadiyAllahu Anhu

In Mein Hazrat Qasim Ki Kunyat Se Aap ﷺ Ko Abul Qasim Bhi Kaha Jata Tha.

Aap (صلى الله عليه و سلم) Ki 4 Sahibzadiyan Thin:

❶ Hazrat Zainab RadiyAllahu Anha
❷ Hazrat Ruqayya RadiyAllahu Anha
❸ Hazrat Umme Kulthum RadiyAllahu Anha
❹ Hazrat Fatimah RadiyAllahu Anha

Mazkurah Bala Tamam Aulad Hazrat Khadijah RadiyAllahu Anha Ke Batan Mubarak Se Thi, Siwaye Hazrat Ibraheem RadiyAllahu Anhu Ke Wo Hazrat Maria Qibtiyya RadiyAllahu Anha Ke Batan Se The.

Pucha Gaya: Jannat Ke Bare Mein Kuch Aisa Batayein Ke Wahan Jane Ka Shoq Paida Ho Jaye!! Farmaya: Wahan Hazrat Muhammad ﷺ Honge!!!

✦...............♥ RasoolAllah ﷺ Ke Hukum Par ♥...............✦
✦.....✿ Khajoor Ka Khosha Qadmon Mein Aagira ✿.....✦

Narrated Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu: "A Bedouin came to the Messenger of Allah (ﷺ) and said: 'How shall I know that you are a Prophet?'

He (ﷺ) said: 'If I were to call this date cluster from this palm tree, would you bear witness that I am the Messenger of Allah?'

So the Messenger of Allah (ﷺ) called it and they started to fall from the tree, until they fell towards the Prophet (ﷺ), then he (ﷺ) said: 'Go back,' and it went back. So the Bedouin accepted Islam."

●═════════════════◄►════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Abbas RadiyAllahu Anhuma Se Riwayat Hai Ke: "Aik Dihati Bargaahe Risalat Mein Hazir Hua Aur Arz Kiya Mujhe Ye Kaise Yaqeen Ho Ke Aap Allah Ke Rasool Hain?

Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke "Is khajoor Ke Darakht Par Jo Khosha Latak Raha Hai Agar Main Use Apne Paas Bulaun (Aur Woh Mere Paas Aajaye) To Kya Tum Gawahi Doge Ke Main Allah Ka Rasool Hun?"

Chunanche Aap ﷺ Ne Khajoor Ke Us Khosha Ko Bulaya To Woh Foran Hi Darakht Se Utra Aur Aap Ke Samne Aagira, Phir Aap ﷺ Ne Hukum Diya Ke “Wapas Ja”, To Woh Darakht Mein Apni Jaga Par Dobarah Pewast Ho Gaya, Ye Mujizah Dekh Kar Woh Dihati Shaks Musalman Ho Gaya."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 46 :: Hadith 3628]

✦...............♥ Walid Razi To Rab Razi! ♥...............✦

The Prophet ﷺ said: "The Lord's pleasure is in the parent's pleasure, and the Lord's anger is in the parent's anger."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Walid Razi Ho To Rab Razi Aur Walid Naraz Ho To Rab Naraz Ho Jata Hai.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 1899, 1899]

✦....► Apne Maal Aur Aulad Ke Khilaf Baddua Na Karo! ◄....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) as saying: “Do not invoke curse on yourselves, and do not invoke curse on your children, and do not invoke curse on your servants, and do not invoke curse on your property, lest you happen to do it at a time when Allah is asked for something and grants your request.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Apne Aap Ko, Apni Aulad Ko, Apne Khadimon Ko Aur Apne Maal Ko Bad’Dua Na Do (Aisa Na Ho) Ke Woh Ghadi Dua Ki Qubuliyat Ki Ho Aur Tumhari Bad’Dua Qubool Ho Jaye.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 8 :: Hadith 1527, 1532]

✦..........♥ Sadqe Se Maal Kam Nahin Hota! ♥..........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "There are three things for which I swear and narrate to you about, so remember it." He said: "The wealth of a slave (of Allah) shall not be decreased by charity,..."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: "Teen Chizon Par Main Allah Ki Qasam Khata Hun Un Mein Se Aik Ye Ke Sadaqah Kabhi Bhi Kisi Ka Maal Kam Nahin Karta..."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2325, 2325]

✦..........♥ Shayad Rizq Is Ki Wajah Se Milta Hai! ♥..........✦

"There were two brothers during the time of the Messenger of Allah (ﷺ). One of them used to come to the prophet (ﷺ), and the other had some business. The businessman among them complained to the Prophet (ﷺ) about his brother, so he (ﷺ) said: 'Perhaps you are provided for because of him.'"

Urdu Translation: Aik Bhai Ne Nabi ﷺ Ke Paas Aakar RasoolAllah ﷺ Ke Paas Baithne Wale Apne Bhai Ke Kaam Na Karne Ki Shikayat Ki To Aap ﷺ Ne Farmaya: Mumkin Hai Tujhe Isi Ki Wajah Se Hi Rizq Milta Ho.

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2345, 2345]

Aala Taleem Aur Digriyan Lene Ke Baad Bhi Agar Aap Insaniyat Ki Qadar Na Kar Saken To Phir Hosle Ke Sath Sunen Ke “Aap Jahil Hain”.

⇨ “Beshak Allah Aur Us Ke Farishte Nabi Par Durood Bhejte Hain, Aye Iman Walo! Tum Bhi Un Par Durood Bhejo, Aur Khoob Salam Bheja Karo.” (Surah Al-Ahzab: 56)

⇨ "Indeed, Allah confers blessing upon the Prophet, and His angels [ask Him to do so]. O you who have believed, ask [ Allah to confer] blessing upon him and ask [ Allah to grant him] peace." (Surah Al-Ahzab: 56)

► Durood Shareef Padh Kar Aage Share Karen ◄

✦.......✿.......♥ Bacche Ka Aqiqah ♥.......✿.......✦
✦...♥ Aafaat o Bimariyon Se Rahat Ka Sabab ♥...✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "The boy is mortgaged by his 'Aqiqah; slaughtering should be done for him on the seventh day, he should be given a name, and his head should be shaved."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Har Baccha/Bacchi Apna Aqiqah Hone Tak Girwi Rahta Hai, Bacche Ki Taraf Se Satwen Din Janwar Zabah Kiya Jaye, Satwen Din Us Ka Naam Rakha Jaye Aur Sir Mundhwaya Jaye.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 3 :: Book 17 :: Hadith 1522, 1522]

●◗► Girwi Aur Rahen Rakhe Hone Ka Matlab Ulama Ne Ye Bayan Farmaya Hai Ke Agar Isteta’at Ke Bawajood Waldain, Bacche Ka Aqiqah Nahin Karte To Qayamat Ke Din Us Bacche Ko Waldain Ki Shifa’at Se Rok Diya Jayega, Baaz Ulama “Girwi” Hone Ka Matlab Ye Bayan Farmate Hain Ke Agar Isteta’at Ke Bawajood Bacche Ka Aqiqah Nahin Kiya Jata To Baccha Bimariyon Aur Aafaat Mein Ghira Rahta Hai.

“Ya Allah! Hamari Sarzameen Mein Barkat Ata Farma, Khush Numai Ata Farma Aur Amn o Sukoon Bhi Ata Farma Aur Aap Ne Jo Kuch Mujhe Ata Farmaya Hua Hai Us Ki Barkat Se Mujhe Mahroom Na Farmayye, Aur Aap Ne Jo Kuch Mujhe Nahin Diya, Us Ke Bare Mein Mujhe Aazmaish Mein Mubtela Na Ki Jiye.” (Al-Mu'jam Al-Awsat Al-Tabarani: 4692, 7110)

●◗► Watne Azeez Ke Tamam Bashindon Ko Yaume Aazadi Mubarak Ho! Aaj Hamare Mulk Ki Aazadi Ko 75 Saal Mukammal Ho Gaye Mulk Kadi Mehnat Aur Mushaqqat Ke Baad Azad Hua Hai Aazadi Ki Is Nemat Ki Qadar Karna Aur Is Par Allah Ka Shukr Ada Karna Zaroori Hai Isi Tarah Mulk Ki Aazadi Ko Barqarar Rakhne Aur Yaha Ke Har Bashinde Ki Jaan Aur Maal Ke Tahaffuz Ko Yaqeeni Banane Ki Jiddo Jehad Arbabe Iqtidar Samait Mulk Ke Har Bashinde Ki Bunyadi Zimmedari Hai.

✦............♥ Watne Azeez INDIA se Mohabbat! ♥............✦

●◗► Insan Jis Khitte, Mulk, Shaher Ya Ilaqe Mein Rehta Hai Us Jage Se Unsiyat, Qalbi Lagao Aur Mohabbat o Ulfat Ka Paida Ho Jana Aik Fitri Cheez Hai, Diyanat Aur Amanat Ka Taqaza Bhi Yahi Hai Ke Insan Jahan Rahe Wahan Ki Khair Khuahi, Taraqqi Aur Falah o Bahbood Ki Koshishon Mein Laga Rahe.

✿ RasoolAllah (ﷺ) Jab Makkah Mukarramah Se Hijrat Farma Kar Nikle To Sawari Par Sawar Ho Kar Baar Baar Piche Mud Kar Dekhte Aur Farmate: "(Aye Makkah!) Allah Ki Qasam Tu Allah Ta’ala Ki Behtareen Aur Mahboob Tareen Zameen Hai, Agar Mujhe Yaha Se Na Nikala Jata To Main Tujhe Chhor Kar Na Jata." (Sunan Ibn Majah: 3108)

✿ Baad Aza Jab RasoolAllah (ﷺ) Hijrat Farma Kar Madinah Tayyabah Pohnche Aur Madinah Munawwarah Ko Apna Mustaqil Watan Bana Liya To Ye Dua Mangi: "Aye Allah! Jis Tarah Makkah Mukarramah Ki Mohabbat Tu Ne Hamen Ata Ki Thi Isi Tarah Madinah Munawwarah Ki Mohabbat Bhi Hamen Ata Farma, Ya Us Se Bhi Zyadah Hamen Madinah Ki Mohabbat Ata Farma, Aur Yahan Ki Aab o Hawa Sahet Baksh Banade Aur Hamare Sa’a Aur Mud (Ghalla Naapne Ke 2 Paimane) Mein Barkat Ata Farma Aur Madinah Ke Wabayi Bukhar Ko Juhfa (Naami Muqam) Mein Muntaqil Karde." (Sahih Muslim: 1376)

Apne Mulk Aur Watan Se Mohabbat Karen Aur Apni Zaat Se Mulk o Watan ko Faidah Pohnchane Ki Koshish Karen

●══════════════════◄►═════════════════●

Abu Salamah bin ‘Abdur-Rahman bin ‘Awf narrated that ‘Abdullah bin ‘Adiy bin Hamra’ said to him: “I saw the Messenger of Allah (ﷺ) , when he was on his she-camel, standing in Al-Hazwarah* saying: ‘By Allah, you are the best land of Allah, and the dearest of the land of Allah to me. By Allah, had I not been expelled from you I would never have left.’” *A place in Makkah."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 4 :: Book 25 :: Hadith 3108]

'A'isha (Allah be pleased with her) reported: When we came to Medina, and it was an unhealthy, uncogenial place, Abu Bakr fell sick and Bilal also fell sick; and when Allah's Messenger (ﷺ) saw the illness of his Companions he said: O Allah, make Medina as congenial to us as you made Mecca congenial or more than that; make it conducive to health, and bleesus in its sa' and in its mudd, and transfer its fever to al-juhfa."

[Sahih Muslim :: Book 7 :: Hadith 3178, 1376]

✦.....► Jange Aazadi Mein Ulama Karam Ki Qurbaniyan ◄.....✦

1857 Delhi Ke Chandni Chowk Se Peshawar Tak Darakhton Par Ulama Ki Gardane Aur Jism Latke Hue Milte The, Rozana 80 Ulama Phansi Par Latkaye Jate The, Main Delhi Ke Aik Khaime Mein Baitha Tha, Mujhe Gosht Ke Jalne Ki Bu Aayi, Main Ne Khaime Ke Piche Jakar Dekha To Kya Dekhta Hun Ke Aag Ke Angaron Par Tees Chalees Ulama Ko Nanga Kar Ke Dala Ja Raha Hai, Phir Dusre 40 Isi Tarah Laye Gaye Unhen Nanga Kiya Gaya, Aik Angrez Ne Un Se Kaha Agar Tum Inquilab 1857 Mein Shirkat Se Inkar Kardo To Tumhen Chhod Diya Jayega, Tamson Kehta Hai “Khuda Ki Qasam Sare Ulama Jal Kar Mar Gaye Magar Kisi Aik Ne Bhi Angrez Ke Samne Gardan Nahin Jhukayi.”

(1857 Ki Kahani Angrez Tamson Ki Zubani: Makhuz Mahnama Darul Uloom Deoband Shumarah 1 Jild 97)

●◗► Ye Jo Barre Saghir Ki Angrez Se Aazadi Hai Is Ke Piche Ulama Ke Khoon Ki Waadi Hai.

Waldain, Aulad Ki Chand Rozah Ghair Yaqeeni Zindagi Ki Fikr Se Zyadah Un Ki Aakhirat Ki Hamesha Wali Zindagi Ki Fikr Karen!

✦.............♥ Momin Ki Shaan ♥.............✦

Har Haal Mein Neki o Ehsan Pe Kaar Band
Hazrat Yusuf Alaihis Salam Se Do Martaba Ye Jumla Kaha Gaya: “Ham Aap Ko Neki Aur Ehsan Karne Wala Dekhte Hain.” (Yusuf: 36,78)

► Aik Martaba Jab Aap Qaid Khane Mein The
► Dusri Martaba Jab Aap Hukumati Mansab Par Fayiz The

Lehaza Musalman Ki Yahi Shaan Honi Chahiye Ke Har Haal Mein Allah Ka Mutee o Farman Bardar Aur Makhluqe Khuda Ke Liye Hamdard o Khair Khuah Rahe, Chahe Woh Zulm Ke Jabar
Mein Ho Ya Ekhtiyarat Ki Ranayion Mein!

YAUME ASHURA: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Main Allah Subhanahu Wa Ta'ala Se Ummid Rakhta Hun Ke Woh Yaume Ashura (10 Muharram Al-Haram) Ke Roze Ko Guzishta Saal Ke Gunahon Ka Kaffarah Bana Dega.” (Sahih Muslim: 1162)

Baaz Hazraat Driving Ke Dauran Pani Pikar Bottle Niche Hi Rakh Dete Hain Is Thodi Si La Parwahi Ke Natije Mein Barwaqt Brake Na Lagne Ki Wajah Se Nihayat Afsosnak Sanehat Runuma Hote Hain.

Lehaza Ehtiyat Ki Jiye Aur Brake Ke Qareeb Balke Gadi Ke Farsh Par Koi Aisi Cheez Na Rakhen Jo Brake Lagne Mein Rukawat Bane.

✦.....♥ Aap ﷺ Ne Khawateen Ko Waaz Farmaya! ♥.....✦

Once during such a lesson the Prophet ﷺ said: "A woman whose three children die will be shielded by them from the Hell fire." On that a woman asked, "If only two die?" He ﷺ replied, "Even two (will shield her from the Hell-fire).

Urdu Translation: Aap ﷺ Ne (Aurton Ki Majlis Mein) Jo Kuch Farmaya Un Mein Se Aik Baat Ye Bhi Thi Ke Jis Maa Ke Teen (Chote) Bacche Faut Ho Jayen Woh Us Ke Liye Jahannam Se Dhaal Ban Jayenge, Phir Pucha Gaya Ke Do Bacche, Aap ﷺ Ne Farmaya: “Do Bhi”.

[Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Book 3 :: Hadith 101, 101]

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*¸.•*´¨`*•.¸
Ilmi Majlis Ki Janib Se Tamam Chahne Walon Ko Eid Mubarak
•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*¸.•*´¨`*•.¸

●◗► Allah Ta’ala Ham Sab Ki Qurbani Aur Hajje Baitullah Samait Digar Tamam Ibadaat Apni Bargaah Rehmat Mein Qubool Farma Kar Hamen Deene Mateen Ke Liye Har Tarah Ki Qurbani Dene Ka Jazba Ibrahimi Ata Farmaye. (Aameen)

تَقَبَّلَ اللّهُ مِنَّا وَ مِنْكُمْ
'Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' Allah paak Hamare aur Aap ke Naik Aa’maal Qubool Farmaye."

★•.•´¯`•.•★ ♥ A A M E E N ♥ ★•.•´¯`•.•★

اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد
●◗► "Allahu Akbar Allahu Akbar La ilaaha illallahu Wallahu Akbar, Allahu Akbar Walillahil Hamd!"

✦.............♥ Hajj Ke 5 Ayyam 4 Aur 5 Din ♥.............✦
(11,12 Dhul Hijjah): (India Mein 10,11 Dhul Hijjah)

Hujjaj Karam Hajj Ke Chaothe Aur Panchwen Din Mina Mein Qiyam Kar Ke Tarteeb Waar Teenon Jamrat Ki Rami Karenge, Pehle Jamrah Ula (Chote Alamati Shaitan) Par Kankariyan Marenge, Phir Jamrah Wusta Par Aur Phir Jamrah Aqabah (Bade Alamati Shaitan) Par Kankariyan Marenge, Aur Agar Koi Haji 10 Dhul Hijjah (Hajj Ke Teesre Din) Qurbani, Halaq, Tawaf Ziyarat Aur Hajj Ki Sayi Na Kar Saka To Wo Hajj Ke Panchwen Din (12 Dhul Hijjah) Ke Ghuroob Aaftab Tak Kar Sakta Hai, Agar Haji 12 Dhul Hijjah Ko Ghuroob Aftab Ke Baad Mina Mein Taher Gaye Aur Subah Sadiq Wahin Ho Gayi To Agle Din 13 Dhul Hijjah Ki Rami Jamrat Bhi Wajib Ho Jayegi Aur Is Ke Sath Hi Hajj Ke Afaal o Manasik Mukammal Ho Jayenge Sirf Tawafe Wida Reh Jayega Jise Wapsi Se Qabl Kisi Bhi Waqt Karna Lazim Hoga.

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Safar Hajj Ke Shuruaat Qubool Farmaye Aur Tamam Aazmeene Hajj Ko Apne Hifz o Aman Mein Rakhe. (Aameen)

✦......♥ Eid Ki Mubarak Baad Dene Ka Tariqa ♥......✦

Hazrat Wathla RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Main Ne Eid Ke Din Nabi Kareem ﷺ Se Mulaqat Ki Aur Main Ne Kaha: "Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' "Allah Ta’ala Hamare Aur Aap Ke Naik Aa’maal Qubool Farmaye."

Nabi Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Han Han Zaroor! 'Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' Allah Paak Hamare Aur Aap Ke Naik Aa’maal Qubool Farmaye."

[Sunan Al-Kubra Al-Bahaqi :: Hadith 6088]

✦.......♥ Eid Al-Adha Ke Aadaab ♥.......✦

❶ Subah Sawere(Namaze Fajr Se Qabl) Bedar Hona.
❷ Miswak Karna.
❸ Ghusul Karna.
❹ Shari’at Ki Hudood Mein Rahte Hue Zaib o Zeenat Ekhtiyar Karna
❺ Khushbo Lagana.
❻ Eid Ki Namaz, Eidgah Mein Padhna.
❼ Jald Az Jald Eidgah Pahonchna, Paidal Jana Aur Wapsi Par Dusra Rasta EkhtiyarKarna
❽ Raaste Mein
اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد
"Allahu Akbar Allahu Akbar La ilaaha illallahu Wallahu Akbar, Allahu Akbar Walillahil Hamd!" Ba’aawaze Buland Padhna.
❾ Eid Ki Namaz Se Pehle Kuch Na Khana.
➓ Qurbani Ke Mubarak Gosht Se Khane Ki Ibteda Karna.

✦.....► Shaitan Ko Kankariyan Marna ◄.....✦
► Batil Taqaton Se Izhare Nafrat Ki Alamat ◄

●◗► “Rami” Darasal Aik Yaad Gaari Ibadat Hai Jise Shaitani Aur Batil Taqaton Se Izhare Nafrat Ke Liye Is Ummat Mein Baqi Rakha Gaya Hai, Is Ibadat Ke Piche Aik Yaad Gaar Waqia Hai, Jis Ka Zikr Quran o Hadees Mein Maujood Hai, Aik Hadees Mein Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma Farmate Hain Ke Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya:

“Jab Hazrat Ibraheem Alaihis Salam Hukm Ilahi (Bete Ki Qurbani) Ki Tameel Ke Liye Chale To Shaitan Jamrah Aqabah Ke Nazdeek Un Ke Samne Aaya, To Unhon Ne Use Sath (7) Kankariyan Marin, Yahan Tak Ke Woh Zameen Mein Dhas Gaya. Phir Dusre Jamrah Ke Paas Shaitan Un Ke Samne Aaya To Unhon Ne Dobara Use Sath Kankariyan Marin, Yahan Tak Ke Woh Zameen Mein Dhas Gaya. Phir Teesre Jamrah Ke Paas Shaitan Samne Aaya To Unhon Ne (Teesri Martaba) Use Sath Kankariyan Marin, Yahan Tak Ke Woh Zameen Mein Ja Dhasa.

Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma Ne Farmaya Ke Shaitan Ko Patthar Marne Ki Karwayi Darasal Hazrat Ibraheem Alaihis Salam Ki Itteba Hai.

[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim : 1713]

●═══════════════◄►══════════════●

Al Bayhaqy reported in his Sunan on the authority of Ibn `Abbas (may Allah be pleased with him) who said: "When Abraham started the rites, Satan came to him at Jamratul-`Aqabah, then he threw him with seven pebbles until he sank into the earth. Then he blocked his way at the second Jamrah, and he threw him with seven pebbles until he sank into earth. Then he blocked his way at the third Jamrah, then he threw him with seven pebbles until he sank into earth."

Ibn `Abbas RadiyAllahu Anhu said: "You stone Satan, and follow the religion of your father (Abraham)."

[Reported by Al Hakim in Al Mustadrak, and graded it as authentic, and said: According to the conditions set by Al Bukhari and Muslim without mentioning it in their books of authentic Hadiths] Sunan Al Bayhaqy (5/153).Al Mustadrak (1/466).[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim : 1713]

Hujjaje Karam 10,11,12,13 Dhul Hijjah Ko Shaitan Ko Kankariyan Maar Kar Is Baat Ka Izhar Karte Hain Ke Shaitan Insanon Ka Khula Dushman Hai Aur Aaj Ke Baad Agar Is Ne Ehkame Ilahi Ki Takmeel Mein Rukawat Dalne Ki Koshish Ki To Use Pattharon Se Maar Kar Bhaga Diya Jayega.

✦........✿ ...... Hajj Ke 5 Ayyam ......✿ ........✦
Teesra Din (10 Dhul Hijjah): (India Mein 9 Dhul Hijjah)

Aaj Manasik Hajj Ki Adayegi Ka Teesra Ahem Tareen Din Hai, Hujjaj Karam Muzdalifah Mein Namaz Fajr Awwal Waqt Mein Padhne Ke Baad Tulu Aftab Tak Wuqufe Muzdalifah Karenge Aur Zikr o Dua Aur Tasbihat Mein Mashghool Rahenge, Tulu Aaftab Ke Waqt Mina Ki Taraf Rawana Ho Jayenge Aur Muzdalifah Se Hi Apne Sath Taqriban 70 Kankariyan Bhi Le Lenge, Mina Pahonch Kar Jamrah Aqabah (Bade Alamati Shaitan) Par Kankariyan Marenge, Pehli Kankari Marte Hi Talbiya Padhna Band Kar Denge, Is Ke Baad Hajj Ki Qurbani Karenge Aur Phir Sir Mundhwa Kar Ya Baal Chote Karwa Kar Ehram Ki Beshtar Pabandiyon Se Aazad Ho Jayenge, Is Din Agar Moqa Muyyasar Aasaka To Hujjaj Karam Makkah Mukarramah Pahoch Kar Tawaf Ziyarat Aur Sayi Bhi Kar Lenge.

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Safar Hajj Ke Shuruaat Qubool Farmaye Aur Tamam Aazmeene Hajj Ko Apne Hifz o Aman Mein Rakhe. (Aameen)

✦..♥ Arafah Rehmat o Maghfirat Ka Thathen Marta Samandar ♥..✦

'A'isha (Allah be pleased with her) reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: “There is no day when God sets free more servants from Hell than the Day of 'Arafah. He draws near, then praises them to the angels, saying: What do these want?.”

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Allah Subhanahu Wa Ta'ala Arafah Ke Din Jis Qadar Logon Ko Jahannam Se Aazad Farmate Hain Itne Kisi Aur Din Aazad Nahin Farmate, Bila Shuba Allah Subhanahu Wa Ta'ala Is Din Apni Rehmat o Maghfirat Ke Sath Bandon Ke Intehayi Qareeb Ho Jate Hain Aur Phir Farishton Ke Samne (Hujjaj Karam) Par Fakhr Karte Hue Farmate Hain: "Mere Ye Bande Kya Chahte Hain?".

[Sahih Muslim :: Book 7 :: Hadith 3126, 1348]

✦.........♥ TAKBEERATE TASHREEQ ♥.........✦

اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد

"Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu Arafah (9 Dhul Hijjah) Ke Din Namaz Fajr Se Ayyam Tashreeq Ke Aakhri Din (13 Dhul Hijjah) ki Namaz Asr Tak Takbeere Tashreeq Padhte The."

[Musannaf Ibn Abi Shaybah :: Hadith 5631]

●◗► 9 Dhul Hijjah Ki Fajr Se 13 Dhul Hijjah Ki Asr Tak Har Farz Namaz Ke Baad Ba Jama’at Ya Tanha Namaz Padhne Wale Mard Par Aik Martaba Buland Aawaz Se Aur Aurat Par Aik Martaba Aahista Aawaz Se Ye Takbeer Padhna Wajib Hai.

✦.....♥ Deene Islam Aur Nematon Ki Takmeel Ka Din! ♥.....✦

Narrated 'Umar bin Al-Khattab RadiyAllahu Anhu: Once a Jew said to me, "O the chief of believers! There is a verse in your Holy Book Which is read by all of you (Muslims), and had it been revealed to us, we would have taken that day (on which it was revealed as a day of celebration." 'Umar bin Al-Khattab asked, "Which is that verse?" The Jew replied, "This day I have perfected your religion For you, completed My favor upon you, And have chosen for you Islam as your religion." (5:3) 'Umar replied,"No doubt, we know when and where this verse was revealed to the Prophet. It was Friday and the Prophet (ﷺ) was standing at 'Arafat (i.e. the Day of Hajj)"

Urdu Translation: Hazrat Umar Bin Khattab RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Aik Yahudi Ne Un Se Kaha Ke Aye Ameer ul Mu'mineen! Aap Ki Kitab (Quran) Mein Aik Aayat Hai Jise Aap Log Padhte Hain, Agar Woh Aayat Ham Yahudiyon Par Nazil Hoti To Ham Us (Ke Nuzool Ke) Din Ko Eid Ka Din Bana Lete, Aap Ne Pucha Woh Konsi Aayat Hai? Us Ne Jawab Diya (Surah Al-Ma’idah Ki Aayat) Tarjuma: “Aaj Main Ne Tumhare Deen Ko Mukammal Kar Diya Aur Apni Nemat Tum Par Tamam Kardi Aur Tumhare Liye Deen Islam Pasand Kiya.” Hazrat Umar RadiyAllahu Anhu Ne Farmaya Ke Ham Us Din Aur Us Muqam Ko (Khoob) Jante Hain Jab Ye Aayat RasoolAllah g Par Nazil Hui, Woh Jumah Ka Din Tha Aur Aap g Maidane Arafat Mein Khade Hue The.

[Sahih Al-Bukhari :: Vol. 1 :: Book 2 :: Hadith 44, 45]

✦..........♥ Hajj Ke 5 Ayyam Dusra Din ♥..........✦
(9 Dhul Hijjah): (India Mein 8 Dhul Hijjah)

Aaj Ka Din Ayyam Hajj Ka Sab Se Ahem Aur Masroof Tareen Din Hai, Aaj Subah Talbiya Padhte Hue Hujjaj Karam Mina Se Arafat Ke Liye Rawana Ho Jayenge, Maidane Arafat Mein Zawal Ke Baad Hajj Ka Rukn Aazam “Wuqufe Arafah” Ada Karenge, Is Dauran Zohar Aur Asr Ki Namazen Ikatthi Ada Ki Jayengi, Namazon Ke Alawah Ghuroob Aaftab Tak Jitna Waqt Bachega, Hujjaj Karam Qibla Rukh Ho Kar Khoob Aahwazari Aur Duayen Mangenge Aur Ghuroob Aftab Ke Baad Talbiya Padhte Hue “Muzdalifah” Ki Janib Rawana Ho Jayen, Muzdalifah Pahonch Kar Maghrib Aur Isha Ki Namazen Isha Ke Waqt Mein Ikatthi Ada Karenge Aur Aaj Ki Raat Muzdalifah Mein Guzarenge, Muzdalifah Mein Namaze Fajr Awwal Waqt Mein Ada Kar Ke Qibla Rukh Ho Kar Duaon Aur Zikr o Azkar Mein Mashghool Ho Jayenge, Is Aml Ko “Wuqoofe Muzdalifah” Kaha Jata Hai.

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Apni Mansha Ke Mutabiq Hujjaj Karam Ko Manasike Hajj Ada Karne Ki Toufeeq Marhamat Farmaye. (Aameen)

✦......♥ 28 June 2023 Baroz Budh, Arafah Ka Rozah ♥......✦

The Prophet ﷺ said: "Fast the Day of Arafah, for indeed I anticipate that Allah will forgive (the sins) of the year after it, and the year before it."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Mujhe Allah Ta’ala Ki Zaat Par Pokhta Yaqeen Hai Ke Yaum Arafah (9 Dhul Hijjah) Ke Roze Ke Badle Guzishta Saal Aur Aayindah Saal Ke Gunah Muaaf Farma Dega.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2, Book 3 :: Hadith 749, 749]

✦..........♥ Hajj Ke 5 Ayyam Pehla Din ♥..........✦
(8 Dhul Hijjah): (India Mein 7 Dhul Hijjah)

Aaj Hazaron Aazmeene Hajj Makkah Mukarramah Se Mina Pahonch Rahe Hain Jahan Wo Panch Namazen: Zohar, Asr, Maghrib, Isha Aur 9 Dhul Hijjah Ki Fajr Ada Karenge, Mina Mein Ye Panchon Namazen Ada Karna Aur Aaj Ki Raat Mina Mein Guzarna Hajj Ki Sunnat Hai, Lehaza Agar Kisi Wajah Se Mina Pahochne Mein Kuch Takheer Ho Jaye Ya Mina Na Pahonch Saken To Hujjaje Karam Par Koi Dum Wagherah Lazim Nahin, Lekin Qasdan Aisa Karna Munasib Nahin, Kyun Ke Sunnat Chhodne Se Hajj Ka Sawab Kam Ho Jata Hai.

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Safar Hajj ki Shuruaat Qubool Farmaye Aur Tamam Aazmeene Hajj Ko Apne Hifz o Aman Mein Rakhe. (Aameen)

✦.........♥ Ashrah Dhul Hijjah Ke Aamal ♥..........✦

● Hajj
● Qurbani
● Yaume Arfah Ka Rozah
● Takbeer o Tasbeeh o Tahmeed
● Allah Se Manajaat
● Tilawate Quran Majid
● Allah Ke Raste Mein Kharch Karna
● Amr Bil Maroof Wa Nahi Anil Munkar
● Din Mein Roze Raton Mein Ibadat

The Messenger of Allah ﷺ said: "There are no days in which righteous deeds are more beloved to Allah than those ten days ( Dhul-Hijjah)." They said: "O Messenger of Allah! Not even Jihad in Allah Cause?" The Messenger of Allah ﷺ said: "Not even Jihad in Allah's Cause, unless a man were to out with his self and his wealth and not return from that with anything."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Dhul Hijjah Ke Dus Dinon Ke Muqable Mein Dusre Koi Din Aise Nahin Jin Mein Naik Aml Allah Ta’ala Ko In Dinon Se Zyadah Mahboob Ho.” Sahaba Ne Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Kya Jihad Fi Sabilillah Bhi Nahin?
Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jihad Fi Sabilillah Bhi Nahin, Han Magar Wo Shaks Jo Apni Jaan o Maal Ke Sath Rahe Jihad Mein Nikle Aur Kuch Wapas Lekar Na Aaye (Wahin Shahid Ho Jaye).”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 3 :: Hadith 757, 757]

✦.....♥ Bewaon Aur Miskinon Ke Kaam Aane Wale! ♥.....✦

The Prophet (ﷺ) said: "The one who looks after a widow or a poor person is like a Mujahid (warrior) who fights for Allah's Cause, or like him who performs prayers all the night and fasts all the day."

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Bewaon Aur Miskeenon Ke Kaam Aane Wala Allah Ke Raste Mein Jihad Karne Wale Ke Barabar Hai, Ya Raat Bhar Ibadat Aur Din Ko Roze Rakhne Wale Ke Barabar Hai.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 64 :: Hadith 265, 5353]

✦.....► Qurbani Karne Wale Baal o Nakhun Na Tarashen ◄.....✦

Umm Salama RadiyAllahu Anha reported (these words) directly from Allah's Messenger (ﷺ): "If anyone has in his possession a sacrificial animal to offer as a sacrifice (on 'Id al-Adha), he should not get his hair cut and nails trimmed after he has entered the first days of Dhu'l Hijja."

Urdu Translation: Hazrat Umm Salamah RadiyAllahu Anha Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Jab Tum Maah Dhul Hijjah Ka Chand Dekh Lo Aur Tum Mein Se Kisi Ka Qurbani Karne Ka Iradah Ho To Use Chahiye Ke Woh (Janwar Zabah Karne Tak) Na Apne Jism Ke Baal Kate Aur Na Hi Nakhun Tarashe."

[Sahih Muslim :: Book 22 :: Hadith 4871, 1977]

●◗► 19-June-2023 Baroze Peer Ko 29 Dhul Qa’dah Hai Lehaza Qurbani Ka Iradah Rakhne Wale Tamam Hazraat 29 Dhul Qa’dah Peer Ke Din Maghrib Se Pehle Pehle Jism Ke Ghair Zaroori Baal Aur Nakhun Wagherah Tarash Len!

Ghar Ke Darwaze Ki Seedhiyan Gali Ki Bajaye Apni Hudood Mein Rehkar Is Tarah Bhi Banayi Ja Sakti Hain, Aik Balisht Zameen Par Bhi Na Haq Qabza Karna Badi Sakht Pakad Aur Gunah Ki Baat Hai.