Sunday, 22 December 2013


●◗► Allah ne Maa jaisi hasti ko Takhleeq kar ke Jannat ka husool Aasan banadiya hai aur Maa Baap ki Raza mein apni Raza shamil kardi, Badbakht hai wo shaks Jo Apne Maa Baap ko takleef dekar apni Jannat ganwa lete hain.

●════════════════════════◄►════════════════════════●

It was narrated from Mu'awiyah bin Jahimah As-Sulami, that Jahimah came to the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) and said: "O Messenger of Allah! I want to go out and fight (in Jihad) and I have come to ask your advice." He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Do you have a mother?" He said: "Yes." He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Then stay with her, for Paradise is beneath her feet."

[Sunan Nasai :: Vol 1 :: Book 25 :: Hadith 3106]

Urdu Translation: Hazrat Mu'awiyah bin Jahimah RadiyAllahu Anha farmati hain Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu khidmat Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam mein Hazir hue aur Arz kiya Ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam! Main ne Jihaad mein shirkat ka iradah karliya hai Aur Aap ki Khidmat mein Mashwarah karne ke liye Hazir hua hun, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya kya tumhari Walidah Sahiba Zinda hain? Unhone Arz kiya Ji Han, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya phir tum un ki Khidmat karo kyun ke Jannat un k Pao ke niche hai.

[Urdu Ref :: Sunan Nasai :: Vol.2 :: Hadith 1016]

●════════════════════════◄►════════════════════════●

Abu Darda Radi Allahu Anhu heard the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) say that: "The father is the middle door of Paradise (i.e. the best way to Paradise), so it is up to you whether you take advantage of it or not."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 33 :: Hadith 3663]

Urdu Translation: Hazrat Abu Darda Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k Unhone Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Farmate hue suna Walid Jannat ka darmiyani darwazah hain Ab tum is Darwaze ko zaye kardo ya is ki Hifazat karo.

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol.3 :: Hadith 544]


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Whoever takes the money of the people with the intention of repaying it, Allah will repay it on his behalf, and whoever takes it in order to spoil it, then Allah will spoil him."

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 41 :: Hadith 572]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Jo koi logon ka Maal Qarz ke tor par Ada karne ki Niyyat se leta hai to Allah Tala bhi us ki Taraf se Ada karega aur jo koi na dene ke liye le, to Allah Tala bhi us ko Tabah kardega.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 2387]

●◗► “Allah Tala us ki Taraf se ada kardenge” ka Matlab ye hai ke Allah Tala udhaar ki Adayegi mein us ki Madad farmayenge aur Agar Zindagi mein ada na kar saka to Aakhirat mein us ki Taraf se Ada farmadenge, “Allah Tala us ke maal ko Zaye kardenge” ka matlab ye hai ke buri Niyyat ki Wajah se use Jaani ya Maali Noqsan uthana padega.


●◗► Sacch hai Apne Boss ke Samne Jab koi jata hai to But ban jate hain Lekin Poori kayenat ke Malik ki Baargah mein khade hote hai to kharish ka doura padh jata hai, Astaghfirullah, Allah Muaaf kare, Apni Namazon mein Khushu o Khuzu (Aajizi, Skooon) paida kare,

⇨ "And stand before Allah , devoutly obedient".(Qur’an 2:238)
⇨ "Aur Khuda ke Aage Adab se khade raha karo".(Qur’an 2:238)

●══════════════════════◄►═════════════════════●

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "When the Adhan is pronounced Satan takes to his heels and passes wind with noise during his flight in order not to hear the Adhan. When the Adhan is completed he comes back and again takes to his heels when the Iqama is pronounced and after its completion he returns again till he whispers into the heart of the person (to divert his attention from his prayer) and makes him remember things which he does not recall to his mind before the prayer and that causes him to forget how much he has prayed."

[Sahih Bukhari :: Vol.1 :: Book 11 :: Hadith 582]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se rivayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jab Namaz ke liye azan di jati hai to Shaitan hawa kharij karta hua badi tezi ke saath peeth pher kar bhagta hai taki Azan ki aawaz na sun sakey aur jab azan khatam ho jati hai to phir wapas aa jata hai lekin jaise hi takbeer shuru hoti hai to phir peeth pher kar bhagta hai jab takbeer bhi khatam ho jati hai shaitan dobara Aajata hai aur namazi ke dil mein waswase dalta hai kahta hai ki fulah baat yaad kar fulah baat yaad kar un baaton ko shaitan yaad dilata hai jiska usey (namazi ko) khayal bhi na tha aur phir us shaksh ko ye bhi yaad nahi rahta ki kitni Rakatein parhi hain.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.1 :: Hadith 608]


●◗► Kisi ka zarf daikhna ho to use izzat do, kisi ki Fitrat daikhni ho to use Aazadi do, kisi ki khaslat daikhni ho to us ke sath khana khao, kisi ka Sabr daikhna ho us par tanqeed kar kar daikhlo, kisi ka khuloos daikhna ho to us se Mashwarah lelo, Magar ♥ Dusron ko daikhne ki bajaye apne Aap hi ko daikh lo to sab se Behtar hai ♥

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "BE MERCIFUL TO CHILDREN" ✦

Narrated Usama bin Zaid RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) used to put me on (one of) his thighs and put Al-Hasan bin `Ali on his other thigh, and then embrace us and say, "O Allah! Please be Merciful to them, as I am merciful to them.”

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 32]

Urdu Translation: Hazrat Usama bin Zaid RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam mujhe Apni Aik Raan par bithate the aur Hazrat Hasan RadiyAllahu Anhu ko Dusri Raan par bithalete the, phir Dono ko milate aur Farmate, Aye Allah! In dono par Rahem kar ke main bhi in par Rahem karta hun.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.7 :: Hadith 6003]


●◗► Qur'an aik Aisa daricha (khidki) hai Jis se ham Agli dunya ko daikh sakte hai, Afsos hai! Us ki zindagi par Jo Dunya main to Aaya Lekin Qur’an samjhe Bagair chala gaya.

⇨ "Indeed, We have sent down for you (O mankind) a Book, (the Quran) in which there is Dhikrukum, (your Reminder or an honour for you i.e. honour for the one who follows the teaching of the Quran and acts on its orders). Will you not then understand?."(Qur'an 21:10)

⇨ Urdu Translation: "Ham ne Tumhari taraf Aisi kitab Nazil ki hai Jis mein tumhara tazkerah hai, kya tum nahi Samajhte?”. (Qur’an 21:10)


●◗► Insan jab apne kaam mein Tajrube kaar hojata hai to us ke Retirement ka waqt Aajata hai aur Jab zindagi ki Samajh Aajati hai to us ke jane ka Waqt Hojata hai.

⇨ "Who has created death and life, that He may test you which of you is best in deed. And He is the All-Mighty, the Oft-Forgiving; (Qur'an 67:2)

⇨ Urdu Translation: “Usi ne Mout aur Zindagi ko paida kiya taake Tumhari Aazmayesh kare ke tum mein kon Acche Aml karta hai, Aur wo zabardast (aur) bakhshne wala hai”.(Qur’an 67:2)


✦ "Jhoot bolne wale par ALLAH TA'ALA ki Laanat hoti hai". (Qur'an 3:61) ✦

●◗► Jo log Fake Ladka hokar ladki ki id banakar ladkiyo ko aur ladko ko bewaqoof aur Gunah ka shikar bana rahe hai Aur gumraah kar rahe hai wo log Baaz aajaye koi daikhe ya na Daikhe Allah daikh raha hai.

◈➲ Aur meri pyari Bahno aap sab se meri Adaban Guzarish hai ke kisi ladke par bhi Aaitebar na karo aur na hi Chat, Apne gharelu halat se pareshan hokar jo bhi Pyaar se baat kare usi ko Hamdard samajh kar Aaitebar karleti hain aur apni Naadani mein Galat mardon ki hawas ka shikar ban jati hai, Astaghfirullah ◈➲

●══════════════════════◄►═════════════════════●

Narrated by Safwaan bin Sulaim (Razi Allah Anhu) The Messenger of Allah peace be upon him, was asked, 'Can the Believer be a Coward?' He peace be upon him said, 'Yes.' He was asked,'Can the Believer be a Miser He peace be upon him said, 'Yes.'He was asked, 'Can the Believer be a Liar?' He peace be upon him said, 'No.'

[Muwatta Imam Malik :: Book 56 :: Hadith 19]

Urdu Translation: Hazrat Safwaan bin Sulaim RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se pucha gaya ki kya Momin Buzdil ho sakta hai Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Farmaya Haan, phir pucha Gaya ki kya Momin Kanjus ho sakta hai Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Farmaya Haan, Phir Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Pucha Gaya kya Momin JHOOTA ho sakta hai Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Faramaya "Nahi".

[Urdu Ref :: Muwatta Imam Malik :: Hadith 2371]


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "DON'T ARGUE FOR THE SAKE OF ARGUING" ✦

Have you ever made an argue and without you realize, will impact to your beloved ones? Then just remember this Sunnah, and Stop Arguing for the sake of Arguing!

It's Narrated by 'Aisha (RadiyAllahu Anha) that The Prophet (SallAllahu Alaihi Wasallam) said, "The most hated person in the sight of Allâh is the most quarrelsome person."

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 43 :: Hadith 637]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya, Allah Tala ke yahan Sab se Zyadah Na’pasandidah wo Aadmi hai jo Sakht Jhagdalu ho.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.3 :: Hadith 2457]


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Ibn 'Umar narrated RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: Behold! A man is not alone with a woman but the third of them is Ash-Shaitan.

[Jami at- Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 7 :: Hadith 2165]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Khabardar! Koi shaks kisi Aourat ke sath Tanhayi na kare is liye ke un mein Teesra Shaitan hota hai.

[Urdu Ref :: Jamia Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 37]


●◗► Zindagi mein bulandi par pahoch kar ye mat bhulo ke jo Tumhen bulandiyo par le ja sakta hai wo Pasti mein lane ka Ekhtiyar bhi rakhta hai. Aur wo Sirf ♥ Allah ♥ Hai.

⇨ "Say (O Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam): "O Allah! Possessor of the kingdom, You give the kingdom to whom You will, and You take the kingdom from whom You will, and You endue with honour whom You will, and You humiliate whom You will. In Your Hand is the good. Verily, You are Able to do all things".(Qur’an 3:26)

⇨ Urdu Translation: "Aap kehdijiye Aye Allah! Aye Tamam Jahan ke Malik! Tu jise chahe Badshahi de Aur Jis se Chahe Saltanat Cheen le aur Tu jise Chahe Izzat de aur Jise chahe Zillat de, Tere hi Hath mein sub Bhalayyan hai, Beshak tu har cheez par Qadir hai".(Qur’an 3:26)

●◗► Haya daar Aakhen Mard ko Dusron se Mumtaz karti hain aur Zaahir karti hain ke ye Aik...

♥ Izzat daar Baap ka Beta,
♥ Gairat mand Bahen ka Bhai,
♥ Aur Ba’Haya Maa ka Beta hai.

......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Narrated Anas RadiyAllahu Anhu: The most frequent invocation of The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam was: "O Allah! Give to us in the world that which is good and in the Hereafter that which is good, and save us from the torment of the Fire." (Qur'an 2:201)

[Sahih Bukhari :: Vol 8 :: Book 75 :: Hadith 398]

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki Aksar ye dua hua karti thi: "Aye Allah hamen duniya main bhalayi (Hasnah) Ata kar aur Aakhirat mein Bhalayi Ata kar aur Hamein dozakh se bacha.(Qur'an 2:201)

[Urdu Ref :: Sahih Bukhair :: Vol.7 :: Hadith 6389]

●◗► Badi bhaari Ahem dua hai ke Dunya aur Deen har do ki kamyabi ke liye Dua ki gayi hai Balke Dunya ko Aakhirat par Moqaddam kiya gaya hai, is liye ke Dunya ke Sudhaar hi se Aakhirat ka Sudhaar hoga.





......................✿....... H A D E E S .......✿......................

It is related from Jaabir (RadiyAllahu Anhu) that he said: "I once saw Rasulullah (Sallallahu Alaihe Wasallam) on the night of a full moon. On that night he wore red clothing. At times I looked at the full moon and at times at Rasulullah (Sallallahu Alaihe Wasallam). Ultimately I came to the conclusion that Rasulullah (Sallallahu Alaihe Wasallam) was more handsome, beautiful and more radiant than the full moon."

[Shamail Tirmidhi :: Book 1 :: Hadith 9]

Urdu Translation: Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai wo Farmate hain ke Main aik Martaba Chaandni Raat mein Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ko daikh raha tha, Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam us waqt Surkh Joda Zaib-tan Farma the, Main kabhi Chand ko diakhta aur Kabhi Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko, Bila Aakhir main ne yehi Faisla kiya ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Chand se kahin zyada Jameel o Haseen aur Munawwar hain.

[Urdu Ref :: Shamail Tirmidhi :: Hadith 9]

★•.•´¯`•.••.•´¯`•.•★ ♥ SubhanAllah ♥ ★•.•´¯`•.••.•´¯`•.•★


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "SPREADING THE BEAUTIFUL TEACHING OF ISLAM" ✦

Narrated `Abdullah bin `Amr RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Convey (my teachings) to the people even if it were a single sentence, and tell others the stories of Bani Israel (which have been taught to you), for it is not sinful to do so. And whoever tells a lie on me intentionally, will surely take his place in the (Hell) Fire."

[Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 55 :: Hadith 667]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya mera Paigham logon tak pohchao! Agarche aik hi Aayat ho aur Bani Israel ke Waqiaat tum bayan kar sakte ho in mein koi harj nahi aur Jis ne Mujh par Qasadan Jhoot baandha to use Apne Jahannam ke thikane ke liye tayyar rehna chahiye.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.4 :: Hadith 3461]

●══════════════════════◄►═════════════════════●

Narrated Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu: That the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whoever calls to guidance, then he receives the reward similar to the reward of whoever follows him, without that diminishing anything from their rewards. And whoever calls to misguidance, then he receives of sin similar to the sins of those who followed him, without that diminishing anything from their sins."

[Jami at Tirmidhi :: Book 41 :: Hadith 30]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Jis ne Logon ko Hidayat ki taraf Bulaya us k liye us Raaste par chalne walon ki Misl sawab hai, Aur us se un k sawab mein se kuch bhi kum na hoga aur Jis ne Gunah ki Dawat di us k liye bhi utna Gunah hai Jitna us ki Itteba karne walon par aur us mein bhi un k Gunah mein koi kami nahi Aayegi.

[Urdu Ref :: Jami Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 569]
 

●◗► Muaaf karne ki Aadat aur Hosla paida karo ye to Allah ka karam hai ke us ne Insan ke Gunahon ki pardah poshi ki, Agar tumhare darmiyan aik Dusre ke Gunah zaahir hojate to tum Aik dusre ko Dafan bhi na karte.

.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

Abu Umamah (Radi Allahu Anhu) reported: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “If anyone loves for Allah's sake, hates for Allah's sake, gives for Allah's sake and withholds for Allah's sake, he will have perfect faith.”

[Sunan Abu Dawud :: Book 41 :: Hadith 4664]

Urdu Translation: Hazrat Abu Umamah Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Jis ne Allah Tala ki khatir Mohabbat ki, Allah ki Wajah se Nafrat ki aur Allah hi ki Khatir (Maal) diya aur Allah hi ki khatir (Maal) Roka to beshak us ne Iman Mukammal karliya.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawud :: Vol.3 :: Hadith 1254]


✦................♥ Khush Rehne ka Formula ♥................✦

◈ Shikwe Shikayat kum kijiye aur Allah ki un Nematon ke liye Shukriya ada kijiye jo Aap k paas hai, Apne Masayel ke bare mein kum sochen, Masayel ke hal ke liye puri koshish Karen, Natayej ke bare mein fikr mand na ho.

◈ Sirf itni zimmedariyan qabool karen jitni kar sakte hon, Apni taqat se zyada kaam lene se parhez kare, Apne liye bhi waqt nikale, Allah Tala se baten kare, Quran ki Tilawat aur Namazon ki pabandi karen.

◈ Apne ird gird ke logon aur Ghar walon ko khush rakhne ki koshish kijiye, Aap ko bhi khushi milegi, Dusron ki burayyon par Nazar mat rakhen aur Apni islah ki koshish karte rahen.


●◗► Saare Din sab ke liye acche aur Sab ke liye bure nahi hote, Na hi Allah har Insan ko har Qism ki tangi deta hai, Kuch chizon mein tangi hoti hai kuch mein Aasani.

◈➲ Insan pareshaniyon ki Ginti karne ka Ma'hir hai, Ne’maton ka Hisab kitab rakhna use hamesha Bhool jata hai ◈➲


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "DO NOT BE CRUEL TO ANIMAL (i.e. A CAT)" ✦

Narrated `Abdullah bin `Umar RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "A lady was punished because of a cat which she had imprisoned till it died. She entered the (Hell) Fire because of it, for she neither gave it food nor water as she had imprisoned it, nor set it free to eat from the vermin of the earth."

[Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 55 :: Hadith 689]

Urdu Translation: Hazrat `Abdullah bin `Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya ke (Bani Israil ki) Aik Aourat ko aik Billi ki wajah se Azab diya gaya tha Jise usne Qaid kar rakha tha Jis se wo Billi margayi thi aur us ki saza mein wo Aourat dozakh mein gayi, Jab wo Aourat Billi ko baandhe hue thi to us ne use khane ke liye koi cheez na di, Na pine ke liye aur na us ne Billi ko chhora hi ke wo zameen ke keede makode hi kha leti.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 3482]


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Narrated `Abdullah bin `Amr RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said. "It is one of the greatest sins that a man should curse his parents." It was asked (by the people), "O Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam)! How does a man curse his parents?" The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "'The man abuses the father of another man and the latter abuses the father of the former and abuses his mother."

[Sahih Bukhari :: Volume 8 :: Book 73 :: Hadith 4]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin 'Amr RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Yaqinan sab se bade Gunaho mein se ye hai ke koi Shaks apne Waldain par La’nat bhaije pucha gaya ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam! Koi Shaks apne hi Waldain par kaise La’nat bhejega? Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya ke wo Shaks Dusre ke Baap ko bura bhala kahega to Dusra bhi us ke Baap ko aur us ki Maa ko bura bhala kahega.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.7 :: Hadith 5973]

Sunday, 8 December 2013

✦........♥ Parents Are The Best Example For Their Children ♥........✦

●◗► Treat Your Children Fairly So That They Can Treat Their Future Children Fairly ! And Good Parents Are The Best Example For Their Children !

◈➲ Beta Baap ko daikh kar us ke Naqshe Qadam par chalta hai na ke us ki Nasihat par aur Tumhari Aoulad wo Nahi Sikhegi Jo tum kehte ho Balke wo karegi jo Tum log khud karte ho, Aur Acche Waldain apni Aoulad ke liye Behtareen Misaal hai ◈➲


......x :( Khud ke Ghar ki Izzat Tujhe Izzat Nazar Aayi Afsos :( x......

◗► Jab Tumhari Bahen kisi ladke ko apna BOY FRIEND banati hai, To aap ko kitna gussa Aata hai? Aap us ladke ko maarne tak ki dhamki bhi de dete ho.

Lekin jab tum kisi ladki ko GIRL FRIEND banate ho to tum logo ko sharm nahi aati? Kya wo kisi ki beti nahi? Kya wo kisi ki bahen nahi? Kaan kholkar sunlo, Girl friend aur Boy friend, Aik khula Sex Zina ka bazaar hai.

Tum log apne ghar ki izzat sochte ho, Dusro ke ghar ki izzat ki tum logo ko koyi parwaah nahi, Ye sab Islam mein galat hai, Pehle nikaah fir baad mein pyaar, Agar koyi ladka ya ladki is galat kaam ko karte paaye jaaye to aap unke ghar par shikayat karo, Ye koyi choghli nahi.

Agar zyada hi gf bf banane ka shauk ho to, Yahoodi ya christian Name Rakhlo Apna, Kam se kam Islam ko log bura to nahi kahenge na.

Remember: Tum Kisiki Bahen Ko Gf banate ho to Yaad Rakho, Mere Rab Azzwajal Ka Qanun Hai: Khabees Aourten khabees mardon ke layeq hain aur Khabees mard khabees Aourton ke layeq hain aur paak Aourten paak Mardon ke layeq hain aur paak Mard paak Aourton ke layeq hain.(Qur’an 24:26)



......................✿....... H A D E E S .......✿......................

✦ Kamil Iman Wala wo hain Jo Behtareen Akhlaq Wala ho ✦

Narrated Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: The most perfect believer in respect of faith is he who is best of them in manners.

[Sunan Abu Dawud :: Book 41 :: Hadith 4665]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alalhi Wasallam ne Farmaya ke Musalmano mein Iman ke Aaitebar se sab se Kamil shaks un mein Behtareen Akhlaq wala hai.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawud :: Vol.3 :: Hadith 1256]



::✦ Safar Al-Muzaffar Maah Safar Kamyabi ka Mahina hai na k Manhoos ✦::

Safar Al Muzaffar qamri saal ka Dusra mahina hai Jo Moharram ke baad Aata hai baaz na’waqif log Maah safar ke bare mein yun zuban darazi karte hain ke Maah safar Manhoos hai isi liye Baaz log Km ilmi mein Maah safar mein Shadi biyah, pur Masarrat Taqareeb, Dukan ya Makan ki Iftetah wagerah karne se Gurez (parhaiz) karte hain aur yun kaha karte hain ke Safar ki Shadi safar hoti hai.

Halan ke Islam mein koi Mahina aisa nahi hai Jo Apne andar is Qism ke Aaib o Burayyan rakhe, Saal ka Har Mahina Allah hi ka Paida kiya hua hai, Aur Allah ki paida ki hui Chizon ko Manhoos samajhna Aur manhoos kehna Yaqinan bura Aqidah aur Zuban darazi hai.

✦...............x Tera Tezi x……….......✦

Mahe Safar ki 13 Tareeq baaz ilaqon mein Jahilon ke nazdeek bahot ahmiyat dete hain, Umuman Aourten Maah safar ki 12 tareeq ki raat ko apne sarhane Andhe (Egg) Tail, Maash ki daal, Wagerah rahte hain, aur 13 tareeq ki Subah Faqiron mein sadqa karte hain, Hyderbaad ke Mukhtalif Muslim Mohallo mein 13 ko Fajar se Qabl hi faqeeron ki zubanon se ye jumla sunne ko milta hai “Aaj tera tezi ka roz” Jahilon ka ye Aqidah hai ki 13 tareeq ko kasrat se balayen utarti hain in balao ko taalne ki khatir Mokhtalif chizen sadqah ki jati hain, Islam mein is qism ke wahem ki koi Gunjayesh nahi hai, ye kisi dusre Mazhab ki Cheez hai Jis ko jihalat se Daakhile Islam kiya gaya.

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "There is no 'Adha, nor Tiyara, nor Hama, nor Safar."

[Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Book 71 :: Hadith 653]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya ke Marz ka aik se Dusre ko lag jana, Bad shuguni ya Ullu ya Safar ki Nahusat ye koi Cheez nahi hai.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.7 :: Hadith 5757]



✦REVIVE A SUNNAH ⇨ "PERSISTENCE ON A RIGHTEOUS ACTION EVEN IF SMALL"✦

NEVER THINK... "It’s just a SMALL good deed"! Rather.. "DO" that good deed!

Narrated `Aisha RadiyAllahu Anha: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) was asked, "What deeds are loved most by Allah?" He said, "The most regular constant deeds even though they may be few." He added, 'Don't take upon yourselves, except the deeds which are within your ability."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 76 :: Hadith 472]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha gaya konsa Aml Allah ke nazdeek zyadah pasandidah hai? Farmaya Jis par Hameshgi ki jaye, Khwah wo thodi hi ho aur Farmaya Naik kaam karne mein itni hi takleef uthao Jitni taqat hai (Jo hamesha nibha sake).

[Urdu Ref :: Sahih Bukhair :: Vol.7 :: Hadith 6565]

●◗► Hameshgi ki Jaye - Wo Aml jo Hamesha kiya jaye.


✦............x Kal Aur Aaj x............✦

◗► Kal tak log hamsaye ki pehle khabar rakhte the, Aaj TV mein sare jahan ki khabar sunte hain lekin hamsaye ki khabar nahi. :(

◗► Kal tak wasayel nahi the logon ke paas waqt tha, Aaj jadeed Sahulaton ke bawajood hamare paas waqt nahi hai. :(

◗► Kal tak munafiqat aur khud garzi bada jurm samjha jata tha, Aaj har shaks mein yahi do Halakaten sab se zyada hain. :(


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Abu Dharr RadiyAllahu Anhu reported: It was said to Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam): What is your opinion about the person who has done good deeds and the people praise him? He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: It is glad tidings for a believer (which he has received in this mortal world).

[Sahih Muslim :: Book 32 :: Hadith 6388]

Urdu Translation: Hazrat Abuzar RadiyAllahu Anhu se riwayat hai RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se Arz kiya gaya Aap kya farmate hain us shaks ke bare mein jo Acche Aa'mal karta hai aur log us ki Tareef karte hain Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya ye Momin ki Fori Khushkhabri hai (Yani Aakhirat mein jo sawab aur Ajr hai wo to alag hai ye Dunya hi mein Khushi hai us ke liye ke log us ki Tareef karte hain).

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.6 :: Hadith 6721]

●◗► Ye baat aur hai ke Har Naik Aml sirf Allah ke liye ho Naam o Namood Riyakari (Dikhawa) na ho Warna sara kiya dhara mitti mein Mil jayega Aur Takabbru mein na pad jana, Allah Tala takabbur karne walon aur shaikhi khoron (badai karne) ko pasand nahi farmata. (Qur'an 4:36)


●◗► "Hamari Tabahi ki Wajah koi aur Nahi ham khud hain Kyun ke Ham shari’at Apnane main Sharm aur Dunya Apnane main Fakhar Mahsoos karte hain, “Kamyabi Deen main hai Aur ham ise Dunya main Dhoondte hain".

•► Deen apna lijiye Apni Zindagi ke har pahlu mein Deen ke Mutabiq Zindagi guzare Dunya o Aakhirat mein kamyabi ka Raaz isi mein hai, Deen ka ilm khud bhi Hasil kare aur Dusron ko is ki Taleem de.

◈➲ Aur ye Baat Hamesha yaad Rakhe: Deen ka kaam karte huwe koi wah wah kare to khush na hon, Deen ka kaam karte huwe koi bura bhala kahe to ranj na hon ◈➲


●◗► "Apni shakal par kaisa fakhr, ye tune khud to nahi banayi, Naa’hi Apni zaat aur Nasab par fakhr Jo tu ne khud Ekhtiyar nahi ki, Haan! Tera apne Akhlaq par Fakhr karna banta hai ke ye Tera apna Banaya hua hai". :-)




✦...♥ Aik Aaib to Tumne dhoondliya Khubiyan Nazar na Aayi kabhi ♥...✦

Aik buzurg se kisi shaks ne apni “Biwi” ka Aaib bayan kiya to unhone pucha
Tumhara dhobi kon hai? Bola “Biwi”, Tumhara bawarchi kon hai? Bola “Biwi”,
Ghar aur Maal ka chokidaar kon hai? Bola “Biwi” Apne Maa Baap ka ghar baar choordkar ke Umar bhar ke liye tumhara sathi kon bana hai? Bola “Biwi”,

Pareshani aur Gham mein tumhari dil joyi kon karta hai? Bola “Biwi”, Jab tum bimar hote ho to tumhari Timaardari kon karta hai? Bola “Biwi”, Buzurg ne pucha ke kya tumhari “Biwi” in sab kamon ki Ujrat mangti hai tum se? Bola “Nahi”, ◈➲ Buzurg ne farmaya Aik Aaib to tum ne fori dhoondliya “Biwi” mein lekin khubhiyan kabhi nazar nahi Aayin? ◈➲

●══════════════════════◄►═════════════════════●

●◗► "Jo Mard Aourat ki Adna kamzoriyon ko muaaf nahi karta, wo us ki khubiyon se bhi Mustafeed nahi ho sakta".

Ab Huraira (Allah be pleased with him) reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: A believing man should not hate a believing woman; if he dislikes one of her characteristics, he will be pleased with another.

[Sahih Muslim :: Book 8 :: Hadith 3469]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Koi bhi Momin Shohar Apni Momin biwi se Nafrat na kare, Agar biwi ki koi Aadat shohar ko Napasand ho to us ki koi dusri khubi o Aadat use pasand bhi hogi.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.4 :: Hadith 3645]

●◗► “Your eyes are like a video camera recording all that you see. Your lips are like a voice recorder recording all that you say. So careful, cause they’ll be playing on big screen on JUDGEMENT DAY.”. Be careful…!!

⇨ "Verily! The hearing, and the sight, and the heart, of each of those you will be questioned (by Allah)."(Qur’an 17:36)

⇨ "On the Day when their tongues, their hands, and their legs or feet will bear witness against them as to what they used to do." (Qur’an 24:24)



......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Aisha Radiyallahu Anha relates that the speech of Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam was not quick and continuous as that of yours. He spoke clearly, word for word. A person sitting in his company remembered what he said.

[Shama’il Tirmizi :: Book 33 :: Hadith 213]

Urdu Translation: Hazrat Aisha Radiyallahu Anha Farmati hain ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ki Guftagu tum logon ki tarah lagataar Jaldi Jaldi nahi hoti thi, Balke saaf saaf har Mazmoon doosre se Mumtaaz hota tha paas baithne wale Acchi tarah se zahen Nasheen kar lete the.

[Urdu Ref :: Shama’il Tirmizi :: Hadith 211]



✦.............x Social Media se Anti-Social na Banen! x.............✦

●◗► Maahirin nafsiyat o samajiyat ka kehna hai ke Social Media ka had se zyada istemal logon (bilkhusus Nojawano aur No umr ladke ladkiyon) ko Anti-Social bana raha hai, in mein ► Neend ki kami, be khudi, Depression, chidchida pan, Sukoon ka khatema, Haqiqi mu’ashre se kinara kashi, Gair samaji rawayye, Najayez talluqat, aur Taleemi Aouqat ko Zaye jaise masayel paida ho rahe hain.

Social Media ke is khatarnaak asraat se bachne ke liye Social Network sites par Mahdood waqt guzaren ✿ Namazo ki pabandi karen, Waldain, Bahen bhai biwi Bacche, Rishtedar, Dost Ahbab, Ahle Mahella aur pados ko bhar poor waqt dekar apne Social hone ka Saboot de ✿


••••► ==>Feel Free To Tag/Share

Surely,الله Will Give The Reward For Spreading Righteousness.

Share this as Sadqa-E-Jariya (everlasting charity). if someone acts on any of this information, you will be benefited too INSHAALLAH.


✦..♥ Betiyan to sab ki Betiyan hoti hain ye Hamari aur Tumhari nahi Hoti ♥..✦

♥ Maa ke Dil ka sukoon, Baap ke dil ki Dhadkan hoti hain Betiyan, Dunya mein chahaton ki Behtareen surat hoti hain betiyan, Betiyan to Rehmat hoti hain ♥

✦ Beti ka Naam jab bhi zuban par aata hai Dil main aik lateef sa Mohabbat ka jazba jaagta hai, Apni beti k liye dua ho ya dusron ki beti ke liye dua ho yahi Dua dil se nikalti hai ke Allah sab ki Betiyon ko khush rakhe, ye Mahekti kaliya apne chaman ki ho ya dusron ke chaman ki pyaari lagti hain Dua hai ye sada Mahekti rahen.

★•.•´¯`•.•★ A A M E E N ★•.•´¯`•.•★

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "WORK FOR YOUR PROVISION LIKE THE BIRDS DO" ✦

♥ If Muslims work for their provision like the birds do, then Allah will provide ♥

Umar ibn Al-Khattab (Radi Allahu Anhu) reported: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, “If you were to rely upon Allah with reliance due to Him, then He would provide for you just as He provides for the birds. They go out in the morning with empty stomachs but return full.”

[Jami At-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2344]

Urdu Translation: Hazrat Umar bin khattab Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Agar tum Allah par is tarah bharosa karo Jis tarah Tawakkul karne ka Haq hai to wo Tumhen us tarah Rizq dega jis tarah parindon ko Rizq deta hai Subah ko wo bhuke nikalte hain aur shaam ko pait bhar kar wapas Aate hain.

[Urdu Ref :: Jami At-Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 225]


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

✦ Uske gunaah bakhsh diye Jaate hain chahe Samandar ke Jhaag ke Barabar kyu Na ho ✦

Abu Huraira reported Allah's Messenger Sallallahu Alaihi Wasallam as saying: If anyone extols Allah (Say SubhanAllah) after every prayer thirty-three times, and praises Allah (Say Alhamdulillah) thirty-three times, and declares His Greatness (Say Allahu Akbar) thirty-three times, ninety-nine times in all, and says to complete a hundred:

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَىْءٍ قَدِيرٌ

La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu lahu Almulk wa lahu Al-hamd,
wa huwa Ala kulli shay in qadir. ("There is no god but Allah, having no partner with Him, to Him belongs sovereignty and to Him is praise due, and He is Potent over everything,") his sins will be forgiven even If these are as abundant as the foam of the sea.

[Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 1243]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ki RasoollAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya jo har Namaz ke baad 33 baar SubhanAllah, 33 baar Alhamdulillah aur 33 baar Allahu Akbar kahe to ye 99 kalmey honge aur usko ye kahkar 100 kar le

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَىْءٍ قَدِيرٌ

La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu lahu Almulk wa lahu Al-hamd,
wa huwa Ala kulli shay in qadir. (Yani koi Mabood Ibadat ke layeq nahi Magar Allah, Akela hai wo us ka koi Shareek nahi usi ki hai Saltanat aur usi ke liye sab Tareef aur wo har Cheez par Qadir hai) to uske gunaah bakhsh diye jaatey hain chahey samandar ke Jhaag ke barabar kyu na ho.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.2 :: Hadith 1352]

✦.........♥ Khud bhi Nazar Jhukalen Ham se hi Jang kyun hai  ♥.........✦

Har koi ye kehta hai Chahe wo Fb par ho ya phir Apni Roz Marrah ki Zindagi mein ho ke Aourat ko parda karna chahiye Jaise ke Mard Paak o Shaffaf hai Jaise sare jahan ki Haya isi main samait aayi ho, ye Baat yaad Rakhe Aourat se Pehle Allah ne Mard ko Apni Nazron ko Nichi rakhne ka Hukm diya hai (Qur’an 24:30) Phir Aourat ko (Qur’an 24:31).

●◗► Agar is Zamane mein Ladka chahe kitna bhi Bura kyu na banjaye us ki sari Burayyon ko pashe pusht kardiya jata hai Lekin agar Wahi ladki Agar choti si chahe wo Anjane mein ki ho ya Jaan boojh kar ki ho to sare’aam use badnam kiya jata hai, Afsos sd Afsos Aise mardo par Jo Apni Galati ko Galati na Samjhe.

◈➲ Hawwa ki Beti Haya se Tang kyun hai? Saadgi ki jage pe ada hi sang kyun hai, Numayesh kyun hogayi hai Aabru se badh kar, Baal khule hain kyun, kar libas tang kyun hai, Maqsad hai gar chupana, to jhalak kyun de rahe hain, Chehra niqab piche, Aankhon pe nang kyun hai, Jach raha hai lekin faraib hai guzarta, Jism pe Jism sa pehna koi rang kyun hai ◈ Us k Ash’aar sun kar wo barhami se bole, Khud bhi Nazar Jhukalen ham se hi Jang kyun hai ◈➲

⇨ "Tell the believing men to lower their gaze (from looking at forbidden things), and protect their private parts (from illegal sexual acts, etc.). That is purer for them. Verily, Allah is All-Aware of what they do".(Qur'an 24:30).


♥ Allah ♥ Par Bharosa Rakho is Bacche ki tarah jis ko Agar hawa mein uchalo to wo Hansta hai Darta nahi kyun ke wo Janta hai ke Mujhe pyaar karne wala kabhi Girne nahi dega.







✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "FLEXIBILITY IN BUYING AND SELLING" ✦

Narrated Jabir bin `Abdullah Radi Allahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "May Allah's mercy be on him who is lenient in his buying, selling, and in demanding back his money."

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 34 :: Hadith 290]

Urdu Translation: Hazrat Jaabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Allah Tala aise shaks par Rahem kare jo Baichte waqt aur Khareedte waqt aur Taqaza karte waqt Fayazi aur narmi se kaam leta hai.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.3 :: Hadith 2076]


✦....♥ "Meri Pyari Bahno" Pehle Qadam par hi Apne Aap ko Rok Lijiye ♥....✦

●◗► Khawateen Phone par baat mokhtasar karne ki Aadat dalen, is ka Talluq bande ki Aadat ke sath hai, Kayi Aourton ko Aadat hoti hai ke bus Phone ke oophar be Maqsad Guftagu Shuru kardeti hain, Aur Agar Doosri taraf koi Gair Mahram Mard hai to apne Lehje ke andar Sakhti rakhe.

⇨ "Allah Tala Farmate hai: Yani Tumhain Gair Mahram se Gufatagu karni pd Jaye to apne Lehje Main Loch mat paida karo. (Qur’an 33:32)

◈➲ Aaj kal to ye hota hai ke Agar Mard Gair Mahram hai to aisi meethi ban ke Baat karengi ke jaise sare jahan ki Mithaas isi main samait aayi ho, Shari’at main is ko Haram kaha gaya ◈➲

★ Aik usool sunle, "Hamesha baat se baat badhti hai", Pehle Insan baat karta hai aur baat karne k baad Mulaqat ka Darwaza khulta hai, Is ki Daleel Quran se Milti hai. Aik Laakh 25 Hazar Paigambar A.S aaye Lekin in main se kisi ne Allah Tala ko daikhne ki khuahesh ka Izhar nahi kiya, Siwaye Hazrat Musa A.S ke Jinhone kaha. Aye Allah main aap ko Daikhna chahta hun.(Qur’an 7:143) Mufassireen ne likha hai ke is liye ke wo kaleem ulla the, Allah se Guftagu karte the, Jab koi Guftagu karta hai to Phir Agla Qadam Mutakallim se Mulaqat karne ko ji Chahta hai, to yaha se maloom hua ke... "Phone par Jab Aap Baat badhayengi to phir Agla qadam Gunah ki taraf jayega, Isliye pehle Qadam par hi apne aap ko rok lijiye".

✦..........♥ Khud ko Badle Zamana Khud Badal Jayega ♥..........✦

●◗► Khuda ke Deen ko saare Aalam mein Gaalib karne ka Champion har aadmi bana hua hai, Khuda ke Deen ko apni Zaat mein Gaalib karne ki Fursat kisi ko Nahi.

◈➲ Jo waqt dusron pe Tanqeed karne mein guzarte hain wahi waqt khud ko Sanwarne mein guzaren, kisi ko Badalna Ekhtiyar mein nahi lekin khud ko badalna Aap ke Ekhtiyar mein hai,  Dunya ko na badle khud ko Badle sab Badal jayega ◈➲


¸.•´¸.•*¨) ¸♥.•*¨) (¸.•´¸♥➷♥¸.•´♥¸.•´♥¸.•*¨)♥.•*¨)¸.•*♥¸.•´¸.•*¨)¸.•*♥
True love is from the one who helps you attain Jannah (together); not the one who holds your hand, smiling at you as you walk towards Hell.
¸.•´¸.•*¨) ¸♥.•*¨) (¸.•´¸♥➷♥¸.•´♥¸.•´♥¸.•*¨)♥.•*¨)¸.•*♥¸.•´¸.•*¨)¸.•*♥

"Our Lord, grant us from among our wives and offspring comfort to our eyes and make us an example for the righteous." Aameen

(Du'aa from Surah Al Furqan :: 25:74)




✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "DO NOT MAKE YOUR HEART FAR FROM ALLAH" ✦

Mention Allah often because the hard heart is the furthest from Allah!

Ibn 'Umar Radi Allahu Anhu Narrated that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Do not talk too much without remembrance of Allah. Indeed excessive talking without remembrance of Allah hardens the heart. And indeed the furthest of people from Allah is the harsh-hearted."

[Jami At-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2411]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Umar Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Zikr-e-ilahi ke Alawah kasrat kalam se parheiz karo kyun ke is se Dil sakht hojata hai aur sakht Dil wala Allah Tala se bahot door rehta hai.

[Urdu Ref :: Jami At-Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 298]



✦ ♥ Pyare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke Aa’za ka Tazkera Qur'an Majeed Mein ♥ ✦

◗► Chehra Mubarak:

 قَدۡ نَرَىٰ تَقَلُّبَ وَجۡهِكَ
Aur ham Aap ke chehre ko Aasman ki taraf uthte hue daikh rahe hain. (Qur’an 2:144)

◗► Aankhe Mubarak:

 وَلَا تَمُدَّنَّ عَيۡنَيۡكَ
Aur Apni Aakhen hargiz un chizon ki taraf na doudana. (Qur’an 20:131)

◗► Zuban Mubarak:

فَإِنَّمَا يَسَّرۡنَـٰهُ بِلِسَانِكَ
Aur ham ne is Quran ko aap ki zuban mein bahot hi aasan kardiya. (Qur’an 19:97)

◗► Hath o Gardan Mubarak: 

وَلَا تَجۡعَلۡ يَدَكَ مَغۡلُولَةً إِلَىٰ عُنُقِكَ
Apna hath apni gardan se bandha hua na rakhiye. (Qur’an 17:29)

◗► Sina aur Pusht:

 أَلَمۡ نَشۡرَحۡ لَكَ صَدۡرَكَ  وَوَضَعۡنَا عَنكَ وِزۡرَكَ  ٱلَّذِىٓ أَنقَضَ ظَهۡرَكَ
kya ham ne aap ka sina nahi khol diya aur tum par se tumhara bojh ham ne utardiya Jis ne aap ki peeth tod rakhi thi. (Qur’an 94:1 to 3)

◗► Dil (Qlbe Athar):

 نَزَلَ بِهِ ٱلرُّوحُ ٱلۡأَمِينُ عَلَىٰ قَلۡبِكَ
Ise Amanat daar farishte ke zariye Aap ke dil par utara hai. (Qur’an 26:193)


★•.•´¯`•.•★ ♥ S U B H A N A L L A H ♥ ★•.•´¯`•.•★



......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Narrated Sa'id ibn Zayd Radi Allahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: The most prevalent kind of usury is going to lengths in talking unjustly against a Muslim's honour.

[Sunan Abu Dawood :: Book 42 :: Hadith 4858]

Urdu Translation: Hazrat Sa’id ibn Zayd Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallm ne Farmaya ke Sab se bada Sood ye hai ke Musalman ki izzat o Aabru par Na’haq zuban Ta’n ko daraz kiya jaye.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.3 :: Hadith 1448]

●◗► Yani Ke "Musalman ki Nahaq be Izzati karna Sood khane se bhi Bada Gunah hai.



✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "MAKE YOUR CHARACTER GOOD & GET YOUR FREE HOUSE IN HIGHEST PART OF JANNAH" ✦

Narrated AbuUmamah Radi Allahu Anhu: The Prophet (peace_be_upon_him) said: I guarantee a house in the surroundings of Paradise for a man who avoids quarrelling even if he were in the right, a house in the middle of Paradise for a man who avoids lying even if he were joking, and a house in the UPPER PART of PARADISE for a man who made his CHARACTER GOOD.

[Sunan Abu Dawood :: Book 42 :: Hadith 4782]

Urdu Translation: Hazrat AbuUmamah Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi (Sallallahu 'Alaihi Wa Sallam) ne Farmaya: Main us shaksh ko Jannat ke kinaron par Aik Mahel dilwane ka Zamin hun jo haq par hone ke bawajood jhagda Chorde, aur us shaksh ke liye Jannat ke darmiyan main Aik mahel ka Zamin hun jo mazakh main bhi jhoot bolna Chorde, aur us shaksh ke liye Aa’la Jannat main aik mahel ka Zamin hun jo Apne Akhlaq ko umdah banale.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.3 :: Hadith 1372]

••► Did u do an advance booking for your Home in Jannah with your Good Deeds? Hurry, before it is too late !!!


✦........♥ Har Haal Mein Alhamdulillah Kehna Sikhe ♥........✦

●◗► Aik shaks ne Khoobsurat Mahel ki taraf daikhte hue apne dost se pucha Jab in logon ki Qismat mein doulat likhi ja rahi thi tab ham kaha the.

Dost us shaks ko pakad kar Hospital legaya aur Marizon ki taraf isharah karte hue pucha Jab in logon ki Qismat mein bimariyan aur Takleefen likhi ja rahi thi tab ham kaha the.



......................✿....... H A D E E S .......✿......................

★ Many of our Muslim Brothers do this , Share this Hadees ★

Narrated Thabit bin Ad-Dahhak Radi Allahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said,“Cursing a believer is like murdering him;”.

[Sahih Bukhari :: Vol 8 :: Book 78 :: Hadith 647]

Urdu Translation: Hazrat Sabit bin Dahhak Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya "Momin par La’anat karna us ko Qatl karne ke barabar hai".

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol 8 :: Hadith 6652]