Sunday 22 December 2013


●◗► Allah ne Maa jaisi hasti ko Takhleeq kar ke Jannat ka husool Aasan banadiya hai aur Maa Baap ki Raza mein apni Raza shamil kardi, Badbakht hai wo shaks Jo Apne Maa Baap ko takleef dekar apni Jannat ganwa lete hain.

●════════════════════════◄►════════════════════════●

It was narrated from Mu'awiyah bin Jahimah As-Sulami, that Jahimah came to the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) and said: "O Messenger of Allah! I want to go out and fight (in Jihad) and I have come to ask your advice." He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Do you have a mother?" He said: "Yes." He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Then stay with her, for Paradise is beneath her feet."

[Sunan Nasai :: Vol 1 :: Book 25 :: Hadith 3106]

Urdu Translation: Hazrat Mu'awiyah bin Jahimah RadiyAllahu Anha farmati hain Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu khidmat Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam mein Hazir hue aur Arz kiya Ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam! Main ne Jihaad mein shirkat ka iradah karliya hai Aur Aap ki Khidmat mein Mashwarah karne ke liye Hazir hua hun, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya kya tumhari Walidah Sahiba Zinda hain? Unhone Arz kiya Ji Han, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya phir tum un ki Khidmat karo kyun ke Jannat un k Pao ke niche hai.

[Urdu Ref :: Sunan Nasai :: Vol.2 :: Hadith 1016]

●════════════════════════◄►════════════════════════●

Abu Darda Radi Allahu Anhu heard the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) say that: "The father is the middle door of Paradise (i.e. the best way to Paradise), so it is up to you whether you take advantage of it or not."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 33 :: Hadith 3663]

Urdu Translation: Hazrat Abu Darda Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k Unhone Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Farmate hue suna Walid Jannat ka darmiyani darwazah hain Ab tum is Darwaze ko zaye kardo ya is ki Hifazat karo.

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol.3 :: Hadith 544]


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Whoever takes the money of the people with the intention of repaying it, Allah will repay it on his behalf, and whoever takes it in order to spoil it, then Allah will spoil him."

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 41 :: Hadith 572]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Jo koi logon ka Maal Qarz ke tor par Ada karne ki Niyyat se leta hai to Allah Tala bhi us ki Taraf se Ada karega aur jo koi na dene ke liye le, to Allah Tala bhi us ko Tabah kardega.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 2387]

●◗► “Allah Tala us ki Taraf se ada kardenge” ka Matlab ye hai ke Allah Tala udhaar ki Adayegi mein us ki Madad farmayenge aur Agar Zindagi mein ada na kar saka to Aakhirat mein us ki Taraf se Ada farmadenge, “Allah Tala us ke maal ko Zaye kardenge” ka matlab ye hai ke buri Niyyat ki Wajah se use Jaani ya Maali Noqsan uthana padega.


●◗► Sacch hai Apne Boss ke Samne Jab koi jata hai to But ban jate hain Lekin Poori kayenat ke Malik ki Baargah mein khade hote hai to kharish ka doura padh jata hai, Astaghfirullah, Allah Muaaf kare, Apni Namazon mein Khushu o Khuzu (Aajizi, Skooon) paida kare,

⇨ "And stand before Allah , devoutly obedient".(Qur’an 2:238)
⇨ "Aur Khuda ke Aage Adab se khade raha karo".(Qur’an 2:238)

●══════════════════════◄►═════════════════════●

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "When the Adhan is pronounced Satan takes to his heels and passes wind with noise during his flight in order not to hear the Adhan. When the Adhan is completed he comes back and again takes to his heels when the Iqama is pronounced and after its completion he returns again till he whispers into the heart of the person (to divert his attention from his prayer) and makes him remember things which he does not recall to his mind before the prayer and that causes him to forget how much he has prayed."

[Sahih Bukhari :: Vol.1 :: Book 11 :: Hadith 582]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se rivayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jab Namaz ke liye azan di jati hai to Shaitan hawa kharij karta hua badi tezi ke saath peeth pher kar bhagta hai taki Azan ki aawaz na sun sakey aur jab azan khatam ho jati hai to phir wapas aa jata hai lekin jaise hi takbeer shuru hoti hai to phir peeth pher kar bhagta hai jab takbeer bhi khatam ho jati hai shaitan dobara Aajata hai aur namazi ke dil mein waswase dalta hai kahta hai ki fulah baat yaad kar fulah baat yaad kar un baaton ko shaitan yaad dilata hai jiska usey (namazi ko) khayal bhi na tha aur phir us shaksh ko ye bhi yaad nahi rahta ki kitni Rakatein parhi hain.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.1 :: Hadith 608]


●◗► Kisi ka zarf daikhna ho to use izzat do, kisi ki Fitrat daikhni ho to use Aazadi do, kisi ki khaslat daikhni ho to us ke sath khana khao, kisi ka Sabr daikhna ho us par tanqeed kar kar daikhlo, kisi ka khuloos daikhna ho to us se Mashwarah lelo, Magar ♥ Dusron ko daikhne ki bajaye apne Aap hi ko daikh lo to sab se Behtar hai ♥

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "BE MERCIFUL TO CHILDREN" ✦

Narrated Usama bin Zaid RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) used to put me on (one of) his thighs and put Al-Hasan bin `Ali on his other thigh, and then embrace us and say, "O Allah! Please be Merciful to them, as I am merciful to them.”

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 32]

Urdu Translation: Hazrat Usama bin Zaid RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam mujhe Apni Aik Raan par bithate the aur Hazrat Hasan RadiyAllahu Anhu ko Dusri Raan par bithalete the, phir Dono ko milate aur Farmate, Aye Allah! In dono par Rahem kar ke main bhi in par Rahem karta hun.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.7 :: Hadith 6003]


●◗► Qur'an aik Aisa daricha (khidki) hai Jis se ham Agli dunya ko daikh sakte hai, Afsos hai! Us ki zindagi par Jo Dunya main to Aaya Lekin Qur’an samjhe Bagair chala gaya.

⇨ "Indeed, We have sent down for you (O mankind) a Book, (the Quran) in which there is Dhikrukum, (your Reminder or an honour for you i.e. honour for the one who follows the teaching of the Quran and acts on its orders). Will you not then understand?."(Qur'an 21:10)

⇨ Urdu Translation: "Ham ne Tumhari taraf Aisi kitab Nazil ki hai Jis mein tumhara tazkerah hai, kya tum nahi Samajhte?”. (Qur’an 21:10)


●◗► Insan jab apne kaam mein Tajrube kaar hojata hai to us ke Retirement ka waqt Aajata hai aur Jab zindagi ki Samajh Aajati hai to us ke jane ka Waqt Hojata hai.

⇨ "Who has created death and life, that He may test you which of you is best in deed. And He is the All-Mighty, the Oft-Forgiving; (Qur'an 67:2)

⇨ Urdu Translation: “Usi ne Mout aur Zindagi ko paida kiya taake Tumhari Aazmayesh kare ke tum mein kon Acche Aml karta hai, Aur wo zabardast (aur) bakhshne wala hai”.(Qur’an 67:2)


✦ "Jhoot bolne wale par ALLAH TA'ALA ki Laanat hoti hai". (Qur'an 3:61) ✦

●◗► Jo log Fake Ladka hokar ladki ki id banakar ladkiyo ko aur ladko ko bewaqoof aur Gunah ka shikar bana rahe hai Aur gumraah kar rahe hai wo log Baaz aajaye koi daikhe ya na Daikhe Allah daikh raha hai.

◈➲ Aur meri pyari Bahno aap sab se meri Adaban Guzarish hai ke kisi ladke par bhi Aaitebar na karo aur na hi Chat, Apne gharelu halat se pareshan hokar jo bhi Pyaar se baat kare usi ko Hamdard samajh kar Aaitebar karleti hain aur apni Naadani mein Galat mardon ki hawas ka shikar ban jati hai, Astaghfirullah ◈➲

●══════════════════════◄►═════════════════════●

Narrated by Safwaan bin Sulaim (Razi Allah Anhu) The Messenger of Allah peace be upon him, was asked, 'Can the Believer be a Coward?' He peace be upon him said, 'Yes.' He was asked,'Can the Believer be a Miser He peace be upon him said, 'Yes.'He was asked, 'Can the Believer be a Liar?' He peace be upon him said, 'No.'

[Muwatta Imam Malik :: Book 56 :: Hadith 19]

Urdu Translation: Hazrat Safwaan bin Sulaim RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se pucha gaya ki kya Momin Buzdil ho sakta hai Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Farmaya Haan, phir pucha Gaya ki kya Momin Kanjus ho sakta hai Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Farmaya Haan, Phir Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Pucha Gaya kya Momin JHOOTA ho sakta hai Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Faramaya "Nahi".

[Urdu Ref :: Muwatta Imam Malik :: Hadith 2371]


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "DON'T ARGUE FOR THE SAKE OF ARGUING" ✦

Have you ever made an argue and without you realize, will impact to your beloved ones? Then just remember this Sunnah, and Stop Arguing for the sake of Arguing!

It's Narrated by 'Aisha (RadiyAllahu Anha) that The Prophet (SallAllahu Alaihi Wasallam) said, "The most hated person in the sight of Allâh is the most quarrelsome person."

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 43 :: Hadith 637]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya, Allah Tala ke yahan Sab se Zyadah Na’pasandidah wo Aadmi hai jo Sakht Jhagdalu ho.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.3 :: Hadith 2457]


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Ibn 'Umar narrated RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: Behold! A man is not alone with a woman but the third of them is Ash-Shaitan.

[Jami at- Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 7 :: Hadith 2165]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Khabardar! Koi shaks kisi Aourat ke sath Tanhayi na kare is liye ke un mein Teesra Shaitan hota hai.

[Urdu Ref :: Jamia Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 37]


●◗► Zindagi mein bulandi par pahoch kar ye mat bhulo ke jo Tumhen bulandiyo par le ja sakta hai wo Pasti mein lane ka Ekhtiyar bhi rakhta hai. Aur wo Sirf ♥ Allah ♥ Hai.

⇨ "Say (O Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam): "O Allah! Possessor of the kingdom, You give the kingdom to whom You will, and You take the kingdom from whom You will, and You endue with honour whom You will, and You humiliate whom You will. In Your Hand is the good. Verily, You are Able to do all things".(Qur’an 3:26)

⇨ Urdu Translation: "Aap kehdijiye Aye Allah! Aye Tamam Jahan ke Malik! Tu jise chahe Badshahi de Aur Jis se Chahe Saltanat Cheen le aur Tu jise Chahe Izzat de aur Jise chahe Zillat de, Tere hi Hath mein sub Bhalayyan hai, Beshak tu har cheez par Qadir hai".(Qur’an 3:26)

●◗► Haya daar Aakhen Mard ko Dusron se Mumtaz karti hain aur Zaahir karti hain ke ye Aik...

♥ Izzat daar Baap ka Beta,
♥ Gairat mand Bahen ka Bhai,
♥ Aur Ba’Haya Maa ka Beta hai.

......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Narrated Anas RadiyAllahu Anhu: The most frequent invocation of The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam was: "O Allah! Give to us in the world that which is good and in the Hereafter that which is good, and save us from the torment of the Fire." (Qur'an 2:201)

[Sahih Bukhari :: Vol 8 :: Book 75 :: Hadith 398]

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki Aksar ye dua hua karti thi: "Aye Allah hamen duniya main bhalayi (Hasnah) Ata kar aur Aakhirat mein Bhalayi Ata kar aur Hamein dozakh se bacha.(Qur'an 2:201)

[Urdu Ref :: Sahih Bukhair :: Vol.7 :: Hadith 6389]

●◗► Badi bhaari Ahem dua hai ke Dunya aur Deen har do ki kamyabi ke liye Dua ki gayi hai Balke Dunya ko Aakhirat par Moqaddam kiya gaya hai, is liye ke Dunya ke Sudhaar hi se Aakhirat ka Sudhaar hoga.





......................✿....... H A D E E S .......✿......................

It is related from Jaabir (RadiyAllahu Anhu) that he said: "I once saw Rasulullah (Sallallahu Alaihe Wasallam) on the night of a full moon. On that night he wore red clothing. At times I looked at the full moon and at times at Rasulullah (Sallallahu Alaihe Wasallam). Ultimately I came to the conclusion that Rasulullah (Sallallahu Alaihe Wasallam) was more handsome, beautiful and more radiant than the full moon."

[Shamail Tirmidhi :: Book 1 :: Hadith 9]

Urdu Translation: Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai wo Farmate hain ke Main aik Martaba Chaandni Raat mein Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ko daikh raha tha, Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam us waqt Surkh Joda Zaib-tan Farma the, Main kabhi Chand ko diakhta aur Kabhi Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko, Bila Aakhir main ne yehi Faisla kiya ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Chand se kahin zyada Jameel o Haseen aur Munawwar hain.

[Urdu Ref :: Shamail Tirmidhi :: Hadith 9]

★•.•´¯`•.••.•´¯`•.•★ ♥ SubhanAllah ♥ ★•.•´¯`•.••.•´¯`•.•★


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "SPREADING THE BEAUTIFUL TEACHING OF ISLAM" ✦

Narrated `Abdullah bin `Amr RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Convey (my teachings) to the people even if it were a single sentence, and tell others the stories of Bani Israel (which have been taught to you), for it is not sinful to do so. And whoever tells a lie on me intentionally, will surely take his place in the (Hell) Fire."

[Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 55 :: Hadith 667]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya mera Paigham logon tak pohchao! Agarche aik hi Aayat ho aur Bani Israel ke Waqiaat tum bayan kar sakte ho in mein koi harj nahi aur Jis ne Mujh par Qasadan Jhoot baandha to use Apne Jahannam ke thikane ke liye tayyar rehna chahiye.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.4 :: Hadith 3461]

●══════════════════════◄►═════════════════════●

Narrated Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu: That the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whoever calls to guidance, then he receives the reward similar to the reward of whoever follows him, without that diminishing anything from their rewards. And whoever calls to misguidance, then he receives of sin similar to the sins of those who followed him, without that diminishing anything from their sins."

[Jami at Tirmidhi :: Book 41 :: Hadith 30]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Jis ne Logon ko Hidayat ki taraf Bulaya us k liye us Raaste par chalne walon ki Misl sawab hai, Aur us se un k sawab mein se kuch bhi kum na hoga aur Jis ne Gunah ki Dawat di us k liye bhi utna Gunah hai Jitna us ki Itteba karne walon par aur us mein bhi un k Gunah mein koi kami nahi Aayegi.

[Urdu Ref :: Jami Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 569]
 

●◗► Muaaf karne ki Aadat aur Hosla paida karo ye to Allah ka karam hai ke us ne Insan ke Gunahon ki pardah poshi ki, Agar tumhare darmiyan aik Dusre ke Gunah zaahir hojate to tum Aik dusre ko Dafan bhi na karte.

.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

Abu Umamah (Radi Allahu Anhu) reported: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “If anyone loves for Allah's sake, hates for Allah's sake, gives for Allah's sake and withholds for Allah's sake, he will have perfect faith.”

[Sunan Abu Dawud :: Book 41 :: Hadith 4664]

Urdu Translation: Hazrat Abu Umamah Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Jis ne Allah Tala ki khatir Mohabbat ki, Allah ki Wajah se Nafrat ki aur Allah hi ki Khatir (Maal) diya aur Allah hi ki khatir (Maal) Roka to beshak us ne Iman Mukammal karliya.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawud :: Vol.3 :: Hadith 1254]


✦................♥ Khush Rehne ka Formula ♥................✦

◈ Shikwe Shikayat kum kijiye aur Allah ki un Nematon ke liye Shukriya ada kijiye jo Aap k paas hai, Apne Masayel ke bare mein kum sochen, Masayel ke hal ke liye puri koshish Karen, Natayej ke bare mein fikr mand na ho.

◈ Sirf itni zimmedariyan qabool karen jitni kar sakte hon, Apni taqat se zyada kaam lene se parhez kare, Apne liye bhi waqt nikale, Allah Tala se baten kare, Quran ki Tilawat aur Namazon ki pabandi karen.

◈ Apne ird gird ke logon aur Ghar walon ko khush rakhne ki koshish kijiye, Aap ko bhi khushi milegi, Dusron ki burayyon par Nazar mat rakhen aur Apni islah ki koshish karte rahen.


●◗► Saare Din sab ke liye acche aur Sab ke liye bure nahi hote, Na hi Allah har Insan ko har Qism ki tangi deta hai, Kuch chizon mein tangi hoti hai kuch mein Aasani.

◈➲ Insan pareshaniyon ki Ginti karne ka Ma'hir hai, Ne’maton ka Hisab kitab rakhna use hamesha Bhool jata hai ◈➲


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "DO NOT BE CRUEL TO ANIMAL (i.e. A CAT)" ✦

Narrated `Abdullah bin `Umar RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "A lady was punished because of a cat which she had imprisoned till it died. She entered the (Hell) Fire because of it, for she neither gave it food nor water as she had imprisoned it, nor set it free to eat from the vermin of the earth."

[Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 55 :: Hadith 689]

Urdu Translation: Hazrat `Abdullah bin `Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya ke (Bani Israil ki) Aik Aourat ko aik Billi ki wajah se Azab diya gaya tha Jise usne Qaid kar rakha tha Jis se wo Billi margayi thi aur us ki saza mein wo Aourat dozakh mein gayi, Jab wo Aourat Billi ko baandhe hue thi to us ne use khane ke liye koi cheez na di, Na pine ke liye aur na us ne Billi ko chhora hi ke wo zameen ke keede makode hi kha leti.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 3482]


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Narrated `Abdullah bin `Amr RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said. "It is one of the greatest sins that a man should curse his parents." It was asked (by the people), "O Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam)! How does a man curse his parents?" The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "'The man abuses the father of another man and the latter abuses the father of the former and abuses his mother."

[Sahih Bukhari :: Volume 8 :: Book 73 :: Hadith 4]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin 'Amr RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Yaqinan sab se bade Gunaho mein se ye hai ke koi Shaks apne Waldain par La’nat bhaije pucha gaya ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam! Koi Shaks apne hi Waldain par kaise La’nat bhejega? Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya ke wo Shaks Dusre ke Baap ko bura bhala kahega to Dusra bhi us ke Baap ko aur us ki Maa ko bura bhala kahega.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.7 :: Hadith 5973]

No comments:

Post a Comment