✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "FILL THE STOMACH: 1/3 WITH FOOD, 1/3 WITH DRINK, 1/3 WITH BREATH" ✦
The worst vessel to fill is the stomach, but leave one-third for food,
one-third for water, and one-third for air.
Al-Miqdam ibn Ma’d reported: I heard the Messenger of Allah ﷺ saying, “There is no vessel
which the son of Adam can fill more evil than his stomach, for it is sufficient
for him to take a few mouthfuls in order to straighten his back; but if he
must, then fill one-third with food, one-third with drink, and one-third with
breath.”
[Sunan ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 29 :: Hadith
3349]
Urdu Translation: Hazrat Maqdam Bin Ma'd R.A
Farmate hain k Maine RasoolAllah ﷺ
ko ye Farmate suna Aadmi k Pait se zyada bura koi bartan nahi bharta, Aadmi k
liye Chnd niwale kafi hain jo us ki Kamar sidhi rakhen aur Agar Aadmi ka nafs
us par Galib hi Aajaye (Aur chnd niwalon par iktefa na kar sake) to Tihayi pait
khane k liye, Tihayi pine k liye aur Tihayi sans k liye.
[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol.3 :: Hadith
230]
♥ Sister and Brother Relation is the Best Relation of The World ♥
Small Girl Asked Her Elder Brother, What Is Love ???
Her Brother Replied: Love Is When U Steal My Chocolate
Everyday From My Bag....!!! ♥ And I Still Keep
It In That Place For U..♥
✦.............x Munafiq ki Chaar Aadatain x.............✦
Narrated 'Abdullah bin 'Amr: The Prophet ﷺ said, "Whoever has the following four (characteristics)
will be a pure hypocrite and whoever has one of the following four
characteristics will have one characteristic of hypocrisy unless and until he
gives it up.
1. Whenever he is entrusted, he betrays.
2. Whenever he speaks, he tells a lie.
3. Whenever he makes a covenant, he proves
treacherous.
4. Whenever he quarrels, he behaves in a very
imprudent, evil and insulting manner."
[Sahih Bukhari :: Vol 1 :: Book 2 :: Hadith 33]
Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Amr R.A se
riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ
ne Farmaya: "Chaar (4) Aadatein jis kisi mein ho to wo khaalis (pura)
Munafiq hai aur jis kisi main in chaaron main se Aik aadat ho to wo (bhi) Nifaq
hi hai jab tak usey na chor de :
1. Jab usey Ameen banaya jaye to (Amanat mein)
Khayanat kare.
2. Aur Baat karte waqt Jhoot bole.
3. Aur jab (kisi se) Ahad (wada) kare to use pura
Na kare.
4. Aur jab (kisi se) Lade to to Galiyon par uatar
Aaye".
[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 34]
●═══════════════════════◄►══════════════════════●
Narrated
Hazrat Abu Huraira (R.A): The Prophet Mohammad ﷺ said, The worst people in the Sight of Allah on the Day of
Resurrection will be the double faced people who appear to some people with one
face and to other people with another face."
[Bukhari :: Volume 8 :: Book 73 :: Number 84]
URDU TRANSLATION: Hazrat Abu Huraira (R.A) se Riwayat hai k Nabi ﷺ ne Farmaya: "Qayamat k
Din Allah ki Nazar main Badtareen log wo honge Jo Munafiqeen (do Chahre rakhne
wale) hai. Jo Baaz logon k Samne khud ko kuch zaher Karte hai aur Doosre logon
k samne kuch.
✦.........♥ Aaise Raha karo k karen Log Aarzu....... ♥.........✦
✦.........♥ Aaisa chalan chalo k Zamana Misaal De ♥.........✦
Jarir said I asked the Apostle of Allah ﷺ about an accidental glance (on a woman). He ﷺ said “Turn your eyes away.”
[Sunan Abu Dawood :: Book 11 :: Hadith 2143]
Urdu Translation: Hazrat Jarir R.A se riwayat hai k
main ne RasoolAllah ﷺ se pucha k (gair
mahram par) Achank girne wali nazar ka kya hukm hai? Aap ﷺ ne Farmaya k tu Apni Nazar pher le.
[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol 2 :: Hadith
381]
••► Apne kirdar ko itna buland karo k log rashk se kahe k
Ummati aise hain to NABI kaise honge. ﷺ
♥ Har Aourat Beshak Apne Shohar k Ghar main Malika ho ya na Ho ♥ Lekin woh apne Baap ki Shehzaadi zaroor hoti Aur Rehti hai ♥
......................✿.......
Narrated Abu Huraira: Allah's Messenger ﷺ said, "When an adulterer commits illegal sexual
intercourse, then he is not a believer at the time he is doing it; and when
somebody drinks an alcoholic drink, then he is not believer at the time of
drinking, and when a thief steals, he is not a believer at the time when he is
stealing; and when a robber robs and the people look at him, then he is not a
believer at the time of doing it." Abu Huraira in another narration,
narrated the same from the Prophet ﷺ with the exclusion of robbery.
[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 81 :: Hadith 763]
Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira R.A se rivayat
hai k RasoolAllah ﷺ ne Farmaya
"Jab bhi Zina karne wala Zina karta hai to wo Momin Nahi Rahta, Jab bhi
koi Sharab Pine wala Sharab Pita hai to wo Momin nahi rahta, Jab bhi koi Chori
karne wala chori karta hai to wo Momin nahi rahta, Jab bhi koi lootne wala loot
ta hai k log Nazre utha utha kar use dekhne lagte hain to wo Momin nahi
rahta".
[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol 8 :: Hadith 6772]
•► "Aaj ka Media Aourat ko Aazadi k naam par be Sharm aur Mard ko Aaitemad k Naam par be baak banane ki lagataar koshish main hai , Aisi Aazadi ka koi kya kare jo Sharm o Lihaz khatam karde, Aur aise Aaitemad ka kya karna jo Haram aur Halal ki Tameez mitade".
:-( Bint-e-Hawwa ne khol rakha hai Bazaare Gunah :-(
:-( Ibn-e-Adam hai khareedar Khuda Khair Kare…... :-(
★ Islam ki Betiyo par Mushrik Mardo ki bad
Nigahi, phir unse Naja'yez T'alluqat Rakhkar unhe Behla kar unse Shadi kar k
unhe Mushrik Banane ki khule aam sazish chal rahi hain & ye hadse Aam ho
chuka hai, Apni Betiyon par Nazar rakhe, Khaas kar Cell phones se unhe door hi
rakhe.
••► "Bachhiyon ko sone (Gold) ka Niwaala khilaao magar
uspar shikaari ki Nazar Rakho" Schools Colleges main Ladko se Door Rahiye
Meri Pyari Bahno.
•► "Hamari Tabahi ki Wajah koi aur Nahi ham khud hain Kyun k Ham shari’at Apnane main Sharm aur Dunya Apnane main Fakhar Mahsoos karte hain, “Kamyabi Deen main hai Aur ham ise Dunya main Dhoondte hain".
◈ Ilm: ko Allah ne
bhook aur safar main chupa rakha hai magar log use watan aur khane pine main
talash karte hain bhala wo kaise payenge?
◈ Izzat: ko Allah
ne apni ita’at main chupa rakha hai magar log use badshahon k dr pr talash
karte hain bhala wo kaise payenge?
◈ Rahat: ko Allah ne jannat me chupa rakha
hai magar log use duniya main talash karte hai bhala wo kaise payenge?
◈ Bulandi: ko Allah ne aajizi o Inkisari
me chupa rakha hai magar log use garoor o takabbur main talash karte hai bhala
wo kaise payenge?
◈ Doulat: ko Allah ne qina’at me chupa rakha
hai magar log use aish o ishrat main talash karte hai bhala wo kaise payenge?
◈ Dua: ki qabuliyat: ko Allah ne loqma
halal me chupa rakha hai magar log haram zaraye main talash karte hai bhala wo
kaise payenge?.
✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "UPHOLD THE TIES OF KINSHIP (SILAT UR-RAHM)" ✦
Narrated Anas bin Malik: Allah 's Apostle ﷺ said, "Whoever loves that he be granted more wealth and
that his lease of life be prolonged then he should keep good relations with his
Kith and kin."
[Sahih Bukhari :: Volume 8 :: Book 73 :: Number 15]
Urdu Translation: Hazrat Anas Bin Malik R.A se
Riwayat hai k RasoolAllah ﷺ
ne Farmaya Jo Chahta ho k us k Rizq main Farakhi ho aur Us ki Umr daraaz ho to
wo Sila Rahmi kiya kare.
[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 5986]
✦.........x The Islamic Position on Extra-Marital Affairs x.........✦
⇨ "Islam is
very clear on the topic of extra-marital affairs, and considers it as one of
the major sins. In The Qur’an in (Qur'an 17:32), Allah says: Do not go near
adultery, .surely it is an indecency, and an evil way [of fulfilling sexual
urge]. (Qur'an 17:32) Fornication and adultery have severely been condemned in
the hadiths of the Prophet ﷺ While
describing the believers, the Qur’an says, “The believers are… those who
protect their sexual organs except from their spouses… Therefore, whosoever
seeks more beyond that [in sexual gratification], then they are the
transgressors.” (Qur'an 23:5-6) Again Allah says, regarding His true believers:
“Those who invoke not, with Allah, any other god, nor slay such life as Allah
has made sacred except for just cause, nor commit fornication; – and any that
does this deserves punishment.” [Qur'an 25:68]
★ The Prophet ﷺ said: “The fornicator does not commit fornication while he is a
believer” [Sahîh al-Bukhârî and Sahîh Muslim]
★ A young man once came to our Prophet
(peace be upon him) and said: “O, Messenger of Allah give me a permission to
commit fornication.” The Companions were angry with the way that young man who
dared to ask such a thing from the Prophet (peace be upon him), but the Prophet
(peace be upon him) did not grow angry and immediately asked him: “Would you
like a man to fornicate with your mother?” The young man replied: “No.” The
Prophet (peace be upon him) said: “Hence other people do not like it for their
mothers. Would you like it for your daughter?” The man said: “No.” The Prophet
(peace be upon him) said: “Hence people do not like it for their daughters.”
[Musnad Ahmad]
⇨ "Moreover, those who engage in
fornication and do not repent are the most maligned of people. Allah says: “The
adulterer cannot marry any but an adulteress or an idolatress, and the
adulteress, none mary her but an adulterer or an idolater; to the believers
such a thing is forbidden” [Qur'an 24:3]
••► Please note that extra-marital affairs may not involve any
sex. It could be an emotional affair via the internet, and that may itself be
equally problematic and dangerous.
⇨ "O you who believe! Fear Allah (by
doing all that He has ordered and by abstaining from all that He has forbidden)
as He should be feared. [Obey Him, be thankful to Him, and remember Him
always], and die not except in a state of Islam (as Muslims) with complete
submission to Allah". (Qur'an 3:102)
✦....♥ Paanch (5) Namazon k Badle Pachas (50) ka Sawab Milega ♥....✦
Anas bin Malik Narrated: "On the Night of Isra, fifty prayers were made obligatory
upon the Prophetﷺ . Then it
was decreased until it was made five. Then it was called out: 'O Muhammad ﷺ! Indeed My Word does not
change; these five prayers will be recorded for you as fifty.'" (Sahih)
[Jamia Tirmidhi :: Book 2 :: Hadith 65]
Ansa Bin Malik R.A se Rivayat hai k RasoollAllah ﷺ par shab-e-mairaj main pachas (50) Namazein Farz ki gayee phir
kami ki gayee yahan tak k paanch (5) rah gayee phir Aawaz di gayee Aye Muhammad
ﷺ Hamare qaul mein
tabdili nahi hoti, in paanch Namazon k badley pachas ka sawab milega.
[Urdu Ref :: Jamia Tirmidhi :: Vol 1 :: Hadith 203]
••► Pyare Bhai Aur bahno Aap sab se Guzarish hai k Jo Bhi Post karre Qur'an o Hadees ki Roshni main Aik Dafa use Check karle Bagair Daleel (Reference) k koi Post na kare, koi Post kiye Nabi ﷺ ne Farmaya k jo Juma k Din Amama Bandhe us par Farishte Darood Bhaijte hai AllahuAkbar Astagfirullah kya hai ye, Aise kai Post samne Aate hai Nabi ﷺ ne Farmaya Lekin us k Aage Hadid ka Koi Reference nahi na Book ka Reference Plz Aise post na kare, Jab tak Aap khud us k sahih hone ki Tahqeeq na karle ho.
●═══════════════════════◄►════ ══════════════════●
⇨ "O you who
believe! If a rebellious evil person comes to you with a news, verify it, lest
you harm people in ignorance, and afterwards you become regretful to what you have
done".(Qur’an 49:6)
⇨ "Aye Iman Walo! Agar koi Badkirdaar
tumhare paas koi khabar lekar aaye to Khoob Tahqeeq karliya karo (Mubada) k
kisi qoum ko Nadani se Nuqsan pohchado, Phir tum ko apne kiye par Nadim hona
pade". (Qur’an 49:6)
......................✿....... H A D E E S .......✿......................
Narrated 'Ali: The Prophet said, "Do not tell
a lie against me for whoever tells a lie against me (intentionally) then he
will surely enter the Hell-fire."
[Sahih Bukhari :: Book 3 :: Number 48]
Hazrat Ali r.a se Riwayat hai k RasoolAllah ﷺ ne Farmaya k Mujh par Jhoot mat bolo, Kyun k jo Mujh par Jhoot
bandhe wo Dozakh main Dakhil ho.
[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: 106]
✦...............:: TV ki Faryaad ::...............✦
๑۩๑ Mujhe Chhodo Apni Daikho ๑۩๑
★ Maine Maloomat o
Deeni Programs aur Dunya se Talluq rakhne ka jhansa dekar Musalmano ko Barbaad
karne main koi kasar nahi Chhodi... "Yaad Rakho! Roze Mehshar
RabbulAalameen k samne Jawab dehi tumhari hogi, Meri Nahi".
••► Jab gunah k kamon me dil lagna shuru ho jaye to ye is baat
ki daleel hai k tumhara Rab tum se naraz hai.
••► Zindagi ki kitab main Itni Galatiya na Karo k, Pencil se
Pehle Rabar khatam Hojaye aur Toba se Pehle Zindagi.
✦.....♥ Shaitan aur Nazar-E-bad se Bachne ki Dua ♥.....✦
Narrated Ibn `Abbas: The Prophet ﷺ used to seek Refuge with Allah for Al-Hasan and Al-Husain and
say: "Your forefather (i.e. Abraham) used to seek Refuge with Allah for
Ishmael and Isaac by reciting the following:
أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ
التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ
شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ، وَمِنْ
كُلِّ عَيْنٍ لاَمَّةٍ
A'oodhu bikalimatIllahi-tammati min kulli
shaytaanin wa hammatin wamin kulli 'aynin lammatin.
'O Allah! I seek Refuge with Your Perfect Words
from every devil and from poisonous pests and from every evil, harmful, envious
eye.'
[Sahih Bukhari :: Vol 4 :: Book 55 :: Hadith 590]
Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas R.A se rivayat
hai k RasoollAllah ﷺ Hazrat Hasan o
Husain R.A k liye panaah talab kiya karte the aur farmate the k tumhare buzurg
Dada (Ibrahim Alaihi salam) bhi in kalimat k Zariye Allah ki panaah Ismaeel aur
Ishaq (Alaihi salam) k liye manga karte the.
أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ، وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لاَمَّةٍ
A'oodhu bikalimatIllahi-tammati min kulli
shaytaanin wa hammatin wamin kulli 'aynin lammatin.
(Main Panaah maangta hun Allah k pure pure kalimat
k zariye, har aik shaitan se aur har zahreele janwar se aur har nuqsan
pohnchane wali nazar-e-bad se).
[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: 3371]
✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "TEACH YOUR CHILDREN TO PRAY" ✦
Narrated Abdullah ibn Amr ibn al-'As: The Messenger of
Allah ﷺ said: "Command your
children to pray when they become seven years old, and beat them for it
(prayer) when they become ten years old; and arrange their beds (to sleep)
separately."
[Sunan Abu Dawud :: Book 2 :: Hadith 105]
Hazrat Abdullah ibn Amr ibn al-'As R.A se Riwayat
hai k RasoolAllah ﷺ ne Farmaya: Apni
Aoulad ko Namaz padhne ka hukm do Jab wo sath (7) baras k hojayen aur Jab dus
(10) baras hojayen to Namaz na Padhne par un ko maro, Aur un k Bistar bhi Alag
kardo. (Bistar alag karne ka hukm Namaz na padhne par saza k tor par nahi hai
balke ye Aik mustaqil hukm hai).
[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawud :: 495]
✦.....♥ Koi Kaam karne ka Irada karo to In'sha'Allah Kaha Karo ♥.....✦
⇨ "And never
say of anything, "I shall do such and such thing tomorrow." Except
(with the saying), "If Allah will!" And remember your Lord when you
forget and say: "It may be that my Lord guides me unto a nearer way of
truth than this."(Qur’an 18:23-24)
⇨ "Aur hargiz
kisi kaam par yun na kehna k main isai kal kardunga. Magar sath hi InshaAllah
keh lena (yani agar khuda chaha to kardunga). Aur jab bhi Bhoole apne parwardigar
ko yaad kar liya karna aur kehte rehna mujhe poori ummeed hai k mera Rab mujhe
is se bhi ziyada Hidayat k Qareeb ki baat ki Rehbari karay".(Qur'an
18:23-24)
••► "Mufassireen Kehte hain k Yhudiyon ne Nabi ﷺ se Teen (3) baten puchi thi.. Rooh ki haqiqat kya hai, Ashab
kahf aur Zulqarnain kon the? Nabi ﷺ
ne Farmaya: Main tumhain kal Jawab dunga, Lekin is k baad 15 din tak Jibraeel
a.s Wahi lekar nahi aaye, Phi jab Aaye to Allah Tala ne In'sha'Allah kehne ka
ye Hukm diya".
★ Ayat Main غد (kal) se Muraad Aane wala din hain Yani jab bhi Mustaqbil
Qareeb ya dair se koi kaam karne ka Irada karo to In'sha'Allah Jaroor kaha
karo, kyun ki Insan ko to pata nahi ki wo Jis Irade ko zahir kar raha hai, Uski
Toufeeq bhi Allah ki taraf se milni hai ya nahin?
★ Agar Baat cheet aur wada karte waqt
In'sha'Allah kehna bhool jao, to jis waqt yaad aa jaye In'sha'Allah kehlo, Ya
phir Rab ko Yaad karne ka Matlab uski Tareef aur Badayi aur us se Maafi Ki Dua
Hain.
✦...........♥ Khoobsurti ka Haqiqi Mai’yaar ♥...........✦
⇨ "Irshade
Khuda Wandi hai: Allah wahi hai Jo Maa k pait main jis tarah Chahta hai Tumhari
soorten banata hai". (Qur’an 3:6)
Abu Huraira reported Allah's Messenger ﷺ as saying: Verily Allah does not look to your faces and your
wealth but He looks to your heart and to your deeds.
Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira r.a Farmate
hai k RasoolAllah ﷺ ne Farmaya: Bila
Shuba Allah Tala tumhari surton aur tumhare Maal ko nahi daikhte balke tumhare
Dilo aur Aa’mal ko daikhte hain".
[Sahih Muslim :: Book 32 :: Hadith 6221]
••► "Gora, kala aur Gandami rang…Chehre k chapte, Chode
aur khade Nuqoosh… Lamba, Darmyana aur Chota qad…ye Sab Qudrat ki takhleeq k
karishme hain jin main Insan ka koi Aml dakhl nahi, Asal aur Haqiqi Khoobsurti
Insani dil aur Aa’mal o Akhlaq ka Haseen hona hai".
••► "Life is like an ice cube, spend it in good deeds, Other wise.. It’s melting.. and will be finished"..!!
★ "Zindagi baraf ki tarah hai Naik kamo main Guzaren warna pighal to rahi hai khatam bhi hojayegi".
✦...........♥ Har Din 5 Namaze Ham Par Farz Hain ♥...........✦
No comments:
Post a Comment