✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "REMOVING HARM FROM THE ROAD" ✦
Just remember this beautiful sunnah when you
see a harmful thing on the road/path !!! Let us revive the Sunnah in every
aspect of our life !!! Get reward even from the small thing...
It has been Narrated on the authority of Abu
Huraira Radi Allahu Anhu that the, Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi
Wasallam) said: “While a man walks along a path, finds a thorny twig lying on
the way and puts it aside, Allah would appreciate it and forgive him.”
[Sahih Muslim :: Book 33 :: Hadith 235]
Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira Radi
Allahu Anhu se Riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya
Aik Shaks ja raha tha us ne Raah mein
aik Kaante ki Daali daikhi wo hatadi, Allah ne uska Badla diya aur us ko baksh
diya.
[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.5 :: Hadith
4940]
✦.........♥ Jadeed Science Qur'an ki Tasdeeq karte Hue ♥.........✦
⇨ "And whomsoever Allah wills to guide, He opens his breast to
Islam, and whomsoever He wills to send astray, He makes his breast closed and
constricted, as if he is climbing up to the sky". (Qur'an 6:125)
⇨ "Jis shaks ko Allah hidayat
dene ka Iradah farmale, us ka Sina Islam k liye khol deta hai, Aur jise
wo Gumrah karna Chahta hai, Us k liye sine ko tang aur itna Zyada tang kardeta
hai k Goya use Aasman par chadhna pad raha hai”.(Qur'an 6:125)
✿ Science dano ka kehna hai k Aasman ki taraf jate hue Oxygen ki
kami ki wajah se dum ghutne lagta hai aur sans lene mein shadeed dushwari hoti
hai, isiliye shadeed ghutan se bachne k liye hawayi Jahazon mein Masnu’i Oxygen
ka intezaam hota hai.
●◗► 1400 saal Qabl Qur'an Majeed ne Aasman par chadhte hue sina tang
aur dum ghutne ki science haqiqat ko bayan kardiya tha, ye is baat ka wazeh
saboot hai k ye Qur'an kisi Insan ka nahi balke Allah Rabbul Aalameen ka Kalam
hai.
◈ Tasdeeq-Sach karna, Sach hone ki Taaid, Saboot.
★•.•´¯`•.•★ ♥ S U B H A N A L L A H ♥ ★•.•´¯`•.•★
♥ Alhamdulillah! Mujhe faqr hai k main Aourat zaat k Mutalliq kisi
bhi Qism k Tahqeer Aamaiz Nazaryaat Nahi Rakhta ♥
(Tahqeer-Haqeer Samajhna, Nafrat, Hiqarat,
Beqadri, Zillat, Behurmati).
✿ Us ne mujhe zindagi di hai aur main us se zindah rehne ka haq nahi
cheen sakta, Wo mera libas hai lihaza main use Tang-e-Insaniyat hone ka tana
nahi de sakta.
✿ Us ne meri najasaten dhokar mujhe paak saaf rakha lihaza main us
Najas Makhlooq qarar nahi de sakta, Us ne mujhe ungli pakad kar zameen par
chalne ka tariqa sikhaya, Lihaza main us k pao se zameen nahi kheench sakta, Us
ne meri tarbiyat kar k mujhe insan banaya lihaza main us Naqisul Aql nahi keh
sakta.
✿ Us ka Amanat kardah khoon mere ragon mein dodraha hai, lihaza
main use shaitan ka darwazah ya lagzish ka mahel nahi keh sakta. Us ne mujhe
ghar ki pur Aashayesh o pur sukoon zindagi ata ki hai, lihaza main use fitna o
fasad ka jud nahi de sakta.
✿ Us ne mujhe kamil banaya lihaza main use Naqis nahi keh sakta, Us
ne apni zinagi ki har sans k sath mujhe apni Duao se Nawaza hai, lihaza main
use Hiqarat Aamiz galiyan nahi de sakta.
●◗► Agar main aisa karun to meri Apni hi zaat ka tahqirat aur Nafi
hoti hai ♥ Allah ka shukr hai k Main Aourat zaat k Mutalliq har tarah ka
Husne Zan Rakhta Hun ♥
●◗► Qaabile Gor! Ye kaisa dor hai Yaha koi apne dukh se itna Dukhi
Nahi…! Jitna doosre k sukh se dukhi hai….!
♥ Agar tumne har Haal main khush rehne ka Fun Seekhliya to Yaqinan
tumne Dunya k sab se bada Fun Seekhliya ♥
✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "Salute the Children who are playing" ✦
Narrated Anas ibn Malik Radi Allahu Anhu: The
Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) came to some children who were
playing: He saluted them.
[Sunan Abu Dawood :: Book 42 :: Hadith 5183]
Urdu Translation: Hazrat Anas Radi Allahu
Anhu se Riwayat hain k Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam kuch Ladkon ke paas
Tashreef laye jo Khail kood Rahe the Aap ne unhe Salam kiya.
[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.3 :: Hadith
1759]
......................✿....... H
A D E E S .......✿......................
It was Narrated that Abu Hurairah Radi Allahu
Anhu that Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: Whoever is asked about
knowledge that he has and he conceals it, will be bridled on the Day of
Resurrection with reins of fire.
[Sunan ibn Majah :: Vol.1 :: Book 1 :: Hadith
266]
Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah Radi
Allahu Anhu se riwayat hai k Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya
Jis se koi ilm ki baat puchi gayee aur usko Malum hote huye bhi usney chupa di
to Qayamat ke din usey Aag ki lagam di Jayegi.
[Urdu Ref :: Sunan ibn Majah :: Vol.1 ::
Hadith 266]
✿● Kya pur kaif sama tha Ramadhan mein, Namazi hogaye
the Zyada safen hogayi thin kum. Sama Badal gaya bus Aik shaam mein, Safen hogayi hain
Zyada Namazi hogaye hain kum ●✿ :(
✿● Aik Kadwa Sach! Afsos ke ham us Mu'aashre mein zindagi guzaar
rahe hain Jahan ham apne Baccho ko subah School k liye to Bila naaga uthate
hain Lekin…! Fajar ki Namaz k liye Nahi..Afsos ●✿
●◗► Har Musalman k Dil mein Apne doosre Musalman Bhai k liye Mohabbat
ho Jab wo Takleef mein ho to Tum us ki Madad ke liye Tayyar hojao Us k Sath
Khandapeshani se Rahe Deen-e-Islam hame yahi Taleem Deta hai k Tum mein
Bhaichara, Mohabbat, Ulfat, Khuloos ho..
♥ Gulab ka koi bhi Naam ho us ki Pehchan uski Khusbon se Hoti hai, Isi
tarah Insan ka koi bhi Rang, Qabila ya Zaat ho, us ki Pehchan us k Akhlaq se
hoti Hai ♥
Narrated `Abdullah bin `Umar Radi Allahu Anhu:
Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "A Muslim is a
brother of another Muslim, so he should not oppress him, nor should he hand him
over to an oppressor. Whoever fulfilled the needs of his brother, Allah will
fulfill his needs; whoever brought his (Muslim) brother out of a discomfort, Allah
will bring him out of the discomforts of the Day of Resurrection, and whoever
screened a Muslim, Allah will screen him on the Day of Resurrection . "
[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 43 :: Hadith
622]
Urdu Translation: Hazrat 'Abdullah bin Umar
Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne
Farmaya Aik Musalman Doosre Musalman ka Bhai hai, Ps us par Zulm na kare aur na
Zulm hone de, Jo Shaks Apne Bhai ki zarurat poori kare, Allah Tala us ki
Zarurat poori karega, Jo shaks kisi Musalman ki Aik Musibat ko door kare, Allah
Tala us ki Qayamat ki Musibaton mein se aik Badi musibat ko door Farmayega, Aur
jo Shaks kisi Musalman k Aaib ko chupaye Allah Tala Qayamat mein us k Aaib
Chupayega.
[Urdu Ref ::
Sahih Bukhari :: Hadith 2442]
♥ Khush Qismat hoti hai wo Bahen, Jis k Sir par
Bhai ka haath hota Hai, Har Pareshaani mein Uske saath hota hai, Ladna Jhagadna
Phir Pyaar se manana, Tabhi to is Rishte mein Itna Pyaar hota hai ♥
●◗► Shaik Sa’di Rahmatullahi Alai Farmate hain: Maine Aik
Naik shaks ko darya k kinare daikha Jis ko aik Chite ne zakhmi kardiya tha, Aur
us ka zakhm kisi dawa se Accha na hota tha. Aur wo arsaye daraz se us Takleef
mein mubtela tha.
Lekin! Har waqt Allah ka
Shukr Ada karta tha.
Logon ne us se pucha k shukr
kis baat ka Ada
karte ho..?
Us ne Jawab diya: Is liye ke
Musibat mein Mubtela hun, Na k Gunah Mein.
●══════════════════════◄►═════════════════════●
Are you a Part of GUNAH-E-JARIA?
Song Shared !!! 1 Guhan= 1
song Share
Referal/Friends Continued
Song = Countless Sharing Gunah!! (You are not sharing it continuously but your
friends are sharing that song to thousands of others) Think , Why are you
starting the Chain??? (Stop- Don’t Share)
●══════════════════════◄►═════════════════════●
Narrated Abu Huraira Radi
Allahu Anhu: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “Verily,
when the slave (of Allah) commits a sin, a block spot appears on his heart. When
he refrains from it, seeks forgiveness and repents, his heard is polished clean.
But if he returns, it increased until it cover his entire heart. And that is
the ‘Ran’ which Allah mentioned: Nay, but on their hearts is the Ran which they
used to earn.(Qur'an 83:14)
[Jami Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book
44 :: Hadith 3334]
Urdu Translation: Hazrat Abu
Huraira Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne
Farmaya Jab koi Banda koi Gunah karta hai to us k Dil par Aik siyah Noqta
lagadiya jata hai, Phir wo agar use tark karde ya Astaghfar kare aur Toba kare
to us ka Dil saaf hojata hai aur Agar dobarah Gunah kare to siyahi badhadi jati
hai yaha tak k wo Siyahi us k Dil par cha jati hai, aur Yahi wo ‘Ran’ hai Jis
ka zikr Allah Tala ne كَلَّاۖ بَلۡۜ رَانَ عَلَىٰ قُلُوبِہِم مَّا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ (Hargiz nahi Balke
un k (Bure) kamon se un k Dilon par Zang
lag gaya hain. 83:14) Mein kiya hai.
[Urdu Ref :: Jami Tirmidhi ::
Vol.2 :: Hadith 1258]