Saturday, 7 September 2013

♥ REVIVE A SUNNAH ♥




●◗► Sabr Aik aisi sawari hai jo Apne sawaar ko girne nahi deti Na kisi k Qadmon mein aur Na kisi k Nazron se ♥ Aur kisi ko bhi Sabr se Zyada Behtar aur us se Zyada be paayan khair Nahi Mili (Sabr Tamam Nematon se Badh kar Hai).

✦..........♥ REVIVE A SUNNAH ⇨ "BE PATIENT" ♥..........✦

♥ There is no gift that is better and more comprehensive than Patience ♥

Narrated Abu Sa`id Al-Khudri (Radi Allahu Anhu): Some Ansari persons asked for (something) from Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) and he gave them. They again asked him for (something) and he again gave them. And then they asked him and he gave them again till all that was with him finished.

And then He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said "If I had anything. I would not keep it away from you. (Remember) Whoever abstains from asking others, Allah will make him contented, and whoever tries to make himself self-sufficient, Allah will make him self-sufficient. And whoever remains patient, Allah will make him patient. Nobody can be given a blessing better and greater than patience."

[Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Book 24 :: Hadith 548]

Urdu Translation: Hazrat Abu Sa’id Khudri Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k Ansar k kuch Logon ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se sawal kiya to Aap ne unhe diya, Phir unhone sawal kiya aur Aap ne phir Diya yahan tak k Jo Maal aap k paas tha Ab wo khatam hogaya,

Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya k Agar mere paas jo Maal o Dolat ho to main use bacha kar nahi Rakhunga, Magar jo shaks sawal karne se bachta hai to Allah Tala bhi use sawal karne se Mahfooz hi rakhta hai, Aur jo shaks be’niyazi baratta hai to Allah Tala use be’niyaaz banadeta hai Aur Jo shaks apne uphar zor daal kar bhi Sabr karta hai to Allah Tala bhi use Sabr o Isteqlaal de deta hai aur kisi ko bhi Sabr se Zyada Behtar aur us se Zyada be paayan khair Nahi mili (Sabr Tamam Nematon se badh kar hai).

[Urdu Ref ::  Sahih al-Bukhari :: Hadith 1469]




✦............x 15 wi Sadi Hijri ke Munafiq par Aik Nazar x............✦

• Munafiq se Jab deen ki baat kaho to kehta hai - Asal Cheez to Insaniyat hai.
• Jab Namaz ki baat karo to kehta hai - Mera libas theek Nahi.
• Jab roze ki baat karo to kehta hai - Kya roze me hi Islam hai?.
• Jab zakat ki baat karo to kehta hai- Bank mein khud hi cut Gayi.
• Jab Jihad ki baat karo to kehta hai - Asal Jihad to Nafs se hota hai.
• Jab shar’yi parde ki baat karo to kehta hai - Asal pardah to Nazar ka hota hai.
• Jab Shar’yi dadhi ki baat karo to kehta hai – Dadhi sunnat hai Farz Nahi.
• Jab ulama ki baat karo to kehta hai – Saari kharabiya Moulwiyon ki paida kirdah hain.
• Jab Shari’at par chalne ki Takeed karo to kehta hai- Moulwiyon wali baten mat karo, Tum Apne aap ko Theek karo, Ye Mera aur Mere Rab ka Muamla hai!.




 ......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Narrated Abu Hurairah Radi Allahu Anhu: That the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whoever calls to guidance, then he receives the reward similar to the reward of whoever follows him, without that diminishing anything from their rewards. And whoever calls to misguidance, then he receives of sin similar to the sins of those who followed him, without that diminishing anything from their sins."

[Jami at Tirmidhi :: Book 41 :: Hadith 30]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Jis ne Logon ko Hidayat ki taraf Bulaya us k liye us Raaste par chalne walon ki Misl sawab hai, Aur us se un k sawab mein se kuch bhi kum na hoga aur Jis ne Gunah ki Dawat di us k liye bhi utna Gunah hai Jitna us ki Itteba karne walon par aur us mein bhi un k Gunah mein koi kami nahi Aayegi.

[Urdu Ref :: Jami Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 569]




✦....♥ Neki ki Qimat Tab Malum Hogi Jab Neki ki Zarurat Hogi ♥....✦

●◗► Aik qafila safar k Doran aik Andheri gaar se Guzra aur un k Pao mein kankariyan chubi to kuch logon ne is khayal se k ye kisi aur ko bhi chub sakti hain, Naiki ki khatir unhon ne wo utha kar Jaib mein rakhlin, Kuch ne zyada kuch ne kum aur kuch ne bilkul bhi Nahi.

Jab Andhere se bahar aakar daikha to Heere the Jinhone ne Uthaya wo pachtaye k unhone ne kum kyun uthaye Jinhone ne na uthaya wo bhi pachtaye.

♥ Dunya ki Zindagi ki Misaal isi Andhere ki hai, Nekiyan jo kankariyon ki tarah Takleef dah hoti hain is Zindagi mein Lekin Aakhirat mein wo Heere ki tarah Qeemti hoti hain ♥



✿ "Betiyon k kirdar Banane aur Bigaadne mein Baap aur Bhai ka bhi bada Aml dakhl Hota hai, Zara si bhi Nazar chok Jaye, Poora daman daag daar Hojata Hai".



●◗► Hamari Zaban se Nikle hue Alfaz hamari shaksiyat ki Akasi karte hain Aur yahi Alfaz hamain zameen se Bulandiyon par aur Bulandiyon se zameen ki Pastiyon main gira dete Hain...!!

◈ "Is liye hamesha soch samajh kar bola karo aur Agar khayalat ki Aamdani km ho to Lafzon ki Fuzool kharchi se bacho, Jahan Apni Baat ki Qadar na ho waha Chup rehna Behtar hai".


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "THINK FIRST BEFORE SAYING" ✦

Narrated Abu Huraira (Radi Allahu Anhu): That he heard Allah's Apostle (Sallallahu Alaihi Wasallam) saying, "A slave of Allah may utter a word without thinking whether it is right or wrong, he may slip down in the Fire as far away a distance equal to that between the east."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 76 :: Hadith 484]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Bandah Aik baat Zuban se Nikalta hai aur us k Muta’lliq sochta nahi (Kitni kufr aur be Adbi ki baat hai) Jis ki wajah se wo Dozakh k gadhe mein itni door gir pdta hai Jitna Magrib se Mashriq door hai.

[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Hadith 6477]



✦....♥ Nikah Deendari Par Karen Naa ke Dunya Daari Par..!! ♥....✦

●◗► Shadi ka Mas’alah itna badhta jar aha hai Jis ki wajeh se Zina Aam ho raha hai is Mulk mein, Agar Ladke Jahez Jode ki Raqam aur Khuaheshat Gori hona, Lambi hona, Dubli hona, Hoor nahi hai Jo Sare khubiya us k Andar rahne k liye Deendari daikhe Aur in sab se Inkar Karen aur Allah par bharosa rakhe to daikhe kis tarah Allah un ki Madad karta hai.

Aur Ladkiyan bhi agar ye Zid chhorde k ladka Ameer hona U.S ka U.K etc ye ho wo ho chhorde aur Allah par bharosa Karen to Shadi k Baad Allah waha se Rizq dega k ham ne socha bhi nahi hoga.

♥◈♥ Shadi saadgi se kare taa k Aik Riwaj Aam ho, Nikah aur Walima, Apni Zaat se shuru kare aur Misaal Qayem kare ♥◈♥



✿ "Jismaani Amraaz Parhaiz se Jate Hain Aur Ruhaani Amraaz ♥ Parhaizgaari ♥ se".



✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "NEVER BEAT A SERVANT OR A WOMAN" ✦

The Messenger of Allah never beat a servant or a woman.

Aisha Radi Allahu Anha said: “The Messenger of Allah, Sallallahu Alaihi Wasallam, Never Struck a Servant or a Woman.”

[Sunan Abu Dawood :: Book 42 :: Hadith 4768]

Urdu Translation: Hazrat Aisha Radi Allahu Anha Farmati hain k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne kabhi na khadim ko Maara aur Naahi Aourat ko Maara. (Kyun k khadim aur Aourat dono Mahkoom hote hain aur Mahkoom par hath uthana Badi hi km Zarfi ki baat hai).

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.3 :: Hadith 1358]

●◗► Mahkoom - Ta'be, Ma'tahet, Farmanbardar.




✿ "Taleem Jis k Andar Dakhil Hoti hai wo Saadgi Ekhtiyar karta hai ♥ Aur Jis k uphar se Guzar jati hai wo Modern ban Jata hai".



✦.....♥ Kal Tak Musalman Mard ki Pehchan Thi....!! ♥.....✦

◈ Khofe Khuda
◈ Aashiqe Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam)
◈ Gairat Mand
◈ Parhezgaar
◈ Namazi
◈ Saadgi.

✦.......x Aur Aaj k Musalman Mard ki Pehchan x.......✦

x Music
x Aourat
x Sair o Tafreeh
x Film
x Ayyashi
x Doulat.

●══════════════════════◄►═════════════════════●

⇨ "O you who believe! Enter perfectly in Islam (by obeying all the rules and regulations of the Islamic religion) and follow not the footsteps of Shaitan (Satan). Verily! He is to you a plain enemy". (Qur'an 2:208).

★ "Narrated Abdullah ibn Umar Radi Allahu Anhu The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: He who copies any people is one of them". [Sunan Abu Dawood :: Book 33 :: Hadith 4020]

No comments:

Post a Comment