Saturday, 23 November 2013

✦......♥ Accha likhe taake kal Padhne Mein Aap ko Accha Lage ♥......✦

●◗► Kitab zindagi ke warq barabar ulat rahe hain, har Aane wali subah aik naya warq ulat deti hai, Aik din wo hoga jab Aap apni zindagi ka Aakhri warq ulat rahe honge Jonhi aap ki Aakhen bnd hogi, ye kitab bhi band hojayegi, aur Aap ki ye tasneef mahfooz kardi jayegi.

◈➲ Aaj tum apna namaye Aa'mal likh rahe ho aur kal padhoge Jitna ho sake accha likho Roze Mehshar padhte hue tumhain apna likha accha lage. is mein Aap wo sab kuch likh rahe hain jo Aap sochte hain, daikhte hain, sunte hai, sunate hain, chahte hain, karte hai, aur karate hain, is mein sirf wahi kuch Note ho raha hai jo Aap Note kar rahe hain ◈➲ Kal yahi kitab aap k sath mein hogi aur Allah Tala kahega.

⇨ "(Qayamat ke din Malik Farmayega) Le! Khud hi apni kitaab aap padh le, Aaj to tu aap hi apna khud hisaab lene ko kaafi hai".(Qur’an 17:14)

⇨ "(It will be said to him): "Read your book. You yourself are sufficient as a reckoner against you this Day." (Qur'an 17:14)

► Zara gor Karen! ke Aap apni kitab Zindagi mein kya darj kar rahe hain jo Aap ko "Jannat" ya "Jahannam" ki taraf lejayegi.

......................✿....... H A D E E S .......✿......................

★ Many of our Muslim Brothers do this , Share this Hadees ★

Narrated Thabit bin Ad-Dahhak Radi Allahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said,“Cursing a believer is like murdering him;”.

[Sahih Bukhari :: Vol 8 :: Book 78 :: Hadith 647]

Urdu Translation: Hazrat Sabit bin Dahhak Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya "Momin par La’anat karna us ko Qatl karne ke barabar hai".

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol 8 :: Hadith 6652]


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "FOLLOW THE SUNNAH OF THE PROPHET (SallAllahu Alaihi Wasallam)" ✦

Wherever you may be or Whatever you do, Follow the Sunnah!

MashaAllaah! Look at him! Even doing sport, he still remembers following the Sunnah of the Prophet (SallAllahu Alaihi Wasallam). •► Mention what Sunnah he's following it in this picture! (Put your answer on comment!)

●═══════════════════════◄►══════════════════════●

Narrated Anas bin Malik Radi Allahu Anhu: The Messenger of Allah (SallAllaahu Alayhi Wa Sallam) said: "He who does not follow my tradition (Sunnah) in religion, is not from me (not one of my followers)."

[Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Book 62 :: Hadith 1]

Urdu Translation: Hazrat Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Mere Tariqe se Jis ne be Ragbati ki wo Mujh mein se nahi hai.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.6 :: Hadith 5063]


✿.............✿.......♥ :) Smile it’s Sunnah :) ♥.......✿.............✿

◈➲ Ham sab bhi Aapas mein Mazah karte hai Haste bhi hain aur Hasate bhi hai isi Tarah Hamare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam bhi Mazah kiya karte the ♥ SubhanAllah ♥ Sahaba ne Arz kiya Ya Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Aap ham se Mazakh bhi farmalete hain Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya Han magar main kabhi Galat baat nahi kehta. [Urdu Ref :: Shama’il Tirmizi :: Hadith 224] ◈➲

Anas ibn Malik Radi Allahu Anhu relates that a person requested Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam that he be given a conveyance. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam replied, The baby of a camel shall be given to you.

The person said, What shall I do with the baby of a camel O Messenger of Allah? (I want one for a conveyance). Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam replied, Every camel is the baby of a camel. :)

[Shama’il Tirmizi :: Book 35 :: Hadith 228]

Urdu Translation: Hazrat Anas Radi Allahu Anhu kehte hain ke kisi shaks ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se Darkhuast ki, koi sawari ka Janwar mujhe ata farmadiya jaye, Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya k Aik Ootni ka baccha tum ko denge,

Saayil ne Arz kiya Ya Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam! Main Oontni ke bacche ka kya karunga? Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya ke har Oont kisi Oont ka Baccha hota hai. :)

[Urdu Ref :: Shama’il Tirmizi :: Hadith 225]

✦.........♥ Ba Haya Aourat ka Mu'ashre Mein Wujood ♥.........✦

✿..........✿ Izzat hi Izzat ✿..........✿

◈ Waldain ke liye baa’ise fakhr
◈ Bhaiyyon ke liye baa’ise izzat
◈ Shohar ke liye dunya ka qeemti sarmaya
◈ Aoulad ke liye umdah namuna.

★ Allah Tala Musalman bahnon ko Haya ke Zewar se Aarasta Farmaye. Aameen

●═════════════════════════◄►════════════════════════●

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Faith (Belief) consists of more than sixty branches (i.e. parts). And Haya (This term "Haya" covers a large number of concepts which are to be taken together; amongst them are self respect, modesty, bashfulness, and scruple, etc.) is a part of faith."

[Sahih Bukhari :: Volume 1 :: Book 2 :: Number 2]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Imaan ki 60 se kuch uphar shaakhain hain aur Haya (sharam) bhi Imaan ki Aik shaakh hai.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 9]

♥ ::✦:: Easy Deeds with TREMENDOUS Rewards ::✦:: ♥

Let's share our meals with those in need & let's gain altogether, Allah's pleasure & reward! :)

Narrated `Aisha Radi Allahu Anha: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "If a woman gives in charity from her house meals without wasting (i.e. being extravagant), she will get the reward for her giving, and her husband will also get the reward for his earning and the storekeeper will also get a similar reward. The acquisition of the reward of none of them will reduce the reward of the others."

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 34 :: Hadith 279]

Urdu Translation: Hazrat Aisha Radi Allahu Anha se Riwayat hai k Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Jab Aourat apne ghar ka khana (galla wagairah) Bashart ye ke Ghar bigaadne ki Niyyat na ho kharch kare to usey kharch karne ka sawab milta hai Aur us ke Shohar ko kamane ka Aur khazanchi ko bhi Aisa hi sawab milta hai aik ka Sawab doosre ke sawab ko kum nahi karta.

[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 2065]

......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Abu Sa'id and Abu Huraira Radi Allahu Anhu reported that they heard Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: Never a believer is stricken with discomfort, hardship or illness, grief or even with mental worry that his sins are not expiated for him.

[Sahih Muslim :: Book 32 :: Hadith 6242]

Urdu Translation: Hazrat Abu Sa’id Radi Allahu Anhu aur Hazrat Abu Huraira Radi Allahu Anhu in se Riwayat hai RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Momin ko jab koi Takleef ya Aeza ho ya Bimari ho ya Ranj ho yahan tak ke Fikr jo us ko hoti hai to us k Gunah mit jate hain.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.6 :: Hadith 6568]


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "ENTERING & LEAVING THE BATHROOM/TOILET" ✦

People go to the bathroom several times per day, day and night. So imagine the rewards you gain out of applying these following three steps (Sunnah) when using the bathroom!!!

1 ➲ Entering with the left leg and exiting with the right one.

2 ➲ Entrance Du'aa:

"بِسْمِ اللهِ اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْخُبُْثِ وَالْخَبَائِثِ"

[Bismillaahi] "Allah-umma inni a`udhu bika minal khubuthi wal khaba'ith”

(Before entering) [In the Name of Allah] . (Then) O Allah , I seek refugee in You from Al-Khubth (the male) and Al-Khabaa’ith (female) unclean spirits.

[Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Book 4 :: Hadith 144]

Urdu Translation: Hazrat Anas Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Jab (Qazaye Hajat ke liye) Baitulkhala mein dakhil hote to ye (Dua) padhte.

"بِسْمِ اللهِ اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْخُبُْثِ وَالْخَبَائِثِ"

Aye Allah! Main napaak Jinnon aur napaak Jinniyon se teri panah mangta hun.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 142]


3 ➲ Exit Du'aa:

"غُفْرَانَكَ"
(Ghufraanaka ~ I ask You (Allah) for forgiveness.)

[Sunan Abu Dawood :: Book 1 :: Hadith 30]

Urdu Translation: Hazrat Ayesha Radi Allahu Anha se Riwayat hai ke Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Jab Baitulkhala se bahar aate to padhte

"غُفْرَانَكَ"
(Ghufraanaka ~ Aye Allah Main Bakhshish chahta hun).

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.1 :: Hadith 30]


✦ Islam ko samajh kar sikhen to pata chalega ke is mein kitni wus’at hai ✦

► Ye tang nazri aur tang dili ka deen nahi hai na hi in dono chizon ki us mein gunjayesh hai, ye “Main” se shuru hokar “Ham” par jata hai. Islam aap se ye nahi kehta ke Aap 24 ghante sir pe topi hath mein tasbeeh pakde har jagah musallah bichaye baithe rahen, Har baat mein us ke hawale dete rahen, Nahi..

◈➲ Ye to Aap se Aap ki “Apni Zindagi” ka hawala chahta hai, ye to Aap se Imandari aur Parhaizgari ka mutaleba karta hai, Diyanatdari aur Lagan chahta hai, Ekhlas aur Isteqamat mangta hai ♥ Aik Accha Musalman Apni Baton se nahi Apne Kirdaar se Dusron ko Mutassir karta hai ♥

●◗► Har Insan apni Roz marrah ki Zindagi mein kisi na kisi Mushkil ka shikar hai Mere aur Aap tamam ke Pareshani aur Mushkilat sirf Allah hi bakhubhi Janta hain ✦ Jo Musalman bhi Kisi Mushkil mein ye Dua padhe Allah Tala us ki Dua Zaroor Qabool Farmalete hain ✦

Ibrahim bin Muhammad bin Sa’d Radi Allahu Anhu Narrated from his father, from Sa’d that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: “The supplication of Dhun-Nun (Prophet Yunus) when he supplicated, while in the belly of the whale was: ‘There is none worthy of worship except You, Glory to You, Indeed, I have been of the transgressors.

لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنْتُ مِنَ الظَّالِمِينَ

(La Ilaha Illa Anta Subhanaka Inni Kuntu Minaz-Zalimin)’ So indeed, no Muslim man supplicated with it for anything, ever, except Allah responds to him.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3505]

Urdu Translation: Hazrat Sa’d Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Dhun-Nun (Hazrat Yunus A.S) ki Machli ke pait mein ki jane wali Dua aisi hai ke koi Musalman use Padh kar Dua karega to Allah Tala zaroor us ki Dua Qabool Farmayenge wo ye hai.

لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنْتُ مِنَ الظَّالِمِينَ

(La Ilaha Illa Anta Subhanaka Inni Kuntu Minaz-Zalimin) yani Tere siwa koi Mabood nahi, Teri zaat paak hai, Main hi zulm karne walon mein se hun. (Qur'an 21:87)

[Urdu Ref :: Jami Tirmdhi :: Vol.2 :: Hadith 1429]


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Abu Huraira Radi Allahu Anhu reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: When two persons indulge in hurling (abuses) upon one another, it would be the first one who would be the sinner so long as the oppressed does not transgress the limits.

[Sahih Muslim :: Book 32 :: Hadith 6263]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya ke do shaks Jab Gaali Galoch Karen to dono ka Gunah usi par hoga jo Ibteda karega Jab tak ke Mazloom Had se Na badhe (Yani zyadati na kare).

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.6 :: Hadith 6591]


✦................♥ Avoid LOL & Use SOQ ♥................✦

RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) was never reported to have laughed out loudly (LOL) even once. Whenever RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) found the need to express his happiness, He would smile out quietly (SOQ)

Narrated `Aisha Radi Allahu Anha: (the wife of the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam), I never saw Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) laughing loudly enough to enable me to see his uvula, but he used to smile only. [Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Book 60 :: Hadith 353]

SubhanAllah! Today we claim to love RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) more than any one else, But when we find the need to express our happiness, All we end up doing is to write this Absurdity in the likes of LOL (Laugh Out Loudly), which explicitly goes against the established Sunnah of Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam).

◈➲ Hence, Rather than using LOL (Laugh Out Loudly), The Sunnah way of expressing your joy is to use SOQ (Smile Out Quietly). ◈➲ Revive the Sunnah, InshaAllah Jazak Allah Khair.

●◗► Aik falsafi ne Aik din khush hokar logon ko bataya “Aye logon! Main ne wo raaz paliya hai jis se Insani Muasherah khush o khurram reh sakta hai.

Aik dost ne daryaft kiya wo kis tarah? Us ne jawab diya ◈➲ Kayenat ki har cheez dusron ke liye hai darakht apna phal khud nahi khata, Darya apna pani khud nahi pita, ye baharen, barsaten aur Zamzame dusron ke liye hain, Bus wahi Insani zindagi acchi aur khubsurat kehla sakti hai jo dusron ke liye ho ◈➲

★ Zindagi ki asal khoobsurti ye nahi ke Aap kitne khush hai bal ke Zindagi ki asal khoobsurti to ye hai k dusre aap se kitna khush hain.

(Falsafi-Falsafa Janne wala, Ilm o Hikmat, Danayi).


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Narrated Anas Radi Allahu Anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "If anyone forgets a prayer he should pray that prayer when he remembers it. There is no expiation except to pray the same." Then he recited: "Establish prayer for My (i.e. Allah's) remembrance." (20.14).

[Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Book 10 :: Hadith 571]

Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik Radi Allahu Anhu se Rivayat hai ke RasoolAllah Sallallhu AlaihiWasallam ne Farmaya: "Agar koi Namaz padhna bhool jaye to jab bhi yaad aajaye usko padh le, is Qadha ke siwa aur koi kaffara uska Nahi hai Aur (Allah Tala ne Farmaya ke) Namaz mere yaad Aane par Qayem kar". (20.14).

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 597]


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "PUTTING ONE'S HAND ON A PAINFUL AREA & THE SUPPLICATION" ✦

It is Narrated on the authority of 'Uthman bin Abi Al-'As Radi Allahu Anhu that he complained about some pain to the Messenger of Allah SallAllahu Alaihi Wasallam that he found in his body since becoming Muslim.

He SallAllahu Alaihi Wasallam said to him: “Put your hand on the part of your body that hurts and say: “Bismillah” three times and then say seven times:

أَعُوذُ بِاللَّهِ وَقُدْرَتِهِ مِنْ شَرِّ مَا أَجِدُ وَأُحَاذِرُ

A'udhu billahi wa qudratihi min sharri ma ajidu wa uhadhiru (I seek refuge with Allah and with His Power from the evil that I find and that I fear).

[Sahih Muslim :: Book 26 :: Hadith 5462]

Urdu Translation: Hazrat 'Uthman bin Abi Al-'As Razi Allahu Anhu se Riwayat hai ke unhone RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se Dard ki shikayat ki Jise wo Apne Jism mein Islam lane ke waqt mahsus karte the Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Tum apna hath dard ki Jaga par rakho aur kaho Bismillah teen (3) baar us k baad sath (7) baar ye kaho.

أَعُوذُ بِاللَّهِ وَقُدْرَتِهِ مِنْ شَرِّ مَا أَجِدُ وَأُحَاذِرُ

A'udhu billahi wa qudratihi min sharri ma ajidu wa uhadhiru.”(Yani Main Allah ki zaat aur Qudrat se har us Cheez se panah mangta hun Jise main Mahsus karta hun aur Jis se mein khof karta hun).

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.5 :: Hadees 5737]

●◗► Asal khair ye nahi ke kisi bhuke ko daikh kar Aik Rupye se us ki Madad kardi Balke Asal khair bhuke ko us waqt Rupya dena hai jab tum ko bhi Waisi hi bhook lagi ho aur tum ko bhi us Rupe ki Waisi hi zarurat ho Jaisi us ko hai.

“Acchayi aur Khair un Aa’mal ke Tabe nahi jo ham karte hain Balke us ka Talluq Andar se hai ke ham hain kaise”.



✦......:p Jahez ki Demand karne Walon ke Muh par Tamancha :p......✦

Ladka: Main Aap se hi Shadi karna chahta hun Magar mere Waldain Jahez ke bagair nahi manenge, Kya tumhare Abbu ki haisiyat hai ke wo Jahez mein car de saken..?

Ladki: Mere Abbu ki haisiyat to Jahez mein hawayi jahaz dene ki bhi hai, Kya tumhare Abbu ki haisiyat hai ke wo Airport bana saken..? :P

► Badtareen makhlooq hai wo shaks jo apne ghar ka Kharch chalane ke liye Sasural se Jahez Maangta hai, Badtareen hai wo Aadmi jo Jahez ke liye Inkaar hi nahi karta, Badtareen hai wo ghar Jahaan Jahez lene wale rehte hain, Jahez lena laanat hai, Jahez se behtar zakat khairat sadka lelo aur Guzara kar lo.

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "ASK FOR ALLAH'S BLESSINGS WHEN HEARING THE CROWING OF COCKS" ✦

It's narrated from Abu Huraira Radi Allahu Anhu that the Prophet SallAllahu Alaihi Wasalam said, "When you hear the crowing of cocks, ask for Allah's Blessings for (their crowing indicates that) they have seen an Angel. And when you hear the braying of donkeys, seek Refuge with Allah from shaytan for (their braying indicates) that they have seen a shaytan."

[Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 54 :: Hadith 522]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya, Jab Murg ki Baang suno to Allah se us k Fazl ka sawal kiya karo, Kyun ke us ne Farishte ko daikha hai aur Jab Gadhe ki Aawaz suno to Shaytan se Allah ki panah mango kyun ke us ne Shaytan ko daikha hai.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 3303]

No comments:

Post a Comment